الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {نِسَاؤُكُمْ حَرْثٌ لَكُمْ فَأْتُوا حَرْثَكُمْ أَنَّى شِئْتُمْ وَقَدِّمُوا لأَنْفُسِكُمْ} الآيَةَ:
Bab: Ayat ki tafseer“Tumhari biwiyan tumhari kheti hain, so tum apne khet mein aao jis tarah se chaho aur apne haq mein aakhirat ke liye kuch nekiyan karte raho”.
Hadith Number: 4527
وعن عبد الصمد , حدثني ابي , حدثني ايوب , عن نافع , عن ابن عمر , فاتوا حرثكم انى شئتم سورة البقرة آية 223 , قال:" ياتيها في"،رواه محمد بن يحيى بن سعيد , عن ابيه , عن عبيد الله , عن نافع , عن ابن عمر.
Aur Abdus Samad bin Abdul Waris se riwayat hai , un se un ke walid ne byaan kiya , un se Ayub ne byaan kiya , un se Nafi ne aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke aayat «fa'too harsakum anna shi'tum» ”so tum apne khet mein aao jis tarah chaho .“ Ke baare mein farmaya ke (peeche se bhi) aa sakta hai . Aur is hadees ko Muhammad bin Yahya bin Saeed bin Qattan ne bhi apne walid se , unhon ne Ubaydullah se , unhon ne Nafi ne aur unhon ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se riwayat kiya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4528
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان , عن ابن المنكدر، سمعت جابرا رضي الله عنه , قال:" كانت اليهود، تقول: إذا جامعها من ورائها جاء الولد احول، فنزلت نساؤكم حرث لكم فاتوا حرثكم انى شئتم سورة البقرة آية 223".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , un se Muhammad bin Munkadir ne aur unhon ne Jabir razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke Yahudi kehte thay ke agar aurat se hum-bistari ke liye koi peeche se aaye ga to bacha bheenga paida ho ga . Is par yeh aayat nazil hui «nisa'ukum harsul lakum fa'too harsakum anna shi'tum» ke ”tumhari biwiyan tumhari kheti hain , so apne khet mein aao jidhar se chaho .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَإِذَا طَلَّقْتُمُ النِّسَاءَ فَبَلَغْنَ أَجَلَهُنَّ فَلاَ تَعْضُلُوهُنَّ أَنْ يَنْكِحْنَ أَزْوَاجَهُنَّ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jab tum auraton ko talaq de chuko aur phir woh apni muddat ko pahunch chukin to tum unhein is se mat roko ke woh apne pehle shauhar se phir nikah kar len”.
Hadith Number: 4529
حدثنا عبيد الله بن سعيد , حدثنا ابو عامر العقدي، حدثنا عباد بن راشد , حدثنا الحسن , قال: حدثني معقل بن يسار , قال: كانت لي اخت تخطب إلي , وقال إبراهيم: عن يونس , عن الحسن , حدثني معقل بن يسار. ح حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث , حدثنا يونس , عن الحسن: ان اخت معقل بن يسار , طلقها زوجها، فتركها حتى انقضت عدتها، فخطبها فابى معقل , فنزلت فلا تعضلوهن ان ينكحن ازواجهن سورة البقرة آية 232".
Hum se Ubaydullah bin Saeed ne byaan kiya , kaha hum se Abu Aamir Aqadi ne byaan kiya , kaha hum se Abbad bin Rashid ne byaan kiya , kaha hum se Hasan ne byaan kiya , kaha ke mujh se Maqal bin Yasar razi Allahu anhu ne byaan kiya , unhon ne byaan kiya ke meri ek behen thien . Un ko un ke agle khawand ne nikah ka paigham diya . (doosri sanad) aur Ibrahim bin Tahman ne byaan kiya , un se Yunus ne , un se Imam Hasan Basri ne aur un se Maqal bin Yasar razi Allahu anhu ne byaan kiya . (teesri sanad) aur Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke hum se Abu Mamar ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Waris ne byaan kiya , kaha hum se Yunus ne byaan kiya aur un se Imam Hasan Basri ne ke Maqal bin Yasar razi Allahu anhu ki behen ko un ke shohar ne talaq de di thi lekin jab iddat guzar gayi aur talaq e bain ho gayi to unhon ne phir un ke liye paigham e nikah bheja . Maqal razi Allahu anhu ne is par inkar kiya , magar aurat chahti thi to yeh aayat nazil hui «fala tazuloohunna an yankihna azwaajahunna» ke ”tum unhein is se mat roko ke woh apne pehle shohar se dobara nikah karein .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَالَّذِينَ يُتَوَفَّوْنَ مِنْكُمْ وَيَذَرُونَ أَزْوَاجًا يَتَرَبَّصْنَ بِأَنْفُسِهِنَّ أَرْبَعَةَ أَشْهُرٍ وَعَشْرًا} إِلَى: {بِمَا تَعْمَلُونَ خَبِيرٌ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur tum mein se jo log wafat pa jayen aur biwiyan chhor jayen to woh biwiyan apne aap ko chaar mahine aur das din tak roke rakhen”aakhir ayat «bima ta’maloon khabeer» tak.
Hadith Number: Q4530
يعفون: يهبن.
«yafuna» bamaani «yahabna» yani hiba kar dein , bakhsh dein .
Hadith Number: 4530
حدثني امية بن بسطام , حدثنا يزيد بن زريع , عن حبيب , عن ابن ابي مليكة , قال ابن الزبير: قلت لعثمان بن عفان: والذين يتوفون منكم ويذرون ازواجا سورة البقرة آية 234، قال:" قد نسختها الآية الاخرى، فلم تكتبها او تدعها , قال: يا ابن اخي، لا اغير شيئا منه من مكانه".
Hum se Umayyah bin Bastam ne byaan kiya , kaha hum se Yazid bin Zuray ne , un se Habib ne , un se Ibn Abi Mulaykah ne aur un se Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke main ne aayat «wallazhina yutawaffauna minkum wa yazharuna azwaajan» yani ”aur tum mein se jo log wafat pa jate hain aur biwiyan chhor jate hain .“ Ke mutalliq Usman razi Allahu anhu se arz kiya ke is aayat ko doosri aayat ne mansookh kar diya hai . Is liye Aap isay (mus-haf mein) na likhein ya (yeh kaha ke) na rehne dein . Is par Usman razi Allahu anhu ne kaha ke bete! Main (Quran ka) koi harf is ki jagah se nahi hata sakta .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4531
حدثنا إسحاق , حدثنا روح , حدثنا شبل , عن ابن ابي نجيح , عن مجاهد: والذين يتوفون منكم ويذرون ازواجا سورة البقرة آية 234 , قال:" كانت هذه العدة تعتد عند اهل زوجها واجب، فانزل الله والذين يتوفون منكم ويذرون ازواجا وصية لازواجهم متاعا إلى الحول غير إخراج فإن خرجن فلا جناح عليكم في ما فعلن في انفسهن من معروف سورة البقرة آية 240، قال: جعل الله لها تمام السنة سبعة اشهر وعشرين ليلة، وصية إن شاءت سكنت في وصيتها وإن شاءت خرجت وهو قول الله تعالى: غير إخراج فإن خرجن فلا جناح عليكم سورة البقرة آية 240، فالعدة كما هي واجب عليها" زعم ذلك , عن مجاهد , وقال عطاء , قال ابن عباس:" نسخت هذه الآية عدتها عند اهلها، فتعتد حيث شاءت وهو قول الله تعالى:غير إخراج سورة البقرة آية 240 , قال عطاء:" إن شاءت اعتدت عند اهله وسكنت في وصيتها، وإن شاءت خرجت , لقول الله تعالى: فلا جناح عليكم فيما فعلن سورة البقرة آية 234 , قال عطاء: ثم جاء الميراث، فنسخ السكنى، فتعتد حيث شاءت ولا سكنى لها" , وعن محمد بن يوسف ,حدثنا ورقاء , عن ابن ابي نجيح , عن مجاهد بهذا , وعن ابن ابي نجيح , عن عطاء , عن ابن عباس , قال:" نسخت هذه الآية عدتها في اهلها، فتعتد حيث شاءت لقول الله: غير إخراج سورة البقرة آية 240 نحوه".
Hum se Ishaq bin Rahwayh ne byaan kiya , kaha hum se Rauh bin Ubadah ne byaan kiya , kaha hum se Shibl bin Abbad ne byaan kiya , un se Ibn Abi Najih ne aur unhon ne Mujahid se aayat «wallazhina yutawaffauna minkum wa yazharuna azwaajan» ”aur tum mein se jo log wafat pa jate hain aur biwiyan chhor jate hain .“ Ke baare mein (zamana e jahiliyat ki tarah) kaha ke iddat (yani char mahine das din ki) thi jo shohar ke ghar aurat ko guzarani zaroori thi . Phir Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «wallazhina yutawaffauna minkum wa yazharuna azwaajan wasiyyatun li-azwaajihim mataaan ilal hawli ghayra ikhrajin fa-in kharajna fala junaha alaykum fee ma faalna fee anfusihinna min maroofin» ”aur jo log tum mein se wafat pa jayein aur biwiyan chhor jayein un ko chahiye ke apni biwiyon ke haq mein nafa uthane ki wasiyat (kar jayein) ke woh ek saal tak ghar se na nikali jayein , lekin agar woh (khud) nikal jayein to koi gunah tum par nahi . Agar woh dastoor ke muwafiq apne liye koi kaam karein .“ Farmaya ke Allah Ta'ala ne aurat ke liye saat mahine aur bees din wasiyat ke qarar diye ke agar woh is muddat mein chahe to apne liye wasiyat ke mutabiq (shohar ke ghar mein hi) thehre aur agar chahe to kahin aur chali jaye ke agar aaisi aurat kahin aur chali jaye to tumhare haq mein koi gunah nahi . Pas iddat ke ayyam to wahi hain jinhein guzarna is par zaroori hai (yani char mahine das din) . Shibl ne kaha Ibn Abi Najih ne Mujahid se aisa hi naqal kiya hai aur Ata bin Abi Rabah ne kaha ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha , is aayat ne is rasm ko mansookh kar diya ke aurat apne khawand ke ghar walon ke paas iddat guzare . Is aayat ki roo se aurat ko ikhtiyar mila jahan chahe wahan iddat guzare aur Allah Paak ke qaul «ghayra ikhrajin» ka yahi matlab hai . Ata ne kaha , aurat agar chahe to apne khawand ke ghar walon mein iddat guzare aur khawand ki wasiyat ke muwafiq isi ke ghar mein rahe aur agar chahe to wahan se nikal jaye kyunke Allah Ta'ala ne farmaya «fala junaha alaykum fee ma faalna» ”agar woh nikal jayein to dastoor ke muwafiq apne haq mein jo baat karein is mein koi gunah tum par na ho ga .“ Ata ne kaha ke phir miras ka hukm nazil hua jo Surah Nisa mein hai aur is ne (aurat ke liye) ghar mein rakhne ke hukm ko mansookh qarar diya . Ab aurat jahan chahe iddat guzar sakti hai . Isay makan ka kharcha dena zaroori nahi aur Muhammad bin Yusuf ne riwayat kiya , un se Warqa bin Amr ne byaan kiya , un se Ibn Abi Najih ne aur un se Mujahid ne , yahi qaul byaan kiya aur farzandan e Ibn Abi Najih se naqal kiya , un se Ata bin Abi Rabah ne byaan kiya aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke is aayat ne sirf shohar ke ghar mein iddat ke hukm ko mansookh qarar diya hai . Ab woh jahan chahe iddat guzar sakti hai . Jaisa ke Allah Ta'ala ke irshad «ghayra ikhrajin» waghaira se sabit hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4532
حدثنا حبان , حدثنا عبد الله , اخبرنا عبد الله بن عون , عن محمد بن سيرين , قال: جلست إلى مجلس فيه عظم من الانصار , وفيهم عبد الرحمن بن ابي ليلى , فذكرت حديث عبد الله بن عتبة , في شان سبيعة بنت الحارث , فقال عبد الرحمن: ولكن عمه كان لا يقول ذلك، فقلت:" إني لجريء إن كذبت على رجل في جانب الكوفة ورفع صوته، قال: ثم خرجت، فلقيت مالك بن عامر او مالك بن عوف , قلت: كيف كان قول ابن مسعود , في المتوفى عنها زوجها وهي حامل؟" فقال: قال ابن مسعود:" اتجعلون عليها التغليظ ولا تجعلون لها الرخصة لنزلت سورة النساء القصرى بعد الطولى"، وقال ايوب: عن محمد , لقيت ابا عطية مالك بن عامر.
Hum se Habban bin Musa Marwazi ne byaan kiya , kaha hum se Abdullah bin Mubarak ne , kaha hum ko Abdullah bin Aun ne khabar di , un se Muhammad bin Sireen ne byaan kiya ke main Ansar ki ek majlis mein hazir hua . Bare bare Ansari wahan maujood thay aur Abdur Rahman bin Abi Layla bhi maujood thay . Main ne wahan Subay'ah bint Harith ke baab se mutalliq Abdullah bin Utbah ki hadees ka zikr kiya . Abdur Rahman ne kaha lekin Abdullah bin Utbah ke chacha (Abdullah bin Masood razi Allahu anhu) aisa nahi kehte thay . (Muhammad bin Sireen ne kaha) ke main ne kaha ke phir to main ne ek aise buzurg Abdullah bin Utbah ke mutalliq jhoot bolne mein daleri ki hai ke jo Kufa mein abhi zinda maujood hain . Meri aawaz buland ho gayi thi . Ibn Sireen ne kaha ke phir jab main bahar nikla to raste mein Malik bin Aamir ya Malik bin Auf se mulaqat ho gayi . (rawi ko shak hai ke yeh Ibn Masood razi Allahu anhu ke rafeeqon mein se thay) Main ne un se poocha ke jis aurat ke shohar ka intiqal ho jaye aur woh hamal se ho to Ibn Masood razi Allahu anhu is ki iddat ke mutalliq kya fatwa dete thay ? Unhon ne kaha ke Ibn Masood razi Allahu anhu kehte thay ke tum log is hamila par sakhti ke mutalliq kyun sochte ho is par aasani nahi karte (is ko lambi) iddat ka hukm dete ho . Surah Nisa chhoti (Surah at-Talaq) lambi Surah Nisa ke baad nazil hui hai aur Ayub Sakhtiyani ne byaan kiya , un se Muhammad bin Sireen ne ke main Abu Atiyyah Malik bin Aamir se mila .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {حَافِظُوا عَلَى الصَّلَوَاتِ وَالصَّلاَةِ الْوُسْطَى}:
Bab: Ayat ki tafseer yani“Sab hi namazon ki hifazat rakho aur darmiyani namaz ki pabandi khaas taur par lazim pakro”.
Hadith Number: 4533
حدثنا عبد الله بن محمد , حدثنا يزيد , اخبرنا هشام , عن محمد , عن عبيدة , عن علي رضي الله عنه , قال: النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثني عبد الرحمن , حدثنا يحيى بن سعيد , قال: حدثنا هشام , قال: حدثنا محمد , عن عبيدة , عن علي رضي الله عنه , ان النبي صلى الله عليه وسلم قال:" يوم الخندق حبسونا عن صلاة الوسطى حتى غابت الشمس ملا الله قبورهم وبيوتهم او اجوافهم شك يحيى نارا".
Hum se Abdullah bin Muhammad Musandi ne byaan kiya , kaha hum se Yazid bin Haroon ne byaan kiya , un se Hisham bin Hassan ne byaan kiya , un se Muhammad bin Sireen ne , un se Ubaydah ne aur un se Ali razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya . (doosri sanad) Imam Bukhari ne kaha ke mujh se Abdur Rahman bin Bashir bin Hakam ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Hisham bin Hassan ne , kaha ke mujh se Muhammad bin Sireen ne byaan kiya , un se Ubaydah bin Amr ne aur un se Ali razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Ghazwa Khandaq ke mauqa par farmaya tha , in kuffar ne hamain darmiyani namaz nahi parhne di , yahan tak ke sooraj ghuroob ho gaya , Allah un ki qabron aur gharon ko ya un ke peeton ko aag se bhar de . Qabron aur gharon ya peeton ke lafzon mein shak Yahya bin Saeed rawi ki taraf se hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَقُومُوا لِلَّهِ قَانِتِينَ} مُطِيعِينَ:
Bab: Ayat «wa qoomoo lillahi qaaniteen» ki tafseer «qaaniteen» bama’ni «muti’een» yani farmanbardar.
Hadith Number: 4534
حدثنا مسدد , حدثنا يحيى , عن إسماعيل بن ابي خالد , عن الحارث بن شبيل , عن ابي عمرو الشيباني، عن زيد بن ارقم , قال:" كنا نتكلم في الصلاة يكلم احدنا اخاه في حاجته حتى نزلت هذه الآية حافظوا على الصلوات والصلاة الوسطى وقوموا لله قانتين سورة البقرة آية 238، فامرنا بالسكوت".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha hum se Yahya Qattan ne byaan kiya , un se Ismail bin Abi Khalid ne , un se Haris bin Shibl ne , un se Abu Amr Shaybani ne aur un se Zayd bin Arqam razi Allahu anhu ne byaan kiya ke pehle hum namaz parhte huay baat bhi kar liya karte thay , koi bhi shakhs apne doosre bhai se apni kisi zaroorat ke liye baat kar leta tha . Yahan tak ke yeh aayat nazil hui «hafizhu ala-ssalawati wassalatil wusta wa qoomu lillahi qaniteen» ”sab hi namazon ki pabindi rakho aur khaas taur par beech wali namaz ki aur Allah ke samne farman-bardaron ki tarah kharay hua karo .“ Is aayat ke zariye hamain namaz mein chup rehne ka hukm diya gaya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ عَزَّ وَجَلَّ: {فَإِنْ خِفْتُمْ فَرِجَالاً أَوْ رُكْبَانًا فَإِذَا أَمِنْتُمْ فَاذْكُرُوا اللَّهَ كَمَا عَلَّمَكُمْ مَا لَمْ تَكُونُوا تَعْلَمُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Agar tumhein dar ho to tum namaz paidal hi (parh liya karo) ya sawari par parh lo, phir jab tum aman mein aa jao to Allah ko yaad karo jis tarah us ne tumhein sikhaya hai jise tum jaante na the”.
Hadith Number: Q4535
وقال ابن جبير: كرسيه: علمه يقال بسطة زيادة وفضلا افرغ انزل، ولا يئوده: لا يثقله آدني اثقلني والآد والايد القوة السنة نعاس يتسنه يتغير، فبهت: ذهبت حجته، خاوية: لا انيس فيها، عروشها: ابنيتها ننشرها نخرجها، إعصار: ريح عاصف تهب من الارض إلى السماء كعمود فيه نار , وقال ابن عباس: صلدا: ليس عليه شيء , وقال عكرمة: وابل: مطر شديد الطل الندى وهذا مثل عمل المؤمن يتسنه يتغير.
Saeed bin Jubayr ne kaha «wasia kursiyyuhu» mein «kursi» se murad Parvardigar ka ilm hai . (yeh tawili mafhoom hai ihtiyat isi mein hai ke zahir manon mein tasleem kar ke haqiqat ko ilm e Ilahi ke hawala kar diya jaye) . «bastatan» se murad ziyadati aur fazeelat hai . «afrigh» ka matlab anzhil hai yani hum par sabr nazil farma . Lafz «wa la yaooduhu» ka matlab yeh ke is par baar nahi hai . Isi se lafz «aadani» hai yani mujh ko is ne bojhal bana diya aur lafz «aad» aur «al-ayd» quwwat ko kehte hain . Lafz «as-sinatu» oongh ke maani mein hai . «lam yatasannah» ka maani nahi bigra . Lafz «fabuhita» ka maani daleel se hare ga . Lafz «khawiyatun» yani khali jahan koi rafeeq na ho . Lafz «urooshuha» se murad is ki amaratein hain . «nunshiruha» ke maani hum nikalte hain . Lafz «isaarun» ke maani tund hawa jo zameen se uth kar aasman ki taraf ek satoon ki tarah ho jati hai . Is mein aag hoti hai . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha lafz «saldan» yani chakna saaf jis par kuch bhi na rahe aur Ikrimah ne kaha lafz «wabilun» zor ke meenh par bola jata hai aur lafz «tallun» ke maani shabnam ous ke hain . Yeh momin ke naik amal ki misal hai ke woh zaya nahi jata . «yatasannah» ke maani badal jaye , bigar jaye .