الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {وَاتَّقُوا يَوْمًا تُرْجَعُونَ فِيهِ إِلَى اللَّهِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur us din se darte raho jis din tum sab ko Allah ki taraf wapas jana hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4544
حدثنا قبيصة بن عقبة , حدثنا سفيان , عن عاصم , عن الشعبي، عن ابن عباس رضي الله عنهما , قال:" آخر آية نزلت على النبي صلى الله عليه وسلم آية الربا".
Hum se Qubaysah bin Utbah ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , un se Aasim bin Sulayman ne , un se Shabi ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke aakhri aayat jo Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam par nazil hui woh sood ki aayat thi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَإِنْ تُبْدُوا مَا فِي أَنْفُسِكُمْ أَوْ تُخْفُوهُ يُحَاسِبْكُمْ بِهِ اللَّهُ فَيَغْفِرُ لِمَنْ يَشَاءُ وَيُعَذِّبُ مَنْ يَشَاءُ وَاللَّهُ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jo khayal tumhare dilon ke andar chhupa hua hai agar tum us ko zahir kar do ya use chhupaye rakho har haal mein Allah us ka hisab tum se lega, phir jise chahe bakhsh de ga aur jise chahe azab kare ga aur Allah har cheez par qudrat rakhne wala hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4545
حدثنا محمد , حدثنا النفيلي، حدثنا مسكين , عن شعبة , عن خالد الحذاء , عن مروان الاصفر , عن رجل من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم وهو ابن عمر ," انها قد نسخت وإن تبدوا ما في انفسكم او تخفوه سورة البقرة آية 284 الآية".
Hum se Muhammad bin Yahya ne byaan kiya , kaha hum se Abdullah bin Muhammad Nufayli ne byaan kiya , kaha hum se Miskeen bin Bukayr Harran ne byaan kiya , un se Shubah ne , un se Khalid Hazza ne , un se Marwan Asfar ne aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ek sahabi yani Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke aayat «wa in tubdu ma fee anfusikum au tukhfoohu» ”aur jo kuch tumhare nafson ke andar hai agar tum un ko zahir karo ya chhupaye rakkho .“ Aakhir tak mansookh ho gi thi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {آمَنَ الرَّسُولُ بِمَا أُنْزِلَ إِلَيْهِ مِنْ رَبِّهِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Paighambar imaan laye us par jo un par Allah ki taraf se nazil hua”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4546
وقال ابن عباس: إصرا عهدا، ويقال غفرانك مغفرتك فاغفر لنا.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke «isran» ahad waada ke maani mein hai aur bolte hain «ghufranaka» yani hum teri maghfirat maangte hain , tu hamain maaf farma de .


Show diacritics
Hadith Number: 4546
حدثني إسحاق بن منصور , اخبرنا روح , اخبرنا شعبة , عن خالد الحذاء , عن مروان الاصفر , عن رجل من اصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم , قال: احسبه ابن عمر ," وإن تبدوا ما في انفسكم او تخفوه سورة البقرة آية 284 , قال: نسختها الآية التي بعدها".
Mujh se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya , unhein Rauh bin Ubadah ne khabar di , unhein Shubah ne khabar di , unhein Khalid Hazza ne , unhein Marwan Asfar ne aur unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke ek sahabi ne , kaha ke woh Ibn Umar razi Allahu anhuma hain . Unhon ne aayat «in tubdu ma fee anfusikum au tukhfoohu» ke mutalliq batlaya ke is aayat ko is ke baad ki aayat ( «la yukallifullahu nafsan illa wusaha») ne mansookh kar diya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة آلِ عِمْرَانَ:
Bab: Surah Aal-e-Imran ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4547-2
تقاة وتقية واحدة صر برد شفا حفرة: مثل شفا الركية وهو حرفها، تبوئ: تتخذ معسكرا المسوم الذي له سيماء بعلامة او بصوفة او بما كان، ربيون: الجميع والواحد ربي، تحسونهم: تستاصلونهم قتلا، غزا: واحدها غاز، نكتب: سنحفظ، نزلا: ثوابا ويجوز ومنزل من عند الله كقولك انزلته. وقال مجاهد: والخيل المسومة المطهمة الحسان، قال سعيد بن جبير وعبد الله بن عبد الرحمن بن ابزى: الراعية المسومة، وقال ابن جبير: وحصورا: لا ياتي النساء، وقال عكرمة: من فورهم: من غضبهم يوم بدر، وقال مجاهد: يخرج الحي من الميت من النطفة تخرج ميتة ويخرج منها الحي الإبكار اول الفجر والعشي ميل الشمس اراه إلى ان تغرب.
Alfaz «tuqaatan» «wa tuqiyatan» donon ka maani ek hai yani bachao karna . «sirrun» ka maani «bardun» yani sard thandak . «shafa hufratin» ka maani garhay ka kinara , jaise kachay kunway ka kinara hota hai . «tubawwi'u» yani tu lashkar ke maqamat , parao tajweez karta tha , morche banana murad hain . «musawwimeena» «musawwim» is ko kehte hain jis par koi nishani ho , maslan pashm ya aur koi nishani . «ribbiyyoona» jama hai is ka wahid «ribbiyyun» hai yani Allah wala . «tahussoonahum» un ko qatl kar ke jar peyr se ukhaarte ho . «ghuzzan» lafz «ghaazin» ki jama hai yani jihad karne wala . «sanaktubu» ka maani hamain yaad rahe ga . «nuzulan» ka maani sawab ke hain aur yeh bhi ho sakta hai ke lafz «nuzulan» ism e mafool ke maani mein ho yani Allah ki taraf se utara gaya jaise kehte hain «anzaltuhu» main ne is ko utara . Mujahid ne kaha «wal khaylil musawwamati» ka maani mote mote achhe achhe ghore aur Saeed bin Jubayr ne kaha «hasooran» is shakhs ko kehte hain jo auraton ki taraf mutlaq mayal na ho . Ikrimah ne kaha «min fawrihim» ka maani Badr ke din ghussay aur josh se . Mujahid ne kaha «yukhrijul hayya» yani nutfa be-jaan hota hai is se jaandaar paida hota hai . «ibkaari» subah sawere . «ashiyyun» ke maani sooraj dhalay se doobne tak jo waqt hota hai usay «ashiyyun» kehte hain .


بَابُ: {مِنْهُ آيَاتٌ مُحْكَمَاتٌ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ba’z is mein muhkam ayaaten hain aur ba’z mutashabih hain”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4547
وقال مجاهد: الحلال والحرام واخر متشابهات يصدق بعضه بعضا، كقوله تعالى: وما يضل به إلا الفاسقين سورة البقرة آية 26 وكقوله جل ذكره ويجعل الرجس على الذين لا يعقلون سورة يونس آية 100 وكقوله: والذين اهتدوا زادهم هدى وآتاهم تقواهم سورة محمد آية 17 زيغ: شك ابتغاء الفتنة المشتبهات، والراسخون في العلم سورة آل عمران آية 7 يعلمون يقولون آمنا به كل من عند ربنا وما يذكر إلا اولو الالباب سورة آل عمران آية 7.
Mujahid ne kaha «muhkamaatun» se halal o haram ki aayatein murad hain . «wa ukharu mutashabihaatun» ka matlab yeh hai ke doosri aayatein jo ek doosri se milti julti hain . Ek ki ek tasdeeq karti hai , jaisi yeh aayat hain «wa ma yudillu bihi illal fasiqeen» aur «wa yaj'alur rijsa alallazhina la ya'qiloon» aur «wallazhina-htadau zaadahum huda» in teenon aayaton mein kisi halal o haram ka byaan nahi hai to mutashaba thehrein . «zayghun» ka maani shakk . «ibtigha'al fitnati» mein fitna se murad mutashabihaat ki pairwi karna , un ke matlab ka khoj karna hai . «warrasikhoona» yani jo log pukhta ilm wale hain woh kehte hain ke hum is par iman le aaye yeh sab hamare Rabb ki taraf se hain .


Show diacritics
Hadith Number: 4547
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا يزيد بن إبراهيم التستري، عن ابن ابي مليكة، عن القاسم بن محمد، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: تلا رسول الله صلى الله عليه وسلم هذه الآية هو الذي انزل عليك الكتاب منه آيات محكمات هن ام الكتاب واخر متشابهات فاما الذين في قلوبهم زيغ فيتبعون ما تشابه منه ابتغاء الفتنة وابتغاء تاويله وما يعلم تاويله إلا الله والراسخون في العلم يقولون آمنا به كل من عند ربنا وما يذكر إلا اولو الالباب سورة آل عمران آية 7، قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" فإذا رايت الذين يتبعون ما تشابه منه فاولئك الذين سمى الله فاحذروهم".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne byaan kiya , hum se Yazid bin Ibrahim Tustari ne byaan kiya , un se Ibn Abi Mulaykah ne , un se Qasim bin Muhammad ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne is aayat ki tilawat ki «huwallazhi anzala alaykal kitaba minhu aayatun muhkamaatun hunna ummul kitabi wa ukharu mutashabihaatun fa-ammallazhina fee quloobihim zayghun fayat-tabioona ma tashabaha minhu-btigha'al fitnati wabtigha'a ta'weelihi» yani ”woh wahi Allah hai jis ne tujh par kitab utari hai , is mein muhkam aayatein hain aur wahi kitab ka asal daromadar hain aur doosri aayatein mutashaba hain . So woh log jin ke dilon mein chir-pan hai . Woh is ke isi hisse ke peeche lag jate hain jo mutashaba hain , fitne ki talash mein aur is ki ghalat tawil ki talash mein .“ Aakhir aayat «ulul albaab» tak . Aisha razi Allahu anha ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum aise logon ko dekho jo mutashaba aayaton ke peeche pare huay hon to yaad rakho ke yeh wahi log hain jin ka Allah Ta'ala ne (aayat e bala mein) zikr farmaya hai . Is liye un se bachte raho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَإِنِّي أُعِيذُهَا بِكَ وَذُرِّيَّتَهَا مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Maryam Alaiha Salam ki maa ne kaha Ay Rab! mein is (Maryam) ko aur is ki aulad ko Shaytan-e-marood se teri panah mein deti hun”.
Show diacritics
Hadith Number: 4548
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه: ان النبي صلى الله عليه وسلم قال:" ما من مولود يولد إلا والشيطان يمسه حين يولد، فيستهل صارخا من مس الشيطان إياه إلا مريم وابنها"، ثم يقول ابو هريرة: واقرءوا إن شئتم وإني اعيذها بك وذريتها من الشيطان الرجيم سورة آل عمران آية 36.
Mujh se Abdullah bin Muhammad Musandi ne byaan kiya , kaha hum se Abdur Razzaq ne byaan kiya , hum ko Mamar ne khabar di , unhein Zuhri ne , unhein Saeed bin Musayyab ne aur unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke har bacha jab paida hota hai to Shaytan usay paida hote hi chhoota hai , jis se woh bacha chillata hai , siwa Maryam aur un ke bete (Esa alaihissalam) ke . Phir Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha ke agar tumhara jee chahe to yeh aayat parh lo «wa inni ueizhuha bika wa zhurriyyataha minash-shaytanir rajeem» yeh kalma Maryam alaihissalam ki maan ne kaha tha , Allah ne un ki dua qabool ki aur Maryam aur Esa alaihimassalam ko Shaytan ke hath lagane se bacha liya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {إِنَّ الَّذِينَ يَشْتَرُونَ بِعَهْدِ اللَّهِ وَأَيْمَانِهِمْ ثَمَنًا قَلِيلاً أُولَئِكَ لاَ خَلاَقَ لَهُمْ} لاَ خَيْرَ:
Bab: Ayat ki tafseer“Beshak jo log Allah ke ahd aur apni qasmon ko thori qeemat par bech daalte hain, ye wahi log hain jin ke liye aakhirat mein koi bhalai nahi hai aur un ko dikh ka azab ho ga”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4549
اليم مؤلم موجع من الالم وهو في موضع مفعل.
«aleemun» ke maani dukh dene wala jaise «mu'limun» hai . «aleemun» bar-wazan «fayeelun» bamaani «muf-ilun» hai (jo kalam e Arab mein kam aaya hai .)


Show diacritics
Hadith Number: 4549
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا ابو عوانة، عن الاعمش، عن ابي وائل، عن عبد الله بن مسعود رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من حلف يمين صبر ليقتطع بها مال امرئ مسلم لقي الله وهو عليه غضبان، فانزل الله تصديق ذلك إن الذين يشترون بعهد الله وايمانهم ثمنا قليلا اولئك لا خلاق لهم في الآخرة سورة آل عمران آية 77 إلى آخر الآية، قال: فدخل الاشعث بن قيس، وقال: ما يحدثكم ابو عبد الرحمن؟ قلنا: كذا وكذا، قال: في انزلت، كانت لي بئر في ارض ابن عم لي، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" بينتك او يمينه"، فقلت: إذا يحلف يا رسول الله، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" من حلف على يمين صبر يقتطع بها مال امرئ مسلم وهو فيها فاجر لقي الله وهو عليه غضبان".
Hum se Hajjaj bin Minhal ne byaan kiya , kaha hum se Abu Awanah ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Abu Wail ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis shakhs ne is liye qasam khayi ke kisi Musalman ka maal (jhoot bol kar woh) maar le to jab woh Allah se mile ga , Allah Ta'ala is par nihayat hi ghussa ho ga , phir Allah Ta'ala ne Aap ke is farman ki tasdeeq mein yeh aayat nazil ki «innallazhina yashtaroona biahdillahi wa aimanihim samanan qaleelan ula'ika la khalaqa lahum fil aakhirati» ”beshak jo log Allah ke ahad aur apni qasmon ko thori qemat par bechte hain , yeh wahi log hain jin ke liye aakhirat mein koi bhalayi nahi hai .“ Aakhir aayat tak . Abu Wail ne byaan kiya ke Ashas bin Qays Kindi razi Allahu anhu tashreef laye aur poocha: Abu Abdur Rahman (Abdullah bin Masood razi Allahu anhu) ne Aap logon se koi hadees byaan ki hai ? Hum ne bataya ke haan , is is tarah se hadees byaan ki hai . Ashas razi Allahu anhu ne is par kaha ke yeh aayat to mere hi baare mein nazil hui thi . Mere ek chacha ke bete ki zameen mein mera ek kunway tha (hum donon ka is baare mein jhagra hua aur muqadma Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein pesh hua to) Aap ne mujh se farmaya ke tu gawah pesh kar ya phir is ki qasam par faisla ho ga . Main ne kaha phir to ya Rasool Allah woh (jhooti) qasam kha le ga . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs jhooti qasam is liye khaye ke is ke zariye kisi Musalman ka maal le aur is ki niyat buri ho to woh Allah Ta'ala se is halat mein mile ga ke Allah is par nihayat hi ghazabnak ho ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة