الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {وَلَتَسْمَعُنَّ مِنَ الَّذِينَ أُوتُوا الْكِتَابَ مِنْ قَبْلِكُمْ وَمِنَ الَّذِينَ أَشْرَكُوا أَذًى كَثِيرًا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur yaqeenan tum log bohot si dil dukhaane wali baatein un se suno ge jinhen tum se pehle kitab mil chuki hai aur un se bhi suno ge jo mushrik hain”.
Show diacritics
Hadith Number: 4566
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عروة بن الزبير، ان اسامة بن زيد رضي الله عنهما اخبره، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، ركب على حمار على قطيفة فدكية، واردف اسامة بن زيد وراءه يعود سعد بن عبادة، في بني الحارث بن الخزرج قبل وقعة بدر، قال: حتى مر بمجلس فيه عبد الله بن ابي ابن سلول، وذلك قبل ان يسلم عبد الله بن ابي، فإذا في المجلس اخلاط من المسلمين، والمشركين، عبدة الاوثان، واليهود، والمسلمين، وفي المجلس عبد الله بن رواحة، فلما غشيت المجلس عجاجة الدابة، خمر عبد الله بن ابي انفه بردائه، ثم قال: لا تغبروا علينا، فسلم رسول الله صلى الله عليه وسلم عليهم، ثم وقف، فنزل، فدعاهم إلى الله وقرا عليهم القرآن، فقالعبد الله بن ابي ابن سلول: ايها المرء، إنه لا احسن مما تقول، إن كان حقا فلا تؤذينا به في مجلسنا، ارجع إلى رحلك، فمن جاءك فاقصص عليه، فقال عبد الله بن رواحة: بلى يا رسول الله، فاغشنا به في مجالسنا، فإنا نحب ذلك، فاستب المسلمون والمشركون واليهود حتى كادوا يتثاورون، فلم يزل النبي صلى الله عليه وسلم يخفضهم حتى سكنوا، ثم ركب النبي صلى الله عليه وسلم دابته، فسار حتى دخل على سعد بن عبادة، فقال له النبي صلى الله عليه وسلم:" يا سعد، الم تسمع ما قال ابو حباب؟ يريد عبد الله بن ابي، قال: كذا وكذا"، قال سعد بن عبادة: يا رسول الله، اعف عنه، واصفح عنه، فوالذي انزل عليك الكتاب، لقد جاء الله بالحق الذي انزل عليك، لقد اصطلح اهل هذه البحيرة على ان يتوجوه فيعصبوه بالعصابة، فلما ابى الله ذلك بالحق الذي اعطاك الله شرق بذلك، فذلك فعل به ما رايت، فعفا عنه رسول الله صلى الله عليه وسلم، وكان النبي صلى الله عليه وسلم واصحابه يعفون عن المشركين واهل الكتاب كما امرهم الله، ويصبرون على الاذى، قال الله عز وجل: ولتسمعن من الذين اوتوا الكتاب من قبلكم ومن الذين اشركوا اذى كثيرا سورة آل عمران آية 186 الآية، وقال الله: ود كثير من اهل الكتاب لو يردونكم من بعد إيمانكم كفارا حسدا من عند انفسهم سورة البقرة آية 109 إلى آخر الآية، وكان النبي صلى الله عليه وسلم يتاول العفو ما امره الله به، حتى اذن الله فيهم، فلما غزا رسول الله صلى الله عليه وسلم بدرا فقتل الله به صناديد كفار قريش، قال ابن ابي ابن سلول ومن معه من المشركين وعبدة الاوثان: هذا امر قد توجه، فبايعوا الرسول صلى الله عليه وسلم على الإسلام، فاسلموا.
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , un se Zuhri ne byaan kiya , unhein Urwah bin Zubayr ne khabar di aur unhein Usamah bin Zayd razi Allahu anhuma ne khabar di ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ek gadhe ki pusht par Fadak ki bani hui ek moti chadar rakhne ke baad sawar huay aur Usamah bin Zayd razi Allahu anhuma ko apne peeche bithaya . Aap salla Allahu alaihi wasallam Banu Haris bin Khazraj mein Saad bin Ubadah razi Allah ki mizaj pursi ke liye tashreef le ja rahe thay . Yeh jang e Badr se pehle ka waqia hai . Rasta mein ek majlis se Aap guzre jis mein Abdullah bin Ubayy bin Salool (munafiq) bhi maujood tha , yeh Abdullah bin Ubayy ke zahiri Islam laane se bhi pehle ka qissa hai . Majlis mein Musalman aur mushrikeen yani but-parast aur Yahudi sab hi tarah ke log thay , unhi mein Abdullah bin Rawaha razi Allahu anhu bhi thay . Sawari ki (taapon se gard uri aur) majlis walon par pari to Abdullah bin Ubayy ne chadar se apni naak band kar li aur bataur tehqeer kehne laga ke hum par gard na urao , itne mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam bhi qareeb pahunch gaye aur unhein salam kiya , phir Aap sawari se utar gaye aur majlis walon ko Allah ki taraf bulaya aur Quran ki aayatein parh kar sunayein . Is par Abdullah bin Ubayy bin Salool kehne laga , jo kalam Aap ne parh kar sunaya hai , is se umdah koi kalam nahi ho sakta . Agarchay yeh kalam bahut achha , phir bhi hamari majlison mein aa aa kar Aap hamain takleef na diya karein , apne ghar baithein , agar koi Aap ke paas jaye to usay apni baatein sunaya karein . (yeh sun kar) Abdullah bin Rawaha razi Allahu anhu ne kaha , zaroor ya Rasool Allah! Aap hamari majlison mein tashreef laya karein , hum isi ko pasand karte hain . Is ke baad Musalman , mushrikeen aur Yahudi aapas mein ek doosre ko bura bhala kehne lage aur qareeb tha ke fasad aur larai tak ki naubat pahunch jati lekin Aap ne unhein khamosh aur thanda kar diya aur aakhir sab log khamosh ho gaye , phir Aap salla Allahu alaihi wasallam apni sawari par sawar ho kar wahan se chale aaye aur Saad bin Ubadah razi Allahu anhu ke yahan tashreef le gaye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Saad bin Ubadah razi Allahu anhu se bhi is ka zikr kiya ke Saad! Tum ne nahi suna , Abu Hubab , Aap ki murad Abdullah bin Ubayy bin Salool se thi , kya keh raha tha ? Is ne is tarah ki baatein ki hain . Saad bin Ubadah razi Allahu anhu ne arz kiya: ya Rasool Allah! Aap usay maaf farma dein aur is se darguzar kar dein . Is zaat ki qasam! Jis ne Aap par kitab nazil ki hai Allah ne Aap ke zariye woh haq bheja hai jo is ne Aap par nazil kiya hai . Is shehar (Madinah) ke log (pehle) is par muttafiq ho chuke thay ke is (Abdullah bin Ubayy) ko taaj pehna dein aur (shahi) amama is ke sar par baandh dein lekin jab Allah Ta'ala ne is haq ke zariye jo Aap ko is ne ata kiya hai , is baatil ko rok diya to ab woh chir gaya hai aur is wajah se woh muamla is ne Aap ke saath kiya jo Aap ne mulahiza farmaya hai . Aap ne usay maaf kar diya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur sahabah razi Allahu anhum mushrikeen aur Ahl e Kitab se darguzar kiya karte thay aur un ki aziyaton par sabr kiya karte thay . Isi ke baare mein yeh aayat nazil hui ”aur yaqeenan tum bahut si dil-aazari ki baatein un se bhi suno ge , jinhein tum se pehle kitab mil chuki hai aur un se bhi jo mushrik hain aur agar tum sabr karo aur taqwa ikhtiyar karo to yeh bare azm o hausla ki baat hai“ aur Allah Ta'ala ne farmaya ”bahut se Ahl e Kitab to dil hi se chahte hain ke tumhein iman (le aane) ke baad phir se kafir bana lein , hasad ki raah se jo un ke dilon mein hai .“ Aakhir aayat tak . Jaisa ke Allah Ta'ala ka hukm tha Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam hamesha kuffar ko maaf kar diya karte thay . Aakhir Allah Ta'ala ne Aap ko un ke saath jang ki ijazat de di aur jab Aap ne Ghazwa Badr kiya to Allah Ta'ala ki mansha ke mutabiq Quraysh ke kafir sardar is mein maarey gaye to Abdullah bin Ubayy bin Salool aur is ke doosre mushrik aur but-parast sathiyon ne aapas mein mashwara kar ke in sab ne bhi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se Islam par bai'at kar li aur zahiran Islam mein dakhil ho gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {لاَ يَحْسِبَنَّ الَّذِينَ يَفْرَحُونَ بِمَا أَتَوْا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Jo log apne kartooton par khush hote hain aur chahte hain ke jo nek kaam unhon ne nahi kiye khwah makhwah un par bhi un ki tareef ki jaye, so aise logon ke liye har giz khayal na karo ke woh azab se bach saken ge”.
Show diacritics
Hadith Number: 4567
حدثنا سعيد بن ابي مريم، اخبرنا محمد بن جعفر، قال: حدثني زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه:" رسول الله صلى الله عليه وسلم كان إذا خرج رسول الله صلى الله عليه وسلم إلى الغزو، تخلفوا عنه، وفرحوا بمقعدهم خلاف رسول الله صلى الله عليه وسلم، فإذا قدم رسول الله صلى الله عليه وسلم اعتذروا إليه، وحلفوا، واحبوا ان يحمدوا بما لم يفعلوا، فنزلت لا تحسبن الذين يفرحون بما اتوا ويحبون ان يحمدوا بما لم يفعلوا سورة آل عمران آية 188 الآية".
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Muhammad bin Jafar ne khabar di , unhon ne kaha ke mujh se Zayd bin Aslam ne byaan kiya , un se Ata bin Yasar aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein chand munafiqeen aise thay ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jihad ke liye tashreef le jate to yeh Madinah mein peeche reh jate aur peeche reh jaane par bahut khush hua karte thay lekin jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam wapas aate to uzr byaan karte aur qasmein kha lete balkay un ko aise kaam par tareef hona pasand aata jis ko unhon ne na kiya hota aur baad mein chakni cheeri baaton se apni baat banana chahte . Allah Ta'ala ne isi par yeh aayat «la yahsabannallazhina yafrahoona» aakhir aayat tak utari .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4568
حدثني إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، ان ابن جريج اخبرهم، عن ابن ابي مليكة، ان علقمة بن وقاص اخبره، ان مروان، قال لبوابه:" اذهب يا رافع إلى ابن عباس فقل: لئن كان كل امرئ فرح بما اوتي، واحب ان يحمد بما لم يفعل معذبا، لنعذبن اجمعون، فقال ابن عباس:" وما لكم ولهذه، إنما دعا النبي صلى الله عليه وسلم يهود فسالهم عن شيء فكتموه إياه، واخبروه بغيره، فاروه ان قد استحمدوا إليه بما اخبروه عنه فيما سالهم، وفرحوا بما اوتوا من كتمانهم"، ثم قرا ابن عباس: وإذ اخذ الله ميثاق الذين اوتوا الكتاب كذلك حتى قوله:: يفرحون بما اتوا ويحبون ان يحمدوا بما لم يفعلوا سورة آل عمران آية 187 - 188. تابعه عبد الرزاق، عن ابن جريج. ح حدثنا ابن مقاتل، اخبرنا الحجاج، عن ابن جريج، اخبرني ابن ابي مليكة، عن حميد بن عبد الرحمن بن عوف، انه اخبره ان مروان بهذا.
Mujh se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham ne khabar di , unhein Ibn Jurayj ne khabar di , unhein Ibn Abi Mulaykah ne aur unhein Alqamah bin Waqqas ne khabar di ke Marwan bin Hakam ne (jab woh Madinah ke ameer thay) apne darban se kaha ke Rafi! Ibn Abbas razi Allahu anhuma ke yahan jao aur un se poocho ke aayat «la yahsabannallazhina yafrahoona» ki roo se to hum sab ko azab hona chahiye kyunke har ek aadmi in ni'maton par jo us ko mili hain , khush hai aur yeh chahta hai ke jo kaam us ne kiya nahi is par bhi is ki tareef ho . Abu Rafi ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se ja kar poocha , to Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha , tum Musalmanon se is aayat ka kya talluq! Yeh to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Yahudiyon ko bulaya tha aur un se ek deen ki baat poochi thi . (jo un ki aasmani kitab mein maujood thi) unhon ne asal baat ko to chhupaya aur doosri ghalat baat byaan kar di , phir bhi is baat ke khwahish-mand rahe ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sawal ke jawab mein jo kuch unhon ne bataya hai is par un ki tareef ki jaye aur idhar asal haqiqat ko chhupa kar bhi bare khush thay . Phir Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne is aayat ki tilawat «wa izh akhazhallahu meesaqallazhina ootul kitaba» ki ”aur woh waqt yaad karo jab Allah ne Ahl e Kitab se ahad liya tha ke kitab ko poori zahir kar dena logon par , aayat «yafrahoona bima aataw wa yuhibboona an yuhmadoo bima lam yafaloo» ”jo log apne kartooton par khush hain aur chahte hain ke jo kaam nahi kiye hain , un par bhi un ki tareef ki jaye .“ Tak . Hisham bin Yusuf ke saath is hadees ko Abdur Razzaq ne bhi Ibn Jurayj se riwayat kiya . Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya , kaha hum ko Hajjaj bin Muhammad ne khabar di , unhon ne Ibn Jurayj se kaha mujh ko Ibn Abi Mulaykah ne khabar di , un ko Humayd bin Abdur Rahman bin Auf razi Allahu anhu ne ke Marwan ne apne darban Rafi se kaha , phir yahi hadees byaan ki .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {إِنَّ فِي خَلْقِ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ} الآيَةَ:
Bab: Ayat ki tafseer“Beshak aasmanon aur zameen ki paidayish aur raat din ke ikhtilaf hone mein aql-mandon ke liye bohot si nishaniyan hain”,“ikhtilaf se raat wa din ka ghatna barhna murad hai, jo mausami asarat se hota rehta hai, ye sab qudrat-e-Ilahi ke numoone hain”.
Show diacritics
Hadith Number: 4569
حدثنا سعيد بن ابي مريم، اخبرنا محمد بن جعفر، قال: اخبرني شريك بن عبد الله بن ابي نمر، عن كريب، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: بت عند خالتي ميمونة، فتحدث رسول الله صلى الله عليه وسلم مع اهله ساعة، ثم رقد، فلما كان ثلث الليل الآخر، قعد فنظر إلى السماء، فقال:" إن في خلق السموات والارض واختلاف الليل والنهار لآيات لاولي الالباب سورة آل عمران آية 190"، ثم قام فتوضا، واستن فصلى إحدى عشرة ركعة، ثم اذن بلال فصلى ركعتين، ثم خرج فصلى الصبح.
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne byaan kiya , kaha hum ko Muhammad bin Jafar ne khabar di , kaha ke mujhe Shareek bin Abdullah bin Abi Namr ne khabar di , unhein Kurayb ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke main ek raat apni khala (Umm al-Momineen) Maimoona razi Allahu anha ke ghar reh gaya . Pehle Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne apni biwi (Maimoona razi Allahu anha) ke saath thori der tak baat cheet ki phir so gaye . Jab raat ka teesra hissa baqi raha to Aap uth kar baith gaye aur aasman ki taraf nazar ki aur yeh aayat tilawat ki «inna fee khalqis-samawati wal ardi wakhtilaafil layli wannahari la-aayatil li-ulil albaab» ”beshak aasmanon aur zameen ki paidaish aur din o raat ke mukhtalif hone mein aqal-mandon ke liye (bari) nishaniyan hain .“ Is ke baad Aap salla Allahu alaihi wasallam kharay huay aur wuzu kiya aur miswak ki , phir gyarah rakatmein tahajjud aur witr parhien . Jab Bilal razi Allahu anhu ne (Fajr ki) azaan di to Aap ne do rakat (Fajr ki sunnat) parhi aur bahar masjid mein tashreef laye aur Fajr ki namaz parhayi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {الَّذِينَ يَذْكُرُونَ اللَّهَ قِيَامًا وَقُعُودًا وَعَلَى جُنُوبِهِمْ وَيَتَفَكَّرُونَ فِي خَلْقِ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Jo Allah ko khare, baithe aur apni karwat par har haalat mein yaad karte rehte hain aur aasmanon aur zameenon ki paidayish mein ghaur karte rehte hain aur kehte hain ke Ay hamare Parwardigar! Tu ne is kainat ko bekaar paida nahi kiya”aakhir ayat tak.
Show diacritics
Hadith Number: 4570
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا عبد الرحمن بن مهدي، عن مالك بن انس، عن مخرمة بن سليمان، عن كريب، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" بت عند خالتي ميمونة، فقلت: لانظرن إلى صلاة رسول الله صلى الله عليه وسلم، فطرحت لرسول الله صلى الله عليه وسلم وسادة، فنام رسول الله صلى الله عليه وسلم في طولها فجعل يمسح النوم عن وجهه، ثم قرا الآيات العشر الاواخر من آل عمران حتى ختم، ثم اتى شنا معلقا فاخذه، فتوضا ثم قام يصلي، فقمت فصنعت مثل ما صنع، ثم جئت فقمت إلى جنبه، فوضع يده على راسي، ثم اخذ باذني فجعل يفتلها، ثم صلى ركعتين، ثم صلى ركعتين، ثم صلى ركعتين، ثم صلى ركعتين، ثم صلى ركعتين، ثم صلى ركعتين، ثم اوتر".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha hum se Abdur Rahman bin Mahdi ne byaan kiya , un se Imam Malik bin Anas ne , un se Makhramah bin Sulayman ne , un se Kurayb ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke main ek raat apni khala Maimoona razi Allahu anha ke yahan so gaya , irada yeh tha ke aaj Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki namaz dekhoon ga . Meri khala ne Aap ke liye gadda bichha diya aur Aap salla Allahu alaihi wasallam is ke ttool mein lait gaye phir (jab aakhri raat mein bedar huay to) chehra mubarak par hath pher kar neend ke aasar door kiye . Phir Surah Aal e Imran ki aakhri das aayat parhien , is ke baad Aap ek mushkeeze ke paas aaye aur is se pani le kar wuzu kiya aur namaz parhne ke liye kharay ho gaye . Main bhi khara ho gaya aur jo kuch Aap ne kiya tha wahi sab kuch main ne bhi kiya aur Aap ke paas aa kar Aap ke bazu mein main bhi khara ho gaya . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne mere sar par apna dayaan hath rakkha aur mere kaan ko (shafqat se) pakar kar malne lage . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne do rakat tahajjud ki namaz parhi , phir do rakat namaz parhi , phir do rakat namaz parhi , phir do rakat namaz parhi , phir do rakat namaz parhi , phir do rakat namaz parhi , phir witr ki namaz parhi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {رَبَّنَا إِنَّكَ مَنْ تُدْخِلِ النَّارَ فَقَدْ أَخْزَيْتَهُ وَمَا لِلظَّالِمِينَ مِنْ أَنْصَارٍ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay hamare Rab! Tu ne jise dozakh mein dakhil kar diya, use to Tu ne waqai zaleel wa ruswa kar diya aur zalimon ka koi bhi madadgar nahi hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4571
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا معن بن عيسى، حدثنا مالك، عن مخرمة بن سليمان، عن كريب مولى عبد الله بن عباس، ان عبد الله بن عباس، اخبره:" انه بات عند ميمونة زوج النبي صلى الله عليه وسلم وهي خالته، قال: فاضطجعت في عرض الوسادة، واضطجع رسول الله صلى الله عليه وسلم واهله في طولها، فنام رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى انتصف الليل، او قبله بقليل، او بعده بقليل، ثم استيقظ رسول الله صلى الله عليه وسلم، فجعل يمسح النوم عن وجهه بيديه، ثم قرا العشر الآيات الخواتم من سورة آل عمران، ثم قام إلى شن معلقة، فتوضا منها فاحسن وضوءه، ثم قام يصلي، فصنعت مثل ما صنع، ثم ذهبت فقمت إلى جنبه، فوضع رسول الله صلى الله عليه وسلم يده اليمنى على راسي، واخذ باذني بيده اليمنى يفتلها، فصلى ركعتين، ثم ركعتين، ثم ركعتين، ثم ركعتين، ثم ركعتين، ثم ركعتين، ثم اوتر، ثم اضطجع حتى جاءه المؤذن، فقام فصلى ركعتين خفيفتين، ثم خرج فصلى الصبح".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Maan bin Esa ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Imam Malik ne byaan kiya , un se Makhramah bin Sulayman ne , un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ke ghulam Kurayb ne aur unhein Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne khabar di ke ek raat woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Maimoona razi Allahu anha ke ghar mein reh gaye jo un ki khala thien . Unhon ne kaha ke main bistar ke arz mein layta aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Aap ki biwi ttool mein laytay , phir Aap so gaye aur aadhi raat mein ya is se thori der pehle ya baad mein Aap bedar huay aur chehra par hath pher kar neend ko door kiya . Phir Surah Aal e Imran ki aakhri das aayaton ki tilawat ki . Is ke baad Aap uth kar mushkeeze ke qareeb gaye jo latka hua tha . Is ke pani se Aap ne wuzu bahut hi achhi tarah se poore aadab ke saath kiya aur namaz parhne ke liye kharay ho gaye . Main ne bhi Aap hi ki tarah (wuzu waghaira) kiya aur namaz ke liye Aap ke bazu mein ja kar khara ho gaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apna dahna hath mere sar par rakkha aur isi hath se (bataur shafqat) mera kaan pakar kar malne lage , phir Aap ne do rakat namaz parhi , phir do rakat parhi , phir do rakat parhi , phir do rakat parhi , phir do rakat parhi aur phir do rakat parhi aur aakhir mein witr ki namaz parhi . Is se farigh ho kar Aap lait gaye , phir jab muazzin aaya to Aap uthay aur do halki (Fajr ki sunnat) rakatmein parhien aur namaz farz ke liye bahar tashreef (masjid mein) le gaye aur subah ki namaz parhayi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {رَبَّنَا إِنَّنَا سَمِعْنَا مُنَادِيًا يُنَادِي لِلإِيمَانِ} الآيَةَ:
Bab: Ayat ki tafseer yani“Ay hamare Rab! hum ne ek pukarne wale ki pukar ko suna jo imaan ke liye pukar raha tha, pas hum us par imaan laye”aakhir ayat tak, pukarne wale se Rasoolullah ﷺ murad hain.
Show diacritics
Hadith Number: 4572
حدثنا قتيبة بن سعيد، عن مالك، عن مخرمة بن سليمان، عن كريب مولى ابن عباس، ان ابن عباس رضي الله عنهما، اخبره:" انه بات عند ميمونة زوج النبي صلى الله عليه وسلم وهي خالته، قال: فاضطجعت في عرض الوسادة، واضطجع رسول الله صلى الله عليه وسلم واهله في طولها، فنام رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى إذا انتصف الليل، او قبله بقليل، او بعده بقليل، استيقظ رسول الله صلى الله عليه وسلم، فجلس يمسح النوم عن وجهه بيده، ثم قرا العشر الآيات الخواتم من سورة آل عمران، ثم قام إلى شن معلقة، فتوضا منها فاحسن وضوءه، ثم قام يصلي، قال ابن عباس: فقمت فصنعت مثل ما صنع، ثم ذهبت فقمت إلى جنبه، فوضع رسول الله صلى الله عليه وسلم يده اليمنى على راسي، واخذ باذني اليمنى يفتلها، فصلى ركعتين، ثم ركعتين، ثم ركعتين، ثم ركعتين، ثم ركعتين، ثم ركعتين، ثم اوتر، ثم اضطجع حتى جاءه المؤذن، فقام فصلى ركعتين خفيفتين، ثم خرج فصلى الصبح".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , un se Imam Malik ne , un se Makhramah bin Sulayman ne , un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ke ghulam Kurayb ne aur unhein Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne khabar di ke Aap ek martaba Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Maimoona razi Allahu anha ke ghar reh gaye . Maimoona razi Allahu anha un ki khala thien . Unhon ne byaan kiya ke main bistar ke arz mein lait gaya aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur Aap ki biwi ttool mein laytay , phir Aap so gaye aur aadhi raat mein ya is se thori der pehle ya thori der baad Aap jaage aur baith kar chehra par neend ke aasar door karne ke liye hath pherne lage aur Surah Aal e Imran ki aakhri das aayat parhien . Is ke baad Aap mushkeeza ke paas gaye jo latka hua tha , is se tamam aadab ke saath Aap ne wuzu kiya , phir namaz ke liye kharay huay . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke main bhi utha aur main ne bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ki tarah wuzu waghaira kiya aur ja kar Aap ke bazu mein khara ho gaya , to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apna dahna hath mere sar par rakkha aur (shafqat se) mere dahne kaan ko pakar kar malne lage . Phir Aap ne do rakat namaz parhi , phir do rakat parhi , phir do rakat parhi , phir do rakat parhi , phir do rakat parhi , phir do rakat parhi aur aakhir mein unhein witr banaya , phir Aap lait gaye aur jab muazzin Aap ke paas aaya to Aap uthay aur do halki rakatmein parh kar bahar masjid mein tashreef le gaye aur subah ki namaz parhayi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة النِّسَاءِ:
Bab: Surah An-Nisa ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4573
قال ابن عباس: يستنكف: يستكبر قواما قوامكم من معايشكم، لهن سبيلا: يعني الرجم للثيب، والجلد للبكر"، وقال غيره: مثنى وثلاث: يعني اثنتين، وثلاثا، واربعا، ولا تجاوز العرب رباع.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke (Quran Majeed ki aayat) «yastankifa» , «yastakbira» ke maani mein hai . «qiyaman» yani jis par tumhare guzran ki buniad qaim hai . «lahunna sabeela» yani shaadi-shuda ke liye rajm aur kunware ke liye kore ki saza hai (jab woh zina karein) aur doosre logon ne kaha (aayat mein) «masna wa sulasa wa rubaa» se murad do do teen teen aur char char hain . Ahl e Arab «rubaa» se aage is wazan se tajawuz nahi karte .


بَابُ: {وَإِنْ خِفْتُمْ أَنْ لاَ تُقْسِطُوا فِي الْيَتَامَى}:
Bab: Ayat «wa in khiftum alla tuqsitoo fil yataama» ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: 4573
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، عن ابن جريج، قال: اخبرني هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها:"ان رجلا كانت له يتيمة فنكحها، وكان لها عذق، وكان يمسكها عليه ولم يكن لها من نفسه شيء، فنزلت فيه: وإن خفتم الا تقسطوا في اليتامى سورة النساء آية 3، احسبه قال: كانت شريكته في ذلك العذق وفي ماله".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di , un se Ibn Jurayj ne kaha , kaha mujh ko Hisham bin Urwah ne khabar di , unhein un ke walid ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke ek aadmi ki parwarish mein ek yateem larki thi , phir us ne is se nikah kar liya , is yateem larki ki milkiyat mein khajoor ka ek bagh tha . Isi bagh ki wajah se yeh shakhs is ki parwarish karta raha haalan ke dil mein is se koi khaas lagao na tha . Is silsile mein yeh aayat utri «wa in khiftum alla tuqsitoo fil yatama» ke ”agar tumhein andesha ho ke tum yateemon ke haq mein insaf na kar sako ge .“ Hisham bin Yusuf ne kaha main samajhta hoon , Ibn Jurayj ne yun kaha yeh larki is darakht aur doosre maal asbab mein is mard ki hissa-dar thi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4574
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح بن كيسان، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، انه سال عائشة، عن قول الله تعالى وإن خفتم الا تقسطوا في اليتامى سورة النساء آية 3، فقالت:" يا ابن اختي، هذه اليتيمة تكون في حجر وليها، تشركه في ماله ويعجبه مالها وجمالها، فيريد وليها ان يتزوجها بغير ان يقسط في صداقها، فيعطيها مثل ما يعطيها غيره، فنهوا عن ان ينكحوهن إلا ان يقسطوا لهن، ويبلغوا لهن اعلى سنتهن في الصداق، فامروا ان ينكحوا ما طاب لهم من النساء سواهن، قال عروة: قالت عائشة:" وإن الناس استفتوا رسول الله صلى الله عليه وسلم بعد هذه الآية، فانزل الله ويستفتونك في النساء سورة النساء آية 127، قالت عائشة: وقول الله تعالى في آية اخرى: وترغبون ان تنكحوهن سورة النساء آية 127 رغبة احدكم عن يتيمته حين تكون قليلة المال والجمال، قالت:" فنهوا ان ينكحوا عن من رغبوا في ماله وجماله في يتامى النساء إلا بالقسط، من اجل رغبتهم عنهن إذا كن قليلات المال والجمال".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne byaan kiya , un se Salih bin Kaysan ne , un se Ibn Shihab ne , unhon ne kaha mujh ko Urwah bin Zubayr ne khabar di unhon ne Aisha razi Allahu anha se aayat «wa in khiftum alla tuqsitoo fil yatama» ka matlab poocha . Unhon ne kaha mere bhatije is ka matlab yeh hai ke ek yateem larki apne wali ki parwarish mein ho aur is ki jaidad ki hissa-dar ho (tarke ki roo se is ka hissa ho) ab is wali ko is ki maldari khubsoorti pasand aaye . Is se nikah karna chahe par insaf ke saath poora mahr jitna mahr is ko doosre log dein , na dena chahe , to Allah Ta'ala ne is aayat mein logon ko aaisi yateem larkiyon ke saath jab tak un ka poora mahr insaf ke saath na dein , nikah karne se mana farmaya aur un ko yeh hukm diya ke tum doosri auraton se jo tum ko bhali lagein nikah kar lo . (yateem larki ka nuqsan na karo) Urwah ne kaha Aisha razi Allahu anha kehti thien , is aayat ke utarne ke baad logon ne phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se is baare mein masla poocha , is waqt Allah ne yeh aayat «wa yastaftoonaka fin-nisa'i» utari . Aisha razi Allahu anha ne kaha doosri aayat mein yeh jo farmaya «wa targhaboona an yankihuhunna» yani woh yateem larkiyan jin ka maal o jamal kam ho aur tum un ke saath nikah karne se nafrat karo . Is ka matlab yeh hai ke jab tum in yateem larkiyon se jin ka maal o jamal kam ho nikah karna nahi chahte to maal aur jamal wali yateem larkiyon se bhi jin se tum ko nikah karne ki raghbat hai nikah na karo , magar jab insaf ke saath un ka mahr poora ada karo .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة