الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {فَمَا لَكُمْ فِي الْمُنَافِقِينَ فِئَتَيْنِ وَاللَّهُ أَرْكَسَهُمْ}:
Bab: Ayat ki tafseer yani aur“tumhein kya ho gaya hai ke tum munafiqeen ke bare mein do giroh ho gaye ho halaanke Allah ne un ke kartooton ke baais unhein ulta pher diya”.
Hadith Number: 4589
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، وعبد الرحمن، قالا: حدثنا شعبة، عن عدي، عن عبد الله بن يزيد، عن زيد بن ثابت رضي الله عنه، فما لكم في المنافقين فئتين سورة النساء آية 88، رجع ناس من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم من احد وكان الناس فيهم فرقتين، فريق يقول اقتلهم، وفريق يقول: لا، فنزلت: فما لكم في المنافقين فئتين سورة النساء آية 88، وقال:" إنها طيبة، تنفي الخبث كما تنفي النار خبث الفضة".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Ghundar aur Abdur Rahman ne byaan kiya , kaha ke hum se Shubah ne byaan kiya , un se Adi ne , un se Abdullah bin Yazid ne aur un se Zayd bin Sabit razi Allahu anhu ne aayat «fa ma lakum fil munafiqeena fi'ataini» ”aur tumhein kya ho gaya hai ke tum munafiqeen ke baare mein do fareeq ho gaye ho .“ Ke baare mein farmaya ke kuch log munafiqeen jo (oopar se) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath thay , Jang e Uhud mein (Aap chhor kar) wapas chale aaye to un ke baare mein Musalmanon ki do jama'atein ho gayin . Ek jama'at to yeh kehti thi ke (ya Rasool Allah!) in (munafiqeen) se qital kijiye aur ek jama'at yeh kehti thi ke un se qital na kijiye . Is par yeh aayat utri «fa ma lakum fil munafiqeena fi'ataini» ke ”tumhein kya ho gaya hai ke tum munafiqeen ke baare mein do giroh ho gaye ho .“ Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh Madinah «ttaybatun» hai . Yeh khabasat ko is tarah door kar deta hai jaise aag chaandi ki mail kachail ko door kar deti hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَإِذَا جَاءَهُمْ أَمْرٌ مِنَ الأَمْنِ أَوِ الْخَوْفِ أَذَاعُوا بِهِ} أَفْشَوْهُ:
Bab: Ayat ki tafseer yani“Aur unhein jab koi baat aman ya khauf ki pahunchti hai to ye use phela dete hain” «azaa’oo» ka ma’ni mashhoor kar dete hain.
Hadith Number: Q4590
اي افشوه يستنبطونه يستخرجونه حسيبا كافيا، إلا إناثا يعني الموات حجرا او مدرا وما اشبهه مريدا متمردا، فليبتكن بتكه قطعه قيلا وقولا واحد طبع ختم.
«yastanbitoonahu» ka maani nikal lete hain . «haseeban» ka maani kafi hai . «illa inasan» se be-jaan cheezin murad hain patthar mitti waghaira . «mareedan» ka maani shareer . «falyubattikunna» , «battakahu» se nikla hai yani is ko kaat daalo . «qeelan» aur «qaulan» donon ke ek hi maani hain . «taba'a» ka maani mahr kar di .
بَابُ: {وَمَنْ يَقْتُلْ مُؤْمِنًا مُتَعَمِّدًا فَجَزَاؤُهُ جَهَنَّمُ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jo koi kisi musalman ko jaan-bujh kar qatl kar de to us ki saza jahannam hai”.
Hadith Number: 4590
حدثنا آدم بن ابي إياس، حدثنا شعبة، حدثنا مغيرة بن النعمان، قال: سمعت سعيد بن جبير، قال:" آية اختلف فيها اهل الكوفة، فرحلت فيها إلى ابن عباس فسالته عنها، فقال: نزلت هذه الآية ومن يقتل مؤمنا متعمدا فجزاؤه جهنم سورة النساء آية 93 هي آخر ما نزل وما نسخها شيء".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum ko Mugheerah bin Numan ne khabar di , unhon ne kaha ke main ne Saeed bin Jubayr se suna , unhon ne byaan kiya ke ulema e Kufa ka is aayat ke baare mein ikhtilaf ho gaya tha . Chunanche main Ibn Abbas razi Allahu anhuma ki khidmat mein is ke liye safar kar ke gaya aur un se is ke mutalliq poocha . Unhon ne farmaya ke yeh aayat «wa man yaqtul mominan mutammidan fajazauhu jahannamu» ”aur jo koi Musalman ko jaan boojh kar qatl kare is ki saza dozakh hai .“ Nazil hui aur is baab ki yeh sab se aakhri aayat hai isay kisi aayat ne mansookh nahi kiya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَلاَ تَقُولُوا لِمَنْ أَلْقَى إِلَيْكُمُ السَّلاَمَ لَسْتَ مُؤْمِنًا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jo tumhein salam kare use ye na keh diya karo ke tu to musalman hi nahi”.
Hadith Number: Q4591
السلم والسلم والسلام واحد.
«assalmu» aur «assilmu» aur «assalamu» sab ka ek hi maani hai .
Hadith Number: 4591
حدثني علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن عمرو، عن عطاء، عن ابن عباس رضي الله عنهما، ولا تقولوا لمن القى إليكم السلام لست مؤمنا سورة النساء آية 94، قال: قال ابن عباس:" كان رجل في غنيمة له فلحقه المسلمون، فقال: السلام عليكم، فقتلوه، واخذوا غنيمته، فانزل الله في ذلك إلى قوله: تبتغون عرض الحياة الدنيا سورة النساء آية 94 تلك الغنيمة، قال: قرا ابن عباس السلام".
Mujh se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Amr bin Dinar ne , un se Ata ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne aayat «wa la taqoolu liman alqa ilaykumussalama lasta mominan» ”aur jo tumhein salam karta ho usay yeh mat keh diya karo ke tu to momin hi nahi hai .“ Ke baare mein farmaya ke ek sahab (Mirdas naami) apni bakriyan chura rahe thay , ek muhim par jate huay kuch Musalman unhein milay to unhon ne kaha ”Assalamu Alaikum“ lekin Musalmanon ne bahana khor jaan kar unhein qatl kar diya aur un ki bakriyon par qabza kar liya . Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki thi aakhir aayat «aradall hayatiddunya» is se isharah unhi bakriyon ki taraf tha . Byaan kiya ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne «assalama» qirat ki hai , mashhoor qirat bhi yahi hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ لاَ يَسْتَوِي الْقَاعِدُونَ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ وَالْمُجَاهِدُونَ فِي سَبِيلِ اللَّهِ:
Bab: Ayat ki tafseer“Imaan walon mein se (bila uzr gharon mein) baith rehne wale aur Allah ki raah mein apne maal aur apni jaan se jihad karne wale barabar nahi ho sakte”.
Hadith Number: 4592
حدثنا إسماعيل بن عبد الله، قال: حدثني إبراهيم بن سعد، عن صالح بن كيسان، عن ابن شهاب، قال: حدثني سهل بن سعد الساعدي: انه راى مروان بن الحكم في المسجد، فاقبلت حتى جلست إلى جنبه، فاخبرنا ان زيد بن ثابت اخبره، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم املى عليه لا يستوي القاعدون من المؤمنين سورة النساء آية 95 والمجاهدون في سبيل الله سورة النساء آية 95، فجاءه ابن ام مكتوم وهو يملها علي، قال: يا رسول الله، والله لو استطيع الجهاد لجاهدت، وكان اعمى، فانزل الله على رسوله صلى الله عليه وسلم، وفخذه على فخذي فثقلت علي، حتى خفت ان ترض فخذي، ثم سري عنه فانزل الله: غير اولي الضرر سورة النساء آية 95".
Hum se Ismail bin Abdullah ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Ibrahim bin Saad ne byaan kiya , un se Salih bin Kaysan ne , un se Ibn Shihab ne aur un se Sahl bin Saad Saadi razi Allahu anhu ne byaan kiya unhon ne Marwan bin Hakam bin Aas ko masjid mein dekha (byaan kiya ke) phir main un ke paas aaya aur un ke pehlu mein baith gaya , unhon ne mujhe khabar di aur unhein Zayd bin Sabit razi Allahu anhu ne khabar di thi ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne un se yeh aayat likhwayi «la yastawil qaidoona minal momineena wal mujahidoona fee sabilillahi» ”Musalmanon mein se (ghar) baith rehne wale aur Allah ki raah mein apne maal aur apni jaan se jihad karne wale barabar nahi ho sakte .“ Abhi Aap yeh aayat likhwa hi rahe thay ke Ibn Umm Maktoom razi Allahu anhu aa gaye aur arz kiya: Allah ki qasam! Ya Rasool Allah! Agar main jihad mein shirkat kar sakta to yaqeenan jihad karta . Woh andhe thay . Is ke baad Allah ne apne Rasool par wahi utari . Aap ki raan meri raan par thi (shiddat e wahi ki wajah se) is ka mujh par itna bojh para ke mujhe apni raan ke phat jaane ka andesha ho gaya . Aakhir yeh kaifiyat khatam hui aur Allah Ta'ala ne «ghayru ulid-darari» ke alfaz aur nazil kiye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4593
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، عن البراء رضي الله عنه، قال: لما نزلت لا يستوي القاعدون من المؤمنين سورة النساء آية 95، دعا رسول الله صلى الله عليه وسلم زيدا فكتبها، فجاء ابن ام مكتوم فشكا ضرارته، فانزل الله: غير اولي الضرر سورة النساء آية 95".
Hum se Hafs bin Umar ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne aur un se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne kaha ke jab aayat «la yastawil qaidoona minal momineena» nazil hui to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Zayd bin Sabit razi Allahu anhu ko kitabat ke liye bulaya aur unhon ne woh aayat likh di . Phir Abdullah bin Umm Maktoom razi Allahu anhu hazir huay aur apne nabina hone ka uzr pesh kiya , to Allah Ta'ala ne «ghayru ulid-darari» ke alfaz aur nazil kiye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4594
حدثنا محمد بن يوسف، عن إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن البراء، قال: لما نزلت لا يستوي القاعدون من المؤمنين سورة النساء آية 95، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ادعوا فلانا"، فجاءه ومعه الدواة واللوح او الكتف، فقال:" اكتب لا يستوي القاعدون من المؤمنين سورة النساء آية 95 والمجاهدون في سبيل الله سورة النساء آية 95"، وخلف النبي صلى الله عليه وسلم ابن ام مكتوم، فقال: يا رسول الله، انا ضرير، فنزلت مكانها لا يستوي القاعدون من المؤمنين غير اولي الضرر والمجاهدون في سبيل الله سورة النساء آية 95.
Hum se Muhammad bin Yusuf ne byaan kiya , un se Israeel ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne byaan kiya aur un se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne byaan kiya ke jab aayat «la yastawil qaidoona minal momineena» nazil hui to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke falan (yani Zayd bin Sabit razi Allahu anhu) ko bulao . Woh apne saath dawat aur takhti ya shana ki haddi le kar hazir huay to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya likho «la yastawil qaidoona minal momineena wal mujahidoona fee sabilillahi» . Ibn Umm Maktoom razi Allahu anhu ne jo Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke peeche maujood thay , arz kiya: ya Rasool Allah! Main nabina hoon . Chunanche wahin is tarah aayat nazil hui «la yastawil qaidoona minal momineena ghayru ulid-darari wal mujahidoona fee sabilillahi» .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4595
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، ان ابن جريج اخبرهم. ح وحدثني إسحاق، اخبرنا عبد الرزاق، اخبرنا ابن جريج، اخبرني عبد الكريم، ان مقسما مولى عبد الله بن الحارث اخبره، ان ابن عباس رضي الله عنهما اخبره،" لا يستوي القاعدون من المؤمنين سورة النساء آية 95، عن بدر، والخارجون إلى بدر".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham ne khabar di , unhein Ibn Jurayj ne khabar di (doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha aur mujh se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya , kaha hum ko Abdur Razzaq ne khabar di , kaha hum ko Ibn Jurayj ne khabar di , kaha hum ko Abdul Kareem Jurzi ne khabar di , unhein Abdullah bin Haris ke ghulam Miqsam ne khabar di aur unhein Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne khabar di ke «la yastawil qaidoona minal momineena» se isharah hai in logon ki taraf jo Badr mein shareek thay aur jinon ne bila kisi uzr ke Badr ki larai mein shirkat nahi ki thi , woh donon barabar nahi ho sakte .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {إِنَّ الَّذِينَ تَوَفَّاهُمُ الْمَلاَئِكَةُ ظَالِمِي أَنْفُسِهِمْ قَالُوا فِيمَ كُنْتُمْ قَالُوا كُنَّا مُسْتَضْعَفِينَ فِي الأَرْضِ قَالُوا أَلَمْ تَكُنْ أَرْضُ اللَّهِ وَاسِعَةً فَتُهَاجِرُوا فِيهَا} الآيَةَ:
Bab: Ayat ki tafseer“Beshak un logon ki jaan jinhon ne apne oopar zulm kar rakha hai. (jab) farishte qabz karte hain to un se kehte hain ke tum kis kaam mein the, woh bolenge hum us mulk mein be-bas kamzor the, farishte kahenge kya Allah ki sar-zameen faraakh na thi ke tum us mein hijrat kar jate”.
Hadith Number: 4596
حدثنا عبد الله بن يزيد المقرئ، حدثنا حيوة وغيره، قالا: حدثنا محمد بن عبد الرحمن ابو الاسود، قال: قطع على اهل المدينة بعث، فاكتتبت فيه، فلقيت عكرمة مولى ابن عباس فاخبرته، فنهاني عن ذلك اشد النهي، ثم قال: اخبرني ابن عباس، ان ناسا من المسلمين كانوا مع المشركين، يكثرون سواد المشركين على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم، ياتي السهم فيرمى به، فيصيب احدهم، فيقتله او يضرب فيقتل، فانزل الله: إن الذين توفاهم الملائكة ظالمي انفسهم سورة النساء آية 97 الآية. رواه الليث، عن ابي الاسود.
Hum se Abdullah bin Yazid al-Muqri ne byaan kiya , kaha hum se Haywah bin Shurayh waghaira (Ibn Lahiya) ne byaan kiya , kaha ke hum se Muhammad bin Abdur Rahman Abu al-Aswad ne byaan kiya , kaha ke Ahl e Madinah ko (jab Makkah mein Ibn Zubayr razi Allahu anhuma ki khilafat ka daur tha) Sham walon ke khilaf ek fauj nikalne ka hukm diya gaya . Is fauj mein mera naam bhi likha gaya to Ibn Abbas razi Allahu anhuma ke ghulam Ikrimah se main mila aur unhein is surat e haal ki ittila ki . Unhon ne bari sakhti ke saath is se mana kiya aur farmaya ke mujhe Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne khabar di thi ke kuch Musalman mushrikeen ke saath rehte thay aur is tarah Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke khilaf un ki ziyadati ka sabab bante , phir teer aata aur woh samne par jate to unhein lag jata aur is tarah un ki jaan jati ya talwar se (ghalti mein) unhein qatl kar diya jata . Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil farmayi «innallazhina tawaffaahumul mala'ikatu zhaalimi anfusihim» ”beshak in logon ki jaan jinon ne apne oopar zulm kar rakkha hai (jab) farishte qabz karte hain .“ Aakhir aayat tak . Is riwayat ko Layth bin Saad ne bhi Abu al-Aswad se naqal kiya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة