الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِهِ: {إِنَّمَا الْخَمْرُ وَالْمَيْسِرُ وَالأَنْصَابُ وَالأَزْلاَمُ رِجْسٌ مِنْ عَمَلِ الشَّيْطَانِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Sharaab aur jua aur but aur paanse ye sab gandi cheezen hain balkeh ye shaytani kaam hain”.
Hadith Number: 4618
حدثنا صدقة بن الفضل، اخبرنا ابن عيينة، عن عمرو، عن جابر، قال:" صبح اناس غداة احد الخمر، فقتلوا من يومهم جميعا شهداء، وذلك قبل تحريمها".
Hum se Sadaqah bin Fadl ne byaan kiya , kaha hum ko Ibn Uyaynah ne khabar di , unhein Amr ne aur un se Jabir razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Ghazwa Uhud mein bahut se sahabah razi Allahu anhum ne subah subah sharab pi thi aur isi din woh sab shaheed kar diye gaye thay . Is waqt sharab haram nahi hui thi (is liye woh gunahgar nahi thehre) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4619
حدثنا إسحاق بن إبراهيم الحنظلي، اخبرنا عيسى، وابن إدريس، عن ابي حيان، عن الشعبي، عن ابن عمر، قال: سمعت عمر رضي الله عنه على منبر النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" اما بعد ايها الناس، إنه نزل تحريم الخمر، وهي من خمسة: من العنب، والتمر، والعسل، والحنطة، والشعير، والخمر ما خامر العقل".
Hum se Ishaq bin Ibrahim Hanzali ne bayan kiya , unhone kaha hum ko Isa aur Ibn Idrees ne khabar di , unhein Abu Hayyan ne , unhein Sha'bi ne aur un se Abdullah bin Umar rz ne bayan kiya ke main ne Umar rz se suna , woh Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke minbar par khare farma rahe thay . Ammaba'd! Ae logo! Jab sharab ki hurmat nazil hui to woh panch cheezon se tayyar ki jati thi . Angoor , khajoor , shehad , gehun aur jau se aur sharab har woh peene ki cheez hai jo aql ko zail kar de .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {لَيْسَ عَلَى الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ جُنَاحٌ فِيمَا طَعِمُوا} إِلَى قَوْلِهِ: {وَاللَّهُ يُحِبُّ الْمُحْسِنِينَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Jo log imaan rakhte hain aur nek kaam karte rehte hain un par us cheez mein koi gunah nahi jis ko unhon ne pehle kha liya hai”aakhir ayat «wallahu yuhibbul muhsineen» tak, yani sharaab ki hurmat nazil hone se pehle jin logon ne sharaab pi hai aur ab woh ta’ib ho gaye, un par koi gunah nahi hai.
Hadith Number: 4620
حدثنا ابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، حدثنا ثابت، عن انس رضي الله عنه، ان الخمر التي اهريقت الفضيخ، وزادني محمد البيكندي، عن ابي النعمان، قال: كنت ساقي القوم في منزل ابي طلحة، فنزل تحريم الخمر، فامر مناديا، فنادى، فقال ابو طلحة: اخرج، فانظر ما هذا الصوت، قال: فخرجت، فقلت: هذا مناد ينادي، الا إن الخمر قد حرمت، فقال لي: اذهب فاهرقها، قال: فجرت في سكك المدينة، قال: وكانت خمرهم يومئذ الفضيخ، فقال بعض القوم: قتل قوم وهي في بطونهم، قال: فانزل الله: ليس على الذين آمنوا وعملوا الصالحات جناح فيما طعموا سورة المائدة آية 93".
Hum se Abu al-Nu'man ne byaan kiya , kaha hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , kaha hum se Sabit ne , in se Anas bin Malik ne ke (hurmat nazil hone ke baad) jo sharab bahayi gayi thi woh «fadeekhun» ki thi . Imam Bukhari rahmahullah ne byaan kiya ke mujh se Muhammad ne Abu al-Nu'man se is ziyadati ke saath byaan kiya ke Anas razi Allahu anhu ne kaha: main sahabah ki ek jama'at ko Abu Talha razi Allahu anhu ke ghar sharab pila raha tha ke sharab ki hurmat nazil hui . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne munadi ko hukm diya aur unhon ne aalan karna shuru kiya . Abu Talha razi Allahu anhu ne kaha: bahar ja ke dekho yeh aawaz kaisi hai . Byaan kiya ke main bahar aaya aur kaha ke ek munadi aalan kar raha hai ke ”khabardar ho jao , sharab haram ho gayi hai .“ Yeh sunte hi unhon ne mujh ko kaha ke jao aur sharab baha do . Rawi ne byaan kiya , Madinah ki galiyon mein sharab behne lagi . Rawi ne byaan kiya ke in dinon «fadeekhun» sharab istemal hoti thi . Baaz logon ne sharab ko jo is tarah behte dekha to kehne lage maloom hota hai ke kuch logon ne sharab se apna pait bhar rakkha tha aur isi halat mein unhein qatl kar diya gaya hai . Byaan kiya ke phir Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «laysa alallazhina aamanu wa amilus-salihaati junahun fee ma taimu» ”jo log iman rakhte hain aur naik kaam karte rehte hain , in par is cheez mein koi gunah nahi jis ko unhon ne kha liya .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {لاَ تَسْأَلُوا عَنْ أَشْيَاءَ إِنْ تُبْدَ لَكُمْ تَسُؤْكُمْ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay logo! aisi baatein Nabi se mat poochho ke agar tum par zahir kar di jayen to tumhein woh baatein na-gowar guzrein”.
Hadith Number: 4621
حدثنا منذر بن الوليد بن عبد الرحمن الجارودي، حدثنا ابي، حدثنا شعبة، عن موسى بن انس، عن انس رضي الله عنه، قال: خطب رسول الله صلى الله عليه وسلم خطبة ما سمعت مثلها قط، قال:" لو تعلمون ما اعلم لضحكتم قليلا ولبكيتم كثيرا"، قال: فغطى اصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم وجوههم لهم خنين، فقال رجل: من ابي؟ قال: فلان، فنزلت هذه الآية، لا تسالوا عن اشياء إن تبد لكم تسؤكم سورة المائدة آية 101. رواه النضر، وروح بن عبادة، عن شعبة.
Hum se Fadl bin Sahl ne byaan kiya , kaha hum se Abu al-Nadr ne byaan kiya , kaha hum se Abu Khaysama ne byaan kiya , un se Abu Juwayriyah ne byaan kiya aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke baaz log Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se mazaaqan sawalat kiya karte thay . Koi shakhs yun poochta ke mera baap kaun hai ? Kisi ki agar oontni gum ho jati to woh yeh poochte ke meri oontni kahan ho gi ? Aise hi logon ke liye Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «ya ayyuhallazhina aamanu la tas'alu an ash-ya'a in tubda lakum tasu'kum» ke ”Ae ایمin والو! Aaisi baatein mat poocho ke agar tum par zahir kar di jayein to tumhein nagowar guzre .“ Yahan tak ke poori aayat parh kar sunayi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4622
حدثنا الفضل بن سهل، حدثنا ابو النضر، حدثنا ابو خيثمة، حدثنا ابو الجويرية، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" كان قوم يسالون رسول الله صلى الله عليه وسلم استهزاء، فيقول الرجل: من ابي؟ ويقول الرجل: تضل ناقته، اين ناقتي؟ فانزل الله فيهم هذه الآية يايها الذين آمنوا لا تسالوا عن اشياء إن تبد لكم تسؤكم سورة المائدة آية 101 حتى فرغ من الآية كلها".
Hum se Fazl bin Sahl ne bayan kiya , kaha hum se Abul Nazr ne bayan kiya , kaha hum se Abu Khaisama ne bayan kiya , un se Abu Juwairiya ne bayan kiya aur un se Ibn Abbas rz ne bayan kiya ke baaz log Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم se mazaqan sawalat kiya karte thay . Koi shakhs yun puchta ke mera baap kaun hai ? Kisi ki agar ountni gum ho jati to woh yeh puchte ke meri ountni kahan hogi ? Aise hi logon ke liye Allah Ta'ala ne yeh ayat nazil ki «Ya Ayyuhallazina Aamanu La Tas'alu An Ashya'a In Tubda Lakum Tasu'kum» ke ”Ae iman walo! Aisi baatein mat pucho ke agar tum par zahir kar di jayein to tumhein nagawar guzre .“ Yahan tak ke poori ayat parh kar sunayi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {مَا جَعَلَ اللَّهُ مِنْ بَحِيرَةٍ وَلاَ سَائِبَةٍ وَلاَ وَصِيلَةٍ وَلاَ حَامٍ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Allah ne na baheerah ko muqarrar kiya hai, na saa’ibah ko aur na waseelah ko aur na haam ko”.
Hadith Number: Q4623
وإذ قال الله، يقول: قال الله وإذ ها هنا صلة المائدة اصلها مفعولة كعيشة راضية وتطليقة بائنة والمعنى ميد بها صاحبها من خير يقال مادني يميدني. وقال ابن عباس: متوفيك: مميتك.
«Wa Iz Qalallahu» (mein «Qala») maani mein «Yaqoolu» ke hai aur «Iz» yahan zaid hai . «Al-Ma'idah» asal mein «Maf'oolah» ( «Maimoodah») ke maani mein hai go seega faail ka hai , jaise «Aishatin» , «Raziyatin» aur «Tatliqatin» , «Ba'inatin» mein hai . To «Ma'idah» ka maani «Mumaidah» yani khair aur bhalayi jo kisi ko di gayi hai . Isi se «Madani Yamiduni» hai . Ibn Abbas rz ne kaha: «Mutawaffika» ke maani mein tujh ko wafat dene wala hoon . Isa As ko aakhir zamana mein apne waqt-e-muqarrara par maut aaye gi woh murad ho sakti hai .
Hadith Number: 4623
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح بن كيسان، عن ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، قال: البحيرة التي يمنع درها للطواغيت فلا يحلبها احد من الناس، والسائبة: كانوا يسيبونها لآلهتهم لا يحمل عليها شيء، قال: وقال ابو هريرة: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" رايت عمرو بن عامر الخزاعي يجر قصبه في النار"، كان اول من سيب السوائب، والوصيلة: الناقة البكر، تبكر في اول نتاج الإبل، ثم تثني بعد بانثى، وكانوا يسيبونها لطواغيتهم إن وصلت إحداهما بالاخرى ليس بينهما ذكر، والحام: فحل الإبل، يضرب الضراب المعدود، فإذا قضى ضرابه ودعوه للطواغيت واعفوه من الحمل، فلم يحمل عليه شيء، وسموه الحامي. وقال لي ابو اليمان: اخبرنا شعيب، عن الزهري،سمعت سعيدا، قال: يخبره بهذا، قال: وقال ابو هريرة: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم نحوه، ورواه ابن الهاد، عن ابن شهاب، عن سعيد،عن ابي هريرة رضي الله عنه، سمعت النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya , kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , un se Salih bin Kaisan ne , un se Ibn Shihab ne aur un se Saeed bin Musayyib ne bayan kiya ke «Bahira» us ountni ko kehte thay jis ka doodh buton ke liye rok diya jata aur koi shakhs is ke doodh ko dohne ka majaz na samjha jata aur «Sa'iba» us ountni ko kehte thay jisay woh apne devtaon ke naam par aazad chorr dete aur is se bar-bardari wa sawari waghera ka kaam na lete . Saeed rawi ne bayan kiya ke Abu Hurairah rz ne bayan kiya ke Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke main ne Amr bin Aamir Khuza'i ko dekha ke woh apni aanton ko Jahannum mein ghaseet raha tha , us ne sab se pehle saand chorne ki rasm nikali thi . Aur «Wasila» us jawan ountni ko kehte thay jo pehli martaba mada bacha janti aur phir doosri martaba bhi mada hi janti , usay bhi woh buton ke naam par chorr dete thay lekin isi surat mein jabke woh barabar do martaba mada bacha janti aur is darmiyan mein koi nar bacha na hota . Aur «Haam» woh nar ount jo mada par shumar se kayi dafa charhta (is ke nutfay se das bache paida ho jate) jab woh itni suhbatein kar chukta to us ko bhi buton ke naam par chorr dete aur bojh laadne se maaf kar dete (na sawari karte) is ka naam «Haam» rakhte aur Abul Yaman (Hakam bin Nafi) ne kaha hum ko Shuaib ne khabar di , unhone Zuhri se suna , kaha main ne Saeed bin Musayyib se yehi hadees suni jo oopar guzri . Saeed ne kaha Abu Hurairah rz ne kaha main ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna (wohi Amr bin Aamir Khuza'i ka qissa jo oopar guzra) aur Yazid bin Abdullah bin Haad ne bhi is hadees ko Ibn Shihab se riwayat kiya . Unhone Saeed bin Musayyib se , unhone Abu Hurairah rz se , kaha main ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se suna .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4624
حدثني محمد بن ابي يعقوب ابو عبد الله الكرماني، حدثنا حسان بن إبراهيم، حدثنا يونس، عن الزهري، عن عروة، ان عائشة رضي الله عنها، قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" رايت جهنم يحطم بعضها بعضا، ورايت عمرا يجر قصبه، وهو اول من سيب السوائب".
Mujh se Muhammad bin Abi Yaqoob Abu Abdullah Kirmani ne byaan kiya , kaha hum se Hassan bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha hum se Yunus ne byaan kiya , un se Zuhri ne , un se Urwah ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main ne jahannum ko dekha ke is ke baaz hisse baaz doosre hisson ko khaye ja rahe hain aur main ne Amr bin Aamir Khuzai ko dekha ke woh apni aantein is mein ghaseeta phir raha tha . Yahi woh shakhs hai jis ne sab se pehle saand chhorne ki rasm ijad ki thi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَكُنْتُ عَلَيْهِمْ شَهِيدًا مَا دُمْتُ فِيهِمْ فَلَمَّا تَوَفَّيْتَنِي كُنْتَ أَنْتَ الرَّقِيبَ عَلَيْهِمْ وَأَنْتَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ شَهِيدٌ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur mein un par gawah raha jab tak mein un ke darmiyan maujood raha, phir jab Tu ne mujhe utha liya (jab se) Tu hi un par nigraan hai aur Tu to har cheez par gawah hai”.
Hadith Number: 4625
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، اخبرنا المغيرة بن النعمان، قال: سمعت سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: خطب رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" يا ايها الناس إنكم محشورون إلى الله حفاة عراة غرلا، ثم قال: كما بدانا اول خلق نعيده وعدا علينا إنا كنا فاعلين سورة الانبياء آية 104 إلى آخر الآية، ثم قال: الا وإن اول الخلائق يكسى يوم القيامة إبراهيم، الا وإنه يجاء برجال من امتي، فيؤخذ بهم ذات الشمال، فاقول: يا رب اصحابي، فيقال: إنك لا تدري ما احدثوا بعدك، فاقول: كما قال العبد الصالح، وكنت عليهم شهيدا ما دمت فيهم فلما توفيتني كنت انت الرقيب عليهم وانت على كل شيء شهيد سورة المائدة آية 117، فيقال:" إن هؤلاء لم يزالوا مرتدين على اعقابهم منذ فارقتهم".
Hum se Abu al-Waleed ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum ko Mugheerah bin Numan ne khabar di , unhon ne kaha ke main ne Saeed bin Jubayr se suna aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne khutba diya aur farmaya ke ae logo! Tum Allah ke paas jama kiye jao ge , nange paon nange jism aur baghair khatna ke , phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh aayat parhi «kama bada'na awwala khalqin nueeduhu waadan alayna inna kunna failina» ”jis tarah hum ne awwal baar paida karne ke waqt ibtida ki thi , isi tarah usay dobara zinda kar dein ge , hamare zimma waada hai , hum zaroor usay kar ke hi rahein ge .“ Aakhir aayat tak . Phir farmaya Qayamat ke din tamam makhlooq mein sab se pehle Ibrahim alaihissalam ko kapra pehnaya jaye ga . Haan aur meri ummat ke kuch logon ko laya jaye ga aur unhein jahannum ki bayein taraf le jaya jaye ga . Main arz karoon ga , mere Rabb! Yeh to mere ummati hain ? Mujh se kaha jaye ga , Aap ko nahi maloom hai ke unhon ne Aap ke baad nayi nayi baatein shariat mein nikali thien . Is waqt main bhi wahi kahoon ga jo Abd e Salih Esa alaihissalam ne kaha ho ga «wa kuntu alayhim shaheedan ma dumtu feehim falamma tawaffaytani kunta antar-raqeeba alayhim» ke ”main un ka haal dekhta raha jab tak main un ke darmiyan raha , phir jab tu ne mujhe utha liya (jab se) tu hi un par nigran hai .“ Mujhe bataya jaye ga ke Aap ki judayi ke baad yeh log deen se phir gaye thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {إِنْ تُعَذِّبْهُمْ فَإِنَّهُمْ عِبَادُكَ وَإِنْ تَغْفِرْ لَهُمْ فَإِنَّكَ أَنْتَ الْعَزِيزُ الْحَكِيمُ}:
Bab: Ayat ki tafseer“To agar unhein azab de to ye tere bande hain aur agar Tu unhein bakhsh de to bhi Tu zabardast hikmat wala hai”.
Hadith Number: 4626
حدثنا محمد بن كثير، حدثنا سفيان، حدثنا المغيرة بن النعمان، قال: حدثني سعيد بن جبير، عن ابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" إنكم محشورون، وإن ناسا يؤخذ بهم ذات الشمال فاقول: كما قال العبد الصالح: وكنت عليهم شهيدا ما دمت فيهم إلى قوله العزيز الحكيم سورة المائدة آية 117 - 118".
Hum se Muhammad bin Kaseer ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Mugheerah bin Numan ne byaan kiya , un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhein Qayamat ke din jama kiya jaye ga aur kuch logon ko jahannum ki taraf le jaya jaye ga . Is waqt main wahi kahoon ga jo naik bande ne kaha ho ga «wa kuntu alayhim shaheedan ma dumtu feehim» ”main un ka haal dekhta raha jab tak main un ke darmiyan raha“ aakhir aayat «al-azeezul hakeem» tak .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة