الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِهِ: {وَلاَ تَقْرَبُوا الْفَوَاحِشَ مَا ظَهَرَ مِنْهَا وَمَا بَطَنَ}:
Bab: Ayat «wa la taqraboo al-fawaahisha maa zahara minha wa maa batana» ki tafseer.
Hadith Number: 4634
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، عن عمرو، عن ابي وائل، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:" لا احد اغير من الله، ولذلك حرم الفواحش ما ظهر منها وما بطن، ولا شيء احب إليه المدح من الله، ولذلك مدح نفسه"، قلت: سمعته من عبد الله، قال: نعم، قلت: ورفعه، قال: نعم.
Hum se Hafs bin Umar ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Amr ne , un se Abu Wail ne aur un se Abdullah razi Allahu anhu ne kaha ke Allah se zyada aur koi ghairat-mand nahi , yahi wajah hai ke us ne be-hayaiyon ko haram qarar diya hai . Khwah woh zahir hon khwah poshida aur Allah ko apni tareef se zyada aur koi cheez pasand nahi , yahi wajah hai ke us ne apni khud madah ki hai . (Amr bin Murrah ne byaan kiya ke) Main ne poocha Aap ne yeh hadees khud Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se suni thi unhon ne byaan kiya ke haan , main ne poocha aur unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke hawala se hadees byaan ki thi ? Kaha ke haan .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ
Bab: …
Hadith Number: Q4635-2
وكيل حفيظ ومحيط به. قبلا: جمع قبيل، والمعنى انه ضروب للعذاب كل ضرب منها قبيل، زخرف القول: كل شيء حسنته ووشيته وهو باطل فهو زخرف، وحرث حجر: حرام وكل ممنوع فهو حجر محجور، والحجر كل بناء بنيته، ويقال للانثى من الخيل: حجر، ويقال للعقل: حجر، وحجى، واما الحجر: فموضع ثمود وما حجرت عليه من الارض فهو حجر، ومنه سمي حطيم البيت حجرا، كانه مشتق من محطوم، مثل قتيل من مقتول، واما حجر اليمامة: فهو منزل".
Wakeel se murad Hafeez aur is par nigran ya is ko gherne wala . «qubulan» , «qabeel» ki jama hai yani azab ki qasmein . «qabeel» ek ek qasm . «zukhrufan» laghwa aur bekar cheez (ya baat) jis ko zahir mein aarasta pairasta karein . ( «zukhrufal qauli» chakni chupri baatein) . «harsun hijrun» yani roki gayi . «hijrun» kehte hain haram aur mamnoo ko . Isi se hai «hijran mahjooran» aur «hijrun» imarat ko bhi kehte hain aur mada ghoriyon ko bhi aur aqal ko bhi «hijrun» aur «hijja» kehte hain aur «as-haabul hijri» mein Samood ki basti wale murad hain aur jis zameen ko tu rok de is mein koi aane aur janwar churane na paye is ko bhi «hijrun» kehte hain . Isi se Khana Kaaba ke «hateem» ko «hijrun» kehte hain . «hateem» , «mahtoom» ke ma'non mein hai jaise «qateel» , «maqtool» ke maani mein ab raha Yamama ka «hijrun» to woh ek maqam ka naam hai .
بَابُ قَوْلِهِ: {هَلُمَّ شُهَدَاءَكُمُ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aap kahiye ke apne gawahon ko lao”.
Hadith Number: Q4635
لغة اهل الحجاز هلم للواحد، والاثنين، والجميع.
«halumma» Ahl e Hijaz ki boli mein wahid tasniya aur jama sab ke liye bola jata hai .
بَابُ: {لاَ يَنْفَعُ نَفْسًا إِيمَانُهَا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Kisi shakhs ko us ka imaan faida na de ga”.
Hadith Number: 4635
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا عبد الواحد، حدثنا عمارة، حدثنا ابو زرعة، حدثنا ابو هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا تقوم الساعة حتى تطلع الشمس من مغربها، فإذا رآها الناس آمن من عليها، فذاك حين لا ينفع نفسا إيمانها، لم تكن آمنت من قبل".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Abdul Wahid ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Amarah ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Abu Zurah ne byaan kiya , kaha hum se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is waqt tak Qayamat qaim na ho gi , jab tak sooraj Maghrib se tuloo na ho le . Jab log usay dekhein ge to iman layein ge lekin yeh woh waqt ho ga jab kisi aise shakhs ko is ka iman koi nafa na de ga jo pehle se iman na rakhta ho .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4636
حدثني إسحاق، اخبرنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن همام، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا تقوم الساعة حتى تطلع الشمس من مغربها، فإذا طلعت ورآها الناس، آمنوا اجمعون، وذلك حين لا ينفع نفسا إيمانها"، ثم قرا الآية.
Mujh se Ishaq ne byaan kiya , kaha hum ko Abdur Razzaq ne khabar di , kaha hum ko Mamar ne khabar di , unhein Hammam ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Qayamat is waqt tak qaim na ho gi , jab tak sooraj Maghrib se na tuloo ho le . Jab Maghrib se sooraj tuloo ho ga aur log dekh lein ge to sab iman layein ge lekin yeh waqt ho ga jab kisi ko is ka iman nafa na de ga , phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is aayat ki tilawat ki .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة الأَعْرَافِ:
Bab: Surah Al-A’raaf.
Hadith Number: Q4637
قال ابن عباس: ورياشا المال إنه لا يحب، المعتدين: في الدعاء وفي غيره، عفوا: كثروا وكثرت اموالهم، الفتاح: القاضي، افتح بيننا: اقض بيننا، نتقنا: الجبل رفعنا، انبجست: انفجرت، متبر: خسران، آسى: احزن، تاس: تحزن، وقال غيره: ما منعك ان لا تسجد: يقول ما منعك ان تسجد، يخصفان: اخذا الخصاف من ورق الجنة، يؤلفان الورق يخصفان الورق بعضه إلى بعض، سوآتهما: كناية عن فرجيهما، ومتاع إلى حين: هو ها هنا إلى يوم القيامة والحين عند العرب من ساعة إلى مالا يحصى عدده الرياش والريش واحد وهو ما ظهر من اللباس، قبيله: جيله الذي هو منهم، اداركوا: اجتمعوا ومشاق الإنسان والدابة كلها يسمى سموما، واحدها سم، وهي عيناه ومنخراه وفمه واذناه ودبره وإحليله، غواش: ما غشوا به، نشرا: متفرقة، نكدا: قليلا، يغنوا: يعيشوا، حقيق: حق، استرهبوهم: من الرهبة، تلقف: تلقم، طائرهم: حظهم طوفان من السيل، ويقال: للموت الكثير الطوفان القمل الحمنان يشبه صغار الحلم عروش وعريش بناء، سقط: كل من ندم فقد سقط في يده الاسباط، قبائل بني إسرائيل، يعدون في السبت: يتعدون له يجاوزون تجاوز بعد تجاوز، تعد تجاوز، شرعا: شوارع، بئيس: شديد، اخلد: إلى الارض قعد وتقاعس، سنستدرجهم: اي ناتيهم من مامنهم كقوله تعالى، فاتاهم الله من حيث لم يحتسبوا من جنة: من جنون ايان مرساها متى خروجها، فمرت به: استمر بها الحمل فاتمته، ينزغنك: يستخفنك طيف ملم به لمم ويقال، طائف: وهو واحد، يمدونهم: يزينون، وخيفة: خوفا وخفية من الإخفاء والآصال واحدها اصيل وهو ما بين العصر إلى المغرب كقوله: بكرة واصيلا.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «arini» , «aatini» ke maani mein hai ke de tu mujh ko , yani apna deedar ata kar .
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ عَزَّ وَجَلَّ: {قُلْ إِنَّمَا حَرَّمَ رَبِّيَ الْفَوَاحِشَ مَا ظَهَرَ مِنْهَا وَمَا بَطَنَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aap keh den ke mere Parwardigar ne be-hayai ke kaamon ko haram kiya hai, un mein se jo zahir hon (un ko bhi) aur jo chhupe hue hon (un ko bhi).
Hadith Number: 4637
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن عمرو بن مرة، عن ابي وائل، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: قلت: انت سمعت هذا من عبد الله؟ قال: نعم، ورفعه، قال:" لا احد اغير من الله، فلذلك حرم الفواحش ما ظهر منها وما بطن، ولا احد احب إليه المدحة من الله فلذلك مدح نفسه".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Amr bin Murrah ne , un se Abu Wail ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne (Amr bin Murrah ne byaan kiya ke) main ne (Abu Wail se) poocha , kya tum ne yeh hadees Ibn Masood razi Allahu anhu se khud suni hai ? Unhon ne kaha ke ji haan aur unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se byaan kiya , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah se zyada aur koi ghairat-mand nahi hai . Isi liye us ne be-hayaiyon ko haram kiya khwah zahir mein hon ya poshida aur Allah se zyada apni madah ko pasand karne wala aur koi nahi , isi liye us ne apne nafs ki khud tareef ki hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَلَمَّا جَاءَ مُوسَى لِمِيقَاتِنَا وَكَلَّمَهُ رَبُّهُ قَالَ رَبِّ أَرِنِي أَنْظُرْ إِلَيْكَ قَالَ لَنْ تَرَانِي وَلَكِنِ انْظُرْ إِلَى الْجَبَلِ فَإِنِ اسْتَقَرَّ مَكَانَهُ فَسَوْفَ تَرَانِي فَلَمَّا تَجَلَّى رَبُّهُ لِلْجَبَلِ جَعَلَهُ دَكًّا وَخَرَّ مُوسَى صَعِقًا فَلَمَّا أَفَاقَ قَالَ سُبْحَانَكَ تُبْتُ إِلَيْكَ وَأَنَا أَوَّلُ الْمُؤْمِنِينَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jab Musa hamare muqarrar karda waqt par (Koh-e-Toor) par aa gaye aur un se un ke Rab ne kalaam kiya, Musa bole, Ay mere Rab! mujhe to apna deedar kara de (ke) mein Tujh ko ek nazar dekh loon (Allah Taala ne farmaya) tum mujhe har giz nahi dekh sakte, albatta tum (is) pahar ki taraf dekho, so agar ye apni jagah par qaim raha to tum (mujh ko bhi dekh sako ge, phir jab un ke Rab ne pahar par apni tajalli daali to (tajalli ne) pahar ko tukre tukre kar diya aur Musa behosh ho kar gir pare, phir jab unhein hosh aaya to bole Ay Rab! Tu paak hai, mein Tujh se maafi talab karta hun aur mein sab se pehla imaan lane wala hun”.
Hadith Number: Q4638
قال ابن عباس: ارني: اعطني.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «arini» , «aatini» ke maani mein hai ke de tu mujh ko , yani apna deedar ata kar .
Hadith Number: 4638
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن عمرو بن يحيى المازني، عن ابيه، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، قال: جاء رجل من اليهود إلى النبي صلى الله عليه وسلم قد لطم وجهه، وقال يا محمد: إن رجلا من اصحابك من الانصار لطم في وجهي، قال:" ادعوه"، فدعوه، قال:" لم لطمت وجهه؟" قال: يا رسول الله، إني مررت باليهود، فسمعته، يقول: والذي اصطفى موسى على البشر، فقلت: وعلى محمد، واخذتني غضبة، فلطمته، قال:" لا تخيروني من بين الانبياء، فإن الناس يصعقون يوم القيامة، فاكون اول من يفيق، فإذا انا بموسى آخذ بقائمة من قوائم العرش، فلا ادري افاق قبلي ام جزي بصعقة الطور"، المن والسلوى.
Hum se Muhammad bin Yusuf ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , un se Amr bin Yahya Mazni ne , un se un ke walid Yahya Mazni ne aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke ek Yahudi Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua , is ke munh par kisi ne tamancha maara tha . Is ne kaha: Ae Muhammad! Aap ke Ansari sahabah mein se ek shakhs ne mujhe tamancha maara hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke unhein bulao . Logon ne unhein bulaya , phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne un se poocha tum ne usay tamancha kyun maara hai ? Is ne arz kiya: ya Rasool Allah! Main Yahudiyon ki taraf se guzra to main ne suna ke yeh keh raha tha . Is zaat ki qasam! Jis ne Musa alaihissalam ko tamam insanon par fazeelat di . Main ne kaha aur Muhammad salla Allahu alaihi wasallam par bhi . Mujhe is ki baat par ghussa aa gaya aur main ne usay tamancha maar diya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is par farmaya ke mujhe anbiya par fazeelat na diya karo . Qayamat ke din tamam log be-hosh kar diye jayein ge . Sab se pehle main hosh mein aaoon ga lekin main Musa alaihissalam ko dekhoon ga ke woh Arsh ka ek paya pakre kharay hon ge ab mujhe nahi maloom ke woh mujh se pehle hosh mein aa gaye ya Toor ki be-hoshi ka unhein badla diya gaya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْمَنَّ وَالسَّلْوَى:
Bab: Ayat ki tafseer“Hum ne tumhare khane ke liye mann aur salwa utara”.
Hadith Number: 4639
حدثنا مسلم، حدثنا شعبة، عن عبد الملك، عن عمرو بن حريث، عن سعيد بن زيد، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" الكماة من المن، وماؤها شفاء العين".
Hum se Muslim ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Abdul Malik ne , un se Amr bin Hurays ne aur un se Saeed bin Zayd razi Allahu anhuma ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , khunbi «mannun» mein se hai aur is ka pani aankhon ke liye shifa hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة