الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ {إِنَّمَا جَزَاءُ الَّذِينَ يُحَارِبُونَ اللَّهَ وَرَسُولَهُ وَيَسْعَوْنَ فِي الأَرْضِ فَسَادًا أَنْ يُقَتَّلُوا أَوْ يُصَلَّبُوا} إِلَى قَوْلِهِ: {أَوْ يُنْفَوْا مِنَ الأَرْضِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Jo log Allah aur us ke Rasool se larai karte hain aur mulk mein fasaad phelane mein lage rehte hain un ki saza bas yahi hai ke woh qatl kar diye jayen ya sooli diye jayen”aakhir ayat «aw yunfaw minal ard» tak yani ya woh jila-watan kar diye jayen.
Show diacritics
Hadith Number: Q4610
المحاربة لله الكفر به.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Abdullah Ansari ne byaan kiya , kaha hum se Abdullah bin Aun ne byaan kiya , kaha ke mujh se Salman Abu Rajaa , Abu Qulabah ke ghulam ne byaan kiya aur un se Abu Qulabah ne ke woh (Ameer al-Momineen) Umar bin Abdul Aziz rahmahullah khaleefa ke peeche baithe huay thay (majlis mein qasam-mat ka zikr aa gaya) logon ne kaha ke qasam-mat mein qisas lazim ho ga . Aap se pehle khulafa e rashideen ne bhi is mein qisas liya hai . Phir Umar bin Abdul Aziz rahmahullah Abu Qulabah ki taraf mutawajja huay woh peeche baithe huay thay aur poocha: Abdullah bin Zayd tumhari kya rai hai , ya yun kaha ke Abu Qulabah! Aap ki kya rai hai ? Main ne kaha ke mujhe to koi aaisi surat maloom nahi hai ke Islam mein kisi shakhs ka qatl jaiz ho , siwa is ke ke kisi ne shaadi-shuda hone ke bawajood zina kiya ho , ya nahaq kisi ko qatl kiya ho , ya (phir) Allah aur us ke Rasool se lara ho (murtad ho gaya ho) . Is par Anbasah ne kaha ke hum se Anas razi Allahu anhu ne is tarah hadees byaan ki thi . Abu Qulabah bolay ke mujh se bhi unhon ne yeh hadees byaan ki thi . Byaan kiya ke kuch log Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur Islam par bai'at karne ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kaha ke hamain is shehar Madinah ki aab o hawa muwafiq nahi aayi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein farmaya ke hamare yeh oont cherne ja rahe hain tum bhi un ke saath chale jao aur un ka doodh aur peshab piyo (kyunke un ke marz ka yahi ilaaj tha) chunanche woh log in oonton ke saath chale gaye aur un ka doodh aur peshab piya . Jis se unhein sehat haasil ho gayi . Is ke baad unhon ne (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke charwahe) ko pakar kar qatl kar diya aur oont le kar bhagay . Ab aise logon se badla lene mein kya ta-ammul ho sakta tha . Unhon ne ek shakhs ko qatl kiya aur Allah aur us ke Rasool se larray aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko khauf-zada karna chaha . Anbasah ne is par kaha: Subhan Allah! Main ne kaha , kya tum mujhe jhutlana chahte ho ? Unhon ne kaha ke (nahi) yahi hadees Anas razi Allahu anhu ne mujh se bhi byaan ki thi . Main ne is par tajub kiya ke tum ko hadees khoob yaad rehti hai . Abu Qulabah ne byaan kiya ke Anbasah ne kaha , Ae Sham walo! Jab tak tumhare yahan Abu Qulabah ya in jaise aalim maujood rahein ge , tum hamesha achhe raho ge .


Show diacritics
Hadith Number: 4610
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا محمد بن عبد الله الانصاري، حدثنا ابن عون، قال: حدثني سلمان ابو رجاء مولى ابي قلابة، عن ابي قلابة: انه كان جالسا خلف عمر بن عبد العزيز، فذكروا، وذكروا، فقالوا: وقالوا: قد اقادت بها الخلفاء فالتفت إلى ابي قلابة وهو خلف ظهره، فقال: ما تقول يا عبد الله بن زيد؟ او قال: ما تقول يا ابا قلابة؟ قلت: ما علمت نفسا حل قتلها في الإسلام إلا رجل زنى بعد إحصان، او قتل نفسا بغير نفس، او حارب الله ورسوله صلى الله عليه وسلم، فقال عنبسة: حدثنا انس بكذا، وكذا، قلت: إياي حدث انس، قال: قدم قوم على النبي صلى الله عليه وسلم فكلموه، فقالوا: قد استوخمنا هذه الارض، فقال:" هذه نعم لنا تخرج فاخرجوا فيها فاشربوا من البانها، وابوالها"، فخرجوا فيها فشربوا من ابوالها، والبانها، واستصحوا ومالوا على الراعي، فقتلوه، واطردوا النعم، فما يستبطا من هؤلاء، قتلوا النفس، وحاربوا الله ورسوله، وخوفوا رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: سبحان الله، فقلت: تتهمني، قال: حدثنا بهذا انس، قال: وقال:" يا اهل كذا، إنكم لن تزالوا بخير ما ابقي هذا فيكم، او مثل هذا".
Hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , un se Ismail bin Abi Khalid ne , un se Shabi ne , un se Masrooq ne ke un se Aisha razi Allahu anha ne kaha , jo shakhs bhi tum se yeh kehta hai ke Allah Ta'ala ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam par jo kuch nazil kiya tha , is mein se Aap ne kuch chhupa liya tha , to woh jhoota hai . Allah Ta'ala ne khud farmaya hai «ya ayyuhar-rasoolu balligh ma unzhila ilayka» ke ”Ae Paighambar! Jo kuch Aap par Aap ke Parvardigar ki taraf se nazil hua hai , yeh (sab) Aap (logon tak) pahuncha dein .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَالْجُرُوحَ قِصَاصٌ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur zakhmon mein qisas hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4611
حدثني محمد بن سلام، اخبرنا الفزاري، عن حميد، عن انس رضي الله عنه، قال: كسرت الربيع، وهي عمة انس بن مالك، ثنية جارية من الانصار، فطلب القوم القصاص، فاتوا النبي صلى الله عليه وسلم، فامر النبي صلى الله عليه وسلم بالقصاص، فقال انس بن النضر عمانس بن مالك: لا والله لا تكسر سنها يا رسول الله، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يا انس، كتاب الله القصاص"، فرضي القوم وقبلوا الارش، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إن من عباد الله، من لو اقسم على الله لابره".
Mujh se Muhammad bin Salam ne bayan kiya , unhone kaha hum ko Marwan bin Muawiya Fazari ne khabar di , unhein Humaid Taweel ne aur un se Anas bin Malik rz ne bayan kiya ke Rubayye ne jo Anas rz ki phuphi thein , Ansar ki ek larki ke aage ke daant torr diye . Larki walon ne qisas chaha aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein hazir hue . Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne bhi qisas ka hukm diya . Anas bin Malik rz ke chacha Anas bin Nazr rz ne kaha: Nahi Allah ki qasam! In ka daant na torra jaye ga . Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Anas! Lekin Kitab Allah ka hukm qisas hi ka hai . Phir larki wale maafi par raazi ho gaye aur diyat lena manzoor kar liya . Is par Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke Allah ke bohat se bande aise hain ke agar woh Allah ka naam le kar qasam kha lein to Allah in ki qasam sachi kar deta hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {يَا أَيُّهَا الرَّسُولُ بَلِّغْ مَا أُنْزِلَ إِلَيْكَ مِنْ رَبِّكَ}:
Bab: Ayat «ya ayyuhar rasoolu balligh maa unzila ilayka min rabbik» ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: 4612
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن إسماعيل، عن الشعبي، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" من حدثك ان محمدا صلى الله عليه وسلم كتم شيئا مما انزل الله عليه فقد كذب، والله يقول: يايها الرسول بلغ ما انزل إليك من ربك سورة المائدة آية 67 الآية".
Hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya , un se Ismail bin Abi Khalid ne , un se Sha'bi ne , un se Masrooq ne ke un se Aisha rz ne kaha , jo shakhs bhi tum se yeh kehta hai ke Allah Ta'ala ne Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم par jo kuch nazil kiya tha , is mein se aap ne kuch chhupa liya tha , to woh jhoota hai . Allah Ta'ala ne khud farmaya hai «Ya Ayyuhar Rasoolu Balligh Ma Unzila Ilaika» ke ”Ae Paighambar! Jo kuch aap par aap ke Parvardigar ki taraf se nazil hua hai , yeh (sab) aap (logon tak) pouncha dein .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {لاَ يُؤَاخِذُكُمُ اللَّهُ بِاللَّغْوِ فِي أَيْمَانِكُمْ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Allah tum se tumhari fazool qasmon par pakar nahi karta”.
Show diacritics
Hadith Number: 4613
حدثنا علي بن سلمة، حدثنا مالك بن سعير، حدثنا هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها:" انزلت هذه الآية لا يؤاخذكم الله باللغو في ايمانكم سورة المائدة آية 89 في قول الرجل: لا والله، وبلى والله".
Hum se Ali bin Salama ne bayan kiya , kaha hum se Malik bin Saeed ne bayan kiya , kaha hum se Hisham ne bayan kiya , un se un ke walid ne aur un se Aisha rz ne ke ayat «La Yu'akhizukumullahu Billaghwi Fi Aimanimkum» ”Allah tum se tumhari fuzool qasmon par pakar nahi karta .“ kisi ke is tarah qasam khane ke baare mein nazil hui thi ke nahi , Allah ki qasam , han Allah ki qasam! .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4614
حدثنا احمد ابن ابي رجاء، حدثنا النضر، عن هشام، قال: اخبرني ابي، عن عائشة رضي الله عنها: ان اباها كان لا يحنث في يمين، حتى انزل الله كفارة اليمين، قال ابو بكر:" لا ارى يمينا ارى غيرها خيرا منها إلا قبلت رخصة الله وفعلت الذي هو خير".
Hum se Ahmad bin Abi Rajaa ne byaan kiya , kaha hum se Nadr bin Shumayl ne byaan kiya , un se Hisham bin Urwah ne byaan kiya , kaha mujh ko mere walid ne khabar di aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke un ke walid Abu Bakr Siddique razi Allahu anhu apni qasam ke khilaf kabhi nahi kiya karte thay . Lekin jab Allah Ta'ala ne qasam ke kaffara ka hukm nazil kar diya to Abu Bakr razi Allahu anhu ne kaha ke ab agar is ke (yani jis ke liye qasam kha rakkhi thi) siwa doosri cheez mujhe is se behtar maloom hoti hai to main Allah Ta'ala ki di hui rukhsat par amal karta hoon aur wahi kaam karta hoon jo behtar hota hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {لاَ تُحَرِّمُوا طَيِّبَاتِ مَا أَحَلَّ اللَّهُ لَكُمْ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay imaan walo! apne oopar un paak cheezon ko jo Allah ne tumhare liye halal ki hain az-khud haram na kar lo”.
Show diacritics
Hadith Number: 4615
حدثنا عمرو بن عون، حدثنا خالد، عن إسماعيل، عن قيس، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:" كنا نغزو مع النبي صلى الله عليه وسلم وليس معنا نساء، فقلنا: الا نختصي، فنهانا عن ذلك، فرخص لنا بعد ذلك ان نتزوج المراة بالثوب، ثم قرا يايها الذين آمنوا لا تحرموا طيبات ما احل الله لكم سورة المائدة آية 87".
Hum se Amr bin Aun ne bayan kiya , kaha hum se Khalid bin Abdullah Tahhan ne bayan kiya , un se Ismail bin Abi Khalid ne , un se Qais bin Abi Hazim ne aur un se Abdullah bin Masood rz ne ke hum Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke sath ho kar jihad kiya karte thay aur hamare sath hamari biwiyan nahi hoti thein . Is par hum ne arz kiya ke hum apne aap ko khasi kyun na kar lein . Lekin Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne humein is se rok diya aur is ke baad humein is ki ijazat di ke hum kisi aurat se kapre (ya kisi bhi cheez) ke badle mein nikah kar sakte hain . Phir Abdullah rz ne yeh ayat parhi «Ya Ayyuhallazina Aamanu La Tuharrimu Tayyibati Ma Ahallallahu Lakum» ”Ae iman walo! Apne oopar in pakiza cheezon ko haram na karo jo Allah ne tumhare liye jaiz ki hain .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {إِنَّمَا الْخَمْرُ وَالْمَيْسِرُ وَالأَنْصَابُ وَالأَزْلاَمُ رِجْسٌ مِنْ عَمَلِ الشَّيْطَانِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Sharaab aur jua aur but aur paanse ye sab gandi cheezen hain balkeh ye shaytani kaam hain”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4616
وقال ابن عباس: الازلام: القداح، يقتسمون بها في الامور، والنصب: انصاب يذبحون عليها، وقال غيره، الزلم القدح، لا ريش له وهو واحد، الازلام والاستقسام، ان يجيل القداح فإن نهته انتهى، وإن امرته فعل ما تامره به، يجيل يدير، وقد اعلموا القداح اعلاما بضروب يستقسمون بها، وفعلت منه قسمت والقسوم المصدر.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke «al-azlamu» se murad woh teer hain jin se woh apne kaamon mein faal nikalte thay . Kafir un se apni qismat ka haal daryaft kiya karte thay . «nusubun» (Bayt Allah ke charon taraf but 360 ki tadaad mein kharay kiye huay thay jin par woh qurbani kiya karte thay .) doosre logon ne kaha hai ke lafz «zalamun» woh teer jin ke par nahi hua karte , «al-azlamu» ka wahid hai . «istiqsamu» yani pansa phenkna ke is mein nahi aa jaye to ruk jayein aur agar hukm aa jaye to hukm ke mutabiq amal karein . Teeron par unhon ne mukhtalif qism ke nishanat bana rakkhe thay aur un se qismat ka haal nikala karte thay . «istiqsamu» se (lazim) «fa'altu» ke wazan par «qasamtu» hai aur «laqsoomun» , «masdar» hai .


Show diacritics
Hadith Number: 4616
حدثنا إسحاق بن إبراهيم، اخبرنا محمد بن بشر، حدثنا عبد العزيز بن عمر بن عبد العزيز، قال: حدثني نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما، قال:" نزل تحريم الخمر، وإن في المدينة يومئذ لخمسة اشربة، ما فيها شراب العنب".
Hum se Ishaq bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha hum ko Muhammad bin Bishr ne khabar di , un se Abdul Aziz bin Umar bin Abdul Aziz ne byaan kiya , kaha ke mujh se Nafi ne byaan kiya aur un se Ibn Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke jab sharab ki hurmat nazil hui to Madinah mein is waqt paanch qism ki sharab istemal hoti thi . Lekin angoori sharab ka istemal nahi hota tha (bahar-haal woh bhi haram qarar payi) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4617
حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابن علية، حدثنا عبد العزيز بن صهيب، قال: قال انس بن مالك رضي الله عنه:" ما كان لنا خمر غير فضيخكم، هذا الذي تسمونه الفضيخ، فإني لقائم اسقي ابا طلحة، وفلانا، وفلانا، إذ جاء رجل، فقال: وهل بلغكم الخبر؟ فقالوا: وما ذاك؟ قال: حرمت الخمر، قالوا: اهرق هذه القلال يا انس، قال: فما سالوا عنها ولا راجعوها بعد خبر الرجل".
Hum se Yaqub bin Ibrahim ne bayan kiya , kaha hum se Ibn Aliyya ne bayan kiya , kaha hum se Abdul Aziz bin Suhaib ne bayan kiya , kaha ke mujh se Anas bin Malik rz ne bayan kiya hum log tumhari «Fazikh» (khajoor se banayi hui sharab) ke siwa aur koi sharab istemal nahi karte thay , yehi jis ka naam tum ne «Fazikh» rakh rakha hai . Main khara Abu Talha rz ko pila raha tha aur falan aur falan ko , ke ek sahab aaye aur kaha: tumhein kuch khabar bhi hai ? Logon ne pucha kya baat hai ? Unhone bataya ke sharab haram qarar di ja chuki hai . Foran hi in logon ne kaha: Anas rz ab in sharab ke matkon ko baha do . Unhone bayan kiya ke un ki ittela ke baad in logon ne is mein se ek qatra bhi na manga aur na phir is ka istemal kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة