الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {فَكَيْفَ إِذَا جِئْنَا مِنْ كُلِّ أُمَّةٍ بِشَهِيدٍ وَجِئْنَا بِكَ عَلَى هَؤُلاَءِ شَهِيدًا}:
Bab: Ayat ki tafseer“So us waqt kya haal ho ga jab hum har ummat se ek ek gawah haazir karenge aur un logon par tujh ko butaur gawah pesh karenge”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4582
المختال والختال واحد نطمس وجوها نسويها حتى تعود كاقفائهم طمس الكتاب محاه جهنم سعيرا وقودا.
«al-mukhtalu» aur «khattalu» ka maani ek hai yani ghuroor karne aur akarnay wala . «natmisa wujoohahum» ka matlab yeh hai ke hum un ke chehron ko mait kar gadhe ki tarah sapaat kar dein ge , yeh «tamsul kitabi» se nikla hai yani likha hua mait diya . Lafz «saeeran» bamaani eendhan ke hai .


Show diacritics
Hadith Number: 4582
حدثنا صدقة، اخبرنا يحيى، عن سفيان، عن سليمان، عن إبراهيم، عن عبيدة، عن عبد الله، قال يحيى: بعض الحديث، عن عمرو بن مرة، قال: قال لي النبي صلى الله عليه وسلم:" اقرا علي"، قلت: ااقرا عليك وعليك انزل، قال:" فإني احب ان اسمعه من غيري"، فقرات عليه سورة النساء حتى بلغت فكيف إذا جئنا من كل امة بشهيد وجئنا بك على هؤلاء شهيدا سورة النساء آية 41، قال:" امسك"، فإذا عيناه تذرفان.
Hum se Sadaqah bin Fadl ne byaan kiya , kaha hum ko Yahya bin Saeed Qattan ne khabar di , unhein Sufyan Sawri ne , unhein Sulayman ne , unhein Ibrahim ne , unhein Ubaydah ne aur unhein Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne , Yahya ne byaan kiya ke hadees ka kuch hissa Amr bin Murrah se hai (ba-wasta Ibrahim) ke Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke mujh se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mujhe Quran parh kar sunao . Main ne arz kiya , Nabi salla Allahu alaihi wasallam ko main parh ke sunaon ? Woh to Aap salla Allahu alaihi wasallam par hi nazil hota hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main doosre se sunna chahta hoon . Chunanche main ne Aap ko Surah Nisa sunani shuru ki , jab main «fakaifa izha ji'na min kulli ummatin bishaheedin wa ji'na bika ala ha-ula-i shaheeda» par pahuncha to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke thehar jao . Main ne dekha to Aap salla Allahu alaihi wasallam ki aankhon se aansu beh rahe thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَإِنْ كُنْتُمْ مَرْضَى أَوْ عَلَى سَفَرٍ أَوْ جَاءَ أَحَدٌ مِنْكُمْ مِنَ الْغَائِطِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur agar tum bimar ho ya safar mein ho ya tum mein se koi qaza-e-haajat se aaya ho aur paani na ho to paak mitti par tayammum kar le”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4583
صعيدا: وجه الارض وقال جابر: كانت الطواغيت التي يتحاكمون إليها في جهينة واحد، وفي اسلم واحد وفي كل حي واحد كهان، ينزل عليهم الشيطان، وقال عمر: الجبت السحر، والطاغوت الشيطان، وقال عكرمة: الجبت بلسان الحبشة شيطان، والطاغوت الكاهن.
«saeedan» zameen ki zahiri satah ko kehte hain . Jabir ne kaha ke taghoot bare zalim mushrik qism ke sardar log jin ke yahan jahiliyat mein log muqadmaat le jate thay . Ek aisa sardar qabila Juhayna mein tha , ek qabila Aslam mein tha aur har qabile mein hi ek aisa taghoot hota tha . Yeh wahi kahin thay jin ke paas Shaytan (ghaib ki khabrein le kar) aaya karte thay . Umar bin Khattab razi Allahu anhu ne kaha ke «al-jibtu» se murad jadoo hai aur «at-taghootu» se murad Shaytan hai aur Ikrimah ne kaha ke «al-jibtu» Habshi zaban mein Shaytan ko kehte hain aur «at-taghootu» bamaani kahin ke aata hai .


Show diacritics
Hadith Number: 4583
حدثني محمد، اخبرنا عبدة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" هلكت قلادة لاسماء، فبعث النبي صلى الله عليه وسلم في طلبها رجالا، فحضرت الصلاة وليسوا على وضوء، ولم يجدوا ماء، فصلوا وهم على غير وضوء، فانزل الله" يعني آية التيمم.
Hum se Muhammad bin Salam Baykandi ne byaan kiya , kaha hum ko Abdah bin Sulayman ne khabar di , unhein Hisham bin Urwah ne , unhein un ke walid ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke (mujh se) Asma razi Allahu anha ka ek haar gum ho gaya to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne chand sahabah razi Allahu anhum ko usay talash karne ke liye bheja . Idhar namaz ka waqt ho gaya , na log wuzu se thay aur na pani maujood tha . Is liye wuzu ke baghair namaz parhi gayi is par Allah Ta'ala ne tayammum ki aayat nazil ki .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {أُولِي الأَمْرِ مِنْكُمْ} ذَوِي الأَمْرِ:
Bab: Ayat «uli al-amri minkum» ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: 4584
حدثنا صدقة بن الفضل، اخبرنا حجاج بن محمد، عن ابن جريج، عن يعلى بن مسلم، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، اطيعوا الله واطيعوا الرسول واولي الامر منكم سورة النساء آية 59، قال:" نزلت في عبد الله بن حذافة بن قيس بن عدي، إذ بعثه النبي صلى الله عليه وسلم في سرية".
Hum se Sadaqah bin Fadl ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Hajjaj bin Muhammad ne khabar di , unhein Ibn Jurayj ne , unhein Yala bin Muslim ne , unhein Saeed bin Jubayr ne aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke aayat «ateeu-llaha wa ateeu-rrasoola wa ulil amri minkum» ”Allah ki itaat karo aur Rasool (salla Allahu alaihi wasallam) ki aur apne mein se hakim-on ki .“ Abdullah bin Huzafah bin Qays bin Adi razi Allahu anhu ke baare mein nazil hui thi . Jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne unhein ek muhim par bataur afsar ke rawana kiya tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {فَلاَ وَرَبِّكَ لاَ يُؤْمِنُونَ حَتَّى يُحَكِّمُوكَ فِيمَا شَجَرَ بَيْنَهُمْ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Tere Rab ki qasam! ye log har giz imaan-daar na honge jab tak ye log us jhagre mein jo un ke aapas mein hon, tujh ko apna hakim na bana len, phir tere faisle ko bar-raza wa raghbat tasleem na kar len”.
Show diacritics
Hadith Number: 4585
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا محمد بن جعفر، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن عروة، قال: خاصم الزبير رجلا من الانصار في شريج من الحرة، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" اسق يا زبير، ثم ارسل الماء إلى جارك"، فقال الانصاري: يا رسول الله، ان كان ابن عمتك، فتلون وجه رسول الله صلى الله عليه وسلم، ثم قال:" اسق يا زبير، ثم احبس الماء حتى يرجع إلى الجدر، ثم ارسل الماء إلى جارك"، واستوعى النبي صلى الله عليه وسلم للزبير حقه في صريح الحكم حين احفظه الانصاري، كان اشار عليهما بامر لهما فيه سعة، قال الزبير: فما احسب هذه الآيات إلا نزلت في ذلك فلا وربك لا يؤمنون حتى يحكموك فيما شجر بينهم سورة النساء آية 65.
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Jafar ne byaan kiya , kaha hum ko Mamar ne khabar di , unhein Zuhri ne aur un se Urwah bin Zubayr ne byaan kiya ke Zubayr razi Allahu anhu ka ek Ansari sahabi se Maqam e Harra ki ek naali ke baare mein jhagra ho gaya (ke is se kaun apne bagh ko pehle seenchene ka haq rakhta hai) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Zubayr! Pehle tum apne bagh seench lo phir apne parosi ko jald pani de dena . Is par is Ansari sahabi ne kaha: ya Rasool Allah! Is liye ke yeh Aap ke phoopi-zad bhai hain ? Yeh sun kar Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke chehra mubarak ka rang badal gaya aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya: Zubayr! Apne bagh ko seencho aur pani is waqt tak roke rakho ke munder tak bhar jaye , phir apne parosi ke liye usay chhoro . (pehle Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Ansari ke saath apne faisle mein riayat rakkhi thi) lekin is martaba Aap salla Allahu alaihi wasallam ne Zubayr razi Allahu anhu ko saaf taur par un ka poora haq de diya kyunke Ansari ne aaisi baat kahi thi . Jis se Aap ka ghussa hona qudrati tha . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne apne pehle faisla mein donon ke liye riayat rakkhi thi . Zubayr razi Allahu anhu ne byaan kiya ke mera khayal hai , yeh aayat isi silsile mein nazil hui thien «fala wa rabbika la yuminoona hatta yuhakkimooka fee ma shajara baynahum» ”tere Parvardigar ki qasam hai ke yeh log imandar na hon ge jab tak yeh is jhagray mein jo un ke aapas mein hon Aap ko hakam na bana lein aur Aap ke faisle ko khulay dil ke saath bariza o raghbat tasleem karne ke liye tayyar na hon .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {فَأُولَئِكَ مَعَ الَّذِينَ أَنْعَمَ اللَّهُ عَلَيْهِمْ مِنَ النَّبِيِّينَ}:
Bab: Ayat «fa ulaa’ika ma’allazeena an’amallahu alayhim minan nabiyyeen» ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: 4586
حدثنا محمد بن عبد الله بن حوشب، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابيه، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول:" ما من نبي يمرض إلا خير بين الدنيا والآخرة"، وكان في شكواه الذي قبض فيه، اخذته بحة شديدة، فسمعته يقول:" مع الذين انعم الله عليهم من النبيين والصديقين والشهداء والصالحين سورة النساء آية 69، فعلمت انه خير".
Hum se Muhammad bin Abdullah bin Haushab ne byaan kiya , kaha hum se Ibrahim bin Saad ne byaan kiya , un se un ke walid ne , un se Urwah ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna tha , Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo Nabi marz al-maut mein beemar hota hai to usay duniya aur aakhirat ka ikhtiyar diya jata hai . Chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki marz al-maut mein jab aawaz gale mein phansne lagi to main ne suna ke Aap salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay «ma'allazhina anamallahu alayhim minan-nabiyyeena wassiddiqeena washshuhada'i wassaliheena» ”in logon ke saath jin par Allah ne inam kiya hai yani anbiya , siddiqeen , shuhada aur saliheen ke saath .“ Is liye main samajh gayi ke Aap ko bhi ikhtiyar diya gaya hai (aur Aap salla Allahu alaihi wasallam ne «allahumma birrafeeqil aa'la» keh kar aakhirat ko pasand farmaya) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلُهُ: {وَمَا لَكُمْ لاَ تُقَاتِلُونَ فِي سَبِيلِ اللَّهِ} إِلَى: {الظَّالِمِ أَهْلُهَا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur tumhein kya ho gaya hai ke tum Allah ki raah mein jihad nahi karte aur un logon ki madad ke liye nahi larte jo kamzor hain, mardon mein se aur auraton aur larkon mein se”.
Show diacritics
Hadith Number: 4587
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا سفيان، عن عبيد الله، قال: سمعت ابن عباس، قال:" كنت انا وامي من المستضعفين من الرجال والنساء".
Hum se Abdullah bin Muhammad ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan ne byaan kiya , un se Ubaydullah ne byaan kiya ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna , unhon ne kaha ke main aur meri walda «mustadafeena» (kamzoron) mein se thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4588
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن ابن ابي مليكة، ان ابن عباس تلا: إلا المستضعفين من الرجال والنساء والولدان سورة النساء آية 98، قال:" كنت انا وامي ممن عذر الله". ويذكر عن ابن عباس: حصرت: ضاقت، تلووا: السنتكم بالشهادة، وقال غيره:" المراغم المهاجر راغمت هاجرت قومي موقوتا: موقتا وقته عليهم".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , kaha hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Ayub ne , un se Ibn Abi Mulaykah ne ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne aayat «illa-lmustadafeena minar-rijali wan-nisa'i wal wildani» ki tilawat ki aur farmaya ke main aur meri walda bhi in logon mein se thien , jinhein Allah Ta'ala ne mazoor rakkha tha . Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma se riwayat hai ke «hasirat» maani mein «dhaqat» ke hai . «talwoo» yani tumhari zabanon se gawahi ada ho gi . Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ke siwa doosre shakhs (Abu Ubaydah razi Allahu anhu) ne kaha «muraghaman» ka maani Hijrat ka maqam . Arab log kehte hain «raghamtu qaumi» . Yani main ne apni qaum walon ko jama kar diya . «mauqootan» ke maani ek waqt muqarrara par yani jo waqt un ke liye muqarrar ho .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {فَمَا لَكُمْ فِي الْمُنَافِقِينَ فِئَتَيْنِ وَاللَّهُ أَرْكَسَهُمْ}:
Bab: Ayat ki tafseer yani aur“tumhein kya ho gaya hai ke tum munafiqeen ke bare mein do giroh ho gaye ho halaanke Allah ne un ke kartooton ke baais unhein ulta pher diya”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4589
قال ابن عباس: بددهم فئة جماعة.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne farmaya ke «arkasahum» bamaani «baddadahum» hai . «fiatun» yani jama'at .