الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {يَسْتَفْتُونَكَ قُلِ اللَّهُ يُفْتِيكُمْ فِي الْكَلاَلَةِ إِنِ امْرُؤٌ هَلَكَ لَيْسَ لَهُ وَلَدٌ وَلَهُ أُخْتٌ فَلَهَا نِصْفُ مَا تَرَكَ وَهُوَ يَرِثُهَا إِنْ لَمْ يَكُنْ لَهَا وَلَدٌ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Log Aap se kalalah ke bare mein fatwa poochte hain, Aap keh den ke Allah tumhein khud kalalah ke bare mein hukm deta hai ke agar koi aisa shakhs mar jaye ke us ke koi aulad na ho aur us ke ek behan ho to us behan ko us ke turkah ka aadha mile ga aur woh mard waris ho ga us (behan ke kul turkah) ka agar us behan ke koi aulad na ho”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4605
والكلالة: من لم يرثه اب او ابن وهو مصدر من تكلله النسب.
Wal kalalatu man lam yarish-hu abun au ibnun wa huwa masdarun min takallahun nasabu .


Show diacritics
Hadith Number: 4605
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، سمعت البراء رضي الله عنه، قال:" آخر سورة نزلت براءة، وآخر آية نزلت يستفتونك قل الله يفتيكم في الكلالة سورة النساء آية 176".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne aur unhon ne Bara bin Azib razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke sab se aakhir mein jo surat nazil hui woh Surah Baraat hai aur (ahkam e miras ke silsile mein) sab se aakhir mein jo aayat nazil hui woh «yastaftoonaka qulillahu yuftikum fil kalalati» hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة الْمَائِدَةِ:
Bab: Surah Al-Ma’idah ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4606-3
n
.


بَابٌ:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: Q4606-2
حرم: واحدها حرام، فبما نقضهم: بنقضهم، التي كتب الله: جعل الله، تبوء تحمل دائرة: دولة، وقال غيره: الإغراء التسليط، اجورهن سورة المائدة آية 5: مهورهن.
«hurumun» , «haraamun» ki jama hai (yani ihram bandhe huay ho) . «fabi-ma naqdihim» , «meesaaqahum» se yeh murad hai ke Allah ne jo hukm un ko diya tha ke Bayt al-Muqaddas mein dakhil ho jao woh nahi baja laye . «taboo'a bi-ismi» yani tu mera gunah utha le ga . «da'iratun» ke maani zamana ki gardish . Aur doosre logon ne kaha «ighra'un» ka maani musallat karna , daal dena . «ujoora-hunna» yani un ke mahr . «al-muhayminu» ka maani amanatdar (nigahban) Quran goya agli aasmani kitabon ka muhafiz hai . Sufyan Sawri ne kaha saare Quran mein is se zyada koi aayat mujh par sakht nahi hai woh aayat yeh hai «lastum ala shay'in hatta tuqeemu-ttaurata wal injeela» al-kh (kyunke is aayat mein yeh hai ke jab tak koi Allah ki kitab ke muwafiq sab hukm-on par mazbooti se amal na kare , is waqt tak is ka deen o iman laiyq e itibar nahi hai) . «makhmasatun» ke maani bhook . «man ahyaaha» yani jis ne nahaq aadmi ka khoon karna haram samjha goya sab aadmi is ki wajah se zinda rahe . «shir-atun wa minhajun» se rasta aur tariqa murad hai .


بَابُ قَوْلِهِ: {الْيَوْمَ أَكْمَلْتُ لَكُمْ دِينَكُمْ}:
Bab: Ayat ki tafseer yani Aaj mein ne tumhare deen ko kaamil kar diya.
Show diacritics
Hadith Number: Q4606
وقال ابن عباس: مخمصة مجاعة.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke «makhmasatun» se bhook murad hai .


Show diacritics
Hadith Number: 4606
حدثني محمد بن بشار، حدثنا عبد الرحمن، حدثنا سفيان، عن قيس، عن طارق بن شهاب، قالت اليهود لعمر: إنكم تقرءون آية لو نزلت فينا لاتخذناها عيدا، فقال عمر:" إني لاعلم حيث انزلت، واين انزلت، واين رسول الله صلى الله عليه وسلم حين انزلت يوم عرفة، وإنا والله بعرفة"، قال سفيان:" واشك كان يوم الجمعة ام لا، اليوم اكملت لكم دينكم سورة المائدة آية 3.
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Abdur Rahman bin Mahdi ne , kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , un se Qays bin Aslam ne aur un se Tariq bin Shihab ne ke Yahudiyon ne Umar razi Allahu anhu se kaha ke Aap log ek aaisi aayat ki tilawat karte hain ke agar hamare yahan woh nazil hui hoti to hum (jis din woh nazil hui hoti) is din eid manaya karte . Umar razi Allahu anhu ne kaha , main khoob achhi tarah jaanta hoon ke yeh aayat «alyawma akmaltu lakum deenakum» kahan aur kab nazil hui thi aur jab Arafat ke din nazil hui to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kahan tashreef rakhte thay . Allah ki qasam! Hum is waqt maidan e Arafat mein thay . Sufyan Sawri ne kaha ke mujhe shak hai ke woh Juma ka din tha ya aur koi doosra din .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {فَلَمْ تَجِدُوا مَاءً فَتَيَمَّمُوا صَعِيدًا طَيِّبًا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Phir agar tum ko paani na mile to paak mitti se tayammum kar liya karo”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4607
تيمموا تعمدوا آمين عامدين اممت وتيممت واحد. وقال ابن عباس: لمستم وتمسوهن واللاتي دخلتم بهن والإفضاء النكاح.
«Tayammamu» yani «Ta'ammadu» isi liye aata hai yani qasd karo . «Ameen» yani «Aamidin» qasd karne wale . «Amamtu» aur «Watayammamtu» ek hi maani mein hai . Ibn Abbas rz ne kaha ke «Lamastum Wa Tamassuhunna Wallati Dakhaltum Bihinna» aur «Al-Ifza» sab ke maani aurat se humbistari karne ke hain .


Show diacritics
Hadith Number: 4607
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن عبد الرحمن بن القاسم، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قالت:" خرجنا مع رسول الله صلى الله عليه وسلم في بعض اسفاره، حتى إذا كنا بالبيداء او بذات الجيش انقطع عقد لي، فاقام رسول الله صلى الله عليه وسلم على التماسه واقام الناس معه، وليسوا على ماء وليس معهم ماء، فاتى الناس إلى ابي بكر الصديق، فقالوا: الا ترى ما صنعت عائشة؟ اقامت برسول الله صلى الله عليه وسلم وبالناس، وليسوا على ماء وليس معهم ماء، فجاء ابو بكر ورسول الله صلى الله عليه وسلم واضع راسه على فخذي قد نام، فقال: حبست رسول الله صلى الله عليه وسلم والناس وليسوا على ماء وليس معهم ماء، قالت عائشة: فعاتبني ابو بكر، وقال: ما شاء الله ان يقول، وجعل يطعنني بيده في خاصرتي، ولا يمنعني من التحرك إلا مكان رسول الله صلى الله عليه وسلم على فخذي، فقام رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى اصبح على غير ماء، فانزل الله آية التيمم فتيمموا سورة المائدة آية 6، فقال اسيد بن حضير: ما هي باول بركتكم يا آل ابي بكر، قالت: فبعثنا البعير الذي كنت عليه، فإذا العقد تحته".
Hum se Ismail bin Abi Uwais ne bayan kiya , unhone kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya , un se Abdur Rahman bin Qasim ne bayan kiya , un se un ke walid Qasim bin Muhammad ne bayan kiya aur un se Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki zauja mutahira Aisha rz ne bayan kiya ke ek safar mein hum Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke sath rawana hue . Jab hum Maqam-e-Baida ya Zat-ul-Jaish tak pounche to mera haar gum ho gaya . Is liye Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne usay talash karwane ke liye wahin qayam kiya aur Sahaba rz ne bhi aap صلی اللہ علیہ وسلم ke sath qayam kiya . Wahan kahin pani nahi tha aur Sahaba rz ke sath bhi pani nahi tha . Log Abu Bakr Siddiq rz ke paas aaye aur kehne lage , mulahiza nahi farmate , Aisha rz ne kya kar rakha hai aur Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko yehein thehra liya aur humein bhi , halanke yahan kahin pani nahi hai aur na kisi ke paas pani hai . Abu Bakr rz (mere yahan) aaye . Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم sar mubarak meri ran par rakh kar so gaye thay aur kehne lage tum ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ko aur sab ko rok liya , halanke yahan kahin pani nahi hai aur na kisi ke sath pani hai . Aisha rz ne bayan kiya ke Abu Bakr Siddiq rz mujh par bohat khafa hue aur jo Allah ko manzoor tha mujhe kaha , suna aur hath se meri kokh mein kachoke lagaye . Main ne sirf is khayal se koi harkat nahi ki ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم meri ran par apna sar rakhe hue thay . Phir Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم uthe aur subah tak kahin pani ka naam-o-nishan nahi tha , phir Allah Ta'ala ne tayammum ki ayat utari to Usaid bin Huzair ne kaha ke Aal-e-Abi Bakr! Yeh tumhari koi pehli barkat nahi hai . Bayan kiya ke phir hum ne woh ount uthaya jis par main sawar thi to haar usi ke neeche mil gaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4608
حدثنا يحيى بن سليمان، قال: حدثني ابن وهب، قال: اخبرني عمرو، ان عبد الرحمن بن القاسم حدثه، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها:" سقطت قلادة لي بالبيداء، ونحن داخلون المدينة، فاناخ النبي صلى الله عليه وسلم ونزل، فثنى راسه في حجري راقدا، اقبل ابو بكر، فلكزني لكزة شديدة، وقال: حبست الناس في قلادة، فبي الموت لمكان رسول الله صلى الله عليه وسلم وقد اوجعني، ثم إن النبي صلى الله عليه وسلم استيقظ، وحضرت الصبح، فالتمس الماء فلم يوجد، فنزلت: يايها الذين آمنوا إذا قمتم إلى الصلاة سورة المائدة آية 6 الآية، فقال اسيد بن حضير: لقد بارك الله للناس فيكم يا آل ابي بكر، ما انتم إلا بركة لهم.
Hum se Yahya bin Sulayman ne byaan kiya , kaha ke mujh se Abdullah bin Wahb ne byaan kiya , kaha ke mujhe Amr bin al-Harith ne khabar di , un se Abdur Rahman bin Qasim ne byaan kiya , un se un ke walid Qasim ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke mera haar Maqam e Bayda mein gum ho gaya tha . Hum Madinah wapas aa rahe thay , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne wahin apni sawari rok di aur utar gaye , phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam sar mubarak meri god mein rakh kar so rahe thay ke Abu Bakr razi Allahu anhu andar aa gaye aur mere seene par zor se hath maar kar farmaya ke ek haar ke liye tum ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko rok liya lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke aaram ke khayal se main be-hiss o harakat baithi rahi haalan ke mujhe takleef hui thi . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bedar huay aur subah ka waqt hua aur pani ki talash hui lekin kahin pani ka naam o nishan na tha . Isi waqt yeh aayat utri «ya ayyuhallazhina aamanu izha qumtum ilassalati» al-kh . Usayd bin Huzayr razi Allahu anhu ne kaha: Ae Aal e Abi Bakr! Tumhein Allah Ta'ala ne logon ke liye bais e barkat banaya hai . Yaqeenan tum logon ke liye bais e barkat ho . Tumhara haar gum hua Allah ne is ki wajah se tayammum ki aayat nazil farma di jo qayamat tak Musalmanon ke liye aasani aur barkat hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {فَاذْهَبْ أَنْتَ وَرَبُّكَ فَقَاتِلاَ إِنَّا هَاهُنَا قَاعِدُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“So Aap khud aur Aap ka Rab jihad karne chale jao aur Aap dono hi laro bharo, hum to is jagah baithe rahenge”.
Show diacritics
Hadith Number: 4609
حدثنا ابو نعيم، حدثنا إسرائيل، عن مخارق، عن طارق بن شهاب، سمعت ابن مسعود رضي الله عنه، قال: شهدت من المقداد. ح وحدثني حمدان بن عمر، حدثنا ابو النضر، حدثنا الاشجعي، عن سفيان، عن مخارق، عن طارق، عن عبد الله، قال: قال المقداد:" يوم بدر يا رسول الله، إنا لا نقول لك كما قالت بنو إسرائيل لموسى، فاذهب انت وربك فقاتلا إنا ههنا قاعدون سورة المائدة آية 24، ولكن امض ونحن معك، فكانه سري عن رسول الله صلى الله عليه وسلم. ورواه وكيع، عن سفيان، عن مخارق، عن طارق، ان المقداد قال ذلك للنبي صلى الله عليه وسلم.
«yuhariboona» se kufr karna murad hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة