الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {قُلْ يَا أَيُّهَا النَّاسُ إِنِّي رَسُولُ اللَّهِ إِلَيْكُمْ جَمِيعًا الَّذِي لَهُ مُلْكُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ يُحْيِي وَيُمِيتُ فَآمِنُوا بِاللَّهِ وَرَسُولِهِ النَّبِيِّ الأُمِّيِّ الَّذِي يُؤْمِنُ بِاللَّهِ وَكَلِمَاتِهِ وَاتَّبِعُوهُ لَعَلَّكُمْ تَهْتَدُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay Nabi! Aap keh den ke Ay insano! beshak mein Allah ka sachcha rasool hun, tum sab ki taraf usi Allah ka jis ki hukoomat aasmanon aur zameen mein hai. Us ke siwa koi ma’bood nahi wahi jalata hai aur wahi marta hai, so imaan lao Allah aur us ke ummi rasool wa nabi par jo khud imaan rakhta hai Allah aur us ki baaton par aur us ki pairwi karte raho taake tum hidayat pa jao”.
Show diacritics
Hadith Number: 4640
حدثنا عبد الله، حدثنا سليمان بن عبد الرحمن، وموسى بن هارون، قالا: حدثنا الوليد بن مسلم، حدثنا عبد الله بن العلاء بن زبر، قال: حدثني بسر بن عبيد الله، قال: حدثني ابو إدريس الخولاني، قال: سمعت ابا الدرداء، يقول: كانت بين ابي بكر وعمر محاورة، فاغضب ابو بكر عمر، فانصرف عنه عمر مغضبا، فاتبعه ابو بكر يساله ان يستغفر له، فلم يفعل، حتى اغلق بابه في وجهه، فاقبل ابو بكر إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال ابو الدرداء: ونحن عنده، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اما صاحبكم هذا فقد غامر"، قال: وندم عمر على ما كان منه، فاقبل حتى سلم وجلس إلى النبي صلى الله عليه وسلم، وقص على رسول الله صلى الله عليه وسلم الخبر، قال ابو الدرداء: وغضب رسول الله صلى الله عليه وسلم، وجعل ابو بكر، يقول: والله يا رسول الله، لانا كنت اظلم، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" هل انتم تاركون لي صاحبي؟ هل انتم تاركون لي صاحبي؟" إني قلت:" يايها الناس إني رسول الله إليكم جميعا سورة الاعراف آية 158، فقلتم: كذبت، وقال ابو بكر: صدقت"، قال ابو عبد الله غامر: سبق بالخير.
Hum se Abdullah ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sulayman bin Abdur Rahman aur Musa bin Haroon ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Waleed bin Muslim ne byaan kiya , kaha hum se Abdullah bin Alaa bin Zubayr ne byaan kiya , kaha ke mujh se Busr bin Abdullah ne byaan kiya , kaha ke mujh se Abu Idrees Khulani ne byaan kiya , kaha ke main ne Abu Dardaa razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke Abu Bakr aur Umar razi Allahu anhuma ke darmiyan kuch bahas si ho gayi thi . Umar razi Allahu anhu Abu Bakr razi Allahu anhu par ghussa ho gaye aur un ke paas se aane lage . Abu Bakr razi Allahu anhu bhi un ke peeche peeche ho gaye , maafi maangte huay . Lekin Umar razi Allahu anhu ne unhein maaf nahi kiya aur (ghar pahunch kar) andar se darwaza band kar liya . Ab Abu Bakr razi Allahu anhu Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay . Abu Dardaa razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum log is waqt Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhare yeh sahib (yani Abu Bakr razi Allahu anhu) lar aaye hain . Rawi ne byaan kiya ke Umar razi Allahu anhu bhi apne tarz e amal par nadim huay aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki taraf chale aur salam kar ke Aap salla Allahu alaihi wasallam ke qareeb baith gaye . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se saara waqia byaan kiya . Abu Dardaa razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Aap bahut naraz huay . Idhar Abu Bakr razi Allahu anhu baar baar yeh arz karte ke ya Rasool Allah! Waqayi meri hi ziyadati thi . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kya tum log mujhe mere saathi se juda karna chahte ho ? Kya tum log mere saathi ko mujh se juda karna chahte ho ? Jab main ne kaha tha ke ae insano! Beshak main Allah ka Rasool hoon , tum sab ki taraf , to tum logon ne kaha ke tum jhoot bolte ho , is waqt Abu Bakr ne kaha tha ke Aap sache hain . Abu Abdullah ne kaha «ghaamira» ke maani hadees mein yeh hai ke Abu Bakr razi Allahu anhu ne bhalayi mein sabqat ki hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَقُولُوا حِطَّةٌ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur kehte jao ke ya Allah! gunahon se hamari taubah hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4641
حدثنا إسحاق، اخبرنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن همام بن منبه، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" قيل لبني إسرائيل، وادخلوا الباب سجدا وقولوا حطة نغفر لكم خطاياكم سورة البقرة آية 58 فبدلوا فدخلوا يزحفون على استاههم، وقالوا: حبة في شعرة".
Hum se Ishaq ne byaan kiya , kaha hum ko Abdur Razzaq ne khabar di , kaha hum ko Mamar ne khabar di , unhein Hammam bin Munabbih ne , unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Bani Israeel se kaha gaya tha ke darwaze mein (aajzi se) jhukte huay dakhil ho aur kehte jao ke tauba hai , to hum tumhari khatayein maaf kar dein ge , lekin unhon ne hukm badal dala . Chotaron ke bal ghisat-te huay dakhil huay aur yeh kaha ke «habbatun fee sharatun» yani hum ko baliyon mein dana chahiye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {خُذِ الْعَفْوَ وَأْمُرْ بِالْعُرْفِ وَأَعْرِضْ عَنِ الْجَاهِلِينَ}، الْعُرْفُ الْمَعْرُوفُ:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay Nabi! maafi ikhtiyar kar aur nek kaamon ka hukm dete raho aur jahilon se munh moriyo «al-urf» , «al-ma’roof» ke ma’ni mein hai jis ke ma’ni nek kaamon ke hain.
Show diacritics
Hadith Number: 4642
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، ان ابن عباس رضي الله عنهما، قال: قدم عيينة بن حصن بن حذيفة، فنزل على ابن اخيه الحر بن قيس، وكان من النفر الذين يدنيهم عمر، وكان القراء اصحاب مجالس عمر، ومشاورته كهولا كانوا او شبانا، فقال عيينة لابن اخيه: يا ابن اخي، هل لك وجه عند هذا الامير فاستاذن لي عليه؟ قال: ساستاذن لك عليه، قال ابن عباس: فاستاذن الحر لعيينة فاذن له عمر، فلما دخل عليه، قال: هي يا ابن الخطاب، فوالله ما تعطينا الجزل، ولا تحكم بيننا بالعدل، فغضب عمر، حتى هم ان يوقع به، فقال له الحر: يا امير المؤمنين، إن الله تعالى، قال لنبيه صلى الله عليه وسلم: خذ العفو وامر بالعرف واعرض عن الجاهلين سورة الاعراف آية 199، وإن هذا من الجاهلين، والله ما جاوزها عمر حين تلاها عليه، وكان وقافا عند كتاب الله.
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , un se Zuhri ne byaan kiya , unhein Ubaydullah bin Abdullah bin Utbah ne khabar di aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Uyaynah bin Hisn bin Huzayfah ne apne bhatije Hur bin Qays ke yahan aa kar qiyam kiya . Hur , in chand khaas logon mein se thay jinhein Umar razi Allahu anhu apne bahut qareeb rakhte thay jo log Quran Majeed ke zyada aalim aur qaari hote . Umar razi Allahu anhu ki majlis mein unhein ko zyada nazdeeki haasil hoti thi aur aise log Aap ke musheer hote . Is ki koi qaid nahi thi ke woh umr-raseeda hon ya naujawan . Uyaynah ne apne bhatije se kaha ke tumhein is ameer ki majlis mein bahut nazdeeki haasil hai . Mere liye bhi majlis mein haziri ki ijazat le do . Hur bin Qays ne kaha ke main Aap ke liye bhi ijazat maangoon ga . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya . Chunanche unhon ne Uyaynah ke liye bhi ijazat maangi aur Umar razi Allahu anhu ne unhein majlis mein aane ki ijazat de di . Majlis mein jab woh pahunche to kehne lage: Ae Khattab ke bete! Allah ki qasam! Na to tum hamain maal hi dete ho aur na adl o insaf ke saath faisla karte ho . Umar razi Allahu anhu ko un ki is baat par bara ghussa aaya aur aage barh hi rahe thay ke Hur bin Qays ne arz kiya: ya Ameer al-Momineen! Allah Ta'ala ne apne Nabi se khitab kar ke farmaya hai ”Maafi ikhtiyar kar aur naik kaam ka hukm de aur jahilon se kinara-kash ho jaya kijiye .“ Aur yeh bhi jahilon mein se hain . Allah ki qasam! Ke jab Hur ne Quran Majeed ki tilawat ki to Umar razi Allahu anhu bilkul thande par gaye aur Kitab Allah ke hukm ke samne Aap ki yahi halat hoti thi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4643
حدثنا يحيى، حدثنا وكيع، عن هشام، عن ابيه، عن عبد الله بن الزبير، خذ العفو وامر بالعرف سورة الاعراف آية 199، قال:" ما انزل الله إلا في اخلاق الناس".
Hum se Yahya ne byaan kiya , kaha hum se Waki ne byaan kiya , un se Hisham ne , un se un ke walid ne aur un se Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke aayat «khuzhil afwa wa'mur bil-urfi» ”maafi ikhtiyar kijiye aur naik kaam ka hukm dete rahiye .“ Logon ke akhlaq ki islah ke liye hi nazil hui hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4644
وقال عبد الله بن براد: حدثنا ابو اسامة، حدثنا هشام، عن ابيه، عن عبد الله بن الزبير، قال: امر الله نبيه صلى الله عليه وسلم ان ياخذ العفو من اخلاق الناس او كما قال.
Aur Abdullah bin Barrad ne byaan kiya , un se Abu Usamah ne byaan kiya , un se Hisham ne , un se un ke walid ne aur un se Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma ne ke Allah Ta'ala ne apne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko hukm diya hai ke logon ke akhlaq theek karne ke liye darguzar ikhtiyar karein ya kuch aisa hi kaha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة الأَنْفَالِ:
Bab: Surah Al-Anfaal ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4645-2
n
‏‏‏‏ .


بَابُ قَوْلُهُ: {يَسْأَلُونَكَ عَنِ الأَنْفَالِ قُلِ الأَنْفَالُ لِلَّهِ وَالرَّسُولِ فَاتَّقُوا اللَّهَ وَأَصْلِحُوا ذَاتَ بَيْنِكُمْ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ye log Aap se ghaneematon ke bare mein sawal karte hain, Aap keh den ke ghaneematein Allah ki malik hain phir Rasool ki, pas Allah se darte raho aur apne aapas ki islah karo”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4645
قال ابن عباس: الانفال: المغانم، قال قتادة: ريحكم الحرب يقال نافلة عطية.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke «al-anfaalu» ke maani ghanimatein hain . Qatadah ne kaha ke lafz «reehukum» se larai murad hai (yani agar tum aapas mein niza karo ge to larai mein tumhari hawa ukharr jaye gi) . Lafz «nafilatun» atiya ke maani mein bola jata hai .


Show diacritics
Hadith Number: 4645
حدثني محمد بن عبد الرحيم، حدثنا سعيد بن سليمان، اخبرنا هشيم، اخبرنا ابو بشر، عن سعيد بن جبير، قال: قلت لابن عباس رضي الله عنهما سورة الانفال، قال: نزلت في بدر الشوكة الحد". مردفين: فوجا بعد فوج ردفني واردفني جاء بعدي، ذوقوا: باشروا وجربوا وليس هذا من ذوق الفم، فيركمه: يجمعه، شرد: فرق، وإن جنحوا: طلبوا السلم، والسلم، والسلام، واحد، يثخن: يغلب، وقال مجاهد: مكاء: إدخال اصابعهم في افواههم، وتصدية: الصفير، ليثبتوك: ليحبسوك.
Mujh se Muhammad bin Abdur Raheem ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Saeed bin Sulayman ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Hushaym ne khabar di , unhon ne kaha hum ko Abu Bishr ne khabar di , un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se Surah al-Anfaal ke mutalliq poocha . Unhon ne batlaya ke Ghazwa Badr mein nazil hui thi . «ash-shaukatu» ka maani dhaar nauk . «murdifeena» ke maani fauj dar fauj . Kehte hain «radafani wa ardafani» yani mere baad aaya . «zhalikum fazhooqoohu zhooqoo» ka maani yeh hai ke yeh azab uthao is ka tajurba karo , munh se chakhna murad nahi hai . «fayarkumahu» ka maani is ka jama kare . «sharrid» ka maani juda kar de (ya sakht saza de) . «janahoo» ke maani talab karein . «yuskhina» ka maani ghalib hua aur Mujahid ne kaha «muka'un» ka maani ungliyaan munh par rakhna . «tasdiyatun» seeti bajana . «yusbitooka» taake tujh ko qaid kar lein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {إِنَّ شَرَّ الدَّوَابِّ عِنْدَ اللَّهِ الصُّمُّ الْبُكْمُ الَّذِينَ لاَ يَعْقِلُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Bad-tareen haywanat Allah ke nazdeek woh behre, goonge log hain jo zara bhi aql nahi rakhte”.
Show diacritics
Hadith Number: 4646
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا ورقاء، عن ابن ابي نجيح، عن مجاهد، عن ابن عباس، إن شر الدواب عند الله الصم البكم الذين لا يعقلون سورة الانفال آية 22، قال:" هم نفر من بني عبد الدار".
Hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne byaan kiya , kaha hum se Warqa bin Amr ne byaan kiya , un se Ibn Abi Najih ne , un se Mujahid ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke aayat «inna shar-rad-dawaabbi indallahis-summ-ul-bukmullazhina la yaqiloon» ”bad-tareen haivanat Allah ke nazdeek woh behre goonge hain jo aqal se zara kaam nahi lete .“ Banu Abdid-Dar ke kuch logon ke baare mein utri thi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اسْتَجِيبُوا لِلَّهِ وَلِلرَّسُولِ إِذَا دَعَاكُمْ لِمَا يُحْيِيكُمْ وَاعْلَمُوا أَنَّ اللَّهَ يَحُولُ بَيْنَ الْمَرْءِ وَقَلْبِهِ وَأَنَّهُ إِلَيْهِ تُحْشَرُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay imaan walo! Allah aur Rasool ki awaz par labbaik kaho jabke woh Rasool tum ko tumhari zindagi bakhshne wali cheez ki taraf bulayen aur jaan lo ke Allah ha’il ho jata hai insaan aur us ke dil ke darmiyan aur ye ke tum sab ko usi ke paas ikattha hona hai”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4647
استجيبوا: اجيبوا، لما يحييكم: يصلحكم.
«astajeeboo» , «ajeeboo» yani qabool karo , jawab do . «lima yuhyeekum» , «lima yuslihukum» yani is cheez ke liye jo tumhari islah karti hai tum ko durust karti hai . Jis ke zariye tum ko daimi zindagi mile gi .