الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِهِ: {بَرَاءَةٌ مِنَ اللَّهِ وَرَسُولِهِ إِلَى الَّذِينَ عَاهَدْتُمْ مِنَ الْمُشْرِكِينَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“I’laan-e-barat hai Allah aur us ke Rasool ki taraf se un mushrikeen se jin se tum ne ahd kar rakha hai (aur ab ahd ko unhon ne tor diya hai)”.
Hadith Number: 4654
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، قال: سمعت البراء رضي الله عنه، يقول:" آخر آية نزلت يستفتونك قل الله يفتيكم في الكلالة سورة النساء آية 176، وآخر سورة نزلت براءة".
Hum se Abu al-Waleed Hisham bin Abdul Malik ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne ke main ne Bara bin Azib razi Allahu anhu se suna . Unhon ne kaha ke sab se aakhir mein yeh aayat nazil hui thi «yastaftoonaka qulillahu yuftikum fil kalalati» aur sab se aakhir mein Surah Baraat nazil hui .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {فَسِيحُوا فِي الأَرْضِ أَرْبَعَةَ أَشْهُرٍ وَاعْلَمُوا أَنَّكُمْ غَيْرُ مُعْجِزِي اللَّهِ وَأَنَّ اللَّهَ مُخْزِي الْكَافِرِينَ} سِيحُوا سِيرُوا:
Bab: Ayat ki tafseer“(Ay mushriko!) zameen mein chaar mahine chal phir lo aur jaan lo ke tum Allah ko aajiz nahi kar sakte, balkeh Allah hi kafiron ko ruswa karne wala hai” «sayhoo» yani «sayroo» yani chalo phiro.
Hadith Number: 4655
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، واخبرني حميد بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة رضي الله عنه، قال:" بعثني ابو بكر، في تلك الحجة في مؤذنين، بعثهم يوم النحر يؤذنون بمنى، ان لا يحج بعد العام مشرك، ولا يطوف بالبيت عريان، قال حميد بن عبد الرحمن: ثم اردف رسول الله صلى الله عليه وسلم بعلي بن ابي طالب، وامره ان يؤذن ببراءة، قال ابو هريرة: فاذن معنا علي يوم النحر في اهل منى ببراءة، وان لا يحج بعد العام مشرك، ولا يطوف بالبيت عريان.
Hum se Saeed bin Afir ne byaan kiya , kaha mujh se Layth bin Saad ne byaan kiya , kaha ke mujh se Aqeel ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne (kaha) aur mujhe Humayd bin Abdur Rahman bin Auf ne khabar di ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha: Abu Bakr Siddique razi Allahu anhu ne is Hajj ke mauqa par (jis ka Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein ameer banaya tha) mujhe bhi aalan karne walon mein rakkha tha , jinhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Yaum al-Nahr mein is liye bheja tha ke aalan kar dein ke aainda saal se koi mushrik Hajj karne na aaye aur koi shakhs Bayt Allah ka tawaf nange ho kar na kare . Humayd bin Abdur Rahman ne kaha ke phir is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Ali razi Allahu anhu ko peeche se bheja aur unhein Surah Baraat ke ahkam ke aalan karne ka hukm diya . Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha , chunanche hamare saath Ali razi Allahu anhu ne bhi Yaum al-Nahr hi mein Surah Baraat ka aalan kiya aur is ka ke aainda saal se koi mushrik Hajj na kare aur na koi nange ho kar tawaf kare .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَأَذَانٌ مِنَ اللَّهِ وَرَسُولِهِ إِلَى النَّاسِ يَوْمَ الْحَجِّ الأَكْبَرِ أَنَّ اللَّهَ بَرِيءٌ مِنَ الْمُشْرِكِينَ وَرَسُولُهُ فَإِنْ تُبْتُمْ فَهُوَ خَيْرٌ لَكُمْ وَإِنْ تَوَلَّيْتُمْ فَاعْلَمُوا أَنَّكُمْ غَيْرُ مُعْجِزِي اللَّهِ وَبَشِّرِ الَّذِينَ كَفَرُوا بِعَذَابٍ أَلِيمٍ} آذَنَهُمْ أَعْلَمَهُمْ:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur i’laan (kiya jata hai) Allah aur us ke Rasool ki taraf se logon ke saamne bare hajj ke din ke Allah aur us ka Rasool mushrikon se berri hain, phir bhi agar tum taubah kar lo to tumhare haq mein behtar hai aur agar tum munh pherte hi rahe to jaan lo ke tum Allah ko aajiz karne wale nahi ho aur kafiron ko azab-e-dardnaak ki khushkhabri suna dijiye” «aazanhum a’lamhum» yani un ko aagah kiya.
Hadith Number: 4656
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، حدثني عقيل، قال ابن شهاب: فاخبرني حميد بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة، قال:" بعثني ابو بكر رضي الله عنه في تلك الحجة في المؤذنين، بعثهم يوم النحر يؤذنون بمنى، ان لا يحج بعد العام مشرك، ولا يطوف بالبيت عريان"، قال حميد: ثم اردف النبي صلى الله عليه وسلم بعلي بن ابي طالب، فامره ان يؤذن ببراءة، قال ابو هريرة:" فاذن معنا علي في اهل منى يوم النحر ببراءة، وان لا يحج بعد العام مشرك، ولا يطوف بالبيت عريان".
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , kaha mujh se Aqeel ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne byaan kiya , kaha mujh ko Humayd bin Abdur Rahman ne khabar di ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha: Abu Bakr Siddique razi Allahu anhu ne Hajj ke mauqa par (jis ka Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein ameer banaya tha) mujh ko in aalan karne walon mein rakkha tha jinhein Aap ne Yaum al-Nahr mein bheja tha . Mina mein yeh aalan karne ke liye ke is saal ke baad koi mushrik Hajj karne na aaye aur na koi shakhs Bayt Allah ka tawaf nanga ho kar kare . Humayd ne kaha ke phir peeche se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Ali razi Allahu anhu ko bheja aur unhein hukm diya ke Surah Baraat ka aalan kar dein . Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha ke Ali razi Allahu anhu ne hamare saath Mina ke maidan mein dasween tareekh mein Surah Baraat ka aalan kiya aur yeh ke koi mushrik aainda saal se Hajj karne na aaye aur na koi Bayt Allah ka tawaf nanga ho kar kare .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {إِلاَّ الَّذِينَ عَاهَدْتُمْ مِنَ الْمُشْرِكِينَ}:
Bab: Ayat «illallazeena aahadtum minal mushrikeen» ki tafseer.
Hadith Number: 4657
حدثنا إسحاق، حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابي، عن صالح، عن ابن شهاب، ان حميد بن عبد الرحمن اخبره، ان ابا هريرة،اخبره: ان ابا بكر رضي الله عنه، بعثه في الحجة التي امره رسول الله صلى الله عليه وسلم عليها قبل حجة الوداع في رهط، يؤذنون في الناس،ان لا يحجن بعد العام مشرك، ولا يطوف بالبيت عريان، فكان حميد، يقول:" يوم النحر يوم الحج الاكبر، من اجل حديث ابي هريرة".
Hum se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya , kaha hum se Yaqoob bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha hum se hamare walid (Ibrahim bin Saad) ne byaan kiya , un se Salih ne , un se Ibn Shihab ne , unhein Humayd bin Abdur Rahman ne khabar di aur unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne khabar di ke Abu Bakr razi Allahu anhu ne is Hajj ke mauqa par jis ka unhein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne ameer banaya tha . Hajjat al-Wida se (ek saal) pehle 9 Hijri mein unhein bhi in aalan karne walon mein rakkha tha jinhein logon mein Aap ne yeh aalan karne ke liye bheja tha ke aainda saal se koi mushrik Hajj karne na aaye aur na koi Bayt Allah ka tawaf nanga ho kar kare . Humayd ne kaha ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ki is hadees se maloom hota hai ke Yaum al-Nahr bare Hajj ka din hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {فَقَاتِلُوا أَئِمَّةَ الْكُفْرِ إِنَّهُمْ لاَ أَيْمَانَ لَهُمْ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Kufr ke sardaron se jihad karo ahd torne ki soorat mein ab un ki qasmein baatil ho chuki hain”.
Hadith Number: 4658
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا يحيى، حدثنا إسماعيل، حدثنا زيد بن وهب، قال: كنا عند حذيفة، فقال:" ما بقي من اصحاب هذه الآية إلا ثلاثة، ولا من المنافقين إلا اربعة، فقال اعرابي: إنكم اصحاب محمد صلى الله عليه وسلم تخبرونا فلا ندري، فما بال هؤلاء الذين يبقرون بيوتنا، ويسرقون اعلاقنا، قال اولئك الفساق، اجل لم يبق منهم إلا اربعة، احدهم شيخ كبير، لو شرب الماء البارد لما وجد برده".
Hum se Muhammad bin Musanna ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , kaha hum se Ismail bin Abi Khalid ne byaan kiya , kaha hum se Zayd bin Wahb ne byaan kiya ke hum Huzayfah bin Yaman ki khidmat mein hazir thay . Unhon ne kaha yeh aayat jin logon ke baare mein utri un mein se ab sirf teen shakhs baqi hain , isi tarah munafiqon mein se bhi ab char shakhs baqi hain . Itne mein ek dehati kehne laga Aap to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke sahabi hain , hamain in logon ke mutalliq bataiye ke un ka kya hashr ho ga jo hamare gharon mein chhed kar ke achhi cheezin chura kar le jate hain ? Unhon ne kaha ke yeh log fasiq bad-kaar hain . Haan in munafiqon mein char ke siwa aur koi baqi nahi raha hai aur ek to itna burha ho chuka hai ke agar thanda pani peeta hai to is ki thand ka bhi usay pata nahi chalta .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَالَّذِينَ يَكْنِزُونَ الذَّهَبَ وَالْفِضَّةَ وَلاَ يُنْفِقُونَهَا فِي سَبِيلِ اللَّهِ فَبَشِّرْهُمْ بِعَذَابٍ أَلِيمٍ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay Nabi aur jo log sona aur chandi zameen mein gaar kar rakhte hain aur us ko Allah ke raaste mein kharch nahi karte! Aap unhein ek dard-naak azab ki khabar suna den”.
Hadith Number: 4659
حدثنا الحكم بن نافع، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، ان عبد الرحمن الاعرج، حدثه، انه قال: حدثني ابو هريرة رضي الله عنه، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول:" يكون كنز احدكم يوم القيامة شجاعا اقرع".
Hum se Hakam bin Nafi ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Shuayb ne khabar di , un se Abu al-Zinad ne byaan kiya , un se Abdur Rahman Aaraj ne byaan kiya aur unhon ne kaha ke mujh se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya aur unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna , Aap salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay ke tumhara khazana jis mein zakat na di gayi ho Qayamat ke din ganje naag ki shakal ikhtiyar kare ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4660
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن حصين، عن زيد بن وهب، قال: مررت على ابي ذر، بالربذة، فقلت" ما انزلك بهذه الارض؟" قال: كنا بالشام، فقرات والذين يكنزون الذهب والفضة ولا ينفقونها في سبيل الله فبشرهم بعذاب اليم سورة التوبة آية 34"، قال معاوية: ما هذه فينا، ما هذه إلا في اهل الكتاب، قال: قلت:" إنها لفينا وفيهم".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , kaha hum se Jareer ne byaan kiya , un se Husain ne , un se Zayd bin Wahb ne byaan kiya ke main Maqam e Rabzhah mein Abu Zharr Ghifari razi Allahu anhu ki khidmat mein hazir hua aur arz kiya ke is jangal mein Aap ne kyun qiyam ko pasand kiya ? Farmaya ke hum Sham mein thay . (mujh mein aur wahan ke hakim Muawiyah razi Allahu anhu mein ikhtilaf ho gaya) main ne yeh aayat parhi «wallazhina yaknizoonaz-zhahaba wal fiddata wa la yunfiqoonaha fee sabilillahi fabash-shirhum bi-azhaabin aleemin» ke ”aur jo log sona aur chaandi jama kar ke rakhte hain aur is ko kharch nahi karte Allah ki raah mein , Aap unhein ek dard-naak azab ki khabar suna dein .“ To Muawiyah razi Allahu anhu kehne lage ke yeh aayat hum Musalmanon ke baare mein nahi hai (jab woh zakat dete rahein) balkay Ahl e Kitab ke baare mein hai . Farmaya ke main ne is par kaha ke yeh hamare baare mein bhi hai aur Ahl e Kitab ke baare mein bhi hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ عَزَّ وَجَلَّ: {يَوْمَ يُحْمَى عَلَيْهَا فِي نَارِ جَهَنَّمَ فَتُكْوَى بِهَا جِبَاهُهُمْ وَجُنُوبُهُمْ وَظُهُورُهُمْ هَذَا مَا كَنَزْتُمْ لأَنْفُسِكُمْ فَذُوقُوا مَا كُنْتُمْ تَكْنِزُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Us din ko yaad karo jis din (sone chandi) ko dozakh ki aag mein tapaya jayega, phir us se (jinhon ne is khazane ki zakat nahi ada ki) un ki peshaniyon ko aur un ke pehluon ko aur un ki pushton ko daagha jayega. (Aur un se kaha jayega) yahi hai woh maal jise tum ne apne waste jama kar rakha tha so ab apne jama karne ka maza chako”.
Hadith Number: 4661
وقال احمد بن شبيب بن سعيد: حدثنا ابي، عن يونس، عن ابن شهاب، عن خالد بن اسلم، قال: خرجنا مع عبد الله بن عمر، فقال: هذا قبل ان تنزل الزكاة، فلما انزلت جعلها الله طهرا للاموال.
Ahmad bin Shabib bin Saeed ne kaha ke hum se mere walid (Shabib bin Saeed) ne byaan kiya , un se Yunus ne , un se Ibn Shihab ne aur un se Khalid bin Aslam ne ke hum Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ke saath niklay to unhon ne kaha ke yeh (mazkoora bala aayat) zakat ke hukm se pehle nazil hui thi . Phir jab zakat ka hukm ho gaya to Allah Ta'ala ne zakat se maalon ko paak kar diya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {إِنَّ عِدَّةَ الشُّهُورِ عِنْدَ اللَّهِ اثْنَا عَشَرَ شَهْرًا فِي كِتَابِ اللَّهِ يَوْمَ خَلَقَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ مِنْهَا أَرْبَعَةٌ حُرُمٌ} .
Bab: Ayat ki tafseer“Beshak mahinon ka shumar Allah ke nazdeek kitab-e-Ilahi mein baarah hi mahine hain, jis roz se ke us ne aasman aur zameen ko paida kiya aur un mein se chaar mahine hurmat wale hain” «qayyim» bama’ni «al-qaim» jis ke ma’ni durust aur seedhe ke hain.
Hadith Number: 4662
حدثنا عبد الله بن عبد الوهاب، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن محمد، عن ابن ابي بكرة، عن ابي بكرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" إن الزمان قد استدار كهيئته يوم خلق الله السموات والارض، السنة: اثنا عشر شهرا، منها اربعة حرم، ثلاث متواليات: ذو القعدة، وذو الحجة، والمحرم، ورجب، مضر الذي بين جمادى وشعبان".
Hum se Abdullah bin Abdul Wahhab ne byaan kiya , kaha hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Ayub Sakhtiyani ne , un se Muhammad bin Sireen ne , un se Abdur Rahman bin Abu Bakrah ne , un se un ke walid Abu Bakrah Nufe bin Harith razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne (Hajjat al-Wida ke khutbe mein) farmaya ke dekho zamana phir apni pehli isi hayat par aa gaya hai jis par Allah Ta'ala ne aasman o zameen ko paida kiya tha . Saal barah mahine ka hota hai , in mein se char hurmat wale mahine hain . Teen to lagatar yani Zhul Qadah , Zhul Hijjah aur Muharram aur chautha Rajab Mudar jo Jumadi al-Ukhra aur Shaban ke darmiyan mein parta hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {ثَانِيَ اثْنَيْنِ إِذْ هُمَا فِي الْغَارِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Jab ke do mein se ek woh the dono ghaar mein (maujood) the jab woh Rasoolullah ﷺ apne saathi se keh rahe the ke fikr na kar Allah paak hamare sath hai”.
Hadith Number: Q4663
اي ناصرنا السكينة، فعيلة من السكون.
«ma'ana» yani hamara muhafiz aur madadgar hai . «sakinatun» , «failatun» ke wazan par «sukoonun» se nikla hai .