الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابٌ:
Bab: …
Hadith Number: Q4680-2
وقال ابن عباس: {فاختلط} فنبت بالماء من كل لون. و{قالوا اتخذ الله ولدا سبحانه هو الغني}. وقال زيد بن اسلم: {ان لهم قدم صدق} محمد صلى الله عليه وسلم وقال مجاهد خير. يقال: {تلك آيات} يعني هذه اعلام القرآن ومثله. {حتى إذا كنتم في الفلك وجرين بهم} المعنى بكم. {دعواهم} دعاؤهم {احيط بهم} دنوا من الهلكة {احاطت به خطيئته} فاتبعهم واتبعهم واحد. {عدوا} من العدوان. وقال مجاهد: {يعجل الله للناس الشر استعجالهم بالخير} قول الإنسان لولده وماله إذا غضب اللهم لا تبارك فيه والعنه {لقضي إليهم اجلهم} لاهلك من دعي عليه ولاماته. {للذين احسنوا الحسنى} مثلها حسنى {وزيادة} مغفرة. {الكبرياء} الملك.
Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke «f-akhtalata» ka maani yeh hai ke pani barsne ki wajah se zameen se har qism ka sabza uga . Yani Esaayi kehte hain ke Allah ne ek beta bana rakkha hai . Subhan Allah , woh Be-niyaz hai aur Zayd bin Aslam ne kaha ke «anna lahum qadama sidqin» se Muhammad salla Allahu alaihi wasallam murad hain . Aur Mujahid ne byaan kiya ke is se bhalayi murad hai . «tilka aayatu» mein «tilka» jo hazir ke liye hai murad is se ghaib hai . Yani yeh Quran ki nishaniyan hain , isi tarah is aayat . «hatta izha kuntum fil fulki wa jarayna bihim» mein «bihim» se «bikum» murad hai yani ghaib se hazir murad hai . «da'wahum» ay «du'auhum» un ki dua «uheetu bihim» yani halakat o barbadi ke qareeb aa gaye , jaise «ahatat bihi khatee'atuhu» yani gunahon ne is ko sab taraf se gher liya . «f-attaba'ahum» aur «wa atba'ahum» ke ek maani hain . «adwan» , «udwaanan» se nikla hai . Aayat «yu'ajjilullahu lin-naasish-shara-stiaajalahum bil-khayri» ke mutalliq Mujahid ne kaha ke is se murad ghussa ke waqt aadmi ka apni aulad aur apne maal ke mutalliq yeh kehna ke Ae Allah! Is mein barkat na farma aur is ko apni rahmat se door kar de to (baaz auqat un ki yeh dua nahi lagti) kyunke un ki taqdeer ka faisla pehle hi ho chuka hota hai aur (baaz auqat) jis par bad-dua ki jati hai , woh halak o barbad ho jate hain . «lillazhina ahsanul husna» mein Mujahid ne kaha «ziyadatun» se maghfirat aur Allah ki raza-mandi murad hai doosre logon ne kaha «wa ziyadatun» se Allah ka deedar murad hai . «al-kibriya'u» se sultant aur baadshahi murad hai .
بَابُ: {وَجَاوَزْنَا بِبَنِي إِسْرَائِيلَ الْبَحْرَ فَأَتْبَعَهُمْ فِرْعَوْنُ وَجُنُودُهُ بَغْيًا وَعَدْوًا حَتَّى إِذَا أَدْرَكَهُ الْغَرَقُ قَالَ آمَنْتُ أَنَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ الَّذِي آمَنَتْ بِهِ بَنُو إِسْرَائِيلَ وَأَنَا مِنَ الْمُسْلِمِينَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur hum ne Bani Isra’eel ko samandar ke paar kar diya, phir Fir’aun aur us ke lashkar ne zulm karne ke (irade) se un ka peechha kiya. (Woh sab samandar mein doob gaye aur Fir’aun bhi doobne laga to woh bola) mein imaan lata hun ke koi khuda nahi siwaye us ke jis par Bani Isra’eel imaan laye aur mein bhi musalman hota hun”.
Hadith Number: Q4680
ننجيك: نلقيك على نجوة من الارض وهو النشز المكان المرتفع.
«nunajjeeka» bamaani «nulqeeka» . «ala najwatin minal ardi» mein «najwatin» bamaani «wa huwan-nashzul makaanul murtafiu» yani hum teri laash ko «najwah» (oonchi jagah) par daal dein ge jis ko sab dekhein aur ibrat haasil karein .
Hadith Number: 4680
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، قال: قدم النبي صلى الله عليه وسلم المدينة، واليهود تصوم عاشوراء، فقالوا: هذا يوم ظهر فيه موسى على فرعون، فقال: النبي صلى الله عليه وسلم لاصحابه:" انتم احق بموسى منهم، فصوموا".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Ghundar ne byaan kiya , un se Shubah ne byaan kiya , un se Abu Bishr ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Madinah tashreef laye to Yahud Ashura ka roza rakhte thay . Unhon ne bataya ke isi din Musa alaihissalam ko Firaun par fatah mili thi . Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne sahabah se farmaya ke Musa alaihissalam ke hum un se bhi zyada mustahiq hain is liye tum bhi roza rakho .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة هُودٍ:
Bab: Surah Hud ki tafseer.
Hadith Number: Q4681-2
وقال ابو ميسرة الاواه الرحيم: بالحبشية، وقال ابن عباس: بادئ الراي: ما ظهر لنا، وقال مجاهد: الجودي: جبل بالجزيرة، وقال الحسن: إنك لانت الحليم، يستهزئون به، وقال ابن عباس: اقلعي: امسكي، عصيب: شديد، لا جرم: بلى، وفار التنور: نبع الماء، وقال عكرمة: وجه الارض.
Abu Maysarah (Amr bin Sharahbeel) ne kaha «al-awwaahu» Habshi zaban mein meherban , raham dil ko kehte hain . Aur Ibn Abbas ne kaha «badi'ar-ra'yi» ka maani jo hamain zahir hua . Aur Mujahid ne kaha «judiyyun» ek pahar hai is jazeere mein jo Dijla aur Furat ke beech mein Mausil ke qareeb hai . Aur Imam Hasan Basri ne kaha . «innaka la-antal haleemu» yeh kafiron ne Shuayb ko thatthe ki raah se kaha tha . Aur Ibn Abbas ne kaha «aqlii» ke maani tham ja . «aseebun» ke maani sakht . «la jarama» ka maani kyun nahi (yani zaroori hai) . «wa faarat-tannooru» ka maani pani phoot nikla . Ikrimah ne kaha «tannoorun» satah e zameen ko kehte hain .
بَابُ: {أَلاَ إِنَّهُمْ يَثْنُونَ صُدُورَهُمْ لِيَسْتَخْفُوا مِنْهُ أَلاَ حِينَ يَسْتَغْشُونَ ثِيَابَهُمْ يَعْلَمُ مَا يُسِرُّونَ وَمَا يُعْلِنُونَ إِنَّهُ عَلِيمٌ بِذَاتِ الصُّدُورِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Khabardar ho, woh log jo apne seenon ko dohra kiye dete hain, taake apni baatein Allah se chhupa saken woh ghalti par hain, Allah seene ke bhedon se waaqif hai. Khabardar raho! woh log jis waqt chhupne ke liye apne kapre lapet-te hain (us waqt bhi) woh jaanta hai jo kuch woh chhupate hain aur jo kuch woh zahir karte hain, beshak woh (un ke) dilon ke andar (ki baaton) se khoob khabardar hai”.
Hadith Number: Q4681
وقال غيره: {وحاق} نزل، يحيق ينزل. يئوس فعول من يئست. وقال مجاهد: {تبتئس} تحزن. {يثنون صدورهم} شك وامتراء في الحق. {ليستخفوا منه} من الله إن استطاعوا.
Ikrimah ke siwa aur logon ne kaha ke «haaqqa» ka maani utar para isi se hai «yahee-qu yanzhilu» utarta hai . «innahu laya'oosun kafoorun» mein «ya'oosun» ka maani na-umeed hona . Jo bar-wazan «fa'oolun» hai . Yeh «ya'istu» se nikla hai aur Mujahid ne kaha «la tabta'is» ka maani gham na kha «yasnoona sudoorahum» ka matlab yeh hai ke haq baat mein shakk o shubha karte hain . «liyastakhfoo minhu» yani agar ho sake to Allah se chhupa lein .
Hadith Number: 4681
حدثنا الحسن بن محمد بن صباح، حدثنا حجاج، قال: قال ابن جريج: اخبرني محمد بن عباد بن جعفر، انه سمع ابن عباس يقرا: 0 الا إنهم تثنوني صدورهم 0، قال:" سالته عنها"، فقال:" اناس كانوا يستحيون ان يتخلوا، فيفضوا إلى السماء وان يجامعوا نساءهم، فيفضوا إلى السماء فنزل ذلك فيهم".
Hum se Hasan bin Muhammad bin Sabbah ne byaan kiya , kaha hum se Hajjaj bin Muhammad Awar ne byaan kiya , kaha ke hum se Ibn Jurayj ne byaan kiya , kaha ke mujh ko Muhammad bin Abbad bin Jafar ne khabar di aur unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne suna ke Aap aayat ki qirat is tarah karte thay «ala innahum tashsanooni sudoorahum» main ne un se aayat ke mutalliq poocha . Unhon ne kaha ke kuch log is mein haya karte thay ke khuli hui jagah mein haajat ke liye baithne mein , aasman ki taraf satar kholne mein , is tarah sohbat karte waqt aasman ki taraf kholne mein Parvardigar se sharmate .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4682
حدثني إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام، عن ابن جريج، واخبرني محمد بن عباد بن جعفر، ان ابن عباس، قرا: 0 الا إنهم تثنوني صدورهم 0، قلت:" يا ابا العباس، ما تثنوني صدورهم؟ قال: كان الرجل يجامع امراته فيستحي، او يتخلى، فيستحي، فنزلت 0 الا إنهم تثنوني صدورهم 0".
Mujh se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham ne khabar di , unhein Ibn Jurayj ne , unhein Muhammad bin Abbad bin Jafar ne khabar di ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma is tarah qirat karte thay «ala innahum tashsanooni sudoorahum» Muhammad bin Abbad ne poocha: Ae Abu al-Abbas! «tashsanooni sudoorahum» ka kya matlab hai ? Batlaya ke kuch log apni biwi se hum-bistari karne mein haya karte aur khala ke liye baithte huay bhi haya karte thay . Unhi ke baare mein yeh aayat nazil hui ke «ala innahum tashsanooni sudoorahum» aakhir aayat tak .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4683
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا عمرو، قال: قرا ابن عباس: الا إنهم يثنون صدورهم ليستخفوا منه الا حين يستغشون ثيابهم سورة هود آية 5. وقال غيره عن ابن عباس: {يستغشون} يغطون رءوسهم {سيء بهم} ساء ظنه بقومه. {وضاق بهم} باضيافه {بقطع من الليل} بسواد. وقال مجاهد: {انيب} ارجع.
Hum se Abdullah bin Zubayr Humaydi ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne , kaha hum se Amr bin Dinar ne byaan kiya , kaha ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne aayat ki qirat is tarah ki thi «ala innahum yasnoona sudoorahum liyastakhfoo minhu ala haina yastaghshoona siyabahum» aur Amr bin Dinar ke alawa auron ne byaan kiya Ibn Abbas razi Allahu anhuma se ke «yastaghshoona» yani apne sar chhupa lete hain . «see'a bihim» yani apni qaum se woh bad-guman hua . «wa dhaqa bihim» yani apne mehmanon ko dekh kar woh bad-guman hua ke un ki qaum unhein bhi pareshan kare gi . «bi-qita'im minal layli» yani raat ki siyahi mein aur Mujahid ne kaha «uneebu» ke maani main ruju karta hoon (mutawajja hota hoon) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَكَانَ عَرْشُهُ عَلَى الْمَاءِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Allah ka Arsh paani par tha”.
Hadith Number: 4684
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: قال الله عز وجل:" انفق، انفق عليك، وقال: يد الله ملاى لا تغيضها نفقة سحاء الليل والنهار، وقال: ارايتم ما انفق منذ خلق السماء والارض، فإنه لم يغض ما في يده، وكان عرشه على الماء، وبيده الميزان، يخفض، ويرفع". {اعتراك} افتعلت من عروته اي اصبته، ومنه يعروه واعتراني {آخذ بناصيتها} اي في ملكه وسلطانه. عنيد وعنود وعاند واحد، هو تاكيد التجبر، {استعمركم} جعلكم عمارا، اعمرته الدار فهي عمرى جعلتها له. {نكرهم} وانكرهم واستنكرهم واحد {حميد مجيد} كانه فعيل من ماجد. محمود من حمد. سجيل الشديد الكبير. سجيل وسجين واللام والنون اختان، وقال تميم بن مقبل: ورجلة يضربون البيض ضاحية ** ضربا تواصى به الابطال سجينا.
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , unhon ne kaha hum ko Shuayb ne khabar di , kaha hum se Abu al-Zinad ne byaan kiya , un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala farmata hai ke bando! (meri raah mein) kharch karo to main bhi tum par kharch karoon ga aur farmaya , Allah ka hath bhara hua hai . Raat aur din musalsal ke kharch se bhi is mein kam nahi hota aur farmaya tum ne dekha nahi jab se Allah ne aasman o zameen ko paida kiya hai , musalsal kharch kiye ja raha hai lekin is ke hath mein koi kami nahi hui , is ka Arsh pani par tha aur is ke hath mein mizan e adl hai jise woh jhukata aur uthata rehta hai . «iataraka» baab «iftia'al» se hai «arwatuhu» se yani main ne is ko pakar paya isi se hai . «yaruhu» muzare ka sigha aur «iataraani aakhizhu bi-naasiyatiha» yani is ki hukoomat aur qabza e qudrat mein hain . «aneedun» , «anoodun» aur «aanidun» sab ke maani ek hi hain yani sarkash mukhalif aur yeh «jabbarun» ki takeed hai . «istia'marakum» tum ko basaya , aabaad kiya . Arab log kehte hain «amartuhud-dara fahiya umra» yani yeh ghar main ne is ko umr bhar ke liye de dala . «nakirahum» , «ankarahum» aur «istankarahum» sab ke ek hi maani hain . Yani un ko pardesi samjha . «hameedun» , «fa'eelun» ke wazan par hai ba-maani «mahmoodun» mein saraha gaya aur «majeedun» , «maajidun» ke maani mein hai (yani karam karne wala) . «sijjeelun» aur «sijjeenun» donon ke maani sakht aur bara ke hain . «laam» aur «noon» behnein hain (ek doosre se badli jati hain) . Tamim bin Muqbil shair kehta hai . Baaze paidal din dhara-de khud par zarb lagate hain aaisi zarb jis ki sakhti ke liye bare bare pehlawan apne shagirdon ko wasiyat kiya karte hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَإِلَى مَدْيَنَ أَخَاهُمْ شُعَيْبًا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur Madayn ki taraf un ke bhai Shu’ayb ko (bheja)”.
Hadith Number: Q4685-2
إلى اهل مدين لان مدين بلد، ومثله: {واسال القرية} واسال {العير} يعني اهل القرية {واصحاب} العير {وراءكم ظهريا} يقول لم تلتفتوا إليه، ويقال إذا لم يقض الرجل حاجته ظهرت بحاجتي وجعلتني ظهريا، والظهري هاهنا ان تاخذ معك دابة او وعاء تستظهر به. {اراذلنا} سقاطنا. {إجرامي} هو مصدر من اجرمت وبعضهم يقول جرمت. الفلك والفلك واحد وهي السفينة والسفن. {مجراها} مدفعها وهو مصدر اجريت، وارسيت حبست ويقرا: {مرساها} من رست هي، و{مجراها} من جرت هي و{مجريها ومرسيها} من فعل بها، الراسيات ثابتات.
«wa ila Madyana» yani Madyan walon ki taraf kyunke Madyan ek shehar ka naam hai jise doosri jagah farmaya «was'alil qaryata» yani gaon walon se pooch . «was'alil eera» yani qafila walon se pooch . «wara'akum zhuhriyyan» yani pas-pusht daal diya is ki taraf iltifta na kiya . Jab koi kisi ka maqsad poora na kare to Arab log kehte hain «zhaharta bi-haajati» aur «jaaltani zhuhriyyan» is jagah «zhuhriyyun» ka maani woh janwar ya bartan hai jis ko tu apne kaam ke liye saath rakkhe . «arazhiluna» hamare mein se kameene log . «ijramun» , «ajramtu» ka masdar hai ya «jaramtu sulasi» mujarrad . «fulkun» aur «fulkun» jama aur mufrad donon ke liye aata hai . Ek kashti aur kai kashtiyon ko bhi kehte hain . «majraaha» kashti ka chalna yeh «ajraytu» ka masdar hai . Isi tarah «mursaaha» , «arsaytu» ka masdar hai yani main ne kashti thama li (langar kar diya) baazon ne «mursaaha» ba-fatah meem parha hai «rasat» se . Isi tarah «majraaha» bhi «jarat» se hai . Baazon ne «mujreeha» , «murseeha» yani Allah is ko chalane wala hai aur wahi is ka thamane wala hai yeh ma'non mein mafool ke hain . «rasiyaatun» ke maani jami hui ke hain .