الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِهِ: {قَالَ بَلْ سَوَّلَتْ لَكُمْ أَنْفُسُكُمْ أَمْرًا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ya’qoob ne kaha, tum ne apne dil se khud ek jhootti baat ghar li hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4690
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال:. ح، وحدثنا الحجاج، حدثنا عبد الله بن عمر النميري، حدثنا يونس بن يزيد الايلي، قال: سمعت الزهري، سمعت عروة بن الزبير، وسعيد بن المسيب، وعلقمة بن وقاص، وعبيد الله بن عبد الله، عن حديث عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم، حين قال لها اهل الإفك ما قالوا، فبراها الله، كل حدثني طائفة من الحديث، قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إن كنت بريئة، فسيبرئك الله، وإن كنت الممت بذنب، فاستغفري الله وتوبي إليه"، قلت: إني والله لا اجد مثلا إلا ابا يوسف، فصبر جميل والله المستعان على ما تصفون سورة يوسف آية 18، وانزل الله إن الذين جاءوا بالإفك عصبة منكم سورة النور آية 11، العشر الآيات.
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah Oways ne byaan kiya , kaha hum se Ibrahim bin Saad ne byaan kiya , un se Salih bin Kaysan ne , un se Ibn Shihab ne (doosri sanad) Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke hum se Hajjaj bin Minhal ne byaan kiya , kaha hum se Abdullah bin Umar Numayri ne byaan kiya , un se Yunus bin Yazid Ayli ne byaan kiya kaha ke main Zuhri se suna , unhon ne Urwah bin Zubayr , Saeed bin Musayyab , Alqamah bin Waqqas aur Ubaydullah bin Abdullah se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Aisha razi Allahu anhuma ke is waqia ke mutalliq suna jis mein tohmat lagane walon ne un par tohmat lagayi thi aur phir Allah Ta'ala ne un ki paaki nazil ki . In tamam logon ne mujh se is qissa ka kuch kuch tukra byaan kiya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (Aisha razi Allahu anha se) farmaya ke agar tum bari ho to anqareeb Allah Ta'ala tumhari paaki nazil kar de ga lekin agar tu aalooda ho gayi hai to Allah se maghfirat talab kar aur us ke huzoor mein tauba kar (Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke) main ne is par kaha: Allah ki qasam! Meri aur Aap ki misal Yusuf alaihissalam ke walid jaisi hai (aur unhi ki kahi hui baat main bhi dohrati hoon ke) «fasabrun jameelun wallahul musta-aanu ala ma tasifoona» ”so sabr karna (hi) achha hai aur tum jo kuch byaan karte ho is par Allah hi madad kare ga .“ Is ke baad Allah Ta'ala ne Aisha razi Allahu anha ki paaki mein Surah an-Noor ki «innallazhina ja'oo bil-ifki» se aakhir tak das aayat utarien .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4691
حدثنا موسى، حدثنا ابو عوانة، عن حصين، عن ابي وائل، قال: حدثني مسروق بن الاجدع، قال: حدثتني ام رومان وهي ام عائشة، قالت: بينا انا وعائشة اخذتها الحمى، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" لعل في حديث تحدث"، قالت: نعم، وقعدت عائشة، قالت: مثلي ومثلكم كيعقوب وبنيه، بل سولت لكم انفسكم امرا فصبر جميل والله المستعان على ما تصفون سورة يوسف آية 18.
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Abu Awanah ne byaan kiya , un se Husain bin Abdur Rahman ne , un se Abu Wail Shaqeeq bin Salama ne , kaha ke mujh se Masrooq bin Ajda ne byaan kiya , kaha ke mujh se Umm Rooman razi Allahu anha ne byaan kiya , woh Aisha razi Allahu anha ki walda hain , unhon ne byaan kiya ke main aur Aisha baithe huay thay ke Aisha razi Allahu anha ko bukhaar charh gaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ghaliban yeh in baaton ki wajah hua ho ga jin ka charcha ho raha hai . Umm Rooman razi Allahu anha ne arz kiya ke ji haan . Is ke baad Aisha razi Allahu anha baith gayin aur kaha ke meri aur Aap logon ki misal Yaqoob alaihissalam aur un ke beton jaisi hai aur Aap log jo kuch byaan karte ho is par Allah hi madad kare .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَرَاوَدَتْهُ الَّتِي هُوَ فِي بَيْتِهَا عَنْ نَفْسِهِ وَغَلَّقَتِ الأَبْوَابَ وَقَالَتْ هَيْتَ لَكَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jis aurat ke ghar mein woh the woh apna matlab nikalne ko unhein phislaane lagi aur darwaze band kar liye aur boli ke bas aa ja”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4692
وقال عكرمة: هيت لك بالحورانية هلم، وقال ابن جبير: تعاله.
Aur Ikrimah ne kaha «hayta laka» Hoorani zaban ka lafz hai jis ke maani aa ja hai . Saeed bin Jubayr ne bhi yahi kaha hai .


Show diacritics
Hadith Number: 4692
حدثني احمد بن سعيد، حدثنا بشر بن عمر، حدثنا شعبة، عن سليمان، عن ابي وائل، عن عبد الله بن مسعود، قال: هيت لك سورة يوسف آية 23، قال: وإنما نقرؤها كما علمناها مثواه سورة يوسف آية 21، مقامه والفيا سورة يوسف آية 25: وجدا، الفوا آباءهم سورة الصافات آية 69: الفينا، وعن ابن مسعود، بل عجبت ويسخرون سورة الصافات آية 12.
Mujh se Ahmad bin Saeed ne byaan kiya , kaha hum se Bishr bin Amr ne byaan kiya , un se Shubah ne byaan kiya , un se Sulayman ne , un se Abu Wail ne ke Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne «hayta laka» parha aur kaha ke jis tarah hamain yeh lafz sikhaya gaya hai . Isi tarah hum parhte hain . «maswaahu» yani is ka thikana , darja . «alfaya» yani paya isi se hai . «alfaw aaba'ahum» aur «alfayna» (doosri aayaton mein) aur Ibn Masood se (Surah as-Saffat) mein «bal ajibta wa yaskharoona» manqool hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4693
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن مسلم، عن مسروق، عن عبد الله رضي الله عنه: ان قريشا لما ابطئوا على النبي صلى الله عليه وسلم بالإسلام، قال:" اللهم اكفنيهم بسبع كسبع يوسف"، فاصابتهم سنة حصت كل شيء، حتى اكلوا العظام، حتى جعل الرجل ينظر إلى السماء فيرى بينه وبينها مثل الدخان، قال الله: فارتقب يوم تاتي السماء بدخان مبين سورة الدخان آية 10، قال الله: إنا كاشفو العذاب قليلا إنكم عائدون سورة الدخان آية 15، افيكشف عنهم العذاب يوم القيامة، وقد مضى الدخان، ومضت البطشة؟.
Hum se Abdullah bin Zubayr Humaydi ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Muslim ne , un se Masrooq ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke Quraysh ne jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam par iman laane mein takheer ki to Aap ne un ke haq mein bad-dua ki ke Ae Allah! In par Yusuf alaihissalam ke zamana ka sa qaht nazil farma . Chunanche aisa qaht para ke koi cheez nahi milti thi aur woh hadiyon ke khane par majboor ho gaye thay . Logon ki is waqt yeh kaifiyat thi ke aasman ki taraf nazar utha ke dekhte thay to bhook o pyaas ki shiddat se dhuwaan sa nazar aata tha . Allah Ta'ala ne farmaya «fartaqib yawma ta'tis-sama'u bi-dukhaanim mubeenin» ”to Aap intizar kijiye is roz ka jab aasman ki taraf ek nazar aane wala dhuwaan paida ho .“ Aur farmaya «inna kaashiful azhaabi qaleelan innakum aa'idoona» ”beshak hum is azab ko hata lein ge aur tum bhi (apni pehli halat par) laut aao ge .“ Ibn Masood razi Allahu anhu ne kaha ke azab se yahi qaht ka azab murad hai kyunke aakhirat ka azab kafiron se talne wala nahi hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {فَلَمَّا جَاءَهُ الرَّسُولُ قَالَ ارْجِعْ إِلَى رَبِّكَ فَاسْأَلْهُ مَا بَالُ النِّسْوَةِ اللاَّتِي قَطَّعْنَ أَيْدِيَهُنَّ إِنَّ رَبِّي بِكَيْدِهِنَّ عَلِيمٌ قَالَ مَا خَطْبُكُنَّ إِذْ رَاوَدْتُنَّ يُوسُفَ عَنْ نَفْسِهِ قُلْنَ حَاشَى لِلَّهِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Phir jab qaasid un ke paas pahuncha to Yusuf Alaihis Salam ne kaha ke apne aaqa ke paas wapas ja aur us se poochh ke un auraton ka kya haal hai jinhon ne apne haath chhuri se zakhmi kar liye the. Beshak mera Rab un auraton ke fareb se khoob waaqif hai (Badshah ne) kaha (Ay aurato!) tumhara kya waqia hai jab tum ne Yusuf Alaihis Salam se apna matlab nikalne ki khwahish ki thi, woh boleen haasha lillah! hum ne Yusuf Alaihis Salam mein koi aib nahi dekha”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4694
وحاش وحاشى تنزيه واستثناء حصحص وضح
«haasha wa haashaa» (alif ke saath) is ka maani paaki byaan karna aur istisna karna . «hass-hassa» ka maani khul gaya .


Show diacritics
Hadith Number: 4694
حدثنا سعيد بن تليد، حدثنا عبد الرحمن بن القاسم، عن بكر بن مضر، عن عمرو بن الحارث، عن يونس بن يزيد، عن ابن شهاب،عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يرحم الله لوطا، لقد كان ياوي إلى ركن شديد، ولو لبثت في السجن ما لبث يوسف، لاجبت الداعي، ونحن احق من إبراهيم، إذ قال له: اولم تؤمن قال بلى ولكن ليطمئن قلبي سورة البقرة آية 260.
Hum se Saeed bin Tulayd ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Abdur Rahman bin Qasim ne byaan kiya , un se Bakr bin Mudar ne , un se Amr bin al-Harith ne , un se Yunus bin Yazid ne , un se Ibn Shihab ne , un se Saeed bin Musayyab aur Abu Salamah bin Abdur Rahman ne byaan kiya aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Loot alaihissalam par apni rahmat nazil farmaye ke unhon ne ek zabardast sahare ki panah lene ke liye kaha tha aur agar main qaid-khane mein itne dinon tak reh chuka hota jitne din Yusuf alaihissalam rahe thay to bulane wale ki baat radd na karta aur hamain to Ibrahim alaihissalam ke bah-nisbat shakk hona zyada sazawaar hai . Jab Allah Paak ne un se farmaya «awalam tumim qaala bala wa laakin liyat-ma'inna qalbi» ke kya tujh ko yaqeen nahi ? Unhon ne kaha kyun nahi yaqeen to hai par main chahta hoon ke aur itminan ho jaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {حَتَّى إِذَا اسْتَيْأَسَ الرُّسُلُ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Yahan tak ke jab paighambar mayoos ho gaye ke afsos hum logon ki nigahon mein jhoote hue”aakhir tak.
Show diacritics
Hadith Number: 4695
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، عن عائشة رضي الله عنها، قالت له وهو يسالها عن قول الله تعالى: حتى إذا استياس الرسل سورة يوسف آية 110، قال: قلت: اكذبوا ام كذبوا؟ قالت عائشة: كذبوا، قلت: فقد استيقنوا ان قومهم كذبوهم، فما هو بالظن؟ قالت: اجل، لعمري لقد استيقنوا بذلك، فقلت لها: وظنوا انهم قد كذبوا، قالت: معاذ الله، لم تكن الرسل تظن ذلك بربها، قلت: فما هذه الآية؟ قالت: هم اتباع الرسل الذين آمنوا بربهم وصدقوهم، فطال عليهم البلاء، واستاخر عنهم النصر، حتى إذا استياس الرسل ممن كذبهم من قومهم، وظنت الرسل ان اتباعهم قد كذبوهم، جاءهم نصر الله عند ذلك.
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah Oways ne byaan kiya , kaha hum se Ibrahim bin Saad ne byaan kiya , un se Salih bin Kaysan ne , un se Ibn Shihab ne byaan kiya , unhein Urwah bin Zubayr ne khabar di aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya Urwah ne un se aayat «hatta izhas-tay'asar rusulu» ke mutalliq poocha tha . Urwah ne byaan kiya ke main ne poocha tha (aayat mein) «kuzhibu» (takhfeef ke saath) ya «kuzzhibu» (tashdeed ke saath) is par Aisha razi Allahu anha ne kaha ke «kuzzhibu» (tashdeed ke saath) is par main ne un se kaha ke anbiya to yaqeen ke saath jaante thay ke un ki qaum unhein jhutla rahi hai . Phir «zhannu» se kya murad hai , unhon ne kaha apni zindagi ki qasam beshak paighambaron ko is ka yaqeen tha . Main ne kaha «kuzhibu» takhfeef e zhal ke saath parhein to kya qabahat hai . Unhon ne kaha ma'azhallah! Kahin paighambar apne Parvardigar ki nisbat aisa guman kar sakte hain . Main ne kaha achha is aayat ka matlab kya hai ? Unhon ne kaha matlab yeh hai ke paighambaron ko jin logon ne mana un ki tasdeeq ki jab un par ek muddat e daraz tak aafat aur museebat aati rahi aur Allah ki madad aane mein der hui aur paighambar un ke iman laane se na-umeed ho gaye jinon ne un ko jhutlaya tha aur yeh guman karne lage ke jo log iman laye hain ab woh bhi hamain jhoota samajhne lagein ge , is waqt Allah ki madad aan pahunchi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4696
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عروة، فقلت: لعلها، كذبوا، مخففة، قالت: معاذ الله، نحوه.
Hum se Abu al-Yaman Hakam bin Nafi ne byaan kiya , kaha hum ko Shuayb bin Abi Hamzah ne khabar di , un se Zuhri ne byaan kiya , kaha mujhe Urwah bin Zubayr ne khabar di ke main ne Aisha razi Allahu anha se kaha ho sakta hai yeh «kuzhibu» takhfeef e zhal ke saath ho to unhon ne farmaya , ma'azhallah! Phir wahi hadees byaan ki jo oopar guzri .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة الرَّعْدِ:
Bab: Surah Ar-Ra’d ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4697-2
وقال ابن عباس: كباسط كفيه: مثل المشرك الذي عبد مع الله إلها آخر غيره، كمثل العطشان الذي ينظر إلى ظل خياله في الماء من بعيد وهو يريد ان يتناوله ولا يقدر، وقال غيره: سخر: ذلل، متجاورات متدانيات، وقال غيره: المثلات: واحدها مثلة وهي الاشباه والامثال، وقال: إلا مثل ايام الذين خلوا، بمقدار: بقدر، يقال: معقبات: ملائكة حفظة تعقب الاولى منها الاخرى، ومنه قيل: العقيب، اي عقبت في إثره المحال العقوبة، كباسط كفيه إلى الماء: ليقبض على الماء، رابيا: من ربا يربو، او متاع زبد: مثله المتاع ما تمتعت به، جفاء، يقال: اجفات القدر إذا غلت فعلاها الزبد ثم تسكن فيذهب الزبد بلا منفعة فكذلك يميز الحق من الباطل المهاد: الفراش، يدرءون: يدفعون دراته عني دفعته، سلام عليكم: اي يقولون سلام عليكم، وإليه متاب: توبتي، افلم ييئس: افلم يتبين، قارعة: داهية، فامليت: اطلت من الملي والملاوة ومنه مليا، ويقال للواسع الطويل من الارض ملى من الارض، اشق: اشد من المشقة، معقب: مغير، وقال مجاهد: متجاورات: طيبها وخبيثها السباخ، صنوان: النخلتان او اكثر في اصل واحد، وغير صنوان: وحدها، بماء واحد: كصالح بني آدم وخبيثهم، ابوهم واحد، السحاب الثقال الذي فيه الماء، كباسط كفيه إلى الماء، يدعو الماء بلسانه، ويشير إليه بيده، فلا ياتيه ابدا، فسالت اودية بقدرها: تملا بطن كل واد، زبدا رابيا: الزبد زبد السيل، زبد مثله خبث الحديد والحلية.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «ka-baasiti kaffayhi» yeh mushrik ki misal hai jo Allah ke siwa doosron ki pooja karta hai jaise pyaasa aadmi pani ka tasawwur kar ke door se pani ki taraf hath barhaye aur is ko na le sake . Doosre logon ne kaha «sakh-khara» ke maani tabedar kiya , musakh-khar kiya . «mutajawiraatun» ek doosre se milay huay , qareeb qareeb . «al-masulaatu» , «masulatun» ki jama hai yani jora aur mushaba . Aur doosri aayat mein hai «illa misla ayyamillazhina khalaw» magar mushaba dinon in logon ke jo pehle guzar gaye «bi-miqdarin» yani andaze se , jorr se . «mu'aqqibaatun» nigahban farishte jo ek doosre ke baad baari baari aate rehte hain , isi se «aqeebun» ka lafz nikla hai . Arab log kehte hain «aqabtu fee isrihi» yani main ne is ke nishaan e qadam par peeche peeche gaya . «al-mihaalu» azab . «ka-baasiti kaffayhi ilal ma'i» jo donon hath barha kar pani lena chahe . «raabiyan» , «raba» , «yarbu» se nikla hai yani barhne wala ya oopar tairne wala . «al-mata'u» jis cheez se tu faida uthaye usay kaam mein laye . «jufa'an» , «ajfa'at-il-qidru» se nikla hai yani haandi ne josh maara jhaag oopar aa gaya phir jab haandi thandi hoti hai to phain jhaag bekar sookh kar fana ho jata hai . Haq baatil se isi tarah juda ho jata hai . «al-mihaadu» bichhona . «yadra'oona» dhakelte hain , dafa karte hain yeh «dara'tuhu» se nikla hai yani main ne is ko door kiya , dafa kar diya . «salamun alaykum» yani farishte Musalmanon ko kehte jayein ge tum salamat raho . «wa ilayhi mataabi» main isi ki dargaah mein tauba karta hoon . «afalam yay'asi» kya unhon ne nahi jaana . «qariatun» aafat , museebat . «fa-amlaytu» main ne dheela chhora , mohlat di yeh lafz «maliyyun» aur «malawatun» se nikla hai . Isi se nikla hai jo Jibraeel ki hadees mein hai . «falabistu maliyyan» (ya Quran mein hai) «wahjurni maliyyan» aur kushada lambi zameen ko «malaa» kehte hain . «ashaqqu» , «af-alut-tafseeli» ka sigha hai mushaqqat se yani bahut sakht . «mu'aqqiba la mu'aqqiba li-hukmihi» mein yani nahi badalne wala aur Mujahid ne kaha «mutajawiraatun» ka maani yeh hai ke baaze qate umdah qabil e zara'at hain baaz kharab shore khare hain . «sinwanun» woh khajoor ke darakht jin ki jarr mili hui ho (ek hi jarr par kharay hon) . «ghayra sinwanin» alag alag jarr par sab hi ek pani se ugte hain (ek hi hawa se ek hi zameen mein) aadmiyon ki bhi yahi misal hai koi achha koi bura haalan ke sab ek baap Adam ki aulad hain . «as-sahabas-siqaala» woh baadal jin mein pani bhara hua ho aur woh pani ke bojh se bhaari bhar-kam hon . «ka-baasiti kaffayhi» yani is shakhs ki tarah jo door se hath phaila kar pani ko zaban se bulaye , hath se is ki taraf isharah kare is surat mein pani kabhi is ki taraf nahi aaye ga . «saalat awdiyatun bi-qadariha» yani naale apne andaze se behte hain yani pani bhar kar «zabadan raabiyan» se murad behte pani ka phain jhaag «zabadum misluhu» se lohe , zewaraat waghaira ka phain jhaag murad hai . Lafz «mu'aqqibaatun» se murad yeh hai ke raat ke farishte alag aur din ke alag hain .