الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {وَمَا جَعَلْنَا الرُّؤْيَا الَّتِي أَرَيْنَاكَ إِلاَّ فِتْنَةً لِلنَّاسِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Yani (Mi’raj ki raat mein) hum ne jo jo manazir dikhaaye the, un ko hum ne un logon ki azmaish ka sabab bana diya”.
Hadith Number: 4716
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن عمرو، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنه، وما جعلنا الرؤيا التي اريناك إلا فتنة للناس سورة الإسراء آية 60، قال:" هي رؤيا عين، اريها رسول الله صلى الله عليه وسلم ليلة اسري به، والشجرة الملعونة سورة الإسراء آية 60، شجرة الزقوم".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Amr bin Dinar ne , un se Ikrimah ne aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke aayat «wa ma jaalnar-ru'yallati araynaka illa fitnatal lin-naasi» mein «ru'ya» se aankh ka dekhna murad hai (bedari mein na ke khwab mein) yani woh jo Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko Shab e Meraj mein dikhaya gaya aur «shajartul maloonatu» se thohar ka darakht murad hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {إِنَّ قُرْآنَ الْفَجْرِ كَانَ مَشْهُودًا}:
Bab: Ayat ki tafseer yani“Beshak subh ki namaz (farishton ki haaziri) ka waqt hai”.
Hadith Number: Q4717
قال مجاهد: صلاة الفجر.
Mujahid ne kaha ke (Quran e Fajr se murad) Fajr ki namaz hai .“
Hadith Number: 4717
حدثني عبد الله بن محمد، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن ابي سلمة، وابن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" فضل صلاة الجميع على صلاة الواحد خمس وعشرون درجة، وتجتمع ملائكة الليل وملائكة النهار في صلاة الصبح". يقول ابو هريرة: اقرءوا إن شئتم وقرءان الفجر إن قرءان الفجر كان مشهودا سورة الإسراء آية 78.
Mujh se Abdullah bin Muhammad Musandi ne byaan kiya , kaha hum se Abdur Razzaq bin Hammam ne byaan kiya , kaha hum ko Mamar ne khabar di , unhein Zuhri ne , unhein Abu Salamah bin Abdur Rahman bin Auf aur Saeed bin Musayyab aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tanha namaz parhne ke muqable mein jama'at se namaz parhne ki fazeelat pachees guna zyada hai aur subah ki namaz mein raat ke aur din ke farishte ikathe ho jate hain . Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha ke agar tumhara jee chahe to yeh aayat parh lo «wa qur-aanal fajri inna qur-aanal fajri kana mash-hoodan» yani Fajr mein qirat e Quran zyada kiya karo kyunke yeh namaz farishton ki haziri ka waqt hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {عَسَى أَنْ يَبْعَثَكَ رَبُّكَ مَقَامًا مَحْمُودًا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Qareeb hai ke Aap ka Parwardigar Aap ko Maqam-e-Mahmood mein uthaye ga”.
Hadith Number: 4718
حدثني إسماعيل بن ابان، حدثنا ابو الاحوص، عن آدم بن علي، قال: سمعت ابن عمر رضي الله عنهما، يقول:" إن الناس يصيرون يوم القيامة جثا كل امة تتبع نبيها، يقولون: يا فلان، اشفع يا فلان، اشفع حتى تنتهي الشفاعة إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فذلك يوم يبعثه الله المقام المحمود".
Mujh se Ismail bin Aban ne byaan kiya , kaha hum se Abu al-Ahwas (Salam bin Saleem) ne byaan kiya , un se Adam bin Ali ne byaan kiya aur unhon ne Ibn Umar razi Allahu anhuma se suna , unhon ne byaan kiya ke Qayamat ke din ummatein giroh dar giroh chalein gi . Har ummat apne Nabi ke peeche ho gi aur (anbiya se) kahe gi ke Ae falan! Hamari shafaat karo (magar woh sab hi inkar kar dein ge) aakhir shafaat ke liye Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hon ge to yahi woh din hai jab Allah Ta'ala Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko Maqam e Mahmood ata farmaye ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4719
حدثنا علي بن عياش، حدثنا شعيب بن ابي حمزة، عن محمد بن المنكدر، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" من قال حين يسمع النداء اللهم رب هذه الدعوة التامة، والصلاة القائمة، آت محمدا الوسيلة والفضيلة، وابعثه مقاما محمودا الذي وعدته، حلت له شفاعتي يوم القيامة". رواه حمزة بن عبد الله، عن ابيه، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Ali bin Ayash ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shuayb bin Abi Hamzah ne byaan kiya , un se Muhammad bin Munkadir ne byaan kiya aur un se Jabir bin Abdullah Ansari razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne azaan sun kar yeh dua parhi «allahumma rabba haazhihid-dawatit-taammati wassalatil qa'imati , aati Muhammadanil waseelata wal fadeelata , wab-as-hu maqaamam mahmoodanillazhi wa-adtahu , hallat lahu shafa'ati yawmal qiyamati» ”Ae Allah! Is kamil pukaar ke Rabb aur khari hone wali namaz ke Rabb! Muhammad (salla Allahu alaihi wasallam) ko qurb aur fazeelat ata farma aur unhein Maqam e Mahmood par khara kijo . Jis ka tu ne un se waada kiya hai .“ To is ke liye Qayamat ke din meri shafaat zaroori ho gi . Is hadees ko Hamzah bin Abdullah ne bhi apne walid (Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma) se riwayat kiya hai aur unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَقُلْ جَاءَ الْحَقُّ وَزَهَقَ الْبَاطِلُ إِنَّ الْبَاطِلَ كَانَ زَهُوقًا} يَزْهَقُ يَهْلِكُ:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur Aap keh den ke haq (ab to ghalib) aa hi gaya aur baatil mit hi gaya, beshak baatil to mitne wala hi tha” «yazhaq» ke ma’ni halaak hua.
Hadith Number: 4720
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، عن ابن ابي نجيح، عن مجاهد، عن ابي معمر، عن عبد الله بن مسعود رضي الله عنه، قال: دخل النبي صلى الله عليه وسلم مكة وحول البيت ستون وثلاث مائة نصب، فجعل يطعنها بعود في يده، ويقول:" جاء الحق وزهق الباطل إن الباطل كان زهوقا جاء الحق وما يبدئ الباطل وما يعيد".
Hum se Abdullah bin Zubayr Humaydi ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Abdullah Ibn Abi Najih ne , un se Mujahid ne , un se Abu Mamar ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab Makkah mein (fatah ke baad) dakhil huay to Kaaba ke charon taraf teen sau saath but thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apne hath ki lakri se ek ko takrate jate aur parhte jate «jaa'al haqqu wa zhahaqal baatilu innal baatila kaana zhahooqan» , «jaa'al haqqu wa ma yubdi'ul baatilu wa ma yueedu» haq aaya aur jhoot nabood hua beshak jhoot nabood hone wala hi tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَيَسْأَلُونَكَ عَنِ الرُّوحِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur Aap se ye log rooh ki babat poochhte hain”.
Hadith Number: 4721
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:" بينا انا مع النبي صلى الله عليه وسلم في حرث وهو متكئ على عسيب، إذ مر اليهود، فقال بعضهم لبعض: سلوه عن الروح؟ فقال: ما رايكم إليه؟ وقال بعضهم: لا يستقبلكم بشيء تكرهونه، فقالوا سلوه؟ فسالوه عن الروح، فامسك النبي صلى الله عليه وسلم، فلم يرد عليهم شيئا، فعلمت انه يوحى إليه، فقمت مقامي، فلما نزل الوحي، قال: ويسالونك عن الروح قل الروح من امر ربي وما اوتيتم من العلم إلا قليلا سورة الإسراء آية 85".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne byaan kiya , kaha hum se mere walid ne , kaha hum se Aamash ne , kaha ke mujh se Ibrahim Nakhai ne byaan kiya , un se Alqamah ne , un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath ek khet mein hazir tha Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is waqt khajoor ke ek tanay par taik lagaye huay thay ke kuch Yahudi is taraf se guzre . Kisi Yahudi ne apne doosre saathi se kaha ke in se rooh ke baare mein poocho . In mein se kisi ne is par kaha aisa kyun karte ho ? Doosra Yahudi bola . Kahin woh koi aaisi baat na keh dein , jo tum ko napasand ho . Rai is par thehri ke rooh ke baare mein poochna hi chahiye . Chunanche unhon ne Aap se is ke baare mein sawal kiya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam thori der ke liye khamosh ho gaye aur un ki baat ka koi jawab nahi diya . Main samajh gaya ke is waqt Aap salla Allahu alaihi wasallam par wahi utar rahi hai . Is liye main wahin khara raha . Jab wahi khatam hui to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is aayat ki tilawat ki «wa yas'aloonaka anir-roohi qulir-roohu min amri rabbi wa ma ooteetum minal ilmi illa qaleelan» ke ”aur yeh Aap se rooh ke baare mein sawal karte hain . Aap keh dein ke rooh mere Parvardigar ke hukm hi se hai aur tumhein ilm to thora hi diya gaya hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَلاَ تَجْهَرْ بِصَلاَتِكَ وَلاَ تُخَافِتْ بِهَا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur Aap namaz mein na to bohot pukar kar parhen aur na (bilkul) chupke hi chupke parhen”.
Hadith Number: 4722
حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا هشيم، حدثنا ابو بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، في قوله تعالى: ولا تجهر بصلاتك ولا تخافت بها سورة الإسراء آية 110، قال:" نزلت ورسول الله صلى الله عليه وسلم مختف بمكة، كان إذا صلى باصحابه رفع صوته بالقرآن، فإذا سمعه المشركون سبوا القرآن، ومن انزله، ومن جاء به، فقال الله تعالى لنبيه صلى الله عليه وسلم: ولا تجهر بصلاتك سورة الإسراء آية 110 اي بقراءتك، فيسمع المشركون، فيسبوا القرآن، ولا تخافت بها سورة الإسراء آية 110 عن اصحابك، فلا تسمعهم، وابتغ بين ذلك سبيلا".
Hum se Yaqoob bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha hum se Hushaym bin Bashir ne byaan kiya , kaha hum se Abu Bishr ne byaan kiya , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne Allah Ta'ala ke irshad «wa la tajhar bi-salatika wa la tukhaafit biha» ”aur Aap namaz mein na to bahut pukar kar parh-ye aur na (bilkul) chupke hi chupke“ ke mutalliq farmaya ke yeh aayat is waqt nazil hui thi jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Makkah mein (kafiron ke darr se) chhupay rehte to is zamana mein jab Aap apne sahabah ke saath namaz parhte to Quran Majeed ki tilawat buland aawaz se karte , mushrikeen sunte to Quran ko bhi gaali dete aur is ke nazil karne wale aur is ke laane wale ko bhi . Isi liye Allah Ta'ala ne apne Nabi se kaha ke Aap namaz na to bahut pukar kar parhein (yani qirat khoob jahar ke saath na karein) ke mushrikeen sun kar gaaliyan dein aur na bilkul chupke hi chupke ke Aap ke sahabah bhi na sun sakein , balkay darmiyani aawaz mein parha karein .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4723
حدثني طلق بن غنام، حدثنا زائدة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" انزل ذلك في الدعاء".
Mujh se Talq bin Ghannam ne byaan kiya , kaha hum se Za'ida bin Qudamah ne byaan kiya , un se Hisham bin Urwah ne , un se un ke walid ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke yeh aayat dua ke silsile mein nazil hui hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة الْكَهْفِ:
Bab: Surah Al-Kahf ki tafseer.
Hadith Number: Q4724
وقال مجاهد: تقرضهم: تتركهم، وكان له ثمر: ذهب وفضة، وقال غيره: جماعة الثمر، باخع، مهلك، اسفا: ندما الكهف الفتح في الجبل، والرقيم الكتاب مرقوم مكتوب من الرقم، ربطنا على قلوبهم: الهمناهم صبرا، لولا ان ربطنا على قلبها شططا: إفراطا الوصيد الفناء جمعه، وصائد ووصد، ويقال الوصيد الباب، مؤصدة: مطبقة آصد الباب، واوصد، بعثناهم: احييناهم، ازكى: اكثر، ويقال: احل، ويقال: اكثر ريعا، قال ابن عباس: اكلها ولم تظلم: لم تنقص، وقال سعيد، عن ابن عباس: الرقيم اللوح من رصاص كتب عاملهم اسماءهم، ثم طرحه في خزانته، فضرب الله على آذانهم فناموا، وقال غيره: والت تئل تنجو، وقال مجاهد: موئلا: محرزا، لا يستطيعون سمعا: لا يعقلون.
Hum se Ali bin Abdullah ne byaan kiya , kaha hum se Yaqoob bin Ibrahim bin Saad ne byaan kiya , kaha hum se mere walid ne byaan kiya , un se Salih ne , un se Ibn Shihab ne , kaha mujhe Ali bin Husain ne khabar di , unhein Husain bin Ali razi Allahu anhuma ne khabar di aur unhein Ali razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam raat ke waqt un ke aur Fatima razi Allahu anha ke ghar aaye aur farmaya . Tum log tahajjud ki namaz nahi parhte (aakhir hadees tak) . «rajman bil-ghaybi» yani suni sunayi aur un ko khud kuch ilm nahi . «furutan» nadamat , sharmindagi . «suradiquha» yani qanaton ki tarah sab taraf se un ko aag gher le gi jaise kothri ko sab taraf se khaime gher lete hain . «yuhaawiruhu» , «muhaawaratun» se nikla hai yani guftagu karna , takrar karna . «laakinna huwallahu rabbi» asal mein «laakin ana huwallahu rabbi» tha «ana» ka hamza hazf kar ke noon ko noon mein idgham kar diya «laakinna» ho gaya . «khilaala-huma naharan» yani «baynahuma» un ke beech mein . «zalaqan» chakna , saaf jis par paon phisle (jame nahi) . «hunaalika-l-wilayatu» , «wilayatun» , «waliyyun» ka masdar hai . «uquban» , «aaqibatun» isi tarah «uqba» aur «uqubatun» sab ka ek hi maani hai yani aakhirat . «qubulan» aur «qibalun» aur «qubulun» (teenon tarah parha hai) yani samne aana . «liyudhidu» , «dahadun» se nikla hai yani phislana (matlab yeh hai ke haq baat ko nahaq karein) .