الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {وَكَانَ الإِنْسَانُ أَكْثَرَ شَيْءٍ جَدَلاً}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur insaan sab cheez se barh kar jhagrallu hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4724
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا يعقوب بن إبراهيم بن سعد، حدثنا ابي، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني علي بن حسين، ان حسين بن علي اخبره، عن علي رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم طرقه وفاطمة، قال:" الا تصليان؟". رجما بالغيب: لم يستبن، فرطا: يقال ندما، سرادقها: مثل السرادق والحجرة التي تطيف بالفساطيط يحاوره من المحاورة، لكنا هو الله ربي: اي لكن انا هو الله ربي، ثم حذف الالف وادغم إحدى النونين في الاخرى، وفجرنا خلالهما نهرا، يقول: بينهما، زلقا: لا يثبت فيه قدم، هنالك الولاية: مصدر الولي، عقبا: عاقبة، وعقبى وعقبة واحد وهي الآخرة قبلا، وقبلا وقبلا استئنافا، ليدحضوا: ليزيلوا الدحض الزلق".
Lafz «huquban» ke maani zamana , is ki jama «ahqaabun» aati hai (baazon ne kaha ke ek «huqubun» sattar ya assi saal ka hota hai) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَإِذْ قَالَ مُوسَى لِفَتَاهُ لاَ أَبْرَحُ حَتَّى أَبْلُغَ مَجْمَعَ الْبَحْرَيْنِ أَوْ أَمْضِيَ حُقُبًا}:
Bab: Ayat «wa iz qaala Musa li-fataahu la abrahu hatta ablugha majma’al bahrayni aw amdi huquba» ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4725
زمانا وجمعه احقاب.
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di , unhein Ibn Jareer ne khabar di , kaha ke mujhe Yala bin Muslim aur Amr bin Dinar ne khabar di Saeed bin Jubayr se , donon mein se ek apne saathi aur digar rawi ke muqabla mein baaz alfaz zyada kehta hai aur un ke alawa ek aur sahab ne bhi Saeed bin Jubayr se sun kar byaan kiya ke unhon ne kaha hum Ibn Abbas razi Allahu anhuma ki khidmat mein un ke ghar hazir thay . Unhon ne farmaya ke deen ki baatein mujh se kuch poocho . Main ne arz kiya: Ae Abu al-Abbas! Allah Aap par mujhe qurban kare Kufa mein ek waa-iz shakhs Nauf naami (Nauf Bakali) hai aur woh kehta hai ke Musa , Khidr alaihissalam se milne wale woh nahi thay jo Bani Israeel ke paighambar Musa alaihissalam huay hain (Ibn Jurayj ne byaan kiya ke) Amr bin Dinar ne to riwayat is tarah byaan ki ke Ibn Abbas ne kaha dushman e Khuda jhooti baat kehta hai aur Yala bin Muslim ne apni riwayat mein is tarah mujh se byaan kiya ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke mujh se Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu ne byaan kiya , kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Musa alaihissalam Allah ke Rasool thay ek din Aap ne logon (Bani Israeel) ko aisa waaz farmaya ke logon ki aankhon se aansu nikal pare aur dil paseej gaye to Aap wapas jaane ke liye mure . Is waqt ek shakhs ne in se poocha: Ae Allah ke Rasool! Kya duniya mein Aap se bara koi aalim hai ? Unhon ne kaha ke nahi , is par Allah ne Musa alaihissalam par itab nazil kiya , kyunke unhon ne ilm ki nisbat Allah Ta'ala ki taraf nahi ki thi . (un ko yun kehna chahiye tha ke Allah hi jaanta hai) . In se kaha gaya ke haan tum se bhi bara aalim hai . Musa alaihissalam ne arz kiya , Ae Parvardigar! Woh kahan hai . Allah ne farmaya jahan (Faaris aur Room ke) do darya milay hain . Musa alaihissalam ne arz kiya: Ae Parvardigar! Mere liye un ki koi nishani aaisi batla de ke main in tak pahunch jaoon . Ab Amr bin Dinar ne mujh (Ibn Jurayj) se byaan kiya ke Allah Ta'ala ne farmaya , jahan tum se machhli tumhari zanbeel se chal de (wahin woh milein ge) aur Yala ne hadees is tarah byaan ki ke ek murdah machhli saath le lo , jahan is machhli mein jaan par jaye (wahin woh milein ge) Musa alaihissalam ne machhli saath le li aur usay ek zanbeel mein rakh liya . Aap ne apne saathi Yoosha se farmaya ke main bas tumhein itni takleef deta hoon ke jab yeh machhli zanbeel se nikal kar chal de to mujhe batana . Unhon ne arz kiya ke yeh kaun si bari takleef hai . Isi ki taraf isharah hai Allah Ta'ala ke irshad «wa izh qaala Musa lifataahu» mein woh «fata» (rafeeq e safar) Yoosha Ibn Noon thay . Saeed bin Jubayr (rawi e hadees) ne apni riwayat mein Yoosha bin Noon ka naam nahi liya . Byaan kiya ke phir Musa alaihissalam ek chatan ke saya mein thehar gaye jahan nami aur thand thi . Is waqt machhli tarpi aur darya mein kood gayi . Musa alaihissalam so rahe thay is liye Yoosha ne socha ke Aap ko jagana na chahiye . Lekin jab Musa alaihissalam bedar huay to machhli ka haal kehna bhool gaye . Isi arsa mein machhli tarap kar pani mein chali gayi . Allah Ta'ala ne machhli ki jagah pani ke bahao ko rok diya aur machhli ka nishan patthar par jis par se gayi thi ban gaya . Amr bin Dinar ne mujh (Ibn Jurayj) se byaan kiya ke is ka nishan patthar pe ban gaya aur donon angoothon aur kalma ki ungliyon ko mila kar ek halqa ki tarah is ko bataya . Bedar hone ke baad Musa alaihissalam baqi din aur baqi raat chalte rahe . Aakhir kehne lage . Hamain ab is safar mein thakan ho rahi hai . Un ke khadim ne arz kiya . Allah ne Aap ki thakan ko door kar diya hai (aur machhli zinda ho gayi hai) . Ibn Jurayj ne byaan kiya ke yeh tukra Saeed bin Jubayr ki riwayat mein nahi hai . Phir Musa alaihissalam aur Yoosha donon wapas laute aur Khidr alaihissalam se mulaqat hui (Ibn Jurayj ne kaha) mujh se Usman bin Abi Sulayman ne byaan kiya ke Khidr alaihissalam darya ke beech mein ek chhotay se sabz zeen-posh par tashreef rakhte thay . Aur Saeed bin Jubayr ne yun byaan kiya ke woh apne kapre se tamam jism lipeite huay thay . Kapre ka ek kinara un ke paon ke neeche tha aur doosra sar ke tallay tha . Musa alaihissalam ne pahunch kar salam kiya to Khidr alaihissalam ne apna chehra khola aur kaha , meri is zameen mein salam ka rawaj kahan se aa gaya . Aap kaun hain ? Musa alaihissalam ne farmaya ke main Musa hoon . Poocha , Musa Bani Israeel ? Farmaya ke haan! Poocha , Aap kyun aaye hain ? Farmaya ke mere aane ka maqsad yeh hai ke jo hidayat ka ilm Aap ko Allah ne diya hai woh mujhe bhi sikha dein . Is par Khidr alaihissalam ne farmaya ke Musa kya Aap ke liye yeh kafi nahi hai is ka poora seekhna Aap ke liye munasib nahi hai . Isi tarah Aap ko jo ilm haasil hai is ka poora seekhna mere liye munasib nahi . Is arsa mein ek chariya ne apni chonch se darya ka pani liya to Khidr alaihissalam ne farmaya: Allah ki qasam! Mera aur Aap ka ilm Allah ke ilm ke muqable mein is se zyada nahi hai . Jitna is chariya ne darya ka pani apni chonch mein liya hai . Kashti par charhne ke waqt unhon ne chhoti chhoti kashtiyaan dekhein jo ek kinare walon ko doosre kinare par le ja kar chhor aati thien . Kashti walon ne Khidr alaihissalam ko pehchan liya aur kaha ke yeh Allah ke salih bande hain hum in se kiraya nahi lein ge . Lekin Khidr alaihissalam ne kashti mein shigaaf kar diye aur is mein (takhton ki jagah) keelein gaarr dien . Musa alaihissalam ne kaha Aap ne is liye isay phaar dala ke is ke musafiron ko dubo dein . Bilashubha Aap ne yeh bara nagowar kaam kiya hai . Mujahid ne aayat mein «imran» ka tarjuma «munkaran» kiya hai . Khidr alaihissalam ne farmaya main ne pehle hi na kaha tha ke Aap mere saath sabr nahi kar sakte . Musa alaihissalam ka pehla sawal to bhoolne ki wajah se tha lekin doosra bataur shart tha aur teesra qasdan unhon ne kiya tha . Musa alaihissalam ne is pehle sawal par kaha ke jo main bhool gaya is par mujh se muakhizha na kijiye aur mere muamla mein tangi na kijiye . Phir unhein ek bacha mila to Khidr alaihissalam ne usay qatl kar diya . Yala ne byaan kiya ke Saeed bin Jubayr ne kaha ke Khidr alaihissalam ko chand bache milay jo khel rahe thay Aap ne in mein se ek bacha ko pakra jo kafir aur chalak tha aur usay lita kar chhuri se zibah kar diya . Musa alaihissalam ne farmaya , Aap ne bila kisi khoon ke ek be-gunah jaan ko jis ne ke bura kaam nahi kiya tha , qatl kar dala . Ibn Abbas razi Allahu anhuma aayat mein «zakiyyatan» ki jagah «zaakiyatan» parha karte thay . Bamaani «muslimatan» jaise «ghulaman zakiyyan» mein hai . Phir woh donon buzurg aage barhay to ek diwar par nazar pari jo bas girne hi wali thi . Khidr alaihissalam ne usay theek kar diya . Saeed bin Jubayr ne apne hath se isharah kar ke bataya ke is tarah . Yala bin Muslim ne byaan kiya mera khayal hai ke Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke Khidr ne diwar par hath pher kar usay theek kar diya . Musa alaihissalam ne farmaya ke agar Aap chahte to is par ujrat le sakte thay . Saeed bin Jubayr ne is ki tashreeh ki ke ujrat jise hum kha sakte . Aayat «wa kaana wara'ahum» ki Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne qirat «wa kaana amamahum» ki yani kashti jahan ja rahi thi is mulk mein ek baadshah tha . Saeed ke siwa doosre rawi se is baadshah ka naam Hudad bin Budad naqal karte hain aur jis bacha ko Khidr alaihissalam ne qatl kiya tha is ka naam log Jaysoor byaan karte hain . Woh baadshah har (nayi) kashti ko zabardasti chheen liya karta tha . Is liye main ne chaha ke jab yeh kashti is ke samne se guzre to is ke is aib ki wajah se usay na chheene . Jab kashti wale is baadshah ki sultant se guzar jayein ge to woh khud usay theek kar lein ge aur usay kaam mein laate rahein ge . Baaz logon ka to yeh khayal hai ke unhon ne kashti ko phir seesa laga kar jorra tha aur baaz kehte hain ke taar-kol se jorra tha (aur jis bacha ko qatl kar diya tha) to is ke walidain momin thay aur woh bacha (Allah ki taqdeer mein) kafir tha . Is liye hamain darr tha ke kahin (bara ho kar) woh unhein bhi kufr mein mubtala na kar de ke apne larke se intihaayi mohabbat unhein is ke deen ki ittiba par majboor kar de . Is liye hum ne chaha ke Allah is ke badle mein unhein koi naik aur is se behtar aulad de . «wa aqraba ruhman» yani is ke walidain is bacha par jo ab Allah Ta'ala unhein de ga pehle se zyada behtar meherban hon jise Khidr alaihissalam ne qatl kar diya hai . Saeed bin Jubayr razi Allahu anhu ne kaha ke in walidain ko is bache ke badle ek larki di gayi thi . Dawood bin Abi Aasim rahmahullah kai rawiyon se naqal karte hain ke woh larki hi thi .


Show diacritics
Hadith Number: 4725
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا عمرو بن دينار، قال: اخبرني سعيد بن جبير، قال: قلت لابن عباس: إن نوفا البكالي يزعم ان موسى صاحب الخضر ليس هو موسى صاحب بني إسرائيل، فقال ابن عباس: كذب عدو الله، حدثني ابي بن كعب، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول:" إن موسى قام خطيبا في بني إسرائيل، فسئل اي الناس اعلم؟ فقال: انا، فعتب الله عليه إذ لم يرد العلم إليه، فاوحى الله إليه إن لي عبدا بمجمع البحرين هو اعلم منك، قال موسى: يا رب، فكيف لي به؟ قال: تاخذ معك حوتا فتجعله في مكتل، فحيثما فقدت الحوت فهو، ثم فاخذ حوتا فجعله في مكتل، ثم انطلق وانطلق معه بفتاه يوشع بن نون حتى إذا اتيا الصخرة وضعا رءوسهما فناما، واضطرب الحوت في المكتل، فخرج منه، فسقط في البحر، فاتخذ سبيله في البحر سربا، وامسك الله عن الحوت جرية الماء، فصار عليه مثل الطاق، فلما استيقظ نسي صاحبه ان يخبره بالحوت، فانطلقا بقية يومهما وليلتهما حتى إذا كان من الغد، قال موسى لفتاه: آتنا غداءنا لقد لقينا من سفرنا هذا نصبا، قال ولم يجد موسى النصب حتى جاوزا المكان الذي امر الله به، فقال له فتاه: ارايت إذ اوينا إلى الصخرة، فإني نسيت الحوت وما انسانيه إلا الشيطان ان اذكره، واتخذ سبيله في البحر عجبا، قال: فكان للحوت سربا ولموسى ولفتاه عجبا، فقال موسى: ذلك ما كنا نبغي، فارتدا على آثارهما قصصا، قال: رجعا يقصان آثارهما حتى انتهيا إلى الصخرة، فإذا رجل مسجى ثوبا فسلم عليه موسى، فقال الخضر: وانى بارضك السلام، قال: انا موسى، قال موسى: بني إسرائيل؟ قال: نعم، اتيتك لتعلمني مما علمت رشدا، قال: إنك لن تستطيع معي صبرا يا موسى، إني على علم من علم الله علمنيه لا تعلمه انت، وانت على علم من علم الله علمك الله لا اعلمه، فقال موسى: ستجدني إن شاء الله صابرا، ولا اعصي لك امرا، فقال له الخضر: فإن اتبعتني فلا تسالني عن شيء حتى احدث لك منه ذكرا، فانطلقا يمشيان على ساحل البحر، فمرت سفينة، فكلموهم ان يحملوهم، فعرفوا الخضر، فحملوهم بغير نول، فلما ركبا في السفينة لم يفجا إلا والخضر قد قلع لوحا من الواح السفينة بالقدوم، فقال له موسى: قوم حملونا بغير نول عمدت إلى سفينتهم، فخرقتها لتغرق اهلها، لقد جئت شيئا إمرا، قال: الم اقل إنك لن تستطيع معي صبرا؟ قال: لا تؤاخذني بما نسيت، ولا ترهقني من امري عسرا، قال: وقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" وكانت الاولى من موسى نسيانا"، قال: وجاء عصفور فوقع على حرف السفينة، فنقر في البحر نقرة، فقال له الخضر: ما علمي وعلمك من علم الله، إلا مثل ما نقص هذا العصفور من هذا البحر، ثم خرجا من السفينة، فبينا هما يمشيان على الساحل إذ ابصر الخضر غلاما يلعب مع الغلمان، فاخذ الخضر راسه بيده، فاقتلعه بيده، فقتله، فقال له موسى: اقتلت نفسا زاكية بغير نفس لقد جئت شيئا نكرا، قال: الم اقل لك إنك لن تستطيع معي صبرا؟ قال:" وهذه اشد من الاولى"، قال: إن سالتك عن شيء بعدها فلا تصاحبني قد بلغت من لدني عذرا، فانطلقا حتى إذا اتيا اهل قرية استطعما اهلها، فابوا ان يضيفوهما، فوجدا فيها جدارا يريد ان ينقض، قال: مائل، فقام الخضر، فاقامه بيده، فقال موسى: قوم اتيناهم فلم يطعمونا، ولم يضيفونا، لو شئت لاتخذت عليه اجرا، قال: هذا فراق بيني وبينك إلى قوله ذلك تاويل ما لم تسطع عليه صبرا سورة الكهف آية 78 - 82، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" وددنا ان موسى كان صبر حتى يقص الله علينا من خبرهما"، قال سعيد بن جبير: فكان ابن عباس يقرا وكان امامهم ملك ياخذ كل سفينة صالحة غصبا، وكان يقرا واما الغلام فكان كافرا، وكان ابواه مؤمنين.
Hum se Abdullah bin Zubayr Humaydi ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , kaha hum se Amr bin Dinar ne byaan kiya , kaha ke mujhe Saeed bin Jubayr ne khabar di , kaha ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se kaha Nauf Bakali kehta hai (jo Kabb Ahbar ka raheeb tha) ke jin Musa ki Khidr ke saath mulaqat hui thi woh Bani Israeel ke (Rasool) Musa ke alawa doosre hain . (yani Musa bin Maytha bin Afra'eem bin Yusuf bin Yaqoob) Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha dushman e Khuda ne ghalat kaha . Mujh se Ubayy bin Kabb ne byaan kiya ke unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna , Aap salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay ke Musa alaihissalam Bani Israeel ko waaz sunane ke liye kharay huay to in se poocha gaya ke insanon mein sab se zyada ilm kise hai ? Unhon ne farmaya ke mujhe . Is par Allah Ta'ala ne in par ghussa kiya kyunke unhon ne ilm ko Allah Ta'ala ki taraf mansoob nahi kiya tha . Allah Ta'ala ne unhein wahi ke zariye bataya ke do daryaon (Faaris aur Room) ke sangam par mera ek banda hai jo tum se zyada ilm rakhta hai . Musa alaihissalam ne arz kiya: Ae Rabb! Main in tak kaise pahunch paoon ga ? Allah Ta'ala ne bataya ke apne saath ek machhli le lo aur usay ek zanbeel mein rakh lo , woh jahan gum ho jaye (zinda ho kar darya mein kood jaye) bas mera woh banda wahin mile ga chunanche Aap ne machhli li aur zanbeel mein rakh kar rawana huay . Aap ke saath Aap ke khadim Yoosha bin Noon bhi thay . Jab yeh donon chatan ke paas aaye to sar rakh kar so gaye , idhar machhli zanbeel mein tarpi aur is se nikal gayi aur is ne darya mein apna rasta pa liya . Machhli jahan giri thi Allah Ta'ala ne wahan pani ki rawani ko rok diya aur pani ek taaq ki tarah is par ban gaya (yeh haal Yoosha apni aankhon se dekh rahe thay) phir jab Musa alaihissalam bedar huay to Yoosha un ko machhli ke mutalliq batana bhool gaye . Is liye din aur raat ka jo hissa baqi tha is mein chalte rahe , doosre din Musa alaihissalam ne apne khadim se farmaya ke ab khana lao , hamain safar ne bahut thaka diya hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Musa alaihissalam is waqt tak nahi thake jab tak woh is maqam se na guzar chuke jis ka Allah Ta'ala ne unhein hukm diya tha . Ab in ke khadim ne kaha Aap ne nahi dekha jab hum chatan ke paas thay to machhli ke mutalliq batana bhool gaya tha aur sirf Shaytan ne yaad rehne nahi diya . Is ne to ajeeb tariqa se apna rasta bana liya tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya: machhli ne to darya mein apna rasta liya aur Musa aur un ke khadim ko (machhli ka jo nishan pani mein ab tak maujood tha) dekh kar tajub hua . Musa alaihissalam ne farmaya ke yeh wahi jagah thi jis ki talash mein hum thay , chunanche donon hazrat peeche isi rasta se laute . Byaan kiya ke donon hazrat peeche apne naqsh e qadam par chalte chalte aakhir is chatan tak pahunch gaye wahan unhon ne dekha ke ek sahab (Khidr alaihissalam) kapre mein lipte huay wahan baithe hain . Musa alaihissalam ne unhein salam kiya . Khidr alaihissalam ne kaha (tum kaun ho) tumhare mulk mein ”salam“ kahan se aa gaya . Musa alaihissalam ne farmaya ke main Musa hoon . Poocha Bani Israeel ke Musa ? Farmaya ke ji haan . Aap ke paas is gharz se hazir hua hoon taake jo hidayat ka ilm Aap ko haasil hai woh mujhe bhi sikha dein . Khidr alaihissalam ne farmaya , Musa! Aap mere saath sabr nahi kar sakte mujhe Allah Ta'ala ki taraf se ek khaas ilm mila hai jise Aap nahi jaante , isi tarah Aap ko Allah Ta'ala ki taraf se jo ilm mila hai woh main nahi jaanta . Musa alaihissalam ne farmaya In sha Allah Aap mujhe sabir payein ge aur main kisi muamle mein Aap ke khilaf nahi karoon ga . Khidr alaihissalam ne farmaya , achha agar Aap mere saath chalein to kisi cheez ke mutalliq sawal na karein yahan tak ke main khud Aap ko is ke mutalliq bata doon ga . Ab yeh donon samundar ke kinare kinare rawana huay itne mein ek kashti guzri , unhon ne kashti walon se baat ki ke unhein bhi is par sawar kar lein . Kashti walon ne Khidr alaihissalam ko pehchan liya aur kisi kiraya ke baghair unhein sawar kar liya . Jab yeh donon kashti par baith gaye to Khidr alaihissalam ne kulhari se kashti ka ek takhta nikal dala . Is par Musa alaihissalam ne dekha to Khidr alaihissalam se kaha ke in logon ne hamain baghair kisi kiraya ke apni kashti mein sawar kar liya tha aur Aap ne unhi ki kashti cheer daali taake saare musafir doob jayein . Bilashubha Aap ne yeh bara nagowar kaam kiya hai . Khidr alaihissalam ne farmaya , kya main ne Aap se pehle hi na kaha tha ke Aap mere saath sabr nahi kar sakte . Musa alaihissalam ne farmaya jo baat main bhool gaya tha is par mujhe maaf kar dein aur mere muamla mein tangi na karein . Byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , yeh pehli martaba Musa alaihissalam ne bhool kar unhein toka tha . Rawi ne byaan kiya ke itne mein ek chariya aayi aur is ne kashti ke kinare baith kar samundar mein ek martaba apni chonch maari to Khidr alaihissalam ne Musa alaihissalam se kaha ke mere aur Aap ke ilm ki haisiyat Allah ke ilm ke muqable mein is se zyada nahi hai jitna is chariya ne is samundar ke pani se kam kiya hai . Phir yeh donon kashti se utar gaye , abhi woh samundar ke kinare chal hi rahe thay ke Khidr alaihissalam ne ek bacha ko dekha jo doosre bachon ke saath khel raha tha . Aap ne is bache ka sar apne hath mein dabaya aur usay (gardan se) ukhaarr diya aur is ki jaan le li . Musa alaihissalam is par bolay , Aap ne ek be-gunah ki jaan baghair kisi jaan ke badle ke le li , yeh Aap ne bara napasand kaam kiya . Khidr alaihissalam ne farmaya ke main to pehle hi keh chuka tha ke Aap mere saath sabr nahi kar sakte . Sufyan bin Uyaynah (rawi e hadees) ne kaha aur yeh kaam to pehle se bhi zyada sakht tha . Musa alaihissalam ne aakhir is martaba bhi mazrat ki ke agar main ne is ke baad phir Aap se sawal kiya to Aap mujhe saath na rakhiye ga . Aap mera baar baar uzr sun chuke hain (is ke baad meere liye bhi uzr ka koi mauqa na rahe ga) phir donon rawana huay , yahan tak ke ek basti mein pahunche aur basti walon se kaha ke hamain apna mehman bana lo , lekin unhon ne mezbani se inkar kiya , phir unhein basti mein ek diwar dikhayi di jo bas girne hi wali thi . Byaan kiya ke diwar jhuk rahi thi . Khidr alaihissalam kharay ho gaye aur diwar apne hath se seedhi kar di . Musa alaihissalam ne farmaya ke in logon ke yahan hum aaye aur in se khane ke liye kaha , lekin unhon ne hamari mezbani se inkar kiya , agar Aap chahte to diwar ke is seedha karne ke kaam par ujrat le sakte thay . Khidr alaihissalam ne farmaya ke bas ab mere aur Aap ke darmiyan judayi hai , Allah Ta'ala ke irshad «zhalika ta'weelu ma lam tasta' alayhi sabran» tak . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , hum to chahte thay ke Musa ne sabr kiya hota taake Allah Ta'ala un ke aur waqiaat hum se byaan karta . Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma is aayat ki tilawat karte thay (jis mein Khidr alaihissalam ne apne kaamon ki wajah byaan ki hai ke) kashti walon ke aage ek baadshah tha jo har achhi kashti ko chheen liya karta tha aur is ki bhi Aap tilawat karte thay ke aur woh ghulam (jis ki gardan Khidr alaihissalam ne torr di thi) to woh (Allah ke ilm mein) kafir tha aur is ke walidain momin thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {فَلَمَّا بَلَغَا مَجْمَعَ بَيْنِهِمَا نَسِيَا حُوتَهُمَا فَاتَّخَذَ سَبِيلَهُ فِي الْبَحْرِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jab woh dono do daryaon ke milaap ki jagah par pahunche to dono apni machhli bhool gaye, machhli ne darya mein apna rasta bana liya”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4726
سربا مذهبا يسرب يسلك ومنه، وسارب بالنهار.
«saraban» rasta «yasrabu» ( «bi-fatahatayni») yani mazhab tareeq , isi se hai «saaribun bin-nahaari» yani din mein rasta chalne wala .


Show diacritics
Hadith Number: 4726
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام بن يوسف، ان ابن جريج اخبرهم، قال: اخبرني يعلى بن مسلم، وعمرو بن دينار، عن سعيد بن جبير، يزيد احدهما على صاحبه وغيرهما قد سمعته يحدثه، عن سعيد بن جبير، قال: إنا لعند ابن عباس في بيته، إذ قال: سلوني؟ قلت: اي ابا عباس جعلني الله فداءك بالكوفة رجل قاص يقال له نوف يزعم انه ليس بموسى بني إسرائيل، اما عمرو، فقال لي: قال قد كذب عدو الله واما يعلى، فقال لي: قال ابن عباس: حدثني ابي بن كعب، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" موسى رسول الله عليه السلام، قال: ذكر الناس يوما حتى إذا فاضت العيون، ورقت القلوب ولى، فادركه رجل، فقال اي رسول الله، هل في الارض احد اعلم منك؟ قال: لا، فعتب عليه إذ لم يرد العلم إلى الله، قيل: بلى، قال: اي رب فاين؟ قال: بمجمع البحرين، قال: اي رب اجعل لي علما اعلم ذلك به، فقال لي عمرو: قال حيث يفارقك الحوت، وقال لي يعلى: قال: خذ نونا ميتا حيث ينفخ فيه الروح، فاخذ حوتا فجعله في مكتل، فقال لفتاه: لا اكلفك إلا ان تخبرني بحيث يفارقك الحوت، قال: ما كلفت كثيرا، فذلك قوله جل ذكره: وإذ قال موسى لفتاه سورة الكهف آية 60 يوشع بن نون ليست، عن سعيد، قال: فبينما هو في ظل صخرة في مكان ثريان إذ تضرب الحوت وموسى نائم، فقال فتاه: لا اوقظه حتى إذا استيقظ نسي ان يخبره، وتضرب الحوت حتى دخل البحر، فامسك الله عنه جرية البحر حتى كان اثره في حجر، قال لي عمرو: هكذا كان اثره في حجر، وحلق بين إبهاميه، واللتين تليانهما لقد لقينا من سفرنا هذا نصبا، قال: قد قطع الله عنك النصب ليست هذه عن سعيد اخبره، فرجعا فوجدا خضرا، قال لي عثمان بن ابي سليمان: على طنفسة خضراء على كبد البحر، قال سعيد بن جبير: مسجى بثوبه قد جعل طرفه تحت رجليه، وطرفه تحت راسه، فسلم عليه موسى، فكشف عن وجهه، وقال: هل بارضي من سلام من انت؟ قال: انا موسى، قال موسى: بني إسرائيل؟ قال: نعم، قال: فما شانك؟ قال: جئت لتعلمني مما علمت رشدا، قال: اما يكفيك ان التوراة بيديك، وان الوحي ياتيك يا موسى، إن لي علما لا ينبغي لك ان تعلمه، وإن لك علما لا ينبغي لي ان اعلمه، فاخذ طائر بمنقاره من البحر، وقال: والله ما علمي وما علمك في جنب علم الله إلا كما اخذ هذا الطائر بمنقاره من البحر، حتى إذا ركبا في السفينة وجدا معابر صغارا تحمل اهل هذا الساحل إلى اهل هذا الساحل الآخر عرفوه، فقالوا: عبد الله الصالح، قال: قلنا لسعيد: خضر؟ قال: نعم، لا نحمله باجر، فخرقها ووتد فيها وتدا، قال موسى: اخرقتها لتغرق اهلها، لقد جئت شيئا إمرا، قال مجاهد: منكرا، قال: الم اقل إنك لن تستطيع معي صبرا؟ كانت الاولى نسيانا، والوسطى شرطا، والثالثة عمدا، قال: لا تؤاخذني بما نسيت، ولا ترهقني من امري عسرا لقيا غلاما، فقتله، قال يعلى: قال سعيد: وجد غلمانا يلعبون، فاخذ غلاما كافرا ظريفا، فاضجعه، ثم ذبحه بالسكين، قال: اقتلت نفسا زكية بغير نفس لم تعمل بالحنث، وكان ابن عباس قراها زكية زاكية مسلمة كقولك غلاما زكيا، فانطلقا فوجدا جدارا يريد ان ينقض، فاقامه، قال سعيد: بيده هكذا ورفع يده، فاستقام، قال يعلى: حسبت ان سعيدا، قال: فمسحه بيده، فاستقام، لو شئت لاتخذت عليه اجرا، قال سعيد: اجرا ناكله، وكان وراءهم، وكان امامهم، قراها ابن عباس امامهم ملك يزعمون عن غير سعيد، انه هدد بن بدد والغلام المقتول اسمه يزعمون جيسور ملك ياخذ كل سفينة غصبا، فاردت إذا هي مرت به ان يدعها لعيبها، فإذا جاوزوا اصلحوها، فانتفعوا بها، ومنهم من يقول: سدوها بقارورة، ومنهم من يقول: بالقار كان ابواه مؤمنين، وكان كافرا فخشينا ان يرهقهما طغيانا وكفرا ان يحملهما حبه على ان يتابعاه على دينه، فاردنا ان يبدلهما ربهما خيرا منه زكاة، لقوله: اقتلت نفسا زكية واقرب رحما هما به ارحم منهما بالاول الذي قتل خضر، وزعم غير سعيد انهما ابدلا جارية، واما داود بن ابي عاصم، فقال: عن غير واحد إنها جارية".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di , unhein Ibn Jareer ne khabar di , kaha ke mujhe Yala bin Muslim aur Amr bin Dinar ne khabar di Saeed bin Jubayr se , donon mein se ek apne saathi aur digar rawi ke muqabla mein baaz alfaz zyada kehta hai aur un ke alawa ek aur sahab ne bhi Saeed bin Jubayr se sun kar byaan kiya ke unhon ne kaha hum Ibn Abbas razi Allahu anhuma ki khidmat mein un ke ghar hazir thay . Unhon ne farmaya ke deen ki baatein mujh se kuch poocho . Main ne arz kiya: Ae Abu al-Abbas! Allah Aap par mujhe qurban kare Kufa mein ek waa-iz shakhs Nauf naami (Nauf Bakali) hai aur woh kehta hai ke Musa , Khidr alaihissalam se milne wale woh nahi thay jo Bani Israeel ke paighambar Musa alaihissalam huay hain (Ibn Jurayj ne byaan kiya ke) Amr bin Dinar ne to riwayat is tarah byaan ki ke Ibn Abbas ne kaha dushman e Khuda jhooti baat kehta hai aur Yala bin Muslim ne apni riwayat mein is tarah mujh se byaan kiya ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke mujh se Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu ne byaan kiya , kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Musa alaihissalam Allah ke Rasool thay ek din Aap ne logon (Bani Israeel) ko aisa waaz farmaya ke logon ki aankhon se aansu nikal pare aur dil paseej gaye to Aap wapas jaane ke liye mure . Is waqt ek shakhs ne in se poocha: Ae Allah ke Rasool! Kya duniya mein Aap se bara koi aalim hai ? Unhon ne kaha ke nahi , is par Allah ne Musa alaihissalam par itab nazil kiya , kyunke unhon ne ilm ki nisbat Allah Ta'ala ki taraf nahi ki thi . (un ko yun kehna chahiye tha ke Allah hi jaanta hai) . In se kaha gaya ke haan tum se bhi bara aalim hai . Musa alaihissalam ne arz kiya , Ae Parvardigar! Woh kahan hai . Allah ne farmaya jahan (Faaris aur Room ke) do darya milay hain . Musa alaihissalam ne arz kiya: Ae Parvardigar! Mere liye un ki koi nishani aaisi batla de ke main in tak pahunch jaoon . Ab Amr bin Dinar ne mujh (Ibn Jurayj) se byaan kiya ke Allah Ta'ala ne farmaya , jahan tum se machhli tumhari zanbeel se chal de (wahin woh milein ge) aur Yala ne hadees is tarah byaan ki ke ek murdah machhli saath le lo , jahan is machhli mein jaan par jaye (wahin woh milein ge) Musa alaihissalam ne machhli saath le li aur usay ek zanbeel mein rakh liya . Aap ne apne saathi Yoosha se farmaya ke main bas tumhein itni takleef deta hoon ke jab yeh machhli zanbeel se nikal kar chal de to mujhe batana . Unhon ne arz kiya ke yeh kaun si bari takleef hai . Isi ki taraf isharah hai Allah Ta'ala ke irshad «wa izh qaala Musa lifataahu» mein woh «fata» (rafeeq e safar) Yoosha Ibn Noon thay . Saeed bin Jubayr (rawi e hadees) ne apni riwayat mein Yoosha bin Noon ka naam nahi liya . Byaan kiya ke phir Musa alaihissalam ek chatan ke saya mein thehar gaye jahan nami aur thand thi . Is waqt machhli tarpi aur darya mein kood gayi . Musa alaihissalam so rahe thay is liye Yoosha ne socha ke Aap ko jagana na chahiye . Lekin jab Musa alaihissalam bedar huay to machhli ka haal kehna bhool gaye . Isi arsa mein machhli tarap kar pani mein chali gayi . Allah Ta'ala ne machhli ki jagah pani ke bahao ko rok diya aur machhli ka nishan patthar par jis par se gayi thi ban gaya . Amr bin Dinar ne mujh (Ibn Jurayj) se byaan kiya ke is ka nishan patthar pe ban gaya aur donon angoothon aur kalma ki ungliyon ko mila kar ek halqa ki tarah is ko bataya . Bedar hone ke baad Musa alaihissalam baqi din aur baqi raat chalte rahe . Aakhir kehne lage . Hamain ab is safar mein thakan ho rahi hai . Un ke khadim ne arz kiya . Allah ne Aap ki thakan ko door kar diya hai (aur machhli zinda ho gayi hai) . Ibn Jurayj ne byaan kiya ke yeh tukra Saeed bin Jubayr ki riwayat mein nahi hai . Phir Musa alaihissalam aur Yoosha donon wapas laute aur Khidr alaihissalam se mulaqat hui (Ibn Jurayj ne kaha) mujh se Usman bin Abi Sulayman ne byaan kiya ke Khidr alaihissalam darya ke beech mein ek chhotay se sabz zeen-posh par tashreef rakhte thay . Aur Saeed bin Jubayr ne yun byaan kiya ke woh apne kapre se tamam jism lipeite huay thay . Kapre ka ek kinara un ke paon ke neeche tha aur doosra sar ke tallay tha . Musa alaihissalam ne pahunch kar salam kiya to Khidr alaihissalam ne apna chehra khola aur kaha , meri is zameen mein salam ka rawaj kahan se aa gaya . Aap kaun hain ? Musa alaihissalam ne farmaya ke main Musa hoon . Poocha , Musa Bani Israeel ? Farmaya ke haan! Poocha , Aap kyun aaye hain ? Farmaya ke mere aane ka maqsad yeh hai ke jo hidayat ka ilm Aap ko Allah ne diya hai woh mujhe bhi sikha dein . Is par Khidr alaihissalam ne farmaya ke Musa kya Aap ke liye yeh kafi nahi hai is ka poora seekhna Aap ke liye munasib nahi hai . Isi tarah Aap ko jo ilm haasil hai is ka poora seekhna mere liye munasib nahi . Is arsa mein ek chariya ne apni chonch se darya ka pani liya to Khidr alaihissalam ne farmaya: Allah ki qasam! Mera aur Aap ka ilm Allah ke ilm ke muqable mein is se zyada nahi hai . Jitna is chariya ne darya ka pani apni chonch mein liya hai . Kashti par charhne ke waqt unhon ne chhoti chhoti kashtiyaan dekhein jo ek kinare walon ko doosre kinare par le ja kar chhor aati thien . Kashti walon ne Khidr alaihissalam ko pehchan liya aur kaha ke yeh Allah ke salih bande hain hum in se kiraya nahi lein ge . Lekin Khidr alaihissalam ne kashti mein shigaaf kar diye aur is mein (takhton ki jagah) keelein gaarr dien . Musa alaihissalam ne kaha Aap ne is liye isay phaar dala ke is ke musafiron ko dubo dein . Bilashubha Aap ne yeh bara nagowar kaam kiya hai . Mujahid ne aayat mein «imran» ka tarjuma «munkaran» kiya hai . Khidr alaihissalam ne farmaya main ne pehle hi na kaha tha ke Aap mere saath sabr nahi kar sakte . Musa alaihissalam ka pehla sawal to bhoolne ki wajah se tha lekin doosra bataur shart tha aur teesra qasdan unhon ne kiya tha . Musa alaihissalam ne is pehle sawal par kaha ke jo main bhool gaya is par mujh se muakhizha na kijiye aur mere muamla mein tangi na kijiye . Phir unhein ek bacha mila to Khidr alaihissalam ne usay qatl kar diya . Yala ne byaan kiya ke Saeed bin Jubayr ne kaha ke Khidr alaihissalam ko chand bache milay jo khel rahe thay Aap ne in mein se ek bacha ko pakra jo kafir aur chalak tha aur usay lita kar chhuri se zibah kar diya . Musa alaihissalam ne farmaya , Aap ne bila kisi khoon ke ek be-gunah jaan ko jis ne ke bura kaam nahi kiya tha , qatl kar dala . Ibn Abbas razi Allahu anhuma aayat mein «zakiyyatan» ki jagah «zaakiyatan» parha karte thay . Bamaani «muslimatan» jaise «ghulaman zakiyyan» mein hai . Phir woh donon buzurg aage barhay to ek diwar par nazar pari jo bas girne hi wali thi . Khidr alaihissalam ne usay theek kar diya . Saeed bin Jubayr ne apne hath se isharah kar ke bataya ke is tarah . Yala bin Muslim ne byaan kiya mera khayal hai ke Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke Khidr ne diwar par hath pher kar usay theek kar diya . Musa alaihissalam ne farmaya ke agar Aap chahte to is par ujrat le sakte thay . Saeed bin Jubayr ne is ki tashreeh ki ke ujrat jise hum kha sakte . Aayat «wa kaana wara'ahum» ki Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne qirat «wa kaana amamahum» ki yani kashti jahan ja rahi thi is mulk mein ek baadshah tha . Saeed ke siwa doosre rawi se is baadshah ka naam Hudad bin Budad naqal karte hain aur jis bacha ko Khidr alaihissalam ne qatl kiya tha is ka naam log Jaysoor byaan karte hain . Woh baadshah har (nayi) kashti ko zabardasti chheen liya karta tha . Is liye main ne chaha ke jab yeh kashti is ke samne se guzre to is ke is aib ki wajah se usay na chheene . Jab kashti wale is baadshah ki sultant se guzar jayein ge to woh khud usay theek kar lein ge aur usay kaam mein laate rahein ge . Baaz logon ka to yeh khayal hai ke unhon ne kashti ko phir seesa laga kar jorra tha aur baaz kehte hain ke taar-kol se jorra tha (aur jis bacha ko qatl kar diya tha) to is ke walidain momin thay aur woh bacha (Allah ki taqdeer mein) kafir tha . Is liye hamain darr tha ke kahin (bara ho kar) woh unhein bhi kufr mein mubtala na kar de ke apne larke se intihaayi mohabbat unhein is ke deen ki ittiba par majboor kar de . Is liye hum ne chaha ke Allah is ke badle mein unhein koi naik aur is se behtar aulad de . «wa aqraba ruhman» yani is ke walidain is bacha par jo ab Allah Ta'ala unhein de ga pehle se zyada behtar meherban hon jise Khidr alaihissalam ne qatl kar diya hai . Saeed bin Jubayr razi Allahu anhu ne kaha ke in walidain ko is bache ke badle ek larki di gayi thi . Dawood bin Abi Aasim rahmahullah kai rawiyon se naqal karte hain ke woh larki hi thi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {فَلَمَّا جَاوَزَا قَالَ لِفَتَاهُ آتِنَا غَدَاءَنَا لَقَدْ لَقِينَا مِنْ سَفَرِنَا هَذَا نَصَبًا} إِلَى قَوْلِهِ: {عَجَبًا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Pas jab woh dono us jagah se aage barh gaye to Musa ne apne saathi se farmaya ke hamara khana lao safar se hamein ab to thakan hone lagi hai”lafz «ajaban» tak.
Show diacritics
Hadith Number: Q4727
صنعا: عملا، حولا: تحولا، قال ذلك ما كنا نبغ فارتدا على آثارهما قصصا، إمرا، ونكرا: داهية، ينقض: ينقاض كما تنقاض السن لتخذت واتخذت واحد، رحما: من الرحم وهي اشد مبالغة من الرحمة ونظن انه من الرحيم وتدعى مكة ام رحم اي الرحمة تنزل بها.
Lafz «sun'an» amal ke maani mein hai . «hiwalan» bamaani phir jana . Musa alaihissalam ne farmaya yahi to woh cheez thi jo hum chahte thay . Chunanche woh donon ulte paon wapas laute . «imran» ka maani ajeeb baat . «nukran» ka bhi yahi maani hai . «yanqaddu» aur «yanqaaddu» donon ka ek hi maani hai jaise kehte hain «tanqaaddu-ssinnu» yani daant gir raha hai . «lattakhazhta» aur «wattakhazhta» (donon riwayatein hain) donon ka maani ek hain . «ruhman» , «rahmun» se nikla hai jis ke maani bahut rahmat to yeh mubalgha hai rahmat ka aur hum samajhte hain (ya log samajhte hain) ke yeh «rahmun» se nikla hai . Isi liye Makkah ko «ummu ruhmin» kehte hain kyunke wahan Parvardigar ki rahmat utarti hai .


Show diacritics
Hadith Number: 4727
حدثني قتيبة بن سعيد، قال: حدثني سفيان بن عيينة، عن عمرو بن دينار، عن سعيد بن جبير، قال: قلت لابن عباس: إن نوفا البكاليي زعم ان موسى بني إسرائيل ليس بموسى الخضر، فقال: كذب عدو الله، حدثنا ابي بن كعب، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" قام موسى خطيبا في بني إسرائيل، فقيل له: اي الناس اعلم؟ قال: انا، فعتب الله عليه إذ لم يرد العلم إليه، واوحى إليه، بلى عبد من عبادي بمجمع البحرين هو اعلم منك، قال: اي رب كيف السبيل إليه؟ قال: تاخذ حوتا في مكتل، فحيثما فقدت الحوت فاتبعه، قال: فخرج موسى ومعه فتاه يوشع بن نون ومعهما الحوت حتى انتهيا إلى الصخرة، فنزلا عندها، قال: فوضع موسى راسه فنام، قال سفيان: وفي حديث غير عمرو، قال: وفي اصل الصخرة عين يقال لها الحياة لا يصيب من مائها شيء إلا حيي، فاصاب الحوت من ماء تلك العين، قال: فتحرك وانسل من المكتل، فدخل البحر، فلما استيقظ موسى، قال لفتاه آتنا غداءنا سورة الكهف آية 62 الآية، قال: ولم يجد النصب حتى جاوز ما امر به، قال له فتاه يوشع بن نون، ارايت إذ اوينا إلى الصخرة فإني نسيت الحوت سورة الكهف آية 63 الآية، قال: فرجعا يقصان في آثارهما، فوجدا في البحر كالطاق ممر الحوت، فكان لفتاه عجبا وللحوت سربا، قال: فلما انتهيا إلى الصخرة إذ هما برجل مسجى بثوب فسلم عليه موسى، قال: وانى بارضك السلام، فقال: انا موسى، قال موسى: بني إسرائيل، قال: نعم، قال: هل اتبعك على ان تعلمني مما علمت رشدا؟ قال له الخضر: يا موسى إنك على علم من علم الله علمكه الله لا اعلمه، وانا على علم من علم الله علمنيه الله لا تعلمه، قال: بل اتبعك، قال: فإن اتبعتني فلا تسالني عن شيء حتى احدث لك منه ذكرا، فانطلقا يمشيان على الساحل، فمرت بهم سفينة، فعرف الخضر، فحملوهم في سفينتهم بغير نول، يقول: بغير اجر، فركبا السفينة، قال: ووقع عصفور على حرف السفينة، فغمس منقاره في البحر، فقال الخضر لموسى: ما علمك وعلمي وعلم الخلائق في علم الله إلا مقدار ما غمس هذا العصفور منقاره، قال: فلم يفجا موسى إذ عمد الخضر إلى قدوم، فخرق السفينة، فقال له موسى: قوم حملونا بغير نول عمدت إلى سفينتهم فخرقتها لتغرق اهلها لقد جئت سورة الكهف آية 71 الآية، فانطلقا إذا هما بغلام يلعب مع الغلمان، فاخذ الخضر براسه فقطعه، قال له موسى: اقتلت نفسا زكية بغير نفس لقد جئت شيئا نكرا قال الم اقل لك إنك لن تستطيع معي صبرا إلى قوله فابوا ان يضيفوهما فوجدا فيها جدارا يريد ان ينقض سورة الكهف آية 75 - 77، فقال بيده: هكذا، فاقامه، فقال له موسى: إنا دخلنا هذه القرية فلم يضيفونا ولم يطعمونا، لو شئت لاتخذت عليه اجرا، قال: هذا فراق بيني وبينك، سانبئك بتاويل ما لم تستطع عليه صبرا، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" وددنا ان موسى صبر حتى يقص علينا من امرهما، قال: وكان ابن عباس يقرا 0 وكان امامهم ملك ياخذ كل سفينة صالحة غصبا واما الغلام فكان كافرا 0".
Mujh se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , kaha ke mujh se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , kaha un se Amr bin Dinar ne aur un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se arz kiya . Nauf Bakali kehte hain ke Musa alaihissalam jo Allah ke Nabi thay woh nahi hain jinon ne Khidr alaihissalam se mulaqat ki thi . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha , dushman e Khuda ne ghalat baat kahi hai . Hum se Ubayy bin Kabb ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Musa alaihissalam Bani Israeel ko waaz karne ke liye kharay huay to in se poocha gaya ke sab se bara aalim kaun shakhs hai . Musa alaihissalam ne farmaya ke main hoon . Allah Ta'ala ne is par ghussa kiya , kyunke unhon ne ilm ki nisbat Allah ki taraf nahi ki thi aur un ke paas wahi bheji ke haan , mere bandon mein se ek banda do daryaon ke milne ki jagah par hai aur woh tum se bara aalim hai . Musa alaihissalam ne arz kiya: Ae Parvardigar! In tak pahunchne ka tariqa kya ho ga ? Allah Ta'ala ne farmaya ke ek machhli zanbeel mein saath le lo . Phir jahan woh machhli gum ho jaye wahin unhein talash karo . Byaan kiya ke Musa alaihissalam nikal pare aur Aap ke saath Aap ke rafeeq e safar Yoosha bin Noon bhi thay . Machhli saath thi . Jab chatan tak pahunche to wahan thehar gaye . Musa alaihissalam apna sar rakh kar wahin so gaye , Amr ki riwayat ke siwa doosri riwayat ke hawala se Sufyan ne byaan kiya ke is chatan ki jarr mein ek chashma tha , jise ”hayat“ kaha jata tha . Jis cheez par bhi is ka pani par jata woh zinda ho jati thi . Is machhli par bhi is ka pani para to is ke andar harakat paida ho gayi aur woh apni zanbeel se nikal kar darya mein chali gayi . Musa alaihissalam jab bedar huay to unhon ne apne saathi se farmaya «qaala lifataahu aatina ghada'ana» ke ”hamara nashta lao“ al-aayat . Byaan kiya ke safar mein Musa alaihissalam ko is waqt tak koi thakan nahi hui jab tak woh muqarrara jagah se aage nahi barh gaye . Rafeeq e safar Yoosha bin Noon ne is par kaha «ara'ayta izh awayna ilas-sakhrati fa-inni naseetul hoota» ”Aap ne dekha jab hum chatan ke neeche baithe huay thay to main machhli ke mutalliq kehna bhool gaya“ al-aayat . Byaan kiya ke phir woh donon ulte paon wapas laute . Dekha ke jahan machhli pani mein giri thi wahan is ke guzarne ki jagah taaq ki si surat bani hui hai . Machhli to pani mein chali gayi thi lekin Yoosha bin Noon ko is tarah pani ke ruk jaane par tajub tha . Jab chatan par pahunche to dekha ke ek buzurg kapre mein lipte huay wahan maujood hain . Musa alaihissalam ne unhein salam kiya to unhon ne farmaya ke tumhari zameen mein salam kahan se aa gaya ? Aap ne farmaya ke main Musa hoon . Poocha Bani Israeel ke Musa ? Farmaya ke ji haan! Musa alaihissalam ne un se kaha kya Aap ke saath reh sakta hoon taake jo hidayat ka ilm Allah Ta'ala ne Aap ko diya hai woh Aap mujhe bhi sikha dein . Khidr alaihissalam ne jawab diya ke Aap ko Allah ki taraf se aisa ilm haasil hai jo main nahi jaanta aur isi tarah mujhe Allah ki taraf se aisa ilm haasil hai jo Aap nahi jaante . Musa alaihissalam ne farmaya , lekin main Aap ke saath rahoon ga . Khidr alaihissalam ne is par kaha ke agar Aap ko mere saath rehna hi hai to phir mujh se kisi cheez ke mutalliq na poochiye ga , main khud Aap ko bataoon ga . Chunanche donon hazrat darya ke kinare rawana huay , un ke qareeb se ek kashti guzri to Khidr alaihissalam ko kashti walon ne pehchan liya aur apni kashti mein in ko baghair kiraya ke charha liya donon kashti mein sawar ho gaye . Byaan kiya ke isi arsa mein ek chariya kashti ke kinare aa ke baithi aur is ne apni chonch ko darya mein dala to Khidr alaihissalam ne Musa alaihissalam se farmaya ke mera , Aap ka aur tamam makhlooqat ka ilm Allah ke ilm ke muqabla mein is se zyada nahi hai jitna is chariya ne apni chonch mein darya ka pani liya hai . Byaan kiya ke phir yak-dam jab Khidr alaihissalam ne basoola uthaya aur kashti ko phaar dala to Musa alaihissalam is taraf mutawajja huay aur farmaya in logon ne hamain baghair kisi kiraya ke apni kashti mein sawar kar liya tha aur Aap ne is ka badla yeh diya hai ke in ki kashti hi cheer daali taake is ke musafir doob marein . Bilashubha Aap ne bara na-munasib kaam kiya hai . Phir woh donon aage barhay to dekha ke ek bacha jo bahut se doosre bachon ke saath khel raha tha , Khidr ne is ka sar pakra aur kaat dala . Is par Musa alaihissalam bol pare ke Aap ne bila kisi khoon o badla ke ek masoom bache ki jaan le li , yeh to bari buri baat hai . Khidr alaihissalam ne farmaya , main ne Aap se pehle hi nahi keh diya tha ke Aap mere saath sabr nahi kar sakte , Allah Ta'ala ke irshad ”pas is basti walon ne in ki mezbani se inkar kiya , phir is basti mein unhein ek diwar dikhayi di jo bas girne hi wali thi . Khidr alaihissalam ne apna hath yun is par phera aur usay seedha kar diya . Musa alaihissalam ne farmaya hum is basti mein aaye to unhon ne hamari mezbani se inkar kiya aur hamain khana bhi nahi diya agar Aap chahte to is par ujrat le sakte thay . Khidr alaihissalam ne farmaya bas yahan se ab mere aur Aap ke darmiyan judayi hai aur main Aap ko in kaamon ki wajah bataoon ga jin par Aap sabr nahi kar sakte thay . Is ke baad Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya . Kaash Musa alaihissalam ne sabr kiya hota aur Allah Ta'ala un ke silsile mein aur waqiaat hum se byaan karta . Byaan kiya ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma «wa kaana wara'ahum malikun» ki bajaye «wa kaana amamahum malikun ya'khuzhu kulla safeenatin saalihatin ghasban» qirat karte thay aur bacha (jise qatl kiya tha) is ke walidain momin thay . Aur yeh bacha (mashiyat e Ilahi mein) kafir tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {قُلْ هَلْ نُنَبِّئُكُمْ بِالأَخْسَرِينَ أَعْمَالاً}:
Bab: Ayat ki tafseer“Kya hum tum ko khabar den un badbakhton ke mutalliq jo apne a’maal ke i’tibar se sarasar ghaate mein hain”.
Show diacritics
Hadith Number: 4728
حدثني محمد بن بشار، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن عمرو بن مرة، عن مصعب بن سعد، قال:" سالت ابي قل هل ننبئكم بالاخسرين اعمالا سورة الكهف آية 103 هم الحرورية؟ قال: لا، هم اليهود والنصارى، اما اليهود فكذبوا محمدا صلى الله عليه وسلم، واما النصارى فكفروا بالجنة، وقالوا: لا طعام فيها ولا شراب، والحرورية الذين ينقضون عهد الله من بعد ميثاقه سورة البقرة آية 27، وكان سعد يسميهم الفاسقين".
Hum se Muhammad bin Abdullah Zhuhli ne byaan kiya , kaha hum se Saeed bin Abi Maryam ne byaan kiya , kaha hum ko Mugheerah bin Abdur Rahman ne khabar di , kaha ke mujh se Abu al-Zinad ne byaan kiya , un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke bilashubha Qayamat ke din ek bahut bhaari bhar-kam mota taza shakhs aaye ga lekin woh Allah ke nazdeek machhar ke par ke barabar bhi koi qadr nahi rakkhe ga aur farmaya ke parho «fala nuqeemu lahum yawmal qiyamati waznan» ”Qayamat ke din hum un ka koi wazan na karein ge .“ Is hadees ko Muhammad bin Abdullah ne Yahya bin Bukayr se , unhon ne Mugheerah bin Abdur Rahman se , unhon ne Abu al-Zinad se aisa hi riwayat kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {أُولَئِكَ الَّذِينَ كَفَرُوا بِآيَاتِ رَبِّهِمْ وَلِقَائِهِ فَحَبِطَتْ أَعْمَالُهُمْ} الآيَةَ:
Bab: Ayat ki tafseer“Ye woh log hain jinhon ne apne Parwardigar ki nishaniyon ko aur us ki mulaqaat ko jhutlaya, pas un ke tamaam nek a’maal ulte barbaad ho gaye”.
Show diacritics
Hadith Number: 4729
حدثنا محمد بن عبد الله، حدثنا سعيد بن ابي مريم، اخبرنا المغيرة بن عبد الرحمن، قال: حدثني ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" إنه لياتي الرجل العظيم السمين يوم القيامة لا يزن عند الله جناح بعوضة، وقال: اقرءوا فلا نقيم لهم يوم القيامة وزنا سورة الكهف آية 105"، وعن يحيى بن بكير، عن المغيرة بن عبد الرحمن، عن ابي الزناد، مثله.
Hum se Abu Naeem Fadl bin Dukayn ne byaan kiya , kaha hum se Umar bin Zharr ne byaan kiya , kaha ke main ne apne walid se suna , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Jibraeel alaihissalam ne farmaya ”Jaisa ke ab Aap hamari mulaqat ko aaya karte hain , is se zyada Aap hum se milne ke liye kyun nahi aaya karte ? Is par yeh aayat nazil hui «wa ma natanazzalu illa bi-amri rabbika lahu ma bayna aydeena wa ma khalfana» al-kh yani ”hum (farishte) nazil nahi hote bajuz Aap ke Parvardigar ke hukm ke , isi ki milk hai jo kuch hamare aage hai aur jo kuch hamare peeche hai .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة كهيعص:
Bab: Surah Kha-Ya-‘Ayn-Saad ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4730
قال ابن عباس: اسمع بهم وابصر الله يقوله وهم اليوم لا يسمعون ولا يبصرون، في ضلال مبين، يعني قوله: اسمع بهم وابصر: الكفار يومئذ اسمع شيء وابصره، لارجمنك: لاشتمنك، ورئيا: منظرا، وقال ابن عيينة: تؤزهم ازا: تزعجهم إلى المعاصي إزعاجا، وقال مجاهد: إدا: عوجا، قال ابن عباس: وردا: عطاشا، اثاثا: مالا، إدا: قولا عظيما، ركزا: صوتا، غيا: خسرانا، بكيا: جماعة باك، صليا: صلي يصلى، نديا: والنادي مجلسا.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «absir bihim wa asmi» yeh Allah farmata hai aaj ke din (yani duniya mein) na to kafir sunte hain na dekhte hain balkay khuli hui gumrahi mein hain . Matlab yeh hai ke «asmi bihim wa absir» yani kafir Qayamat ke din khoob sunte aur khoob dekhte hon ge (magar is waqt ka sunna dekhna kuch faida na de ga) . «la-arjumannaka» main tujh par gaaliyon ka patthrao karoon ga . Lafz «ri'yan» ke maani manzar , dikhawa aur Abu Wail Shaqeeq bin Salama ne kaha Maryam alayhassalam jaanti thien ke jo parhezgar hota hai woh sahib e aqal hota hai . Isi liye unhon ne kaha main tujh se Allah ki panah chahti hoon agar tu parhezgar hai . Aur Sufyan bin Uyaynah ne kaha «ta-uzzuhum azzan» ka maani yeh hai ke Shaytan kafiron ko gunahon ki taraf ghaseette hain . Mujahid ne kaha «iddan» ke maani kajj aur teerhi , ghalat baat (ya kajj aur teerhi baatein) . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «wirdan» ke maani pyaase ke hain aur «asasan» ke maani maal asbab . «iddan» bari baat . «rikzan» halki , past aawaz . «ghayyan» nuqsan , toota . «bukiyyan» , «baaki» ki jama hai yani rone wale . «suliyyan» masdar hai . «sala» , «yasla» baab «samia» , «yasmau» se yani jalna . «nadiyyun» aur «lin-nadi» donon ke maani majlis ke hain .