الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِهِ: {وَأَنْذِرْهُمْ يَوْمَ الْحَسْرَةِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay Rasool! un kafiron ko hasrat-naak din se dara’iye”.
Show diacritics
Hadith Number: 4730
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا ابو صالح، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يؤتى بالموت كهيئة كبش املح، فينادي مناد: يا اهل الجنة، فيشرئبون وينظرون، فيقول: هل تعرفون هذا؟ فيقولون: نعم، هذا الموت وكلهم قد رآه، ثم ينادي: يا اهل النار، فيشرئبون وينظرون، فيقول: هل تعرفون هذا؟ فيقولون: نعم، هذا الموت وكلهم قد رآه، فيذبح، ثم يقول: يا اهل الجنة، خلود فلا موت، ويا اهل النار: خلود فلا موت، ثم قرا وانذرهم يوم الحسرة إذ قضي الامر وهم في غفلة سورة مريم آية 39 وهؤلاء في غفلة اهل الدنيا وهم لا يؤمنون سورة مريم آية 39".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne byaan kiya , kaha hum se hamare walid ne , hum se Aamash ne , hum se Abu Salih ne byaan kiya aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Qayamat ke din maut ek chit-kabre mendhay ki shakal mein layi jaye gi . Ek aawaz dene wala farishta aawaz de ga ke ae Jannat walo! Tamam jannati gardan utha utha kar dekhein ge , aawaz dene wala farishta pooche ga . Tum is mendhay ko bhi pehchante ho ? Woh bolien ge ke haan , yeh maut hai aur in se har shakhs is ka zaiqa chakh chuka ho ga . Phir usay zibah kar diya jaye ga aur aawaz dene wala jannatiyon se kahe ga ke ab tumhare liye hameshi hai , maut tum par kabhi na aaye gi aur ae Jahannum walo! Tumhein bhi hamesha isi tarah rehna hai , tum par bhi maut kabhi nahi aaye gi . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne yeh aayat tilawat ki «wa anzhirhum yawmal hasrati izh qudiyal amru wa hum fee ghaflatin» al-kh ”aur unhein hasrat ke din se dra do . Jabke akheer faisla kar diya jaye ga aur yeh log ghaflat mein pare huay hain (yani dunyadar log) aur iman nahi laate .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَمَا نَتَنَزَّلُ إِلاَّ بِأَمْرِ رَبِّكَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Hum farishte nahi utarte magar tere Rab ke hukm se”.
Show diacritics
Hadith Number: 4731
حدثنا ابو نعيم، حدثنا عمر بن ذر، قال: سمعت ابي، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم لجبريل:" ما يمنعك ان تزورنا اكثر مما تزورنا، فنزلت وما نتنزل إلا بامر ربك له ما بين ايدينا وما خلفنا سورة مريم آية 64".
Hum se Abu Naeem Fadl bin Dukayn ne byaan kiya , kaha hum se Umar bin Zharr ne byaan kiya , kaha ke main ne apne walid se suna , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Jibraeel alaihissalam ne farmaya ”Jaisa ke ab Aap hamari mulaqat ko aaya karte hain , is se zyada Aap hum se milne ke liye kyun nahi aaya karte ? Is par yeh aayat nazil hui «wa ma natanazzalu illa bi-amri rabbika lahu ma bayna aydeena wa ma khalfana» al-kh yani ”hum (farishte) nazil nahi hote bajuz Aap ke Parvardigar ke hukm ke , isi ki milk hai jo kuch hamare aage hai aur jo kuch hamare peeche hai .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {أَفَرَأَيْتَ الَّذِي كَفَرَ بِآيَاتِنَا وَقَالَ لأُوتَيَنَّ مَالاً وَوَلَدًا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Bhala tum ne us shakhs ko bhi dekha jo hamari aayaton se kufr karta hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4732
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن ابي الضحى، عن مسروق، قال: سمعت خبابا، قال:" جئت العاص بن وائل السهمي اتقاضاه حقا لي عنده، فقال: لا اعطيك حتى تكفر بمحمد صلى الله عليه وسلم، فقلت: لا، حتى تموت، ثم تبعث، قال: وإني لميت، ثم مبعوث، قلت: نعم، قال: إن لي هناك مالا وولدا، فاقضيكه، فنزلت هذه الآية افرايت الذي كفر بآياتنا وقال لاوتين مالا وولدا سورة مريم آية 77".رواه الثوري، وشعبة، وحفص، وابو معاوية، ووكيع، عن الاعمش.
Hum se Abdullah bin Zubayr Humaydi ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Abu al-Duha (Muslim bin Sabeeh) ne , un se Masrooq bin Ajda ne byaan kiya ke main ne Khabbab bin Aratt razi Allahu anhu se suna , unhon ne kaha ke main Aas bin Wa'il Sahmi ke paas apna haq maangne gaya to woh kehne laga ke jab tak tum Muhammad salla Allahu alaihi wasallam se kufr nahi karo ge main tumhein mazdoori nahi doon ga . Main ne is par kaha ke yeh kabhi nahi kar sakta . Yahan tak ke tum marne ke baad phir zinda kiye jao . Is par woh bola , kya marne ke baad phir mujhe zinda kiya jaye ga ? Main ne kaha haan , zaroor , kehne laga ke phir wahan bhi mere paas maal aulad ho gi aur main wahin tumhari mazdoori bhi de doon ga . Is par yeh aayat nazil hui «afara'ayt-allazhi kafara bi-ayaatina wa qaala la-ootayanna maalan wa waladan» ke ”bhala Aap ne is shakhs ko bhi dekha jo hamari nishaniyon se kufr karta hai aur kehta hai ke mujhe maal aur aulad mil kar rahein ge .“ Is hadees ko Sufyan Sawri aur Shubah aur Hafs aur Abu Muawiyah aur Waki ne bhi Aamash se riwayat kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {أَطَّلَعَ الْغَيْبَ أَمِ اتَّخَذَ عِنْدَ الرَّحْمَنِ عَهْدًا} قَالَ مَوْثِقًا:
Bab: Ayat ki tafseer“Kya woh ghayb par aagah hota hai ya us ne Khuda-e-Rahman se koi ahd-nama haasil kar liya hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4733
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، عن الاعمش، عن ابي الضحى، عن مسروق، عن خباب، قال:" كنت قينا بمكة، فعملت للعاص بن وائل السهمي سيفا، فجئت اتقاضاه، فقال: لا اعطيك حتى تكفر بمحمد، قلت: لا اكفر بمحمد صلى الله عليه وسلم حتى يميتك الله، ثم يحييك، قال: إذا اماتني الله، ثم بعثني ولي مال وولد، فانزل الله افرايت الذي كفر بآياتنا وقال لاوتين مالا وولدا {77} اطلع الغيب ام اتخذ عند الرحمن عهدا {78} سورة مريم آية 77-78"، قال: موثقا، لم يقل الاشجعي، عن سفيان سيفا، ولا موثقا.
Hum se Muhammad bin Kaseer ne byaan kiya , kaha hum ko Sufyan Sawri ne khabar di , unhein Aamash ne , unhein Abu al-Duha ne , unhein Masrooq ne aur un se Khabbab bin Aratt razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main Makkah mein lohaar tha aur Aas bin Wa'il Sahmi ke liye main ne ek talwar banayi thi . Meri mazdoori baqi thi is liye ek din main is ko maangne aaya to kehne laga ke is waqt tak nahi doon ga jab tak tum Muhammad salla Allahu alaihi wasallam se phir nahi jao ge . Main ne kaha ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se hargiz nahi phiroon ga yahan tak ke Allah tujhe maar de aur phir zinda kar de aur woh kehne laga ke jab Allah Ta'ala mujhe maar kar dobara zinda kar de ga to mere paas is waqt bhi maal o aulad ho gi . Aur isi waqt tum apni mazdoori mujh se le lena . Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «afara'ayt-allazhi kafara bi-ayaatina wa qaala la-ootayanna maalan wa waladan * attala'al ghayba amittakhazha indar-rahmaani ahdan» ke ”bhala tu ne is shakhs ko bhi dekha jo hamari aayaton ka inkar karta hai aur kehta hai ke mujhe to maal o aulad mil kar hi rahein ge to kya yeh ghaib par muttala ho gaya hai ya is ne Khuday-e-Rahman se koi waada le liya hai .“ «ahdun» ka maani mazboot iqrar . Ubaydullah Ashjai ne bhi is hadees ko Sufyan Sawri se riwayat kiya hai lekin is mein talwar banane ka zikr nahi hai na ahad ki tafseer mazkoor hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {كَلاَّ سَنَكْتُبُ مَا يَقُولُ وَنَمُدُّ لَهُ مِنَ الْعَذَابِ مَدًّا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Har giz nahi hum us ka kaha hua us ke a’maal-name mein likh lete hain aur hum us ko azab mein barhate hi chale jayenge”.
Show diacritics
Hadith Number: 4734
حدثنا بشر بن خالد، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن سليمان، سمعت ابا الضحى يحدث، عن مسروق، عن خباب، قال:" كنت قينا في الجاهلية، وكان لي دين على العاص بن وائل، قال: فاتاه يتقاضاه، فقال: لا اعطيك حتى تكفر بمحمد صلى الله عليه وسلم، فقال: والله لا اكفر حتى يميتك الله، ثم يبعثك، قال: فذرني حتى اموت، ثم ابعث، فسوف اوتى مالا وولدا، فاقضيك، فنزلت هذه الآية: افرايت الذي كفر بآياتنا وقال لاوتين مالا وولدا سورة مريم آية 77".
Hum se Bishr bin Khalid ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Jafar ne byaan kiya , un se Shubah ne , un se Sulayman Aamash ne , unhon ne Abu al-Duha se suna , un se Masrooq ne byaan kiya ke Khabbab bin Aratt razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main zamana e jahiliyat mein lohari ka kaam karta tha aur Aas bin Wa'il par mera kuch qarz tha . Byaan kiya ke main is ke paas apna qarz maangne gaya to woh kehne laga ke jab tak tum Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ka inkar nahi karte , tumhari mazdoori nahi mil sakti . Main ne is par jawab diya ke Allah ki qasam! Main hargiz Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ka inkar nahi kar sakta , yahan tak ke Allah Ta'ala tujhe maar de aur phir tujhe dobara zinda kar de . Aas kehne laga ke phir marne tak mujh se qarz na maango . Marne ke baad jab main zinda rahoon ga to mujhe maal o aulad bhi milein ge aur is waqt tumhara qarz ada kar doon ga . Is par yeh aayat nazil hui «afara'ayt-allazhi kafara bi-ayaatina wa qaala la-ootayanna maalan wa waladan» al-kh .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ عَزَّ وَجَلَّ: {وَنَرِثُهُ مَا يَقُولُ وَيَأْتِينَا فَرْدًا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur us ki kahi hui baaton ke hum hi waris hain aur woh hamare paas tanha aaye ga”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4735
وقال ابن عباس: الجبال هدا: هدما.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke aayat mein lafz «al-jibalu haddan» ka matlab yeh hai ke pahar reza reza ho kar gir jayein ge .


Show diacritics
Hadith Number: 4735
حدثنا يحيى، حدثنا وكيع، عن الاعمش، عن ابي الضحى، عن مسروق، عن خباب، قال:" كنت رجلا قينا، وكان لي على العاص بن وائل دين، فاتيته اتقاضاه، فقال لي: لا اقضيك حتى تكفر بمحمد، قال: قلت: لن اكفر به حتى تموت، ثم تبعث، قال: وإني لمبعوث من بعد الموت، فسوف اقضيك إذا رجعت إلى مال وولد، قال: فنزلت افرايت الذي كفر بآياتنا وقال لاوتين مالا وولدا {77} اطلع الغيب ام اتخذ عند الرحمن عهدا {78} كلا سنكتب ما يقول ونمد له من العذاب مدا {79} ونرثه ما يقول وياتينا فردا {80} سورة مريم آية 77-80".
Hum se Yahya bin Musa Balkhi ne byaan kiya , kaha hum se Waki ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Abu al-Duha ne , un se Masrooq ne aur un se Khabbab bin Aratt ne byaan kiya ke main pehle lohaar tha aur Aas bin Wa'il par mera qarz chahiye tha . Main is ke paas taqaza karne gaya to kehne laga ke jab tak tum Muhammad salla Allahu alaihi wasallam se na phir jao ge tumhara qarz nahi doon ga , main ne kaha ke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke deen se hargiz nahi phiroon ga . Yahan tak ke Allah Ta'ala tujhe maar de aur phir zinda kar de . Is ne kaha kya maut ke baad main dobara zinda kiya jaoon ga phir to mujhe maal o aulad bhi mil jayein ge aur isi waqt tumhara qarz bhi ada kar doon ga . Rawi ne byaan kiya ke is ke mutalliq aayat nazil hui «afara'ayt-allazhi kafara bi-ayaatina wa qaala la-ootayanna maalan wa waladan * attala'al ghayba amittakhazha indar-rahmaani ahdan * kalla sanaktubu ma yaqoolu wa namuddu lahu minal azhaabi maddan * wa narisuhu ma yaqoolu wa ya'teena fardan» ke ”bhala tum ne is shakhs ko bhi dekha jo hamari aayaton ka inkar karta hai aur kehta hai ke mujhe to maal aur aulad mil kar rahein ge , to kya yeh ghaib par aagah ho gaya hai . Ya is ne Khuday-e-Rahman se koi ahad kar liya hai ? Hargiz nahi , albatta hum is ka kaha hua bhi likh lete hain aur is ke liye azab barhate hi chale jayein ge aur is ki kahi hui ke hum hi malik hon ge aur woh hamare paas akela aaye ga .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة طه:
Bab: Surah Taha ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4736
قال عكرمة، والضحاك بالنبطية، طه: يا رجل يقال كل ما لم ينطق بحرف او فيه تمتمة او فافاة فهي عقدة، وقال مجاهد: القى صنع، ازري: ظهري، فيسحتكم: يهلككم، المثلى: تانيث الامثل، يقول بدينكم يقال خذ المثلى خذ الامثل، ثم ائتوا صفا، يقال: هل اتيت الصف اليوم يعني المصلى الذي يصلى فيه، فاوجس: في نفسه خوفا، فذهبت الواو من خيفة لكسرة الخاء، في جذوع: اي على جذوع النخل، خطبك: بالك، مساس: مصدر ماسه مساسا، لننسفنه: لنذرينه، قاعا: يعلوه الماء والصفصف المستوي من الارض، وقال مجاهد: اوزارا اثقالا، من زينة القوم: وهي الحلي التي استعاروا من آل فرعون وهي الاثقال، فقذفتها، فالقيتها، القى: صنع، فنسي: موسى هم يقولونه اخطا الرب، لا يرجع إليهم قولا: العجل، همسا: حس الاقدام، حشرتني اعمى: عن حجتي، وقد كنت بصيرا: في الدنيا، قال ابن عباس: بقبس ضلوا الطريق وكانوا شاتين، فقال: إن لم اجد عليها من يهدي الطريق آتكم بنار توقدون، وقال ابن عيينة: امثلهم: اعدلهم طريقة، وقال ابن عباس: هضما: لا يظلم، فيهضم من حسناته، عوجا: واديا، ولا، امتا: رابية، سيرتها: حالتها الاولى، النهى: التقى، ضنكا: الشقاء، هوى: شقي بالوادي، المقدس: المبارك، طوى: اسم الوادي يفرط عقوبة، بملكنا: بامرنا، مكانا سوى: منصف بينهم، يبسا: يابسا، على قدر: موعد، لا تنيا: تضعفا.
Saeed bin Jubayr aur Dahhak bin Muzahim ne kaha Habshi zaban mein lafz «taaha» ke maani Ae mard ke hain . Kehte hain ke jis ki zaban se koi harf na nikal sake ya ruk ruk kar nikle to is ki zaban mein «uqdatun» girah hai . (Musa alaihissalam ki dua «wahlul uqdatam mil-lisani» mein yahi isharah hai) «azree» ke maani meri peeth . «fayus-hitakum» ke maani tum ko halak kar de . Lafz «al-musla» , «al-amsalu» ka muannas hai yani tumhara deen . Arab log kehte hain «musla» achhi baat kare . «khuzhil amsala» yani behtar baat le . «summa'tu saffan» Arab log kehte hain kya aaj tu saff mein gaya tha ? Yani namaz ke maqam mein jahan jama ho kar namaz parhte hain (jaise eidgah waghaira) . «fa-au-jasa» dil mein saham gaya . «kheefatan» asal mein «khaufatan» tha wao ba-sabab kasrah «ma-qabl» yaa ho gaya . «fee juzhu-in-nakhli» khajoor ki shakhon par «fee aliyyin» ke maani mein hai . «khatbuka» yani tera kya haal hai , tu ne yeh kaam kyun kiya . «misaasun» masdar hai . «maasahu» , «misaasan» se yani chhoona . «lanansifannahu» bikher dalein ge yani jala kar raakh ko darya mein baha dein ge . «qaan» woh zameen jis ke oopar pani charh aaye (yani saaf hamwar maidan) . «safsafan» hamwar zameen . Aur Mujahid ne kaha «min zeenatil qaumi» se woh zewar murad hai jo Bani Israeel ne Firaun ki qaum se maang kar liya tha . «fa-qazhaftuha» main ne is ko daal diya . «wa kazhalika alqas-saamariyyu» yani Saamri ne bhi aur Bani Israeel ki tarah apna zewar dala . «fa-nasiya Musa» yani Saamri aur is ke tabedar log kehne lage Musa chook gaya ke apne Parvardigar bichhre ko yahan chhor kar Koh-e-Toor par chala gaya . «la yarji-u ilayhim qaulan» yani yeh nahi dekhte ke bichhra un ki baat ko jawab tak nahi de sakta . «hamsan» paon ki aahat . «hashartani ama» yani mujh ko duniya mein daleel aur hujjat maloom hoti ku yahan tu ne bilkul mujh ko andha kar ke kyun uthaya . Aur Ibn Abbas ne kaha «la'alli aateekum minha bi-qabasin» ke byaan mein ke Musa aur un ke saathi rasta bhool gaye thay idhar sardi mein mubtala thay kehne lage agar wahan koi rasta batane wala mila to behtar warna main thori si aag tumhare taapne ke liye le aaoon ga . Sufyan bin Uyaynah ne (apni tafseer mein) kaha «amsaluhum» yani un mein ka afzal aur samajhdar aadmi . Aur Ibn Abbas ne kaha «hadman» yani is par zulm na ho ga aur is ki naikiyon ka sawab kam na kiya jaave ga . «iwajan» nala khadda . «amtan» teela bulandi . «seeratahal oola» yani agli halat par . «an-nuha» parhezgari ya aqal . «dhankan» bad-bakhti . «hawa» bad-bakht hua . «al-muqaddasu» barkat wali . «tuwan» is wadi ka naam tha . «bi-malkina» (ba-kasrah e meem mashhoor qirat ba-dhumma meem hai baazon ne ba-dhumm meem parha hai) yani apne ikhtiyar apne hukm se . «suwan» yani hum mein aur tum mein barabar ke fasla par . «yabasan» khushk ala qadarin apne muayyan waqt par jo Allah Paak ne likh diya tha . «la taniya» zaeef mat bano , ya susti na karo .


بَابُ قَوْلِهِ: {وَاصْطَنَعْتُكَ لِنَفْسِي}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay Musa! mein ne tujh ko apne liye muntakhab kar liya”.
Show diacritics
Hadith Number: 4736
حدثنا الصلت بن محمد، حدثنا مهدي بن ميمون، حدثنا محمد بن سيرين، عن ابي هريرة، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" التقى آدم وموسى، فقال موسى لآدم: آنت الذي اشقيت الناس واخرجتهم من الجنة، قال آدم: انت موسى الذي اصطفاك الله برسالته واصطفاك لنفسه، وانزل عليك التوراة، قال: نعم، قال: فوجدتها كتب علي قبل ان يخلقني، قال: نعم، فحج آدم موسى".
Hum se Salt bin Muhammad ne byaan kiya , kaha hum se Mahdi bin Maymoon ne , un se Muhammad bin Sireen ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (aalam e misal mein) Adam alaihissalam aur Musa alaihissalam ki mulaqat hui to Musa alaihissalam ne Adam alaihissalam se kaha ke Aap hi ne logon ko pareshani mein dala aur unhein jannat se nikala . Adam alaihissalam ne jawab diya ke Aap wahi hain jinhein Allah Ta'ala ne apni risalat ke liye pasand kiya aur khud apne liye pasand kiya aur Aap par Taurat nazil ki . Musa alaihissalam ne kaha ke ji haan . Is par Adam alaihissalam ne farmaya ke phir Aap ne to dekha hi ho ga ke meri paidaish se pehle hi yeh sab kuch mere liye likh diya gaya tha . Musa alaihissalam ne farmaya ke ji haan maloom hai . Chunanche Adam alaihissalam Musa alaihissalam par ghalib aa gaye . «al-yammu» ke maani darya ke hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَلَقَدْ أَوْحَيْنَا إِلَى مُوسَى أَنْ أَسْرِ بِعِبَادِي فَاضْرِبْ لَهُمْ طَرِيقًا فِي الْبَحْرِ يَبَسًا لاَ تَخَافُ دَرَكًا وَلاَ تَخْشَى فَأَتْبَعَهُمْ فِرْعَوْنُ بِجُنُودِهِ فَغَشِيَهُمْ مِنَ الْيَمِّ مَا غَشِيَهُمْ وَأَضَلَّ فِرْعَوْنُ قَوْمَهُ وَمَا هَدَى}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur hum ne Musa ke paas wahi bheji ke mere bandon ko raaton-raat yahan se nikal kar le ja, phir un ke liye samandar mein (lathi maar kar) khushk rasta bana lena tum ko na pakre jane ka khauf ho ga aur na tum ko (aur koi) dar ho ga, phir Fir’aun ne bhi apne lashkar samet un ka peechha kiya to darya jab un par aa milne ko tha aa mila aur Fir’aun ne to apni qoum ko gumrah hi kiya tha aur seedhi raah par na laya”.
Show diacritics
Hadith Number: 4737
حدثني يعقوب بن إبراهيم، حدثنا روح، حدثنا شعبة، حدثنا ابو بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: لما قدم رسول الله صلى الله عليه وسلم المدينة واليهود تصوم يوم عاشوراء، فسالهم، فقالوا: هذا اليوم الذي ظهر فيه موسى على فرعون، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" نحن اولى بموسى منهم فصوموه".
Mujh se Yaqoob bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha hum se Rauh bin Ubadah ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum se Abu Bishr ne byaan kiya , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas ne byaan kiya ke jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Madinah tashreef laye to Yahudi Ashura ka roza rakhte thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un se is ke mutalliq poocha to unhon ne bataya ke is din Musa alaihissalam ne Firaun par ghalba paya tha . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is par farmaya ke phir hum un ke muqable mein Musa ke zyada haq-dar hain . Musalmano! Tum log bhi is din roza rakho (phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne Yahud ki mushabihat se bachne ke liye is ke saath ek roza aur milane ka hukm saadir farmaya jo ab bhi masnoon hai .)


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة