الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِهِ: {فَلاَ يُخْرِجَنَّكُمَا مِنَ الْجَنَّةِ فَتَشْقَى}:
Bab: Ayat ki tafseer“(Woh shaytan) tum ko jannat se na niklwa de pas tum kam-naseeb ho jao”.
Show diacritics
Hadith Number: 4738
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا ايوب بن النجار، عن يحيى بن ابي كثير، عن ابي سلمة بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" حاج موسى آدم، فقال له: انت الذي اخرجت الناس من الجنة بذنبك واشقيتهم، قال: قال آدم: يا موسى، انت الذي اصطفاك الله برسالته وبكلامه اتلومني على امر كتبه الله علي قبل ان يخلقني او قدره علي قبل ان يخلقني، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" فحج آدم موسى".
Hum se Qutaybah ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Ayub bin Najjar ne byaan kiya , un se Yahya bin Abi Bakr ne , un se Abu Salamah bin Abdur Rahman ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Musa alaihissalam ne Adam alaihissalam se bahas ki aur un se kaha ke Aap hi ne apni ghalati ke nateeja mein insanon ko jannat se nikala aur mushaqqat mein dala . Adam alaihissalam bolay ke Ae Musa! Aap ko Allah ne apni risalat ke liye pasand farmaya aur hum-klami ka sharaf bakhsha . Kya Aap ek aaisi baat par mujhe malamat karte hain jise Allah Ta'ala ne meri paidaish se bhi pehle mere liye muqarrar kar diya tha . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya chunanche Adam alaihissalam Musa alaihissalam par bahas mein ghalib aa gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة الأَنْبِيَاءِ:
Bab: Surah Al-Ambiya ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4739
n
.


بَابٌ:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: 4739
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، قال: سمعت عبد الرحمن بن يزيد، عن عبد الله، قال:" بني إسرائيل، والكهف، ومريم، وطه، والانبياء، هن من العتاق الاول، وهن من تلادي". وقال قتادة: جذاذا: قطعهن، وقال الحسن: في فلك: مثل فلكة المغزل، يسبحون: يدورون، قال ابن عباس: نفشت: رعت ليلا، يصحبون: يمنعون، امتكم امة واحدة، قال: دينكم دين واحد، وقال عكرمة: حصب: حطب بالحبشية، وقال غيره: احسوا: توقعوا من احسست، خامدين: هامدين، والحصيد مستاصل يقع على الواحد والاثنين والجميع، لا يستحسرون: لا يعيون ومنه حسير وحسرت بعيري عميق بعيد، نكسوا: ردوا، صنعة لبوس: الدروع، تقطعوا امرهم: اختلفوا الحسيس، والحس، والجرس، والهمس واحد، وهو من الصوت الخفي، آذناك: اعلمناك، آذنتكم: إذا اعلمته فانت وهو على سواء لم تغدر، وقال مجاهد: لعلكم تسالون: تفهمون، ارتضى: رضي، التماثيل: الاصنام السجل الصحيفة.
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Ghundar ne , kaha hum se Shubah ne , unhon ne Abu Ishaq se suna , kaha main ne Abdur Rahman bin Yazid se suna , unhon ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se woh kehte thay ke Surah Bani Israeel aur Surah Kahf aur Surah Maryam aur Surah Taaha aur Surah Anbiya agli bahut faseeh suraton mein se hain (jo Makkah mein utri thien) aur meri purani yaad ki hui hain . Qatadah ne kaha «juizhaazhan» ka maani tukre tukre . Aur Hasan Basri ne kaha «kullun fee falakin» yani har ek tara ek ek aasman mein gol ghoomta hai , jaise soot kaatne ka charkha . «yasbahoon» yani gol ghoomte hain . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «nafashat» ke maani char gayin . «yushaboon» ke maani roke jayein ge . Bachaye jayein ge . «ummatukum ummatan waahidatan» yani tumhara deen aur mazhab ek hi deen aur mazhab hai . Aur Ikrimah ne kaha «hasabun» Habshi zaban mein jalane ki lakriyon eendhan ko kehte hain . Aur logon ne kaha lafz «ahassoo» ke maani tawaqqo payi yeh «ahsas-tu» se nikla hai yani aahat payi . «khaamideena» ke maani bujhe huay (yani marey huay) . «hasidun» ke maani jarr se ukhaarra gaya , wahid aur tasniya aur jama sab par yahi lafz bola jata hai . «la yastah-siroon» ke maani nahi thake isi se hai lafz «haseerun» thaka hua . Aur «hasartu baeeri» ke maani main ne apne oont ko thaka diya . «ameequn» ke maani door daraz . «nukis-u» yeh kufr ki taraf phere gaye . «san'ata laboosin» zirhein banana . «taqatta'u amrahum» yani ikhtilaf kiya , juda juda tariqa ikhtiyar kiya . «la yasma'oona hasisaha» ke maani aur lafz «hissun» aur «jarsun» aur «hamsun» ke maani ek hi hain yani past aawaz . «aazhannaka» hum ne tujh ko aagah kiya Arab log kehte hain . «aazhantukum» yani main ne tum ko khabar di tum hum barabar ho gaye main ne koi dagha nahi ki jab Aap mukhatab ko kisi baat ki khabar de chuke to Aap aur woh donon barabar ho gaye aur Aap ne is se koi dagha nahi ki . Aur Mujahid ne kaha «la'allakum tus'aloona» ke maani yeh hain shayad tum samajho . «irtada» ke maani pasand kiya raazi hua . «at-tamaseelu» ke maani moortein but . «as-sijillu» maani ke khatton ka majmua daftar .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {كَمَا بَدَأْنَا أَوَّلَ خَلْقٍ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Hum ne insaan ko shuru mein jaisa paida kiya tha usi tarah us ko hum dobara phir lauta’enge”.
Show diacritics
Hadith Number: 4740
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن المغيرة بن النعمان شيخ من النخع، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: خطب النبي صلى الله عليه وسلم فقال:" إنكم محشورون إلى الله حفاة عراة غرلا: كما بدانا اول خلق نعيده وعدا علينا إنا كنا فاعلين سورة الانبياء آية 104، ثم إن اول من يكسى يوم القيامة إبراهيم الا إنه يجاء برجال من امتي فيؤخذ بهم ذات الشمال، فاقول: يا رب، اصحابي، فيقال: لا تدري ما احدثوا بعدك، فاقول: كما قال العبد الصالح، وكنت عليهم شهيدا ما دمت فيهم إلى قوله شهيد سورة المائدة آية 117، فيقال إن هؤلاء لم يزالوا مرتدين على اعقابهم منذ فارقتهم".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shubah ne byaan kiya , in se Mugheerah bin Numan ne jo qabila Nakhai ka ek burha tha , un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ek din khutba sunaya . Farmaya tum Qayamat ke din Allah ke samne nange paon nange badan be-khatna hashr kiye jao ge jaisa ke irshad e Baari hai «kama bada'na awwala khalqin nueeduhu waadan alayna inna kunna failina» phir sab se pehle Qayamat ke din Ibrahim alaihissalam ko kapre pehnaye jayein ge . Sun lo! Meri ummat ke kuch log laye jayein ge farishte un ko pakar kar bayein taraf wale dozakhiyon mein le jayein ge . Main arz karoon ga Parvardigar! Yeh to mere saath wale hain . Irshad ho ga tum nahi jaante unhon ne tumhari wafat ke baad kya kya kartoot kiye hain . Is waqt main wahi kahoon ga jo Allah ke naik bande Esa alaihissalam ne kaha ke main jab tak in logon mein raha un ka haal dekhta raha aakhir aayat tak . Irshad ho ga yeh log apni eeriyon ke bal Islam se phir gaye jab tu un se juda hua .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة الْحَجِّ:
Bab: Surah Al-Hajj ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4741
وقال ابن عيينة: المخبتين: المطمئنين، وقال ابن عباس: في إذا تمنى القى الشيطان، في امنيته: إذا حدث القى الشيطان في حديثه، فيبطل الله ما يلقي الشيطان، ويحكم آياته، ويقال امنيته قراءته، إلا اماني: يقرءون، ولا يكتبون، وقال مجاهد: مشيد بالقصة جص، وقال غيره: يسطون: يفرطون من السطوة، ويقال: يسطون يبطشون، وهدوا إلى الطيب من القول: الهموا، وقال ابن ابي خالد: إلى القرآن وهدوا إلى صراط الحميد الإسلام، وقال ابن عباس: بسبب: بحبل إلى سقف البيت ثاني عطفه مستكبر، تذهل: تشغل"
Sufyan bin Uyaynah ne kaha «al-mukhbiteena» ka maani Allah par bharosa karne wale (ya , Allah ki bargah mein aajzi karne wale) aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne aayat «fee umniyyatihi» ki tafseer mein kaha jab paighambar kalam karta hai (Allah ke hukm sunata hai) to Shaytan is ki baat mein apni taraf se (paighambar ki aawaz bana kar) kuch mila deta hai . Phir Allah Paak Shaytan ka milaya hua mita deta hai aur apni sachi aayaton ko qaim rakhta hai . Baazon ne kaha «umniyyatihi» se paighambar ki qirat murad hai . «illa amaaniyya» jo Surah al-Baqarah mein hai is ka matlab yeh hai ke magar aarzooein . Aur Mujahid ne kaha (Tabari ne is ko wasal kiya) . «musheeyadin» ke maani chuna gach kiye gaye . Auron ne kaha «yas-toona» ka maani yeh hai ziyadati karte hain yeh lafz «satwatun» se nikla hai . Baazon ne kaha «yas-toona» ka maani sakht pakarte hain . «wa hudu ilat-tayyibi minal qauli» yani achhi baat ka un ko ilham kiya gaya . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «bi-sababin» ka maani rassi jo chhat tak lagi ho . «tazh-halu» ka maani ghafil ho jaye .


بَابُ: {وَتَرَى النَّاسَ سُكَارَى}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur log tujhe nashay mein dikha’i denge halaanke woh nashay mein na honge balkeh Allah ka azab sakht hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4741
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثنا ابو صالح، عن ابي سعيد الخدري، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم، يقول الله عز وجل يوم القيامة:" يا آدم، يقول: لبيك ربنا وسعديك، فينادى بصوت، إن الله يامرك ان تخرج من ذريتك بعثا إلى النار، قال: يا رب، وما بعث النار؟ قال: من كل الف اراه، قال: تسع مائة وتسعة وتسعين، فحينئذ تضع الحامل حملها، ويشيب الوليد، وترى الناس سكارى وما هم بسكارى ولكن عذاب الله شديد سورة الحج آية 2، فشق ذلك على الناس حتى تغيرت وجوههم، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" من ياجوج وماجوج تسع مائة وتسعة وتسعين، ومنكم واحد، ثم انتم في الناس كالشعرة السوداء في جنب الثور الابيض، او كالشعرة البيضاء في جنب الثور الاسود، وإني لارجو ان تكونوا ربع اهل الجنة، فكبرنا، ثم قال: ثلث اهل الجنة، فكبرنا، ثم قال: شطر اهل الجنة، فكبرنا". قال ابو اسامة، عن الاعمش: وترى الناس سكارى وما هم بسكارى سورة الحج آية 2، وقال: من كل الف تسع مائة وتسعة وتسعين، وقال جرير، وعيسى بن يونس،وابو معاوية 0 سكرى وما هم بسكرى 0.
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne byaan kiya , kaha hum se hamare walid ne , kaha hum se Aamash ne , un se Abu Salih ne aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Paak Qayamat ke din Adam alaihissalam se farmaye ga . Ae Adam! Woh arz karein ge , main hazir hoon Ae Rabb! Teri farman-bardari ke liye . Parvardigar aawaz se pukare ga (ya farishta Parvardigar ki taraf se aawaz de ga) Allah hukm deta hai ke apni aulad mein se dozakh ka jattha nikalo . Woh arz karein ge Ae Parvardigar! Dozakh ka jattha kitna nikaloon . Hukm ho ga (rawi ne kaha main samajhta hoon) har hazar aadmiyon mein nau sau ninanway (goya hazar mein ek jannati ho ga) yeh aisa sakht waqt ho ga ke pait wali ka hamal gir jaye ga aur bacha (fikr ke maarey) burha ho jaye ga (yani jo bachpan mein mara ho) aur tu Qayamat ke din logon ko aisa dekhe ga jaise woh nasha mein matwale ho rahe hain haalan ke un ko nasha na ho ga balkay Allah ka azab aisa sakht ho ga (yeh hadees jo sahabah hazir thay un par sakht guzri . Un ke chehre (maarey darr ke) badal gaye . Is waqt Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un ki tasalli ke liye farmaya (tum itna kyun darte ho) agar Yajooj Majooj (jo kafir hain) ki nasl tum se milayi jaye to un mein se nau sau ninanway ke muqabil tum mein se ek aadmi pare ga . Gharz tum log hashr ke din doosre logon ki nisbat (jo dozakhi hon ge) aise ho ge jaise safaid bail ke jism par ek baal kala hota hai ya jaise kale bail ke jism par ek do baal safaid hote hain aur mujh ko umeed hai tum log saare jannatiyon ka chauthayi hissa ho ge (baqi teen hisson mein aur sab ummatein hon gi) . Yeh sun kar hum ne Allahu Akbar kaha . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya nahi balkay tum tihayi ho ge hum ne phir naara e takbeer buland kiya phir farmaya nahi balkay aadha hissa ho ge (aadhe hissa mein aur ummatein hon gi) hum ne phir naara e takbeer buland kiya aur Abu Usamah ne Aamash se yun riwayat kiya «taran-naasa sukaara wa ma hum bi-sukaara» jaise mashhoor qirat hai aur kaha ke har hazar mein se nau sau ninanway nikalo (to un ki riwayat Hafs bin Ghiyas ke muwafiq hai) aur Jareer bin Abdul Hameed aur Esa bin Yunus aur Abu Muawiyah ne yun naqal kiya «sukara wa ma hum bi-sukara» (Hamzah aur Kasai ki bhi yahi qirat hai) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَمِنَ النَّاسِ مَنْ يَعْبُدُ اللَّهَ عَلَى حَرْفٍ فَإِنْ أَصَابَهُ خَيْرٌ اطْمَأَنَّ بِهِ وَإِنْ أَصَابَتْهُ فِتْنَةٌ انْقَلَبَ عَلَى وَجْهِهِ خَسِرَ الدُّنْيَا وَالآخِرَةَ} إِلَى قَوْلِهِ: {ذَلِكَ هُوَ الضَّلاَلُ الْبَعِيدُ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur insaanon mein se ba’z aadmi aisa bhi hota hai jo Allah ki ibadat kinare par (khara ho kar yani shak aur tardud ke sath karta hai.) Phir agar use koi naf’a pahunch gaya to woh us par jama raha aur agar kahin us par koi azmaish aa pari to woh munh utha kar wapas chal diya. Yani murtad ho kar dunya wa aakhirat dono ko kho baitha.”Allah Taala ke irshad“yahi to hai inteha’i gumrahi se yahi muraad hai.
Show diacritics
Hadith Number: Q4742
اترفناهم، وسعناهم.
«atrafnaahum» ke maani hum ne un ki rozi kushada kar di .


Show diacritics
Hadith Number: 4742
حدثني إبراهيم بن الحارث، حدثنا يحيى بن ابي بكير، حدثنا إسرائيل، عن ابي حصين، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: ومن الناس من يعبد الله على حرف سورة الحج آية 11، قال: كان الرجل يقدم المدينة، فإن ولدت امراته غلاما ونتجت خيله، قال:"هذا دين صالح، وإن لم تلد امراته، ولم تنتج خيله، قال: هذا دين سوء".
Mujh se Ibrahim bin Harith ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Abi Bukayr ne , kaha hum se Israeel ne byaan kiya , un se Abu Haseen ne un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne aayat «wa minan-naasi man ya'budullaha ala harfin» ”aur insanon mein koi aisa bhi hota hai jo Allah ki ibadat kinara par (khara ho kar) karta hai .“ Ke mutalliq farmaya ke baaz log Madinah aate (aur apne Islam ka izhaar karte) is ke baad agar is ki biwi ke yahan larka paida hota aur ghori bhi bacha deti to woh kehte ke yeh deen (Islam) bara achha deen hai , lekin agar un ke yahan larka na paida hota aur ghori bhi koi bacha na deti to kehte ke yeh to bura deen hai is par mazkoora bala aayat nazil hui .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {هَذَانِ خَصْمَانِ اخْتَصَمُوا فِي رَبِّهِمْ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ye do fareeq hain, jinhon ne apne Parwardigar ke bare mein jhagra kiya”.
Show diacritics
Hadith Number: 4743
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا هشيم، اخبرنا ابو هاشم، عن ابي مجلز، عن قيس بن عباد، عن ابي ذر رضي الله عنه: انه كان يقسم قسما إن هذه الآية: هذان خصمان اختصموا في ربهم سورة الحج آية 19، نزلت في حمزة وصاحبيه، وعتبة وصاحبيه يوم برزوا في يوم بدر". رواه سفيان، عن ابي هاشم، وقال عثمان، عن جرير، عن منصور، عن ابي هاشم، عن ابي مجلز، قوله.
Hum se Hajjaj bin Minhal ne byaan kiya , kaha hum se Mutamir bin Sulayman ne byaan kiya , kaha ke main ne apne walid Sulayman se suna , unhon ne Abu Mijlaz se sun kar kaha ke yeh khud un (Abu Mijlaz) ka qaul hai , un se Qays bin Abbad ne aur un se Ali bin Abi Talib razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main pehla shakhs hoon ga . Jo Rahman ke huzoor mein Qayamat ke din apna dawa pesh karne ke liye chahar zaanu baithoon ga . Qays ne kaha ke Aap hi logon ke baare mein yeh aayat nazil hui thi «hazhaani khasmaani-khtasamoo fee rabbihim» ke yeh do fareeq hain jinon ne apne Parvardigar ke baare mein jhagra kiya“ byaan kiya ke yahi woh log hain jinon ne Badr ki larai mein dawat e muqabla di thi . Yani (Musalmanon ki taraf se) Ali , Hamzah aur Ubaydah razi Allahu anhum ne aur (kuffar ki taraf se) Shaybah bin Rabiah , Utbah bin Rabiah aur Waleed bin Utbah ne .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4744
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا معتمر بن سليمان، قال: سمعت ابي، قال: حدثنا ابو مجلز، عن قيس بن عباد، عن علي بن ابي طالب رضي الله عنه، قال:" انا اول من يجثو بين يدي الرحمن للخصومة يوم القيامة، قال قيس: وفيهم نزلت: هذان خصمان اختصموا في ربهم سورة الحج آية 19، قال: هم الذين بارزوا يوم بدر علي، وحمزة، وعبيدة، وشيبة بن ربيعة، وعتبة بن ربيعة، والوليد بن عتبة".
Hum se Hajjaj bin Minhal ne byaan kiya , kaha hum se Hushaym ne byaan kiya , kaha hum ko Abu Hashim ne khabar di , unhein Abu Mijlaz ne , unhein Qays bin Abbad ne aur unhein Abu Zharr razi Allahu anhu ne woh qasam kha kar byaan karte thay ke yeh aayat «hazhaani khasmaani-khtasamoo fee rabbihim» ”yeh do fareeq hain , jinon ne apne Parvardigar ke baare mein jhagra kiya .“ Hamzah aur Aap ke donon sathiyon (Ali bin Abi Talib razi Allahu anhu aur Ubaydah bin al-Harith razi Allahu anhu Musalmanon ki taraf se) aur (mushrikeen ki taraf se) Utbah aur is ke donon sathiyon (Shaybah aur Waleed bin Utbah) ke baare mein nazil hui thi , jab unhon ne Badr ki larai mein maidan mein aa kar muqabla ki dawat di thi . Is riwayat ko Sufyan ne Abu Hashim se aur Usman ne Jareer se , unhon ne Mansoor se , unhon ne Abu Hashim se aur unhon ne Abu Mijlaz se isi tarah naqal kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة