الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {وَلاَ تُخْزِنِي يَوْمَ يُبْعَثُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ibrahim ne ye bhi dua ki thi ke ya Allah! mujhe ruswa na karna us din jab hisaab ke liye sab jama kiye jayenge”.
Show diacritics
Hadith Number: 4769
حدثنا إسماعيل، حدثنا اخي، عن ابن ابي ذئب، عن سعيد المقبري، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" يلقى إبراهيم اباه، فيقول: يا رب، إنك وعدتني ان لا تخزيني يوم يبعثون، فيقول الله: إني حرمت الجنة على الكافرين".
Hum se Ismail ne byaan kiya , kaha mujh se mere bhai (Abdul Hameed) ne byaan kiya , un se Ibn Abi Zib ne , un se Saeed Maqburi ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Ibrahim alayhis-salatu was-salamu apne walid se (Qayamat ke din) jab milein ge to Allah Ta'ala se arz karein ge ke Ae Rabb! Tu ne waada kiya tha ke tu mujhe is din ruswa nahi kare ga jab sab uthaye jayein ge lekin Allah Ta'ala jawab de ga ke main ne jannat ko kafiron par haram qarar de diya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَأَنْذِرْ عَشِيرَتَكَ الأَقْرَبِينَ وَاخْفِضْ جَنَاحَكَ} أَلِنْ جَانِبَكَ:
Bab: Ayat ki tafseer «wakhfidh janahaka» yani apna baazu narm rakhe.
Show diacritics
Hadith Number: 4770
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني عمرو بن مرة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" لما نزلت: وانذر عشيرتك الاقربين سورة الشعراء آية 214 صعد النبي صلى الله عليه وسلم على الصفا، فجعل ينادي يا بني فهر، يا بني عدي، لبطون قريش حتى اجتمعوا، فجعل الرجل إذا لم يستطع ان يخرج، ارسل رسولا لينظر ما هو، فجاء ابو لهب وقريش، فقال:"ارايتكم لو اخبرتكم ان خيلا بالوادي تريد ان تغير عليكم اكنتم مصدقي؟ قالوا: نعم، ما جربنا عليك إلا صدقا، قال: فإني نذير لكم بين يدي عذاب شديد، فقال ابو لهب: تبا لك سائر اليوم الهذا جمعتنا، فنزلت: تبت يدا ابي لهب وتب {1} ما اغنى عنه ماله وما كسب {2} سورة المسد آية 1-2".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne byaan kiya , kaha hum se hamare walid ne byaan kiya , kaha hum se Aamash ne , kaha ke mujh se Amr bin Murrah ne byaan kiya , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke jab aayat «wa anzhir asheeratakal aqrabeena» ”aur Aap apne khandani qarabati-daron ko darate rahiye“ nazil hui to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Safa pahari par charh gaye aur pukarne lage . Ae Bani Fihr! Aur Ae Bani Adi! Aur Quraysh ke doosre khandan walo! Is aawaz par sab jama ho gaye agar koi kisi wajah se na aa saka to us ne apna koi chaudhry bhej diya , taake maloom ho ke kya baat hai . Abu Lahab Quraysh ke doosre logon ke saath majma mein tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein khitab kar ke farmaya ke tumhara kya khayal hai , agar main tum se kahoon ke wadi mein (pahari ke peeche) ek lashkar hai aur woh tum par hamla karna chahta hai to kya tum meri baat sach maano ge ? Sab ne kaha ke haan , hum Aap ki tasdeeq karein ge hum ne hamesha Aap ko sacha hi paya hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir suno , main tumhein is sakht azab se drata hoon jo bilkul samne hai . Is par Abu Lahab bola , tujh par saare din tabahi nazil ho , kya tu ne hamain isi liye ikatha kiya tha . Isi waqia par yeh aayat nazil hui «tabbat yada abi lahabiw-wa tabb * ma aghna anhu maaluhu wa ma kasab» ”Abu Lahab ke donon hath toot gaye aur woh barbad ho gaya , na is ka maal is ke kaam aaya aur na is ki kamayi hi is ke aarray aayi .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4771
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سعيد بن المسيب، وابو سلمة بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة، قال: قام رسول الله صلى الله عليه وسلم حين انزل الله: وانذر عشيرتك الاقربين سورة الشعراء آية 214، قال:" يا معشر قريش او كلمة نحوها اشتروا انفسكم، لا اغني عنكم من الله شيئا يا بني عبد مناف لا اغني عنكم من الله شيئا يا عباس بن عبد المطلب، لا اغني عنك من الله شيئا ويا صفية عمة رسول الله، لا اغني عنك من الله شيئا، ويا فاطمة، بنت محمد سليني ما شئت من مالي لا اغني عنك من الله شيئا". تابعه اصبغ،عن ابن وهب، عن يونس، عن ابن شهاب.
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , un se Zuhri ne byaan kiya , kaha mujh ko Saeed bin Musayyab aur Abu Salamah bin Abdur Rahman ne khabar di ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya , jab aayat «wa anzhir asheeratakal aqrabeena» ”aur apne khandan ke qarabati-daron ko dra“ nazil hui to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne (Safa pahari par kharay ho kar) aawaz di ke Ae jama'at e Quraysh! Ya isi tarah ka aur koi kalma Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ki itaat ke zariye apni jaanon ko is ke azab se bachao (agar tum shirk o kufr se baaz na aaye to) Allah ke haan main tumhare kisi kaam nahi aaoon ga . Ae Bani Abd Manaf! Allah ke haan main tumhare liye bilkul kuch nahi kar sakoon ga . Ae Abbas bin Abdul Muttalib! Allah ki bargah mein main tumhare kuch kaam nahi aa sakoon ga . Ae Safiya , Rasool Allah ki phoopi! Main Allah ke yahan tumhein kuch faida na pahuncha sakoon ga . Ae Fatima! Muhammad (salla Allahu alaihi wasallam) ki beti! Mere maal mein se jo chaho mujh se le lo lekin Allah ki bargah mein , main tumhein koi faida na pahuncha sakoon ga . Is riwayat ki mutabia't Asbagh ne Ibn Wahb se , unhon ne Yunus se aur unhon ne Ibn Shihab se ki hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة النَّمْلِ:
Bab: Surah An-Naml ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4772-2
والخبء ما خبات، لا قبل: لا طاقة الصرح كل ملاط اتخذ من القوارير، والصرح القصر، وجماعته صروح. وقال ابن عباس: ولها عرش: سرير، كريم: حسن الصنعة، وغلاء الثمن ياتوني، مسلمين: طائعين، ردف: اقترب، جامدة: قائمة، اوزعني: اجعلني، وقال مجاهد: نكروا: غيروا، واوتينا العلم، يقوله سليمان: الصرح بركة ماء ضرب عليها سليمان قوارير البسها إياه.
«al-khab'u» poshida , chhupi cheez . «la qibala» taqat nahi . «as-sarhu» ke maani kaanch ka gaara aur «sarhun» mahal ko bhi kehte hain is ki jama «suroohun» hai . Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «wa laha arshun» ka yeh maani hai ke is ka takht nihayat umdah , achhi karigari ka hai , jo besh-qemat hai . «muslimeena» yani tabedar ho kar . «radafa» nazdeek aa pahuncha . «jaamidatun» apni jagah par qaim . «auzhini» mujh ko kar de . Aur Mujahid ne kaha «nakkiroo» ka maani is ka roop badal daalo . «wa ooteenal ilma» yeh Sulayman alaihissalam ka maqoola hai . «sarhun» pani ka ek hauz tha Sulayman alaihissalam ne usay sheeshon se dhaank diya tha dekhne se aisa maloom hota tha jaise pani bhara hua hai .


سورة الْقَصَصِ:
Bab: Surah Al-Qasas ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4772
كل شيء هالك إلا وجهه: إلا ملكه، ويقال: إلا ما اريد به وجه الله، وقال مجاهد: فعميت عليهم الانباء: الحجج.
«kullu shay'in haalikun illa wajhahu» yani ”har shay fana hone wali hai , siwaye is ki zaat ke“ ( «illa wajhahu» se murad hai) ”bajuz is ki sultant ke“ baaz logon ne is se murad woh aamal liye hain jo Allah ki raza haasil karne ke liye kiye gaye hon . (sawab ke lihaz se woh bhi fana na hon ge) Mujahid ne kaha ke «al-anbaa'u» se daleelein murad hain .


بَابُ قَوْلِهِ: {إِنَّكَ لاَ تَهْدِي مَنْ أَحْبَبْتَ وَلَكِنَّ اللَّهَ يَهْدِي مَنْ يَشَاءُ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Jis ko tum chaho hidayat nahi kar sakte, albatta Allah hidayat deta hai use jis ke liye woh hidayat chahta hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4772
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سعيد بن المسيب، عن ابيه، قال:" لما حضرت ابا طالب الوفاة جاءه رسول الله صلى الله عليه وسلم فوجد عنده ابا جهل وعبد الله بن ابي امية بن المغيرة، فقال:" اي عم قل لا إله إلا الله كلمة احاج لك بها عند الله"، فقال ابو جهل، وعبد الله بن ابي امية: اترغب عن ملة عبد المطلب، فلم يزل رسول الله صلى الله عليه وسلم يعرضها عليه ويعيدانه بتلك المقالة حتى، قال ابو طالب: آخر ما كلمهم على ملة عبد المطلب وابى ان، يقول: لا إله إلا الله، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" والله لاستغفرن لك ما لم انه عنك، فانزل الله: ما كان للنبي والذين آمنوا ان يستغفروا للمشركين سورة التوبة آية 113 وانزل الله في ابي طالب، فقال لرسول الله صلى الله عليه وسلم: إنك لا تهدي من احببت ولكن الله يهدي من يشاء سورة القصص آية 56 قال ابن عباس: اولي القوة: لا يرفعها العصبة من الرجال، لتنوء: لتثقل، فارغا: إلا من ذكر موسى، الفرحين: المرحين، قصيه: اتبعي اثره، وقد يكون ان يقص الكلام نحن نقص عليك، عن جنب: عن بعد، عن جنابة واحد، وعن اجتناب ايضا يبطش ويبطش، ياتمرون: يتشاورون العدوان والعداء والتعدي، واحد، آنس: ابصر الجذوة قطعة غليظة من الخشب ليس فيها لهب والشهاب فيه لهب، والحيات اجناس الجان والافاعي والاساود، ردءا: معينا، قال ابن عباس: يصدقني، وقال غيره: سنشد: سنعينك كلما عززت شيئا فقد جعلت له عضدا مقبوحين مهلكين، وصلنا: بيناه واتممناه، يجبى: يجلب، بطرت: اشرت، في امها رسولا: ام القرى مكة وما حولها، تكن: تخفي اكننت الشيء اخفيته وكننته اخفيته واظهرته، ويكان الله: مثل الم تر ان الله، يبسط الرزق لمن يشاء ويقدر: يوسع عليه ويضيق عليه".
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , un se Zuhri ne byaan kiya . Unhein Saeed bin Musayyab ne khabar di aur un se un ke walid (Musayyab bin Hazn) ne byaan kiya ke jab Abu Talib ki wafat ka waqt qareeb hua to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam un ke paas aaye , Abu Jahl aur Abdullah bin Abi Umayyah bin Mugheerah wahan pehle hi se maujood thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Chacha! Aap sirf kalma «la ilaha illallah» parh dijiye taake is kalma ke zariye Allah ki bargah mein Aap ki shafaat karoon . Is par Abu Jahl aur Abdullah bin Abi Umayyah bolay kya tum Abdul Muttalib ke mazhab se phir jao ge ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam baar baar un se yahi kehte rahe (ke Aap sirf ek kalma parh lein) aur yeh donon bhi apni baat un ke samne baar baar dohrate rahe (ke kya tum Abdul Muttalib ke mazhab se phir jao ge ?) aakhir Abu Talib ki zaban se jo aakhri kalma nikla woh yahi tha ke woh Abdul Muttalib ke mazhab par hi qaim hain . Unhon ne «la ilaha illallah» parhne se inkar kar diya . Rawi ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah ki qasam! Main Aap ke liye talab e maghfirat karta rahoon ga ta-aankay mujhe is se rok na diya jaye . Phir Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «ma kana linnabiyyi wallazhina aamanu an yastaghfiroo lilmushrikeena» ”Nabi aur iman walon ke liye yeh munasib nahi hai ke woh mushrikeen ke liye dua e maghfirat karein .“ Aur khaas Abu Talib ke baare mein yeh aayat nazil hui Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kaha gaya «innaka la tahdee man ahbabta wa laakinnallaha yahdee man yashaa'u» ke ”jis ko tum chaho hidayat nahi kar sakte , albatta Allah hidayat deta hai usay jis ke liye woh hidayat chahta hai .“ Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «ulil quwwati» se yeh murad hai ke kai zor dar aadmi mil kar bhi is ki kunjiyan nahi utha sakte thay . «l-tanoo'a» ka matlab dhoi jati thien . «faarighan» ka maani yeh hai ke Musa ki maan ke dil mein Musa ke siwa aur koi khaas nahi raha tha . «al-fariheena» ka maani khushi se itrate huay . «qussheehi» yani is ke peeche peeche chali ja . «qasasun» ke maani byaan karne ke hote hain jaise Surah Yusuf mein farmaya «nahnu naqussu alayka» , «an junubin» yani door se «an janabatin» ka bhi yahi maani hai aur «an-ijtinabin» ka bhi yahi hai . «yab-tishu» ba-kasrah taa aur «yab-tushu» ba-dhumma taa donon qirat hain . «ya'tamiroona» mashwara kar rahe hain . «udwanan» aur «adwan» aur «ta'addi» sab ka ek hi mafhoom hai yani had se barh jana zulm karna . «aanasa» ka maani dekhna . «jazhwatun» lakri ka mota tukra jis ke sirray par aag lagi ho magar is mein shola na ho aur «shihabun» jo aayat «awatikum bi-shihabin qabasin» mein hai is se murad aaisi jalti hui lakri jis mein shola ho . «hayyaatun» yani sanpon ki mukhtalif qasmein (jaise) jaan , af-ee , aswad waghaira «rid-an» yani madadgar , pusht-panah . Ibn Abbas razi Allahu anhu ne «yusaddiquni» ba-dhumma qaaf parha hai . Auron ne kaha «sanashuddu» ka maani yeh hai ke hum teri madad karein ge Arab log ka muhawara hai jab kisi ko quwwat dete hain to kehte hain «jaaltu lahu adudan» . «maqbuheena» ka maani halak kiye gaye . «wassalna» hum ne is ko byaan kiya aur poora kiya . «yujba» kichay aate hain . «batirat» shararat ki . «fee ummiha rasoolan» , «ummul qura» Makkah aur is ke atraf ko kehte hain . «tukinnu» ka maani chhupati hain . Arab log kehte hain «ak-nantu» yani main ne is ko chhupa liya . «kanantuhu» ka bhi yahi maani hai . «way-ka'annallaha» ka maani «alam tara annallaha» ke yani kya tu ne nahi dekha . «yabsutur-rizqa liman yashaa'u wa yaqdiru» yani Allah jis ko chahta hai faraghat se rozi deta hai jise chahta hai tangi se deta hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {إِنَّ الَّذِي فَرَضَ عَلَيْكَ الْقُرْآنَ} الآيَةَ:
Bab: Ayat ki tafseer“Jis Rab ne Aap par Quran ko farz (yani nazil) kiya hai”aakhir ayat tak.
Show diacritics
Hadith Number: 4773
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا يعلى، حدثنا سفيان العصفري، عن عكرمة، عن ابن عباس لرادك إلى معاد سورة القصص آية 85، قال:" إلى مكة".
Hum se Muhammad bin Muqatil ne byaan kiya , kaha hum ko Yala bin Ubayd ne khabar di , kaha hum se Sufyan bin Dinar Asfari ne byaan kiya , un se Ikrimah ne , aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke (aayat mazkoora bala mein) «la-raad-duka ila maadun» se murad hai ke Allah phir Aap ko Makkah pahuncha kar rahe ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة الْعَنْكَبُوتِ:
Bab: Surah Al-Ankaboot ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4774-2
قال مجاهد: وكانوا مستبصرين: ضللة، وقال غيره: الحيوان والحي واحد، فليعلمن الله: علم الله ذلك إنما هي بمنزلة، فليميز الله كقوله: ليميز الله الخبيث: من الطيب، اثقالا مع اثقالهم: اوزارا مع اوزارهم.
Mujahid rahmahullah ne kaha ke «wa kanoo mustabsireena» ka yeh maani hai ke woh gumrah thay (aur apne aap ko hidayat par samajhte thay) auron ne kaha ke haywan murad hai aur is ki wahid «hayyiun» hai . «falayalamannallahu» mein ilm se tameez yani khol kar bata dena murad hai jaise «liyameezallahu-lkhabeesa» mein hai . «asqaalan ma'a asqaalihim» ka matlab yani apne bojhon ke saath doosron ke bojh bhi uthayein ge .


سورة الرُّومِ:
Bab: Surah Ar-Rum ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4774
{فلا يربو} من اعطى يبتغي افضل فلا اجر له فيها. قال مجاهد: يحبرون: ينعمون، يمهدون: يسوون المضاجع الودق المطر، قال ابن عباس: هل لكم مما ملكت ايمانكم: في الآلهة وفيه، تخافونهم: ان يرثوكم كما يرث بعضكم بعضا، يصدعون: يتفرقون، فاصدع، وقال غيره: ضعف وضعف لغتان، وقال مجاهد: السواى: الإساءة جزاء المسيئين.
«fala yarbu» yani jo sood par qarz de us ko kuch sawab nahi mile ga . Mujahid ne kaha «yuhbaroona» ka maani niamatein diye jayein ge . «fal-anfusihim yamhadoona» yani apne liye bistre , bichhone bichhate hain (qabr mein ya bahisht mein) . «al-wadqu» meenh ko kehte hain . Ibn Abbas ne kaha ke yeh aayat «hal lakum mimma malakat aimanukum» Allah Paak aur buton ki misal mein utri hai . «takhafoonahum» yani tum kya apne laundi ghulamon se yeh khauf karte ho ke woh tumhare waris ban jayein ge jaise tum aapas mein ek doosre ke waris hote ho . «yassadda-oona» ke maani juda juda ho jayein ge . «fasda'a» ka maani haq baat khol kar byaan kar de aur baaz ne kaha «dhufun» aur «dhafun» dhaad ke dhumma aur fatah ke saath donon qirat hain . Mujahid ne kaha «as-soo'a» ka maani burayi yani burayi karne walon ka badla bura mile ga .


Show diacritics
Hadith Number: 4774
حدثنا محمد بن كثير، حدثنا سفيان، حدثنا منصور، والاعمش، عن ابي الضحى، عن مسروق، قال: بينما رجل يحدث في كندة، فقال: يجيء دخان يوم القيامة، فياخذ باسماع المنافقين، وابصارهم ياخذ المؤمن كهيئة الزكام، ففزعنا، فاتيت ابن مسعود، وكان متكئا، فغضب فجلس، فقال: من علم فليقل، ومن لم يعلم فليقل الله اعلم، فإن من العلم ان، يقول: لما لا يعلم لا اعلم، فإن الله، قال لنبيه صلى الله عليه وسلم" قل ما اسالكم عليه من اجر وما انا من المتكلفين سورة ص آية 86، وإن قريشا ابطئوا عن الإسلام، فدعا عليهم النبي صلى الله عليه وسلم فقال:" اللهم اعني عليهم بسبع كسبع يوسف"، فاخذتهم سنة حتى هلكوا فيها واكلوا الميتة والعظام، ويرى الرجل ما بين السماء والارض كهيئة الدخان، فجاءه ابو سفيان، فقال: يا محمد جئت تامرنا بصلة الرحم، وإن قومك قد هلكوا، فادع الله، فقرا: فارتقب يوم تاتي السماء بدخان مبين إلى قوله عائدون سورة الدخان آية 10 - 15، افيكشف عنهم عذاب الآخرة إذا جاء ثم عادوا إلى كفرهم، فذلك قوله تعالى: يوم نبطش البطشة الكبرى سورة الدخان آية 16 يوم بدر ولزاما يوم بدر، الم غلبت الروم إلى سيغلبون سورة الروم آية 1 - 3 والروم قد مضى.
Hum se Muhammad bin Kaseer ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , kaha hum se Mansoor aur Aamash ne byaan kiya , un se Abu al-Duha ne , un se Masrooq ne byaan kiya ke ek shakhs ne qabila Kinda mein waaz byaan karte huay kaha ke Qayamat ke din ek dhuwaan uthe ga jis se munafiqon ke aankh kaan bilkul bekar ho jayein ge lekin momin par is ka asar sirf zukam jaisa ho ga . Hum is ki baat se bahut ghabra gaye . Phir main Ibn Masood razi Allahu anhu ki khidmat mein hazir hua (aur unhein in sahab ki yeh baat sunayi) woh is waqt taik lagaye baithe thay , usay sun kar bahut ghussa huay aur seedhe baith gaye . Phir farmaya ke agar kisi ko kisi baat ka waqayi ilm hai to phir usay byaan karna chahiye lekin agar ilm nahi hai to keh dena chahiye ke Allah zyada janne wala hai . Yeh bhi ilm hi hai ke aadmi apni la-ilmi ka iqrar kar le aur saaf keh de ke main nahi jaanta . Allah Ta'ala ne apne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se farmaya tha «qul ma as'alukum alayhi min ajrin wa ma ana minal mutakallifeena» ”Aap keh dijiye ke main apni tableegh o dawat par tum se koi ajr nahi chahta aur na main banawat karta hoon .“ Asal mein waqia yeh hai ke Quraysh kisi tarah Islam nahi laate thay . Is liye Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un ke haq mein bad-dua ki ke Ae Allah! In par Yusuf alaihissalam ke zamane jaisa qaht bhej kar meri madad kar phir aisa qaht para ke log tabah ho gaye aur murdaar aur hadiyan khane lage koi agar faza mein dekhta (to faqa ki wajah se) usay dhuwein jaisa nazar aata . Phir Abu Sufyan aaye aur kaha ke Ae Muhammad! Aap hamain sila rahmi ka hukm dete hain lekin Aap ki qaum tabah ho rahi hai , Allah se dua kijiye (ke un ki yeh museebat door ho) . Is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne yeh aayat parhi «fartaqib yawma ta'tis-sama'u bi-dukhaanim mubeenin» se «aa'idoona» tak . Ibn Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke qaht ka yeh azab to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki dua ke nateeja mein khatam ho gaya tha lekin kya aakhirat ka azab bhi un se tal jaye ga ? Chunanche qaht khatam hone के baad phir woh kufr se baaz na aaye , is ki taraf isharah «yawma nab-tishul bat-shatal kubra» mein hai , yeh bat-sha kuffar par Ghazwa Badr ke mauqa par nazil hui thi (ke un ke bare bare sardar qatl kar diye gaye) aur «lizaaman» (qaid) se isharah bhi ma'arka Badr hi ki taraf hai «alif-laam-meem * ghulibatir-roomu» se «sa-yaghliboona» tak ka waqia guzar chuka hai ke (ke Room walon ne Faaris walon par fatah paali thi) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة