الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِهِ: {تُرْجِئُ مَنْ تَشَاءُ مِنْهُنَّ وَتُؤْوِي إِلَيْكَ مَنْ تَشَاءُ وَمَنِ ابْتَغَيْتَ مِمَّنْ عَزَلْتَ فَلاَ جُنَاحَ عَلَيْكَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay Nabi! un (azwaj-e-mutahharaat) mein se Aap jis ko chahen apne se door rakhen aur jis ko chahen apne qareeb rakhen aur jin ko Aap ne alag kar rakha ho un mein se kisi ko phir talab kar len jab bhi Aap par koi gunah nahi”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4788
قال ابن عباس: ترجئ: تؤخر ارجئه اخره.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «turji-u» ka maani peeche daal de . Isi se Surah al-A'raf ka yeh lafz hai «arjih-hu» yani is ko dheel mein rakho .


Show diacritics
Hadith Number: 4788
حدثنا زكرياء بن يحيى، حدثنا ابو اسامة، قال: هشام حدثنا، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كنت اغار على اللاتي وهبن انفسهن لرسول الله صلى الله عليه وسلم، واقول: اتهب المراة نفسها، فلما انزل الله تعالى: ترجي من تشاء منهن وتؤوي إليك من تشاء ومن ابتغيت ممن عزلت فلا جناح عليك سورة الاحزاب آية 51، قلت: ما ارى ربك إلا يسارع في هواك".
Hum se Zakariya bin Yahya ne byaan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne byaan kiya , kaha hum se Hisham ne apne walid se sun kar byaan kiya aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke jo auratein apne nafs ko Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke liye hiba karne aati thien mujhe un par bari ghairat aati thi . Main kehti ke kya aurat khud hi apne ko kisi mard ke liye pesh kar sakti hai ? Phir jab Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «turji-u man tashaa-u minhunna wa tu'wee ilayka man tashaa-u wa man-ibtaghayta mimman azalta fala junaha alayka» ke ”in mein se jis ko chahein apne se door rakhein aur jis ko chahein apne nazdeek rakhein aur jin ko Aap ne alag kar rakkha tha is mein se kisi ko phir talab kar lein jab bhi , Aap par koi gunah nahi hai .“ To main ne kaha ke main to samajhti hoon ke Aap ka Rabb Aap ki murad bila takheer poori kar dena chahta hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4789
حدثنا حبان بن موسى، اخبرنا عبد الله، اخبرنا عاصم الاحول، عن معاذة، عن عائشة رضي الله عنها، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم:" كان يستاذن في يوم المراة منا بعد ان انزلت هذه الآية: ترجي من تشاء منهن وتؤوي إليك من تشاء ومن ابتغيت ممن عزلت فلا جناح عليك سورة الاحزاب آية 51، فقلت لها: ما كنت تقولين؟، قالت: كنت، اقول له:" إن كان ذاك إلي فإني لا اريد يا رسول الله ان اوثر عليك احدا". تابعه عباد بن عباد، سمع عاصما.
Hum se Habban bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Abdullah ne khabar di , kaha hum ko Aasim Ahwal ne khabar di , unhein Muazha ne aur unhein Aisha razi Allahu anha ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam is aayat ke nazil hone ke baad bhi «turji-u man tashaa-u minhunna wa tu'wee ilayka man tashaa-u wa man-ibtaghayta mimman azalta fala junaha alayka» ke ”in mein se Aap jis ko chahein apne se door rakhein aur jin ko Aap ne alag kar rakkha tha is mein se kisi ko talab kar lein jab bhi Aap par koi gunah nahi .“ Agar (azwaj e mutahharat) mein se kisi ki baari mein kisi doosri biwi ke paas jaana chahte to jin ki baari hoti un se ijazat lete thay (Muazha ne byaan kiya ke) main ne is par Aisha razi Allahu anha se poocha ke aaisi surat mein Aap Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kya kehti thien ? Unhon ne farmaya ke main to yeh arz kar deti thi ke ya Rasool Allah! Agar yeh ijazat Aap mujh se le rahe hain to main to apni baari ka kisi doosre par eesaar nahi kar sakti . Is riwayat ki mutabia't Abbad bin Abbad ne ki , unhon ne Aasim se suna .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {لاَ تَدْخُلُوا بُيُوتَ النَّبِيِّ إِلاَّ أَنْ يُؤْذَنَ لَكُمْ إِلَى طَعَامٍ غَيْرَ نَاظِرِينَ إِنَاهُ وَلَكِنْ إِذَا دُعِيتُمْ فَادْخُلُوا فَإِذَا طَعِمْتُمْ فَانْتَشِرُوا وَلاَ مُسْتَأْنِسِينَ لِحَدِيثٍ إِنَّ ذَلِكُمْ كَانَ يُؤْذِي النَّبِيَّ فَيَسْتَحْيِي مِنْكُمْ وَاللَّهُ لاَ يَسْتَحْيِي مِنَ الْحَقِّ وَإِذَا سَأَلْتُمُوهُنَّ مَتَاعًا فَاسْأَلُوهُنَّ مِنْ وَرَاءِ حِجَابٍ ذَلِكُمْ أَطْهَرُ لِقُلُوبِكُمْ وَقُلُوبِهِنَّ وَمَا كَانَ لَكُمْ أَنْ تُؤْذُوا رَسُولَ اللَّهِ وَلاَ أَنْ تَنْكِحُوا أَزْوَاجَهُ مِنْ بَعْدِهِ أَبَدًا إِنَّ ذَلِكُمْ كَانَ عِنْدَ اللَّهِ عَظِيمًا}:
Bab: Ayat ki tafseer yani Ay imaan walo! Nabi ke gharon mein mat jaya karo. Siwaye us waqt ke jab tumhein khane ke liye (aane ki) ijazat di jaye, aise taur par ke us ki tayyari ke muntazir na baithe raho, albatta jab tum ko bulaya jaye tab jaya karo. Phir jab khana kha chuko to uth kar chale jaya karo aur wahan baaton mein ji laga kar mat baithe raha karo. Is baat se Nabi ko takleef hoti hai so aap tumhara lehaz karte hain aur Allah saaf baat kehne se (kisi ka) lehaz nahi karta aur jab tum un (Rasool ki azwaj) se koi cheez maango to un se parde ke bahar se maanga karo, ye tumhare aur un ke dilon ke paak rehne ka umdah zariya hai aur tumhein ja’iz nahi ke tum Rasoolullah ko (kisi tarah bhi) takleef pahunchao aur na ye ke Aap ke baad Aap ki biwiyon se kabhi bhi nikah karo, beshak ye Allah ke nazdeek bohot bari baat hai”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4790
يقال: إناه: إدراكه انى ياني اناة فهو آن، لعل الساعة تكون قريبا: إذا وصفت صفة المؤنث قلت قريبة وإذا جعلته ظرفا وبدلا ولم ترد الصفة نزعت الهاء من المؤنث، وكذلك لفظها في الواحد والاثنين والجميع للذكر والانثى.
«inaahu» ka maani khana tayyar hona pakna yeh «ana ya'ni anaatan» se nikla hai . «la'allas-saata takoonu qareeban» qiyas to yeh tha ke «qareebatan» kehte magar «qareeb» ka lafz jab muannas ki sifat ho to usay «qareebatan» kehte hain aur jab woh zarf ya ism hota hai aur sifat murad nahi hoti to ha-e-tanees nikal daalte hain «qareeban» kehte hain . Aaisi halat mein wahid , tasniya , jama , muzakkar aur muannas sab barabar hai .


Show diacritics
Hadith Number: 4790
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن حميد، عن انس، قال: قال عمر رضي الله عنه: قلت:" يا رسول الله، يدخل عليك البر والفاجر فلو امرت امهات المؤمنين بالحجاب فانزل الله آية الحجاب".
Hum se Musaddad ne byaan kiya , un se Yahya bin Saeed Qattan ne , un se Humayd Taweel ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Umar razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Aap ke paas achhe bure har tarah ke log aate hain , kaash Aap azwaj e mutahharat ko parda ka hukm de dein . Is ke baad Allah ne parda ka hukm utara .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4791
حدثنا محمد بن عبد الله الرقاشي، حدثنا معتمر بن سليمان، قال: سمعت ابي، يقول: حدثنا ابو مجلز، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" لما تزوج رسول الله صلى الله عليه وسلم زينب بنت جحش دعا القوم، فطعموا، ثم جلسوا يتحدثون، وإذا هو كانه يتهيا للقيام، فلم يقوموا، فلما راى ذلك قام، فلما قام قام من قام وقعد ثلاثة نفر، فجاء النبي صلى الله عليه وسلم ليدخل، فإذا القوم جلوس، ثم إنهم قاموا، فانطلقت، فجئت فاخبرت، النبي صلى الله عليه وسلم انهم قد انطلقوا، فجاء حتى دخل، فذهبت ادخل، فالقى الحجاب بيني وبينه، فانزل الله: يايها الذين آمنوا لا تدخلوا بيوت النبي سورة الاحزاب آية 53 الآية".
Hum se Muhammad bin Abdullah Raqashi ne byaan kiya , kaha hum se Mutamir bin Sulayman ne byaan kiya , kaha ke main ne apne walid se suna , unhon ne byaan kiya hum se Abu Mijlaz ne byaan kiya aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Zaynub bint Jahsh razi Allahu anha se nikah kiya to qaum ko Aap ne dawat e walima di , khana khane ke baad log (ghar ke andar hi) baithe (der tak) baatein karte rahe . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne aisa kiya goya Aap uthna chahte hain (taake log samajh jayein aur uth jayein) lekin koi bhi nahi utha , jab Aap ne dekha ke koi nahi uthta to Aap salla Allahu alaihi wasallam kharay huay . Jab Aap salla Allahu alaihi wasallam kharay huay to doosre log bhi kharay ho gaye , lekin teen aadmi ab bhi baithe reh gaye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab bahar se andar jaane ke liye aaye to dekha ke kuch ab bhi baithe huay hain . Is ke baad woh log bhi uth gaye to main ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir ho kar khabar di ke woh log bhi chale gaye hain to Aap andar tashreef laye . Main ne bhi chaha ke andar jaon , lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apne aur mere beech mein darwaza ka parda gira liya , is ke baad aayat (mazkoora bala) nazil hui «ya ayyuhallazhina aamanu la tadkhuloo buyootan-nabiyyi» ke ”Ae ایمin والو! Nabi ke gharon mein mat jaya karo .“ Aakhir aayat tak .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4792
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن ابي قلابة، قال انس بن مالك:" انا اعلم الناس بهذه الآية آية الحجاب لما اهديت زينب بنت جحش رضي الله عنها إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم كانت معه في البيت صنع طعاما، ودعا القوم فقعدوا يتحدثون، فجعل النبي صلى الله عليه وسلم يخرج، ثم يرجع، وهم قعود يتحدثون، فانزل الله تعالى: يايها الذين آمنوا لا تدخلوا بيوت النبي إلا ان يؤذن لكم إلى طعام غير ناظرين إناه إلى قوله من وراء حجاب سورة الاحزاب آية 53، فضرب الحجاب، وقام القوم".
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , kaha hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Ayub Sakhtiyani ne , un se Abu Qulabah ne ke Anas bin Malik razi Allahu anhu ne kaha ke is aayat yani aayat e parda (ke shaan e nuzool) ke mutalliq main sab se zyada jaanta hoon , jab Zaynub razi Allahu anha se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne nikah kiya aur woh Aap ke saath Aap ke ghar hi mein thien to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne khana tayyar karwaya aur qaum ko bulaya (khane se farigh hone ke baad) log baithe baatein karte rahe . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bahar jate aur phir andar aate (taake log uth jayein) lekin log baithe baatein karte rahe . Is par yeh aayat nazil hui «ya ayyuhallazhina aamanu la tadkhuloo buyootan-nabiyyi illa an yu'zhana lakum ila taamin ghayra nazhireena inaahu» ke ”Ae ایمin والو! Nabi ke gharon mein mat jaya karo . Siwaye is waqt ke jab tumhein (khane ke liye) aane ki ijazat di jaye . Aise taur par ke is ki tayyari ke muntazir na raho .“ Allah Ta'ala ke irshad «min waraa-i hijabin» tak is ke baad parda daal diya gaya aur log kharay ho gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4793
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، حدثنا عبد العزيز بن صهيب، عن انس رضي الله عنه، قال: بني على النبي صلى الله عليه وسلم بزينب ابنة جحش بخبز ولحم، فارسلت على الطعام داعيا، فيجيء قوم، فياكلون ويخرجون، ثم يجيء قوم فياكلون ويخرجون، فدعوت حتى ما اجد احدا ادعو، فقلت: يا نبي الله، ما اجد احدا ادعوه، قال:" ارفعوا طعامكم"، وبقي ثلاثة رهط يتحدثون في البيت، فخرج النبي صلى الله عليه وسلم، فانطلق إلى حجرة عائشة، فقال:" السلام عليكم اهل البيت ورحمة الله"، فقالت: وعليك السلام ورحمة الله، كيف وجدت اهلك بارك الله لك، فتقرى حجر نسائه كلهن، يقول لهن كما يقول لعائشة، ويقلن له كما، قالت عائشة: ثم رجع النبي صلى الله عليه وسلم، فإذا ثلاثة من رهط في البيت يتحدثون، وكان النبي صلى الله عليه وسلم شديد الحياء، فخرج منطلقا نحو حجرة عائشة، فما ادري اخبرته او اخبر ان القوم خرجوا، فرجع حتى إذا وضع رجله في اسكفة الباب داخلة واخرى خارجة ارخى الستر بيني وبينه وانزلت آية الحجاب".
Hum se Abu Mamar ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Waris ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Aziz bin Suhayb ne byaan kiya aur un se Anas razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Zaynub bint Jahsh razi Allahu anha se nikah ke baad (bataur walima) gosht aur roti tayyar karwayi aur mujhe khane par logon ko bulane ke liye bheja , phir kuch log aaye aur kha kar wapas chale gaye . Phir doosre log aaye aur kha kar wapas chale , main bulata raha . Aakhir jab koi baqi nahi raha to main ne arz kiya: Ae Allah ke Nabi! Ab to koi baqi nahi raha jis ko main dawat doon to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ab dastar-khwan utha lo lekin teen ashkhash ghar mein baatein karte rahe . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bahar nikal aaye aur Aisha razi Allahu anha ke hujra ke samne ja kar farmaya Assalamu Alaikum Ahl al-Bayt wa Rahmatullah . Unhon ne kaha wa-alaikumus-salam wa Rahmatullah , apni ahl ko Aap ne kaisa paya ? Allah barkat ata farmaye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam isi tarah tamam azwaj e mutahharat ke hujron ke samne gaye aur jis tarah Aisha razi Allahu anha se farmaya tha isi tarah sab se farmaya aur unhon ne bhi Aisha razi Allahu anha ki tarah jawab diya . Is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam wapas tashreef laye to woh teen aadmi ab bhi ghar mein baithe baatein kar rahe thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bahut zyada haya-dar thay , Aap (yeh dekh kar ke log ab bhi baithe huay hain) Aisha razi Allahu anha ke hujra ki taraf phir chale gaye , mujhe yaad nahi ke is ke baad main ne ya kisi aur ne Aap ko ja kar khabar ki ke ab woh teenon aadmi rawana ho chuke hain . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ab wapas tashreef laye aur paon chaukhat par rakkha . Abhi Aap ka ek paon andar tha aur ek paon bahar ke Aap ne parda gira liya aur parda ki aayat nazil hui .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4794
حدثنا إسحاق بن منصور، اخبرنا عبد الله بن بكر السهمي، حدثنا حميد، عن انس رضي الله عنه، قال:" اولم رسول الله صلى الله عليه وسلم حين بنى بزينب بنت جحش، فاشبع الناس خبزا ولحما، ثم خرج إلى حجر امهات المؤمنين كما كان يصنع صبيحة بنائه، فيسلم عليهن، ويسلمن عليه، ويدعو لهن، ويدعون له، فلما رجع إلى بيته راى رجلين جرى بهما الحديث، فلما رآهما رجع عن بيته، فلما راى الرجلان نبي الله صلى الله عليه وسلم رجع عن بيته، وثبا مسرعين، فما ادري انا اخبرته بخروجهما ام اخبر، فرجع حتى دخل البيت وارخى الستر بيني وبينه، وانزلت آية الحجاب. وقال ابن ابي مريم: اخبرنا يحيى، حدثني حميد، سمع انسا، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya , kaha hum ko Abdullah bin Bakr Sahmi ne khabar di , kaha hum se Humayd Taweel ne byaan kiya ke Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Zaynub bint Jahsh razi Allahu anha se nikah par dawat e walima ki aur gosht aur roti logon ko khilayi . Phir Ummahat al-Momineen ke hujron ki taraf gaye , jaisa ke Aap ka mamool tha ke nikah ki subah ko Aap jaya karte thay , Aap unhein salam karte aur un ke haq mein dua karte aur Ummahat al-Momineen bhi Aap ko salam kartien aur Aap ke liye dua kartien . Ummahat al-Momineen ke hujron se jab Aap apne hujra mein wapas tashreef laye to Aap ne dekha ke do aadmi aapas mein guftagu kar rahe hain . Jab Aap ne unhein baithe huay dekha to phir Aap hujra se nikal gaye . In donon ne jab dekha ke Allah ke Nabi apne hujra se wapas chale gaye hain to bari jaldi jaldi woh uth kar bahar nikal gaye . Mujhe yaad nahi ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko un ke chale jaane ki ittila di ya kisi aur ne phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam wapas aaye aur ghar mein aate hi darwaza ka parda gira liya aur aayat e hijab nazil hui . Aur Saeed Ibn Abi Maryam ne byaan kiya ke hum ko Yahya bin Kaseer ne khabar di , kaha mujh se Humayd Taweel ne byaan kiya aur unhon ne Anas razi Allahu anhu se suna , unhon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se naqal kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4795
حدثني زكرياء بن يحيى، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" خرجت سودة بعد ما ضرب الحجاب لحاجتها، وكانت امراة جسيمة لا تخفى على من يعرفها، فرآها عمر بن الخطاب، فقال: يا سودة، اما والله ما تخفين علينا، فانظري كيف تخرجين؟ قالت: فانكفات راجعة ورسول الله صلى الله عليه وسلم في بيتي وإنه ليتعشى، وفي يده عرق، فدخلت، فقالت: يا رسول الله، إني خرجت لبعض حاجتي، فقال لي عمر: كذا وكذا، قالت: فاوحى الله إليه، ثم رفع عنه وإن العرق في يده ما وضعه، فقال:" إنه قد اذن لكن ان تخرجن لحاجتكن".
Hum se Zakariya bin Yahya ne byaan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne byaan kiya , un se Hisham ne , un se un ke walid ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Umm al-Momineen Sauda razi Allahu anha parda ka hukm nazil hone ke baad qaza e haajat ke liye niklein woh bahut bhaari bhar-kam thien jo unhein jaanta tha us se poshida nahi reh sakti thien . Raste mein Umar bin Khattab razi Allahu anhu ne unhein dekh liya aur kaha ke Ae Sauda! Haan Allah ki qasam! Aap hamain apne aap ko nahi chhupa sakti dekhiye to Aap kis tarah bahar nikli hain . Byaan kiya ke Sauda razi Allahu anha ulte paon wahan se wapas aa gayin , Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam is waqt mere hujra mein tashreef rakhte thay aur raat ka khana kha rahe thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hath mein is waqt gosht ki ek haddi thi . Sauda razi Allahu anha ne dakhil hote hi kaha: ya Rasool Allah! Main qaza e haajat ke liye nikli thi to Umar (razi Allahu anhu) ne mujh se baatein kien , byaan kiya ke Aap salla Allahu alaihi wasallam par wahi ka nuzool shuru ho gaya aur thori der baad yeh kaifiyat khatam hui , haddi ab bhi Aap ke hath mein thi . Aap ne usay rakkha nahi tha . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhein (Allah ki taraf se) qaza e haajat ke liye bahar jaane ki ijazat de di gayi hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة