الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
سورة {يس}:
Bab: Surah Ya-Sin ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4802
وقال مجاهد: فعززنا: شددنا، يا حسرة على العباد: كان حسرة عليهم استهزاؤهم بالرسل، ان تدرك القمر: لا يستر ضوء احدهما ضوء الآخر، ولا ينبغي لهما ذلك، سابق النهار: يتطالبان حثيثين، نسلخ: نخرج احدهما من الآخر، ويجري كل واحد منهما، من مثله: من الانعام، فكهون: معجبون، جند محضرون: عند الحساب، ويذكر عن عكرمة: المشحون: الموقر، وقال ابن عباس: طائركم: مصائبكم، ينسلون: يخرجون، مرقدنا: مخرجنا، احصيناه: حفظناه مكانتهم ومكانهم واحد.
Aur Mujahid ne kaha ke «fa-azzazna» ay «shaddadna» yani hum ne zor diya . «ya hasratan alal ibaadi» yani Qayamat ke din kafir is par afsos karein ge (ya farishte afsos karein ge) ke unhon ne duniya mein paighambaron par thattha maara . «an tudrikal qamara» ka yeh matlab hai ke sooraj chaand ki roshni nahi chhupata aur na chaand sooraj ki . «saabiqun-nahari» ka matlab yeh hai ke yeh ek doosre ke peeche rawaan dawan hain . «naslakhu» hum raat mein se din nikal lete hain aur donon chal rahe hain . «wa khalaqna lahum mim-mislihi» se murad chaupaye hain . «fakihoona» khush o khurram (ya dil-lagi kar rahe hon ge) «jundun muhdaroona» yani hisab ke waqt hazir kiye jayein ge . Aur Ikrimah se manqool hai «mash-hoonin» ka maani bojhal , ladi hui . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «ta'irukum» yani tumhari museebatein (ya tumhara naseeba) . «yansiloona» ka maani nikal parein ge . «marqadina» nikalne ki jagah se (khwabgah yani qabr se) . «ahsainahu» hum ne is ko mahfooz kar liya hai . «makanatihim» aur «makanahum» donon ka maani ek hi hai yani apne thikanon mein , gharon mein .


بَابُ قَوْلِهِ: {وَالشَّمْسُ تَجْرِي لِمُسْتَقَرٍّ لَهَا ذَلِكَ تَقْدِيرُ الْعَزِيزِ الْعَلِيمِ}:
Bab: Ayat «wash-shamsu tajri li-mustaqarrin laha zaalika taqdeerul azeezil aleem» ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: 4802
حدثنا ابو نعيم، حدثنا الاعمش، عن إبراهيم التيمي، عن ابيه، عن ابي ذر رضي الله عنه، قال: كنت مع النبي صلى الله عليه وسلم في المسجد عند غروب الشمس، فقال:" يا ابا ذر، اتدري اين تغرب الشمس؟ قلت: الله ورسوله اعلم، قال:" فإنها تذهب حتى تسجد تحت العرش، فذلك قوله تعالى: والشمس تجري لمستقر لها ذلك تقدير العزيز العليم سورة يس آية 38".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya, kaha hum se Aamash ne bayan kiya, in se Ibrahim Taymi ne, in se in ke walid ne aur in se Abu Zarr razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Aaftab ghuroob hone ke waqt main masjid mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath maujood thu. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Abu Zarr! tumhein maloom hai yeh Aaftab kahan ghuroob hota hai? Main ne arz kiya Allah aur is ke Rasool ko zyada ilm hai. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh chalta rehta hai yahan tak ke arsh ke neeche sajda karta hai jaisa ke irshad e Bari hai «wash-shamsu tajree li-mustaqar-rul-lahaa zhaalika taqdeerul-azheezhil-aleemi» ke ”aur Aaftab apne thikane ki taraf chalta rehta hai, yeh zabardast ilm wale ka thehraya hua andazha hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4803
حدثنا الحميدي، حدثنا وكيع، حدثنا الاعمش، عن إبراهيم التيمي، عن ابيه، عن ابي ذر، قال: سالت النبي صلى الله عليه وسلم عن قوله تعالى: والشمس تجري لمستقر لها سورة يس آية 38، قال:" مستقرها تحت العرش".
Hum se Humaydi ne byaan kiya , kaha hum se Waki ne byaan kiya , kaha hum se Aamash ne byaan kiya , un se Ibrahim Taymi ne , un se un ke walid ne aur un se Abu Zharr razi Allahu anhu ne ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se Allah Ta'ala ke farman «wash-shamsu tajree li-mustaqarril laha» ”aur sooraj apne thikane ki taraf chalta rehta hai .“ Ke mutalliq sawal kiya to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is ka thikana Arsh ke neeche hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة الصَّافَّاتِ:
Bab: Surah As-Saaffaat ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4804
وقال مجاهد: ويقذفون بالغيب من مكان بعيد: من كل مكان، ويقذفون من كل جانب: يرمون، واصب: دائم لازب لازم، تاتوننا عن اليمين: يعني الحق الكفار تقوله للشيطان، غول: وجع بطن، ينزفون: لا تذهب عقولهم، قرين: شيطان، يهرعون: كهيئة الهرولة، يزفون: النسلان في المشي، وبين الجنة نسبا: قال كفار قريش الملائكة بنات الله، وامهاتهم بنات سروات الجن، وقال الله تعالى: ولقد علمت الجنة إنهم لمحضرون: ستحضر للحساب، وقال ابن عباس: لنحن الصافون: الملائكة، صراط الجحيم: سواء الجحيم ووسط الجحيم، لشوبا: يخلط طعامهم ويساط بالحميم، مدحورا: مطرودا، بيض مكنون: اللؤلؤ المكنون، وتركنا عليه في الآخرين: يذكر بخير، ويقال: يستسخرون: يسخرون، بعلا: ربا.
Mujahid ne kaha (Surah Saba mein jo hai) «wa yaqzhifoona bil-ghaybi min makaanin baeedin» is ka matlab yeh hai ke door hi se ghaib ke golay phenkte rehte hain . Aur «yaqzhifoona min kulli jaanibin» ka matlab yeh hai ke shayateen par har taraf se maar parti hai . «wa lahum azhaabun waasibun» yani hamesha ka azab (ya sakht azab) . «ta'toonana anil yameeni» ka matlab yeh hai ke kafir shayateen se kahein ge tum haq baat ki taraf se hamare paas aate thay . «ghaulun» ka maani pait ka dard (ya sar ka dard) . «wa la hum yunzhafoona» aur na un ki aqal mein futoor aaye ga . «qareenun» Shaytan . «yuhra'oona» dauraye jate hain . «yaziffoona» nazdeek nazdeek paon rakh kar daur rahe hain . «wa baynahu wa baynal jinnati nasaban» Quraysh ke kafir farishton ko Allah ki betiyaan aur un ki maayein sardar jinon ki betiyon (pariyon) ko qarar dete thay . «wa laqad alimatil jinnatu innahum lamuhdaroona» yani jinon ko maloom hai ke un ko Qayamat ke din hisab ke liye hazir hona pare ga aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «lanahnus-saaffoona» yeh farishton ka qaul hai . «siratal jaheemi» , «sawa'al jaheemi» donon ke maani «wastul jaheemi» ke hain yani jahannum ke beechon beech . «lashawban min hameemin» yani un ke khane mein garm kholte huay pani ki malooni ki jaye gi . «mad-hooran» dhutkara hua . «baidun maknoonun» bandhe huay moti . «wa tarakna alayhi fil aakhireena» is ka zikr e khair pichhle logon mein baqi rakkha . «yastas-khiroona» thattha karte hain . «baalan» ke maani Rabb , mabood (Yaman walon ki lughat mein) . «asbaabun» se aasman murad hain .


بَابُ قَوْلِهِ: {وَإِنَّ يُونُسَ لَمِنَ الْمُرْسَلِينَ}:
Bab: Ayat ki tafseer mein“Bila-shubha Yunus rasoolon mein se the”.
Show diacritics
Hadith Number: 4804
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن ابي وائل، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ما ينبغي لاحد ان يكون خيرا من يونس بن متى".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Jareer ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Abu Wail ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kisi ke liye munasib nahi ke woh Yunus bin Matta alaihissalam se behtar hone ka dawa kare .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4805
حدثني إبراهيم بن المنذر، حدثنا محمد بن فليح، قال: حدثني ابي، عن هلال بن علي من بني عامر بن لؤي، عن عطاء بن يسار،عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" من قال انا خير من يونس بن متى فقد كذب".
Mujh se Ibrahim bin al-Munzhir ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Muhammad bin Falih ne byaan kiya , unhon ne kaha mujh se mere walid ne byaan kiya , un se Bani Aamir bin Luway ke Hilal bin Ali ne , un se Ata bin Yasar aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs yeh dawa kare ke main Yunus bin Matta alaihissalam se behtar hoon woh jhoota hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة {ص}:
Bab: Surah Saad ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: 4806
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن العوام، قال:" سالت مجاهدا عن السجدة في ص؟ قال: سئل ابن عباس، فقال: اولئك الذين هدى الله فبهداهم اقتده سورة الانعام آية 90، وكان ابن عباس يسجد فيها.
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Ghundar ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Awam bin Haushab ne ke main ne Mujahid se Surah Sad mein sajda ke mutalliq poocha to unhon ne kaha ke yeh sawal Ibn Abbas razi Allahu anhuma se bhi kiya gaya tha to unhon ne is aayat ki tilawat ki «ula'ikallazhina hadallahu fabihuda-humuq-tadih» ”yahi woh log hain jinhein Allah ne hidayat di thi pas Aap bhi unhi ki hidayat ki ittiba karein .“ Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma is mein sajda kiya karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4807
حدثني محمد بن عبد الله، حدثنا محمد بن عبيد الطنافسي، عن العوام، قال:" سالت مجاهدا عن سجدة في ص؟ فقال: سالت ابن عباس من اين سجدت؟ فقال: او ما تقرا ومن ذريته داود وسليمان اولئك الذين هدى الله فبهداهم اقتده سورة الانعام آية 90، فكان داود ممن امر نبيكم صلى الله عليه وسلم ان يقتدي به، فسجدها داود عليه السلام، فسجدها رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Mujh se Muhammad bin Abdullah Zhuhli ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Ubayd Tanafisi ne , un se Awam bin Haushab ne byaan kiya ke main ne Mujahid se Surah Sad mein sajda ke mutalliq poocha to unhon ne kaha ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se poocha tha ke is surat mein aayat e sajda ke liye daleel kya hai ? Unhon ne kaha kya tum (Surah Anaam) mein yeh nahi parhte «wa min zhurriyyathi Dawooda wa Sulaymana» ke ”aur un ki nasl se Dawood aur Sulayman hain , yahi woh log hain jinhein Allah ne yeh hidayat di thi , so Aap bhi un ki hidayat ki ittiba karein .“ Dawood alaihissalam bhi un mein se thay jin ki ittiba ka Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko hukm tha (kyunke Dawood alaihissalam ke sajde ka is mein zikr hai is liye Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne bhi is mauqa par sajda kiya) . «ujaabun» ka maani ajeeb . «al-qittu» kehte hain kaghaz ke tukre (parche) ko yahan naikiyon ka parcha murad hai (ya hisab ka parcha) . Aur Mujahid rahmahullah ne kaha «fee izzatin» ka maani yeh hai ke woh shararat o sarkashi karne wale hain . «al-millat-ul-aakhiratu» se murad Quraysh ka deen hai . «ikhtilaaqun» se murad jhoot . «al-asbaabu» aasman ke raste , darwaze murad hain . «jundum ma hunaalika mahzoomun» al-aayat se Quraysh ke log murad hain . «ula'ikal ahzaabu» se agli ummatein murad hain . Jin par Allah ka azab utra . «fawaaqun» ka maani phirna , lautna . «ajjil lana qittana» mein «qittu» se azab murad hai . «ittakhazh-naahum sikhriyyan» hum ne unhein thatthe mein gher liya tha . «atraabun» jorr wale . Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «aydun» ka maani ibadat ki quwwat . «al-absaaru» Allah ke kaamon ko ghaur se dekhne wale . «hubbal khayri an zhikri rabbi» mein «an min» ke maani mein hai . «tafiqa mashan» ghoron ke paon aur ayaal par mohabbat se hath pherna shuru kiya . Ya ba-qaul e baaz talwar se un ko kaatne lage . «al-asfaadu» ke maani zanjeerein .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {هَبْ لِي مُلْكًا لاَ يَنْبَغِي لأَحَدٍ مِنْ بَعْدِي إِنَّكَ أَنْتَ الْوَهَّابُ}:
Bab: Ayat ki tafseer mein“Aur mujhe aisi saltanat de ke mere baad kisi ko maysar na ho, beshak Tu bohot bara dene wala hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4808
حدثنا إسحاق بن إبراهيم، حدثنا روح، ومحمد بن جعفر، عن شعبة، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" إن عفريتا من الجن تفلت علي البارحة، او كلمة نحوها ليقطع علي الصلاة، فامكنني الله منه واردت ان اربطه إلى سارية من سواري المسجد حتى تصبحوا وتنظروا إليه كلكم، فذكرت قول اخي سليمان: رب وهب لي ملكا لا ينبغي لاحد من بعدي سورة ص آية 35، قال روح: فرده خاسئا.
Hum se Ishaq bin Ibrahim ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Rauh bin Ubadah aur Muhammad bin Jafar ne byaan kiya , un se Shubah ne , se Muhammad bin Ziyad ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke guzashta raat ek sarkash jinn achanaak mere paas aaya , ya isi tarah ka kalma Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya taake meri namaz kharab kare lekin Allah Ta'ala ne mujhe is par quwwat de di aur main ne socha ke usay masjid ke satoon se baandh doon taake subah ke waqt tum sab log bhi usay dekh sako . Phir mujh ko apne bhai Sulayman alaihissalam ki dua yaad aa gayi «rabbi hab lee mulkan la yan-baghee li-ahadin mim ba'dee» ke ”Ae mere Rabb! Mujhe aaisi sultant de ke mere baad kisi ko muyassar na ho .“ Rauh ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is jinn ko zillat ke saath bhaga diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَمَا أَنَا مِنَ الْمُتَكَلِّفِينَ}:
Bab: Ayat ki tafseer mein“Aur na mein takalluf karne walon se hun”.
Show diacritics
Hadith Number: 4809
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن ابي الضحى، عن مسروق، قال: دخلنا على عبد الله بن مسعود، قال:" يا ايها الناس، من علم شيئا فليقل به، ومن لم يعلم فليقل الله اعلم، فإن من العلم ان، يقول: لما لا يعلم الله اعلم، قال الله عز وجل لنبيه صلى الله عليه وسلم: قل ما اسالكم عليه من اجر وما انا من المتكلفين سورة ص آية 86، وساحدثكم عن الدخان، إن رسول الله صلى الله عليه وسلم دعا قريشا إلى الإسلام، فابطئوا عليه، فقال:" اللهم اعني عليهم بسبع كسبع يوسف"، فاخذتهم سنة، فحصت كل شيء حتى اكلوا الميتة والجلود حتى جعل الرجل يرى بينه وبين السماء دخانا من الجوع، قال الله عز وجل: فارتقب يوم تاتي السماء بدخان مبين {10} يغشى الناس هذا عذاب اليم {11} سورة الدخان آية 10-11، قال فدعوا: ربنا اكشف عنا العذاب إنا مؤمنون {12} انى لهم الذكرى وقد جاءهم رسول مبين {13} ثم تولوا عنه وقالوا معلم مجنون {14} إنا كاشفو العذاب قليلا إنكم عائدون {15} سورة الدخان آية 12-15، افيكشف العذاب يوم القيامة؟ قال: فكشف، ثم عادوا في كفرهم، فاخذهم الله يوم بدر، قال الله تعالى: يوم نبطش البطشة الكبرى إنا منتقمون سورة الدخان آية 16.
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , kaha hum se Jareer ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Abu al-Duha ne , un se Masrooq ne ke hum Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ki khidmat mein hazir huay . Unhon ne kaha: Ae logo! Jis shakhs ko kisi cheez ka ilm ho to woh usay byaan kare agar ilm na ho to kahe ke Allah hi ko zyada ilm hai kyunke yeh bhi ilm hi hai ke jo cheez na jaanta ho is ke mutalliq keh de ke Allah hi zyada janne wala hai . Allah Ta'ala ne apne Nabi salla Allahu alaihi wasallam se bhi keh diya tha «qul ma as'alukum alayhi min ajrin wa ma ana minal mutakallifeena» ke ”Aap keh dijiye ke main tum se is Quran ya tableegh e wahi par koi ujrat nahi chahta hoon aur na main banawat karne wala hoon .“ Aur main «dukhanun» (dhuwein) ke baare mein bataoon ga (jis ka zikr Quran mein aaya hai) Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Quraysh ko Islam ki dawat di to unhon ne takheer ki , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un ke haq mein bad-dua ki «allahumma a'inni alayhim bi-sab-in ka-sab-i Yusufa» ”Ae Allah! In par Yusuf alaihissalam ke zamana ki si qaht-saali ke zariye meri madad kar .“ Chunanche qaht para aur itna zabardast ke har cheez khatam ho gayi aur log murdaar aur chamre khane par majboor ho gaye . Bhook ki shiddat ki wajah se yeh haal tha ke aasman ki taraf dhuwaan hi dhuwaan nazar aata . Isi ke baare mein Allah Ta'ala ne farmaya «fartaqib yawma ta'tis-sama'u bi-dukhaanim mubeenin * yaghshan-naasa hazha azhaabun aleemun» ke ”pas intizar karo is din ka jab aasman khula hua dhuwaan laye ga jo logon par chha jaye ga yeh dard-naak azab hai .“ Byaan kiya ke phir Quraysh dua karne lage «rabbanakshif annal azhaaba inna mu'minoona * anna lahumuzh-zhikra wa qad ja'ahum rasoolum mubeenun * summa tawallaw anhu wa qaaloo muallamum majnoonun * inna kaashiful azhaabi qaleelan innakum aa'idoona» ke ”Ae hamare Rabb! Is azab ko hamase hata le to hum iman layein ge lekin woh nasihat sunne wale kahan hain un ke paas to Rasool saaf mujizaat o dalail ke saath aa chuka aur woh is se munh morr chuke hain aur keh chuke hain ke isay to sikhaya ja raha hai , yeh majnoon hai , beshak hum thore dinon ke liye un se azab hata lein ge yaqeenan tum phir kufr hi ki taraf laut jao ge kya Qayamat mein bhi azab hataya jaye ga .“ Ibn Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke phir yeh azab to un se door kar diya gaya lekin jab woh dobara kufr mein mubtala ho gaye to Jang e Badr mein Allah ne unhein pakra . Allah Ta'ala ke is irshad mein isi taraf isharah hai «yawma nab-tishul bat-shatal kubra inna muntaqimoona» ke ”jis din hum sakht pakar karein ge , bilashubha hum badla lene wale hain .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة