الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {فَلَمَّا رَأَوْهُ عَارِضًا مُسْتَقْبِلَ أَوْدِيَتِهِمْ قَالُوا هَذَا عَارِضٌ مُمْطِرُنَا بَلْ هُوَ مَا اسْتَعْجَلْتُمْ بِهِ رِيحٌ فِيهَا عَذَابٌ أَلِيمٌ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Phir jab un logon ne baadal ko apni wadiyon ke oopar aate dekha to bole ke waah ye to baadal hai jo hum par barse ga, nahi balkeh ye to woh hai jis ki tum jaldi machaya karte the, yani ek aandhi jis mein dard-naak azab hai”.
Hadith Number: Q4828
قال ابن عباس: عارض: السحاب.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «aridun» bamaani baadal hai .
Hadith Number: 4828
حدثنا احمد بن عيسى، حدثنا ابن وهب، اخبرنا عمرو، ان ابا النضر حدثه، عن سليمان بن يسار، عن عائشة رضي الله عنها زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قالت: ما رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم ضاحكا حتى ارى منه لهواته إنما كان يتبسم.
Hum se Ahmad ne byaan kiya , kaha hum se Ibn Wahb ne byaan kiya , unhein Amr ne khabar di , un se Abu al-Nadr ne byaan kiya , un se Sulayman bin Yasar ne aur un se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko kabhi is tarah hanste nahi dekha ke Aap ke halaq ka kauwa nazar aa jaye balkay Aap tabassum farmaya karte thay , byaan kiya ke jab bhi Aap baadal ya hawa dekhte to (ghabrahat aur Allah ka khauf) Aap ke chehra mubarak se pehchan liya jata .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4829
قالت: وكان إذا راى غيما او ريحا عرف في وجهه، قالت: يا رسول الله، إن الناس إذا راوا الغيم، فرحوا رجاء ان يكون فيه المطر واراك إذا رايته عرف في وجهك الكراهية، فقال:" يا عائشة، ما يؤمني ان يكون فيه عذاب عذب قوم بالريح وقد راى قوم العذاب، فقالوا: هذا عارض ممطرنا".
Umm al-Momineen Aisha razi Allahu anha ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se arz kiya ke ya Rasool Allah! Jab log baadal dekhte hain to khush hote hain ke is se barish barse gi lekin is ke bar-khilaf Aap ko main dekhti hoon ke Aap baadal dekhte hain to nagowari ka asar Aap ke chehre par numayan ho jata hai . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya: Ae Aisha! Kya dhamanat hai ke is mein azab na ho . Ek qaum (Aad) par hawa ka azab aaya tha . Unhon ne jab azab dekha to bolay ke yeh to baadal hai jo hum par barse ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة مُحَمَّدٍ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:
Bab: Surah Muhammad ki tafseer.
Hadith Number: Q4830
{اوزارها} آثامها حتى لا يبقى إلا مسلم. {عرفها} بينها. وقال مجاهد: {مولى الذين آمنوا} وليهم. {عزم الامر} جد الامر. {فلا تهنوا} لا تضعفوا. وقال ابن عباس: {اضغانهم} حسدهم. {آسن} متغير.
«auzaaraha» apne gunah dhar diye yahan tak ke Musalman ke siwa koi baqi na rahe (aksar logon ne «auzaaraha» ke maani hathiyaron ke kiye hain) . «arrafaha» is ko byaan kar de ga , batla de ga . (har ek bahishti apna ghar pehchan le ga) . Mujahid ne kaha «maula-llazheena aamanu» is «maula» se wali yani kaar-saaz murad hai . «azama-l-amru» jab larayi ka irada pakka ho jaye . «fala tahinu» susti na karo aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «ad-ghaanahum» ke maani un ka hasad keena . «aasinin» sara hua pani jis ka rang ya boo ya maza badal jaye .
بَابُ: {وَتُقَطِّعُوا أَرْحَامَكُمْ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Tum naata rishta tor dalo ge”.
Hadith Number: 4830
حدثنا خالد بن مخلد، حدثنا سليمان، قال: حدثني معاوية بن ابي مزرد، عن سعيد بن يسار، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" خلق الله الخلق، فلما فرغ منه قامت الرحم، فاخذت بحقو الرحمن، فقال له: مه، قالت: هذا مقام العائذ بك من القطيعة، قال: الا ترضين ان اصل من وصلك واقطع من قطعك؟ قالت: بلى يا رب، قال: فذاك"، قال ابو هريرة: اقرءوا إن شئتم: فهل عسيتم إن توليتم ان تفسدوا في الارض وتقطعوا ارحامكم سورة محمد آية 22.
Hum se Khalid bin Makhlad ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Sulayman ne byaan kiya , kaha ke mujh se Muawiyah bin Abi Muzarrid ne byaan kiya , un se Saeed bin Yasar ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ne makhlooq paida ki , jab woh is ki paidaish se farigh hua to raham ne kharay ho kar raham karne wale Allah ke daman mein panah li . Allah Ta'ala ne is se farmaya kya tujhe yeh pasand nahi ke jo tujh ko jorre main bhi usay jorroon aur jo tujhe torre main bhi usay torr doon . Raham ne arz kiya , haan Ae mere Rabb! Allah Ta'ala ne farmaya , phir aisa hi ho ga . Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha ke agar tumhara jee chahe to yeh aayat parh lo «fahal asaytum in tawallaytum an tufsidoo fil ardi wa tuqattioo arhaamakum» ”agar tum kinara-kash raho to aaya tum ko yeh ihtimal bhi hai ke tum log deen mein fasad macha do ge aur aapas mein qata talluq kar lo ge .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4831
حدثنا إبراهيم بن حمزة، حدثنا حاتم، عن معاوية، قال: حدثني عمي ابو الحباب سعيد بن يسار، عن ابي هريرة بهذا، ثم قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اقرءوا إن شئتم: فهل عسيتم سورة محمد آية 22.
Hum se Ibrahim bin Hamzah ne byaan kiya , kaha ke hum ko Hatim ne byaan kiya , un se Muawiyah ne byaan kiya , un se un ke chacha Abu al-Hubab Saeed bin Yasar ne byaan kiya aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne sabiqa hadees ki tarah . Phir (Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke) Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar tumhara jee chahe to aayat «fahal asaytum» agar tum kinara-kash raho parh lo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4832
حدثنا بشر بن محمد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا معاوية بن ابي المزرد بهذا، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" واقرءوا إن شئتم: فهل عسيتم سورة محمد آية 22".
Hum se bashar bin Muhammad ne byaan kiya , un ko Abdullah ne khabar di , unhein Muawiyah bin Muzarrid ne khabar di , sabiqa hadees ki tarah (aur yeh ke Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya) Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , agar tumhara jee chahe to aayat agar tum kinara-kash raho parh lo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة الْفَتْحِ:
Bab: Surah Al-Fath ki tafseer.
Hadith Number: Q4833
وقال مجاهد: بورا هالكين، سيماهم في وجوههم: السحنة، وقال منصور: عن مجاهد، التواضع، شطاه: فراخه، فاستغلظ: غلظ، سوقه: الساق حاملة الشجرة ويقال، دائرة السوء: كقولك رجل السوء ودائرة السوء العذاب، تعزروه: تنصروه، شطاه: شطء السنبل تنبت الحبة عشرا او ثمانيا وسبعا فيقوى بعضه ببعض فذاك قوله تعالى: فآزره: قواه ولو كانت واحدة لم تقم على ساق وهو مثل ضربه الله للنبي صلى الله عليه وسلم إذ خرج وحده، ثم قواه باصحابه كما قوى الحبة بما ينبت منها.
Mujahid ne kaha «booran» ke maani halak hone walon ke hain . Mujahid ne yeh bhi kaha ke «seemaahum fee wujoohihim» ka matlab yeh hai ke un ke munh par sajdon ki wajah se narmi aur khush-numayi hoti hai aur Mansoor ne Mujahid se naqal kiya «seema» se murad tawazu aur aajzi hai . «akhraja shat-ahu» is ne apna khosha nikala . «fastaghlazha» pas woh mota ho gaya . «sooqin» darakht ki nali jis par darakht khara rehta hai , is ki jarr . «daa'iratus-soo'i» jaise kehte hain «rajulus-soo'i» . «daa'iratus-soo'i» se murad azab hai . «tu'azziru-hu» is ki madad karein . «shat-ahu» se baal ka pattha murad . Ek dana das ya aath ya saat baalein ugata hai aur ek doosre se sahara milta hai . «fa-aazarahu» se yahi murad hai , yani is ko zor diya , agar ek hi baali hoti to woh ek nali par khari na reh sakti . Yeh ek misal Allah Ta'ala ne Nabi salla Allahu alaihi wasallam ki byaan farmayi hai . Jab Aap ko risalat mili Aap bilkul tanha be-yaar o madadgar thay . Phir Allah Paak ne Aap ke as-haab se Aap ko taqat di jaise dane ko baaliyon se taqat milti hai .
بَابُ: {إِنَّا فَتَحْنَا لَكَ فَتْحًا مُبِينًا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Hum ne tujh ko khuli hui fath di hai”.
Hadith Number: 4833
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن زيد بن اسلم، عن ابيه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يسير في بعض اسفاره وعمر بن الخطاب يسير معه ليلا، فساله عمر بن الخطاب عن شيء، فلم يجبه رسول الله صلى الله عليه وسلم، ثم ساله، فلم يجبه، ثم ساله، فلم يجبه، فقال عمر بن الخطاب: ثكلت ام عمر نزرت رسول الله صلى الله عليه وسلم ثلاث مرات كل ذلك لا يجيبك، قال عمر: فحركت بعيري، ثم تقدمت امام الناس وخشيت ان ينزل في قرآن، فما نشبت ان سمعت صارخا يصرخ بي، فقلت: لقد خشيت ان يكون نزل في قرآن، فجئت رسول الله صلى الله عليه وسلم فسلمت عليه، فقال:" لقد انزلت علي الليلة سورة لهي احب إلي مما طلعت عليه الشمس، ثم قرا: إنا فتحنا لك فتحا مبينا سورة الفتح آية 1".
Hum se Abdullah bin Maslamah ne byaan kiya , un se Imam Malik ne , un se Zayd bin Aslam ne , un se un ke walid ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ek safar mein ja rahe thay . Umar razi Allahu anhu bhi Aap ke saath thay . Raat ka waqt tha Umar bin Khattab razi Allahu anhu ne sawal kiya lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne koi jawab nahi diya . Phir unhon ne sawal kiya aur is martaba bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ne jawab nahi diya , teesri martaba bhi unhon ne sawal kiya lekin Aap ne jawab nahi diya . Is par Umar razi Allahu anhu ne kaha , Umar ki maan usay roye! Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se tum ne teen martaba sawal mein israr kiya , lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne tumhein kisi martaba jawab nahi diya . Umar razi Allahu anhu ne byaan kiya ke phir main ne apne oont ko harakat di aur logon se aage barh gaya . Mujhe khauf tha ke kahin mere baare mein Quran Majeed ki koi aayat na nazil ho . Abhi thori hi der hui nahi ke ek pukarne wale ki aawaz main ne suni jo mujhe hi pukar raha tha . Main ne kaha ke mujhe to khauf tha hi ke mere baare mein koi aayat na nazil ho jaye . Main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua aur salam kiya , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mujh par aaj raat ek surat nazil hui hai jo mujhe is saari kainat se zyada azeez hai jis par sooraj tuloo hota hai phir Aap ne Surah al-Fatah ki tilawat farmayi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4834
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، سمعت قتادة، عن انس رضي الله عنه:" إنا فتحنا لك فتحا مبينا سورة الفتح آية 1، قال: الحديبية".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Ghundar ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , unhon ne Qatadah se suna aur un se Anas razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Surah al-Fatah Sulah Hudaybiyah ke baare mein nazil hui thi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة