الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
سورة الزُّمَرِ:
Bab: Surah Az-Zumar ki tafseer mein.
Hadith Number: Q4810
وقال مجاهد: افمن يتقي بوجهه: يجر على وجهه في النار، وهو قوله تعالى: افمن يلقى في النار خير ام من ياتي آمنا: يوم القيامة غير، ذي عوج: لبس، ورجلا سلما لرجل: مثل لآلهتهم الباطل والإله الحق، ويخوفونك بالذين من دونه: بالاوثان خولنا اعطينا، والذي جاء بالصدق: القرآن، وصدق به: المؤمن يجيء يوم القيامة، يقول: هذا الذي اعطيتني عملت بما فيه، وقال غيره: متشاكسون: الرجل الشكس العسر لا يرضى بالإنصاف ورجلا سلما، ويقال: سالما صالحا، اشمازت: نفرت، بمفازتهم: من الفوز، حافين: اطافوا به مطيفين بحفافيه بجوانبه، متشابها: ليس من الاشتباه ولكن يشبه بعضه بعضا في التصديق.
Mujahid ne kaha «yattaqi bi-wajhihi» se yeh murad hai ke munh ke bal dozakh mein ghaseeta jaye ga jaise is aayat mein farmaya «afaman yulqa fin-naari khayrun amman ya'tee aaminan» al-aayat . «zhee iwajan» ke maani shubha wala . «wa rajulan salaman li-rajulin» yeh ek misal hai mushrikeen ke maboodan e baatila ki aur mabood e bar-haqq ki . «wa yukha-wwifoonaka billazheena min doonihi» mein «min doonihi» se murad but hain (yani mushrikeen apne jhoote maboodon se tujh ko darate hain) . «khawwalnaahu» ke maani hum ne diya . «wallazhi jaa'a bis-sidqi» se Quran murad hai aur «sidqun» se Musalman murad hai jo Qayamat ke din Parvardigar ke samne aa kar arz kare ga yahi Quran hai jo tu ne duniya mein mujh ko inayat farmaya tha , main ne is par amal kiya . «mutashaakisoona» , «shakis-un» se nikla hai «shakis-un» bad-mizaj takrari aadmi ko kehte hain jo insaf ki baat pasand na kare . «saliman» aur «saaliman» achhe poore aadmi ko kehte hain . «ish-ma'azzat» ke maani nafrat karte hain , chirte hain . «bi-mafaazatihim» , «fauzun» se nikla hai murad kamyabi hai . «haaffeena» ke maani girda-gird is ke charon taraf . «mutashabihan» , «ishtibahun» se nahi balkay «tashaabuhun» se nikla hai yani is ki ek aayat doosri aayat ki tayid o tasdeeq karti hai .
بَابُ قَوْلِهِ: {يَا عِبَادِيَ الَّذِينَ أَسْرَفُوا عَلَى أَنْفُسِهِمْ لاَ تَقْنَطُوا مِنْ رَحْمَةِ اللَّهِ إِنَّ اللَّهَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ جَمِيعًا إِنَّهُ هُوَ الْغَفُورُ الرَّحِيمُ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aap keh do ke Ay mere bandon! jo apne nafson par zyadtiyan kar chuke ho, Allah ki rehmat se na-umeed mat ho, beshak Allah saare gunah bakhsh de ga, beshak woh bohot hi bakhshne wala aur bara meherbaan hai”.
Hadith Number: 4810
حدثني إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام بن يوسف، ان ابن جريج، اخبرهم، قال يعلى: إن سعيد بن جبير اخبره، عن ابن عباس رضي الله عنهما: ان ناسا من اهل الشرك كانوا قد قتلوا، واكثروا، وزنوا، واكثروا، فاتوا محمدا صلى الله عليه وسلم، فقالوا: إن الذي تقول وتدعو إليه لحسن لو تخبرنا ان لما عملنا كفارة، فنزل: والذين لا يدعون مع الله إلها آخر ولا يقتلون النفس التي حرم الله إلا بالحق ولا يزنون سورة الفرقان آية 68، ونزل: قل يا عبادي الذين اسرفوا على انفسهم لا تقنطوا من رحمة الله سورة الزمر آية 53".
Mujh se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di , unhein Ibn Jurayj ne khabar di , un se Yala bin Muslim ne byaan kiya , unhein Saeed bin Jubayr ne khabar di aur unhein Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke mushrikeen mein baaz ne qatl ka gunah kiya tha aur kasrat se kiya tha . Isi tarah zina-kaari bhi kasrat se karte rahe thay . Phir woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein aaye aur arz kiya ke Aap jo kuch kehte hain aur jis ki taraf dawat dete hain (yani Islam) yaqeenan achhi cheez hai , lekin hamain yeh bataiye ke ab tak hum ne jo gunah kiye hain woh Islam laane se maaf hon ge ya nahi ? Is par yeh aayat nazil hui «wallazhina la yad-u-na ma'allahi ilahan aakhara wa la yaqtuloonan-nafsallati harramallahu illa bil-haqqi wa la yaznoona» ”aur woh log jo Allah ke siwa aur kisi doosre mabood ko nahi pukaarte aur kisi bhi jaan ko qatl nahi karte jis ka qatl karna Allah ne haram kiya hai , haan magar haq ke saath“ aur yeh aayat nazil hui «qul ya ibadiyallazhina asrafoo ala anfusihim la taqnatoo min rahma-tillaahi» ”Aap keh dein ke Ae mere bando! Jo apne nafson par ziyadatiyaan kar chuke ho , Allah ki rahmat se na-umeed mat ho , beshak Allah saare gunahon ko maaf kar de ga . Beshak Allah woh bara hi bakhshne wala nihayat hi meherban hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَمَا قَدَرُوا اللَّهَ حَقَّ قَدْرِهِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur un logon ne Allah ki qadr-o-azmat na pehchani jaisi ke us ki qadr-o-azmat pehchaanni chahiye thi”.
Hadith Number: 4811
حدثنا آدم، حدثنا شيبان، عن منصور، عن إبراهيم، عن عبيدة، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: جاء حبر من الاحبار إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" يا محمد، إنا نجد ان الله يجعل السموات على إصبع، والارضين على إصبع، والشجر على إصبع، والماء والثرى على إصبع، وسائر الخلائق على إصبع، فيقول: انا الملك، فضحك النبي صلى الله عليه وسلم حتى بدت نواجذه تصديقا لقول الحبر، ثم قرا رسول الله صلى الله عليه وسلم: وما قدروا الله حق قدره والارض جميعا قبضته يوم القيامة والسموات مطويات بيمينه سبحانه وتعالى عما يشركون سورة الزمر آية 67".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha hum se Shayban bin Abdur Rahman ne byaan kiya , un se Mansoor ne , un se Ibrahim Nakhai ne , un se Ubaydah Salmani ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke ulema e Yahud mein se ek shakhs Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas aaya aur kaha: Ae Muhammad! Hum Taurat mein paate hain ke Allah Ta'ala aasmanon ko ek ungli par rakh le ga is tarah zameen ko ek ungli par , darakhton ko ek ungli par , pani aur mitti ko ek ungli par aur tamam makhlooqat ko ek ungli par , phir farmaye ga ke main hi baadshah hoon . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam is par hans diye aur Aap ke samne ke daant dikhayi dene lage . Aap ka yeh hansna is Yahudi aalim ki tasdeeq mein tha . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is aayat ki tilawat ki «wa ma qadarullaha haqqa qadrihi wal ardu jamee-an qab-datuhu yawmal qiyamati was-samawatu matwiyyaatum bi-yameenihi subhanahu wa taala amma yushrikoona» ”aur in logon ne Allah ki azmat na ki jaisi azmat karna chahiye thi aur haal yeh ke saari zameen isi ki mutthi mein ho gi Qayamat ke din aur aasman is ke dahne hath mein lipeite hon ge , woh in logon ke shirk se bilkul paak aur buland tar hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَالأَرْضُ جَمِيعًا قَبْضَتُهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ وَالسَّمَوَاتُ مَطْوِيَّاتٌ بِيَمِينِهِ}:
Bab: Ayat «wal-ardu jamee’an qabdatuhu yawmal qiyamati was-samawatu matwiyyaatun bi-yameenihi» ki tafseer.
Hadith Number: 4812
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني الليث، قال: حدثني عبد الرحمن بن خالد بن مسافر، عن ابن شهاب، عن ابي سلمة، ان ابا هريرة، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول:" يقبض الله الارض ويطوي السموات بيمينه، ثم يقول: انا الملك اين ملوك الارض".
Hum se Saeed bin Afir ne byaan kiya , kaha ke mujh se Layth bin Saad ne byaan kiya , kaha ke mujh se Abdur Rahman bin Khalid bin Musafir ne byaan kiya , un se Ibn Shihab ne aur un se Abu Salamah aur Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna , Aap salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay ke Qayamat ke din Allah saari zameen ko apni mutthi mein le ga aur aasman ko apne dahne hath mein lapait le ga . Phir farmaye ga «ana al-maliku , ayna mulookul ardi» ”aaj hukoomat sirf meri hai , duniya ke baadshah aaj kahan hain ?“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَنُفِخَ فِي الصُّورِ فَصَعِقَ مَنْ فِي السَّمَوَاتِ وَمَنْ فِي الأَرْضِ إِلاَّ مَنْ شَاءَ اللَّهُ ثُمَّ نُفِخَ فِيهِ أُخْرَى فَإِذَا هُمْ قِيَامٌ يَنْظُرُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer mein“Aur soor phoonka jayega to sab behosh ho jayenge jo aasmanon aur zameen mein hain siwaye us ke jis ko Allah chahe, phir dobara soor phoonka jayega to phir achaanak sab ke sab dekhte hue uth khare honge”.
Hadith Number: 4813
حدثني الحسن، حدثنا إسماعيل بن خليل، اخبرنا عبد الرحيم، عن زكرياء بن ابي زائدة، عن عامر، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" إني اول من يرفع راسه بعد النفخة الآخرة، فإذا انا بموسى متعلق بالعرش، فلا ادري اكذلك كان ام بعد النفخة".
Mujh se Hasan ne byaan kiya , kaha hum se Ismail bin Khaleel ne byaan kiya , kaha hum ko Abdur Raheem ne khabar di , unhein Zakariya bin Abi Zaidah ne , unhein Aamir ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke aakhri martaba soor phoonke jaane ke baad sab se pehle apna sar uthane wala main hoon ga lekin is waqt main Musa alaihissalam ko dekhoon ga ke Arsh ke saath lipeite huay hain , ab mujhe nahi maloom ke woh pehle hi se isi tarah thay ya doosre soor ke baad (mujh se pehle) uth kar Arsh e Ilahi ko thaam lein ge .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4814
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، قال: حدثنا الاعمش، قال: سمعت ابا صالح، قال: سمعت ابا هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" بين النفختين اربعون"، قالوا: يا ابا هريرة، اربعون يوما؟ قال: ابيت، قال: اربعون سنة، قال: ابيت، قال: اربعون شهرا، قال: ابيت، ويبلى كل شيء من الإنسان إلا عجب ذنبه فيه يركب الخلق.
Hum se Umar bin Hafs ne byaan kiya , kaha mujh se mere walid ne byaan kiya , kaha hum se Aamash ne byaan kiya , unhon ne Abu Salih se suna aur unhon ne Abu Hurairah razi Allahu anhu se suna ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke donon sooron ke phoonke jaane ka darmiyani arsa chalis hai . Abu Hurairah razi Allahu anhu ke shagirdon ne poocha: kya chalis din murad hain ? Unhon ne kaha ke mujhe maloom nahi phir unhon ne poocha: chalis saal ? Is par bhi unhon ne inkar kiya . Phir unhon ne poocha: chalis mahine ? Is ke mutalliq bhi unhon ne kaha ke mujh ko khabar nahi aur har cheez fana ho jaye gi , siwa reedh ki haddi ke ke isi se saari makhlooq dobara banayi jaye gi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة الْمُؤْمِنُ:
Bab: Surah Al-Mu’min.
Hadith Number: Q4815
قال مجاهد: مجازها مجاز اوائل السور. ويقال بل هو اسم لقول شريح بن ابي اوفى العبسي يذكرني: حاميم والرمح شاجر ** فهلا تلا حاميم قبل التقدم الطول التفضل {داخرين} خاضعين. وقال مجاهد: {إلى النجاة} الإيمان {ليس له دعوة} يعني الوثن {يسجرون} توقد بهم النار. {تمرحون} تبطرون. وكان العلاء بن زياد يذكر النار، فقال رجل لم تقنط الناس قال وانا اقدر ان اقنط الناس والله عز وجل يقول: {يا عبادي الذين اسرفوا على انفسهم لا تقنطوا من رحمة الله} ويقول: {وان المسرفين هم اصحاب النار} ولكنكم تحبون ان تبشروا بالجنة على مساوئ اعمالكم، وإنما بعث الله محمدا صلى الله عليه وسلم مبشرا بالجنة لمن اطاعه، ومنذرا بالنار من عصاه.
Mujahid ne kaha «ha-meem» ka maani Allah ko maloom hai jaise doosri suraton mein jo huroof e muqatta-aat shuru mein aaye hain un ke mutalliq haqeeqi maani sirf Allah hi ko maloom hain . Baazon ne kaha «ha-meem» Quran ya surat ka naam hai jaise Shurayh Ibn Abi Awfa Absi is shair mein kehta hai jabke neza jang mein chalne laga . Parhta hai «ha-meem» pehle parhna tha . «at-taulu» ke maani ihsan aur fazl karna . «daakhireena» ke maani zaleel o khwar ho kar . Mujahid ne kaha «ad-ookum ilan-najaati» se iman murad hai . «laysa lahu dawatun» yani but kisi ki dua qubol nahi kar sakta . «yus-jaroona» ke maani woh dozakh ke eendhan banein ge . «tamrahoona» ke maani tum itrate thay . Aur Alaa bin Ziyad mashhoor tabiy wa mashhoor zahid logon ko dozakh se darra rahe thay , ek shakhs kehne laga logon ko Allah ki rahmat se mayus kyun karte ho ? Unhon ne kaha main logon ko Allah ki rahmat se na-umeed kaise kar sakta hoon meri kya taqat hai . Allah Paak to farmata hai «ya ibadiyallazhina asrafoo ala anfusihim la taqnatoo min rahma-tillaahi» ”Ae mere woh bando! Jinon ne apni jaanon par zulm kiya (gunah kiye) Allah ki rahmat se na-umeed na ho .“ Is ke saath Allah yun bhi farmata hai «wa annal musrifeena hum as-haabun naar» ke ”gunahgar dozakhi hain“ magar main samajh gaya tumhara matlab yeh hai ke bure kaam karte raho aur jannat ki khush-khabri tum ko milti jaye . Allah ne to Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ko naikiyon par khush-khabri dene wala aur nafarmanon ke liye dozakh se darane wala bana kar bheja hai .
Hadith Number: 4815
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا الوليد بن مسلم، حدثنا الاوزاعي، قال: حدثني يحيى بن ابي كثير، قال: حدثني محمد بن إبراهيم التيمي، قال: حدثني عروة بن الزبير، قال: قلت لعبد الله بن عمرو بن العاص: اخبرني باشد ما صنع المشركون برسول الله صلى الله عليه وسلم؟ قال: بينا رسول الله صلى الله عليه وسلم يصلي بفناء الكعبة إذ اقبل عقبة بن ابي معيط، فاخذ بمنكب رسول الله صلى الله عليه وسلم ولوى ثوبه في عنقه، فخنقه به خنقا شديدا، فاقبل ابو بكر، فاخذ بمنكبه، ودفع عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، وقال: اتقتلون رجلا ان يقول ربي الله وقد جاءكم بالبينات من ربكم".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha hum se Waleed bin Muslim ne byaan kiya , kaha hum se Awzai ne byaan kiya , kaha ke mujh se Yahya bin Abi Kaseer ne byaan kiya , kaha ke mujh se Muhammad bin Ibrahim Taymi ne byaan kiya , kaha ke mujh se Urwah bin Zubayr ne byaan kiya , Aap ne byaan kiya ke main ne Abdullah bin Amr bin al-Aas razi Allahu anhuma se poocha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke saath sab se zyada sakht muamla mushrikeen ne kya kiya tha ? Abdullah ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Kaaba ke qareeb namaz parh rahe thay ke Uqbah bin Abi Muayt aaya us ne Aap ka shana mubarak pakar kar Aap ki gardan mein apna kapra lapait diya aur is kapre se Aap ka gala bari sakhti ke saath ghontne laga . Itne mein Abu Bakr Siddique razi Allahu anhu bhi aa gaye aur unhon ne is bad-bakht ka mondha pakar kar usay Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se juda kiya aur kaha ke kya tum ek aise shakhs ko qatl kar dena chahte ho jo kehta hai ke mera Rabb Allah hai aur woh tumhare Rabb ke paas se apni sachayi ke liye roshan dalail bhi saath laya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة حم السَّجْدَةِ:
Bab: Surah Ha-Meem-us-Sajdah ki tafseer.
Hadith Number: Q4816
وقال طاوس: عن ابن عباس، ائتيا طوعا، او كرها اعطيا، قالتا اتينا طائعين: اعطينا، وقال المنهال: عن سعيد بن جبير، قال: قال رجل لابن عباس: إني اجد في القرآن اشياء تختلف علي، قال: فلا انساب بينهم يومئذ ولا يتساءلون، واقبل بعضهم على بعض يتساءلون، ولا يكتمون الله حديثا، والله ربنا ما كنا مشركين، فقد كتموا في هذه الآية: وقال ام السماء بناها إلى قوله دحاها سورة النازعات آية 27 - 30، فذكر خلق السماء قبل خلق الارض، ثم قال: ائنكم لتكفرون بالذي خلق الارض في يومين إلى قوله طائعين سورة فصلت آية 9 - 11، فذكر في هذه خلق الارض قبل خلق السماء، وقال: وكان الله غفورا رحيما، عزيزا حكيما سميعا بصيرا فكانه كان، ثم مضى، فقال: فلا انساب بينهم، في النفخة الاولى، ثم ينفخ في الصور فصعق من في السموات، ومن في الارض إلا من شاء الله فلا انساب بينهم عند ذلك ولا يتساءلون، ثم في النفخة الآخرة اقبل بعضهم على بعض يتساءلون واما قوله ما كنا مشركين، ولا يكتمون الله: حديثا فإن الله يغفر لاهل الإخلاص ذنوبهم، وقال المشركون: تعالوا نقول لم نكن مشركين فختم على افواههم فتنطق ايديهم فعند ذلك عرف ان الله لا يكتم حديثا وعنده، يود الذين كفروا الآية: وخلق الارض في يومين ثم خلق السماء ثم استوى إلى السماء فسواهن في يومين آخرين ثم دحا: الارض ودحوها ان اخرج منها الماء والمرعى وخلق الجبال والجمال والآكام، وما بينهما في يومين آخرين فذلك قوله دحاها وقوله: خلق الارض في يومين: فجعلت الارض وما فيها من شيء في اربعة ايام وخلقت السموات في يومين، وكان الله غفورا رحيما: سمى نفسه ذلك وذلك قوله اي لم يزل كذلك فإن الله لم يرد شيئا إلا اصاب به الذي اراد فلا يختلف عليك القرآن، فإن كلا من عند الله، قال ابو عبد الله، حدثني يوسف بن عدي، حدثنا عبيد الله بن عمرو، عن زيد بن ابي انيسة، عن المنهال بهذا، وقال مجاهد: لهم اجر غير ممنون: محسوب، اقواتها: ارزاقها، في كل سماء امرها: مما امر به، نحسات: مشائيم، وقيضنا لهم قرناء: قرناهم بهم، تتنزل عليهم الملائكة: عند الموت، اهتزت: بالنبات، وربت: ارتفعت، من اكمامها: حين تطلع، ليقولن هذا لي اي بعملي انا محقوق بهذا، وقال غيره: سواء للسائلين: قدرها سواء، فهديناهم: دللناهم على الخير والشر كقوله: وهديناه النجدين، وكقوله: هديناه السبيل، والهدى الذي هو الإرشاد بمنزلة اصعدناه ومن ذلك قوله: اولئك الذين هدى الله فبهداهم اقتده، يوزعون: يكفون، من اكمامها: قشر الكفرى هي الكم، وقال غيره: ويقال للعنب إذا خرج ايضا كافور وكفرى، ولي حميم، القريب، من محيص: حاص عنه اي حاد، مرية: ومرية واحد اي امتراء، وقال مجاهد: اعملوا ما: شئتم هي وعيد، وقال ابن عباس: ادفع بالتي هي احسن: الصبر عند الغضب والعفو عند الإساءة فإذا فعلوه عصمهم الله وخضع لهم عدوهم كانه ولي حميم.
Taoos ne Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma se naqal kiya «i'tiya tau'an» ka maani khushi se itaat qabool karo . «qaalata atayna ta'ieena» hum ne khushi khushi itaat qabool ki . «aatayna» hum ne khushi se diya . Aur Minhal bin Amr Asadi ne Saeed bin Jubayr se riwayat kiya ke ek shakhs Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma se kehne laga main to Quran mein ek ke ek khilaf chand baatein paata hoon . (Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha) byaan kar . Woh kehne laga ek aayat mein to yun hai «fala ansaaba baynahum yawma-izhin wa la yatasa-aloona» ”Qayamat ke din un ke darmiyan koi rishta naata baqi nahi rahe ga aur na woh baaham ek doosre se kuch poochein ge .“ Doosri aayat mein yun hai «wa aqbala ba'duhum ala ba'din yatasa-aloona» ”aur Qayamat ke din un mein baaz baaz ki taraf mutawajja ho kar ek doosre se poochein ge .“ (is tarah donon aayaton ke byaan mukhtalif hain) ek aayat mein yun hai «wa la yaktumoonallaha hadeesan» ”woh Allah se koi baat nahi chhupa sakein ge“ doosri aayat mein hai Qayamat ke din mushrikeen kahein ge «rabbana ma kunna mushrikeena» ”hum apne Rabb Allah ki qasam kha kar kehte hain ke hum mushrik nahi thay .“ Is aayat se zahir hota hai ke woh apna mushrik hona chhupayein ge (is tarah in donon aayaton ke byaan mukhtalif hain) ek jagah farmaya «antum ashaddu khalqan ammis-sama'u banaha» aakhir tak . Is aayat se zahir hai ke aasman zameen se pehle paida hua . Phir Surah Ha-meem Sajda mein farmaya «a-innakum latakfuroona billazhi khalaqal arda fee yawmayni» is se nikalta hai ke zameen aasman se pehle paida hui hai (is tarah donon mein ikhtilaf hai) aur farmaya «wa kaanallahu ghafooran raheeman» ”Allah bakhshne wala meherban tha“ «azeezan hakeeman» , «samee-an baseeran» in ke ma'ani se nikalta hai ke Allah in sifaat se zamana e maazi mein maussof tha , ab nahi hai . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne jawab mein kaha ke yeh jo farmaya «fala ansaaba baynahum» ”is din koi naata rishta baqi na rahe ga“ yeh is waqt ka zikr hai jab pehla soor phoonka jaye ga aur aasman o zameen wale sab be-hosh ho jayein ge is waqt rishta naata kuch baqi na rahe ga , na ek doosre ko poochein ge (dahshat ke maarey sab nafsi nafsi pukarein ge) phir yeh jo doosri aayat mein hai «aqbala ba'duhum ala ba'din» ek doosre ke samne aa kar pooch taach karein ge , yeh doosri dafa soor phoonke jaane ke baad ka haal hai (jab maidan e mahshar mein sab dobara zinda hon ge aur kisi qadr hosh thikane aaye ga) aur yeh jo mushrikeen ka qaul naqal kiya hai «rabbana ma kunna mushrikeena» hamare Rabb ki qasam hum mushrik na thay aur doosri jagah farmaya «wa la yaktumoonallaha hadeesan» Allah se woh koi baat nahi chhupa sakein ge to baat yeh hai ke Allah Paak Qayamat ke din khalis tawheed walon ke gunah bakhsh de ga aur mushrikeen aapas mein salah o mashwara karein ge ke chalo hum bhi chal kar darbar e Ilahi mein kahein ke hum mushrik na thay . Phir Allah Paak un ke munh par mahr laga de ga aur un ke hath paon bolna shuru kar dein ge . Is waqt unhein maloom ho jaye ga ke Allah se koi baat chhup nahi sakti aur isi waqt kafir yeh aarzoo karein ge ke kaash woh duniya mein Musalman hote (is tarah yeh donon aayatein mukhtalif nahi hain) aur yeh jo farmaya «wa khalaqal arda fee yawmayni» ke zameen ko do din mein paida kiya is ka matlab yeh ke usay phailaya nahi (sirf is ka mada paida kiya) phir aasman ko paida kiya aur do din mein is ko barabar kiya (un ke tabqaat murattab kiye) is ke baad zameen ko phailaya aur is ka phailana yeh hai ke is mein se pani nikala , ghaas chara paida kiya , pahar , janwar , oont waghaira teele jo jo un ke beech mein hain woh sab paida kiye . Yeh sab do din mein kiya . «dahaaha» ka matlab yeh hai ke zameen do din mein paida hui jaise farmaya «khalaqal arda fee yawmayni» to zameen ma'a apni sab cheezon ke char din mein bani aur aasman do din mein bane (is tarah yeh aitraz rafa hua) ab raha yeh farmana ke «wa kaanallahu ghafooran raheeman» mein «kaana» ka matlab hai ke Allah Paak mein yeh sifaat azal se hain aur yeh is ke naam hain (ghafoor , raheem , azeez , hakeem , samee , baseer waghaira) kyunke Allah Ta'ala jo chahta hai woh haasil kar leta hai (haasil yeh hai ke sifaat sab qadeem hain go un ke talluqaat haadis hon jaise «samiallahu» ka qadeem se tha magar talluq «sama» ka is waqt se hua jab se aawazein paida huien . Isi tarah aur sifaat mein bhi kahein ge) ab to Quran mein koi ikhtilaf nahi raha , ikhtilaf kaise ho ga . Quran Majeed Allah ki taraf se nazil hua hai . Is ke kalam mein ikhtilaf nahi ho sakta . Imam Bukhari rahmahullah ne kaha mujh se Yusuf bin Adi ne byaan kiya , kaha hum se Ubaydullah bin Amr ne , unhon ne Zayd bin Abi Unaysa se , unhon ne Minhal se , unhon ne Saeed bin Jubayr se , unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se (yahi riwayat jo idhar guzri hai) . Mujahid ne kaha «mamnoonun» ka maani hisab hai . «aqwaataha» yani barish ka andaza muqarrar kiya ke har mulk mein kitni barish munasib hai . «fee kulli sama'in amraha» yani jo hukm (aur intizam karna tha) woh har aasman se mutalliq (farishton ko) batla diya . «nahisaatin» manhoos , na-mubarak . «wa qayyadna lahum qurana'a» ka maani hum ne kafiron ke saath Shaytan ko laga diya . «tatanazzalu alayhimul mala'ikatu» yani maut ke waqt un par farishte utarte hain . «ihtazzat» yani sabzi se lehlahane lagti hai . «wa rabat» phool jati hai , ubhar aati hai . Mujahid ke siwa auron ne kaha «min akmaamiha» yani jab phal gaabhon se nikalte hain . «la-yaqoolanna hazha lee» yani yeh mera haq hai , mere naik kaamon ka badla hai . «sawa'al lissailina» sab maangne walon ke liye is ko yaksam rakkha . «fahadaynaahum» se yeh murad hai ke hum ne unhein achha bura dikhlaya , batla diya jaise doosri jagah farmaya «wa hadaynaahun-najdayni» (Surah al-Balad mein aur Surah ad-Dahar mein) farmaya «hadaynaahus-sabeela» lekin hidayat ka woh maani seedhe aur sache raste par laga dena , woh «wa-is-aadun» (ya «is-aadun») ke maani mein hai (Surah al-Anaam) «ula'ikallazhina hadallahu fabihuda-humuq-tadih» mein yahi maani murad hain . «yooz-aoona» roke jayein ge . «min akmaamiha» mein «kammun» kehte hain gaabha ke chhilke ko (yeh Ibn Abbas razi Allahu anhuma ka qaul hai) auron ne kaha angoor jab nikalte hain to is ko bhi «faurun» aur «kufra» kehte hain . «waliyyun hameemun» qareebi dost . «min maheesin» , «haasa» se nikla hai «haasa» ke maani nikal bhaga , alag ho gaya . «mir-yatun» ba-kasrah meem aur «mur-yatun» ba-dhumm meem (donon qiratein hain) donon ka ek hi maani shakk o shubha ke hain aur Mujahid ne kaha «imaloo ma shi'tum» mein waeed hai . Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «idfa billati hiya ahsanu» se yeh murad hai ke ghussay ke waqt sabr kar lo aur burayi ko maaf kar do jab log aise akhlaq ikhtiyar karein ge to Allah un ko har aafat se bachaye rakkhe ga aur un ke dushman bhi aajiz ho kar un ke dili dost ban jayein ge .
بَابُ: {وَمَا كُنْتُمْ تَسْتَتِرُونَ أَنْ يَشْهَدَ عَلَيْكُمْ سَمْعُكُمْ وَلاَ أَبْصَارُكُمْ وَلاَ جُلُودُكُمْ وَلَكِنْ ظَنَنْتُمْ أَنَّ اللَّهَ لاَ يَعْلَمُ كَثِيرًا مِمَّا تَعْمَلُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur tum is baat se apne ko chhupa hi nahi sakte the ke tumhare khilaf tumhare kaan, tumhari aankhen aur tumhari jildein gawahi dengi, balkeh tumhein to ye khayal tha ke Allah ko bohot si un cheezon ki khabar hi nahi hai jinhen tum karte rahe”.
Hadith Number: 4816
حدثنا الصلت بن محمد، حدثنا يزيد بن زريع، عن روح بن القاسم، عن منصور، عن مجاهد، عن ابي معمر، عن ابن مسعود، وما كنتم تستترون ان يشهد عليكم سمعكم ولا ابصاركم سورة فصلت آية 22 الآية، قال:" كان رجلان من قريش وختن لهما من ثقيف او رجلان من ثقيف وختن لهما من قريش في بيت، فقال بعضهم لبعض: اترون ان الله يسمع حديثنا، قال بعضهم: يسمع بعضه، وقال بعضهم: لئن كان يسمع بعضه لقد يسمع كله، فانزلت: وما كنتم تستترون ان يشهد عليكم سمعكم ولا ابصاركم سورة فصلت آية 22 الآية".
Hum se Salt bin Muhammad ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Yazid bin Zuray ne byaan kiya , un se Rauh bin Qasim ne , un se Mujahid ne , un se Abu Mamar ne aur un se Ibn Masood razi Allahu anhu ne aayat «wa ma kuntum tastatiroona an yash-hada alaykum sam-ukum» ”aur tum is baat se apne ko chhupa nahi sakte thay ke tumhare kaan gawahi dein ge .“ al-kh ke mutalliq kaha ke Quraysh ke do aadmi aur biwi ki taraf se un ke qabila Saqeef ka koi rishta-dar ya Saqeef ke do afraad thay aur biwi ki taraf Quraysh ka koi rishta-dar , yeh Khana Kaaba ke paas baithe huay thay in mein se baaz ne kaha ke kya tumhara khayal hai ke Allah Ta'ala hamari baatein sunta ho ga ek ne kaha ke baaz baatein sunta hai . Doosre ne kaha ke agar baaz baatein sun sakta hai to sab sunta ho ga . Is par yeh aayat nazil hui «wa ma kuntum tastatiroona an yash-hada alaykum sam-ukum wa la absaarukum» ”aur tum is baat se apne ko chhupa hi nahi sakte ke tumhare khilaf tumhare kaan aur tumhari aankhein gawahi dein gi .“ Aakhir aayat «wa zhalikum zhannukum» tak .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة