الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِهِ: {وَذَلِكُمْ ظَنُّكُمُ الَّذِي ظَنَنْتُمْ بِرَبِّكُمْ أَرْدَاكُمْ فَأَصْبَحْتُمْ مِنَ الْخَاسِرِينَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur ye tumhara guman hai”aakhir ayat tak.
Show diacritics
Hadith Number: 4817
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا منصور، عن مجاهد، عن ابي معمر، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:" اجتمع عند البيت قرشيان وثقفي او ثقفيان وقرشي كثيرة شحم بطونهم قليلة فقه قلوبهم، فقال احدهم: اترون ان الله يسمع ما نقول، قال الآخر: يسمع إن جهرنا، ولا يسمع إن اخفينا، وقال الآخر: إن كان يسمع إذا جهرنا، فإنه يسمع إذا اخفينا، فانزل الله عز وجل: وما كنتم تستترون ان يشهد عليكم سمعكم ولا ابصاركم ولا جلودكم سورة فصلت آية 22 الآية"، وكان سفيان يحدثنا بهذا، فيقول: حدثنا منصور، او ابن ابي نجيح، او حميد احدهم، او اثنان منهم، ثم ثبت على منصور، وترك ذلك مرارا غير مرة واحدة،
Hum se Humaydi ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sufyan ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Mansoor ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Mujahid ne byaan kiya , un se Abu Mamar ne aur un se Abdullah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Khana Kaaba ke paas do Qurayshi aur ek Saqafi ya ek Qurayshi aur do Saqafi mard baithe huay thay . Un ke pait bahut mote thay lekin aqal se kore . Ek ne in mein se kaha , tumhara kya khayal hai kya Allah hamari baaton ko sun raha hai ? Doosre ne kaha agar hum zor se bolein to sunta hai lekin aahista bolein to nahi sunta . Teesre ne kaha agar Allah zor se bolne par sun sakta hai to aahista bolne pe bhi zaroor sunta ho ga . Is par yeh aayat utri «wa ma kuntum tastatiroona an yash-hada alaykum sam-ukum wa la absaarukum wa la juloodukum» ke ”aur tum is baat se apne ko chhupa hi nahi sakte ke tumhare kaan aur tumhari aankhein aur tumhare chamre gawahi dein ge .“ Aakhir aayat tak . Sufyan hum se yeh hadees byaan karte thay aur kaha ke hum se Mansoor ne ya Ibn Najeeh ne ya Humayd ne in mein se kisi ek ne ya kisi do ne yeh hadees byaan ki , phir Aap Mansoor hi ka zikr karte thay aur doosron ka zikr ek se zyada martaba nahi kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلُهُ: {فَإِنْ يَصْبِرُوا فَالنَّارُ مَثْوًى لَهُمْ} الآيَةَ:
Bab: Ayat ki tafseer“Pas ye log agar sabr hi karen tab bhi dozakh hi un ka thikana hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4817M
حدثنا عمرو بن علي، حدثنا يحيى، حدثنا سفيان الثوري، قال: حدثني منصور، عن مجاهد، عن ابي معمر، عن عبد الله بنحوه.
Hum se Amr bin Ali ne byaan kiya , kaha hum se Yahya ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , kaha ke mujh se Mansoor ne byaan kiya , un se Mujahid ne , un se Abu Mamar ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne pehli hadees ki tarah byaan kiya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة حم عسق:
Bab: Surah Ha-Meem Asq ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4818
ويذكر عن ابن عباس: {عقيما} لا تلد. {روحا من امرنا} القرآن. وقال مجاهد: {يذرؤكم فيه} نسل بعد نسل {لا حجة بيننا} لا خصومة. {طرف خفي} ذليل. وقال غيره: {فيظللن رواكد على ظهره} يتحركن ولا يجرين في البحر. {شرعوا} ابتدعوا.
Ibn Abbas razi Allahu anhuma se «aqeeman» ke maani baanjh manqool hain . «roohan min amrina» mein «roohun» se Quran Majeed murad hai . Aur Mujahid ne kaha «yazhra'ukum feehi» ka matlab yeh hai ek nasl ke baad doosri nasl phailata rahe ga . «la hujjata baynana» yani ab hum mein aur tum mein koi jhagra nahi raha . «tarfin khafiyyin» kamzor ki nigah se , duzdida nazar se . Auron ne kaha «fa-yazhlalna rawakida ala zhahrihi» ka matlab yeh hai ke apne maqam par maujon ke thaperon se hilti rahein na aage barhein na peeche hatein . «shara'oo» naya deen nikala .


بَابُ: {إِلاَّ الْمَوَدَّةَ فِي الْقُرْبَى}:
Bab: Ayat ki tafseer“Qarabat-dari ki muhabbat ke siwa mein tum se aur kuch nahi chahta”.
Show diacritics
Hadith Number: 4818
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن عبد الملك بن ميسرة، قال: سمعت طاوسا، عن ابن عباس رضي الله عنهما، انه سئل عن قوله: إلا المودة في القربى سورة الشورى آية 23، فقال سعيد بن جبير: قربى آل محمد صلى الله عليه وسلم، فقال ابن عباس:" عجلت إن النبي صلى الله عليه وسلم لم يكن بطن من قريش إلا كان له فيهم قرابة، فقال:" إلا ان تصلوا ما بيني وبينكم من القرابة".
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad bin Jafar ne bayan kiya, kaha ke hum se Shubah ne, in se Abd-ul-Malik bin Maysarah ne bayan kiya ke main ne Taoos se suna ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma se Allah Ta'ala ke irshad «il-lal-mawaddata fil-qurbaa» ”siwa rishta-dari ki mohabbat ke“ mutalliq poochha gaya to Saeed bin Jubayr ne farmaya ke Aal e Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ki qarabath-dari murad hai. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne is par kaha ke tum ne jald-baazi ki. Quraish ki koi shakh aaisi nahi jis mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki qarabath-dari na ho. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya ke tum se sirf yeh chahta hoon ke tum is qarabath-dari ki wajah se sila-rahmi ka muamla karo jo mere aur tumhare darmiyan mein maujood hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة حم الزُّخْرُفِ:
Bab: Surah Ha-Meem Zukhruf ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4819
وقال مجاهد: على امة: على إمام، وقيله يا رب: تفسيره ايحسبون انا لا نسمع سرهم ونجواهم ولا نسمع قيلهم، وقال ابن عباس: ولولا ان يكون الناس امة واحدة: لولا ان جعل الناس كلهم كفارا لجعلت لبيوت الكفار سقفا من فضة ومعارج من فضة وهي درج وسرر فضة، مقرنين: مطيقين، آسفونا: اسخطونا، يعش: يعمى، وقال مجاهد: افنضرب عنكم الذكر: اي تكذبون بالقرآن، ثم لا تعاقبون عليه، ومضى مثل الاولين: سنة الاولين وما كنا له، مقرنين: يعني الإبل والخيل والبغال والحمير، ينشا في الحلية: الجواري جعلتموهن للرحمن ولدا فكيف تحكمون، لو شاء الرحمن ما عبدناهم: يعنون الاوثان، يقول الله تعالى: ما لهم بذلك من علم: اي الاوثان إنهم لا يعلمون، في عقبه: ولده، مقترنين: يمشون معا، سلفا: قوم فرعون، سلفا: لكفار امة محمد صلى الله عليه وسلم، ومثلا: عبرة، يصدون: يضجون، مبرمون: مجمعون اول العابدين اول المؤمنين، وقال غيره: إنني براء مما تعبدون: العرب تقول نحن منك البراء والخلاء والواحد والاثنان والجميع من المذكر والمؤنث يقال فيه براء لانه مصدر، ولو قال بريء لقيل: في الاثنين بريئان وفي الجميع بريئون، وقرا عبد الله إنني بريء بالياء والزخرف الذهب ملائكة يخلفون يخلف بعضهم بعضا.
Mujahid ne kaha ke «ala ummatin» ke maani ek Imam par ya ek millat par ya ek deen par . «wa qeelihi ya rabbi» ka maani hai kya kafir log yeh samajhte hain ke hum un ki aahista baatein aur un ki kaana phuusi aur un ki guftagu nahi sunte (yeh tafseer is qirat par hai jab «wa qeelahu» ba-nasb laam parha jaye . Is halat mein «wa sirrahum wa najwaahum» par atf ho ga aur mashhoor qirat «wa qeelihi» ba-kasr laam hai . Is surat mein yeh «as-saati» par atf ho ga yani Allah Ta'ala un ki guftagu bhi jaanta hai aur sunta hai) . Aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «wa lau la an yakoonan-naasu ummatan waahidatan» ka matlab yeh hai agar yeh baat na hoti ke sab logon ko kafir hi bana dalta to main kafiron ke gharon mein chaandi ki chhatein aur chaandi ki seerhiyaan kar deta . «ma'arija» ke maani seerhiyaan , takht waghaira . «muqrineena» zor wale . «aasafuna» hamain ghussa dilaya . «yashu» andha ban jaye . Mujahid ne kaha «afanadribu ankumuzh-zhikra» ka matlab yeh hai ke kya tum yeh samajhte ho ke tum Quran ko jhutlate raho ge aur hum tum par azab nahi utarein ge (tum ko zaroor azab ho ga) . «wa mada masalul awwaleena» aglon ke qisse kahaniyaan chal parein . «wa ma kunna lahu muqrineena» yani oont ghore , khachar aur gadhoon par hamara zor aur qaboo na chal sakta tha . «yunash-sha'u fil hilyati» se betiyaan murad hain , yani tum ne beti zaat ko Allah ki aulad thehraya , wah wah kya achha hukm lagate ho . «lau shaa'ar-rahmaanu ma abadh-naahum» mein «hum» ki zameer buton ki taraf phirti hai kyunke aage farmaya «ma lahum bi-zhaalika min ilmin» yani buton ko jin ko yeh poojte hain kuch bhi ilm nahi hai woh to bilkul be-jaan hain «fee aqibihi» is ki aulad mein . «muqtarineena» saath saath chalte huay . «salafan» se murad Firaun ki qaum hai . Woh log jo Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ki ummat mein kafir hain un ke peshwa yani agle log thay . «wa masalan lil-aakhireena» yani pichhlon ki ibrat aur misal . «yasuddoona» chillane lage , shor o ghul karne lage . «mubrimoona» thaanne wale , qarar dene wale . «awwalul aabideena» sab se pehle iman lane wala . «innani bara'un mimma ta'budoona» Arab log kehte hain hum tum se «bara'un» hain hum tum se «khala'un» hain yani bezar hain , alag hain , kuch gharz wasta tum se nahi rakhte . Wahid , tasniya , jama , muzakkar wa muannas sab mein «bara'un» ka lafz bola jata hai kyunke «bara'un» masdar hai . Aur agar «baree'un» parha jaye jaise Ibn Masood razi Allahu anhu ki qirat hai tab to tasniya mein «baree'aani» aur jama mein «baree'oona» kehna chahiye . «az-zukhrufu» ke maani sona . «mala'ikatuy yakhl-u-foona» yani farishte jo ek ke peeche ek aate rehte hain .


بَابُ: {وَنَادَوْا يَا مَالِكُ لِيَقْضِ عَلَيْنَا رَبُّكَ} الآيَةَ:
Bab: Ayat ki tafseer“Jahannami kahenge Ay darogha-e-jahannam! tumhara Rab hamein maut de de, woh kahe ga tum isi haal mein pare raho”.
Show diacritics
Hadith Number: 4819
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا سفيان بن عيينة، عن عمرو، عن عطاء، عن صفوان بن يعلى، عن ابيه، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقرا على المنبر: ونادوا يا مالك ليقض علينا ربك سورة الزخرف آية 77، وقال قتادة: مثلا للآخرين عظة لمن بعدهم، وقال غيره: مقرنين: ضابطين، يقال فلان مقرن لفلان ضابط له والاكواب الاباريق التي لا خراطيم لها، اول العابدين: اي ما كان فانا اول الآنفين وهما لغتان رجل عابد وعبد وقرا عبد الله: وقال الرسول يا رب، ويقال اول العابدين الجاحدين من عبد يعبد، وقال قتادة: في ام الكتاب جملة الكتاب اصل الكتاب.
Hum se Hajjaj bin Minhal ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Amr ne , un se Ata ne , un se Safwan bin Yala ne aur un se un ke walid ne ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko mimbar par yeh aayat parhte suna «wa naadau ya maaliku liyaqdi alayna rabbuka» ”aur yeh log pukarein ge ke Ae Maalik! Tumhara Parvardigar hamara kaam hi tamam kar de .“ Aur Qatadah ne kaha «masalan lil-aakhireena» yani pichhlon ke liye nasihat . Doosre ne kaha «muqrineena» ka maani qaboo mein rakhne wale . Arab log kehte hain fulaana fulaane ka «muqrinun» hai yani is par ikhtiyar rakhta hai (is ko qaboo mein laya hai) . «akwaabun» woh kooze jin mein tonti na ho balkay munh khula hua ho jahan se aadmi chahe piye . «in kaana lir-rahmaani waladun» ka maani yeh hai ke is ki koi aulad nahi hai . (is surat mein «in» nafiya hai) «aabideena» se «aanifeena» murad hai . Yani sab se pehle main is se «aar» karta hoon . Is mein do lughat hain «aabidun wa abidun» aur Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne is ko «wa qaalar-rasoolu ya rabbi» parha hai . «awwalul aabideena» ke maani sab se pehla inkar karne wala yani agar Khuda ki aulad sabit karte ho to main is ka sab se pehla inkari hoon . Is surat mein «aabideena» baab «abada yabudu» se aaye ga aur Qatadah ne kaha «fee ummil kitabi» ka maani yeh hai ke majmu-i kitab aur asal kitab (yani Lauh e Mahfooz mein) .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {أَفَنَضْرِبُ عَنْكُمُ الذِّكْرَ صَفْحًا أَنْ كُنْتُمْ قَوْمًا مُسْرِفِينَ}
Bab: Ayat «afa-nadribu ankumuz zikra safhan an kuntum qawman musrifeen» ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4820-3
افنضرب عنكم الذكر صفحا ان كنتم قوما مسرفين سورة الزخرف آية 5 مشركين والله لو ان هذا القرآن رفع حيث رده اوائل هذه الامة لهلكوا. {فاهلكنا اشد منهم بطشا ومضى مثل الاولين} عقوبة الاولين {جزءا} عدلا.
«musrifeena» se murad mushrikeen hain . Wallah agar yeh Quran utha liya jata jabke ibtida mein Quraysh ne usay radd kar diya tha to sab halak ho jate . «fa-ahlakna ashaddu minhum bat-shan wa mada masalul awwaleena» mein «masalun» se azab murad hai . «juz-an» bamaani «adlan» yani shareek .


سورة حم الدُّخَانِ:
Bab: Surah Ad-Dukhaan ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4820-2
وقال مجاهد: رهوا: طريقا يابسا، ويقال: رهوا ساكنا، على علم على العالمين: على من بين ظهريه، وزوجناهم بحور: عين انكحناهم حورا عينا يحار فيها الطرف، فاعتلوه: ادفعوه ويقال ان، ترجمون: القتل، وقال ابن عباس: كالمهل: اسود كمهل الزيت، وقال غيره: تبع: ملوك اليمن كل واحد منهم يسمى تبعا لانه يتبع صاحبه والظل يسمى تبعا لانه يتبع الشمس.
Mujahid ne kaha «rahwan» ka maani rasta . «alal aalameena» se murad un ke zamane ke log hain . «fatiloohu» ke maani un ko dhakel do . «wa zawwajnaahum bi-hoorin» ka matlab hum ne bari bari aankhon wali hooron se un ka jora mila diya jin ka jamal dekhne se aankhon ko hairat hoti hai . «tarjumooni» mujh ko qatl karo . «rahwan» thama hua . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «kal-muhli» yani kala til-chhat ki tarah . Auron ne kaha «tubbaun» se Yaman ke baadshah murad hain . Un ko «tubbaun» is liye kaha jata tha ke ek ke baad ek baadshah hota aur saya ko bhi «tubbaun» kehte hain kyunke woh sooraj ke saath rehta hai .


بَابُ: {يَوْمَ تَأْتِي السَّمَاءُ بِدُخَانٍ مُبِينٍ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Pas Aap intezar karen us din ka jab aasman ki taraf ek nazar aane wala dhuaan paida ho”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4820
قال قتادة: فارتقب: فانتظر.
Hum se Abdan ne byaan kiya , un se Abu Hamzah ne , un se Aamash ne , un se Muslim ne , un se Masrooq ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke (Qayamat ki) paanch alamaat guzar chuki hain «ad-dukhaanu» dhuwaan , «ar-roomu» ghalba e Room , «al-qamaru» chaand ka tukre hona , «wal bat-shatu» pakar aur «wal lizaamu» halakat aur qaid .


Show diacritics
Hadith Number: 4820
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن مسلم، عن مسروق، عن عبد الله، قال:" مضى خمس الدخان، والروم، والقمر، والبطشة، واللزام".
Hum se Abdan ne bayan kiya, in se Abu Hamza ne, in se Aamash ne, in se Muslim ne, in se Masrooq ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke (Qayamat ki) paanch alamaatein guzar chuki hain «ad-dukhaanu» dhuwan, «ar-roomu» ghalba e Room, «al-qamaru» chaand ka tukre hona, «wal-bat-shatu» pakar aur «wal-lizhaamu» halakat aur qaid.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة