الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {لَقَدْ رَأَى مِنْ آيَاتِ رَبِّهِ الْكُبْرَى}:
Bab: Ayat ki tafseer“Tahqeeq Nabi Kareem ﷺ ne apne Rab ki bari bari nishaniyon ko dekha”.
Hadith Number: 4858
حدثنا قبيصة، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله رضي الله عنه، لقد راى من آيات ربه الكبرى سورة النجم آية 18، قال:" راى رفرفا اخضر قد سد الافق".
Hum se Qubaysah bin Utbah ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya, un se Aamash ne, un se Ibrahim Nakhai ne, un se Alqamah ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne aayat «laqad ra-aa min aayaati rabbihil kubra» yani ”Aap ne apne Rabb ki azeem nishaniyan dekhein“ ke mutalliq batlaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne «rafraf» (sabz farsh) ko dekha jis ne aasman ke kinaron ko dhaanp liya tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {أَفَرَأَيْتُمُ اللاَّتَ وَالْعُزَّى}:
Bab: Ayat ki tafseer“Bhala tum ne Laat aur Uzza ko bhi dekha hai”.
Hadith Number: 4859
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا ابو الاشهب، حدثنا ابو الجوزاء، عن ابن عباس رضي الله عنهما، في قوله: اللات والعزى سورة النجم آية 19 كان اللات رجلا يلت سويق الحاج".
Hum se Muslim bin Ibrahim Farahidi ne byaan kiya, kaha hum se Abu al-Ash'hab Jafar bin Hayyan ne byaan kiya, kaha ke hum se Abu al-Jauza' ne byaan kiya aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne Laat aur Uzza ke haal mein kaha ke Laat ek shakhs ko kehte thay woh hajiyon ke liye sattu gholta tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4860
حدثنا عبد الله بن محمد، اخبرنا هشام بن يوسف، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن حميد بن عبد الرحمن، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من حلف فقال في حلفه واللات والعزى، فليقل: لا إله إلا الله، ومن قال لصاحبه تعال اقامرك فليتصدق".
Hum se Abdullah bin Muhammad Musandi ne byaan kiya, unhon ne kaha hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di, unhon ne kaha hum ko Mamar ne khabar di, unhon ne kaha hamain Zuhri ne, unhein Humayd bin Abdur Rahman ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs qasam khaye aur kahe ke qasam hai Laat aur Uzza ki to usay tajdeed e iman ke liye kehna chahiye «la ilaha illallah» aur jo shakhs apne saathi se yeh kahe ke aao jua khelein to usay sadqa dena chahiye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَمَنَاةَ الثَّالِثَةَ الأُخْرَى}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur teesre but Manaat ke (haalaat bhi suno)”.
Hadith Number: 4861
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا الزهري، سمعت عروة، قلت لعائشة رضي الله عنها، فقالت:" إنما كان من اهل بمناة الطاغية التي بالمشلل لا يطوفون بين الصفا والمروة، فانزل الله تعالى إن الصفا والمروة من شعائر الله سورة البقرة آية 158، فطاف رسول الله صلى الله عليه وسلم والمسلمون، قال سفيان: مناة بالمشلل من قديد. وقال عبد الرحمن بن خالد، عن ابن شهاب، قال عروة، قالت عائشة: نزلت في الانصار كانوا هم وغسان قبل ان يسلموا يهلون لمناة مثله. وقال معمر: عن الزهري، عن عروة، عن عائشة:" كان رجال من الانصار ممن كان يهل لمناة ومناة صنم بين مكة والمدينة، قالوا: يا نبي الله، كنا لا نطوف بين الصفا والمروة تعظيما لمناة نحوه.
Hum se Abdullah bin Zubayr Humaydi ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya ke main ne Urwah se suna, unhon ne byaan kiya ke main ne Aisha razi Allahu anha se poocha to unhon ne kaha ke kuch log Manat but ke naam par ihram baandhte jo Maqam e Mushallal mein tha, woh Safa aur Marwah ke darmiyan (Hajj o Umrah mein) sayi nahi karte thay is par Allah Ta'ala ne aayat nazil ki «innas-safa wal marwata min sha'airillahi» ”beshak Safa aur Marwah Allah ki nishaniyon mein se hain“ chunanche Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne un ke darmiyan tawaf kiya aur Musalmanon ne bhi tawaf kiya. Sufyan ne kaha ke ”Manat“ Maqam e Qadeed par Mushallal mein tha aur Abdur Rahman bin Khalid ne byaan kiya ke un se Ibn Shihab ne, un se Urwah ne byaan kiya aur un se Aisha razi Allahu anha ne kaha ke yeh aayat Ansar ke baare mein nazil hui thi. Islam se pehle Ansar aur Ghassan ke log Manat ke naam par ihram baandhte thay, pehli hadees ki tarah. Aur Mamar ne Zuhri se byaan kiya, un se Urwah ne, un se Aisha razi Allahu anha ne ke qabila Ansar ke kuch log Manat ke naam ka ihram baandhte thay. Manat ek but tha jo Makkah aur Madinah ke darmiyan rakkha hua tha (Islam laane ke baad) in logon ne kaha ke ya Rasool Allah! Hum Manat ki tazim ke liye Safa aur Marwah ke darmiyan sayi nahi kiya karte thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {فَاسْجُدُوا لِلَّهِ وَاعْبُدُوا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Pas khaas Allah ke liye sajda karo aur khaas usi ki ibadat karo”.
Hadith Number: 4862
حدثنا ابو معمر، حدثنا عبد الوارث، حدثنا ايوب، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" سجد النبي صلى الله عليه وسلم بالنجم، وسجد معه المسلمون، والمشركون، والجن، والإنس". تابعه إبراهيم بن طهمان، عن ايوب، ولم يذكر ابن علية ابن عباس.
Hum se Abu Mamar Abdullah bin Amr ne byaan kiya, un se Abdul Waris bin Saeed ne byaan kiya, kaha hum se Ayub Sakhtiyani ne byaan kiya, un se Ikrimah ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Surah al-Najm mein sajda kiya aur Aap ke saath Musalmanon ne aur tamam mushrikon aur jinnat o insanon ne bhi sajda kiya. Abdul Waris ke saath is hadees ko Ibrahim bin Tahman ne bhi Ayub se riwayat kiya aur Ismail bin Aliyyah ne apni riwayat mein Ibn Abbas razi Allahu anhuma ka zikr nahi kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4863
حدثنا نصر بن علي، اخبرني ابو احمد، حدثنا إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن الاسود بن يزيد، عن عبد الله رضي الله عنه، قال: اول سورة انزلت فيها سجدة والنجم، قال:" فسجد رسول الله صلى الله عليه وسلم، وسجد من خلفه إلا رجلا رايته اخذ كفا من تراب، فسجد عليه، فرايته بعد ذلك قتل كافرا وهو امية بن خلف".
Hum se Nasr bin Ali ne byaan kiya, kaha hum ko Abu Ahmad Zubayri ne khabar di, kaha hum ko Israeel ne khabar di, un se Abu Ishaq ne, un se Aswad bin Yazid ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke sab se pehle nazil hone wali sajda wali surat Surah al-Najm hai. Byaan kiya ke phir Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne (is ki tilawat ke baad) sajda kiya aur jitne log Aap ke peeche thay sab hi ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ke saath sajda kiya, siwa ek shakhs ke, main ne dekha ke is ne apni hatheli mein mitti uthayi aur isi par sajda kar liya. Baad mein (Badr ki larayi mein) main ne usay dekha ke kufr ki halat mein woh qatl kiya hua para hai. Woh shakhs Umayyah bin Khalaf tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة {اقْتَرَبَتِ السَّاعَةُ}:
Bab: Surah Iqtarabat-is-Saa’ah ki tafseer.
Hadith Number: Q4864
قال مجاهد: مستمر: ذاهب، مزدجر: متناه وازدجر فاستطير جنونا، دسر: اضلاع السفينة، لمن كان كفر، يقول: كفر له جزاء من الله، محتضر: يحضرون الماء، وقال ابن جبير: مهطعين: النسلان الخبب السراع، وقال غيره: فتعاطى: فعاطها بيده فعقرها، المحتظر: كحظار من الشجر محترق، ازدجر: افتعل من زجرت، كفر: فعلنا به وبهم ما فعلنا جزاء لما صنع بنوح واصحابه، مستقر: عذاب حق يقال الاشر المرح والتجبر.
Mujahid ne kaha «mustamirrun» ka maani jaane wala, baatil hone wala. «muzdajarun» be-intiha jharakne wale, tanbeeh karne wale. «wa-zdajara» deewana banaya gaya (ya jharaka gaya). «dusurin» kashti ke takhte ya keelein ya rasiyaan. «liman kaana kufira» yani yeh azab Allah ki taraf se badla tha is shakhs ka jis ki unhon ne na-qadri ki thi yani Nuh ki. «kullu shirbim-muhtadarun» yani har fareeq apni baari par pani peene ko aaye. «muhti-eena ilad-da'i» Saeed bin Jubayr razi Allahu anhu ne kaha yani darte huay Arbi zaban mein daurne ko «lansalan» , «khabab» , «sira-un» kehte hain. Auron ne kaha ke «fata-aata» yani hath chalaya usay zakhmi kiya. «kahisheemil muhtazhiri» ka maani jaise tooti jali hui baar. «uz-dujira» maazi majhool ka sigha hai baab «ifta-ala» se is ka mujarrad «zhajartu» hai. «jazaa-al liman kaana kufira» yani hum ne Nuh aur un ki qaum walon ke saath jo sulook kiya yeh is ka badla tha jo Nuh aur un ke imandar saath walon ke saath kafiron ki taraf se kiya gaya tha. «mustaqirrun» jama rehne wala. «azhaabun ashirun» ka maani hai itrana, ghuroor karna.
بَابُ: {وَانْشَقَّ الْقَمَرُ وَإِنْ يَرَوْا آيَةً يُعْرِضُوا}:
Bab: Ayat «wan-shaqqal qamaru wa in yaraw aayatan yu’ridu» ki tafseer.
Hadith Number: 4864
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن شعبة، وسفيان، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن ابي معمر، عن ابن مسعود، قال:" انشق القمر على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم فرقتين، فرقة فوق الجبل، وفرقة دونه، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اشهدوا".
Hum se Musaddad ne byaan kiya, kaha hum se Yahya ne byaan kiya, un se Shubah aur Sufyan ne aur un se Aamash ne, un se Ibrahim ne, un se Abu Mamar ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke zamane mein chaand do tukre ho gaya tha ek tukra pahar ke oopar aur doosra is ke peeche chala gaya thu. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne isi mauqa par hamain se farmaya tha ke gawah rehna.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4865
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، اخبرنا ابن ابي نجيح، عن مجاهد، عن ابي معمر، عن عبد الله، قال:" انشق القمر ونحن مع النبي صلى الله عليه وسلم، فصار فرقتين، فقال لنا:" اشهدوا اشهدوا".
Hum se Ali ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan ne byaan kiya, kaha hum ko Ibn Abi Najih ne khabar di, unhein Mujahid ne, unhein Abu Mamar ne aur un se Abdullah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke chaand phat gaya tha aur is waqt hum bhi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath thay. Chunanche is ke do tukre ho gaye. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne hamain se farmaya ke logo gawah rehna, gawah rehna.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4866
حدثنا يحيى بن بكير، قال: حدثني بكر، عن جعفر، عن عراك بن مالك، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة بن مسعود، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" انشق القمر في زمان النبي صلى الله عليه وسلم".
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya, kaha ke mujh se Bakr ne byaan kiya, un se Jafar ne, un se Irak bin Malik ne, un se Ubaydullah bin Abdullah bin Utbah bin Masood ne byaan kiya ke Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke zamane mein chaand phat gaya tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة