الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {وَانْشَقَّ الْقَمَرُ وَإِنْ يَرَوْا آيَةً يُعْرِضُوا}:
Bab: Ayat «wan-shaqqal qamaru wa in yaraw aayatan yu’ridu» ki tafseer.
Hadith Number: 4867
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا يونس بن محمد، حدثنا شيبان، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، قال:" سال اهل مكة ان يريهم آية، فاراهم انشقاق القمر".
Hum se Abdullah bin Muhammad ne byaan kiya, kaha hum se Yunus bin Muhammad ne byaan kiya, kaha hum se Shayban ne byaan kiya, un se Qatadah ne aur un se Anas razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Makkah walon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se mujiza dikhane ko kaha to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein chaand ke phat jaane ka mujiza dikhaya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4868
Hum se Musaddad ne byaan kiya, kaha hum se Yahya ne byaan kiya, in se Shubah ne, un se Qatadah ne aur un se Anas razi Allahu anhu ne byaan kiya ke chaand do tukron mein phat gaya tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {تَجْرِي بِأَعْيُنِنَا جَزَاءً لِمَنْ كَانَ كُفِرَ* وَلَقَدْ تَرَكْنَاهَا آيَةً فَهَلْ مِنْ مُدَّكِرٍ}:
Bab: Ayat «tajri bi-a’yunina jaza’an liman kaana kufira * wa laqad taraknaha aayatan fahal min muddakir» ki tafseer.
Hadith Number: Q4869
قال قتادة: ابقى الله سفينة نوح حتى ادركها اوائل هذه الامة.
Qatadah ne kaha ke Allah Ta'ala ne Nuh alaihissalam ki kashti ko baqi rakkha aur is ummat ke baaz pehle buzurgon ne usay Joodi pahar par dekh liya.
Hadith Number: 4869
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، عن الاسود، عن عبد الله، قال:" كان النبي صلى الله عليه وسلم يقرا: فهل من مدكر سورة القمر آية 15".
Hum se Hafs bin Umar ne byaan kiya, kaha hum se Shubah ne byaan kiya, un se Abu Ishaq ne, un se Aswad ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam «fahal min muddakirin» parha karte thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَلَقَدْ يَسَّرْنَا الْقُرْآنَ لِلذِّكْرِ فَهَلْ مِنْ مُدَّكِرٍ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur hum ne aasaan kar diya hai Quran ko nasihat haasil karne ke liye, so hai koi nasihat haasil karne wala?”.
Hadith Number: Q4870
قال مجاهد: يسرنا هونا قراءته.
Mujahid ne kaha ke «yassarna» ke maani yeh ke hum ne is ki qirat (aur is ki fahm) aasan kar di.
Hadith Number: 4870
حدثنا مسدد، عن يحيى، عن شعبة، عن ابي إسحاق، عن الاسود، عن عبد الله رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم: انه كان يقرا: فهل من مدكر سورة القمر آية 17".
Hum se Musaddad ne byaan kiya, un se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya, un se Shubah ne, un se Abu Ishaq ne, un se Aswad ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam «fahal min muddakirin» (so hai koi nasihat haasil karne wala?) parha karte thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {أَعْجَازُ نَخْلٍ مُنْقَعِرٍ فَكَيْفَ كَانَ عَذَابِي وَنُذُرِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“(Woh halaak shuda kaafir) goya ukhri hui khajooron ke tane the so dekho mera azab aur mera darana kaisa raha”.
Hadith Number: 4871
حدثنا ابو نعيم، حدثنا زهير، عن ابي إسحاق، انه سمع رجلا سال الاسود فهل من مدكر، او مذكر، فقال:" سمعت عبد الله يقرؤها فهل من مدكر سورة القمر آية 22، قال: وسمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقرؤها: فهل من مدكر سورة القمر آية 22 دالا".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya, kaha hum se Zuhayr ne byaan kiya, un se Abu Ishaq ne unhon ne ek shakhs ko Aswad se poochte suna ke Surah al-Qamar mein aayat «fahal min muddakirin» hai ya «fahal min muzhzhakirin» ? Unhon ne kaha ke main ne Ibn Masood razi Allahu anhu se suna woh «fahal min muddakirin» parhte thay. Unhon ne kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko bhi «fahal min muddakirin» parhte suna hai (daal e muhmalla se).
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {فَكَانُوا كَهَشِيمِ الْمُحْتَظِرِ وَلَقَدْ يَسَّرْنَا الْقُرْآنَ لِلذِّكْرِ فَهَلْ مِنْ مُدَّكِرٍ}:
Bab: Ayat ki tafseer“So woh (Thamood) aise ho gaye jaise kaanton ki baar jo chikna-choor ho gayi ho aur hum ne Quran ko aasaan kar diya hai, kya koi hai Quran Majeed se nasihat haasil karne wala? jo Quran Majeed se nasihat haasil kare”.
Hadith Number: 4872
حدثنا عبدان، اخبرنا ابي، عن شعبة، عن ابي إسحاق، عن الاسود، عن عبد الله رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم قرا فهل من مدكر سورة القمر آية 32".
Hum se Abdan ne byaan kiya, kaha hum ko hamare walid Usman ne khabar di, unhein Shubah ne, unhein Abi Ishaq ne, unhein Aswad ne aur unhein Ibn Masood razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne «fahal min muddakirin» al-aayat (daal e muhmalla se).
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَلَقَدْ صَبَّحَهُمْ بُكْرَةً عَذَابٌ مُسْتَقِرٌّ فَذُوقُوا عَذَابِي وَنُذُرِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur subh-sawere hi un par azab-e-daa’imi aa pahuncha aur un se kaha gaya ke pas mere azab aur darane ka maza chako”.
Hadith Number: 4873
حدثنا محمد، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، عن الاسود، عن عبد الله، عن النبي صلى الله عليه وسلم، انه قرا:فهل من مدكر سورة القمر آية 40".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya, kaha hum se Ghundar ne byaan kiya, kaha hum se Shubah ne byaan kiya, un se Abu Ishaq ne, un se Aswad ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne «fahal min muddakirin» (daal e muhmalla se) parha tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَلَقَدْ أَهْلَكْنَا أَشْيَاعَكُمْ فَهَلْ مِنْ مُدَّكِرٍ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur hum tumhare jaise logon ko halaak kar chuke hain so hai koi nasihat haasil karne wala?”.
Hadith Number: 4874
حدثنا يحيى، حدثنا وكيع، عن إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن الاسود بن يزيد، عن عبد الله، قال: قرات على النبي صلى الله عليه وسلم 0 فهل من مذكر 0، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" فهل من مدكر سورة القمر آية 51".
Hum se Yahya bin Musa ne byaan kiya, kaha hum ko Waki ne byaan kiya, un se Israeel ne, un se Abu Ishaq ne, un se Aswad bin Yazid ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne «fahal min muzhzhakirin» parha to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke «fahal min muddakirin» (yani daal e muhmalla se parho).
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة