الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {إِذَا جَاءَكَ الْمُؤْمِنَاتُ يُبَايِعْنَكَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“(Ay Rasool!) jab imaan wali auraten Aap ke paas aayen taake woh Aap se bay’at karen”.
Hadith Number: 4894
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال الزهري: حدثناه، قال: حدثني ابو إدريس، سمع عبادة بن الصامت رضي الله عنه، قال: كنا عند النبي صلى الله عليه وسلم فقال:" اتبايعوني على ان لا تشركوا بالله شيئا، ولا تزنوا، ولا تسرقوا، وقرا آية النساء واكثر لفظ سفيان قرا الآية، فمن وفى منكم فاجره على الله، ومن اصاب من ذلك شيئا فعوقب فهو كفارة له، ومن اصاب منها شيئا من ذلك، فستره الله، فهو إلى الله إن شاء عذبه، وإن شاء غفر له". تابعه عبد الرزاق، عن معمر، في الآية.
Hum se Ali bin Abdullah ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya, kaha ke hum se Zuhri ne byaan kiya, kaha ke mujh se Abu Idrees ne byaan kiya aur unhon ne Ubadah bin Samit razi Allahu anhu se suna, unhon ne byaan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir thay. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kya tum mujh se is baat par bai'at karo ge ke Allah Ta'ala ke saath kisi ko shareek na thehrao ge aur na zina karo ge aur na chori karo ge.“ Aap salla Allahu alaihi wasallam ne Surah an-Nisa ki aayatein parhien. Sufyan ne is hadees mein aksar yun kaha ke Aap ne yeh aayat parhi. Phir tum mein se jo shakhs is shart ko poora kare ga to is ka ajr Allah par hai aur jo koi in mein se kisi shart ki khilaf-warzi kar baitha aur is par usay saza bhi mil gayi to saza is ke liye kaffara ban jaye gi lekin kisi ne apne kisi ahad ke khilaf kiya aur Allah ne usay chhupa liya to woh Allah ke hawale hai Allah chahe to usay is par azab de aur agar chahe maaf kar de, Sufyan ke saath is hadees ko Abdur Razzaq ne bhi Mamar se riwayat kiya unhon ne Zuhri se aur yun hi kaha aayat parhi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4895
حدثنا محمد بن عبد الرحيم، حدثنا هارون بن معروف، حدثنا عبد الله بن وهب، قال: واخبرني ابن جريج، ان الحسن بن مسلم اخبره، عن طاوس، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" شهدت الصلاة يوم الفطر مع رسول الله صلى الله عليه وسلم وابي بكر و عمر و عثمان، فكلهم يصليها قبل الخطبة، ثم يخطب بعد، فنزل نبي الله صلى الله عليه وسلم، فكاني انظر إليه حين يجلس الرجال بيده، ثم اقبل يشقهم حتى اتى النساء مع بلال، فقال: يايها النبي إذا جاءك المؤمنات يبايعنك على ان لا يشركن بالله شيئا ولا يسرقن ولا يزنين ولا يقتلن اولادهن ولا ياتين ببهتان يفترينه بين ايديهن وارجلهن سورة الممتحنة آية 12 حتى فرغ من الآية كلها، ثم قال حين فرغ انتن على ذلك، فقالت امراة واحدة لم يجبه غيرها: نعم يا رسول الله، لا يدري الحسن من هي، قال: فتصدقن وبسط بلال ثوبه، فجعلن يلقين الفتخ والخواتيم في ثوب بلال".
Hum se Muhammad bin Abdur Raheem ne byaan kiya, kaha hum se Haroon bin Maroof ne byaan kiya, kaha hum se Abdullah bin Wahb ne byaan kiya ke mujhe Ibn Jurayj ne khabar di, unhein Hasan bin Muslim ne khabar di, unhein Taoos ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam aur Abu Bakr aur Umar aur Usman razi Allahu anhum ke saath Eid al-Fitr ki namaz parhi hai. In tamam buzurgon ne namaz khutba se pehle parhi thi aur khutba baad mein diya tha (ek martaba khutba se farigh hone ke baad) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam utray goya ab bhi main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko dekh raha hoon, jab Aap logon ko apne hath ke ishare se bitha rahe thay phir Aap saff cheerte huay aage barhay aur auraton ke paas tashreef laye. Bilal razi Allahu anhu Aap ke saath thay phir Aap ne yeh aayat tilawat ki «ya ayyuhan-nabiyyu izha jaa-akal mu'minatu yubayianaka ala alla yushrikna billahi shay-an wa la yasriqna wa la yazneena wa la yaqtulna auladahunna wa la ya'teena bi-buhtaanin yaftareenahu bayna aydeehinna wa arjulihinna» yani ”Ae Nabi! Jab momin auratein Aap ke paas aayein ke Aap se in baaton par bai'at karein ke Allah ke saath na kisi ko shareek karein gi aur na chori karein gi aur na bad-kaari karein gi aur na apne bachon ko qatl karein gi aur na bohtan lagayein gi jise apne hath aur paon ke darmiyan ghar lein“ Aap ne poori aayat aakhir tak parhi. Jab Aap salla Allahu alaihi wasallam aayat parh chuke to farmaya tum in sharait par qaim rehne ka waada karti ho? In mein se ek aurat ne jawab diya ji haan ya Rasool Allah! In ke siwa aur kisi aurat ne (sharam ki wajah se) koi baat nahi kahi. Hasan ko is aurat ka naam maloom nahi tha byaan kiya ke phir auraton ne sadqa dena shuru kiya aur Bilal razi Allahu anhu ne apna kapra phaila liya. Auratein Bilal razi Allahu anhu ke kapre mein chhalay aur angoothiyaan daalne lagein.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة {الصَّفِّ}:
Bab: Surah As-Saff ki tafseer.
Hadith Number: Q4896
وقال مجاهد: من انصاري إلى الله: من يتبعني إلى الله، وقال ابن عباس: مرصوص: ملصق بعضه ببعض، وقال يحيى: بالرصاص.
Mujahid ne kaha «man ansari ilallahi» ka maani yeh hai ke mere saath ho kar kaun Allah ki taraf jata hai aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «marsoosun» khoob mazbooti se mila hua, jura hua, auron ne kaha seesa mila kar jura hua.
بَابُ قَوْلُهُ تَعَالَى: {مِنْ بَعْدِي اسْمُهُ أَحْمَدُ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Eesa ne farmaya ke mere baad ek Rasool aaye ga jis ka naam Ahmad ho ga”.
Hadith Number: 4896
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني محمد بن جبير بن مطعم، عن ابيه رضي الله عنه، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يقول:" إن لي اسماء انا محمد، وانا احمد، وانا الماحي الذي يمحو الله بي الكفر، وانا الحاشر الذي يحشر الناس على قدمي، وانا العاقب".
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya, kaha hum ko Shuayb ne khabar di aur un se Zuhri ne byaan kiya kaha hum ko Muhammad bin Jubayr bin Mut'im ne khabar di aur un se un ke walid Jubayr bin Mut'im razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay ke mere kai naam hain. Main Muhammad hoon, main Ahmad hoon, main Maahi hoon ke jis ke zariye Allah Ta'ala kufr ko mita de ga aur main Haashir hoon ke Allah Ta'ala sab ko hashr mein mere baad jama kare ga aur main Aaqib hoon. Yani sab paighambaron ke baad duniya mein aane wala hoon.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة {الْجُمُعَةِ}:
Bab: Surah Al-Jumu’ah ki tafseer.
Hadith Number: Q4897-2
n
.
بَابُ قَوْلُهُ: {وَآخَرِينَ مِنْهُمْ لَمَّا يَلْحَقُوا بِهِمْ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur doosron ke liye bhi un mein se (Aap ko bheja) jo abhi un mein shaamil nahi hue hain”.
Hadith Number: Q4897
وقرا عمر فامضوا إلى ذكر الله.
Umar razi Allahu anhu ne «famdu ila zhikrillahi» parha hai yani Allah Ta'ala ki yaad ki taraf chalo.
Hadith Number: 4897
حدثني عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني سليمان بن بلال، عن ثور، عن ابي الغيث، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" كنا جلوسا عند النبي صلى الله عليه وسلم، فانزلت عليه سورة الجمعة وآخرين منهم لما يلحقوا بهم، قال: قلت: من هم يا رسول الله، فلم يراجعه حتى سال ثلاثا، وفينا سلمان الفارسي، وضع رسول الله صلى الله عليه وسلم يده على سلمان، ثم قال:" لو كان الإيمان عند الثريا لناله رجال او رجل من هؤلاء".
Mujh se Abdul Aziz bin Abdullah ne byaan kiya, kaha ke mujh se Sulayman bin Hilal ne byaan kiya, un se Sawr ne, un se Abu al-Ghais Salim ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke paas baithe huay thay ke Surah al-Jumu'ah ki yeh aayatein nazil huien «wa aakhareena minhum lamma yalhaqoo bihim» al-aayat aur doosron ke liye bhi jo abhi in mein shamil nahi huay hain. (Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam haadi aur mualim hain) byaan kiya main ne arz ki ya Rasool Allah! Yeh doosre kaun log hain? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne koi jawab nahi diya. Aakhir yahi sawal teen martaba kiya. Majlis mein Salman Farsi razi Allahu anhu bhi maujood thay Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne un par hath rakh kar farmaya agar iman Surayya par bhi ho ga tab bhi in logon (yani Faaris walon) mein se is tak pahunch jayein ge ya yun farmaya ke ek aadmi in logon mein se is tak pahunch jaye ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4898
حدثنا عبد الله بن عبد الوهاب، حدثنا عبد العزيز، اخبرني ثور، عن ابي الغيث، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم لناله رجال من هؤلاء.
Hum se Abdul Aziz bin Abdul Wahhab ne byaan kiya, kaha hum se Abdul Aziz ne byaan kiya, unhein Sawr ne aur un se Abu al-Ghais ne, unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne aur unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne ke un ki qaum ke kuch log usay pa lein ge.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَإِذَا رَأَوْا تِجَارَةً}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jab kabhi unhon ne amwaal-e-tijarat dekha”aakhir tak.
Hadith Number: 4899
حدثني حفص بن عمر، حدثنا خالد بن عبد الله، حدثنا حصين، عن سالم بن ابي الجعد، وعن ابي سفيان عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، قال:" اقبلت غير يوم الجمعة ونحن مع النبي صلى الله عليه وسلم، فثار الناس إلا اثني عشر رجلا، فانزل الله وإذا راوا تجارة او لهوا انفضوا إليها وتركوك قائما سورة الجمعة آية 11".
Mujh se حفص bin Umar ne byaan kiya, kaha hum se Khalid bin Abdullah ne byaan kiya, un se Husain ne byaan kiya, un se Salim bin Abi al-Jad ne aur Abu Sufyan ne Jabir bin Abdullah razi Allahu anhuma se, unhon ne byaan kiya ke Jumu'ah ke din saman e tijarat liye huay oont aaye hum is waqt Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath thay unhein dekh kar siwaye barah aadmi ke sab log idhar hi daur pare. Is par Allah Tabarak o Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «wa izha ra'au tijaaratan au lahwan-infad-doo ilayha» al-aayat yani aur baaz logon ne jab kabhi ek saude ya tamashay ki cheez ko dekha to is ki taraf daurte huay phail gaye.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة {الْمُنَافِقِينَ}:
Bab: Surah Al-Munafiqeen ki tafseer.
Hadith Number: Q4900
n
.