الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {وَإِذْ أَسَرَّ النَّبِيُّ إِلَى بَعْضِ أَزْوَاجِهِ حَدِيثًا فَلَمَّا نَبَّأَتْ بِهِ وَأَظْهَرَهُ اللَّهُ عَلَيْهِ عَرَّفَ بَعْضَهُ وَأَعْرَضَ عَنْ بَعْضٍ فَلَمَّا نَبَّأَهَا بِهِ قَالَتْ مَنْ أَنْبَأَكَ هَذَا قَالَ نَبَّأَنِيَ الْعَلِيمُ الْخَبِيرُ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jab Nabi ne ek baat apni biwi se farma di phir jab Aap ki biwi ne woh baat kisi aur biwi ko bata di aur Allah ne Nabi ko us ki khabar di to Nabi ne us ka kuch hissa batla diya aur kuch se i’raaz farmaya, phir jab Nabi ne us biwi ko woh baat batla di to woh kehne lagi Aap ko kis ne is ki khabar di hai Aap ne farmaya ke mujhe ilm rakhne wale aur khabar rakhne wale Allah ne khabar di hai”.
Hadith Number: 4914
حدثنا علي، حدثنا سفيان، حدثنا يحيى بن سعيد، قال: سمعت عبيد بن حنين، قال: سمعت ابن عباس رضي الله عنهما، يقول: اردت ان اسال عمر بن الخطاب رضي الله عنه، فقلت: يا امير المؤمنين، من المراتان اللتان تظاهرتا على رسول الله صلى الله عليه وسلم، فما اتممت كلامي حتى، قال:" عائشة وحفصة".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya, kaha hum se Yahya bin Saeed Ansari ne byaan kiya, kaha main ne Ubayd bin Hunayn se suna, unhon ne byaan kiya ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna woh byaan karte thay ke main ne Umar razi Allahu anhu se ek baat poochne ka irada kiya aur arz kiya Ameer al-Momineen! Woh kaun do auratein thien jinon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke satane ke liye mansooba banaya tha? Abhi main ne apni baat poori bhi nahi ki thi ke unhon ne kaha woh Aisha aur Hafsa razi Allahu anhuma thien.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {إِنْ تَتُوبَا إِلَى اللَّهِ فَقَدْ صَغَتْ قُلُوبُكُمَا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay dono biwiyo! agar tum Allah ke saamne taubah kar lo gi to behtar hai tumhare dil us (ghalat baat ki) taraf jhuk gaye hain”.
Hadith Number: Q4915
صغوت واصغيت ملت لتصغى: لتميل، وإن تظاهرا عليه فإن الله هو مولاه وجبريل وصالح المؤمنين والملائكة بعد ذلك ظهير سورة التحريم آية 4، عون تظاهرون تعاونون، وقال مجاهد: قوا انفسكم واهليكم: اوصوا انفسكم واهليكم بتقوى الله وادبوهم.
Arab log kehte hain «saghautu» ay «saghatu» yani main jhuk para ( «latasgha») jo Surah al-Anaam mein hai jis ka maani jhuk jayein. «wa in tazhaahara alayhi fa-innallaha huwa maulaahu wa jibreelu wa saalihul mu'mineena wal mala'ikatu ba'ada zhaalika zhahcerun» yani ”agar Nabi (salla Allahu alaihi wasallam) ke muqabla mein tum roz naya hamla karti rahein to is ka madadgar to Allah hai aur Jibraeel hain aur naik Musalman hain aur in ke alawa farishte bhi madadgar hain.“ «zhahcerun» ka maani madadgar. «tazhaaharoona» ek ki ek madad karte ho. Mujahid ne kaha aayat «qoo anfusakum wa ahleekum» ka matlab yeh hai ke tum apne aap ko aur apne ghar walon ko Allah ka darr ikhtiyar karne ki nasihat karo aur unhein adab sikhao.“
Hadith Number: 4915
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا يحيى بن سعيد، قال: سمعت عبيد بن حنين، يقول: سمعت ابن عباس، يقول: كنت اريد ان اسال عمر عن المراتين اللتين تظاهرتا على رسول الله صلى الله عليه وسلم، فمكثت سنة، فلم اجد له موضعا حتى خرجت معه حاجا، فلما كنا بظهران ذهب عمر لحاجته، فقال: ادركني بالوضوء فادركته بالإداوة، فجعلت اسكب عليه الماء، ورايت موضعا، فقلت:" يا امير المؤمنين، من المراتان اللتان تظاهرتا، قال ابن عباس: فما اتممت كلامي حتى، قال:" عائشة وحفصة".
Hum se Abdullah bin Zubayr Humaydi ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya, kaha hum se Yahya bin Ansari ne byaan kiya, kaha ke main ne Ubayd bin Hunayn se suna, woh byaan karte thay ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna, unhon ne byaan kiya ke main ne Umar razi Allahu anhu se in auraton ke mutalliq sawal karna chaha jinon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke oopar zor kiya tha. Ek saal isi fikr mein raha aur mujhe koi mauqa nahi milta tha aakhir un ke saath Hajj ke liye nikla (wapsi mein) jab hum Maqam e Zhahran mein thay to Umar razi Allahu anhu rafa haajat ke liye gaye. Phir kaha ke mere liye wuzu ka pani lao, main ek bartan mein pani laya aur un ko wuzu karane laga is waqt mujh ko mauqa mila. Main ne arz kiya Ameer al-Momineen! Woh auratein kaun thien jinon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke muqabil aisa kiya thu? Abhi main ne apni baat poori na ki thu unhon ne kaha ke woh Aisha aur Hafsa razi Allahu anhuma thien.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {عَسَى رَبُّهُ إِنْ طَلَّقَكُنَّ أَنْ يُبَدِّلَهُ أَزْوَاجًا خَيْرًا مِنْكُنَّ مُسْلِمَاتٍ مُؤْمِنَاتٍ قَانِتَاتٍ تَائِبَاتٍ عَابِدَاتٍ سَائِحَاتٍ ثَيِّبَاتٍ وَأَبْكَارًا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur agar Nabi tumhein talaq de de to us ka Parwardigar tumhare badle unhein tum se behtar biwiyan de de ga, woh Islam lane waliyan, pukhta imaan waliyan, farmanbardari karne waliyan, taubah karne waliyan, ibadat karne waliyan, roza rakhne waliyan, raand bewah bhi hongi aur kunwariyan bhi hongi”.
Hadith Number: 4916
حدثنا عمرو بن عون، حدثنا هشيم، عن حميد، عن انس، قال: قال عمر رضي الله عنه:" اجتمع نساء النبي صلى الله عليه وسلم في الغيرة عليه، فقلت لهن: عسى ربه إن طلقكن ان يبدله ازواجا خيرا منكن، فنزلت هذه الآية".
Hum se Amr bin Aun ne byaan kiya, kaha hum se Hushaym ne byaan kiya, un se Humayd ne aur un se Anas razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Umar razi Allahu anhu ne kaha Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki azwaj Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko ghairat dilane ke liye jama ho gayin to main ne un se kaha agar Nabi salla Allahu alaihi wasallam talaq de dein to un ka Parvardigar tumhare badle mein unhein tum se behtar biwiyan de-de ga. Chunanche yeh aayat nazil hui «asa rabbuhu in tallaqakunna» aakhir tak.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة {الْمُلْكِ}:
Bab: Surah Al-Mulk ki tafseer.
Hadith Number: Q4917-2
التفاوت الاختلاف والتفاوت والتفوت واحد تميز تقطع: مناكبها، جوانبها: تدعون، وتدعون واحد مثل تذكرون وتذكرون، ويقبضن يضربن باجنحتهن، وقال مجاهد: صافات: بسط اجنحتهن ونفور الكفور.
«at-tafaawutu» ka maani ikhtilaf, farq «tafaawutun» aur «tafautun» donon ka ek maani hai. «tamayyazhu» tukre tukre ho jaye. «manaakibiha» is ke kinaron mein. «tad-da-oona» (daal ki tashdeed) aur «tad-oona» (daal ke jazm ke saath) donon ka ek hi maani hai jaise «tazh-zhakkaroona» aur «tazh-karoona» (zhal ke jazm ke saath) ka ek hi maani hai. «yaqbidhna» apne pankh maarte hain (ya samait lete hain). Mujahid ne kaha «saaffaatun» ke maani apne bazu kholay huay. «nufoorun» se kufr aur shararat murad hai.
سورة {ن الْقَلَمِ}:
Bab: Surah Noon ki tafseer.
Hadith Number: Q4917
وقال قتادة: حرد: جد في انفسهم، وقال ابن عباس: يتخافتون ينتجون السرار والكلام الخفي، وقال ابن عباس: لضالون: اضللنا مكان جنتنا، وقال غيره: كالصريم: كالصبح انصرم من الليل والليل انصرم من النهار وهو ايضا كل رملة انصرمت من معظم الرمل، والصريم ايضا المصروم مثل قتيل ومقتول.
Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «yatakhaafatoona» chupke chupke, kaana phuusi karte huay. Qatadah ne kaha «hardin» ke maani dil se koshish karna ya bakheeli ya ghussa. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «la-daalloona» ka matlab yeh hai ke hum apne bagh ki jagah bhool gaye, bhatak gaye aur aage barh gaye. Auron ne kaha «sareemun» ke maani subah jo raat se kat kar alag ho jati hai ya raat jo din se kat kar alag ho jati hai. «sareemun» is reti ko bhi kehte hain jo rait ke bare bare teelon se kat kar alag ho jaye. «sareemun» , «masroomun» ke maani mein hai jaise «qateelun» , «maqtoolun» ke ma'non mein hai.
بَابُ: {عُتُلٍّ بَعْدَ ذَلِكَ زَنِيمٍ}:
Bab: Ayat ki tafseer yani woh kaafir“sakht mizaj hai, us ke ilawa bad-zaat bhi hain”.
Hadith Number: 4917
حدثنا محمود، حدثنا عبيد الله بن موسى، عن إسرائيل، عن ابي حصين، عن مجاهد، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عتل بعد ذلك زنيم سورة القلم آية 13، قال رجل من قريش: له زنمة مثل زنمة الشاة.
Hum se Mahmood ne byaan kiya, kaha hum se Ubaydullah ne byaan kiya, un se Israeel ne, un se Abu Haseen ne, un se Mujahid ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne aayat «utullin ba'ada zhaalika zaneemin» yani ”woh zhaalim sakht mizaj hai is ke alawa harami bhi hai.“ Ke mutalliq farmaya ke yeh aayat Quraysh ke ek shakhs ke baare mein hui thi is ki gardan mein nishani thi jaise bakri mein nishani hoti hai ke baaz un mein ka koi uzv barha hua hota hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4918
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن معبد بن خالد، قال: سمعت حارثة بن وهب الخزاعي، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" الا اخبركم باهل الجنة؟ كل ضعيف متضعف لو اقسم على الله لابره، الا اخبركم باهل النار؟ كل عتل جواظ مستكبر".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan ne Abd bin Khalid se byaan kiya, kaha ke main ne Harisa bin Wahb Khuzai razi Allahu anhu se suna, unhon ne byaan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay ke main tumhein bahisht-i aadmi ke mutalliq na bata doon. Woh dekhne mein kamzor natawan hota hai (lekin Allah ke yahan is ka martaba yeh hai ke) agar kisi baat par Allah ki qasam kha le to Allah usay zaroor poori kar deta hai aur kya main tumhein dozakh walon ke mutalliq na bata doon har bad-kho, bhaari jism wala aur takabbur karne wala.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {يَوْمَ يُكْشَفُ عَنْ سَاقٍ}:
Bab: Ayat ki tafseer“yani woh din yaad karo jab pindli kholi jayegi”.
Hadith Number: 4919
حدثنا آدم، حدثنا الليث، عن خالد بن يزيد، عن سعيد بن ابي هلال، عن زيد بن اسلم، عن عطاء بن يسار، عن ابي سعيد رضي الله عنه، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" يكشف ربنا عن ساقه، فيسجد له كل مؤمن ومؤمنة، فيبقى كل من كان يسجد في الدنيا رياء وسمعة، فيذهب ليسجد، فيعود ظهره طبقا واحدا".
Hum se Adam ne byaan kiya, kaha hum se Layth ne byaan kiya, in se Khalid bin Yazid ne, un se Saeed bin Abi Hilal ne, un se Zayd bin Aslam ne, un se Ata bin Yasar aur un se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna, Aap salla Allahu alaihi wasallam farma rahe thay ke hamara Rabb Qayamat ke din apni pindli khole ga is waqt har momin mard aur har momina aurat is ke liye sajda mein gir parrein ge. Sirf woh baqi reh jayein ge jo duniya mein dikhawe aur namwari ke liye sajda karte thay. Jab woh sajda karna chahein ge to un ki peeth takhta ho jaye gi aur woh sajda ke liye na murr sakein ge.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة {الْحَاقَّةِ}:
Bab: Surah Al-Haqqah ki tafseer.
Hadith Number: Q4920-3
قال ابن جبير: عيشة راضية: يريد فيها الرضا، القاضية: الموتة الاولى التي متها لم احي بعدها، من احد عنه حاجزين: احد يكون للجمع وللواحد، وقال ابن عباس: الوتين: نياط القلب، قال ابن عباس: طغى: كثر، ويقال: بالطاغية: بطغيانهم، ويقال: طغت على الخزان كما طغى الماء على قوم نوح.
«eishatun raadiyatun mardiyyatun» , «mardiyyatun» ke maani mein hai yani pasandida aish. «al-qaadiyatu» pehli maut yani kaash pehli maut jo aayi thi is ke baad main mara hi rehta phir zinda na hota. «min ahadin anhu haajizeena ahadun» ka itlaq mufrad aur jama donon par aata hai. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «wateenun» se murad jaan ki ragg jis ke katne se aadmi mar jata hai. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «taghal ma'u» yani pani bahut charh gaya. «bit-taaghiyati» apni shararat ki wajah se baazon ne kaha «taaghiya» se aandhi murad hai is ne itna zor kiya ke farishton ke ikhtiyar se bahar ho gayi jaise pani ne Nuh alaihissalam ki qaum par zor kiya tha.