الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
سورة {الطَّلاَقِ}:
Bab: Surah At-Talaq ki tafseer.
Hadith Number: Q4908
وقال مجاهد: {وبال امرها} جزاء امرها.
Mujahid ne kaha ke «wabala amriha» ay «jazaa'a amriha» yani is ke gunah ka wabal jo saza ki shakal mein hai usay bhugatna ho ga, woh murad hai.
بَابٌ:
Bab: …
Hadith Number: 4908
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني سالم، ان عبد الله بن عمر رضي الله عنهما اخبره، انه طلق امراته وهي حائض، فذكر عمر لرسول الله صلى الله عليه وسلم، فتغيظ فيه رسول الله صلى الله عليه وسلم ثم قال:" ليراجعها، ثم يمسكها حتى تطهر، ثم تحيض فتطهر، فإن بدا له ان يطلقها، فليطلقها طاهرا قبل ان يمسها، فتلك العدة كما امر الله عز وجل".
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya, kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya, kaha ke mujh se Aqeel ne byaan kiya, un se Ibn Shihab ne byaan kiya, kaha mujh ko Salim ne khabar di aur unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne khabar di ke unhon ne apni biwi Aaminah bint Ghaffar ko jabke woh haiza thien talaq de di. Umar razi Allahu anhu ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se is ka zikr kiya. Aap is par bahut ghussa huay aur farmaya ke woh un se (apni biwi se) ruju kar lein aur apne nikah mein rakhein yahan tak ke woh mahwari se paak ho jaye phir mahwari aaye aur phir woh is se paak ho, ab agar woh talaq dena munasib samjhein to is ki paaki (tuhr) ke zamana mein un ke saath hum-bistari se pehle talaq de sakte hain bas yahi woh waqt hai jis mein Allah Ta'ala ne (mardon ko) hukm kiya hai ke is mein yani halat e tuhr mein talaq dein.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَأُولاَتُ الأَحْمَالِ أَجَلُهُنَّ أَنْ يَضَعْنَ حَمْلَهُنَّ وَمَنْ يَتَّقِ اللَّهَ يَجْعَلْ لَهُ مِنْ أَمْرِهِ يُسْرًا}:
Bab: Ayat ki tafseer“So hamil waliyon ki iddat un ke bache ka paida ho jana hai aur jo koi Allah se dare Allah us ke kaam mein aasani paida kar de ga”.
Hadith Number: Q4909
واولات الاحمال واحدها ذات حمل.
Aur «ulaatul ahmaali» se murad «zhaatu hamlin» hai jis ke maani hamal wali aurat hai.
Hadith Number: 4909
حدثنا سعد بن حفص، حدثنا شيبان، عن يحيى، قال: اخبرني ابو سلمة، قال: جاء رجل إلى ابن عباس، وابو هريرة جالس عنده، فقال: افتني في امراة ولدت بعد زوجها باربعين ليلة، فقال ابن عباس: آخر الاجلين، قلت: انا واولات الاحمال اجلهن ان يضعن حملهن سورة الطلاق آية 4، قال ابو هريرة: انا مع ابن اخي يعني ابا سلمة، فارسل ابن عباس غلامه كريبا إلى ام سلمة يسالها، فقالت: قتل زوج سبيعة الاسلمية وهي حبلى، فوضعت بعد موته باربعين ليلة، فخطبت، فانكحها رسول الله صلى الله عليه وسلم، وكان ابو السنابل فيمن خطبها،
Hum se Saad bin Hafs ne byaan kiya, kaha hum se Shayban ne byaan kiya, un se Yahya ne byaan kiya, kaha mujhe Abu Salamah bin Abdur Rahman ne khabar di, unhon ne byaan kiya ke ek shakhs Ibn Abbas razi Allahu anhuma ke paas aaya Abu Hurairah razi Allahu anhu bhi un ke paas baithe huay thay. Aane wale ne poocha ke Aap mujhe is aurat ke mutalliq masla bataiye jis ne apne shohar ki wafat ke char mahine baad bacha jana? Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke jis ka khawand faut ho woh iddat ki do muddaton mein jo muddat lambi ho is ki riayat kare. (Abu Salamah ne byaan kiya ke) main ne arz kiya ke (Quran Majeed mein to un ki iddat ka yeh hukm hai) hamal waliyon ki iddat un ke hamal ka paida ho jaana hai. Abu Hurairah razi Allahu anhu ne kaha ke main bhi is masle mein apne bhatije ke saath hoon. Un ki murad Abu Salamah bin Abdur Rahman se thi aakhir Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne apne ghulam Kurayb ko Umm al-Momineen Umm Salamah razi Allahu anha ki khidmat mein bheja yahi masla poochne ke liye. Umm al-Momineen ne bataya ke Subay'ah Aslamiyyah ke shohar (Saad bin Khawlah razi Allahu anhuma) shaheed kar diye gaye thay woh is waqt hamila thien shohar ki maut ke chalis din baad un ke yahan bacha paida hua phir un ke paas nikah ka paigham pahuncha aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne un ka nikah kar diya. Abu al-Sanabil bhi un ke paas paigham e nikah bhejne walon mein se thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4910
وقال:سليمان بن حرب، وابو النعمان، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن محمد، قال: كنت في حلقة فيها عبد الرحمن بن ابي ليلى، وكان اصحابه يعظمونه، فذكروا له، فذكر آخر الاجلين، فحدثت بحديث سبيعة بنت الحارث، عن عبد الله بن عتبة، قال: فضمز لي بعض اصحابه، قال محمد: ففطنت له، فقلت: إني إذا لجريء إن كذبت على عبد الله بن عتبة وهو في ناحية الكوفة فاستحيا، وقال: لكن عمه لم يقل ذاك، فلقيت ابا عطية مالك بن عامر، فسالته، فذهب يحدثني حديث سبيعة، فقلت: هل سمعت عن عبد الله فيها شيئا؟ فقال: كنا عند عبد الله، فقال: اتجعلون عليها التغليظ ولا تجعلون عليها الرخصة لنزلت سورة النساء القصرى بعد الطولى واولات الاحمال اجلهن ان يضعن حملهن سورة الطلاق آية 4.
Aur Sulayman bin Harb aur al-Nu'man ne byaan kiya, ke hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya, un se Ayub ne aur un se Muhammad bin Sireen ne byaan kiya ke main ek majlis mein jis mein Abdur Rahman bin Abi Layla bhi thay maujood tha. Un ke shagird un ki bahut izzat kiya karte thay. Main ne wahan Subay'ah bint al-Harith ka Abdullah bin Utbah bin Masood se byaan kiya ke is par un ke shagird ne zaban aur aankhon ke ishare se hont kaat kar mujhe tanbeeh ki. Muhammad bin Sireen ne byaan kiya ke main samajh gaya aur kaha ke Abdullah bin Utbah Kufa mein abhi zinda maujood hain. Agar main un ki taraf bhi jhoot nisbat karta hoon to bari jurat ki baat ho gi mujhe tanbeeh karne wale sahab is par sharminda ho gaye aur Abdur Rahman bin Abi Layla ne kaha lekin un ke chacha to yeh baat nahi karte thay. (Ibn Sireen ne byaan kiya ke) phir main Abu Atiyyah Malik bin Aamir se mila aur in se yeh masla poocha woh bhi Subay'ah wali hadees byaan karne lage lekin main ne un se kaha Aap ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se bhi is silsile mein kuch suna hai? Unhon ne byaan kiya ke hum Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ki khidmat mein hazir thay to unhon ne kaha kya tum is par (jis ke shohar ka intiqal ho gaya aur woh hamila ho. Iddat ki muddat ko ttool de kar) sakhti karna chahte ho aur rukhsat o sahoolat dene ke liye tayyar nahi, baat yeh hai ke chhoti Surah Nisa yani (Surah at-Talaq) bari Surah an-Nisa ke baad nazil hui hai aur kaha «wa ulaatul ahmaali ajalu-hunna an yada'na hamla-hunna» al-aayat aur hamal waliyon ki iddat un ke hamal ka paida ho jaana hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة {التَّحْرِيمِ}:
Bab: Surah At-Tahreem ki tafseer.
Hadith Number: Q4911
n
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ لِمَ تُحَرِّمُ مَا أَحَلَّ اللَّهُ لَكَ تَبْتَغِي مَرْضَاةَ أَزْوَاجِكَ وَاللَّهُ غَفُورٌ رَحِيمٌ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay Nabi! jis cheez ko Allah ne Aap ke liye halal kiya hai use Aap apne liye kyun haram qaraar de rahe hain, mahaz apni biwiyon ki khushi haasil karne ke liye halaanke ye Aap ke liye ziba nahi hai aur Allah bara bakhshne wala bari hi rehmat karne wala hai”.
Hadith Number: 4911
حدثنا معاذ بن فضالة، حدثنا هشام، عن يحيى، عن ابن حكيم هو يعلى بن حكيم الثقفي، عن سعيد بن جبير، ان ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" في الحرام يكفر، وقال ابن عباس: 0 لقد كان لكم في رسول الله إسوة حسنة 0".
Hum se Maaz bin Fadala ne byaan kiya, kaha hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya, un se Yahya bin Saeed Qattan ne, un se Ibn Hakeem ne, un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas ne kaha ke agar kisi ne apne oopar koi halal cheez haram kar li to is ka kaffara dena ho ga. Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «laqad kaana lakum fee rasoolillahi uswatun hasanatun» yani ”beshak tumhare liye tumhare Rasool Allah ki zindagi mein behtareen namuna hai.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4912
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا هشام بن يوسف، عن ابن جريج، عن عطاء، عن عبيد بن عمير، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يشرب عسلا عند زينب بنت جحش، ويمكث عندها، فواطيت انا وحفصة على ايتنا دخل عليها، فلتقل له: اكلت مغافير إني اجد منك ريح مغافير؟ قال:" لا، ولكني كنت اشرب عسلا عند زينب بنت جحش، فلن اعود له، وقد حلفت لا تخبري بذلك احدا".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya, kaha hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di, unhein Ibn Jurayj ne, unhein Ata ne, unhein Ubayd bin Umayr aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Zaynub bint Jahsh razi Allahu anha ke ghar mein shehad peete aur wahan theharte thay phir main ne aur Hafsa razi Allahu anha ne aise kiya ke hum mein se jis ke paas bhi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam (Zaynub ke yahan se shehad pee kar aane ke baad) dakhil hon to woh kahe ke kya Aap ne pyaaz khayi hai. Aap ke munh se maghafeer ki boo aati hai. Chunanche jab Aap salla Allahu alaihi wasallam tashreef laye to mansooba-bandi ke tahet yahi kaha gaya. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bad-boo ko bahut napasand farmate thay. Is liye Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main ne maghafeer nahi khayi hai albatta Zaynub bint Jahsh ke yahan se shehad piya tha lekin ab usay bhi hargiz nahi piyoon ga. Main ne is ki qasam kha li hai lekin tum kisi se is ka zikr na karna.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {تَبْتَغِي مَرْضَاةَ أَزْوَاجِكَ}، {قَدْ فَرَضَ اللَّهُ لَكُمْ تَحِلَّةَ أَيْمَانِكُمْ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay Nabi! Aap apni biwiyon ki khushi haasil karna chahte hain Allah ne tumhare liye qasmon ka kaffara muqarrar kar diya hai”.
Hadith Number: 4913
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا سليمان بن بلال، عن يحيى، عن عبيد بن حنين، انه سمع ابن عباس رضي الله عنهما يحدث، انه قال:" مكثت سنة اريد ان اسال عمر بن الخطاب عن آية فما استطيع ان اساله هيبة له، حتى خرج حاجا، فخرجت معه، فلما رجعنا وكنا ببعض الطريق عدل إلى الاراك لحاجة له، قال: فوقفت له حتى فرغ، ثم سرت معه، فقلت: يا امير المؤمنين، من اللتان تظاهرتا على النبي صلى الله عليه وسلم من ازواجه؟ فقال: تلك حفصة، وعائشة، قال: فقلت: والله إن كنت لاريد ان اسالك عن هذا منذ سنة فما استطيع هيبة لك، قال: فلا تفعل ما ظننت ان عندي من علم فاسالني، فإن كان لي علم خبرتك به، قال: ثم قال عمر: والله إن كنا في الجاهلية ما نعد للنساء امرا حتى انزل الله فيهن ما انزل، وقسم لهن ما قسم، قال: فبينا انا في امر اتامره إذ قالت امراتي لو صنعت كذا وكذا، قال: فقلت لها: ما لك ولما ها هنا وفيم تكلفك في امر اريده، فقالت لي: عجبا لك يا ابن الخطاب ما تريد ان تراجع انت وإن ابنتك لتراجع رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى يظل يومه غضبان، فقام عمر، فاخذ رداءه مكانه حتى دخل على حفصة، فقال لها: يا بنية إنك لتراجعين رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى يظل يومه غضبان، فقالت حفصة: والله إنا لنراجعه، فقلت: تعلمين اني احذرك عقوبة الله وغضب رسوله صلى الله عليه وسلم يا بنية لا يغرنك هذه التي اعجبها حسنها حب رسول الله صلى الله عليه وسلم إياها، يريد عائشة، قال: ثم خرجت حتى دخلت على ام سلمة لقرابتي منها فكلمتها، فقالت ام سلمة: عجبا لك يا ابن الخطاب دخلت في كل شيء حتى تبتغي ان تدخل بين رسول الله صلى الله عليه وسلم وازواجه، فاخذتني والله اخذا كسرتني عن بعض ما كنت اجد، فخرجت من عندها وكان لي صاحب من الانصار إذا غبت اتاني بالخبر، وإذا غاب كنت انا آتيه بالخبر، ونحن نتخوف ملكا من ملوك غسان ذكر لنا انه يريد ان يسير إلينا، فقد امتلات صدورنا منه فإذا صاحبي الانصاري يدق الباب، فقال: افتح افتح، فقلت: جاء الغساني، فقال: بل اشد من ذلك اعتزل رسول الله صلى الله عليه وسلم ازواجه، فقلت: رغم انف حفصة وعائشة، فاخذت ثوبي، فاخرج حتى جئت فإذا رسول الله صلى الله عليه وسلم في مشربة له يرقى عليها بعجلة وغلام لرسول الله صلى الله عليه وسلم اسود على راس الدرجة، فقلت له: قل هذا عمر بن الخطاب، فاذن لي، قال عمر: فقصصت على رسول الله صلى الله عليه وسلم هذا الحديث فلما بلغت حديث ام سلمة تبسم رسول الله صلى الله عليه وسلم، وإنه لعلى حصير ما بينه وبينه شيء، وتحت راسه وسادة من ادم حشوها ليف، وإن عند رجليه قرظا مصبوبا وعند راسه اهب معلقة، فرايت اثر الحصير في جنبه، فبكيت، فقال:" ما يبكيك؟" فقلت: يا رسول الله، إن كسرى وقيصر فيما هما فيه، وانت رسول الله، فقال:" اما ترضى ان تكون لهم الدنيا ولنا الآخرة".
Hum se Abdul Aziz bin Abdullah ne byaan kiya, kaha hum se Sulayman bin Bilal ne byaan kiya, un se Yahya ne, un se Ubayd bin Hunayn ne ke unhon ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma ko hadees byaan karte huay suna, unhon ne kaha ek aayat ke mutalliq Umar bin Khattab razi Allahu anhu se poochne ke liye ek saal tak main taraddud mein raha, un ka itna darr ghalib tha ke main un se na pooch saka. Aakhir woh Hajj ke liye gaye to main bhi un ke saath ho liya, wapsi mein jab hum rasta mein thay to rafa haajat ke liye woh peelu ke darakht mein gaye. Byaan kiya ke main un ke intizar mein khara raha jab woh farigh ho kar aaye to phir main un ke saath chala is waqt main ne arz kiya. Ameer al-Momineen! Ummahat al-Momineen mein woh kaun do auratein thien jinon ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke liye muttafiqa mansooba banaya tha? Unhon ne batlaya ke Hafsa aur Aisha razi Allahu anhuma thien. Byaan kiya ke main ne arz kiya Allah ki qasam main yeh sawal Aap se karne ke liye ek saal se irada kar raha thu lekin Aap ke raub ki wajah se poochne ki himmat nahi hoti thi. Umar razi Allahu anhu ne kaha aisa na kiya karo jis masle ke mutalliq tumhara khayal ho ke mere paas is silsile mein koi ilm hai to usay pooch liya karo, agar mere paas is ka koi ilm ho ga to tumhein bata diya karoon ga. Byaan kiya ke Umar razi Allahu anhu ne kaha: Allah ki qasam! Jahiliyat mein hamari nazar mein auraton ki koi izzat na thi. Yahan tak ke Allah Ta'ala ne un ke baare mein woh ahkam nazil kiye jo nazil karne thay aur un ke huqooq muqarrar kiye jo muqarrar karne thay. Batlaya ke ek din main soch raha thu ke meri biwi ne mujh se kaha ke behtar hai agar tum is muamla ka falan falan tarah karo, main ne kaha tumhara is mein kya kaam. Muamla mujh se mutalliq hai tum is mein dakhal dene wali kaun hoti ho? Meri biwi ne is par kaha: Khattab ke bete! Tumhare is tarz e amal par hairat hai tum apni baaton ka jawab bardasht nahi kar sakte tumhari larki (Hafsa) to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko bhi jawab de deti hain ek din to is ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko ghussa bhi kar diya thu. Yeh sun kar Umar razi Allahu anhu kharay ho gaye aur apni chadar orh kar Hafsa ke ghar pahunche aur farmaya beti! Kya tum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki baaton ka jawab de deti ho yahan tak ke ek din tum ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko din bhar naraz bhi rakkha hai. Hafsa razi Allahu anha ne arz kiya: ji haan, Allah ki qasam! Hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko kabhi jawab de dete hain. Umar razi Allahu anhu ne kaha ke main ne kaha jaan lo main tumhein Allah ki saza aur is ke Rasool ki saza (narazgi) se drata hoon. Beti! Is aurat ki wajah se dhoka mein na aa jana jis ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki mohabbat haasil kar li hai. Un ka isharah Aisha razi Allahu anha ki taraf tha kaha ke phir main wahan se nikal kar Umm al-Momineen Umm Salamah razi Allahu anha ke paas aaya kyunke woh bhi meri rishta-dar thien. Main ne un se bhi guftagu ki unhon ne kaha Ibn Khattab! Tajub hai ke Aap har muamla mein dakhal-andazi karte hain aur Aap chahte hain ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam aur un ki azwaj ke muamlat mein bhi dakhal dein. Allah ki qasam! Unhon ne meri aaisi girift ki ke mere ghussa ko thanda kar ke rakh diya, main un ke ghar se bahar nikal aaya. Mere ek Ansari dost thay, jab main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki majlis mein hazir na hota to woh majlis ki tamam baatein mujh se aa kar bataya karte aur jab woh hazir na hote to main unhein aa kar bataya karta tha. Is zamana mein hamain Ghassan ke baadshah ki taraf se darr tha ittila mili thi ke woh Madinah par charhayi karne ka irada kar raha hai, is zamana mein kai Esaayi aur Irani baadshah aisa ghalat ghamand rakhte thay ke yeh Musalman kya hain hum jab chahein ge in ka safaya kar dein ge magar yeh saare khayalaat ghalat sabit huay Allah ne Islam ko ghalib kiya. Chunanche hamain ko har waqt yahi khatra rehta tha, ek din achanaak mere Ansari dost ne darwaza khatt-khattaya aur kaha kholo! Kholo! Kholo! Main ne kaha maloom hota hai Ghassani aa gaye. Unhon ne kaha balkay is se bhi zyada ahem muamla pesh aa gaya hai, woh yeh ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne apni biwiyon se alaihdagi ikhtiyar kar li hai. Main ne kaha Hafsa aur Aisha razi Allahu anhuma ki naak ghubar-aalood ho. Chunanche main ne apna kapra pehna aur bahar nikal aaya. Main jab pahuncha to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apne balakhana mein tashreef rakhte thay jis par seerhi se charha jata tha. Nabi Karim ka ek Habshi ghulam (Rabah) seerhi ke sirray par maujood tha, main ne kaha: Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se arz karo ke Umar bin Khattab aaya hai aur andar aane ki ijazat chahta hai. Main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein pahunch kar apna saara waqia sunaya. Jab main Umm Salamah razi Allahu anhuma ki guftagu par pahuncha to Aap ko hansi aa gayi. Is waqt Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam khajoor ki ek chatayi par tashreef rakhte thay Aap salla Allahu alaihi wasallam ke jism mubarak aur is chatayi ke darmiyan koi aur cheez nahi thi Aap ke sar ke neeche ek chamre ka takiya tha. Jis mein khajoor ki chhaal bhari hui thi. Paon ki taraf keekar ke patton ka dhair tha aur sar ki taraf mushkeeza latak raha tha. Main ne chatayi ke nishanat Aap ke pehlu par dekhe to ro para. Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya, kis baat par rone lage ho main ne arz ki ya Rasool Allah! Qaisar o Kisra ko duniya ka har tarah ka aaram mil raha hai Aap Allah ke Rasool hain (Aap phir aaisi tang zindagi guzarte hain) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya kya tum is par khush nahi ho ke in ke hisse mein duniya hai aur hamare hisse mein aakhirat hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَإِذْ أَسَرَّ النَّبِيُّ إِلَى بَعْضِ أَزْوَاجِهِ حَدِيثًا فَلَمَّا نَبَّأَتْ بِهِ وَأَظْهَرَهُ اللَّهُ عَلَيْهِ عَرَّفَ بَعْضَهُ وَأَعْرَضَ عَنْ بَعْضٍ فَلَمَّا نَبَّأَهَا بِهِ قَالَتْ مَنْ أَنْبَأَكَ هَذَا قَالَ نَبَّأَنِيَ الْعَلِيمُ الْخَبِيرُ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jab Nabi ne ek baat apni biwi se farma di phir jab Aap ki biwi ne woh baat kisi aur biwi ko bata di aur Allah ne Nabi ko us ki khabar di to Nabi ne us ka kuch hissa batla diya aur kuch se i’raaz farmaya, phir jab Nabi ne us biwi ko woh baat batla di to woh kehne lagi Aap ko kis ne is ki khabar di hai Aap ne farmaya ke mujhe ilm rakhne wale aur khabar rakhne wale Allah ne khabar di hai”.
Hadith Number: Q4914
فيه عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is baab mein Aisha razi Allahu anha ki bhi ek hadees Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se marwi hai.