الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: 4936
حدثنا احمد بن المقدام حدثنا الفضيل بن سليمان حدثنا ابو حازم حدثنا سهل بن سعد رضي الله عنه قال رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم قال بإصبعيه هكذا بالوسطى والتي تلي الإبهام: «بعثت والساعة كهاتين» .
Hum se Ahmad bin Miqdam ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Fudayl bin Sulayman ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Abu Hazim ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko dekha kaha Aap apni beech ki ungli aur angoothe ke qareeb wali ungli ke isharay se farma rahe thay ke main aise waqt mein maboos hua hoon ke mere aur Qayamat ke darmiyan sirf in do ke barabar fasla hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة {عَبَسَ}:
Bab: Surah Abasa ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4937
عبس وتولى: كلح واعرض، وقال غيره: مطهرة: لا يمسها إلا المطهرون وهم الملائكة وهذا مثل قوله: فالمدبرات امرا: جعل الملائكة والصحف مطهرة لان الصحف يقع عليها التطهير، فجعل التطهير لمن حملها ايضا سفرة: الملائكة واحدهم سافر سفرت اصلحت بينهم وجعلت الملائكة إذا نزلت بوحي الله وتاديته كالسفير الذي يصلح بين القوم، وقال غيره: تصدى: تغافل عنه، وقال مجاهد: لما يقض لا يقضي احد ما امر به، وقال ابن عباس: ترهقها: تغشاها شدة، مسفرة: مشرقة، بايدي سفرة، وقال ابن عباس: كتبة اسفارا: كتبا، تلهى: تشاغل يقال واحد الاسفار سفر.
«abasa» munh banaya . «tawalla» munh pher liya . Auron ne kaha «mutahhara-tun» doosri jagah farmaya «la yamassu-hu illal mutahharoona» un ko wahi hath lagate hain jo paak hain yani farishte to mahmool ki sifat haamil ki kar di jaise «fal-mudabbiraati amran» , «fal-mudabbiraati» se murad sawar hain (jo mahmool hain) «majazan» un ke haamil-on yani ghoron ko «mudabbiraat» keh diya . «was-suhufu mutahhara-tun» yahan asal mein «tatheer» kitabon ki sifat hai un ke uthane walon yani farishton ko bhi «mutahhar» farmaya . «safaratu-n» farishte yeh «saafir» ki jama hai Arab log kehte hain «safartu baynal qaumi» yani us ne qaum ke logon mein sulah kara di , jo farishte Allah ki wahi le kar paighambaron ko pahunchate hain un ko bhi «safeer» qarar diya jo logon mein milap karata hai . Baazon ne kaha «safaratu-n» ke maani likhne wale auron ne kaha «tasadda» ke maani ghafil ho jana hai . Mujahid ne kaha «lamma yaqdi ma amrahu» ka maani yeh hai ke aadmi ko jis baat ka hukm diya gaya tha woh us ne poora poora ada nahi kiya aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «tarhaqu-ha qatara-tun» ka maani yeh hai ke is par sakhti baras rahi ho gi . «musfira-tun» chamakte huay . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «safaratu-n» ke maani likhne wale Surah al-Jumu'ah mein lafz «asfaaran» isi se hai yani kitabein . «talahha» ghafil hota hai kehte hain «al-asfaaru» jo kitabon ke maani mein hai . «sifr-un» ba-kasr seen ki jama hai .


Show diacritics
Hadith Number: 4937
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا قتادة، قال: سمعت زرارة بن اوفى، يحدث عن سعد بن هشام، عن عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" مثل الذي يقرا القرآن وهو حافظ له مع السفرة الكرام البررة، ومثل الذي يقرا القرآن وهو يتعاهده وهو عليه شديد فله اجران".
Hum se Adam ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum se Qatadah ne byaan kiya , kaha ke main ne Zurarah bin Aufa se suna , woh Saad bin Hisham se byaan karte thay aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is shakhs ki misal jo Quran parhta hai aur woh is ka hafiz bhi hai , mukarram aur naik likhne wale (farishton) jaisi hai aur jo shakhs Quran Majeed baar baar parhta hai . Phir bhi woh is ke liye dushwar hai to usay dugna sawab mile ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة {إِذَا الشَّمْسُ كُوِّرَتْ}:
Bab: Surah Iza ash-Shamsu Kuwwirat ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4938-3
انكدرت: انتثرت، وقال الحسن: سجرت: ذهب ماؤها فلا يبقى قطرة، وقال مجاهد: المسجور المملوء، وقال غيره: سجرت افضى بعضها إلى بعض، فصارت بحرا واحدا والخنس تخنس في مجراها ترجع وتكنس تستتر كما تكنس الظباء، تنفس: ارتفع النهار والظنين المتهم والضنين يضن به، وقال عمر: النفوس زوجت: يزوج نظيره من اهل الجنة والنار، ثم قرا: احشروا الذين ظلموا وازواجهم، عسعس: ادبر.
Imam Hasan Basri ne kaha «sujjirat» ka maani yeh hai ke samundar sookh jayein ge , un mein pani ka ek qatra bhi baqi na rahe ga . Mujahid ne kaha «masjoor» ka maani (jo Surah at-Toor mein hai) bhara ho auron ne kaha «sujjirat» ka maani yeh hai ke samundar phoot kar ek doosre se mil kar ek samundar ban jayein ge . «khunnas» chalne ke maqam mein , phir laut kar aane wale . «kun-nas» , «taknisu» se nikla hai yani haran ki tarah chhup chhup jate hain . «tanaffasa» din charh jaye . «zhaneenun» (zhaa mu-ajma se yeh bhi ek qirat hai) yani tohmat lagata hai aur «dhaneenun» is ka maani yeh hai ke woh Allah ka paigham pahunchane mein bakheel nahi hai aur Umar razi Allahu anhu ne kaha «an-nufoosu zuwwijat» yani har aadmi ka jorr laga diya jaye ga khwah jannati ho ya dozakhi phir yeh aayat parhi «uhshurul-lazhina zhalamoo wa azwaajahum» , «as-asa» jab raat peeth pher le ya jab raat ka andhera aa pare .


سورة {إِذَا السَّمَاءُ انْفَطَرَتْ}:
Bab: Surah Iza as-Samaa’un Fatarat ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4938-2
وقال الربيع بن خثيم: فجرت: فاضت وقرا الاعمش وعاصم، فعدلك: بالتخفيف وقراه اهل الحجاز بالتشديد واراد معتدل الخلق ومن خفف يعني في اي صورة شاء إما حسن، وإما قبيح او طويل او قصير.
Rabia bin Khusaym ne kaha «fujjirat» ke maani beh niklein aur Aamash aur Aasim ne «fa-adalaka» ko takhfeef ke saath parha hai . Hijaz walon ne «fa-ad-dalaka» tashdeed daal ke saath parha hai . Jab tashdeed ke saath ho to maani yeh ho ga ke bari khalqat munasib aur muatadil rakkhi aur takhfeef ke saath parho to maani yeh ho ga jis surat mein chaha tujhe bana diya khubsoort ya bad-surat lamba ya thagna chhotay qad wala .


سورة {وَيْلٌ لِلْمُطَفِّفِينَ}:
Bab: Surah Waylun lil-Mutaffifeen ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4938
وقال مجاهد: بل ران: ثبت الخطايا، ثوب: جوزي، وقال غيره: المطفف لا يوفي غيره.
Aur Mujahid ne kaha ke «bal raana» ka maani yeh hai ke gunah un ke dil par jamm gaya . «suwwiba» badla diye gaye . Auron ne kaha «mutaffif» woh hai jo poora maap toul na de (dagha-baazi kare) .


Show diacritics
Hadith Number: 4938
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا معن، قال: حدثني مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، ان النبي صلى الله عليه وسلم قال:" يوم يقوم الناس لرب العالمين سورة المطففين آية 6، حتى يغيب احدهم في رشحه إلى انصاف اذنيه".
Hum se Ibrahim bin al-Munzhir ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Maan ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Malik ne byaan kiya , un se Nafi aur un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jis din log donon jahan ke paalne wale ke samne hisab dene ke liye kharay hon ge to kaanon ki lau tak paseene mein doob jayein ge .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة {إِذَا السَّمَاءُ انْشَقَّتْ}:
Bab: Surah Iza as-Samaa’un Shaqqat ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4939
قال مجاهد: كتابه بشماله: ياخذ كتابه من وراء ظهره، وسق: جمع من دابة، ظن ان لن يحور: لا يرجع إلينا.
Mujahid ne kaha ke «kitaabahu bi-shimaalihi» ka matlab yeh hai ke woh apna naama e aamal apni peeth peeche se le ga . «wa ma wasaqa» janwar waghaira jin jin cheezon par raat aati hai . «an lan yahoora» yeh ke nahi laute ga . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke «yoo'oona» se murad hai woh chhupate hain .


بَابٌ:
Bab: …
Show diacritics
Hadith Number: 4939
حدثنا عمرو بن علي، حدثنا يحيى، عن عثمان بن الاسود، قال: سمعت ابن ابي مليكة، سمعت عائشة رضي الله عنها، قالت: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Amr bin Ali ne byaan kiya , kaha hum se Yahya ne byaan kiya , un se Usman bin Aswad ne byaan kiya , unhon ne Ibn Abi Mulaykah se suna aur unhon ne Aisha razi Allahu anha se suna , unhon ne byaan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4939M
ح وحدثنا سليمان بن حرب، حدثنا حماد بن زيد، عن ايوب، عن ابن ابي مليكة، عن عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Sulayman bin Harb ne byaan kiya , kaha hum se Hammad bin Zayd ne byaan kiya , un se Ayub ne , un se Ibn Abi Mulaykah ne aur un se Aisha razi Allahu anha unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة