الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {وَالنَّهَارِ إِذَا تَجَلَّى}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur qasam hai din ki jab woh roshan ho jaye”.
Hadith Number: 4943
حدثنا قبيصة بن عقبة، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن إبراهيم، عن علقمة، قال: دخلت في نفر من اصحاب عبد الله الشام، فسمع بنا ابو الدرداء، فاتانا، فقال: افيكم من يقرا؟ فقلنا: نعم، قال: فايكم اقرا؟ فاشاروا إلي، فقال: اقرا، فقرات والليل إذا يغشى {1} والنهار إذا تجلى {2} سورة الليل آية 1-2 والذكر والانثى، قال: انت سمعتها من في صاحبك؟ قلت: نعم، قال: وانا سمعتها من في النبي صلى الله عليه وسلم وهؤلاء يابون علينا".
Hum se Qubaysah bin Utbah ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Ibrahim Nakhai ne aur un se Alqamah bin Qays ne byaan kiya ke Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ke shagirdon ke saath main mulk e Sham pahuncha hamare mutalliq Abu Dardaa razi Allahu anhu ne suna to hum se milne khud tashreef laye aur daryaft farmaya tum mein koi Quran Majeed ka qaari bhi hai ? Hum se kaha ji haan hai . Daryaft farmaya ke sab se achha qaari kaun hai ? Logon ne meri taraf isharah kiya . Aap ne farmaya ke phir koi aayat tilawat karo . Main ne «wal-layli izha yaghsha * wan-nahaari izha tajalla * wazh-zhakari wal unsa» ki tilawat ki . Abu Dardaa razi Allahu anhu ne poocha kya tum ne khud yeh aayat apne ustad Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ki zabani isi tarah suni hai ? Main ne kaha ji haan . Unhon ne is par kaha ke main ne bhi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zabani yeh aayat isi tarah suni hai , lekin yeh Sham wale hamain par inkar karte hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَمَا خَلَقَ الذَّكَرَ وَالأُنْثَى}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur qasam hai us ki jis ne nar aur maadah ko paida kiya”.
Hadith Number: 4944
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، عن إبراهيم، قال: قدم اصحاب عبد الله على ابي الدرداء، فطلبهم، فوجدهم، فقال: ايكم يقرا على قراءة عبد الله؟ قال: كلنا، قال: فايكم احفظ؟ فاشاروا إلى علقمة، قال: كيف سمعته يقرا والليل إذا يغشى سورة الليل آية 1؟ قال علقمة: 0 والذكر والانثى 0، قال: اشهد اني سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقرا هكذا، وهؤلاء يريدوني على ان اقرا وما خلق الذكر والانثى سورة الليل آية 3 والله لا اتابعهم".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne byaan kiya , kaha mujh se mere walid ne byaan kiya , kaha hum se Aamash ne , un se Ibrahim Nakhai ne byaan kiya ke Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ke kuch shagird Abu Dardaa razi Allahu anhu ke yahan (Sham) aaye unhon ne unhein talash kiya aur pa liya . Phir in se poocha ke tum mein kaun Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ki qirat ke mutabiq qirat kar sakta hai ? Shagirdon ne kaha ke hum sab kar sakte hain . Phir poocha kise in ki qirat zyada mahfooz hai ? Sab ne Alqamah ki taraf isharah kiya . Unhon ne daryaft kiya unhein Surah «wal-layli izha yaghsha» ki qirat karte kis tarah suna hai ? Alqamah ne kaha ke «wazh-zhakari wal unsa» (baghair khalqa ke) kaha ke main gawahi deta hoon ke main ne bhi Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko isi tarah qirat karte huay suna hai . Lekin yeh log (yani Sham wale) chahte hain ke «wa ma khalaqazh-zhakara wal unsa» parhoon . Allah ki qasam main un ki pairwi nahi karoon ga .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلُهُ: {فَأَمَّا مَنْ أَعْطَى وَاتَّقَى}:
Bab: Ayat ki tafseer“So jis ne diya aur Allah se dara aur us ne achhi baaton ki tasdeeq ki”.
Hadith Number: 4945
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن سعد بن عبيدة، عن ابي عبد الرحمن السلمي، عن علي رضي الله عنه، قال: كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم في بقيع الغرقد في جنازة، فقال:" ما منكم من احد إلا وقد كتب مقعده من الجنة، ومقعده من النار"، فقالوا: يا رسول الله، افلا نتكل؟ فقال:" اعملوا فكل ميسر، ثم قرا فاما من اعطى واتقى وصدق بالحسنى إلى قوله للعسرى سورة الليل آية 5 - 10.
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Saad bin Ubaydah ne , un se Abu Abdur Rahman Salmi ne aur un se Ali razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath Baqee-ul-Gharqad (Madinah Munawwarah ke qabristan) mein ek janaza mein thay . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is mauqa par farmaya ke tum mein koi aisa nahi jis ka thikana jannat ya jahannum mein likha na ja chuka ho . Sahabah ne arz kiya: ya Rasool Allah! Phir kyun na hum apni taqdeer par bharosa kar lein . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke amal karte raho ke har shakhs ko isi amal ki taufiq milti rehti hai (jis ke liye woh paida kiya gaya hai) phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne aayat «fa-amma man aata wattaqa * wa saddaqa bil-husna» aakhir tak parhi . Yani hum is ke liye naik kaam aasan kar dein ge .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَصَدَّقَ بِالْحُسْنَى}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur us ne nek baaton ki tasdeeq ki”.
Hadith Number: 4945M
حدثنا مسدد، حدثنا عبد الواحد، حدثنا الاعمش، عن سعد بن عبيدة، عن ابي عبد الرحمن، عن علي رضي الله عنه، قال: كنا قعودا عند النبي صلى الله عليه وسلم، فذكر الحديث نحوه.
Hum se Musaddad ne byaan kiya , kaha hum se Abdul Wahid bin Ziyad ne byaan kiya , kaha hum se Aamash ne byaan kiya , un se Saad bin Ubaydah ne , un se Abu Abdur Rahman ne aur un se Ali razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas baithe huay thay . Phir rawi ne yahi hadees byaan ki (jo peeche guzri) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {فَسَنُيَسِّرُهُ لِلْيُسْرَى}:
Bab: Ayat ki tafseer“So hum us ke liye nek kaamon ko amal mein lana aasaan kar den ge”.
Hadith Number: 4946
حدثنا بشر بن خالد، اخبرنا محمد بن جعفر، حدثنا شعبة، عن سليمان، عن سعد بن عبيدة، عن ابي عبد الرحمن السلمي، عن علي رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم: انه كان في جنازة، فاخذ عودا ينكت في الارض، فقال:" ما منكم من احد إلا وقد كتب مقعده من النار، او من الجنة"، قالوا: يا رسول الله، افلا نتكل؟ قال:" اعملوا فكل ميسر فاما من اعطى واتقى {5} وصدق بالحسنى {6} سورة الليل آية 5-6 الآية، قال شعبة: وحدثني به منصور، فلم انكره من حديث سليمان.
Hum se Bishr bin Khalid ne byaan kiya , kaha hum ko Muhammad bin Jafar ne khabar di , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Sulayman Aamash ne , un se Saad bin Ubaydah ne , un se Abu Abdur Rahman Salmi ne aur un se Ali razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek janaza mein thay , Aap ne ek lakri uthayi aur is se zameen kureedte huay farmaya ke tum mein koi shakhs aisa nahi jis ka jannat ya dozakh ka thikana likha na ja chuka ho . Sahabah ne arz kiya: ya Rasool Allah! Kya phir hum isi par bharosa na kar lein ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke amal karte raho ke har shakhs ko taufiq di gayi hai (unhi aamal ki jin ke liye woh paida kiya gaya hai) «fa-amma man aata wattaqa * wa saddaqa bil-husna» ”so jis ne diya aur Allah se dara aur achhi baat ko sacha samjha“ aakhir aayat tak . Shubah ne byaan kiya ke mujh se yeh hadees Mansoor bin Mutamir ne bhi byaan ki aur unhon ne bhi Sulayman Aamash se isi ke muwafiq byaan ki , is mein koi khilaf nahi kiya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَأَمَّا مَنْ بَخِلَ وَاسْتَغْنَى}:
Bab: Ayat «wa amma man bakhila wa istaghna» ki tafseer.
Hadith Number: 4947
حدثنا يحيى، حدثنا وكيع، عن الاعمش، عن سعد بن عبيدة، عن ابي عبد الرحمن، عن علي عليه السلام، قال: كنا جلوسا عند النبي صلى الله عليه وسلم فقال:" ما منكم من احد إلا وقد كتب مقعده من الجنة، ومقعده من النار"، فقلنا: يا رسول الله، افلا نتكل؟ قال:" لا، اعملوا فكل ميسر، ثم قرا فاما من اعطى واتقى وصدق بالحسنى فسنيسره لليسرى إلى قوله فسنيسره للعسرى سورة الليل آية 5 - 10".
Hum se Yahya bin Musa Balkhi ne byaan kiya , kaha hum se Waki ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Saad bin Ubaydah ne , un se Abu Abdur Rahman Salmi ne aur un se Ali razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas baithe huay thay . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke hum mein koi aisa nahi jis ka jahannum ka thikana aur jannat ka thikana likha na ja chuka ho . Hum ne arz kiya: ya Rasool Allah! Phir hum isi par bharosa kyun na kar lein ? Farmaya nahi amal karte raho kyunke har shakhs ko aasani di gayi hai aur is ke baad Aap ne is aayat ki tilawat ki «fa-amma man aata wattaqa * wa saddaqa bil-husna * fasanu-yassiru-hu lil-yusra» yani ”so jis ne diya aur Allah se dara aur achhi baat ko sacha samjha is ke liye rahat ki cheez aasan kar dein ge .“ Ta «fasanu-yassiru-hu lil-usra» .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَكَذَّبَ بِالْحُسْنَى}:
Bab: Ayat «wa kazzaba bil-husna» ki tafseer.
Hadith Number: 4948
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، عن سعد بن عبيدة، عن ابي عبد الرحمن السلمي، عن علي رضي الله عنه، قال: كنا في جنازة في بقيع الغرقد، فاتانا رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقعد وقعدنا حوله ومعه مخصرة، فنكس، فجعل ينكت بمخصرته، ثم قال:" ما منكم من احد وما من نفس منفوسة، إلا كتب مكانها من الجنة والنار، وإلا قد كتبت شقية او سعيدة"، قال رجل: يا رسول الله، افلا نتكل على كتابنا وندع العمل، فمن كان منا من اهل السعادة فسيصير إلى عمل اهل السعادة، ومن كان منا من اهل الشقاء فسيصير إلى عمل اهل الشقاوة، قال:" اما اهل السعادة فييسرون لعمل اهل السعادة، واما اهل الشقاوة فييسرون لعمل اهل الشقاء، ثم قرا فاما من اعطى واتقى {5} وصدق بالحسنى {6} سورة الليل آية 5-6 الآية".
Hum se Usman bin Abi Shaybah ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Jareer bin Abdul Hameed ne byaan kiya , un se Mansoor ne , un se Saad bin Ubaydah ne byaan kiya , un se Abu Abdur Rahman Salmi ne byaan kiya , aur un se Ali razi Allahu anhu ne byaan kiya ke hum Baqee-ul-Gharqad mein ek janaza ke saath thay . Phir Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam bhi tashreef laye . Aap baith gaye aur hum bhi Aap ke charon taraf baith gaye . Aap ke hath mein chhari thi . Aap ne sar jhuka liya phir chhari se zameen ko kureedne lage . Phir farmaya ke tum mein koi shakhs aisa nahi , koi paida hone wali jaan aaisi nahi jis ka jannat aur jahannum ka thikana likha na ja chuka ho . Yeh likha ja chuka hai ke kaun naik hai aur kaun bura hai . Ek sahab ne arz kiya: ya Rasool Allah! Phir kya haraj hai agar hum apni isi taqdeer par bharosa kar lein aur naik amal karna chhor dein jo hum mein naik ho ga , woh naikiyon ke saath ja mile ga aur jo bura ho ga is se buron ke se aamal ho jayein ge . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jo log naik hote hain unhein naikiyon hi ke amal ki taufiq haasil hoti hai aur jo bure hote hain unhein buron hi jaise amal karne ki taufiq hoti hai . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne is aayat ki tilawat ki «fa-amma man aata wattaqa * wa saddaqa bil-husna» yani ”so jis ne diya aur Allah se dara aur achhi baat ko sacha samjha so hum is ke liye naik kaamon ko aasan kar dein ge .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {فَسَنُيَسِّرُهُ لِلْعُسْرَى}:
Bab: Ayat ki tafseer“So hum us ke liye sakht burai ke kaamon ko amal mein lana aasaan kar den ge”.
Hadith Number: 4949
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، عن الاعمش، قال: سمعت سعد بن عبيدة، يحدث عن ابي عبد الرحمن السلمي، عن علي رضي الله عنه، قال: كان النبي صلى الله عليه وسلم في جنازة، فاخذ شيئا فجعل ينكت به الارض، فقال:" ما منكم من احد إلا وقد كتب مقعده من النار، ومقعده من الجنة"، قالوا: يا رسول الله، افلا نتكل على كتابنا وندع العمل؟ قال:" اعملوا فكل ميسر لما خلق له، اما من كان من اهل السعادة، فييسر لعمل اهل السعادة، واما من كان من اهل الشقاء فييسر لعمل اهل الشقاوة، ثم قرا فاما من اعطى واتقى {5} وصدق بالحسنى {6} سورة الليل آية 5-6 الآية".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Aamash ne byaan kiya , kaha ke main ne Saad bin Ubaydah se suna , un se Abu Abdur Rahman Salmi byaan karte thay ke Ali razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek janaze mein tashreef rakhte thay . Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne ek cheez li aur is se zameen kureedne lage aur farmaya , tum mein koi aisa shakhs nahi jis ka jahannum ka thikana ya jannat ka thikana likha na ja chuka ho . Sahabah ne arz kiya ke ya Rasool Allah! To phir hum kyun apni taqdeer par bharosa na kar lein aur naik amal karna chhor dein . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke naik amal karo , har shakhs ko in aamal ki taufiq di jati hai jin ke liye woh paida kiya gaya hai jo shakhs naik ho ga usay naikiyon ke amal ki taufiq mili hoti hai aur jo bad-bakht hota hai usay bad-bakhton ke amal ki taufiq milti hai phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne aayat «fa-amma man aata wattaqa * wa saddaqa bil-husna» aakhir tak parhi yani ”so jis ne diya aur Allah se dara aur achhi baat ko sacha samjha , so hum is ke liye naik amalon ko aasan kar dein ge .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة {وَالضُّحَى}:
Bab: Surah Ad-Duha ki tafseer.
Hadith Number: Q4950
وقال مجاهد: إذا سجى: استوى، وقال غيره: سجى: اظلم وسكن، عائلا: ذو عيال.
Mujahid ne kaha «izha saja» jab barabar ho jaye . Auron ne kaha jab andheri ho jaye ya tham jaye . «aa'ilan» baal bachay wala , muhtaj .
بَابٌ:
Bab: …
Hadith Number: 4950
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا زهير، حدثنا الاسود بن قيس، قال: سمعت جندب بن سفيان رضي الله عنه، قال:" اشتكى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فلم يقم ليلتين او ثلاثا، فجاءت امراة، فقالت: يا محمد، إني لارجو ان يكون شيطانك قد تركك لم اره قربك منذ ليلتين او ثلاثة، فانزل الله عز وجل: والضحى {1} والليل إذا سجى {2} ما ودعك ربك وما قلى {3} سورة الضحى آية 1-3، قوله: ما ودعك ربك وما قلى سورة الضحى آية 3:
Hum se Ahmad bin Yunus ne byaan kiya , kaha hum se Zuhayr ne byaan kiya , un se Aswad bin Qays ne byaan kiya ke main ne Jundub bin Sufyan razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam beemar par gaye aur do ya teen raaton ko (tahajjud ke liye) nahi uth sake . Phir ek aurat (Abu Lahab ki aurat Awra) aayi aur kehne lagi . Ae Muhammad! Mera khayal hai ke tumhare Shaytan ne tumhein chhor diya hai . Do ya teen raaton se dekh rahi hoon ke tumhare paas woh nahi aaya . Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «wad-duha * wal-layli izha saja * ma wad-da'aka rabbuka wa ma qala» aakhir tak yani ”qasam hai din ki roshni ki aur raat ki jab woh qarar pakre ke Aap ke Parvardigar ne na Aap ko chhora hai aur na Aap se bezar hua hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة