الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
سورة {إِنَّا أَعْطَيْنَاكَ الْكَوْثَرِ}:
Bab: Surah Inna a’ataynaakal Kawthar ki tafseer.
Hadith Number: 4964
حدثنا آدم، حدثنا شيبان، حدثنا قتادة، عن انس رضي الله عنه، قال: لما عرج بالنبي صلى الله عليه وسلم إلى السماء، قال:"اتيت على نهر حافتاه قباب اللؤلؤ مجوفا، فقلت: ما هذا يا جبريل؟" قال:" هذا الكوثر".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha hum se Shayban bin Abdur Rahman ne byaan kiya , un se Qatadah ne byaan kiya , un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke jab Nabi salla Allahu alaihi wasallam ko Meraj hui Nabi salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main ek nahar par pahuncha jis ke donon kinaron par kholdar motiyon ke deray lage huay thay . Main ne poocha Ae Jibraeel! Yeh nahar kaisi hai ? Unhon ne bataya ke yeh Hauz e Kausar hai (jo Allah ne Aap ko diya hai) .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4965
حدثنا خالد بن يزيد الكاهلي، حدثنا إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن ابي عبيدة، عن عائشة رضي الله عنها، قال:" سالتها عن قوله تعالى إنا اعطيناك الكوثر سورة الكوثر آية 1، قالت:" نهر اعطيه نبيكم صلى الله عليه وسلم شاطئاه عليه در مجوف آنيته كعدد النجوم".رواه زكرياء، وابو الاحوص، ومطرف، عن ابي إسحاق.
Hum se Khalid bin Yazid Kaahli ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Israeel ne byaan kiya , un se Abu Ishaq ne byaan kiya , un se Abu Ubaidah ne ke main ne Aisha razi Allahu anha se Allah Ta'ala ke irshad «inna aataynaakal kausara» yani ”hum ne Aap ko Kausar ata kiya hai“ ke mutalliq poocha to unhon ne batlaya ke yeh (Kausar) ek nahar hai jo tumhare Nabi salla Allahu alaihi wasallam ko bakhshi gayi hai , is ke do kinare hain jin par kholdar motiyon ke deray hain . Is ke aab-khore sitaron ki tarah in-ginat hain . Is hadees ki riwayat Zakariya aur Abu al-Ahwas aur Mutarrif ne Abu Ishaq se ki hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4966
حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا هشيم، حدثنا ابو بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، انه قال:" في الكوثر هو الخير الذي اعطاه الله إياه، قال ابو بشر: قلت لسعيد بن جبير: فإن الناس يزعمون انه نهر في الجنة، فقال سعيد: النهر الذي في الجنة من الخير الذي اعطاه الله إياه".
Hum se Yaqoob bin Ibrahim ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Hushaym ne byaan kiya , un se Abu al-Bishr ne byaan kiya , un se Saeed bin Jubayr ne byaan kiya aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne Kausar ke mutalliq ke woh khair e kaseer hai jo Allah Ta'ala ne Nabi salla Allahu alaihi wasallam ko di hai . Abu al-Bishr ne byaan kiya ke main ne Saeed bin Jubayr se arz ki , logon ka khayal hai ke is se jannat ki ek nahar murad hai ? Saeed ne kaha ke jannat ki nahar bhi is khair e kaseer mein se ek hai jo Allah Ta'ala ne Nabi salla Allahu alaihi wasallam ko di hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة {قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ}:
Bab: Surah Qul ya ayyuhal kafiroon ki tafseer.
Hadith Number: Q4967-2
يقال: لكم دينكم: الكفر ولي دين الإسلام، ولم يقل ديني لان الآيات بالنون، فحذفت الياء كما قال يهدين ويشفين، وقال غيره: لا اعبد ما تعبدون: الآن ولا اجيبكم فيما بقي من عمري، ولا انتم عابدون ما اعبد: وهم الذين، قال: وليزيدن كثيرا منهم ما انزل إليك من ربك طغيانا وكفرا.
Kaha gaya hai ke «lakum deenukum» se murad kufr hai aur «waliya deeni» se murad Islam hai «deeni» nahi kaha kyunke aayat ka khatm noon par hua hai . Is liye yahan bhi yaa ko hazf kar diya , jaise bolte hain «yahdeeni wa yashfeeni» . Auron ne kaha ke ab na to main tumhare maboodon ki ibadat karoon ga yani jin maboodon ki tum is waqt ibadat karte ho aur na main tumhara yeh deen apni baqi zindagi mein qabool karoon ga aur na tum mere mabood ki ibadat karo ge . Is se murad kuffar hain jin ke mutalliq Allah Ta'ala ne irshad farmaya hai «wa layazeedanna kaseeram minhum ma unzhila ilayka mir rabbika tughyaanan wa kufran» al-aayat yani ”aur jo wahi Aap ke Rabb ki taraf se hai Aap par nazil ki jati hai . Un mein bahut se logon ko sarkashi aur kufr mein woh zyada kar deti hai .“
سورة {إِذَا جَاءَ نَصْرُ اللَّهِ}:
Bab: Surah Iza jaa’a nasrullahi wal fath ki tafseer.
Hadith Number: Q4967
n
.
بَابٌ:
Bab: …
Hadith Number: 4967
حدثنا الحسن بن الربيع، حدثنا ابو الاحوص، عن الاعمش، عن ابي الضحى، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" ما صلى النبي صلى الله عليه وسلم صلاة بعد ان نزلت عليه إذا جاء نصر الله والفتح سورة النصر آية 1 إلا يقول فيها:" سبحانك ربنا وبحمدك، اللهم اغفر لي".
Hum se Hasan bin Rabee ne byaan kiya , kaha hum se Abu al-Ahwas ne byaan kiya , un se Aamash ne , un se Abu al-Duha ne , un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke aayat «izha jaa'a nasrullahi wal fathu» yani ”jab Allah ki madad aur fatah aa pahunchi“ jab se nazil hui thi to Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne koi namaz aaisi nahi parhi jis mein Aap yeh dua na karte hon «subhaanaka rabbana wa bi-hamdika , allahummagh-firlee» yani ”paak hai teri zaat , Ae Allah! Ae hamare Rabb! Aur tere hi liye tareef hai . Ae Allah meri maghfirat farma de .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ:
Bab: …
Hadith Number: 4968
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا جرير، عن منصور، عن ابي الضحى، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يكثر ان يقول في ركوعه وسجوده:" سبحانك اللهم ربنا وبحمدك، اللهم اغفر لي يتاول القرآن".
Hum se Usman bin Abi Shaybah ne byaan kiya , kaha hum se Jareer ne byaan kiya , un se Mansoor ne , un se Abu al-Duha ne , un se Masrooq ne aur un se Aisha razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam (Surah al-Fatah nazil hone ke baad) apne ruku aur sajdon mein bakasrat yeh dua parhte thay «subhaanaka-llahumma rabbana wa bi-hamdika , allahummagh-firlee» yani ”paak hai teri zaat , Ae Allah! Ae hamare Rabb! Aur tere hi liye tareef hai , Ae Allah! Meri maghfirat farma de .“ Quran Majeed ke hukm e mazkoor par is tarah Aap amal karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَرَأَيْتَ النَّاسَ يَدْخُلُونَ فِي دِينِ اللَّهِ أَفْوَاجًا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur Aap Allah ke deen mein logon ko jauq dar jauq dakhal hote hue khud dekh rahe hain”.
Hadith Number: 4969
حدثنا عبد الله بن ابي شيبة، حدثنا عبد الرحمن، قال: حدثنا سفيان، عن حبيب بن ابي ثابت، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، ان عمر رضي الله عنه سالهم عن قوله تعالى: إذا جاء نصر الله والفتح سورة النصر آية 1، قالوا: فتح المدائن والقصور، قال: ما تقول يا ابن عباس؟ قال: اجل او مثل ضرب لمحمد صلى الله عليه وسلم نعيت له نفسه.
Hum se Abdullah bin Abi Shaybah ne byaan kiya , kaha hum se Abdur Rahman bin Mahdi ne byaan kiya , un se Sufyan Sawri ne , un se Habib bin Abi Sabit ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Umar razi Allahu anhu ne burhay Badri sahabah se Allah Ta'ala ke irshad «izha jaa'a nasrullahi wal fathu» yani ”jab Allah ki madad aur fatah aa pahunchi“ ke mutalliq poocha to unhon ne jawab diya ke is se isharah bahut se shehron aur mulkon ke fatah hone ki taraf hai . Umar razi Allahu anhu ne kaha: Ibn Abbas tumhara kya khayal hai ? Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne jawab diya ke is mein Aap ki wafat ki khabar ya ek misal hai goya Aap ki maut ki Aap ko khabar di gayi hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {فَسَبِّحْ بِحَمْدِ رَبِّكَ وَاسْتَغْفِرْهُ إِنَّهُ كَانَ تَوَّابًا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Ay Nabi! ab tum apne Rab ki hamd-o-thana bayan kiya karo aur us se bakhshish maango beshak woh bara taubah qabool karne wala hai”.
Hadith Number: Q4970
على العباد والتواب من الناس التائب من الذنب.
«tawwabun» ke maani bandon ki tauba qabool karne wala . Aadmiyon mein «tawwabun» usay kahein ge jo gunah se tauba kare .
Hadith Number: 4970
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، قال: كان عمر يدخلني مع اشياخ بدر، فكان بعضهم وجد في نفسه، فقال: لم تدخل هذا معنا ولنا ابناء مثله، فقال عمر: إنه من قد علمتم، فدعاه ذات يوم، فادخله معهم، فما رئيت انه دعاني يومئذ إلا ليريهم، قال: ما تقولون في قول الله تعالى إذا جاء نصر الله والفتح سورة النصر آية 1؟ فقال بعضهم: امرنا ان نحمد الله ونستغفره إذا نصرنا وفتح علينا، وسكت بعضهم فلم يقل شيئا، فقال لي: اكذاك تقول يا ابن عباس؟ فقلت: لا، قال: فما تقول، قلت: هو اجل رسول الله صلى الله عليه وسلم اعلمه له، قال: إذا جاء نصر الله والفتح وذلك علامة اجلك، فسبح بحمد ربك واستغفره إنه كان توابا، فقال عمر: ما اعلم منها إلا ما تقول".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Abu Awanah ne byaan kiya , un se Abu al-Bishr ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Umar bin Khattab razi Allahu anhu mujhe burhay Badri sahabah ke saath majlis mein bithate thay . Baaz (Abdur Rahman bin Auf) ko is par aitraz hua , unhon ne Umar razi Allahu anhu se kaha ke isay Aap majlis mein hamare saath bithate hain , is ke jaise to hamare bhi bache hain ? Umar razi Allahu anhu ne kaha ke is ki wajah tumhein maloom hai . Phir unhon ne ek din Ibn Abbas razi Allahu anhuma ko bulaya aur unhein burhay Badri sahabah ke saath bithaya (Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke) main samajh gaya ke Aap ne mujhe unhein dikhane ke liye bulaya hai , phir un se poocha Allah Ta'ala ke is irshad ke mutalliq tumhara kya khayal hai «izha jaa'a nasrullahi wal fathu» al-kh yani ”jab Allah ki madad aur fatah aa pahunchi“ baaz logon ne kaha ke jab hamain madad aur fatah haasil hui to Allah ki hamd aur us se istighfar ka hamain aayat mein hukm diya gaya hai . Kuch log khamosh rahe aur koi jawab nahi diya . Phir Aap ne mujh se poocha: Ibn Abbas! Kya tumhara bhi yahi khayal hai ? Main ne arz kiya ke nahi . Poocha phir tumhari kya rai hai ? Main ne arz ki ke is mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki wafat ki taraf isharah hai . Allah Ta'ala ne Nabi salla Allahu alaihi wasallam ko yahi cheez batayi hai aur farmaya «izha jaa'a nasrullahi wal fathu» ke ”jab Allah ki madad aur fatah aa pahunchi“ yani phir yeh Aap ki wafat ki alamat hai . Is liye Aap apne Parvardigar ki paaki wa tareef byaan kijiye aur us se bakhshish maanga kijiye . Beshak woh bara tauba qabool karne wala hai . Umar razi Allahu anhu ne is par kaha main bhi wahi jaanta hoon jo tum ne kaha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة