الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {الَّذِي عَلَّمَ بِالْقَلَمِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Woh jis ne qalam ke sath sikhaya”.
Hadith Number: 4957
حدثنا عبد الله بن يوسف، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، قال: سمعت عروة، قالت عائشة رضي الله عنها: فرجع النبي صلى الله عليه وسلم إلى خديجة، فقال: زملوني زملوني، فذكر الحديث.
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya, kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya aur un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne byaan kiya, unhon ne Urwah se suna, un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke phir Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Khadija razi Allahu anha ke paas wapas tashreef laye aur farmaya «zammilooni zammilooni» ke mujhe chadar orha do, mujhe chadar orha do. Phir Aap ne saara waqia byaan farmaya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {كَلاَّ لَئِنْ لَمْ يَنْتَهِ لَنَسْفَعَنْ بِالنَّاصِيَةِ نَاصِيَةٍ كَاذِبَةٍ خَاطِئَةٍ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Haan haan agar ye (kam-bakht) baaz na aaya to hum ise peshani ke bal pakar kar ghasiteinge jo peshani jhoot aur gunahon mein aaloodah ho chuki hai”.
Hadith Number: 4958
حدثنا يحيى، حدثنا عبد الرزاق، عن معمر، عن عبد الكريم الجزري، عن عكرمة،، قال ابن عباس: قال ابو جهل: لئن رايت محمدا يصلي عند الكعبة لاطان على عنقه، فبلغ النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" لو فعله لاخذته الملائكة". تابعه عمرو بن خالد، عن عبيد الله، عن عبد الكريم.
Hum se Yahya bin Musa ne byaan kiya, kaha hum se Abdur Razzaq ne byaan kiya, un se Mamar ne, un se Abdul Kareem Jazari ne, un se Ikrimah ne byaan kiya aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya Abu Jahl ne kaha tha ke agar main ne Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ko Kaaba ke paas namaz parhte dekh liya to is ki gardan main kachal doon ga. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko jab yeh baat pahunchi to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar is ne aisa kiya hota to usay farishte pakar lete. Abdur Razzaq ke saath is hadees ko Amr bin Khalid ne riwayat kiya hai, un se Ubaydullah ne, un se Abdul Kareem ne byaan kiya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة {الْقَدْرِ}:
Bab: Surah Al-Qadr ki tafseer.
Hadith Number: Q4959-2
يقال: المطلع هو الطلوع والمطلع الموضع الذي يطلع منه، انزلناه: الهاء كناية، عن القرآن إنا انزلناه خرج مخرج الجميع، والمنزل هو الله، والعرب توكد فعل الواحد، فتجعله بلفظ الجميع ليكون اثبت واوكد.
«matla-un» ba-fataha (masdar hai) tuloo ke ma'non mein aur «matli-un» ba-kasr laam (jaise Kasai ne parha hai) woh maqam jahan se sooraj nikle. «inna anzalnaahu» mein zameer Quran ki taraf phirti hai (go ke Quran ka zikr oopar nahi aaya hai magar is ki shaan barhane ke liye idh-maar qablaz-zhikr kiya) «anzalnaahu» sigha e jama mutakallim ka hai haalan ke utaarne wala ek hi hai yani Allah Paak magar Arbi mein wahid ko «jamee-un» aur isbat ke liye ba-sigha e jama laate hain.
سورة {لَمْ يَكُنْ}:
Bab: Surah Lam Yakun (Al-Bayyinah) ki tafseer.
Hadith Number: Q4959
منفكين: زائلين قيمة القائمة دين القيمة اضاف الدين إلى المؤنث.
«munfak-keena» ke maani chhorne wale. «qayyimah-tun» qaim aur mazboot haalan ke deen muzakkar hai magar is ko muannas yani «qayyimah-tun» ki taraf mudhaaf kiya, deen ko millat ke maani mein liya jo muannas hai.
Hadith Number: 4959
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، سمعت قتادة، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال النبي صلى الله عليه وسلم لابي:" إن الله امرني ان اقرا عليك لم يكن الذين كفروا سورة البينة آية 1، قال: وسماني، قال: نعم، فبكى".
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya, kaha ke hum se Ghundar ne byaan kiya, kaha hum se Shubah ne byaan kiya, main ne Qatadah se suna aur unhon ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Ubayy bin Kabb se farmaya ke Allah Ta'ala ne mujhe hukm diya hai ke tumhein Surah «lam yakun-illazhina kafaroo» parh kar sunaoon. Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu ne arz kiya, kya Allah Ta'ala ne mera naam bhi liya hai? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan, is par woh rone lage.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4960
حدثنا حسان بن حسان، حدثنا همام، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم لابي:" إن الله امرني ان اقرا عليك القرآن"، قال ابي: آلله سماني لك، قال:" الله سماك لي"، فجعل ابي يبكي، قال قتادة: فانبئت انه قرا عليه لم يكن الذين كفروا من اهل الكتاب سورة البينة آية 1.
Hum se Hassan bin Hassan ne byaan kiya, kaha hum se Hammam ne byaan kiya, un se Qatadah ne aur un se Anas razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu se farmaya ke Allah Ta'ala ne mujhe hukm diya hai ke tumhein Quran (Surah Lam Yakun) parh kar sunaoon. Ubayy bin Kabb ne arz kiya: kya Aap se Allah Ta'ala mera naam bhi liya hai? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan, Allah Ta'ala ne tumhara naam bhi mujh se liya hai. Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu yeh sun kar rone lage. Qatadah ne byaan kiya ke mujhe khabar di gayi hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein Surah «lam yakun-illazhina kafaroo min ahlil kitaabi» parh kar sunayi thi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4961
حدثنا ابو جعفر المنادي، حدثنا روح، حدثنا سعيد بن ابي عروبة، عن قتادة، عن انس بن مالك، ان نبي الله صلى الله عليه وسلم، قال لابي بن كعب:" إن الله امرني ان اقرئك القرآن"، قال: آلله سماني لك؟ قال: نعم، قال: وقد ذكرت عند رب العالمين؟ قال: نعم، فذرفت عيناه.
Hum se Ahmad bin Abi Dawood Abu Jafar Munadi ne byaan kiya, kaha hum se Rauh ne byaan kiya, kaha hum se Saeed bin Abi Aroobah ne, un se Qatadah ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Ubayy bin Kabb se farmaya ke Allah Ta'ala ne mujhe hukm diya hai ke tumhein Quran ki (Surah Lam Yakun) parh kar sunaoon. Unhon ne poocha kya Allah ne Aap se mera naam bhi liya hai? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan. Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu bolay tamam jahanon ke paalne wale ke haan mera zikr hua? Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke haan is par un ki aankhon se aansu nikal pare.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة {إِذَا زُلْزِلَتِ الأَرْضُ زِلْزَالَهَا}:
Bab: Surah Iza zulzilat-il-ardu zilzaalaha ki tafseer.
Hadith Number: Q4962-2
يقال: اوحى لها اوحى إليها.
Kaha: «awha laha awha ilayha» .
بَابُ قَوْلِهِ: {فَمَنْ يَعْمَلْ مِثْقَالَ ذَرَّةٍ خَيْرًا يَرَهُ}:
Bab: Allah Taala ka irshaad hai“Jo koi zarra bhar bhi neki kare ga use bhi woh dekh lega”.
Hadith Number: Q4962
ووحى لها ووحى إليها واحد.
Aur «awha laha» aur «awha ilayha» sab ka ek hi maani hai.
Hadith Number: 4962
حدثنا إسماعيل بن عبد الله، حدثنا مالك، عن زيد بن اسلم، عن ابي صالح السمان، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" الخيل لثلاثة: لرجل اجر، ولرجل ستر، وعلى رجل وزر، فاما الذي له اجر، فرجل ربطها في سبيل الله، فاطال لها في مرج او روضة، فما اصابت في طيلها ذلك في المرج والروضة كان له حسنات، ولو انها قطعت طيلها فاستنت شرفا او شرفين كانت آثارها وارواثها حسنات له، ولو انها مرت بنهر فشربت منه، ولم يرد ان يسقي به كان ذلك حسنات له، فهي لذلك الرجل اجر، ورجل ربطها تغنيا وتعففا ولم ينس حق الله في رقابها ولا ظهورها، فهي له ستر، ورجل ربطها فخرا ورئاء ونواء، فهي على ذلك وزر، فسئل رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الحمر، قال:" ما انزل الله علي فيها إلا هذه الآية الفاذة الجامعة فمن يعمل مثقال ذرة خيرا يره {7} ومن يعمل مثقال ذرة شرا يره {8} سورة الزلزلة آية 7-8".
Hum se Ismail bin Abdullah ne byaan kiya, kaha hum se Imam Malik ne byaan kiya, un se Zayd bin Aslam ne, un se Abu Salih Samman ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke ghora teen tarah ke log teen qism ke paalte hain. Ek shakhs ke liye woh ajr hota hai doosre ke liye woh maafi hai, teesre ke liye azab hai. Jis ke liye woh ajr o sawab hai woh shakhs hai jo usay Allah ke rasta mein jihad ki niyat se paalta hai. Charagah ya is ke bajaye rawi ne yeh kaha bagh mein is ki rassi ko daraz kar deta hai aur woh ghora charagah ya bagh mein apni rassi tara le aur ek do kore (phenkne ki doori) tak apni had se aage barh gaya to is ke nishanat e qadam aur is ki leed bhi malik ke liye sawab ban jati hai aur agar kisi nahar se guzarte huay is mein malik ke irada ke baghair khud hi is ne pani pee liya to yeh bhi malik ke liye bais e sawab ban jata hai. Doosra shakhs jis ke liye is ka ghora bais e maafi, parda banta hai. Yeh woh shakhs hai jis ne logon se be-parwah rehne aur logon (ke samne sawal karne se) bachne ke liye usay pala aur is ghore ki gardan par jo Allah Ta'ala ka haq hai aur is ki peeth ko jo haq hai usay bhi woh ada karta rehta hai. To ghora is ke liye bais e maafi, parda ban jata hai aur jo shakhs ghora apne darwaze par fakhr aur dikhawe aur Islam dushmani ki gharz se baandhta hai, woh is ke liye wabal hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se gadhoon ke mutalliq poocha gaya to Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ne is ke mutalliq mujh par khaas aayat siwa is akaili aam aur jami aayat ke nazil nahi ki «faman yamal misqaala zharratin khayray-yarah * wa man yamal misqaala zharratin sharray-yarah» al-kh yani ”jo koi zharra bhar naiki kare ga woh usay bhi le ga dekh le ga aur jo koi zharra bhar burayi kare ga woh usay bhi dekh le ga.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة