الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
سورة {تَبَّتْ يَدَا أَبِي لَهَبٍ وَتَبَّ}:
Bab: Surah Lahab (Al-Masad) ki tafseer.
Hadith Number: Q4971
تباب خسران تتبيب تدمير.
«tabaabun» ke maani tabahi toota . «tatbeebun» ke maani tabah karna .
بَابٌ:
Bab: …
Hadith Number: 4971
حدثنا يوسف بن موسى، حدثنا ابو اسامة، حدثنا الاعمش، حدثنا عمرو بن مرة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: لما نزلت وانذر عشيرتك الاقربين سورة الشعراء آية 214، ورهطك منهم المخلصين خرج رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى صعد الصفا فهتف يا صباحاه، فقالوا: من هذا؟ فاجتمعوا إليه، فقال:" ارايتم إن اخبرتكم ان خيلا تخرج من سفح هذا الجبل، اكنتم مصدقي؟" قالوا: ما جربنا عليك كذبا، قال:" فإني نذير لكم بين يدي عذاب شديد"، قال ابو لهب: تبا لك ما جمعتنا إلا لهذا، ثم قام، فنزلت تبت يدا ابي لهب وتب سورة المسد آية 1، وقد تب هكذا قراها الاعمش يومئذ.
Hum se Yusuf bin Musa ne byaan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne byaan kiya , kaha hum se Aamash ne byaan kiya , un se Amr bin Murrah ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke jab yeh aayat nazil hui «wa anzhir asheeratakal aqrabeena» ”Aap apne qareebi rishta-daron ko drayiye aur apne giroh ke in logon ko drayiye jo mukhliseen hain .“ To Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Safa pahari par charh gaye aur pukara: ya sabahaahu! Quraish ne kaha yeh kaun hai , phir wahan sab aa kar jama ho gaye . Nabi salla Allahu alaihi wasallam ne un se farmaya ke tumhara kya khayal hai , agar main tumhein bataoon ke ek lashkar is pahar ke peeche se aane wala hai , to kya tum mujh ko sacha nahi samajho ge ? Unhon ne kaha ke hamain jhoot ka Aap se tajurba kabhi bhi nahi hai . Nabi salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir main tumhein is sakht azab se drata hoon jo tumhare samne aa raha hai . Yeh sun kar Abu Lahab bola , tu tabah ho , kya tu ne hamain isi liye jama kiya tha ? Phir Nabi salla Allahu alaihi wasallam wahan se chale aaye aur Aap par yeh surat nazil hui «tabbat yada abi lahabiw-wa tabb» al-kh yani ”donon hath toot gaye Abu Lahab ke aur woh barbad ho gaya .“ Aamash ne yun parha «wa qad tabb» jis din yeh hadees riwayat ki .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَتَبَّ مَا أَغْنَى عَنْهُ مَالُهُ وَمَا كَسَبَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Woh halaak hua na us ka maal us ke kaam aaya aur na jo kuch us ne kamaya woh kaam aaya”.
Hadith Number: 4972
حدثنا محمد بن سلام، اخبرنا ابو معاوية، حدثنا الاعمش، عن عمرو بن مرة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، ان النبي صلى الله عليه وسلم خرج إلى البطحاء، فصعد إلى الجبل، فنادى يا صباحاه، فاجتمعت إليه قريش، فقال:" ارايتم إن حدثتكم ان العدو مصبحكم او ممسيكم اكنتم تصدقوني؟ قالوا: نعم، قال:" فإني نذير لكم بين يدي عذاب شديد"، فقال ابو لهب: الهذا جمعتنا تبا لك، فانزل الله عز وجل: تبت يدا ابي لهب سورة المسد آية 1 إلى آخرها.
Hum se Muhammad bin Salam ne byaan kiya , kaha hum ko Abu Muawiyah ne khabar di , un se Aamash ne , un se Amr bin Murrah ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke yani woh halak hua na is ka maal is ke kaam aaya aur na jo kuch us ne kamaya woh kaam aaya . Nabi salla Allahu alaihi wasallam Bathaa ki taraf tashreef le gaye aur pahari par charh kar pukara . Ya sabahaahu! Quraish is aawaz par Aap ke paas jama ho gaye . Nabi salla Allahu alaihi wasallam ne in se poocha: tumhara kya khayal hai agar main tumhein bataoon ke dushman tum par subah ke waqt ya shaam ke waqt hamla karne wala hai to kya tum meri tasdeeq nahi karo ge ? Unhon ne kaha ke haan zaroor Aap ki tasdeeq karein ge . Nabi salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke to main tumhein sakht azab se drata hoon jo tumhare samne aa raha hai . Abu Lahab bola tum tabah ho jao . Kya tum ne hamain isi liye jama kiya tha ? Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «tabbat yada abi lahabin» aakhir tak .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {سَيَصْلَى نَارًا ذَاتَ لَهَبٍ}:
Bab: Ayat ki tafseer“An-qareeb woh bharakti hui aag mein dakhal ho ga”.
Hadith Number: 4973
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، حدثني عمرو بن مرة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال ابو لهب: تبا لك الهذا جمعتنا، فنزلت تبت يدا ابي لهب سورة المسد آية 1 إلى آخرها".
Hum se Umar bin Hafs ne byaan kiya , kaha mujh se mere walid ne byaan kiya , kaha hum se Aamash ne byaan kiya , un se Amr bin Murrah ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Abu Lahab ne kaha tha ke tu tabah ho . Kya tu ne hamain isi liye jama kiya tha ? Is par yeh aayat «tabbat yada abi lahabin» nazil hui .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَامْرَأَتُهُ حَمَّالَةُ الْحَطَبِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur us ki biwi bhi jo lakriyon ka gaththa uthane wali hai”.
Hadith Number: Q4974-2
وقال مجاهد: حمالة الحطب: تمشي بالنميمة في جيدها حبل من مسد، يقال من مسد ليف المقل وهي السلسلة التي في النار.
Mujahid ne kaha «hammaalatal hatabi» chaghal-khor . «fee jeediha hablum mim masadin» kehte hain «masadin» se murad google ke darakht ki chhaal hai baazon ne kaha dozakh ki rassi murad hai .
قَوْلُهُ: {قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ}:
Bab: Allah Taala ke farmaan «Qul huwa Allahu ahad» ki tafseer.
Hadith Number: Q4974
يقال لا ينون احد اي واحد.
Kaha gaya hai ke «ahadun» par tanween nahi parhi jati balkay daal ko saakin hi parhna chahiye . «ahadun» ke maani woh ek hai .
بَابٌ:
Bab: …
Hadith Number: 4974
حدثنا ابو اليمان ، حدثنا شعيب ، حدثنا ابو الزناد ، عن الاعرج ، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" قال الله: كذبني ابن آدم ولم يكن له ذلك، وشتمني ولم يكن له ذلك، فاما تكذيبه إياي فقوله لن يعيدني كما بداني، وليس اول الخلق باهون علي من إعادته، واما شتمه إياي فقوله اتخذ الله ولدا، وانا الاحد الصمد لم الد، ولم اولد، ولم يكن لي كفئا احد".
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shuayb ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Abu al-Zinad ne byaan kiya , un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala farmata hai ke mujhe Ibn e Adam ne jhutlaya haalan ke is ke liye yeh bhi munasib na tha . Mujhe us ne gaali di haalan ke is ke liye yeh bhi munasib na tha . Mujhe jhutlana yeh hai ke (Ibn e Adam) kehta hai ke main is ko dobara nahi paida karoon ga haalan ke mere liye dobara paida karna is ke pehli martaba paida karne se zyada mushkil nahi . Is ka mujhe gaali dena yeh hai ke kehta hai ke Allah ne apna beta banaya hai haalan ke main ek hoon . Be-niyaz hoon na mere liye koi aulad hai aur na main kisi ki aulad hoon aur na koi mere barabar hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {اللَّهُ الصَّمَدُ}:
Bab: Ayat «Allahus Samad» ki tafseer.
Hadith Number: Q4975
والعرب تسمي اشرافها الصمد، قال ابو وائل: هو السيد الذي انتهى سودده.
Maani Allah Be-niyaz hai . Arab log sardar aur shareef ko «samadun» kehte hain . Abu Wail Shaqeeq bin Salama ne kaha had darjay sab se bara sardar jo ho usay «samadun» kehte hain .
Hadith Number: 4975
حدثنا إسحاق بن منصور، قال: وحدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن همام، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" قال الله: كذبني ابن آدم ولم يكن له ذلك، وشتمني ولم يكن له ذلك، اما تكذيبه إياي ان يقول إني لن اعيده كما بداته، واما شتمه إياي ان يقول اتخذ الله ولدا، وانا الصمد الذي لم الد، ولم اولد ولم يكن لي كفؤا احد لم يلد ولم يولد {3} ولم يكن له كفوا احد {4} سورة الإخلاص آية 3-4"، كفؤا وكفيئا وكفاء واحد.
Hum se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdur Razzaq ne byaan kiya , unhon ne kaha hamain Mamar ne khabar di , unhein Hammam ne , un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (Allah Paak ne farmaya hai ke) Ibn e Adam ne mujhe jhutlaya haalan ke is ke liye yeh munasib na tha . Us ne mujhe gaali di haalan ke yeh is ka haq nahi tha . Mujhe jhutlana yeh hai ke (Ibn e Adam) kehta hai ke main usay dobara zinda nahi kar sakta jaisa ke main ne usay pehli dafa paida kiya tha . Is ka gaali dena yeh hai ke kehta hai Allah ne beta bana liya hai haalan ke main be-parwah hoon , mere haan na koi aulad hai aur na main kisi ki aulad aur na koi mere barabar ka hai . «kufu'an» aur «kafee'an» aur «kifaa'an» hum-maani hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة {قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ الْفَلَقِ}:
Bab: Surah Al-Falaq ki tafseer.
Hadith Number: Q4976
وقال مجاهد: الفلق: الصبح، وغاسق: الليل إذا وقب غروب الشمس، يقال: ابين من فرق، وفلق الصبح وقب إذا دخل في كل شيء واظلم.
Mujahid ne kaha ke «ghasiqin» se raat murad hai . «izha waqaba» se sooraj ka doob jana murad hai . «farqun» aur «falqun» ke ek hi maani hain kehte hain yeh baat «farqu» subah ya «falqu» subah se zyada roshan hai . Arab log «waqaba» is waqt kehte hain jab koi cheez bilkul kisi cheez mein ghus jaye aur andhera ho jaye .