الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
سورة الْمُؤْمِنِينَ:
Bab: Surah Al-Mu’minoon ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4745-2
قال ابن عيينة: سبع طرائق: سبع سموات، لها سابقون: سبقت لهم السعادة، قلوبهم وجلة: خائفين، قال ابن عباس: هيهات هيهات: بعيد بعيد، فاسال العادين: الملائكة، لناكبون: لعادلون، كالحون: عابسون، وقال غيره: من سلالة: الولد، والنطفة السلالة، والجنة، والجنون واحد، والغثاء الزبد، وما ارتفع عن الماء، وما لا ينتفع به يجارون يرفعون اصواتهم كما تجار البقرة على اعقابكم رجع على عقبيه سامرا من السمر والجميع السمار والسامر ها هنا في موضع الجمع تسحرون تعمون من السحر.
Sufyan bin Uyaynah ne kaha «saba taraa'iqa» se saaton aasman murad hain . «laha saabiquna» yani un ki qismat mein (roz e azal se) sa'adat aur naik bakhti likh di gayi . «wajilatun» darne wale . Ibn Abbas ne kaha «hayhaata hayhaata» ka maani door hai door hai . «fas'alil aaddeena» yani ginne wale farishton se (jo aamal ka hisab karte hain) pooch lo . «lanaakiboona» seedhi raah se murr jaane wale . «kaalihoona» tursh-ru , bad-shakal munh banane wale . Auron ne kaha «sulalatun» se murad bacha aur nutfa hai . «jinnatun» aur «junoonun» donon ka ek hi maani hai yani deewangi , baolapan . «ghusa'un» phain aur aaisi cheez jo pani par tair aaye aur kaam na aaye (balkay phenk diya jaye) . «yaja'roona» aawaz buland karein ge jaise gaye takleef ke waqt nikalti hai . «ala aqabikum» Arab log bolte hain «raja-a ala aqabayhi» yani peeth pher kar chal diya . «saamiran» , «samarun» se nikla hai is ki jama «summaarun» hai , yahan «saamiran» jama ke ma'non mein hai (yani raat ko gup shup karne wale) . «tus-haroona» jadoo se andhe ho rahe hain .


سورة النُّورِ:
Bab: Surah An-Noor ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: Q4745
من خلاله: من بين اضعاف السحاب، سنا برقه: وهو الضياء، مذعنين: يقال للمستخذي مذعن اشتاتا وشتى وشتات وشت واحد، وقال ابن عباس: سورة انزلناها: بيناها، وقال غيره: سمي القرآن لجماعة السور، وسميت السورة لانها مقطوعة من الاخرى فلما قرن بعضها إلى بعض سمي قرآنا، وقال سعد بن عياض الثمالي: المشكاة الكوة بلسان الحبشة، وقوله تعالى: إن علينا جمعه وقرآنه: تاليف بعضه إلى بعض، فإذا قراناه فاتبع قرآنه: فإذا جمعناه والفناه فاتبع قرآنه اي ما جمع فيه فاعمل بما امرك وانته عما نهاك الله، ويقال: ليس لشعره قرآن اي تاليف وسمي الفرقان لانه يفرق بين الحق والباطل، ويقال للمراة: ما قرات بسلا قط اي لم تجمع في بطنها ولدا ويقال في، فرضناها: انزلنا فيها فرائض مختلفة، ومن قرا، فرضناها: يقول فرضنا عليكم وعلى من بعدكم، وقال مجاهد: او الطفل الذين لم يظهروا: لم يدروا لما بهم من الصغر، وقال الشعبي: اولي الإربة من ليس له ارب، وقال طاوس: هو الاحمق الذي لا حاجة له في النساء، وقال مجاهد: لا يهمه إلا بطنه، ولا يخاف على النساء.
«min khilaalihi» ka maani baadal ke pardon ke beech mein se . «sana barqihi» is ki bijli ki roshni . «muz-ineena» , «muz-inun» ki jama hai yani aajzi karne wala . «ashtatan» aur «shatta» aur «shataatun» aur «shattun» sab ke ek hi maani hain (yani alag alag) aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «suratun anzalnaha» ka maani hum ne is ko khol kar byaan kiya ke suraton ke majmua ki wajah se Quran ka naam para aur Surah ko Surah is wajah se kehte hain ke woh doosri Surah se alaihda hoti hai phir jab ek Surah doosri ke qareeb kar di gayi to majmua ko Quran kehne lage , (to yeh «qarnun» se nikla hai) aur Saad bin Ayadh Sumali ne kaha (is ko Ibn Shaheen ne wasal kiya) . «mishkaatun» kehte hain taaq ko yeh Habshi zaban ka lafz hai . Aur yeh jo Surah Qiyamah mein farmaya hum par is ka jama karna aur «qur-aanan» karna hai to «qur-aanan» se is ka jorrna aur ek tukray se doosra tukra milana murad hai . Phir farmaya «fa-izha qara'naahu fattabi qur-aanahu» yani jab hum is ko jorr dein aur murattab kar dein to is majmua ki pairwi kar yani is mein jis baat ka hukm hai usay baja la aur jis ki Allah ne mamanat ki hai is se baaz reh aur Arab log kehte hain is ke shairon ka Quran nahi hai . Yani koi majmua nahi hai aur «qur-aanan» ko «furqaanan» bhi kehte hain kyunke woh haq aur baatil ko juda karta hai aur aurat ke haq mein kehte hain «ma qara'at bisalin qattu» yani is ne apne pait mein bacha kabhi nahi rakkha aur kaha «faradnaha» tashdeed se to maani yeh ho ga hum ne is mein mukhtalif faraiz nazil kiye aur jis ne «faradnaha» takhfeef se parha hai to maani yeh ho ga hum ne tum par aur jo log Qayamat tak tumhare baad aayein ge un par farz kiya . Mujahid ne kaha «awit-tif-lillazheena lam yazhharu» se woh kam-sin bache murad hain jo kam-sini ki wajah se auraton ki sharmgah ya jima se waqif nahi hain aur Shabi ne kaha «ghayri ulil irbati» se woh mard murad hain jin ko auraton ki ihtiyaj na ho . Aur Taoos ne kaha (is ko Abdur Razzaq ne wasal kiya) woh ahmaq murad hai jis ko auraton ka khayal na ho aur Mujahid ne kaha (is ko Tabari ne wasal kiya) jin ko apne pait ki dhun lagi ho un se yeh darr na ho ke auraton ko hath lagayein ge .


بَابُ قَوْلِهِ عَزَّ وَجَلَّ: {وَالَّذِينَ يَرْمُونَ أَزْوَاجَهُمْ وَلَمْ يَكُنْ لَهُمْ شُهَدَاءُ إِلاَّ أَنْفُسُهُمْ فَشَهَادَةُ أَحَدِهِمْ أَرْبَعُ شَهَادَاتٍ بِاللَّهِ إِنَّهُ لَمِنَ الصَّادِقِينَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jo log apni biwiyon ko tuhmat lagayen aur un ke paas siwaye apne (aur) koi gawah na ho to un ki shahadat ye ke woh (mard) chaar baar Allah ki qasam kha kar kahe ke mein sachcha hun”.
Show diacritics
Hadith Number: 4745
حدثنا إسحاق، حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا الاوزاعي، قال: حدثني الزهري، عن سهل بن سعد، ان عويمرا اتى عاصم بن عدي وكان سيد بني عجلان، فقال: كيف تقولون في رجل وجد مع امراته رجلا ايقتله فتقتلونه، ام كيف يصنع؟ سل لي رسول الله صلى الله عليه وسلم عن ذلك، فاتى عاصم النبي صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، فكره رسول الله صلى الله عليه وسلم المسائل، فساله عويمر، فقال: إن رسول الله صلى الله عليه وسلم كره المسائل وعابها، قال عويمر: والله لا انتهي حتى اسال رسول الله صلى الله عليه وسلم عن ذلك، فجاء عويمر، فقال: يا رسول الله، رجل وجد مع امراته رجلا ايقتله فتقتلونه، ام كيف يصنع؟ فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" قد انزل الله القرآن فيك وفي صاحبتك، فامرهما رسول الله صلى الله عليه وسلم بالملاعنة بما سمى الله في كتابه، فلاعنها"، ثم قال: يا رسول الله، إن حبستها فقد ظلمتها، فطلقها، فكانت سنة لمن كان بعدهما في المتلاعنين، ثم قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" انظروا فإن جاءت به اسحم ادعج العينين عظيم الاليتين خدلج الساقين، فلا احسب عويمرا إلا قد صدق عليها، وإن جاءت به احيمر كانه وحرة فلا احسب عويمرا إلا قد كذب عليها" فجاءت به على النعت الذي نعت به رسول الله صلى الله عليه وسلم من تصديق عويمر، فكان بعد ينسب إلى امه.
Hum se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne , kaha hum se Imam Awzai ne , kaha ke mujh se Zuhri ne byaan kiya . Un se Sahl bin Saad ne byaan kiya ke Uwaymir bin Harith bin Zayd bin Jadd bin Ajlaan Aasim bin Adi ke paas aaye . Aasim Bani Ajlaan ke sardar thay . Unhon ne Aap se kaha ke Aap logon ka ek aaisi shakhs ke baare mein kya khayal hai jo apni biwi ke saath kisi ghair mard ko pa leta hai kya woh usay qatl kar de ? Lekin tum phir usay qisas mein qatl kar do ge! Aakhir aaisi surat mein insan kya tariqa ikhtiyar kare ? Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se is ke mutalliq pooch ke mujhe bataiye . Chunanche Aasim , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur arz kiya: ya Rasool Allah! (surat e mazkoora mein khawand kya kare) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in masail (mein sawal o jawab) ko napasand farmaya . Jab Uwaymir ne in se poocha to unhon ne bata diya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne in masail ko napasand farmaya hai . Uwaymir ne in se kaha ke wallah main khud Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se usay poochoon ga . Chunanche woh Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur arz kiya . Ya Rasool Allah! Ek shakhs apni biwi ke saath ek ghair mard ko dekhta hai kya woh is ko qatl kar de ? Lekin phir Aap qisas mein is ko qatl karein ge . Aaisi surat mein is ko kya karna chahiye ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala ne tumhare aur tumhari biwi ke baare mein Quran ki aayat utari hai . Phir Aap ne unhein Quran ke bataye huay tariqa ke mutabiq liaan ka hukm diya . Aur Uwaymir ne apni biwi ke saath liaan kiya , phir unhon ne kaha: ya Rasool Allah! Agar main apni biwi ko roke rakkhoon to main zhaalim hoon ga . Is liye Uwaymir ne usay talaq de di . Is ke liaan ke baad miyaan biwi mein judayi ka tariqa jaari ho gaya . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne phir farmaya ke dekhte raho agar is aurat ke kala , bahut kaali putliyon wala , bhaari sureen aur bhari hui pindliyon wala bacha paida ho to mera khayal hai ke Uwaymir ne ilzam ghalat nahi lagaya hai . Lekin agar surkh surkh girgat jaisa paida ho to mera khayal hai ke Uwaymir ne ghalat ilzam lagaya hai . Is ke baad in aurat ke jo bacha paida hua woh unhi sifaat ke mutabiq tha jo Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne byaan ki thien aur jis se Uwaymir ki tasdeeq hoti thi . Chunanche is larke ka nasab is ki maan ki taraf rakkha gaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَالْخَامِسَةُ أَنَّ لَعْنَةَ اللَّهِ عَلَيْهِ إِنْ كَانَ مِنَ الْكَاذِبِينَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur paanchween baar mard ye kahe ke mujh par Allah ki la’nat ho agar mein jhoota hun”.
Show diacritics
Hadith Number: 4746
حدثني سليمان بن داود ابو الربيع، حدثنا فليح، عن الزهري، عن سهل بن سعد، ان رجلا اتى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال: يا رسول الله، ارايت رجلا راى مع امراته رجلا ايقتله فتقتلونه، ام كيف يفعل؟ فانزل الله فيهما ما ذكر في القرآن من التلاعن، فقال له رسول الله صلى الله عليه وسلم:" قد قضي فيك وفي امراتك"، قال: فتلاعنا وانا شاهد عند رسول الله صلى الله عليه وسلم، ففارقها، فكانت سنة ان يفرق بين المتلاعنين، وكانت حاملا، فانكر حملها، وكان ابنها يدعى إليها، ثم جرت السنة في الميراث ان يرثها، وترث منه ما فرض الله لها.
Mujh se Abu al-Rabi Sulayman bin Dawood ne byaan kiya , kaha hum se Falih ne , un se Zuhri ne , un se Sahl bin Saad ne ke ek sahab (yani Uwaymir) Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay aur arz kiya: ya Rasool Allah! Aise shakhs ke mutalliq Aap ka kya irshad hai jis ne apni biwi ke saath ek ghair mard ko dekha ho kya woh usay qatl kar de ? Lekin phir Aap qisas mein qatil ko qatl kar dein ge . Phir usay kya karna chahiye ? Unhi ke mutalliq Allah Ta'ala ne do aayatein nazil kien jin mein liaan ka zikr hai . Chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in se farmaya ke tumhare aur tumhari biwi ke baare mein faisla kiya ja chuka hai . Rawi ne byaan kiya ke phir donon miyaan biwi ne liaan kiya aur main is waqt Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir tha . Phir Aap ne donon mein judayi kara di aur do liaan karne walon mein is ke baad yahi tariqa qaim ho gaya ke un mein judayi kara di jaye . Un ki biwi hamila thien , lekin unhon ne is ka bhi inkar kar diya . Chunanche jab bacha paida hua to usay maan hi ke naam se pukara jaane laga . Miras ka yeh tariqa hua ke beta maan ka waris hota hai aur maan Allah ke muqarrar kiye huay hisse ke mutabiq bete ki waris hoti hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَيَدْرَأُ عَنْهَا الْعَذَابَ أَنْ تَشْهَدَ أَرْبَعَ شَهَادَاتٍ بِاللَّهِ إِنَّهُ لَمِنَ الْكَاذِبِينَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur aurat saza se is tarah bach sakti hai ke woh chaar dafa Allah ki qasam kha kar kahe ke beshak woh mard jhoota hai, paanchween dafa kahe ke agar woh mard sachcha ho to mujh par Allah ka ghazab nazil ho”.
Show diacritics
Hadith Number: 4747
حدثني محمد بن بشار، حدثنا ابن ابي عدي، عن هشام بن حسان، حدثنا عكرمة، عن ابن عباس، ان هلال بن امية قذف امراته عند النبي صلى الله عليه وسلم بشريك ابن سحماء، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" البينة او حد في ظهرك"، فقال: يا رسول الله، إذا راى احدنا على امراته رجلا ينطلق يلتمس البينة، فجعل النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" البينة وإلا حد في ظهرك"، فقال هلال: والذي بعثك بالحق إني لصادق، فلينزلن الله ما يبرئ ظهري من الحد، فنزل جبريل، وانزل عليه، والذين يرمون ازواجهم فقرا حتى بلغ إن كان من الصادقين سورة النور آية 6 - 9، فانصرف النبي صلى الله عليه وسلم، فارسل إليها، فجاء هلال، فشهد، والنبي صلى الله عليه وسلم يقول:" إن الله يعلم ان احدكما كاذب، فهل منكما تائب"، ثم قامت، فشهدت، فلما كانت عند الخامسة وقفوها، وقالوا: إنها موجبة، قال ابن عباس: فتلكات، ونكصت حتى ظننا انها ترجع، ثم قالت: لا افضح قومي سائر اليوم، فمضت، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" ابصروها، فإن جاءت به اكحل العينين سابغ الاليتين خدلج الساقين، فهو لشريك ابن سحماء"، فجاءت به كذلك، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" لولا ما مضى من كتاب الله لكان لي ولها شان".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Ibn Abi Adi ne byaan kiya , un se Hisham bin Hassan ne un se Ikrimah ne byaan kiya aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Hilal bin Umayyah ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne apni biwi par Shareek bin Sahma ke saath tohmat lagayi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is ke gawah lao warna tumhari peeth par had lagayi jaye gi . Unhon ne arz kiya: ya Rasool Allah! Ek shakhs apni biwi ke saath ek ghair ko mubtala dekhta hai to kya woh aaisi halat mein gawah talash karne jaye ga ? Lekin Aap yahi farmate rahe ke gawah lao , warna tumhari peeth par had jaari ki jaye gi . Is par Hilal ne arz kiya . Is zaat ki qasam jis ne Aap ko haq ke saath Nabi bana kar bheja hai main sacha hoon aur Allah Ta'ala khud hi koi aaisi aayat nazil farmaye ga . Jis ke zariye mere oopar se had door ho jaye gi . Itne mein Jibraeel alaihissalam tashreef laye aur yeh aayat nazil hui «wallazhina yarmoona azwaajahum» se «in kaana minas-sadiqeena» . (jis mein aaisi surat mein liaan ka hukm hai) jab nuzool e wahi ka silsila khatam hua to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Hilal ko aadmi bhej kar bulwaya woh aaye aur aayat ke mutabiq char martaba qasam khayi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is mauqa par farmaya ke Allah khoob jaanta hai ke tum mein se ek zaroor jhoota hai to kya woh tauba karne par tayyar nahi hai . Is ke baad un ki biwi khari huien aur unhon ne bhi qasam khayi , jab woh paanchween par pahunchein (aur char martaba apni bara'at ki qasam khane ke baad , kehne lagein ke agar main jhooti hoon to mujh par Allah ka ghazab ho) to logon ne unhein rokne ki koshish ki aur kaha ke (agar tum jhooti ho to) is se tum par Allah ka azab zaroor nazil ho ga . Ibn Abbas razi Allahu anha ne byaan kiya ke is par woh hich-kichayein hum ne samjha ke ab woh apna byaan wapas le lein gi . Lekin yeh kehte huay ke zindagi bhar ke liye main apni qaum ko ruswa nahi karoon gi . Paanchween baar qasam khayi . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke dekhna agar bacha khoob siyah aankhon wala , bhaari sureen aur bhari bhari pindliyon wala paida hua to phir woh Shareek bin Sahma hi ka ho ga . Chunanche jab paida hua to woh isi shakal o surat ka tha Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar Kitab Allah ka hukm na aa chuka hota to main usay rajmi saza deta .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَالْخَامِسَةُ أَنَّ غَضَبَ اللَّهِ عَلَيْهَا إِنْ كَانَ مِنَ الصَّادِقِينَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur paanchween martaba ye kahe ke mujh par Allah ka ghazab nazil ho agar woh mard sachcha hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4748
حدثنا مقدم بن محمد بن يحيى، حدثنا عمي القاسم بن يحيى، عن عبيد الله، وقد سمع منه، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنهما: ان رجلا رمى امراته، فانتفى من ولدها في زمان رسول الله صلى الله عليه وسلم، فامر بهما رسول الله صلى الله عليه وسلم، فتلاعنا كما قال الله، ثم قضى بالولد للمراة، وفرق بين المتلاعنين".
Hum se Muqaddam bin Muhammad bin Yahya ne byaan kiya , kaha mujh se mere chacha Qasim bin Yahya ne byaan kiya , un se Ubaydullah ne , Qasim ne Ubaydullah se suna tha aur Ubaydullah ne Nafi se aur unhon ne Ibn Umar razi Allahu anhuma ne ke ek sahab ne apni biwi par Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke zamane mein ek ghair mard ke saath tohmat lagayi aur kaha ke aurat ka hamal mera nahi hai . Chunanche Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke hukm se donon miyaan biwi ne Allah ke farman ke mutabiq liaan kiya . Is ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne bacha ke baare mein faisla kiya ke woh aurat hi ka ho ga aur liaan karne wale donon miyaan biwi mein judayi karwa di .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {إِنَّ الَّذِينَ جَاءُوا بِالإِفْكِ عُصْبَةٌ مِنْكُمْ لاَ تَحْسِبُوهُ شَرًّا لَكُمْ بَلْ هُوَ خَيْرٌ لَكُمْ لِكُلِّ امْرِئٍ مِنْهُمْ مَا اكْتَسَبَ مِنَ الإِثْمِ وَالَّذِي تَوَلَّى كِبْرَهُ مِنْهُمْ لَهُ عَذَابٌ عَظِيمٌ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Beshak jin logon ne (A’ishah Siddiqah Raziallahu Anha par) tuhmat lagayi hai woh tum mein se ek chhota sa giroh hai tum ise apne haq mein bura na samjho, balkeh ye tumhare haq mein behtar hi hai, un mein se har shakhs ko jis ne jitna jo kuch kiya tha gunah hua aur jis ne un mein se sab se barh kar hissa liya tha us ke liye saza bhi sab se barh kar sakht hai”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4749
افاك كذاب.
«affaakun» ke maani jhoota hai .


Show diacritics
Hadith Number: 4749
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن معمر، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، والذي تولى كبره سورة النور آية 11، قالت:" عبد الله بن ابي ابن سلول".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan ne byaan kiya , un se Mamar ne , un se Zuhri ne , un se Urwah ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya «wallazhi tawalla kibrahu» yani aur jis ne in mein se sab se barh kar hissa liya tha aur murad Abdullah bin Ubayy bin Salool (munafiq) hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {لَوْلاَ إِذْ سَمِعْتُمُوهُ ظَنَّ الْمُؤْمِنُونَ وَالْمُؤْمِنَاتُ بِأَنْفُسِهِمْ خَيْرًا وَقَالُوا هَذَا إِفْكٌ مُبِينٌ}، {قُلْتُمْ مَا يَكُونُ لَنَا أَنْ نَتَكَلَّمَ بِهَذَا سُبْحَانَكَ هَذَا بُهْتَانٌ عَظِيمٌ}، {لَوْلاَ جَاءُوا عَلَيْهِ بِأَرْبَعَةِ شُهَدَاءَ فَإِذْ لَمْ يَأْتُوا بِالشُّهَدَاءِ فَأُولَئِكَ عِنْدَ اللَّهِ هُمُ الْكَاذِبُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Jab tum logon ne ye buri khabar suni thi to kyun na musalman mardon aur auraton ne apni maa’on ke haq mein nek guman kiya aur ye kyun na keh diya ke ye to sareeh jhoota tohfaan lagana hai, ye buhtaan-baaz, qareeb Allah apne qaul par chaar gawah kyun na laaye, so jab ye log gawah nahi laaye to bas ye log Allah ke nazdeek sar-basar jhoote hi hain”.
Show diacritics
Hadith Number: 4750
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عروة بن الزبير، وسعيد بن المسيب، وعلقمة بن وقاص، وعبيد الله بن عبد الله بن عتبة بن مسعود، عن حديث عائشة رضي الله عنها زوج النبي صلى الله عليه وسلم حين، قال لها:" اهل الإفك ما قالوا فبراها الله مما قالوا، وكل حدثني طائفة من الحديث وبعض حديثهم يصدق بعضا، وإن كان بعضهم اوعى له من بعض الذي حدثني عروة،عن عائشة رضي الله عنها، ان عائشة رضي الله عنها زوج النبي صلى الله عليه وسلم، قالت: كان رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا اراد ان يخرج اقرع بين ازواجه، فايتهن خرج سهمها خرج بها رسول الله صلى الله عليه وسلم معه، قالت عائشة: فاقرع بيننا في غزوة غزاها، فخرج سهمي، فخرجت مع رسول الله صلى الله عليه وسلم بعدما نزل الحجاب، فانا احمل في هودجي، وانزل فيه، فسرنا حتى إذا فرغ رسول الله صلى الله عليه وسلم من غزوته تلك، وقفل ودنونا من المدينة قافلين آذن ليلة بالرحيل، فقمت حين آذنوا بالرحيل، فمشيت حتى جاوزت الجيش، فلما قضيت شاني اقبلت إلى رحلي، فإذا عقد لي من جزع ظفار قد انقطع، فالتمست عقدي، وحبسني ابتغاؤه، واقبل الرهط الذين كانوا يرحلون لي، فاحتملوا هودجي، فرحلوه على بعيري الذي كنت ركبت وهم يحسبون اني فيه، وكان النساء إذ ذاك خفافا لم يثقلهن اللحم إنما تاكل العلقة من الطعام، فلم يستنكر القوم خفة الهودج حين رفعوه، وكنت جارية حديثة السن، فبعثوا الجمل وساروا، فوجدت عقدي بعدما استمر الجيش، فجئت منازلهم وليس بها داع، ولا مجيب، فاممت منزلي الذي كنت به، وظننت انهم سيفقدوني، فيرجعون إلي فبينا انا جالسة في منزلي غلبتني عيني، فنمت وكان صفوان بن المعطل السلمي، ثم الذكواني من وراء الجيش، فادلج، فاصبح عند منزلي، فراى سواد إنسان نائم، فاتاني، فعرفني حين رآني وكان يراني قبل الحجاب، فاستيقظت باسترجاعه حين عرفني، فخمرت وجهي بجلبابي، ووالله ما كلمني كلمة، ولا سمعت منه كلمة غير استرجاعه حتى اناخ راحلته، فوطئ على يديها، فركبتها، فانطلق يقود بي الراحلة حتى اتينا الجيش بعدما نزلوا موغرين في نحر الظهيرة، فهلك من هلك، وكان الذي تولى الإفك عبد الله بن ابي ابن سلول، فقدمنا المدينة، فاشتكيت حين قدمت شهرا والناس يفيضون في قول اصحاب الإفك لا اشعر بشيء من ذلك وهو يريبني في وجعي اني لا اعرف من رسول الله صلى الله عليه وسلم اللطف الذي كنت ارى منه حين اشتكي، إنما يدخل علي رسول الله صلى الله عليه وسلم فيسلم، ثم يقول:" كيف تيكم؟" ثم ينصرف، فذاك الذي يريبني ولا اشعر بالشر حتى خرجت بعدما نقهت، فخرجت معي ام مسطح قبل المناصع وهو متبرزنا، وكنا لا نخرج إلا ليلا إلى ليل، وذلك قبل ان نتخذ الكنف قريبا من بيوتنا، وامرنا امر العرب الاول في التبرز قبل الغائط، فكنا نتاذى بالكنف ان نتخذها عند بيوتنا، فانطلقت انا وام مسطح وهي ابنة ابي رهم بن عبد مناف وامها بنت صخر بن عامر خالة ابي بكر الصديق وابنها مسطح بن اثاثة، فاقبلت انا وام مسطح قبل بيتي، وقد فرغنا من شاننا، فعثرت ام مسطح في مرطها، فقالت: تعس مسطح، فقلت لها: بئس ما قلت اتسبين رجلا شهد بدرا، قالت: اي هنتاه اولم تسمعي ما قال؟ قالت: قلت: وما قال، فاخبرتني بقول اهل الإفك، فازددت مرضا على مرضي، فلما رجعت إلى بيتي ودخل علي رسول الله صلى الله عليه وسلم تعني سلم، ثم قال:" كيف تيكم؟" فقلت: اتاذن لي ان آتي ابوي؟ قالت: وانا حينئذ اريد ان استيقن الخبر من قبلهما، قالت: فاذن لي رسول الله صلى الله عليه وسلم، فجئت ابوي، فقلت لامي: يا امتاه، ما يتحدث الناس؟ قالت: يا بنية، هوني عليك، فوالله لقلما كانت امراة قط وضيئة عند رجل يحبها ولها ضرائر إلا كثرن عليها، قالت: فقلت سبحان الله، اولقد تحدث الناس بهذا، قالت: فبكيت تلك الليلة حتى اصبحت لا يرقا لي دمع ولا اكتحل بنوم حتى اصبحت ابكي، فدعا رسول الله صلى الله عليه وسلم علي بن ابي طالب، واسامة بن زيد رضي الله عنهما حين استلبث الوحي يستامرهما في فراق اهله، قالت: فاما اسامة بن زيد فاشار على رسول الله صلى الله عليه وسلم بالذي يعلم من براءة اهله، وبالذي يعلم لهم في نفسه من الود، فقال: يا رسول الله، اهلك ولا نعلم إلا خيرا، واما علي بن ابي طالب، فقال: يا رسول الله، لم يضيق الله عليك والنساء سواها كثير، وإن تسال الجارية تصدقك، قالت: فدعا رسول الله صلى الله عليه وسلم بريرة، فقال:" اي بريرة هل رايت من شيء يريبك؟" قالت بريرة: لا، والذي بعثك بالحق إن رايت عليها امرا اغمصه عليها اكثر من انها جارية حديثة السن تنام عن عجين اهلها، فتاتي الداجن، فتاكله، فقام رسول الله صلى الله عليه وسلم فاستعذر يومئذ من عبد الله بن ابي ابن سلول، قالت: فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو على المنبر:" يا معشر المسلمين، من يعذرني من رجل قد بلغني اذاه في اهل بيتي، فوالله ما علمت على اهلي إلا خيرا ولقد ذكروا رجلا ما علمت عليه إلا خيرا، وما كان يدخل على اهلي إلا معي"، فقام سعد بن معاذ الانصاري، فقال: يا رسول الله، انا اعذرك منه إن كان من الاوس ضربت عنقه، وإن كان من إخواننا من الخزرج امرتنا ففعلنا امرك، قالت: فقام سعد بن عبادة وهو سيد الخزرج وكان قبل ذلك رجلا صالحا ولكن احتملته الحمية، فقال لسعد: كذبت لعمر الله لا تقتله ولا تقدر على قتله، فقام اسيد بن حضير وهو ابن عم سعد بن معاذ، فقال لسعد بن عبادة: كذبت لعمر الله لنقتلنه، فإنك منافق تجادل عن المنافقين، فتثاور الحيان الاوس والخزرج حتى هموا ان يقتتلوا ورسول الله صلى الله عليه وسلم قائم على المنبر، فلم يزل رسول الله صلى الله عليه وسلم يخفضهم حتى سكتوا وسكت، قالت: فبكيت يومي ذلك لا يرقا لي دمع، ولا اكتحل بنوم، قالت: فاصبح ابواي عندي، وقد بكيت ليلتين ويوما لا اكتحل بنوم، ولا يرقا لي دمع يظنان ان البكاء، فالق كبدي، قالت: فبينما هما جالسان عندي وانا ابكي، فاستاذنت علي امراة من الانصار، فاذنت لها، فجلست تبكي معي، قالت: فبينا نحن على ذلك دخل علينا رسول الله صلى الله عليه وسلم، فسلم، ثم جلس، قالت: ولم يجلس عندي منذ قيل ما قيل قبلها، وقد لبث شهرا لا يوحى إليه في شاني، قالت: فتشهد رسول الله صلى الله عليه وسلم حين جلس، ثم قال:" اما بعد يا عائشة، فإنه قد بلغني عنك كذا وكذا، فإن كنت بريئة فسيبرئك الله، وإن كنت الممت بذنب فاستغفري الله وتوبي إليه، فإن العبد إذا اعترف بذنبه ثم تاب إلى الله تاب الله عليه"، قالت: فلما قضى رسول الله صلى الله عليه وسلم مقالته قلص دمعي حتى ما احس منه قطرة، فقلت لابي: اجب رسول الله صلى الله عليه وسلم فيما، قال: قال: والله ما ادري ما اقول لرسول الله صلى الله عليه وسلم؟ فقلت لامي: اجيبي رسول الله صلى الله عليه وسلم، قالت: ما ادري ما اقول لرسول الله صلى الله عليه وسلم؟ قالت: فقلت: وانا جارية حديثة السن لا اقرا كثيرا من القرآن إني والله لقد علمت، لقد سمعتم هذا الحديث حتى استقر في انفسكم، وصدقتم به، فلئن قلت لكم إني بريئة والله يعلم اني بريئة لا تصدقوني بذلك ولئن اعترفت لكم بامر والله يعلم اني منه بريئة لتصدقني، والله ما اجد لكم مثلا إلا، قول ابي يوسف، قال: فصبر جميل والله المستعان على ما تصفون سورة يوسف آية 18، قالت: ثم تحولت، فاضطجعت على فراشي، قالت: وانا حينئذ اعلم اني بريئة، وان الله مبرئي ببراءتي، ولكن والله ما كنت اظن ان الله منزل في شاني وحيا يتلى ولشاني في نفسي كان احقر من ان يتكلم الله في بامر يتلى، ولكن كنت ارجو ان يرى رسول الله صلى الله عليه وسلم في النوم رؤيا يبرئني الله بها، قالت: فوالله ما رام رسول الله صلى الله عليه وسلم ولا خرج احد من اهل البيت حتى انزل عليه، فاخذه ما كان ياخذه من البرحاء حتى إنه ليتحدر منه مثل الجمان من العرق، وهو في يوم شات من ثقل القول الذي ينزل عليه، قالت: فلما سري عن رسول الله صلى الله عليه وسلم سري عنه، وهو يضحك، فكانت اول كلمة تكلم بها:" يا عائشة، اما الله عز وجل فقد براك"، فقالت امي: قومي إليه، قالت: فقلت: لا، والله لا اقوم إليه، ولا، احمد إلا الله عز وجل، فانزل الله عز وجل إن الذين جاءوا بالإفك عصبة منكم لا تحسبوه سورة النور آية 11 العشر الآيات كلها، فلما انزل الله هذا في براءتي، قال ابو بكر الصديق رضي الله عنه: وكان ينفق على مسطح بن اثاثة لقرابته منه وفقره، والله لا انفق على مسطح شيئا ابدا بعد الذي، قال لعائشة: ما قال، فانزل الله ولا ياتل اولو الفضل منكم والسعة ان يؤتوا اولي القربى والمساكين والمهاجرين في سبيل الله وليعفوا وليصفحوا الا تحبون ان يغفر الله لكم والله غفور رحيم سورة النور آية 22، قال ابو بكر: بلى، والله إني احب ان يغفر الله لي، فرجع إلى مسطح النفقة التي كان ينفق عليه، وقال: والله لا انزعها منه ابدا، قالت عائشة: وكان رسول الله صلى الله عليه وسلم يسال زينب ابنة جحش عن امري؟ فقال:" يا زينب، ماذا علمت او رايت؟" فقالت: يا رسول الله، احمي سمعي، وبصري، ما علمت إلا خيرا، قالت: وهي التي كانت تساميني من ازواج رسول الله صلى الله عليه وسلم، فعصمها الله بالورع، وطفقت اختها حمنة تحارب لها، فهلكت فيمن هلك من اصحاب الإفك".
Hum se Yahya bin Bukayr ne byaan kiya , kaha hum se Layth bin Saad ne byaan kiya , un se Yunus bin Yazid ne , un se Ibn Shihab ne byaan kiya , unhein Urwah bin Zubayr , Saeed bin Musayyab , Alqamah bin Waqqas aur Ubaydullah bin Abdullah bin Utbah bin Masood ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Aisha razi Allahu anhuma par tohmat lagane ka waqia byaan kiya . Yani jis mein tohmat lagane walon ne un ke mutalliq afwah urayi thi aur phir Allah Ta'ala ne un ko is se bari qarar diya tha . In tamam rawiyon ne poori hadees ka ek ek tukra byaan kiya aur in rawiyon mein se baaz ka byaan baaz doosre ke byaan ki tasdeeq karta hai . Yeh alag baat hai ke in mein se baaz rawi ko baaz doosre ke muqabla mein hadees zyada behtar tariqa par mahfooz , yaad thi . Mujh se yeh hadees Urwah ne Aisha razi Allahu anha se is tarah byaan ki ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki zauja mutahhara Aisha razi Allahu anha ne kaha ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam safar ka irada karte to apni biwiyon mein se kisi ko apne saath le jaane ke liye qura daalte jin ka naam nikal jata unhein apne saath le jate . Unhon ne byaan kiya ke ek ghazwa ke mauqa par isi tarah Aap ne qura dala aur mera naam nikla . Main Aap ke saath rawana hui . Yeh waqia parda ke hukm nazil hone ke baad ka hai . Mujhe haudaj samait oont par charha diya jata aur isi tarah utaar liya jata tha . Yun hamara safar jaari raha . Phir jab Aap is ghazwa se farigh ho kar wapas laute aur hum Madinah ke qareeb pahunch gaye to ek raat jab kooch ka hukm hua . Main (qaza e haajat ke liye) parao se kuch door gayi aur qaza e haajat ke baad apne kajaway ke paas wapas aa gayi . Is waqt mujhe khayal hua ke mera Zhufar ke naginon ka bana hua haar kahin rasta mein gir gaya hai . Main usay dhoondne lagi aur is mein itna mahv ho gayi ke kooch ka khayal hi na raha . Itne mein jo log mere haudaj ko sawar kiya karte thay aaye aur mere haudaj ko utha kar is oont par rakh diya jo meri sawari ke liye tha . Unhon ne yahi samjha ke main is mein baithi hui hoon . In dinon auratein bahut halki phulki hua karti thien gosht se un ka jism bhaari nahi hota tha kyunke khane peene ko bahut kam milta tha . Yahi wajah thi ke jab logon ne haudaj ko uthaya to is ke halke-pan mein unhein koi ajnabiyat nahi mehsoos hui . Main yun bhi is waqt kam umr larki thi . Chunanche in logon ne is oont ko uthaya aur chal pare . Mujhe haar is waqt mila jab lashkar guzar chuka tha . Main jab parao par pahunchi to wahan na koi pukarne wala tha aur na koi jawab dene wala . Main wahan ja kar baith gayi jahan pehle baithi hui thi . Mujhe yaqeen tha ke jald hi unhein mere na hone ka ilm ho jaye ga aur phir woh mujhe talash karne ke liye yahan aayein ge . Main apni isi jagah par baithi thi ke meri aankh lag gayi aur main so gayi . Safwan bin Muattal Salmi summ Zhakwani lashkar ke peeche peeche aa rahe thay (taake agar lashkar walon se koi cheez chhoot jaye to usay utha lein safar mein yeh dastoor tha) raat ka aakhri hissa tha , jab mere maqam par pahunche to subah ho chuki thi . Unhon ne (door se) ek insani saya dekha ke para hua hai woh mere qareeb aaye aur mujhe dekhte hi pehchan gaye . Parda ke hukm se pehle unhon ne mujhe dekha tha . Jab woh mujhe pehchan gaye to «inna lillahi» parhne lage . Main un ki aawaz par jaag gayi aur chehra chadar se chhupa liya . Allah ki qasam! Is ke baad unhon ne mujh se ek lafz bhi nahi kaha aur na main ne «inna lillahi wa inna ilayhi raaji'oona» ke siwa un ki zaban se koi kalma suna . Is ke baad unhon ne apna oont bitha diya aur main is par sawar ho gayi woh (khud paidal) oont ko aage se khainchte huay le chale . Hum lashkar se is waqt milay jab woh bhari dopahar mein (dhoop se bachne ke liye) parao kiye huay thay , is tohmat mein pesh pesh Abdullah bin Ubayy bin Salool munafiq tha . Madinah pahunch kar main beemar par gayi aur ek mahina tak beemar rahi . Is arsa mein logon mein tohmat lagane walon ki baaton ka barabar charcha raha lekin mujhe in baaton ka koi ihsas bhi na tha . Sirf ek muamla se mujhe shubha sa hota tha ke main apni beemari mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki taraf se lutf o mohabbat ka izhaar nahi dekhti thi jo pehli beemariyon ke dinon mein dekh chuki thi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam andar tashreef laate salam kar ke sirf itna pooch lete ke kya haal hai ? Aur phir wapas chale jate . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke isi tarz e amal se shubha hota tha lekin surat e haal ka mujhe koi ihsas nahi tha . Ek din jab (beemari se kuch afaqa tha) kamzori baqi thi to main bahar nikli mere saath Umm Mistah razi Allahu anha bhi thien hum Manasi ki taraf gaye . Qaza e haajat ke liye hum wahin jaya karte thay aur qaza e haajat ke liye hum sirf raat hi ko jaya karte thay . Yeh is se pehle ki baat hai jab hamare gharon ke qareeb bait-ul-khala nahi bane thay . Is waqt tak hum qadeem Arab ke dastoor ke mutabiq qaza e haajat aabaadi se door ja kar kiya karte thay . Is se hamain bad-boo se takleef hoti thi ke bait-ul-khala hamare ghar ke qareeb bana diye jayein . Khair main aur Umm Mistah qaza e haajat ke liye rawana huay . Woh Abu Ruhm bin Abd Manaf ki beti thien aur un ki walda (Raanti naami) Sakhr bin Aamir ki beti thien . Is tarah woh Abu Bakr razi Allahu anhu ki khala hoti hain . Un ke larke Mistah bin Usasa hain . Qaza e haajat ke baad jab hum ghar wapas aane lage to Mistah ki maan ka paon unhi ki chadar mein ulajh kar phisl gaya . Is par un ki zaban se nikla Mistah barbad ho , main ne kaha tum ne buri baat kahi , tum ek aise shakhs ko bura kehti ho jo Ghazwa Badr mein shareek raha hai . Unhon ne kaha , wah is ki baatein tu ne nahi suni ? Main ne poocha: unhon ne kya kaha hai ? Phir unhon ne mujhe tohmat lagane walon ki baatein batayein main pehle se beemar thi hi , in baaton ko sun kar mera marz aur barh gaya phir jab ghar pahunchi aur Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam andar tashreef laye to Aap ne salam kiya aur daryaft farmaya ke kaisi tabiyat hai ? Main ne arz kiya ke kya Aap mujhe apne maan baap ke ghar jaane ki ijazat dein ge ? Mera maqsad maan baap ke yahan jaane se sirf yeh tha ke is khabar ki haqiqat un se poori tarah maloom ho jaye gi . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe jaane ki ijazat de di aur main apne walidain ke ghar aa gayi . Main ne walda se poocha ke yeh log kis tarah ki baatein kar rahe hain ? Unhon ne farmaya beti sabr karo , kam hi koi aaisi haseen o jameel aurat kisi aise mard ke nikah mein ho gi jo is se mohabbat rakhta ho aur is ki saukanein bhi hon aur phir bhi woh is tarah usay neecha dikhane ki koshish na karein . Byaan kiya ke is par main ne kaha: Subhan Allah! Kya is tarah ka charcha logon ne bhi kar diya ? Unhon ne byaan kiya ke is ke baad main rone lagi aur raat bhar roti rahi . Subah ho gayi lekin mere aansu nahi thimte thay aur na neend ka naam o nishan tha . Subah ho gayi aur main roye ja rahi thi isi arsa mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Ali bin Abi Talib aur Usamah bin Zayd razi Allahu anhum ko bulaya kyunke is muamla mein Aap par koi wahi nazil nahi hui thi . Aap in se mere chhor dene ke liye mashwara lena chahte thay . Kyunke wahi utarne mein der ho gayi thi . Aisha razi Allahu anha kehti hain ke Usamah bin Zayd razi Allahu anhuma ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko isi ke mutabiq mashwara diya jis ka unhein ilm tha ke Aap ki ahliya (yani khud Aisha Siddiqa razi Allahu anha) is tohmat se bari hain . Is ke alawa woh yeh bhi jaante thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko un se kitna talluq e khaatir hai . Unhon ne arz kiya ke ya Rasool Allah! Aap ki biwi ke baare mein khair o bhalayi ke siwa aur hamain kisi cheez ka ilm nahi aur Ali ne arz kiya ke ya Rasool Allah! Allah Ta'ala ne Aap par koi tangi nahi ki hai , auratein in ke siwa aur bhi bahut hain , in ki baandi (Barira) se bhi Aap is muamla mein daryaft farma lein . Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne Barira ko bulaya aur daryaft farmaya: Barira! Kya tum ne koi aaisi cheez dekhi hai jis se tujh ko shubha guzra ho ? Unhon ne arz kiya , nahi huzoor! Is zaat ki qasam jis ne Aap ko haq ke saath bheja hai , main ne in mein koi aaisi baat nahi paayi jis par main aib laga sakoon , ek baat zaroor hai ke woh kam umr larki hain , aata goondhne mein bhi so jati hain aur itne mein koi bakri ya parinda waghaira wahan pahunch jata hai aur in ka goondha hua aata kha jata hai . Is ke baad Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam kharay huay aur is din Aap ne Abdullah bin Ubayy bin Salool ki shikayat ki . Byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mimbar par kharay ho kar farmaya ke Ae Musalmano! Ek aise shakhs ke baare mein kaun meri madad karta hai jis ki aziyat rasani ab mere ghar pahunch gayi hai . Allah ki qasam ke main apni biwi ko naik paak daman hone ke siwa kuch nahi jaanta aur yeh log jis mard ka naam le rahe hain in ke baare mein bhi khair ke siwa main aur kuch nahi jaanta . Woh jab bhi mere ghar mein gaye to mere saath hi gaye hain . Is par Saad bin Maaz Ansari razi Allahu anhu uthay aur kaha ke ya Rasool Allah! Main Aap ki madad karoon ga aur agar woh shakhs qabila Aus se talluq rakhta hai to main is ki gardan ura doon ga aur agar woh hamare bhaiyon yani Khazraj mein ka koi aadmi hai to Aap hamain hukm dein , tameel mein kotahi nahi ho gi . Rawi ne byaan kiya ke is ke baad Saad bin Ubadah razi Allahu anhu kharay huay , woh qabila Khazraj ke sardar thay , is se pehle woh mard e salih thay lekin aaj un par qaumi hamiyat ghalib aa gayi thi (Abdullah bin Ubayy bin Salool munafiq) in hi ke qabila se talluq rakhta tha unhon ne uth kar Saad bin Maaz razi Allahu anhu se kaha: Allah ki qasam! Tum ne jhoot kaha hai tum usay qatl nahi kar sakte , tum mein is ke qatl ki taqat nahi hai . Phir Usayd bin Huzayr razi Allahu anhu kharay huay woh Saad bin Maaz ke chachere bhai thay unhon ne Saad bin Ubadah se kaha ke Allah ki qasam! Tum jhoot bolte ho , hum usay zaroor qatl karein ge , kya tum munafiq ho gaye ho ke munafiqon ki taraf-dari mein larte ho ? Itne mein donon qabile Aus o Khazraj uth kharay huay aur naubat aapas hi mein larnay tak pahunch gayi . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam mimbar par kharay thay . Aap logon ko khamosh karne lage . Aakhir sab log chup ho gaye aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bhi khamosh ho gaye . Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke is din bhi main barabar roti rahi na aansu thimta tha aur na neend aati thi . Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke jab (doosri) subah hui to میرے walidain mere paas hi maujood thay , do raatein aur ek din mujhe musalsal rote huay guzar gaya tha . Is arsa mein na mujhe neend aati thi aur na aansu thimte thay . Walidain sochne lage ke kahin rote rote mera dil na phat jaye . Unhon ne byaan kiya ke abhi woh isi tarah mere paas baithe huay thay aur main roye ja rahi thi ke qabila Ansar ki ek khatoon ne andar aane ki ijazat chaahi , main ne unhein andar aane ki ijazat de di , woh bhi mere saath baith kar rone lagein . Hum isi haal mein thay ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam andar tashreef laye aur baith gaye . Unhon ne kaha ke jab se mujh par tohmat lagayi gayi thi is waqt se ab tak Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam mere paas nahi baithe thay , Aap ne ek mahina tak is muamla mein intizar kiya aur Aap salla Allahu alaihi wasallam par is silsile mein koi wahi nazil nahi hui . Unhon ne byaan kiya ke baithne ke baad Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khutba parha phir farmaya , Amma baad! Ae Aisha! Tumhare baare mein mujhe is is tarah ki khabrein pahunchi hain pas agar tum bari ho to Allah Ta'ala tumhari bara'at khud kar de ga . Lekin agar tum se ghalati se gunah ho gaya hai to Allah se dua e maghfirat karo aur is ki bargah mein tauba karo , kyunke banda jab apne gunah ka iqrar kar leta hai aur phir Allah se tauba karta hai to Allah Ta'ala bhi is ki tauba qabool kar leta hai . Aisha razi Allahu anha ne kaha ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam apni guftagu khatam kar chuke to yak-baargi mere aansu is tarah khushk ho gaye jaise ek qatra bhi baqi na raha ho . Main ne apne walid (Abu Bakr) se kaha ke Aap meri taraf se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko jawab dijiye . Unhon ne farmaya ke Allah ki qasam! Main nahi samajhta ke mujhe Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se is silsile mein kya kehna hai . Phir main ne apni walda se kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki baaton ka meri taraf se Aap jawab dein . Unhon ne bhi yahi kaha ke Allah ki qasam! Mujhe nahi maloom ke main Aap se kya arz karoon . Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke phir main khud hi boli main is waqt nau-umr larki thi , main ne bahut zyada Quran bhi nahi parha tha (main ne kaha ke) Allah ki qasam! Main to yeh jaanti hoon ke in afwahon ke mutalliq jo kuch Aap logon ne suna hai woh Aap logon ke dil mein jamm gaya hai aur Aap log usay sahi samajhne lage hain , ab agar main yeh kehti hoon ke main in tohmaton se bari hoon aur Allah khoob jaanta hai ke main waqayi bari hoon , to Aap log meri baat ka yaqeen nahi karein ge , lekin agar main tohmat ka iqrar kar loon , haalan ke Allah ke ilm mein hai ke main is se qata'an bari hoon , to Aap log meri tasdeeq karne lagein ge . Allah ki qasam! Mere paas Aap logon ke liye koi misal nahi hai siwa Yusuf ke walid ke is irshad ke ke unhon ne farmaya tha «fasabrun jameelun wallahul musta-aanu ala ma tasifoona» ”pas sabr hi achha hai aur tum jo kuch byaan karte ho is par Allah hi madad kare ga“ byaan kiya ke phir main ne apna rukh doosri taraf kar liya aur apne bistar par lait gayi . Kaha ke mujhe poora yaqeen tha ke main bari hoon aur Allah Ta'ala meri bara'at zaroor kare ga lekin Allah ki qasam! Mujhe is ka wahm o guman bhi nahi tha ke Allah Ta'ala mere baare mein aaisi wahi nazil farmaye ga jis ki tilawat ki jaye gi . Main apni haisiyat is se bahut kam tar samajhti thi ke Allah Ta'ala mere baare mein (Quran Majeed ki aayat) nazil farmaye . Albatta mujhe is ki tawaqqo zaroor thi ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam mere mutalliq koi khwab dekhein ge aur Allah Ta'ala is ke zariye meri bara'at kar de ga . Byaan kiya ke Allah ki qasam Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam abhi apni isi majlis mein tashreef rakhte thay ghar walon mein se koi bahar na tha ke Aap par wahi ka nuzool shuru hua aur wahi kaifiyat Aap salla Allahu alaihi wasallam par tari hui thi jo wahi ke nazil hote huay tari hoti thi yani Aap salla Allahu alaihi wasallam paseene paseene ho gaye aur paseena motiyon ki taraf Aap ke jism e athar se dhalne laga haalan ke sardi ke din thay . Yeh kaifiyat Aap par is wahi ki shiddat ki wajah se tari hoti thi jo Aap par nazil hoti thi . Byaan kiya ke phir jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki kaifiyat khatam hui to Aap salla Allahu alaihi wasallam tabassum farma rahe thay aur sab se pehla kalma jo Aap ki zaban mubarak se nikla , yeh tha ke Aisha! Allah ne tumhein bari qarar diya hai . Meri walda ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke samne (Aap ka shukr ada karne ke liye) khari ho jao . Byaan kiya ke main ne kaha: Allah ki qasam! Main hargiz Aap ke samne khari nahi hoon gi na Aap ka shukriya ada karoon ga aur na Aap logon ka shukriya ada karoon ga , main to sirf Allah ka shukr ada karoon ga jis ne meri bara'at nazil ki hai . Aap logon ne to yeh afwah suni aur is ka inkar bhi na kar sake , is ke khatam karne ki bhi koshish nahi ki . Aisha razi Allahu anha farmati thien ke Zaynub bint Jahsh ko Allah Ta'ala ne un ki deendari ki wajah se is tohmat mein parne se bacha liya . Meri baabat unhon ne khair ke siwa aur koi baat nahi kahi , albatta un ki behen Hamna halak hone walon ke saath halak huien . Is toofan ko phailane mein Mistah aur Hassan aur munafiq Abdullah bin Ubayy ne hissa liya tha . Abdullah bin Ubayy munafiq hi to khod khod kar is ko poochta aur is par hashiya charhata , wahi is toofan ka baani mubaani tha . «wa huwallazhi tawalla kibrahu» se woh aur Hamna murad hain . Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke phir Abu Bakr razi Allahu anhu ne qasam khayi ke Mistah ko koi faida aainda kabhi woh nahi pahunchayein ge . Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «wa la ya'tali ulul fadli minkum was-saati an yu'too ulil qurba wal masakeena wal muhajireena fee sabilillahi wal yafoo wal yasfahoo ala tuhibboona an yaghfirallahu lakum wallahu ghafoorur raheemun» ”aur jo log tum mein buzurgi aur wusat wale hain , woh qarabati walon ko aur miskeenon ko aur Allah ke raste mein Hijrat karne walon ki madad dene se qasam na kha baithein balkay chahiye ke un ki laghzishon ko maaf karte rahein aur darguzar karte rahein , kya tum yeh nahi chahte ke Allah tumhare qasoor maaf karta rahe , beshak Allah bara maghfirat wala , bara hi rahmat wala hai .“ Abu Bakr razi Allahu anhu bolay , haan Allah ki qasam! Meri to yahi khwahish hai ke Allah Ta'ala meri maghfirat farma de chunanche Mistah razi Allahu anhu ko woh tamam ikhrajat dene lage jo pehle diya karte thay aur farmaya ke Allah ki qasam! Ab kabhi un ka kharch band nahi karoon ga . Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Umm al-Momineen Zaynub bin Jahsh razi Allahu anha se bhi mere muamla mein poocha tha . Aap ne daryaft farmaya ke Zaynub! Tum ne bhi koi cheez kabhi dekhi hai ? Unhon ne arz kiya: ya Rasool Allah! Mere kaan aur meri aankh ko Allah salamat rakkhe , main ne in ke andar khair ke siwa aur koi cheez nahi dekhi . Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke azwaj e mutahharat mein wahi ek thien jo mujh se bhi oopar rehna chahti thien lekin Allah Ta'ala ne un ki parhezgari ki wajah se unhein tohmat lagane se mahfooz rakkha . Lekin un ki behen Hamna un ke liye lari aur tohmat lagane walon ke saath woh bhi halak ho gayi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَلَوْلاَ فَضْلُ اللَّهِ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَتُهُ فِي الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ لَمَسَّكُمْ فِيمَا أَفَضْتُمْ فِيهِ عَذَابٌ عَظِيمٌ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Agar tum par Allah ka fazl aur us ki rehmat na hoti dunya mein bhi aur aakhirat mein bhi to jis shughl (tuhmat) mein tum pare the us mein tum par sakht azab nazil hota”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4751
وقال مجاهد: تلقونه: يرويه بعضكم عن بعض، تفيضون: تقولون.
Mujahid ne kaha ke «talaqqawnahu» ka matlab yeh hai ke tum ek doosre se munh dar munh is baat ko naqal karne lage . Lafz «tufeedhoona» (jo Surah Yunus mein hai) bamaani «taqooloona» ke hai , is ka maani tum kehte thay .