الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِهِ: {وَلَقَدْ كَذَّبَ أَصْحَابُ الْحِجْرِ الْمُرْسَلِينَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur baliyqeen Hijr walon ne bhi hamare rasoolon ko jhutlaya”.
Hadith Number: 4702
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا معن، قال: حدثني مالك، عن عبد الله بن دينار، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال لاصحاب الحجر:" لا تدخلوا على هؤلاء القوم إلا ان تكونوا باكين، فإن لم تكونوا باكين، فلا تدخلوا عليهم، ان يصيبكم مثل ما اصابهم".
Hum se Ibrahim bin Musa ne byaan kiya , kaha hum ko Hisham bin Yusuf ne khabar di , unhein Ibn Jareer ne khabar di , kaha ke mujhe Yala bin Muslim aur Amr bin Dinar ne khabar di Saeed bin Jubayr se , donon mein se ek apne saathi aur digar rawi ke muqabla mein baaz alfaz zyada kehta hai aur un ke alawa ek aur sahab ne bhi Saeed bin Jubayr se sun kar byaan kiya ke unhon ne kaha hum Ibn Abbas razi Allahu anhuma ki khidmat mein un ke ghar hazir thay . Unhon ne farmaya ke deen ki baatein mujh se kuch poocho . Main ne arz kiya: Ae Abu al-Abbas! Allah Aap par mujhe qurban kare Kufa mein ek waa-iz shakhs Nauf naami (Nauf Bakali) hai aur woh kehta hai ke Musa , Khidr alaihissalam se milne wale woh nahi thay jo Bani Israeel ke paighambar Musa alaihissalam huay hain (Ibn Jurayj ne byaan kiya ke) Amr bin Dinar ne to riwayat is tarah byaan ki ke Ibn Abbas ne kaha dushman e Khuda jhooti baat kehta hai aur Yala bin Muslim ne apni riwayat mein is tarah mujh se byaan kiya ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke mujh se Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu ne byaan kiya , kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Musa alaihissalam Allah ke Rasool thay ek din Aap ne logon (Bani Israeel) ko aisa waaz farmaya ke logon ki aankhon se aansu nikal pare aur dil paseej gaye to Aap wapas jaane ke liye mure . Is waqt ek shakhs ne in se poocha: Ae Allah ke Rasool! Kya duniya mein Aap se bara koi aalim hai ? Unhon ne kaha ke nahi , is par Allah ne Musa alaihissalam par itab nazil kiya , kyunke unhon ne ilm ki nisbat Allah Ta'ala ki taraf nahi ki thi . (un ko yun kehna chahiye tha ke Allah hi jaanta hai) . In se kaha gaya ke haan tum se bhi bara aalim hai . Musa alaihissalam ne arz kiya , Ae Parvardigar! Woh kahan hai . Allah ne farmaya jahan (Faaris aur Room ke) do darya milay hain . Musa alaihissalam ne arz kiya: Ae Parvardigar! Mere liye un ki koi nishani aaisi batla de ke main in tak pahunch jaoon . Ab Amr bin Dinar ne mujh (Ibn Jurayj) se byaan kiya ke Allah Ta'ala ne farmaya , jahan tum se machhli tumhari zanbeel se chal de (wahin woh milein ge) aur Yala ne hadees is tarah byaan ki ke ek murdah machhli saath le lo , jahan is machhli mein jaan par jaye (wahin woh milein ge) Musa alaihissalam ne machhli saath le li aur usay ek zanbeel mein rakh liya . Aap ne apne saathi Yoosha se farmaya ke main bas tumhein itni takleef deta hoon ke jab yeh machhli zanbeel se nikal kar chal de to mujhe batana . Unhon ne arz kiya ke yeh kaun si bari takleef hai . Isi ki taraf isharah hai Allah Ta'ala ke irshad «wa izh qaala Musa lifataahu» mein woh «fata» (rafeeq e safar) Yoosha Ibn Noon thay . Saeed bin Jubayr (rawi e hadees) ne apni riwayat mein Yoosha bin Noon ka naam nahi liya . Byaan kiya ke phir Musa alaihissalam ek chatan ke saya mein thehar gaye jahan nami aur thand thi . Is waqt machhli tarpi aur darya mein kood gayi . Musa alaihissalam so rahe thay is liye Yoosha ne socha ke Aap ko jagana na chahiye . Lekin jab Musa alaihissalam bedar huay to machhli ka haal kehna bhool gaye . Isi arsa mein machhli tarap kar pani mein chali gayi . Allah Ta'ala ne machhli ki jagah pani ke bahao ko rok diya aur machhli ka nishan patthar par jis par se gayi thi ban gaya . Amr bin Dinar ne mujh (Ibn Jurayj) se byaan kiya ke is ka nishan patthar pe ban gaya aur donon angoothon aur kalma ki ungliyon ko mila kar ek halqa ki tarah is ko bataya . Bedar hone ke baad Musa alaihissalam baqi din aur baqi raat chalte rahe . Aakhir kehne lage . Hamain ab is safar mein thakan ho rahi hai . Un ke khadim ne arz kiya . Allah ne Aap ki thakan ko door kar diya hai (aur machhli zinda ho gayi hai) . Ibn Jurayj ne byaan kiya ke yeh tukra Saeed bin Jubayr ki riwayat mein nahi hai . Phir Musa alaihissalam aur Yoosha donon wapas laute aur Khidr alaihissalam se mulaqat hui (Ibn Jurayj ne kaha) mujh se Usman bin Abi Sulayman ne byaan kiya ke Khidr alaihissalam darya ke beech mein ek chhotay se sabz zeen-posh par tashreef rakhte thay . Aur Saeed bin Jubayr ne yun byaan kiya ke woh apne kapre se tamam jism lipeite huay thay . Kapre ka ek kinara un ke paon ke neeche tha aur doosra sar ke tallay tha . Musa alaihissalam ne pahunch kar salam kiya to Khidr alaihissalam ne apna chehra khola aur kaha , meri is zameen mein salam ka rawaj kahan se aa gaya . Aap kaun hain ? Musa alaihissalam ne farmaya ke main Musa hoon . Poocha , Musa Bani Israeel ? Farmaya ke haan! Poocha , Aap kyun aaye hain ? Farmaya ke mere aane ka maqsad yeh hai ke jo hidayat ka ilm Aap ko Allah ne diya hai woh mujhe bhi sikha dein . Is par Khidr alaihissalam ne farmaya ke Musa kya Aap ke liye yeh kafi nahi hai is ka poora seekhna Aap ke liye munasib nahi hai . Isi tarah Aap ko jo ilm haasil hai is ka poora seekhna mere liye munasib nahi . Is arsa mein ek chariya ne apni chonch se darya ka pani liya to Khidr alaihissalam ne farmaya: Allah ki qasam! Mera aur Aap ka ilm Allah ke ilm ke muqable mein is se zyada nahi hai . Jitna is chariya ne darya ka pani apni chonch mein liya hai . Kashti par charhne ke waqt unhon ne chhoti chhoti kashtiyaan dekhein jo ek kinare walon ko doosre kinare par le ja kar chhor aati thien . Kashti walon ne Khidr alaihissalam ko pehchan liya aur kaha ke yeh Allah ke salih bande hain hum in se kiraya nahi lein ge . Lekin Khidr alaihissalam ne kashti mein shigaaf kar diye aur is mein (takhton ki jagah) keelein gaarr dien . Musa alaihissalam ne kaha Aap ne is liye isay phaar dala ke is ke musafiron ko dubo dein . Bilashubha Aap ne yeh bara nagowar kaam kiya hai . Mujahid ne aayat mein «imran» ka tarjuma «munkaran» kiya hai . Khidr alaihissalam ne farmaya main ne pehle hi na kaha tha ke Aap mere saath sabr nahi kar sakte . Musa alaihissalam ka pehla sawal to bhoolne ki wajah se tha lekin doosra bataur shart tha aur teesra qasdan unhon ne kiya tha . Musa alaihissalam ne is pehle sawal par kaha ke jo main bhool gaya is par mujh se muakhizha na kijiye aur mere muamla mein tangi na kijiye . Phir unhein ek bacha mila to Khidr alaihissalam ne usay qatl kar diya . Yala ne byaan kiya ke Saeed bin Jubayr ne kaha ke Khidr alaihissalam ko chand bache milay jo khel rahe thay Aap ne in mein se ek bacha ko pakra jo kafir aur chalak tha aur usay lita kar chhuri se zibah kar diya . Musa alaihissalam ne farmaya , Aap ne bila kisi khoon ke ek be-gunah jaan ko jis ne ke bura kaam nahi kiya tha , qatl kar dala . Ibn Abbas razi Allahu anhuma aayat mein «zakiyyatan» ki jagah «zaakiyatan» parha karte thay . Bamaani «muslimatan» jaise «ghulaman zakiyyan» mein hai . Phir woh donon buzurg aage barhay to ek diwar par nazar pari jo bas girne hi wali thi . Khidr alaihissalam ne usay theek kar diya . Saeed bin Jubayr ne apne hath se isharah kar ke bataya ke is tarah . Yala bin Muslim ne byaan kiya mera khayal hai ke Saeed bin Jubayr ne byaan kiya ke Khidr ne diwar par hath pher kar usay theek kar diya . Musa alaihissalam ne farmaya ke agar Aap chahte to is par ujrat le sakte thay . Saeed bin Jubayr ne is ki tashreeh ki ke ujrat jise hum kha sakte . Aayat «wa kaana wara'ahum» ki Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne qirat «wa kaana amamahum» ki yani kashti jahan ja rahi thi is mulk mein ek baadshah tha . Saeed ke siwa doosre rawi se is baadshah ka naam Hudad bin Budad naqal karte hain aur jis bacha ko Khidr alaihissalam ne qatl kiya tha is ka naam log Jaysoor byaan karte hain . Woh baadshah har (nayi) kashti ko zabardasti chheen liya karta tha . Is liye main ne chaha ke jab yeh kashti is ke samne se guzre to is ke is aib ki wajah se usay na chheene . Jab kashti wale is baadshah ki sultant se guzar jayein ge to woh khud usay theek kar lein ge aur usay kaam mein laate rahein ge . Baaz logon ka to yeh khayal hai ke unhon ne kashti ko phir seesa laga kar jorra tha aur baaz kehte hain ke taar-kol se jorra tha (aur jis bacha ko qatl kar diya tha) to is ke walidain momin thay aur woh bacha (Allah ki taqdeer mein) kafir tha . Is liye hamain darr tha ke kahin (bara ho kar) woh unhein bhi kufr mein mubtala na kar de ke apne larke se intihaayi mohabbat unhein is ke deen ki ittiba par majboor kar de . Is liye hum ne chaha ke Allah is ke badle mein unhein koi naik aur is se behtar aulad de . «wa aqraba ruhman» yani is ke walidain is bacha par jo ab Allah Ta'ala unhein de ga pehle se zyada behtar meherban hon jise Khidr alaihissalam ne qatl kar diya hai . Saeed bin Jubayr razi Allahu anhu ne kaha ke in walidain ko is bache ke badle ek larki di gayi thi . Dawood bin Abi Aasim rahmahullah kai rawiyon se naqal karte hain ke woh larki hi thi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَلَقَدْ آتَيْنَاكَ سَبْعًا مِنَ الْمَثَانِي وَالْقُرْآنَ الْعَظِيمَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur tahqeeq hum ne Aap ko (woh) saat (aayatein) di hain (jo) baar-baar (parhi jati hain) aur woh Quran-e-Azeem hai”.
Hadith Number: 4703
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن خبيب بن عبد الرحمن، عن حفص بن عاصم، عن ابي سعيد بن المعلى، قال: مر بي النبي صلى الله عليه وسلم وانا اصلي، فدعاني فلم آته حتى صليت، ثم اتيت، فقال:" ما منعك ان تاتيني؟" فقلت: كنت اصلي، فقال:" الم يقل الله: يايها الذين آمنوا استجيبوا لله وللرسول إذا دعاكم لما يحييكم سورة الانفال آية 24، ثم قال:" الا اعلمك اعظم سورة في القرآن، قبل ان اخرج من المسجد"، فذهب النبي صلى الله عليه وسلم ليخرج من المسجد، فذكرته، فقال:" الحمد لله رب العالمين سورة الفاتحة آية 2 هي السبع المثاني والقرآن العظيم، الذي اوتيته".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Ghundar ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Khubayb bin Abdur Rahman ne , un se Hafs bin Aasim ne aur un se Abu Saeed bin al-Mualla razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam mere paas se guzre main is waqt namaz parh raha tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe bulaya . Main namaz se farigh hone ke baad khidmat mein hazir hua . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke furan hi kyun na aaye ? Arz kiya ke namaz parh raha tha . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kya Allah ne tum logon ko hukm nahi diya hai ke ae ایمin والو! Jab Allah aur us ke Rasool tumhein bulayein to labbaik kaho , phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kyun na aaj main tumhein masjid se nikalne se pehle Quran ki sab se azeem surat bataoon . Phir Aap (batane se pehle) masjid se bahar tashreef le jaane ke liye uthay to main ne baat yaad dilayi . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Surah Fatiha «alhamdu lillahi rabbil aalameen» yahi saba masani hai aur yahi Quran e Azeem hai jo mujhe diya gaya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4704
حدثنا آدم، حدثنا ابن ابي ذئب، حدثنا سعيد المقبري، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:"ام القرآن هي السبع المثاني والقرآن العظيم".
Hum se Adam ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Ibn Abi Zib ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Saeed Maqburi ne byaan kiya , un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Umm al-Quran (yani Surah Fatiha) hi saba masani aur Quran e Azeem hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {الَّذِينَ جَعَلُوا الْقُرْآنَ عِضِينَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Jinhon ne Quran ke tukre tukre kar rakhe hain”.
Hadith Number: Q4705
المقتسمين الذين حلفوا ومنه لا اقسم: اي اقسم وتقرا لاقسم، و قاسمهما: حلف لهما ولم يحلفا له وقال مجاهد: تقاسموا: تحالفوا.
«al-muqtasimeena» se woh kafir murad hain jinon ne raat ko ja kar qasam khayi thi ke Salih paighambar ki oontni ko maar dalein ge . Isi se «la uqsimu» nikla hai ke main qasam khata hoon . Baazon ne isay «la-uqsimu» parha hai ( «laam» takeed se) isi se hai . «qaasamahuma» yani Iblees ne Adam wa Hawa alayhimassalam ke samne qasam khayi lekin Adam wa Hawa ne qasam nahi khayi thi . Mujahid ne kaha ke «taqaasamoo billahi lanubayyitannahu» mein «taqaasamoo» ka maani yeh hai ke Salih paighambar ko raat ko ja kar maar dalne ki unhon ne qasam khayi thi .
Hadith Number: 4705
حدثني يعقوب بن إبراهيم، حدثنا هشيم، اخبرنا ابو بشر، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، الذين جعلوا القرءان عضين سورة الحجر آية 91، قال:" هم اهل الكتاب، جزءوه اجزاء فآمنوا ببعضه، وكفروا ببعضه".
Mujh se Yaqoob bin Ibrahim ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Hushaym ne byaan kiya , unhein Abu Bishr ne khabar di , unhein Saeed bin Jubayr ne aur un se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya aayat «allazhina jaalul qur-aana ideena» ”jinon ne Quran ke tukre kar rakkhe hain“ ke mutalliq kaha ke is se murad Ahl e Kitab hain ke unhon ne Quran ke tukre tukre kar diye .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4706
حدثنا عبيد الله بن موسى، عن الاعمش، عن ابي ظبيان، عن ابن عباس رضي الله عنهما، كما انزلنا على المقتسمين سورة الحجر آية 90، قال:" آمنوا ببعض، وكفروا ببعض، اليهود والنصارى".
Mujh se Ubaydullah bin Musa ne byaan kiya , un se Aamash ne byaan kiya , un se Abu Zhabyan Husain bin Jundub ne byaan kiya , aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke aayat «kama anzalna alal muqtasimeena» mein se Yahud o Nasara murad hain kuch Quran unhon ne mana kuch na mana .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَاعْبُدْ رَبَّكَ حَتَّى يَأْتِيَكَ الْيَقِينُ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Apne Parwardigar ki ibadat karta reh yahan tak ke tujh ko yaqeen (maut) aa jaye”.
Hadith Number: Q4707-2
قال سالم: اليقين: الموت.
Salim ne kaha ke ( «amrul yaqeeni» se murad) maut hai .“
سورة النَّحْلِ:
Bab: Surah An-Nahl ki tafseer.
Hadith Number: Q4707
روح القدس، جبريل، نزل به، الروح الامين، في ضيق يقال: امر ضيق وضيق مثل هين وهين، ولين ولين، وميت وميت، قال ابن عباس: تتفيا ظلاله تتهيا سبل ربك ذللا، لا يتوعر عليها مكان سلكته، وقال ابن عباس: في تقلبهم: اختلافهم، وقال مجاهد: تميد تكفا، مفرطون: منسيون، وقال غيره: فإذا قرات القرآن فاستعذ بالله من الشيطان الرجيم: هذا مقدم ومؤخر، وذلك ان الاستعاذة قبل القراءة ومعناها الاعتصام بالله، وقال ابن عباس: تسيمون: ترعون، شاكلته: ناحيته، قصد السبيل: البيان الدفء ما استدفات، تريحون: بالعشي وتسرحون بالغداة، بشق: يعني المشقة، على تخوف: تنقص، الانعام لعبرة: وهي تؤنث وتذكر، وكذلك النعم الانعام جماعة النعم، اكنان: واحدها كن مثل حمل واحمال، سرابيل: قمص، تقيكم الحر: واما سرابيل تقيكم باسكم، فإنها الدروع، دخلا بينكم: كل شيء لم يصح فهو دخل، قال ابن عباس: حفدة: من ولد الرجل السكر ما حرم من ثمرتها والرزق الحسن ما احل الله، وقال ابن عيينة: عن صدقة، انكاثا: هي خرقاء كانت إذا ابرمت غزلها نقضته، وقال ابن مسعود: الامة معلم الخير، والقانت المطيع
«nazhala bihir-ruhul ameenu» mein «roohul ameenu» se «roohul qudusi» Jibraeel murad hain . «fee dhayqin» Arab log kehte hain «amrun dhayqun» aur «dhayiqun» jaise «hayyinun» aur «wahayyinun» aur «layyinun» aur «walayyinun» aur «mayyitun» aur «wamayyitun» . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «fee taqallubihim» ka maani un ke ikhtilaf mein . Aur Mujahid ne kaha «tameeda» ka maani jhuk jaye , ulat jaye . «mufratoona» ka maani bhulaye gaye . Doosre logon ne kaha «fa-izha qara'tal qur-aana fasta'izh billahi» is aayat mein ibarat aage peeche ho gayi hai . Kyunke «aoozhu billahi» qirat se pehle parhna chahiye . «al-istiaazhatu» ke maani Allah se panah maangna . Aur Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «tuseemoona» ka maani churrate ho . «shaakilatin» apne apne tareeq par . «qasdus-sabeeli» sache raste ka byaan karna . «al-dif'u» har woh cheez jis se garmi haasil ki jaye , sardi dafa ho . «tureehoona» shaam ko laate ho . «tasrahoona» subah ko churane le jate ho . «bi-shiq-qin» takleef utha kar mehnat mushaqqat se . «ala takhawwufin» nuqsan kar ke . «wa inna lakum fil anaami la-ibratan» mein «al-anaama» , «naamun» ki jama hai . Muzakkar muannas donon ko «al-anaama» aur «naamun» kehte hain . «sarabeela taqeekumul harra» mein «sarabeela» se karte aur «sarabeela taqeekum ba'sakum» mein «sarabeela» se zirhein murad hain . «dakhalan baynakum» jo najaiz baat ho is ko «dakhalun» kehte hain . Jaise ( «dakhalun» yani khiyanat) . Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha «hafadatun» aadmi ki aulad . «as-sakaru» nashe aawar mashroob jo haram hai . «rizqan hasanan» jis ko Allah ne halal kiya . Aur Sufyan bin Uyaynah ne «sadaqatan» Abu al-Huzayl se naqal kiya . «ankaasan» tukre tukre yeh ek aurat ka zikr hai is ka naam «kharaqa'u» tha (jo Makkah mein rehti thi) woh din bhar soot kaatti phir torr torr kar phenk deti . Ibn Masood ne kaha «la-ummatun» ka maani logon ko achhi baatein sikhane wala aur «qanitun» ke maani «mutee-un» aur farman-bardar ke hain .
بَابُ قَوْلِهِ: {وَمِنْكُمْ مَنْ يُرَدُّ إِلَى أَرْذَلِ الْعُمُرِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur tum mein se ba’z ko nikammi umr ki taraf lauta diya jata hai”.
Hadith Number: 4707
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا هارون بن موسى ابو عبد الله الاعور، عن شعيب، عن انس بن مالك رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يدعو:" اعوذ بك من البخل والكسل، وارذل العمر وعذاب القبر، وفتنة الدجال، وفتنة المحيا والممات".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Haroon bin Musa Abu Abdullah Awar ne byaan kiya , un se Shuayb ne aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam dua kiya karte thay «aoozhu bika minal bukhli wal kasali , wa arzhalil umuri , wa azhaabil qabri , wa fitnatid-dajjali , wa fitnatil mahya wal mamaati» ke Ae Allah! Main teri panah maangta hoon bukhl se , susti se , arzhal e umr se (nikmi aur kharab umr 80 ya 90 saal ke baad) azab e qabr se , Dajjal ke fitne se aur zindagi aur maut ke fitne se .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة بَنِي إِسْرَائِيلَ:
Bab: Surah Bani Isra’eel ki tafseer.
Hadith Number: Q4708
n
.