الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ قَوْلِهِ: {وَكُلُوا وَاشْرَبُوا حَتَّى يَتَبَيَّنَ لَكُمُ الْخَيْطُ الأَبْيَضُ مِنَ الْخَيْطِ الأَسْوَدِ مِنَ الْفَجْرِ ثُمَّ أَتِمُّوا الصِّيَامَ إِلَى اللَّيْلِ وَلاَ تُبَاشِرُوهُنَّ وَأَنْتُمْ عَاكِفُونَ فِي الْمَسَاجِدِ} إِلَى قَوْلِهِ: {تَتَّقُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Khao aur piyo jab tak ke tum par subh ki safed dhaari raat ki siyah dhaari se mumtaz na ho jaye, phir roze ko raat (hone) tak poora karo aur biwiyon se is haal mein sohbat na karo jab tum i’tikaf kiye ho masjidon mein”aakhir ayat «tattaqoon» tak.
Show diacritics
Hadith Number: 4509
حدثنا موسى بن إسماعيل , حدثنا ابو عوانة، عن حصين , عن الشعبي، عن عدي , قال: اخذ عدي , عقالا ابيض وعقالا اسود حتى كان بعض الليل نظر، فلم يستبينا فلما اصبح , قال: يا رسول الله، جعلت تحت وسادي عقالين , قال:" إن وسادك إذا لعريض ان كان الخيط الابيض والاسود تحت وسادتك".
Hum se Musa bin Ismail ne byaan kiya , kaha hum se Abu Awanah ne byaan kiya , un se Husain bin Abdur Rahman ne , un se Aamir Shabi ne Adi bin Hatim razi Allahu anhu se , unhon ne byaan kiya ke unhon ne ek safaid dhaga aur ek siyah dhaga liya (aur sote huay apne saath rakh liya) . Jab raat ka kuch hissa guzar gaya to unhon ne usay dekha , woh donon mein tameez nahi hui . Jab subah hui to arz kiya: ya Rasool Allah! Main ne apne takiye ke neeche (safaid o siyah dhage rakkhe thay aur kuch nahi hua) to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is par bataur mazaq ke farmaya ke phir to tumhara takiya bahut lamba chaura ho ga ke subah ka safaidi khat aur siyah khat is ke neeche aa gaya tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4510
حدثنا قتيبة بن سعيد , حدثنا جرير , عن مطرف , عن الشعبي، عن عدي بن حاتم رضي الله عنه , قال: قلت: يا رسول الله , ما الخيط الابيض من الخيط الاسود اهما الخيطان؟ قال:" إنك لعريض القفا إن ابصرت الخيطين، ثم قال" لا، بل هو سواد الليل وبياض النهار".
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Jareer ne byaan kiya , un se Mutarrif ne byaan kiya , un se Shabi ne byaan kiya aur un se Adi bin Hatim razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main ne arz kiya: ya Rasool Allah! (aayat mein) «al-khaitul abyadu» aur «al-khaitul aswadu» se kya murad hai ? Kya in se murad do dhage hain ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhari khopri phir to bari lambi chaura ho gi . Agar tum ne raat ko do dhage dekhe hain . Phir farmaya ke in se murad raat ki siyahi aur subah ki safaidi hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4511
حدثنا ابن ابي مريم , حدثنا ابو غسان محمد بن مطرف , حدثني ابو حازم، عن سهل بن سعد , قال: وانزلت وكلوا واشربوا حتى يتبين لكم الخيط الابيض من الخيط الاسود سورة البقرة آية 187 ولم ينزل من الفجر، وكان رجال إذا ارادوا الصوم ربط احدهم في رجليه الخيط الابيض والخيط الاسود ولا يزال ياكل حتى يتبين له رؤيتهما، فانزل الله بعده من الفجر سورة البقرة آية 187 فعلموا انما يعني الليل من النهار".
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne bayan kiya , unhone kaha hum se Abughassan Muhammad bin Mutarrif ne bayan kiya , unhone kaha mujh se Abu Hazim Salama bin Dinar ne bayan kiya , un se Sahl bin Saad rz ne bayan kiya ke jab yeh ayat nazil hui ke «Wa Kulu Washrabu Hatta Yatabayyana Lakumul Khaitul Abyadu Minal Khaitil Aswadi» aur «Minal Fajri» ke alfaz abhi nazil nahi hue thay to kayi log jab roza rakhne ka irada karte to apne donon paon mein safaid aur siyah dhaga baandh lete aur phir jab tak woh donon dhage saaf dikhayi dene na lag jate barabar khate peete rehte . Phir Allah Ta'ala ne «Minal Fajri» ke alfaz utare tab un ko maloom hua ke kale dhage se raat aur safaid dhage se din murad hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَلَيْسَ الْبِرُّ بِأَنْ تَأْتُوا الْبُيُوتَ مِنْ ظُهُورِهَا وَلَكِنَّ الْبِرَّ مَنِ اتَّقَى وَأْتُوا الْبُيُوتَ مِنْ أَبْوَابِهَا وَاتَّقُوا اللَّهَ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur ye to koi bhi neki nahi ke tum gharon mein un ki pichhli deewar ki taraf se aao, albatta neki ye hai ke koi shakhs taqwa ikhtiyar kare aur gharon mein un ke darwazon se aao aur Allah se darte raho taake tum falah pa jao”.
Show diacritics
Hadith Number: 4512
حدثنا عبيد الله بن موسى , عن إسرائيل , عن ابي إسحاق، عن البراء، قال:" كانوا إذا احرموا في الجاهلية اتوا البيت من ظهره، فانزل الله: وليس البر بان تاتوا البيوت من ظهورها ولكن البر من اتقى واتوا البيوت من ابوابها سورة البقرة آية 189".
Hum se Ubaydullah bin Musa ne byaan kiya , kaha un se Israeel ne , un se Abu Ishaq ne aur un se Bara bin Azib razi Allahu anhu ne byaan kiya ke jab log jahiliyat mein ihram bandh lete to gharon mein peeche ki taraf se chhat par charh kar dakhil hote . Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «wa laysal birru bi-an ta'tul buyoota min zhuhooriha wa lakinnal birra manit-taqa wa'tul buyoota min abwaabiha» ke ”aur yeh naiki nahi hai ke tum gharon mein un ke peeche ki taraf se aao , albatta naiki yeh hai ke koi shakhs taqwa ikhtiyar kare aur gharon mein un ke darwazon se aao .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَقَاتِلُوهُمْ حَتَّى لاَ تَكُونَ فِتْنَةٌ وَيَكُونَ الدِّينُ لِلَّهِ فَإِنِ انْتَهَوْا فَلاَ عُدْوَانَ إِلاَّ عَلَى الظَّالِمِينَ}:
Bab: Ayat ki tafseer aur“In kafiron se laro, yahan tak ke fitnah (shirk) baqi na rahe aur deen Allah hi ke liye reh jaye, so agar woh baaz aa jayen to sakhti kisi par bhi nahi bajuz (apne haq mein) zulm karne walon ke”.
Show diacritics
Hadith Number: 4513
حدثنا محمد بن بشار , حدثنا عبد الوهاب , حدثنا عبيد الله , عن نافع , عن ابن عمر رضي الله عنهما: اتاه رجلان في فتنة ابن الزبير, فقالا: إن الناس صنعوا وانت ابن عمر وصاحب النبي صلى الله عليه وسلم فما يمنعك ان تخرج، فقال:" يمنعني ان الله حرم دم اخي" , فقالا: الم يقل الله وقاتلوهم حتى لا تكون فتنة سورة البقرة آية 193؟ فقال:" قاتلنا حتى لم تكن فتنة وكان الدين لله، وانتم تريدون ان تقاتلوا حتى تكون فتنة ويكون الدين لغير الله".
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , kaha hum se Abdul Wahab ne bayan kiya , kaha hum se Obaidullah Umri ne bayan kiya , un se Nafi ne Ibn Umar rz se ke un ke paas Ibn Zubair rz ke fitne ke zamane mein (jab un par Hajjaj zalim ne hamla kiya aur Makkah ka muhasara kiya) do aadmi (Ala bin Arar aur Habban Salmi) aaye aur kaha ke log aapas mein lar kar tabah ho rahe hain . Aap Umar rz ke sahibzade aur Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke Sahabi hain phir aap kyun khamosh hain ? Is fasad ko rafa kyun nahi karte ? Ibn Umar rz ne kaha ke meri khamoshi ki wajah sirf yeh hai ke Allah Ta'ala ne mere kisi bhi bhai Musalman ka khoon mujh par haram qarar diya hai . Is par unhone kaha: kya Allah Ta'ala ne yeh irshad nahi farmaya hai «Wa Qatiloohum Hatta La Takuna Fitnatun» ke ”aur un se laro yahan tak ke fasad baqi na rahe .“ Ibn Umar rz ne farmaya ke hum (Quran ke hukm ke mutabiq) lare hain , yahan tak ke fitna yani shirk-o-kufr baqi nahi raha aur deen khalis Allah ke liye ho gaya , lekin tum log chahte ho ke tum is liye laro ke fitna aur fasad paida ho aur deen-e-Islam zaif ho , kafiron ko jeet ho aur Allah ke barkhilaf doosron ka hukm suna jaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4514
وزاد عثمان بن صالح , عن ابن وهب , قال: اخبرني فلان، وحيوة بن شريح , عن بكر بن عمرو المعافري , ان بكير بن عبد الله حدثه، عن نافع , ان رجلا , اتى ابن عمر , فقال: يا ابا عبد الرحمن , ما حملك على ان تحج عاما، وتعتمر عاما، وتترك الجهاد في سبيل الله عز وجل، وقد علمت ما رغب الله فيه؟ قال:" يا ابن اخي بني الإسلام على خمس إيمان بالله ورسوله، والصلاة الخمس، وصيام رمضان، واداء الزكاة، وحج البيت" , قال: يا ابا عبد الرحمن الا تسمع ما ذكر الله في كتابه وإن طائفتان من المؤمنين اقتتلوا فاصلحوا بينهما فإن بغت إحداهما على الاخرى فقاتلوا التي تبغي حتى تفيء إلى امر الله سورة الحجرات آية 9 وقاتلوهم حتى لا تكون فتنة سورة البقرة آية 193 , قال:" فعلنا على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم، وكان الإسلام قليلا، فكان الرجل يفتن في دينه إما قتلوه وإما يعذبونه حتى كثر الإسلام، فلم تكن فتنة".
Aur Usman bin Salih ne zyada bayan kiya ke un se Abdullah bin Wahab ne bayan kiya , unhein falan shakhs Abdullah bin Rabia aur Haiwa bin Shuraih ne khabar di , unhein Bakr bin Amr Ma'afiri ne , un se Bukair bin Abdullah ne bayan kiya , un se Nafi ne ke ek shakhs (Hakim) Ibn Umar rz ki khidmat mein hazir hua aur kaha ke ae Abu Abdur Rahman! Tum ko kya ho gaya hai ke tum ek saal hajj karte ho aur ek saal umrah aur Allah Azzawajal ke raste mein jihad mein shareek nahi hote . Aap ko khud maloom hai ke Allah Ta'ala ne jihad ki taraf kitni raghbat dilayi hai . Ibn Umar rz ne farmaya ke mere bhatije! Islam ki bunyad panch cheezon par hai . Allah aur us ke Rasool par iman lana , panch waqt ki namaz parhna , Ramazan ke roze rakhna , zakat dena aur hajj karna .“ Unhone kaha: ae Aba Abdur Rahman! Kitab Allah mein jo Allah Ta'ala ne irshad farmaya kya aap ko woh maloom nahi hai «Wa in Ta'ifatani Minal Mu'mininaqtatalu Fa Aslihu Bainahuma» ke ”Musalmanon ki do jamaatein agar aapas mein jang karein to un mein sulah karao . Allah Ta'ala ke irshad «Ila Amrillah» tak (aur Allah Ta'ala ka irshad ke un se jang karo) yahan tak ke fasad baqi na rahe . Ibn Umar rz bole ke Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke ahd mein hum yeh farz anjam de chuke hain us waqt Musalman bohat thore thay , kafiron ka hujoom tha to kafir log Musalmanon ka deen kharab karte thay , kahin Musalmanon ko mar dalte , kahin takleef dete yahan tak ke Musalman bohat ho gaye fitna jata raha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4515
قال: فما قولك في علي وعثمان , قال:" اما عثمان , فكان الله عفا عنه، واما انتم فكرهتم ان تعفوا عنه، واما علي , فابن عم رسول الله صلى الله عليه وسلم، وختنه، واشار بيده، فقال:" هذا بيته حيث ترون".
Phir us shakhs ne pucha accha yeh to kaho ke Usman rz aur Ali rz ke baare mein tumhara kya itiqad hai . Unhone kaha Usman rz ka qasoor Allah ne maaf kar diya lekin tum is maafi ko accha nahi samajhte ho . Ab rahe Ali rz to woh Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke chacha zad bhai aur aap ke damad thay aur hath ke ishaare se batlaya ke yeh dekho un ka ghar Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke ghar se mila hua hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَأَنْفِقُوا فِي سَبِيلِ اللَّهِ وَلاَ تُلْقُوا بِأَيْدِيكُمْ إِلَى التَّهْلُكَةِ وَأَحْسِنُوا إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ الْمُحْسِنِينَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur Allah ki raah mein kharch karte raho aur apne aap ko apne hathon se halakat mein na dalo aur achhe kaam karte raho, Allah achhe kaam karne walon ko pasand karta hai”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4516
التهلكة، والهلاك واحد.
«tahluka» aur «halak» ke ek hi maani hain .


Show diacritics
Hadith Number: 4516
حدثنا إسحاق , اخبرنا النضر , حدثنا شعبة , عن سليمان , قال: سمعت ابا وائل , عن حذيفة , وانفقوا في سبيل الله ولا تلقوا بايديكم إلى التهلكة سورة البقرة آية 195 , قال:" نزلت في النفقة".
Hum se Ishaq ne byaan kiya , kaha hum ko Nadr ne khabar di , un se Shubah ne byaan kiya , un se Sulayman ne byaan kiya , unhon ne Abu Wail se suna aur un se Huzayfah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke ”aur Allah ki raah mein kharch karte raho aur apne aap ko apne hathon se halakat mein na daalo .“ Allah ke raste mein kharch karne ke baare mein nazil hui thi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {فَمَنْ كَانَ مِنْكُمْ مَرِيضًا أَوْ بِهِ أَذًى مِنْ رَأْسِهِ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Lekin agar tum mein se koi bimar ho ya us ke sar mein koi takleef ho, us par ek miskeen ka khilana butaur fidya zaroori hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4517
حدثنا آدم، حدثنا شعبة , عن عبد الرحمن بن الاصبهاني , قال: سمعت عبد الله بن معقل , قال: قعدت إلى كعب بن عجرة في هذا المسجد يعني مسجد الكوفة، فسالته عن فدية من صيام، فقال: حملت إلى النبي صلى الله عليه وسلم والقمل يتناثر على وجهي , فقال:" ما كنت ارى ان الجهد قد بلغ بك هذا اما تجد شاة؟" قلت: لا، قال:" صم ثلاثة ايام او اطعم ستة مساكين لكل مسكين نصف صاع من طعام واحلق راسك"، فنزلت في خاصة وهي لكم عامة.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne , un se Abdur Rahman bin Asbahani ne , kaha main ne Abdullah bin Maqal se suna , unhon ne byaan kiya ke main Kabb bin Ujrah razi Allahu anhu ki khidmat mein is masjid mein hazir hua , un ki murad Kufa ki masjid se thi aur un se roze ke fidye ke mutalliq poocha . Unhon ne byaan kiya ke mujhe ihram mein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein log le gaye aur juein (sar se) mere chehre par gir rahi thien . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mera khayal yeh nahi tha ke tum is had tak takleef mein mubtala ho gaye ho tum koi bakri nahi muhayya kar sakte ? Main ne arz kiya ke nahi . Farmaya , phir teen din ke roze rakh lo ya chhay miskeenon ko khana khila do , har miskeen ko aadha sa khana khilana aur apna sar mundwa lo . Kabb razi Allahu anhu ne kaha to yeh aayat khaas mere baare mein nazil hui thi aur is ka hukm tum sab ke liye aam hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة