الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ: {قُولُوا آمَنَّا بِاللَّهِ وَمَا أُنْزِلَ إِلَيْنَا}:
Bab: Allah Taala ke irshad «qooloo aamanna billahi wa maa unzila ilayna» ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: 4485
حدثنا محمد بن بشار , حدثنا عثمان بن عمر , اخبرنا علي بن المبارك , عن يحيى بن ابي كثير , عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه , قال: كان اهل الكتاب يقرءون التوراة بالعبرانية، ويفسرونها بالعربية لاهل الإسلام , فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لا تصدقوا اهل الكتاب ولا تكذبوهم وقولوا: آمنا بالله وما انزل إلينا سورة البقرة آية 136" الآية.
Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya , unhone kaha hum se Usman bin Umar ne bayan kiya , unhein Ali bin Mubarak ne khabar di , unhein Yahya bin Abi Kaseer ne , unhein Abu Salama ne ke un se Abu Hurairah rz ne bayan kiya ke Ahle Kitab (Yahudi) Taurat ko khud Ibrani zaban mein parhte hain lekin Musalmanon ke liye is ki tafseer Arabi mein karte hain . Is par Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”tum Ahle Kitab ki na tasdeeq karo aur na tum takzeeb karo balke yeh kaha karo «Aamanna Billahi Wa Ma Unzila Ilaina» yani hum iman laye Allah par aur is cheez par jo hamari taraf nazil ki gayi hai .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {سَيَقُولُ السُّفَهَاءُ مِنَ النَّاسِ مَا وَلاَّهُمْ عَنْ قِبْلَتِهِمُ الَّتِي كَانُوا عَلَيْهَا قُلْ لِلَّهِ الْمَشْرِقُ وَالْمَغْرِبُ يَهْدِي مَنْ يَشَاءُ إِلَى صِرَاطٍ مُسْتَقِيمٍ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Bohot jald bewakoof log kehne lagen ge ke musalmanon ko un ke pehle qibla se kis cheez ne pher diya, Aap keh den ke Allah hi ke liye sab mashriq wa maghrib hai aur Allah jise chahta hai seedhi raah ki taraf hidayat kar deta hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4486
حدثنا ابو نعيم، سمع زهيرا , عن ابي إسحاق، عن البراء رضي الله عنه , ان رسول الله صلى الله عليه وسلم:" صلى إلى بيت المقدس ستة عشر شهرا او سبعة عشر شهرا، وكان يعجبه ان تكون قبلته قبل البيت، وانه صلى او صلاها صلاة العصر وصلى معه قوم، فخرج رجل ممن كان صلى معه، فمر على اهل المسجد وهم راكعون، قال: اشهد بالله لقد صليت مع النبي صلى الله عليه وسلم قبل مكة فداروا كما هم قبل البيت، وكان الذي مات على القبلة قبل ان تحول قبل البيت رجال قتلوا لم ندر ما نقول فيهم، فانزل الله: وما كان الله ليضيع إيمانكم إن الله بالناس لرءوف رحيم سورة البقرة آية 143.
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya , kaha main ne Zuhair se suna , unhone Abu Ishaq se aur unhone Bara bin Azib rz se ke Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne Baitul Muqaddas ki taraf rukh kar ke sola ya satra mahine tak namaz parhi lekin aap chahte thay ke aap ka qibla Baitullah (Kaaba) ho jaye (aakhir ek din Allah ke hukm se) aap ne asr ki namaz (Baitullah ki taraf rukh kar ke) parhi aur aap ke sath bohat se Sahaba rz ne bhi parhi . Jin Sahaba ne yeh namaz aap ke sath parhi thi , in mein se ek Sahabi Madinah ki ek masjid ke qareeb se guzre . Is masjid mein log ruku mein thay , unhone is par kaha ke main Allah ka naam le kar gawahi deta hoon ke main ne Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke sath Makkah ki taraf munh kar ke namaz parhi hai , tamam namazi isi halat mein Baitullah ki taraf phir gaye . Is ke baad logon ne kaha ke jo log Kaaba ke qibla hone se pehle intiqal kar gaye , un ke mutaliq hum kya kahein . (in ki namazen qabool huin ya nahi ?) Is par yeh ayat nazil hui «Wa Ma Kanallahu Liyuzia Imanakum Innallaha Binnasi Lara'ufun Raheem» ”Allah aisa nahi ke tumhari ibadat ko zaya kare , beshak Allah apne bandon par bohat bara meharban aur bara Raheem hai .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَكَذَلِكَ جَعَلْنَاكُمْ أُمَّةً وَسَطًا لِتَكُونُوا شُهَدَاءَ عَلَى النَّاسِ وَيَكُونَ الرَّسُولُ عَلَيْكُمْ شَهِيدًا}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur isi tarah hum ne tum ko ummat-e-wast (yani ummat-e-aadil) banaya, taake tum logon par gawah raho aur Rasool tum par gawah rahen”.
Show diacritics
Hadith Number: 4487
حدثنا يوسف بن راشد، حدثنا جرير , وابو اسامة واللفظ لجرير , عن الاعمش , عن ابي صالح , وقال ابو اسامة: حدثنا ابو صالح،عن ابي سعيد الخدري، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يدعى نوح يوم القيامة، فيقول: لبيك وسعديك يا رب، فيقول: هل بلغت؟ فيقول: نعم، فيقال: لامته هل بلغكم، فيقولون: ما اتانا من نذير، فيقول: من يشهد لك، فيقول: محمد وامته، فتشهدون انه قد بلغ ويكون الرسول عليكم شهيدا سورة البقرة آية 143 فذلك قوله جل ذكره وكذلك جعلناكم امة وسطا لتكونوا شهداء على الناس ويكون الرسول عليكم شهيدا سورة البقرة آية 143، والوسط: العدل.
Hum se Yusuf bin Rashid ne bayan kiya , kaha hum se Jarir aur Abu Usama ne bayan kiya . (hadees ke alfaz Jarir ki riwayat ke mutabiq hain) un se Aamash ne , un se Abu Salih ne aur Abu Usama ne bayan kiya (yani Aamash ke wasta se ke) hum se Abu Salih ne bayan kiya aur un se Abu Saeed Khudri rz ne bayan kiya ke Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”qayamat ke din Nuh As ko bulaya jaye ga . Woh arz karein ge , «Labbaik Wa Sa'daik»: Ya Rabb! Allah Rabbul Izzat farmaye ga , kya tum ne mera paigham pouncha diya tha ? Nuh As arz karein ge ke main ne pouncha diya tha , phir un ki ummat se pucha jaye ga , kya unhone tumhein mera paigham pouncha diya tha ? Woh log kahein ge ke hamare yahan koi darane wala nahi aaya . Allah Ta'ala farmaye ga (Nuh As se) ke aap ke haq mein koi gawahi bhi de sakta hai ? Woh kahein ge ke Muhammad ( صلی اللہ علیہ وسلم ) aur un ki ummat meri gawah hai . Chunanche aap صلی اللہ علیہ وسلم ki ummat un ke haq mein gawahi de gi ke unhone paigham pouncha diya tha aur Rasool (yani aap صلی اللہ علیہ وسلم ) apni ummat ke haq mein gawahi dein ge (ke unhone sachi gawahi di hai) yehi murad hai Allah ke is irshad se «Wa Kazalika Ja'alnakum Ummatan Wasatan Litakunu Shuhada'a Alan Nasi Wa Yakunar Rasoolu Alaikum Shahida» ke ”aur isi tarah hum ne tum ko ummat-e-wast banaya taake tum logon ke liye gawahi do aur Rasool tumhare liye gawahi dein .“ Ayat mein lafz «Wasat» ke maani aadil , munsif , behtar ke hain .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {وَمَا جَعَلْنَا الْقِبْلَةَ الَّتِي كُنْتَ عَلَيْهَا إِلاَّ لِنَعْلَمَ مَنْ يَتَّبِعُ الرَّسُولَ مِمَّنْ يَنْقَلِبُ عَلَى عَقِبَيْهِ وَإِنْ كَانَتْ لَكَبِيرَةً إِلاَّ عَلَى الَّذِينَ هَدَى اللَّهُ وَمَا كَانَ اللَّهُ لِيُضِيعَ إِيمَانَكُمْ إِنَّ اللَّهَ بِالنَّاسِ لَرَءُوفٌ رَحِيمٌ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur jis qibla par Aap ab tak the, use to hum ne isi liye rakha tha ke hum jaan len Rasool ki itteba’ karne wale ko, ulte paoon wapas chale jane walon mein se, ye hukm bohot bhari hai magar un logon par nahi jinhen Allah ne raah dikha di hai aur Allah aisa nahi ke zaya’ ho jane de, tumhare imaan (yani pehli namazon) ko aur Allah to logon par bara meherbaan hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4488
حدثنا مسدد , حدثنا يحيى , عن سفيان , عن عبد الله بن دينار , عن ابن عمر رضي الله عنهما: بينا الناس يصلون الصبح في مسجد قباء إذ جاء جاء، فقال:" انزل الله على النبي صلى الله عليه وسلم قرآنا ان يستقبل الكعبة فاستقبلوها فتوجهوا إلى الكعبة".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha hum se Yahya ne bayan kiya , un se Sufyan ne , un se Abdullah bin Dinar ne aur un se Ibn Umar rz ne ke log Masjid Quba mein subah ki namaz parh hi rahe thay ke ek sahab aaye aur unhone kaha ke Allah Ta'ala ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم par Quran nazil kiya hai ke aap namaz mein Kaaba ki taraf munh karein , lihaza aap log bhi Kaaba ki taraf rukh kar lein . Sab namazi isi waqt Kaaba ki taraf phir gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِهِ: {قَدْ نَرَى تَقَلُّبَ وَجْهِكَ فِي السَّمَاءِ} إِلَى: {عَمَّا تَعْمَلُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Beshak hum ne dekh liya Aap ke munh ka baar-baar aasman ki taraf uthna, so hum Aap ko zaroor pher denge us qibla ki taraf jise Aap chahte hain”aakhir ayat «amma ta’maloon» tak.
Show diacritics
Hadith Number: 4489
حدثنا علي بن عبد الله , حدثنا معتمر , عن ابيه , عن انس رضي الله عنه , قال:" لم يبق ممن صلى القبلتين غيري".
Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya , kaha hum se Mu'tamar ne bayan kiya , un se un ke walid ne aur un se Anas rz ne bayan kiya ke mere siwa in Sahaba rz mein se jinhone dono qiblon ki taraf namaz parhi thi aur koi ab zinda nahi raha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَلَئِنْ أَتَيْتَ الَّذِينَ أُوتُوا الْكِتَابَ بِكُلِّ آيَةٍ مَا تَبِعُوا قِبْلَتَكَ} إِلَى قَوْلِهِ: {إِنَّكَ إِذًا لَمِنَ الظَّالِمِينَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur agar Aap un logon ke saamne jinhen kitab mil chuki hai, saari hi daleelen le aayen jab bhi ye Aap ke qibla ki taraf munh na karenge”aakhir ayat «innaka izal laminaz zalimeen» tak.
Show diacritics
Hadith Number: 4490
حدثنا خالد بن مخلد , حدثنا سليمان , حدثني عبد الله بن دينار , عن ابن عمر رضي الله عنهما: بينما الناس في الصبح بقباء جاءهم رجل، فقال: إن رسول الله صلى الله عليه وسلم قد انزل عليه الليلة قرآن، وامر ان يستقبل الكعبة، الا فاستقبلوها وكان وجه الناس إلى الشام فاستداروا بوجوههم إلى الكعبة".
Hum se Khalid bin Makhlad ne bayan kiya , kaha hum se Sulaiman ne bayan kiya , kaha mujh se Abdullah bin Dinar ne bayan kiya aur un se Ibn Umar rz ne bayan kiya ke log Masjid Quba mein subah ki namaz parh rahe thay ke ek sahab wahan aaye aur kaha ke raat Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم par Quran nazil hua hai ke (namaz mein) Kaaba ki taraf munh karein , pas aap log bhi ab Kaaba ki taraf rukh kar lein . Rawi ne bayan kiya ke logon ka munh is waqt Shaam (Baitul Muqaddas) ki taraf tha , isi waqt log Kaaba ki taraf phir gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {الَّذِينَ آتَيْنَاهُمُ الْكِتَابَ يَعْرِفُونَهُ كَمَا يَعْرِفُونَ أَبْنَاءَهُمْ وَإِنَّ فَرِيقًا مِنْهُمْ لَيَكْتُمُونَ الْحَقَّ} إِلَى قَوْلِهِ: {مِنَ الْمُمْتَرِينَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Jin logon ko hum kitab de chuke hain, woh Aap ko pehchaante hain jaise woh apne beton ko pehchaante hain aur beshak un mein se kuch log albatta chhupate hain haq ko”aakhir ayat «minal mumtareen» tak.
Show diacritics
Hadith Number: 4491
حدثنا يحيى بن قزعة , حدثنا مالك , عن عبد الله بن دينار , عن ابن عمر , قال: بينا الناس بقباء في صلاة الصبح إذ جاءهم آت، فقال:" إن النبي صلى الله عليه وسلم قد انزل عليه الليلة قرآن وقد امر ان يستقبل الكعبة، فاستقبلوها وكانت وجوههم إلى الشام فاستداروا إلى الكعبة".
Hum se Yahya bin Qaza ne bayan kiya , unhone kaha hum se Imam Malik ne bayan kiya , un se Abdullah bin Dinar ne aur un se Ibn Umar rz ne bayan kiya ke log Masjid Quba mein subah ki namaz parh rahe thay ke ek sahab (Madinah se) aaye aur kaha ke raat Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم par Quran nazil hua hai aur aap ko hukm hua hai ke Kaaba ki taraf munh kar lein . Is liye aap log bhi Kaaba ki taraf phir jayein . Is waqt un ka munh Shaam ki taraf tha . Chunanche sab namazi Kaaba ki taraf phir gaye .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَلِكُلٍّ وِجْهَةٌ هُوَ مُوَلِّيهَا فَاسْتَبِقُوا الْخَيْرَاتِ أَيْنَمَا تَكُونُوا يَأْتِ بِكُمُ اللَّهُ جَمِيعًا إِنَّ اللَّهَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur har ek ke liye koi rukh hota hai, jidhar woh mutawajjeh rehta hai, so tum nekiyon ki taraf barho, tum jahan kahin bhi ho ge Allah tum sab ko pa le ga, beshak Allah har cheez par qadir hai”.
Show diacritics
Hadith Number: 4492
حدثنا محمد بن المثنى , حدثنا يحيى , عن سفيان , حدثني ابو إسحاق، قال: سمعت البراء رضي الله عنه , قال:" صلينا مع النبي صلى الله عليه وسلم نحو بيت المقدس ستة عشر او سبعة عشر شهرا، ثم صرفه نحو القبلة".
Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya , unhone kaha hum se Yahya ne bayan kiya , un se Sufyan ne , un se Abu Ishaq ne bayan kiya , kaha ke main ne Bara bin Azib rz se suna , unhone bayan kiya ke hum ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ke sath sola ya satra mahine tak Baitul Muqaddas ki taraf munh kar ke namaz parhi . Phir Allah Ta'ala ne humein Kaaba ki taraf munh karne ka hukm diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {وَمِنْ حَيْثُ خَرَجْتَ فَوَلِّ وَجْهَكَ شَطْرَ الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ وَإِنَّهُ لَلْحَقُّ مِنْ رَبِّكَ وَمَا اللَّهُ بِغَافِلٍ عَمَّا تَعْمَلُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur Aap jis jagah se bhi bahar niklen namaz mein apna munh Masjid-ul-Haram ki taraf mor liya karen aur ye hukm Aap ke Parwardigar ki taraf se bilkul haq hai aur Allah is se be-khabar nahi, jo tum kar rahe ho”.
Show diacritics
Hadith Number: Q4493
شطره: تلقاؤه.
Lafz «Shatrahu» ke maani qibla ki taraf ke hain .


Show diacritics
Hadith Number: 4493
حدثنا موسى بن إسماعيل , حدثنا عبد العزيز بن مسلم , حدثنا عبد الله بن دينار , قال: سمعت ابن عمر رضي الله عنهما، يقول:" بينا الناس في الصبح بقباء إذ جاءهم رجل، فقال:" انزل الليلة قرآن، فامر ان يستقبل الكعبة فاستقبلوها واستداروا كهيئتهم فتوجهوا إلى الكعبة، وكان وجه الناس إلى الشام".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya , unhone kaha hum se Abdul Aziz bin Muslim ne bayan kiya , un se Abdullah bin Dinar ne bayan kiya , kaha ke main ne Ibn Umar rz se suna , unhone bayan kiya ke log Quba mein subah ki namaz parh rahe thay ke ek sahab aaye aur kaha ke raat Quran nazil hua hai aur Kaaba ki taraf munh kar lene ka hukm hua hai . Is liye aap log bhi Kaaba ki taraf munh kar lein aur jis halat mein hain , isi tarah us ki taraf mutawajja ho jayein (yeh sunte hi) tamam Sahaba rz Kaaba ki taraf mutawajja ho gaye . Is waqt logon ka munh Shaam ki taraf tha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة