الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
سورة الفاتحة:
Bab: Surah Al-Fatihah ki tafseer.
Hadith Number: Q4474-2
n
.
بَابُ مَا جَاءَ فِي فَاتِحَةِ الْكِتَابِ:
Bab: Surah Al-Fatihah ke bare mein jo aaya hai us ka bayan.
Hadith Number: Q4474
وسميت ام الكتاب انه يبدا بكتابتها في المصاحف ويبدا بقراءتها في الصلاة، والدين الجزاء في الخير والشر كما تدين تدان، وقال مجاهد: بالدين بالحساب مدينين محاسبين.
«umm» , maan ko kehte hain . «umm al-kitab» is Surah ka naam is liye rakkha gaya hai ke Quran Majeed mein isi se kitabat ki ibtida hoti hai . (isi liye isay «fatihatul kitab» bhi kaha gaya hai) aur namaz mein bhi qirat isi se shuru ki jati hai aur «ad-deen» badla ke maani mein hai . Khwah achhayi mein ho ya burayi mein jaisa ke (bolte hain) «kama tadeenu tudaanu» . (jaisa karo ge waisa bharo ge) . Mujahid ne kaha ke «ad-deen» hisab ke maani mein hai jabke «madeeneen» bamaani «muhasabeen» hai yani hisab kiye gaye .
Hadith Number: 4474
حدثنا مسدد , حدثنا يحيى , عن شعبة , قال: حدثني خبيب بن عبد الرحمن , عن حفص بن عاصم , عن ابي سعيد بن المعلى، قال: كنت اصلي في المسجد، فدعاني رسول الله صلى الله عليه وسلم فلم اجبه، فقلت: يا رسول الله، إني كنت اصلي، فقال:" الم يقل الله استجيبوا لله وللرسول إذا دعاكم لما يحييكم سورة الانفال آية 24، ثم قال لي:" لاعلمنك سورة هي اعظم السور في القرآن قبل ان تخرج من المسجد"، ثم اخذ بيدي، فلما اراد ان يخرج، قلت له: الم تقل لاعلمنك سورة هي اعظم سورة في القرآن؟ قال:" الحمد لله رب العالمين سورة الفاتحة آية 2 هي السبع المثاني، والقرآن العظيم الذي اوتيته".
Hum se Musaddad bin Musarhad ne byaan kiya , kaha hum se Yahya bin Saeed Qattan ne byaan kiya , un se Shubah ne byaan kiya ke mujh se Khubayb bin Abdur Rahman ne byaan kiya , un se Hafs bin Aasim ne aur un se Abu Saeed bin al-Mualla razi Allahu anhu ne byaan kiya ke main masjid mein namaz parh raha tha , Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mujhe isi halat mein bulaya , main ne koi jawab nahi diya (phir baad mein , main ne hazir ho kar) arz kiya: ya Rasool Allah! Main namaz parh raha tha . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kya Allah Ta'ala ne tum se nahi farmaya hai «astajeebu lillahi wa lirrahooli izha daakum» ”Allah aur us ke Rasool jab tumhein bulayein to haan mein jawab do .“ Phir Aap salla Allahu alaihi wasallam ne mujh se farmaya ke aaj main tumhein masjid se nikalne se pehle ek aisi surat ki taleem doon ga jo Quran ki sab se bari surat hai . Phir Aap ne mera hath apne hath mein liya aur jab Aap bahar nikalne lage to main ne yaad dilaya ke Aap ne mujhe Quran ki sab se bari surat batane ka waada kiya tha . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya «alhamdu lillahi rabbil aalameen» yahi woh saba masani aur Quran e Azeem hai jo mujhe ata kiya gaya hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلاَ الضَّالِّينَ}:
Bab: Ayat «ghayril maghdoobi alayhim wala ad-daalleen» ki tafseer.
Hadith Number: 4475
حدثنا عبد الله بن يوسف , اخبرنا مالك , عن سمي , عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال:" إذا قال الإمام غير المغضوب عليهم ولا الضالين سورة الفاتحة آية 7، فقولوا: آمين، فمن وافق قوله قول الملائكة غفر له ما تقدم من ذنبه".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya , kaha hum ko Imam Malik ne khabar di , unhein Sumayya ne , unhein Abu Salih ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Jab Imam «ghayril maghdoobi alayhim walad dalleen» kahe to tum «ameen» kaho kyunke jis ka yeh kehna malaika ke kehne ke saath ho jaye us ki tamam pichhli khatayein maaf ho jati hain .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
سورة الْبَقَرَةِ:
Bab: Surah Al-Baqarah ki tafseer.
Hadith Number: Q4476
n
.
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ: {وَعَلَّمَ آدَمَ الأَسْمَاءَ كُلَّهَا}:
Bab: Allah Taala ke irshad «wa allama Aadamal asmaa’a kullaha» ka bayan.
Hadith Number: 4476
حدثنا مسلم بن إبراهيم، حدثنا هشام , حدثنا قتادة , عن انس رضي الله عنه , عن النبي صلى الله عليه وسلم. ح وقال لي خليفة ,حدثنا يزيد بن زريع , حدثنا سعيد , عن قتادة , عن انس رضي الله عنه , عن النبي صلى الله عليه وسلم قال: يجتمع المؤمنون يوم القيامة، فيقولون: لو استشفعنا إلى ربنا فياتون آدم فيقولون: انت ابو الناس خلقك الله بيده واسجد لك ملائكته، وعلمك اسماء كل شيء، فاشفع لنا عند ربك حتى يريحنا من مكاننا هذا، فيقول: لست هناكم ويذكر ذنبه، فيستحي ائتوا نوحا، فإنه اول رسول بعثه الله إلى اهل الارض، فياتونه، فيقول: لست هناكم ويذكر سؤاله ربه ما ليس له به علم فيستحي، فيقول: ائتوا خليل الرحمن، فياتونه، فيقول: لست هناكم ائتوا موسى عبدا كلمه الله، واعطاه التوراة، فياتونه، فيقول: لست هناكم، ويذكر قتل النفس بغير نفس فيستحي من ربه، فيقول: ائتوا عيسى عبد الله ورسوله، وكلمة الله وروحه، فيقول: لست هناكم ائتوا محمدا صلى الله عليه وسلم عبدا غفر الله له ما تقدم من ذنبه وما تاخر، فياتوني، فانطلق حتى استاذن على ربي، فيؤذن لي، فإذا رايت ربي وقعت ساجدا، فيدعني ما شاء الله، ثم يقال: ارفع راسك وسل تعطه، وقل يسمع، واشفع تشفع، فارفع راسي فاحمده بتحميد يعلمنيه، ثم اشفع فيحد لي حدا، فادخلهم الجنة، ثم اعود إليه فإذا رايت ربي مثله، ثم اشفع فيحد لي حدا، فادخلهم الجنة، ثم اعود الرابعة، فاقول: ما بقي في النار إلا من حبسه القرآن ووجب عليه الخلود، قال ابو عبد الله: إلا من حبسه القرآن يعني قول الله تعالى خالدين فيها سورة البقرة آية 162.
Hum se Muslim bin Ibrahim ne byaan kiya , kaha hum se Hisham Dastwayi ne byaan kiya , kaha hum se Qatadah ne byaan kiya , un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se (doosri sanad) aur mujh se Khaleefa bin Khayyat ne byaan kiya , kaha hum se Yazid bin Zuray ne byaan kiya , kaha hum se Saeed ne byaan kiya , in se Qatadah ne aur un se Anas razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Momineen Qayamat ke din pareshan ho kar jama hon ge aur (aapas mein) kahein ge , behtar yeh tha ke apne Rabb ke huzoor mein aaj kisi ko hum apna sifarshi banate . Chunanche sab log Adam alaihissalam ki khidmat mein hazir hon ge aur arz karein ge ke Aap insanon ke baap hain . Allah Ta'ala ne Aap ko apne hath se banaya . Aap ke liye farishton ko sajda ka hukm diya aur Aap ko har cheez ke naam sikhaye . Aap hamare liye apne Rabb ke huzoor mein sifarish kar dein taake aaj ki museebat se hamain najat mile . Adam alaihissalam kahein ge , main is ke laiyq nahi hoon , woh apni laghzish ko yaad karein ge aur un ko Parvardigar ke huzoor mein jaane se sharam aaye gi . Kahein ge ke tum log Nuh alaihissalam ke paas jao . Woh sab se pehle Nabi hain jinhein Allah Ta'ala ne (mere baad) zameen walon ki taraf maboos kiya tha . Sab log Nuh alaihissalam ki khidmat mein hazir hon ge . Woh bhi kahein ge ke main is qabil nahi aur woh apne Rabb se apne sawal ko yaad karein ge jis ke mutalliq unhein koi ilm nahi tha . Un ko bhi sharam aaye gi aur kahein ge ke Allah ke Khaleel alaihissalam ke paas jao . Log un ki khidmat mein hazir hon ge lekin woh bhi yahi kahein ge ke main is qabil nahi , Musa alaihissalam ke paas jao , un se Allah Ta'ala ne kalam farmaya tha aur Taurat di thi . Log un ke paas aayein ge lekin woh bhi uzr kar dein ge ke mujh mein is ki jurat nahi . Un ko baghair kisi haq ke ek shakhs ko qatl karna yaad aa jaye ga aur apne Rabb ke huzoor mein jate huay sharam daman-geer ho gi . Kahein ge tum Esa alaihissalam ke paas jao , woh Allah ke bande aur us ke Rasool , is ka kalma aur is ki rooh hain lekin Esa alaihissalam bhi yahi kahein ge ke mujh mein is ki himmat nahi , tum Muhammad salla Allahu alaihi wasallam ke paas jao , woh Allah ke maqbool bande hain aur Allah ne un ke tamam agle aur pichhle gunah maaf kar diye hain . Chunanche log mere paas aayein ge , main un ke saath jaon ga aur apne Rabb se ijazat chahoon ga . Mujhe ijazat mil jaye gi , phir main apne Rabb ko dekhte hi sajda mein gir parroon ga aur jab tak Allah chahe ga main sajda mein rahoon ga , phir mujh se kaha jaye ga ke apna sar uthao aur jo chaho maango , tumhein diya jaye ga , jo chaho kaho tumhari baat suni jaye gi . Shafaat karo , tumhari shafaat qabool ki jaye gi . Main apna sar uthaoon ga aur Allah ki woh hamd byaan karoon ga jo mujhe is ki taraf se sikhayi gayi ho gi . Is ke baad shafaat karoon ga aur mere liye ek had muqarrar kar di jaye gi . Main unhein jannat mein dakhil karaoon ga chauthi martaba jab main wapas aaoon ga to arz karoon ga ke jahannum mein in logon ke siwa aur koi ab baqi nahi raha jinhein Quran ne hamesha ke liye jahannum mein rehna zaroori qarar de diya hai . Abu Abdullah Imam Bukhari rahmahullah ne kaha ke Quran ki roo se dozakh mein qaid rehne se murad woh log hain jin ke liye «khalideena feeha» kaha gaya hai . Ke woh hamesha dozakh mein rahein ge .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابٌ:
Bab: …
Hadith Number: Q4477
قال مجاهد: إلى شياطينهم: اصحابهم من المنافقين والمشركين، محيط بالكافرين، الله جامعهم على الخاشعين على المؤمنين حقا، قال مجاهد: بقوة يعمل بما فيه، وقال ابو العالية: مرض شك وما خلفها عبرة لمن بقي لا شية لا بياض، وقال غيره: يسومونكم يولونكم الولاية مفتوحة مصدر الولاء وهي الربوبية إذا كسرت الواو فهي الإمارة، وقال بعضهم: الحبوب التي تؤكل كلها فوم، وقال قتادة: فباءوا فانقلبوا، وقال غيره: يستفتحون يستنصرون شروا باعوا راعنا من الرعونة إذا ارادوا ان يحمقوا إنسانا، قالوا راعنا لا يجزي لا يغني خطوات من الخطو والمعنى آثاره ابتلى اختبر.
Mujahid ne kaha «ila shayateenihim» se un ke dost munafiq aur mushrik murad hain . «muheetum bil kafireen» ke maani Allah kafiron ko ik इकट्ठा karne wala hai . «alal khashieen» mein «khashieen» se murad pakke imandar hain . «bi-quwwatin» yani is par amal kar ke quwwat se yahi murad hai . Abu al-Aaliyah ne kaha «maradun» se «shakk» murad hai . «sibghatun» se deen murad hai . «wa ma khalfaha» yani pichhle logon ke liye ibrat jo baqi rahi . «wa ma khalfaha» ka maani is mein safaidi nahi aur Abu al-Aaliyah ke siwa ne kaha «yasumoonakum» ka maani tum par uthate thay ya tum ko hamesha takleef pahunchate thay . Aur (Surah al-Kahf mein) «al-wilayatu» ba-fatah wao hai jis ke maani «rububiyyatun» yani khudayi ke hain . Aur «al-wilayatu» ba-kasr wao is ke maani sardari ke hain . Baaz logon ne kaha jin jin anaajon ko log khate hain un ko «foum» kehte hain . Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne is ko soum parha hai yani lehsun ke maani mein liya hai . «faddara'tum» ka maani tum ne aapas mein jhagray kiya . Qatadah ne kaha «fabaa'u» yani laut gaye aur Qatadah ke siwa doosre shakhs (Abu Ubaydah) ne kaha «yastaftihoon» ka maani madad maangte thay . «sharaw» ke maani baycha . Lafz «raina» «raoonatun» se nikla hai . Arab log jab kisi ko ahmaq banate to is ko lafz «raina» se pukarte . «la yajzhi» kuch kaam na aaye gi . «ibtala» ke maani aazmaya jaancha . «khutuwatun» lafz «khutwa» bamaani qadam ki jama hai .
بَابُ قَوْلُهُ تَعَالَى: {فَلاَ تَجْعَلُوا لِلَّهِ أَنْدَادًا وَأَنْتُمْ تَعْلَمُونَ}:
Bab: Allah Taala ke irshad «fala taj’aloo lillahi andaadan wa antum ta’lamoon» ki tafseer.
Hadith Number: 4477
حدثني عثمان بن ابي شيبة , حدثنا جرير , عن منصور , عن ابي وائل، عن عمرو بن شرحبيل , عن عبد الله، قال: سالت النبي صلى الله عليه وسلم اي الذنب اعظم عند الله؟ قال:" ان تجعل لله ندا وهو خلقك"، قلت: إن ذلك لعظيم، قلت: ثم اي؟ قال:" وان تقتل ولدك تخاف ان يطعم معك"، قلت: ثم اي؟ قال:" ان تزاني حليلة جارك".
Hum se Usman bin Abi Shaiba ne bayan kiya , kaha ke hum se Jarir ne bayan kiya , un se Mansoor ne , un se Abu Wail ne , un se Amr bin Shurahbil ne aur un se Abdullah bin Masood rz ne bayan kiya ke main ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se pucha , Allah ke nazdeek kaun sa gunah sab se bara hai ? Farmaya aur yeh ke tum Allah ke sath kisi ko barabar thehrao halanke Allah hi ne tum ko paida kiya hai . Main ne arz kiya yeh to waqayi sab se bara gunah hai , phir is ke baad kaun sa gunah sab se bara hai ? Farmaya yeh ke tum apni aulad ko is khauf se mar dalo ke woh tumhare sath khayenge . Main ne pucha aur is ke baad ? Farmaya yeh ke tum apne parosi ki aurat se zina karo .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ وَقَوْلُهُ تَعَالَى: {وَظَلَّلْنَا عَلَيْكُمُ الْغَمَامَ وَأَنْزَلْنَا عَلَيْكُمُ الْمَنَّ وَالسَّلْوَى كُلُوا مِنْ طَيِّبَاتِ مَا رَزَقْنَاكُمْ وَمَا ظَلَمُونَا وَلَكِنْ كَانُوا أَنْفُسَهُمْ يَظْلِمُونَ}:
Bab: Ayat ki tafseer“Aur tum par hum ne baadal ka saya kiya, aur tum par hum ne mann wa salwa utara aur kaha ke khao un pakiza cheezon ko jo hum ne tumhein ata ki hain, hum ne un par zulm nahi kiya tha balkeh unhon ne khud apne nafson par zulm kiya”.
Hadith Number: Q4478
وقال مجاهد: المن: صمغة، والسلوى: الطير.
Aayat mazkoora ki tafseer mein Mujahid ne kaha ke «mannun» ek darakht ka goond tha aur «salwa» parinde thay .
Hadith Number: 4478
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان , عن عبد الملك , عن عمرو بن حريث , عن سعيد بن زيد رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الكماة من المن وماؤها شفاء للعين".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Sufyan ne byaan kiya , un se Abdul Malik ne , un se Amr bin Hurays ne aur un se Saeed bin Zayd razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ” «kama'atun» (yani khunbi) bhi «mannun» ki qism hai aur is ka pani aankh ki dawa hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة