الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ صِفَةِ إِبْلِيسَ وَجُنُودِهِ:
Bab: Iblees aur us ki fauj ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 3280
حدثنا يحيى بن جعفر، حدثنا محمد بن عبد الله الانصاري، حدثنا ابن جريج، قال: اخبرني عطاء، عن جابر رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا استجنح الليل، او قال جنح الليل فكفوا صبيانكم، فإن الشياطين تنتشر حينئذ، فإذا ذهب ساعة من العشاء فخلوهم واغلق بابك واذكر اسم الله، واطفئ مصباحك، واذكر اسم الله، واوك سقاءك، واذكر اسم الله، وخمر إناءك، واذكر اسم الله، ولو تعرض عليه شيئا".
Hum se Yahya Bin Jafar ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Muhammad Bin Abdullah Ansari ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibn Juraij ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujhe Ata Bin Abi Rabah ne khabar di aur unhein Jabir (Radi Allahu Anhu) ne khabar di ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Raat ka andhera shuru hone par ya raat shuru hone par apne bacchon ko apne paas (ghar mein) rok lo, kyunke shayatin isi waqt phailna shuru karte hain. Phir jab isha ke waqt mein se ek ghadi guzar jaye to unhein chhod do (chalein phirein) phir Allah ka naam le kar apna darwaza band karo, Allah ka naam le kar apna chiragh bujha do, pani ke bartan Allah ka naam le kar dhak do, aur doosre bartan bhi Allah ka naam le kar dhak do (aur agar dhakkan na ho) to darmiyan mein hi koi cheez rakh do."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3281
حدثني محمود بن غيلان، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن علي بن حسين، عن صفية بنت حيي، قالت: كان رسول الله صلى الله عليه وسلم معتكفا فاتيته ازوره ليلا فحدثته، ثم قمت فانقلبت فقام معي ليقلبني وكان مسكنها في دار اسامة بن زيد فمر رجلان من الانصار فلما رايا النبي صلى الله عليه وسلم اسرعا، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" على رسلكما إنها صفية بنت حيي، فقالا: سبحان الله يا رسول الله، قال: إن الشيطان يجري من الإنسان مجرى الدم وإني خشيت ان يقذف في قلوبكما سوءا او قال شيئا".
Hum se Mahmud Bin Ghaylan ne bayan kiya, kaha hum se Abdur Razzaq ne bayan kiya, kaha hum ko Ma'mar ne khabar di, unhein Zuhri ne, unhein Zain-ul-Abidin Ali Bin Husain (Radi Allahu Anhu) ne aur un se Safiyya Bint Huyay (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) itikaf mein thay to mein raat ke waqt Aap se mulaqat ke liye (masjid mein) aayi, mein Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se baatein karti rahi, phir jab wapas hone ke liye khadi hui to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) bhi mujhe chhod aane ke liye khade hue. Umm-ul-Momineen Sayyida Safiyya (Radi Allahu Anha) ka makan Usama Bin Zaid (Radi Allahu Anhuma) ke makan hi mein tha. Isi waqt do ansari sahaba (Usaid Bin Huzair, Ubada Bin Bashir) guzre. Jab unhon ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko dekha to taiz chalne lage. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un se farmaya, zara thehar jao ye Safiyya Bint Huyay hain. In dono sahaba ne arz kiya, Subhan Allah: Ya Rasul Allah! (Kya hum bhi Aap ke bare mein koi shubha kar sakte hain) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke shaitan insan ke andar khoon ki tarah daudta rehta hai. Is liye mujhe darr laga ke kahin tumhare dilon mein bhi koi waswasa na daal de, ya Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (lafz 'su-in' ki jagah) lafz 'shaian' farmaya, maane ek hi hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3282
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن عدي بن ثابت، عن سليمان بن صرد، قال: كنت جالسا مع النبي صلى الله عليه وسلم ورجلان يستبان فاحدهما احمر وجهه وانتفخت اوداجه، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" إني لاعلم كلمة لو قالها ذهب عنه ما يجد لو، قال: اعوذ بالله من الشيطان ذهب عنه ما يجد، فقالوا: له إن النبي صلى الله عليه وسلم، قال: تعوذ بالله من الشيطان، فقال: وهل بي جنون".
Hum se Abdan ne bayan kiya, un se Abu Hamza ne, un se Aamash ne, un se Adi Bin Sabit ne aur un se Sulaiman Bin Surad (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein baitha hua tha aur (qareeb hi) do aadmi aapas mein gali galoch kar rahe thay ke ek shakhs ka munh surkh ho gaya aur gardan ki ragein phool gayeen. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke mujhe ek aisa kalma maloom hai ke agar ye shakhs ise parh le to is ka ghussa jata rahega. Farmaya 'Auzu billahi minash shaitan' 'Mein panah mangta hoon Allah ki shaitan se.' To is ka ghussa jata rahega. Logon ne is par is se kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) farma rahe hain ke tumhein shaitan se Allah ki panah mangni chahiye, us ne kaha, kya mein koi deewana hoon
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3283
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا منصور، عن سالم بن ابي الجعد، عن كريب، عن ابن عباس، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لو ان احدكم إذا اتى اهله، قال: اللهم جنبني الشيطان وجنب الشيطان ما رزقتني، فإن كان بينهما ولد لم يضره الشيطان ولم يسلط عليه"، قال:وحدثنا الاعمش، عن سالم، عن كريب، عن ابن عباس، مثله.
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Mansoor ne bayan kiya, un se Salim Bin Abi-ul-Jad ne, un se Kuraib ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Koi shakhs jab apni biwi ke paas jaye aur ye dua parh le. 'Allahumma jannibnish shaitana, wa jannibish shaitana ma razaqtani' 'Ae Allah! Mujhe shaitan se door rakh aur jo meri aulad paida ho, ise bhi shaitan se door rakh.' Phir is suhbat se agar koi bacha paida ho to shaitan ise koi nuqsan nahi pahuncha sakega aur na is par tasallut qaim kar sakega." Shuba ne bayan kiya aur hum se Aamash ne bayan kiya, un se Salim ne, un se Kuraib ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne aisi hi riwayat ki
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3284
حدثنا محمود، حدثنا شبابة، حدثنا شعبة، عن محمد بن زياد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم:"انه صلى صلاة، فقال: إن الشيطان عرض لي فشد علي يقطع الصلاة علي فامكنني الله منه فذكره".
Hum se Mahmud Bin Ghaylan ne bayan kiya, kaha hum se Shababa ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Ziyad ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek martaba namaz parhi aur farigh hone ke baad farmaya ke shaitan mere samne aa gaya tha aur namaz tudwane ki koshishein shuru kar di theen, lekin Allah Ta'ala ne mujhe is par ghalib kar diya. Phir hadees ko tafseel ke sath aakhir tak bayan kiya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3285
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا الاوزاعي، عن يحيى بن ابي كثير، عن ابي سلمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" إذا نودي بالصلاة ادبر الشيطان وله ضراط، فإذا قضي اقبل، فإذا ثوب بها ادبر، فإذا قضي اقبل حتى يخطر بين الإنسان وقلبه، فيقول: اذكر كذا وكذا حتى لا يدري اثلاثا صلى ام اربعا، فإذا لم يدر ثلاثا صلى او اربعا سجد سجدتي السهو".
Hum se Muhammad Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum se Auzai ne bayan kiya, un se Yahya Bin Abi Kaseer ne, un se Abu Salama ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jab namaz ke liye azan di jati hai to shaitan apni peeth pher kar goz marta hua bhagta hai. Jab azan khatam ho jati hai to wapas aa jata hai. Phir jab takbeer hone lagti hai to bhag khada hota hai aur jab takbeer khatam ho jati hai to phir wapas aa jata hai aur aadmi ke dil mein wasawis dalne lagta hai ke falan baat yaad kar aur falan baat yaad kar, natija ye hota hai ke is ko ye bhi yaad nahi rehta ke teen rakat namaz parhi thi ya char rakat, jab ye yaad na rahe to sahu ke do sajde kare."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3286
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" كل بني آدم يطعن الشيطان في جنبيه بإصبعه حين يولد غير عيسى ابن مريم ذهب يطعن فطعن في الحجاب".
Hum se Abu-ul-Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Abu-ul-Zinad ne, unhein Aaraj ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Shaitan har insan ki paidayish ke waqt apni ungli se is ke pehlu mein kachoke lagata hai siwaye Isa Bin Maryam Alaihis Salam ke jab unhein wo kachoke lagane gaya to parde par laga aaya tha (jis ke andar bacha rehta hai. Is ki rasayi wahan tak na ho saki, Allah ne Isa Alaihis Salam ko is ki is harkat se mahfooz rakha)."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3287
حدثنا مالك بن إسماعيل، حدثنا إسرائيل، عن المغيرة، عن إبراهيم، عن علقمة، قال: قدمت الشام، فقلت: من ها هنا، قالوا: ابو الدرداء، قال: افيكم الذي اجاره الله من الشيطان على لسان نبيه صلى الله عليه وسلم"، حدثنا، سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن مغيرة، وقال:" الذي اجاره الله على لسان نبيه صلى الله عليه وسلم يعني عمارا".
Hum se Maalik Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Israeel ne bayan kiya, un se Mugheera ne, un se Ibrahim ne aur un se Alqama ne bayan kiya ke mein Shaam pahuncha to logon ne kaha, Abu-ul-Darda aaye unhon ne kaha, kya tum logon mein wo shakhs hai jis ko Allah Ta'ala ne apne Rasul ki zaban par (yaani Aap ke zamane se) shaitan se bacha rakha hai. Hum se Sulaiman Bin Harb ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya aur un se Mugheera ne yahi hadees, is mein ye hai, jinhein Allah Ta'ala ne apne Nabi ki zabani shaitan se apni panah mein lene ka elan kiya tha, aap ki murad Ammar (Radi Allahu Anhu) se thi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3288
قال: وقال: الليث، حدثني خالد بن يزيد، عن سعيد بن ابي هلال ان ابا الاسود اخبره، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" الملائكة تتحدث في العنان والعنان الغمام بالامر يكون في الارض، فتسمع الشياطين الكلمة فتقرها في اذن الكاهن كما تقر القارورة فيزيدون معها مائة كذبة".
Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke Laith Bin Saad ne kaha ke mujh se Khalid Bin Yazid ne bayan kiya, un se Said Bin Abi Hilal ne, un se Abu-ul-Aswad ne, unhein Urwah ne khabar di aur unhein Aisha (Radi Allahu Anha) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke farishte badal mein aapas mein kisi amar mein jo zameen mein hone wala hota hai baatein karte hain. 'anan' se murad badal hai. To shayatin is mein se koi ek kalma sun lete hain aur wahi kahinon ke kaan mein is tarah la kar dalte hain jaise sheeshe ka munh mila kar is mein kuch chhodte hain aur wo kahin is mein so jhoot apni taraf se milate hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3289
حدثنا عاصم بن علي، حدثنا ابن ابي ذئب، عن سعيد المقبري، عن ابيه، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" التثاؤب من الشيطان فإذا تثاءب احدكم فليرده ما استطاع فإن احدكم إذا، قال: ها ضحك الشيطان".
Hum se Asim Bin Ali ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Wahb ne bayan kiya, un se Said Maqbari ne, un se un ke walid ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jamayi shaitan ki taraf se hai. Pas jab kisi ko jamayi aaye to jahan tak ho sake ise roke. Kyunke jab koi (jamayi lete hue) 'haha' karta hai to shaitan is par hansta hai."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة