الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ خَيْرُ مَالِ الْمُسْلِمِ غَنَمٌ يَتْبَعُ بِهَا شَعَفَ الْجِبَالِ:
Bab: Musalman ka behtareen maal bakriyan hain jin ko charane ke liye paharon ki chotiyon par phirta rahe.
Hadith Number: 3307
حدثنا صدقة بن الفضل، اخبرنا ابن عيينة، حدثنا عبد الحميد بن جبير بن شيبة، عن سعيد بن المسيب , ان ام شريك اخبرته، ان النبي صلى الله عليه وسلم:" امرها بقتل الاوزاغ".
Hum se Sadaqa ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Ibn Uyaina ne khabar di, unhon ne kaha hum se Abdul Hameed Bin Jubair Bin Shaiba ne bayan kiya, un se Said Bin Musayyab ne bayan kiya aur unhein Umm-e-Sharik (Radi Allahu Anha) ne khabar di ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne girgat (chipkali) ko maar dalne ka hukm farmaya hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3308
حدثنا عبيد بن إسماعيل، حدثنا ابو اسامة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" اقتلوا ذا الطفيتين فإنه يلتمس البصر ويصيب الحبل".
Hum se Ubaid Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, un se Hisham ne, un se un ke walid ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jis saanp ke sarr par do nuqte hote hain, unhein maar dala karo, kyunke wo andha bana dete hain aur hamal ko bhi nuqsan pahunchate hain." Abu Usama ke sath is ko Hammad Bin Salama ne bhi riwayat kiya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3309
حدثنا مسدد، حدثنا يحيى، عن هشام، قال: حدثني ابي، عن عائشة، قالت: امر النبي صلى الله عليه وسلم" بقتل الابتر، وقال: إنه يصيب البصر ويذهب الحبل".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yahya Qattan ne bayan kiya, un se Hisham ne bayan kiya, un se un ke walid ne bayan kiya aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne dumm-bareeda saanp ko maar dalne ka hukm diya aur farmaya ke ye aankhon ko nuqsan pahunchata hai aur hamal ko saaqit kar deta hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3310
حدثني عمرو بن علي، حدثنا ابن ابي عدي، عن ابي يونس القشيري، عن ابن ابي مليكة، ان ابن عمر كان يقتل الحيات ثم نهى، قال: إن النبي صلى الله عليه وسلم هدم حائطا له فوجد فيه سلخ حية، فقال: انظروا اين هو فنظروا، فقال: اقتلوه فكنت اقتلها لذلك.
Hum se Amr Bin Ali Fallas ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Abi Adi ne bayan kiya, un se Abu Yunus Qushairi (Hatim Bin Abi Saghira) ne, un se Ibn Abi Mulaika ne ke Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) sanpon ko pehle maar dala karte thay lekin baad mein unhein maarne se khud hi mana karne lage. Unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apni ek deewar girwayi to is mein se ek saanp ki kenchli nikli, Aap ne farmaya ke dekho, wo saanp kahan hai. Sahaba (Radi Allahu Anhum) ne talash kiya (aur wo mil gaya to) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ise maar dalo, mein bhi isi wajah se sanpon ko maar dala karta tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3311
فلقيت ابا لبابةفاخبرني ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تقتلوا الجنان إلا كل ابتر ذي طفيتين فإنه يسقط الولد ويذهب البصر فاقتلوه".
Phir meri mulaqat ek din Abu Lubaba (Radi Allahu Anhu) se hui, to unhon ne mujhe khabar di ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Patle ya safaid sanpon ko na mara karo. Albatta dumm-kate hue saanp ko jis par do safaid dhariyan hoti hain is ko maar dalo, kyunke ye itna zehrila hai ke hamila ke hamal ko gira deta hai aur aadmi ko andha bana deta hai."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3312
Hum se Maalik Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Jareer Bin Hazim ne bayan kiya aur un se Nafi ne ke Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) sanpon ko maar dala karte thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3313
فحدثه ابو لبابة، ان النبي صلى الله عليه وسلم:" نهى عن قتل جنان البيوت فامسك عنها".
Phir un se Abu Lubaba (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne gharon ke patle ya safaid sanpon ko maarne se mana farmaya hai to unhon ne maarna chhod diya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ خَمْسٌ مِنَ الدَّوَابِّ فَوَاسِقُ يُقْتَلْنَ فِي الْحَرَمِ:
Bab: Paanch bohot hi bure (insan ko takleef dene wale) janwar hain, jin ko haram mein bhi maar daalna durust hai.
Hadith Number: 3314
حدثنا مسدد، حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا معمر، عن الزهري، عن عروة، عن عائشة رضي الله عنها، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" خمس فواسق يقتلن في الحرم الفارة، والعقرب، والحديا، والغراب، والكلب العقور".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yazid Bin Zuraie ne bayan kiya, kaha hum se Ma'mar ne bayan kiya, un se Zuhri ne, un se Urwah ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Paanch janwar mozi hain, unhein haram mein bhi mara ja sakta hai: chooha, bichhoo, cheel, kawa aur kaat lene wala kutta."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3315
حدثنا عبد الله بن مسلمة، اخبرنا مالك، عن عبد الله بن دينار، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" خمس من الدواب من قتلهن وهو محرم فلا جناح عليه العقرب، والفارة، والكلب العقور، والغراب، والحداة".
Hum se Abdullah Bin Muslima ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Imam Maalik ne khabar di, unhein Abdullah Bin Dinar ne aur unhein Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Paanch janwar aise hain jinhein agar koi shakhs halat-e-ihram mein bhi maar dale to is par koi gunah nahi: bichhoo, chooha, kaat lene wala kutta, kawa aur cheel."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3316
حدثنا مسدد، حدثنا حماد بن زيد، عن كثير، عن عطاء، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما رفعه، قال:" خمروا الآنية، واوكوا الاسقية، واجيفوا الابواب، واكفتوا صبيانكم عند العشاء، فإن للجن انتشارا وخطفة، واطفئوا المصابيح عند الرقاد، فإن الفويسقة ربما اجترت الفتيلة فاحرقت اهل البيت، قال: ابن جريج وحبيب، عن عطاء فإن للشياطين.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya, un se Kaseer ne, un se Ata ne aur un se Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Paani ke bartanon ko dhak liya karo, mashkeezon (ke munh) ko baandh liya karo, darwaze band kar liya karo aur apne bacchon ko apne paas jama kar liya karo, kyunke sham hote hi jinnat (roye zameen par) phailte hain aur achakte phirte hain aur sote waqt chiragh bujha liya karo, kyunke mozi janwar (chooha) baaz auqat jalti batti ko khainch lata hai aur is tarah saare ghar ko jala deta hai." Ibn Juraij aur Habib ne bhi is ko Ata se riwayat kiya, is mein jinnat ke badal shayatin mazkoor hain
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة