الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ صِفَةِ إِبْلِيسَ وَجُنُودِهِ:
Bab: Iblees aur us ki fauj ka bayan.
Hadith Number: 3290
حدثنا زكرياء بن يحيى، حدثنا ابو اسامة، قال هشام اخبرنا، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" لما كان يوم احد هزم المشركون فصاح إبليس اي عباد الله اخراكم، فرجعت اولاهم فاجتلدت هي واخراهم فنظر حذيفة فإذا هو بابيه اليمان، فقال: اي عباد الله ابي ابي فوالله ما احتجزوا حتى قتلوه، فقال حذيفة: غفر الله لكم، قال: عروة فما زالت في حذيفة منه بقية خير حتى لحق بالله".
Hum se Zakariya Bin Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Abu Usama ne bayan kiya, kaha ke Hisham ne humein apne walid Urwah se khabar di aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya, kaha ke Uhud ki ladai mein jab mushrikeen ko shikast ho gayi to Iblees ne chilla kar kaha ke Ae Allah ke bando! (yaani Musalmano) apne peechhe walon se bacho, chunanche aage ke Musalman peechhe ki taraf pal pade aur peechhe walon ko (jo Musalman hi thay) unhon ne marna shuru kar diya. Huzaifa (Radi Allahu Anhu) ne dekha to un ke walid Yaman (Radi Allahu Anhu) bhi peechhe thay. Unhon ne bahotaira kaha ke Ae Allah ke bando! Ye mere walid hain, ye mere walid hain. Lekin Allah gawah hai ke logon ne jab tak unhein qatl na kar liya na chhoda. Baad mein Huzaifa (Radi Allahu Anhu) ne sirf itna kaha ke khair. Allah tumhein maaf kare (ke tum ne ghalat fehmi se ek Musalman ko maar dala) Urwah ne bayan kiya ke phir Huzaifa (Radi Allahu Anhu) apne walid ke qatilon ke liye barabar maghfirat ki dua karte rahe. Ta-aanke Allah se ja mile
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3291
حدثنا الحسن بن الربيع، حدثنا ابو الاحوص، عن اشعث، عن ابيه، عن مسروق، قال: قالت عائشة رضي الله عنها: سالت النبي صلى الله عليه وسلم عن التفات الرجل في الصلاة؟، فقال:" هو اختلاس يختلس الشيطان من صلاة احدكم".
Hum se Hasan Bin Rabi ne bayan kiya, kaha hum se Abu-ul-Ahwas ne, un se Ash'as ne, un se un ke walid ne, un se Masrooq ne bayan kiya aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se namaz mein idhar udhar dekhne ke mutaliq pucha to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ye shaitan ki ek achak hai jo wo tum mein se ek ki namaz se kuch achak leta hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3292
حدثنا ابو المغيرة، حدثنا الاوزاعي، قال: حدثني يحيى، عن عبد الله بن ابي قتادة، عن ابيه عن النبي صلى الله عليه وسلم، وحدثني سليمان بن عبد الرحمن، حدثنا الوليد، حدثنا الاوزاعي، قال: حدثني يحيى بن ابي كثير، قال: حدثني عبد الله بن ابي قتادة، عن ابيه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" الرؤيا الصالحة من الله والحلم من الشيطان، فإذا حلم احدكم حلما يخافه، فليبصق عن يساره وليتعوذ بالله من شرها فإنها لا تضره".
(Doosri sanad) Hum se Abu-ul-Mugheera ne bayan kiya, kaha hum se Auzai ne bayan kiya, kaha ke mujh se Yahya Bin Abi Kaseer ne bayan kiya, un se Abdullah Bin Abi Qatada ne, un se un ke walid ne aur un se Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne (misl riwayat-e-sabiqa ki hadees bayan ki) mujh se Sulaiman Bin Abdur Rahman ne bayan kiya, kaha hum se Waleed ne bayan kiya, kaha hum se Auzai ne bayan kiya, kaha ke mujh se Yahya Bin Abi Kaseer ne bayan kiya, kaha ke mujh se Abdullah Bin Abi Qatada ne bayan kiya aur un se un ke walid ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Accha khwab Allah Ta'ala ki taraf se hai aur bura khwab shaitan ki taraf se hai. Is liye agar koi bura aur darauna khwab dekhe to bayein taraf thoo thoo kar ke shaitan ke shar se Allah ki panah mange. Is amal se shaitan ise koi nuqsan na pahuncha sakega."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3293
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن سمي مولى ابي بكر، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: من قال:" لا إله إلا الله وحده، لا شريك له، له الملك وله الحمد وهو على كل شيء قدير، في يوم مائة مرة كانت له عدل عشر رقاب، وكتبت له مائة حسنة ومحيت عنه مائة سيئة، وكانت له حرزا من الشيطان يومه ذلك حتى يمسي، ولم يات احد بافضل مما جاء به إلا احد عمل اكثر من ذلك".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Maalik ne khabar di, unhein Abu Bakr ke ghulam Sumay ne, unhein Abu Salah ne aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jo shakhs din bhar mein so martaba ye dua parhega 'La ilaha illallahu wahdahu la sharika lahu, lahul mulku wa lahul hamdu, wa huwa ala kulli shai-in qadirun' 'Nahi hai koi mabood, siwa Allah Ta'ala ke, is ka koi shareek nahi, mulk usi ka hai. Aur tamam tareef usi ke liye hai aur wo har cheez par qadir hai.' To ise das ghulam azad karne ke barabar sawab milega. So naikiyaan is ke nama-e-amal mein likhi jayeingi aur so buraiyaan is se mita di jayeingi. Is roz din bhar ye dua shaitan se is ki hifazat karti rahegi. Ta-aanke sham ho jaye aur koi shakhs is se behtar amal le kar na aaye ga, magar jo is se bhi zyada ye kalma parh le."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3294
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا يعقوب بن إبراهيم، حدثنا ابي، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عبد الحميد بن عبد الرحمن بن زيد، ان محمد بن سعد بن ابي وقاص اخبره، ان اباه سعد بن ابي وقاص، قال: استاذن عمر على رسول الله صلى الله عليه وسلم وعنده نساء من قريش يكلمنه ويستكثرنه عالية اصواتهن، فلما استاذن عمر قمن يبتدرن الحجاب، فاذن له رسول الله صلى الله عليه وسلم، ورسول الله صلى الله عليه وسلم يضحك، فقال: عمر اضحك الله سنك يا رسول الله، قال: عجبت من هؤلاء اللاتي كن عندي فلما سمعن صوتك ابتدرن الحجاب، قال عمر: فانت يا رسول الله كنت احق ان يهبن، ثم قال: اي عدوات انفسهن اتهبنني، ولا تهبن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قلن: نعم انت افظ واغلظ من رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" والذي نفسي بيده ما لقيك الشيطان قط سالكا فجا إلا سلك فجا غير فجك".
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Yaqub Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha hum se hamare baap ne bayan kiya, un se Salih ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, kaha ke mujhe Abdul Hameed Bin Abdur Rahman Bin Zaid ne khabar di, unhein Muhammad Bin Saad Bin Abi Waqqas (Radi Allahu Anhu) ne khabar di aur un se un ke walid Saad Bin Abi Waqqas ne bayan kiya ke ek dafa Umar (Radi Allahu Anhu) ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hone ki ijazat chahi. Is waqt chand quraishi aurtein (khud Aap ki biwiyaan) Aap ke paas baithi Aap se guftagu kar rahi theen aur Aap se (kharch mein) badhane ka sawal kar rahi theen. Khoob awaz buland kar ke. Lekin jonhi Umar (Radi Allahu Anhu) ne ijazat chahi, wo khawateen jaldi se parde ke peechhe chali gayeen. Phir Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne unhein ijazat di, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) muskura rahe thay. Umar (Radi Allahu Anhu) ne kaha, Allah Ta'ala hamesha Aap ko hansata rakhe. Ya Rasul Allah! Aap ne farmaya ke mujhe in auraton par tajjub hua abhi abhi mere paas theen, lekin jab tumhari awaz suni to parde ke peechhe jaldi se bhag gayeen. Umar (Radi Allahu Anhu) ne arz kiya, lekin Aap Ya Rasul Allah! Zyada is ke mustahaq thay ke Aap se ye dartin, phir unhon ne kaha: Ae apni janon ke dushmano! Mujh se to tum darti ho aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se nahi dartin. Azwaj-e-Mutahhirat boleen ke waqiya yahi hai kyunke aap Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke bar-khilaf mizaj mein bahut sakht hain. Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Is zaat ki qasam! Jis ke hath mein meri jaan hai, agar shaitan bhi kahin raste mein tum se mil jaye, to jhat wo rasta chhod kar doosra rasta ikhtiyar kar leta hai."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3295
حدثني إبراهيم بن حمزة، قال: حدثني ابن ابي حازم، عن يزيد، عن محمد بن إبراهيم، عن عيسى بن طلحة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا استيقظ اراه احدكم من منامه، فتوضا فليستنثر ثلاثا، فإن الشيطان يبيت على خيشومه".
Hum se Ibrahim Bin Hamza ne bayan kiya, kaha mujh se Ibn Abi Hazim ne bayan kiya, un se Yazid ne, un se Muhammad Bin Ibrahim ne, un se Isa Bin Talha ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jab koi shakhs so kar utthe aur phir wazu kare to teen martaba naak jhaade, kyunke shaitan raat bhar is ki naak ke nathne par baitha rehta hai (jis se aadmi par susti ghalib aa jati hai. Pas naak jhaadne se wo susti door ho jaye gi)."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ ذِكْرِ الْجِنِّ وَثَوَابِهِمْ وَعِقَابِهِمْ:
Bab: Jinno ka bayan aur un ko sawab aur azab ka hona.
Hadith Number: Q3296
لقوله يا معشر الجن والإنس الم ياتكم رسل منكم يقصون عليكم آياتي إلى قوله عما يعملون سورة الانعام آية 130، بخسا سورة الجن آية 13 نقصا، قال مجاهد وجعلوا بينه وبين الجنة نسبا سورة الصافات آية 158 قال كفار قريش الملائكة بنات الله وامهاتهن بنات سروات الجن قال الله ولقد علمت الجنة إنهم لمحضرون سورة الصافات آية 158 ستحضر للحساب جند محضرون سورة يس آية 75 عند الحساب.
Kyun ke Allah ne (Surah Al-Anam mein) farmaya "ya mashar-al-jinni wal insi alam yatikum rusulun minkum yaqussoona alaikum ayati" "Ae jinon aur admiyo! Kya tumhare paas tumhare hi mein se rasul nahi aaye? Jo meri aayitein tum ko sunate rahe." Aakhir tak. (Quran Majeed mein Surah Al-Jinn mein) "bakhsan" ba-maane nuqsan ke hai. Mujahid ne kaha Surah Al-Saffat mein jo ye hai ke kafiron ne parwardigar aur jinnat mein nata thehraya hai, Quraish kaha karte thay ke farishte Allah Ta'ala ki betiyaan hain aur un ki maaien sardar jinon ki betiyaan hain. Allah Ta'ala ne un ke jawab mein farmaya, jin jante hain ke in kafiron ko hisab kitab dene ke liye hazir hona padega (Surah Yaaseen mein jo ye hai) "jundun muhdharoona" yaani hisab ke waqt hazir kiye jayenge
.
.
Hadith Number: 3296
حدثنا قتيبة، عن مالك، عن عبد الرحمن بن عبد الله بن عبد الرحمن بن ابي صعصعة الانصاري، عن ابيه، انه اخبره، ان ابا سعيد الخدري رضي الله عنه، قال له:" إني اراك تحب الغنم والبادية فإذا كنت في غنمك وباديتك فاذنت بالصلاة فارفع صوتك بالنداء، فإنه لا يسمع مدى صوت المؤذن جن، ولا إنس ولا شيء إلا شهد له يوم القيامة"، قال: ابو سعيد سمعته من رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Hum se Qutaiba Bin Said ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Imam Maalik ne, un se Abdur Rahman Bin Abdullah Bin Abdur Rahman Bin Abi Sasah Ansari ne aur unhein un ke walid ne khabar di ke un se Abu Said Khudri (Radi Allahu Anhu) ne kaha mein dekhta hoon ke tum ko jangal mein reh kar bakriyaan charana bahut pasand hai. Is liye jab kabhi apni bakriyon ke sath tum kisi biyaban mein maujood ho aur (waqt hone par) namaz ke liye azan do to azan dete hue apni awaz khoob buland karo, kyunke muazzin ki awaz-e-azan ko jahan tak bhi koi insan, jin ya koi cheez bhi sune gi to Qiyamat ke din is ke liye gawahi de gi. Abu Said (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke ye hadees mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suni thi
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ جَلَّ وَعَزَّ: {وَإِذْ صَرَفْنَا إِلَيْكَ نَفَرًا مِنَ الْجِنِّ} إِلَى قَوْلِهِ: {أُولَئِكَ فِي ضَلاَلٍ مُبِينٍ}:
Bab: Aur Allah Taala ka (Surah Al-Jinn mein) farmana“Aur jab hum ne Aap ki taraf jinno ke ek giroh ko bhej diya”.
Hadith Number: Q3297-2
{مصرفا} معدلا {صرفنا} اي وجهنا.
Surah Al-Kahf mein lafz "masrifan" ba-maane lautne ki jagah ke hai. Surah Al-Jinn mein lafz "sarafna" ka maane mutawajje kiya, bhej diya
.
.
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَبَثَّ فِيهَا مِنْ كُلِّ دَابَّةٍ}:
Bab: Allah Taala ka (Surah Al-Baqarah mein) irshad“Aur hum ne zameen par har tarah ke janwar phela diye”.
Hadith Number: Q3297
قال ابن عباس الثعبان الحية الذكر منها يقال الحيات اجناس الجان والافاعي والاساود. {آخذ بناصيتها} في ملكه وسلطانه يقال: {صافات} بسط اجنحتهن. {يقبضن} يضربن باجنحتهن.
Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha ke (Quran Majeed mein) lafz "subanun" narr saanp ke liye aaya hai baaz ne kaha, sanpon ki kai qismein hoti hai. "jaanun" jo safaid bareek ho, "afa-i" , zehar dar saanp aur "asawidu" kala naag (waghera) Surah Hud mein "akhizun binasiyatiha" se murad ye hai ke har janwar ki peshani thame hue hai. Yaani har janwar us ki milk aur us ki hukumat mein hai. Lafz "saffatin" jo Surah Al-Mulk mein hai, is ke maane apne parr phailaye hue aur isi surat mein lafz "yaqbizna" ba-maane apne bazuon ko samete hue ke hain
.
.