الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا جَاءَ فِي صِفَةِ الْجَنَّةِ وَأَنَّهَا مَخْلُوقَةٌ:
Bab: Jannat ka bayan aur ye bayan ke jannat paida ho chuki hai.
Hadith Number: 3253
ولقاب قوس احدكم في الجنة خير مما طلعت عليه الشمس او تغرب".
Aur kisi shakhs ke liye ek kaman ke barabar Jannat mein jagah is poori dunya se behtar hai jis par sooraj tulu aur ghuroob hota hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3254
حدثنا إبراهيم بن المنذر، حدثنا محمد بن فليح، حدثنا ابي، عن هلال، عن عبد الرحمن بن ابي عمرة، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم:" اول زمرة تدخل الجنة على صورة القمر ليلة البدر والذين على آثارهم كاحسن كوكب دري في السماء إضاءة قلوبهم على قلب رجل واحد، لا تباغض بينهم، ولا تحاسد لكل امرئ زوجتان من الحور العين يرى مخ سوقهن من وراء العظم واللحم".
Hum se Ibrahim Bin-ul-Munzir ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad Bin Falih ne bayan kiya, kaha hum se hamare baap ne bayan kiya, un se Hilal ne, un se Abdur Rahman Bin Abi Amra ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ke sab se pehla giroh jo Jannat mein dakhil hoga, in ke chehre chaudhwin raat ke chand ki tarah roshan honge. Jo giroh is ke baad dakhil hoga un ke chehre aasman par moti ki tarah chamkne wale sitaron mein jo sab se zyada roshan sitara hota hai us jaise roshan honge, sab ke dil ek jaise honge na un mein bughz-o-fasad hoga aur na hasad, har jannati ki do hoor-een biwiyaan hongi, itni haseen ke un ki pindli ki haddi aur gosht ke andar ka goda bhi dekha ja sakega
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3255
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا شعبة، قال عدي بن ثابت اخبرني، قال: سمعت البراء رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لما مات إبراهيم، قال: إن له مرضعا في الجنة".
Hum se Hajjaj Bin Minhal ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, kaha ke mujhe Adi Bin Sabit ne khabar di, kaha ke mein ne Bara Bin Azib (Radi Allahu Anhu) se suna, unhon ne bayan kiya ke jab Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke (sahibzade) Ibrahim (Radi Allahu Anhu) ka intiqal hua, to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Jannat mein ise ek doodh pilane wali anna ke hawala kar diya gaya hai (jo in ko doodh pilati hai)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3256
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، قال: حدثني مالك بن انس، عن صفوان بن سليم، عن عطاء بن يسار، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" إن اهل الجنة يتراءون اهل الغرف من فوقهم كما يتراءيون الكوكب الدري الغابر في الافق من المشرق، او المغرب لتفاضل ما بينهم، قالوا: يا رسول الله تلك منازل الانبياء، لا يبلغها غيرهم، قال: بلى والذي نفسي بيده رجال آمنوا بالله، وصدقوا المرسلين".
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha ke mujh se Imam Malik Bin Anas ne bayan kiya, un se Safwan Bin Sulaim ne, un se Ata Bin Yasar ne aur un se Abu Said Khudri (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jannati log apne se buland kamre walon ko upar isi tarah dekheinge jaise chamakte sitare ko jo subah ke waqt reh gaya ho, aasman ke kinare purab ya pachham mein dekhte hain. In mein ek doosre se afzal hoga." Logon ne arz kiya: Ya Rasul Allah! Ye to anbiya ke mahal honge jinhein un ke siwa aur koi na pa sakega. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke nahi, is zaat ki qasam! Jis ke hath mein meri jaan hai. Ye un logon ke liye honge jo Allah Ta'ala par iman laye aur anbiya ki tasdeeq ki
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ صِفَةِ أَبْوَابِ الْجَنَّةِ:
Bab: Jannat ke darwazon ka bayan.
Hadith Number: Q3257
وقال النبي صلى الله عليه وسلم: من انفق زوجين دعي من باب الجنة فيه عبادة، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke jis ne (Allah ke raste mein kisi cheez ka) ek joda kharch kiya, ise Jannat ke darwaze se bulaya jaye ga is baab mein Ubada Bin Samit ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se riwayat ki hai
.
.
Hadith Number: 3257
حدثنا سعيد بن ابي مريم، حدثنا محمد بن مطرف، قال: حدثني ابو حازم، عن سهل بن سعد رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" في الجنة ثمانية ابواب فيها باب يسمى الريان لا يدخله إلا الصائمون".
Hum se Said Bin Abi Maryam ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad Bin Mutarrif ne bayan kiya, kaha ke mujh se Abu Hazim ne bayan kiya, un se Sahl Bin Saad Sa'idi (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jannat ke aath darwaze hain. In mein ek darwaze ka naam Rayyan hai. Jis se dakhil hone wale sirf roze dar honge."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ صِفَةِ النَّارِ وَأَنَّهَا مَخْلُوقَةٌ:
Bab: Dozakh ka bayan aur ye bayan ke dozakh ban chuki hai, woh maujood hai.
Hadith Number: Q3258
وغساقا سورة النبا آية 25، يقال: غسقت عينه ويغسق الجرح وكان الغساق والغسق واحد غسلين سورة الحاقة آية 36 كل شيء غسلته، فخرج منه شيء فهو غسلين فعلين من الغسل من الجرح والدبر، وقال: عكرمة حصب جهنم سورة الانبياء آية 98 حطب بالحبشية، وقال: غيره حاصبا سورة الإسراء آية 68 الريح العاصف والحاصب ما ترمي به الريح ومنه حصب جهنم يرمى به في جهنم هم حصبها، ويقال: حصب في الارض ذهب والحصب مشتق من حصباء الحجارة صديد سورة إبراهيم آية 16 قيح ودم خبت سورة الإسراء آية 97 طفئت تورون سورة الواقعة آية 71 تستخرجون، اوريت اوقدت للمقوين سورة الواقعة آية 73 للمسافرين والقي القفر، وقال ابن عباس: صراط الجحيم سواء الجحيم ووسط الجحيم لشوبا من حميم سورة الصافات آية 67 يخلط طعامهم ويساط بالحميم زفير وشهيق سورة هود آية 106 صوت شديد وصوت ضعيف وردا سورة مريم آية 86 عطاشا غيا سورة مريم آية 59 خسرانا، وقال: مجاهد يسجرون سورة غافر آية 72 توقد بهم النار ونحاس سورة الرحمن آية 35 الصفر يصب على رءوسهم، يقال ذوقوا سورة آل عمران آية 181 باشروا وجربوا وليس هذا من ذوق الفم مارج خالص من النار مرج الامير رعيته إذا خلاهم يعدو بعضهم على بعض مريج سورة ق آية 5 ملتبس مرج امر الناس اختلط مرج البحرين سورة الفرقان آية 53 مرجت دابتك تركتها.
Surah Al-Naba mein jo lafz "ghassaqan" aaya hai is ka maane peep lahu, Arab log kehte hain "ghassaqat ainuhu" is ki aankh beh rahi hai. "yaghsaqu-l-jarhu" zakham beh raha hai. "ghassaqun" aur "ghasaqun" dono ke ek hi maane hain. "ghisleenun" ka lafz jo Surah Al-Haqqa mein hai is ka maane "dahoonun" yaani kisi cheez ke dhone mein jaise aadmi ka zakham ho ya ont ka jo nikle "filenun" ke wazan par ghusl se mushtaq hai. Ikrima ne kaha "hasabu" ka lafz jo Surah Al-Anbiya mein hai maane "hatabu" yaani indhan ke hain. Ye lafz Habshi zaban ka hai. Doosron ne kaha, "hasiban" ka maane jo Surah Bani Israil mein hai tund hawa, aandhi aur "hasibun" is ko bhi kehte hain jo hawa uda kar laye. Isi se lafz "hasabu jahannama" nikla hai jo Surah Al-Anbiya mein hai. Yaani dozakh mein jhonke jayenge wo is ke indhan baneinge. Arab log kehte hain "hasaba fil ardhi" yaani wo zameen mein chala gaya. "hasabun" "hasba-u" se nikla hai. Yaani pathreeli kankariyan. "sadeedun" ka lafz jo Surah Ibrahim mein hai is ka maane peep aur lahu ke hain. "khabat" ka lafz jo Surah Bani Israil mein hai is ka maane bujh jaye gi. "tooroona" ka lafz jo Surah Al-Waqi'a mein hai is ka maane aag sulgate ho, kehte hain "auraitu" yaani mein ne aag sulgayi. "muqweena" ka lafz jo Surah Al-Waqi'a mein hai ye lafz "qaiyun" se nikla hai. "qaiyun" ujaad zameen ko kehte hain aur Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne "sawa-il-jaheemi" ki tafseer mein kaha jo Surah Al-Saffat mein hai dozakh ka beechon beech ka hissa, "lashauban min hamimin" (jo isi surat mein hai) is ka maane ye hai ke dozakhiyon ke khane mein garam kholta hua pani milaya jaye ga. Alfaz "zafeer" aur "shaheeq" jo Surah Hud mein hain in ke maane awaz se rona aur aahista se rona, lafz "wirdan" jo Surah Maryam mein hai yaani pyaase, lafz "ghaiya" jo isi surat mein hai. Yaani tota nuqsan, aur Mujahid ne kaha lafz "yusjaroona" jo Surah Momin mein hai, yaani aag ka indhan baneinge. Lafz "nuhaasun" jo Surah Al-Rahman mein hai is ka maane tanba jo pighla kar un ke saron par dala jaye ga. Lafz "zooqoo" jo kai suraton mein aaya hai is ka maane ye hai ke azab ko dekho, munh se chakhna murad nahi hai. Lafz "maarijun" jo Surah Al-Rahman mein hai yaani khalis aag. Arab log kehte hain, "maraja-l-ameeru r'aiyyatahu" yaani badshah apni r'aiyyat ko chhod baitha, wo ek doosre par zulm kar rahe hain. Lafz "mareejun" jo Surah Qaaf mein hai, yaani mila hua, mushtaba. Kehte hain "maraja amru-n-nasi ikhtalata" yaani logon ka muamla sab khalt malt ho gaya. Lafz "maraja-l-bahrayni" jo Surah Al-Rahman mein hai "marajat dabbatuka" se nikla hai, yaani tu ne apna janwar chhod diya hai
.
.
Hadith Number: 3258
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن مهاجر ابي الحسن، قال: سمعت زيد بن وهب، يقول: سمعت ابا ذر رضي الله عنه، يقول: كان النبي صلى الله عليه وسلم في سفر، فقال:" ابرد ثم قال: ابرد حتى فاء الفيء يعني للتلول، ثم قال: ابردوا بالصلاة فإن شدة الحر من فيح جهنم".
Hum se Abu-ul-Waleed ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Muhajir Abu-ul-Hasan ne bayan kiya ke mein ne Zaid Bin Wahb se suna, unhon ne bayan kiya ke mein ne Abu Zarr (Radi Allahu Anhu) se suna wo bayan karte thay ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ek safar mein thay (jab Bilal Radi Allahu Anhu zuhar ki azan dene utthe to) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke waqt zara thanda ho lene do, phir dobara (jab wo azan ke liye utthe to phir) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne unhein yahi hukm diya ke waqt aur thanda ho lene do, yahan tak ke teelon ke neeche se sayah dhal gaya, is ke baad Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke namaz thande waqt auqat mein parha karo, kyunke garmi ki shiddat jahannum ki bhaap se paida hoti hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3259
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن الاعمش، عن ذكوان، عن ابي سعيد رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ابردوا بالصلاة فإن شدة الحر من فيح جهنم".
Hum se Muhammad Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Thauri ne bayan kiya, un se Aamash ne, un se Zakwan ne aur un se Abu Said Khudri (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Namaz thande waqt mein parha karo, kyunke garmi ki shiddat jahannum ki bhaap se paida hoti hai."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3260
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: حدثني ابو سلمة بن عبد الرحمن، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اشتكت النار إلى ربها، فقالت: رب اكل بعضي بعضا فاذن لها بنفسين نفس في الشتاء ونفس في الصيف، فاشد ما تجدون من الحر واشد ما تجدون من الزمهرير".
Hum se Abu-ul-Yaman ne bayan kiya ke hum ko Shuaib ne khabar di, un se Zuhri ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Abu Salama Bin Abdur Rahman ne bayan kiya aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna, aap bayan karte thay ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Jahannum ne apne Rabb ke huzoor mein shikayat ki aur kaha ke mere Rabb! Mere hi baaz hisse ne baaz ko kha liya hai. Allah Ta'ala ne ise do sanson ki ijazat di, ek saans jade mein aur ek garmi mein. Tum intihayi garmi aur intihayi sardi jo in mausamon mein dekhte ho, is ka yahi sabab hai."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة