الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَنْ حَدَّثَ بِمَشَاهِدِهِ فِي الْحَرْبِ:
Bab: Jo shakhs apni larai ke karname bayan kare, us ka bayan.
Hadith Number: Q2824
قاله ابو عثمان عن سعد.
Is baab mein Abu Usman ne Saad Bin Abi Waqas (Radi Allahu Anhu) se riwayat kiya hai
.
.
Hadith Number: 2824
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا حاتم، عن محمد بن يوسف، عن السائب بن يزيد، قال: صحبت طلحة بن عبيد الله وسعدا والمقداد بن الاسود وعبد الرحمن بن عوف رضي الله عنهم، فما سمعت احدا منهم يحدث، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم إلا اني سمعت طلحة، يحدث عن يوم احد.
Hum se Qutaiba Bin Saeed ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Hatim ne bayan kiya Muhammad Bin Yusuf se, un se Saib Bin Yazid (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein Talha Bin Ubaidullah, Saad Bin Abi Waqas, Miqdad Bin Aswad aur Abdur Rahman Bin Auf (Radi Allahu Anhum) ki suhbat mein baitha hoon lekin mein ne kisi ko Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki hadees bayan karte nahi suna. Albatta Talha (Radi Allahu Anhu) se suna ke wo Uhud ki jung ke mutalliq bayan kiya karte thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ وُجُوبِ النَّفِيرِ وَمَا يَجِبُ مِنَ الْجِهَادِ وَالنِّيَّةِ:
Bab: Jihad ke liye nikal khara hona wajib hai aur jihad ki niyat rakhne ka wajib hona.
Hadith Number: Q2825
وقول الله عز وجل انفروا خفافا وثقالا وجاهدوا باموالكم وانفسكم في سبيل الله ذلكم خير لكم إن كنتم تعلمون سورة التوبة آية 41 لو كان عرضا قريبا وسفرا قاصدا لاتبعوك ولكن بعدت عليهم الشقة وسيحلفون بالله سورة التوبة آية 42 الآية، وقوله يايها الذين آمنوا ما لكم إذا قيل لكم انفروا في سبيل الله اثاقلتم إلى الارض ارضيتم بالحياة الدنيا من الآخرة إلى قوله على كل شيء قدير سورة التوبة آية 38 - 39 يذكر عن ابن عباس انفروا ثبات سرايا متفرقين يقال احد الثبات ثبة.
Aur Allah Ta'ala ka irshad (Surah At-Taubah mein) "Ke nikal paro halke ho ya bhari aur apne maal se aur apni jaan se Allah ki raah mein jihad karo, ye behtar hai tumhare haq mein agar tum jano, agar kuch maal aasani se mil jaane wala hota aur safar bhi mamooli hota to ye log (munafiqeen), ae Payamber! Zaroor Aap ke sath ho lete lekin un ko to (Tabook) ka safar hi door daraz maloom hua aur ye log ab Allah ki qasam khayein ge." Ke agar hum taqat rakhte to tumhare sath zaroor nikalte wo apne aap ko halak kar rahe hain aur Allah janta hai beshak wo zaroor jhoote hain. Al-Aayat aur Allah ka irshad "Ae iman walo! Tumhein kya ho gaya hai jab ke tum se kaha jata hai niklo Allah ki raah mein jihad ke liye to tum zameen par dher ho jate ho, kya tum duniya ki zindagi par aakhirat ki zindagi ke muqabla mein raazi ho gaye ho? So duniya ki zindagi ka saman to aakhirat ki zindagi ke samne bahut hi thora hai." Allah ke irshad "Aur Allah har cheez par qadir hai." Tak. Abdullah Bin Abbas (Radi Allahu Anhuma) se (pehli aayat ki tafseer mein) manqool hai ke juda juda tukriyan bana kar jihad ke liye niklo, kaha jata hai ke «sbat» (jama) «sb h» hai
.
.
Hadith Number: 2825
حدثنا عمرو بن علي، حدثنا يحيى بن سعيد، حدثنا سفيان، قال: حدثني منصور، عن مجاهد، عن طاوس، عن ابن عباس رضي الله عنهما، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" يوم الفتح لا هجرة بعد الفتح، ولكن جهاد ونية وإذا استنفرتم فانفروا".
Hum se Amr Bin Ali Fallas ne bayan kiya, hum se Yahya Qattan ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Sauri ne bayan kiya, kaha ke mujh se Mansur ne bayan kiya Mujahid se, unhon ne Taous se aur unhon ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne fatah Makkah ke din farmaya tha Makkah fatah hone ke baad (ab Makkah se Madinah ke liye) hijrat baqi nahi hai, lekin khuloos-e-niyat ke sath jihad ab bhi baqi hai is liye tumhein jihad ke liye bulaya jaye to nikal khare ho
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْكَافِرِ يَقْتُلُ الْمُسْلِمَ ثُمَّ يُسْلِمُ فَيُسَدِّدُ بَعْدُ وَيُقْتَلُ:
Bab: Kafir agar kufr ki halat mein muslim ko mare phir muslim ho jaye, Islam par mazboot rahe aur Allah ki raah mein mara jaye to us ki fazilat ka bayan.
Hadith Number: 2826
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" يضحك الله إلى رجلين يقتل احدهما الآخر يدخلان الجنة، يقاتل هذا في سبيل الله فيقتل، ثم يتوب الله على القاتل فيستشهد".
Hum se Abdullah Bin Yusuf Tanisi ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di Abu-uz-Zinad se, unhon ne Aaraj se aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya " (Qayamat ke din) Allah Ta'ala aise do aadmiyon par hans de ga ke un mein se ek ne doosre ko qatl kiya tha aur phir bhi donon jannat mein dakhil ho gaye. Pehla wo jis ne Allah ke raste mein jihad kiya wo shaheed ho gaya, is ke baad Allah Ta'ala ne qatil ko tauba ki taufiq di aur wo bhi Allah ki raah mein shaheed hua. Is tarah donon qatil o maqtool bil-akhir jannat mein dakhil ho gaye."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2827
حدثنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا الزهري، قال: اخبرني عنبسة بن سعيد عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" اتيت رسول الله صلى الله عليه وسلم وهو بخيبر بعد ما افتتحوها، فقلت: يا رسول الله، اسهم لي، فقال: بعض بني سعيد بن العاص لا تسهم له يا رسول الله، فقال ابو هريرة: هذا قاتل ابن قوقل، فقال ابن سعيد بن العاص: واعجبا لوبر تدلى علينا من قدوم ضان ينعى علي قتل رجل مسلم اكرمه الله على يدي، ولم يهني على يديه، قال: فلا ادري اسهم له ام لم يسهم له"، قال سفيان: وحدثنيه السعيدي، عن جده، عن ابي هريرة، قال ابو عبد الله:السعيدي هو عمرو بن يحيى بن سعيد بن عمرو بن سعيد بن العاص.
Hum se Humaidi ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya kaha hum se Zuhri ne bayan kiya, kaha ke mujhe Anbasah Bin Saeed ne khabar di aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan farmaya ke mein jab Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hua to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Khaibar mein thehre hue thay aur Khaibar fatah ho chuka tha, mein ne arz kiya ya Rasul Allah! Mera bhi (maal-e-ghanimat mein) hissa lagaiye. Saeed Bin Al-Aas ke ek larke (Aban Bin Saeed Radi Allahu Anhu) ne kaha ya Rasul Allah! In ka hissa na lagaiye. Is par Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) bole ke ye shakhs to Ibn Qautal (Numan Bin Malik Radi Allahu Anhu) ka qatil hai. Aban Bin Saeed (Radi Allahu Anhu) ne kaha kitni ajeeb baat hai ke ye janwar (yani Abu Hurairah abhi to pahar ki choti se bakriyan charate charate yahan aa gaya hai aur ek musalman ke qatl ka mujh par ilzam lagata hai. Is ko ye khabar nahi ke jise Allah Ta'ala ne mere hathon se (shahadat) izzat di aur mujhe is ke hathon se zaleel hone se bacha liya (agar is waqt mein mara jata) to dozakhi hota, Anbasah ne bayan kiya ke ab mujhe ye nahi maloom ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un ka bhi hissa lagaya ya nahi. Sufyan ne bayan kiya, kaha ke mujh se Saeedi ne apne dada ke waste se bayan kiya aur unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ke Saeedi se murad Amr Bin Yahya Bin Saeed Bin Amr Bin Saeed Bin Aas hain
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنِ اخْتَارَ الْغَزْوَ عَلَى الصَّوْمِ:
Bab: Jihad ko (nafli rozon par) muqaddam rakhna.
Hadith Number: 2828
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا ثابت البناني، قال: سمعت انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" كان ابو طلحة لا يصوم على عهد النبي صلى الله عليه وسلم من اجل الغزو، فلما قبض النبي صلى الله عليه وسلم لم اره مفطرا إلا يوم فطر او اضحى".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, kaha hum se Sabit Banani ne, kaha ke mein ne Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se suna, unhon ne bayan kiya ke Abu Talha Zaid Bin Suhail (Radi Allahu Anhu) Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke zamane mein jihad mein shirkat ke khayal se (nafli roze nahi rakhte thay lekin Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki wafat ke baad phir mein ne unhein Eid-ul-Fitr aur Eid-ul-Adha ke siwa roze ke baghair nahi dekha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الشَّهَادَةُ سَبْعٌ سِوَى الْقَتْلِ:
Bab: Allah ki raah mein mare jane ke siwa shahadat ki aur bhi saat qismen hain.
Hadith Number: 2829
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن سمي، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" الشهداء خمسة المطعون، والمبطون، والغرق، وصاحب الهدم، والشهيد في سبيل الله".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Sumi ne, unhein Abu Salih ne aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Shaheed panch qism ke hote hain. Taoon mein halak hone wala, pait ki bemari mein halak hone wala, doob kar marne wala, dab kar mar jaane wala aur Allah ke raste mein shahadat pane wala."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2830
حدثنا بشر بن محمد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا عاصم، عن حفصة بنت سيرين، عن انس بن مالك رضي الله عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" الطاعون شهادة لكل مسلم".
Hum se Bishr Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah ne khabar di, kaha hum ko Aasim ne khabar di Hafsa Bint Sireen se aur unhon ne Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Taoon ki maut har musalman ke liye shahadat ka darja rakhti hai."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {لاَ يَسْتَوِي الْقَاعِدُونَ مِنَ الْمُؤْمِنِينَ غَيْرُ أُولِي الضَّرَرِ وَالْمُجَاهِدُونَ فِي سَبِيلِ اللَّهِ بِأَمْوَالِهِمْ وَأَنْفُسِهِمْ فَضَّلَ اللَّهُ الْمُجَاهِدِينَ بِأَمْوَالِهِمْ وَأَنْفُسِهِمْ عَلَى الْقَاعِدِينَ دَرَجَةً وَكُلاًّ وَعَدَ اللَّهُ الْحُسْنَى وَفَضَّلَ اللَّهُ الْمُجَاهِدِينَ عَلَى الْقَاعِدِينَ} إِلَى قَوْلِهِ: {غَفُورًا رَحِيمًا}:
Bab: Allah Taala ka (Surah Nisa mein) ye farmana ke“Muslimanon mein jo log ma'zoor nahi hain aur jihad se baith rahein woh aur Allah ki raah mein apne maal aur jaan se jihad karne wale barabar nahi ho sakte, Allah ne un logon ko jo apne maal aur jaan se jihad karen, baithe rehne walon par ek darja fazilat di hai. Yun Allah Taala ka achha wada sab ke liye hai aur Allah Taala ne mujahidon ko baithne walon par bohot bari fazilat di hai.“ Allah ke farman «ghafuran rahima» tak.
Hadith Number: 2831
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن ابي إسحاق، قال: سمعت البراء رضي الله عنه، يقول:" لما نزلت لا يستوي القاعدون من المؤمنين سورة النساء آية 95 دعا رسول الله صلى الله عليه وسلم زيدا فجاء بكتف فكتبها وشكا ابن ام مكتوم ضرارته فنزلت لا يستوي القاعدون من المؤمنين غير اولي الضرر سورة النساء آية 95".
Hum se Abul Waleed ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya Abu Ishaq se ke mein ne Bara Bin Azib (Radi Allahu Anhu) se suna, Aap kehte thay ke jab aayat «la ystwy alqaedwn mn almwmny n» nazil hui to Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Zaid Bin Sabit (Radi Allahu Anhu) (jo katib-e-wahy thay) ko bulaya, Aap ek chori haddi sath le kar hazir hue aur is aayat ko likha aur Ibn Umm-e-Maktum (Radi Allahu Anhu) ne jab apne nabina hone ki shikayat ki to aayat yun nazil hui «la ystwy alqaedwn mn almwmny n ghyr awly alzrr»
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة