الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ فَضْلِ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {وَلاَ تَحْسِبَنَّ الَّذِينَ قُتِلُوا فِي سَبِيلِ اللَّهِ أَمْوَاتًا بَلْ أَحْيَاءٌ عِنْدَ رَبِّهِمْ يُرْزَقُونَ فَرِحِينَ بِمَا آتَاهُمُ اللَّهُ مِنْ فَضْلِهِ وَيَسْتَبْشِرُونَ بِالَّذِينَ لَمْ يَلْحَقُوا بِهِمْ مِنْ خَلْفِهِمْ أَنْ لاَ خَوْفٌ عَلَيْهِمْ وَلاَ هُمْ يَحْزَنُونَ يَسْتَبْشِرُونَ بِنِعْمَةٍ مِنَ اللَّهِ وَفَضْلٍ وَأَنَّ اللَّهَ لاَ يُضِيعُ أَجْرَ الْمُؤْمِنِينَ}:
Bab: Un shaheedon ki fazilat jin ke bare mein un aayaat ka nuzool hua“woh log jo Allah ke raste mein qatl kar diye gaye unhein hargiz murda mat khayal karo balkeh woh apne Rab ke paas zinda hain (woh jannat mein) rizq paate rehte hain, un (ni'maton) se be-hadd khush hain jo Allah ne unhein apne fazl se ata ki hain aur jo log un ke baad walon mein se abhi un se nahi ja mile un ki khushiyan mana rahe hain ke woh bhi (shaheed hote hi) be-dar aur be-gham ho jayen ge. Woh log khush ho rahe hain Allah ke inaam aur fazl par aur is par ke Allah imaan walon ka ajr zaayi nahi karta“.
Show diacritics
Hadith Number: 2815
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، عن عمرو، سمع جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، يقول: اصطبح ناس الخمر يوم احد، ثم قتلوا شهداء، فقيل لسفيان: من آخر ذلك اليوم، قال: ليس هذا فيه.
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya Amr se, unhon ne Jabir Bin Abdullah (Radi Allahu Anhuma) se suna, Aap bayan karte thay ke kuch sahaba ne jung-e-Uhud ke din subah ke waqt sharab pi (rawi-e-hadees) se poocha gaya kya isi din ke aakhri hisse mein (un ki shahadat hui) thi jis din unhon ne sharab pi thi? To unhon ne jawab diya ke hadees mein is ka koi zikr nahi hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ ظِلِّ الْمَلاَئِكَةِ عَلَى الشَّهِيدِ:
Bab: Shaheedon par farishton ka saya karna.
Show diacritics
Hadith Number: 2816
حدثنا صدقة بن الفضل، قال: اخبرنا ابن عيينة، قال: سمعت محمد بن المنكدر، انه سمع جابرا، يقول: جيء بابي إلى النبي صلى الله عليه وسلم وقد مثل به ووضع بين يديه، فذهبت اكشف عن وجهه فنهاني قومي، فسمع صوت صائحة، فقيل: ابنة عمرو او اخت عمرو، فقال:" لم تبكي او لا تبكي ما زالت الملائكة تظله باجنحتها، قلت: لصدقة افيه حتى رفع، قال: ربما قاله".
Hum se Sadaqah Bin Fazl ne bayan kiya, kaha ke humein Sufyan Bin Uyainah ne khabar di, kaha ke mein ne Muhammad Bin Munkadir se suna, unhon ne Jabir (Radi Allahu Anhu) se suna, wo bayan karte thay ke mere walid Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke samne laye gaye (Uhud ke mauqe par) aur kafiron ne un ke naak kaan kaat dale thay, un ki naash Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke samne rakhi gayi to mein ne aage barh kar un ka chehra kholna chaha lekin meri qaum ke logon ne mujhe mana kar diya phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne rone peetne ki awaz suni (to daryaft farmaya ke kis ki awaz hai?) logon ne bataya ke Amr ki larki hain (shaheed ki behen) ya Amr ki behen hain (shaheed ki chachi shaq rawi ko tha) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya kyun ro rahi hain ya (Aap ne farmaya ke) royein nahi malaika barabar un par apne paron ka saya kiye hue hain. Imam Bukhari (Rahimahullah) kehte hain ke mein ne Sadaqah se poocha kya hadees mein ye bhi hai ke (janaza) uthaye jaane tak to unhon ne bataya ke Sufyan ne baaz auqat ye alfaz bhi hadees mein bayan kiye thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَمَنِّي الْمُجَاهِدِ أَنْ يَرْجِعَ إِلَى الدُّنْيَا:
Bab: Shaheed ka dobara dunya mein wapas aane ki aarzoo karna.
Show diacritics
Hadith Number: 2817
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، قال: سمعت قتادة، قال: سمعت انس بن مالك رضي الله عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" ما احد يدخل الجنة يحب ان يرجع إلى الدنيا، وله ما على الارض من شيء إلا الشهيد يتمنى ان يرجع إلى الدنيا، فيقتل: عشر مرات لما يرى من الكرامة".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, kaha mein ne Qatada se suna, kaha ke mein ne Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se suna ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya koi shakhs bhi aisa na ho ga jo jannat mein dakhil hone ke baad duniya mein dobara aana pasand kare, khwah use sari duniya mil jaye siwaye shaheed ke. Is ki ye tamanna hogi ke duniya mein dobara wapas ja kar das martaba aur qatl ho (Allah ke raste mein) kyunke wo shahadat ki izzat wahan dekhta hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْجَنَّةُ تَحْتَ بَارِقَةِ السُّيُوفِ:
Bab: Jannat ka talwaron ki chamak ke neeche hona.
Show diacritics
Hadith Number: Q2818
وقال: المغيرة بن شعبة، اخبرنا نبينا صلى الله عليه وسلم، عن رسالة ربنا من قتل منا صار إلى الجنة، وقال عمر: للنبي صلى الله عليه وسلم" اليس قتلانا في الجنة، وقتلاهم في النار، قال: بلى.
Aur Mugheera Bin Shuba (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke humein hamare Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apne Rab ka ye paigham diya hai ke hum mein se jo bhi (Allah ke raste mein) qatl kiya jaye, wo seedha jannat mein jaye ga aur Umar (Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se poocha kya hamare maqtool jannati aur un ke (kuffar ke) maqtool dozakhi nahi hain? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya tha kyun nahi
.


Show diacritics
Hadith Number: 2818
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا معاوية بن عمرو، حدثنا ابو إسحاق، عن موسى بن عقبة، عن سالم ابي النضر مولى عمر بن عبيد الله وكان كاتبه، قال: كتب إليه عبد الله بن ابي اوفى رضي الله عنهما ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" واعلموا ان الجنة تحت ظلال السيوف"، تابعه الاويسي، عن ابن ابي الزناد، عن موسى بن عقبة".
Hum se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Muawiyah Bin Amr ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu Ishaq ne bayan kiya Musa Bin Uqba se, un se Umar Bin Ubaidullah ke maula Salim Abul Nazr ne (Salim Umar Bin Ubaidullah ke katib bhi thay) bayan kiya ke Abdullah Bin Abi Aufa (Radi Allahu Anhu) ne Umar Bin Ubaidullah ko likha tha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya hai yaqeen jano jannat talwaron ke saye ke neeche hai. Is riwayat ki mutabiat Uwaisi ne Ibn Abi-uz-Zinad ke wasta se ki un se Musa Bin Uqba ne bayan kiya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ طَلَبَ الْوَلَدَ لِلْجِهَادِ:
Bab: Jo jihad karne ke liye Allah se aulad mange us ki fazilat.
Show diacritics
Hadith Number: 2819
الليث: حدثني جعفر بن ربيعة، عن عبد الرحمن بن هرمز، قال: سمعت ابا هريرة رضي الله عنه، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال: قال سليمان بن داود عليهما السلام:" لاطوفن الليلة على مائة امراة او تسع وتسعين كلهن ياتي بفارس يجاهد في سبيل الله، فقال: له صاحبه إن شاء الله، فلم يقل إن شاء الله، فلم يحمل منهن إلا امراة واحدة جاءت بشق رجل، والذي نفس محمد بيده لو قال إن شاء الله لجاهدوا في سبيل الله فرسانا اجمعون".
Laith ne bayan kiya ke mujh se Jafar Bin Rabia ne bayan kiya, un se Abdullah Bin Hurmuz ne bayan kiya unhon ne kaha ke mein ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna, un se Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke Sulaiman Bin Dawood (Alaihimas Salam) ne farmaya aaj raat apni sau ya (rawi ko shaq tha) nina-nve biwiyon ke paas jaun ga aur har biwi ek ek sheh-sawar jane gi jo Allah Ta'ala ke raste mein jihad karein ge. Un ke sathi ne kaha ke Insha Allah bhi keh lijaiye lekin unhon ne Insha Allah nahi kaha. Chunancha sirf ek biwi hamila huein aur un ke bhi aadha bacha paida hua. Is zat ki qasam jis ke hath mein Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki jaan hai agar Sulaiman (Alaihis Salam) is waqt Insha Allah keh lete to (tamam biwiyan hamila hotein aur) sab ke yahan aise sheh-sawar bacche paida hote jo Allah ke raste mein jihad karte
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الشَّجَاعَةِ فِي الْحَرْبِ وَالْجُبْنِ:
Bab: Jang ke mauqe par bahaduri aur buzdili ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 2820
حدثنا احمد بن عبد الملك بن واقد، حدثنا حماد بن زيد، عن ثابت، عن انس رضي الله عنه، قال: كان النبي صلى الله عليه وسلم احسن الناس، واشجع الناس، واجود الناس، ولقد فزع اهل المدينة، فكان النبي صلى الله عليه وسلم" سبقهم على فرس، وقال: وجدناه بحرا".
Hum se Ahmad Bin Abdul Malik Bin Waqid ne bayan kiya, kaha hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya Sabit Banani se aur un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) sab se ziyada haseen (khoobsurat) sab se ziyada bahadur aur sab se ziyada fayyaz thay, Madinah Tayyibah ke tamam log (ek raat) khauf-zada thay (awaz sunayi di thi aur sab log is ki taraf barh rahe thay) lekin Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) is waqt ek ghore par sawar sab se aage thay (jab wapas hue to) farmaya is ghore ko (dorne mein) hum ne samundar paya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2821
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني عمر بن محمد بن جبير بن مطعم، ان محمد بن جبير، قال: اخبرني جبير بن مطعم، انه بينما هو يسير مع رسول الله صلى الله عليه وسلم ومعه الناس مقفله من حنين، فعلقه الناس يسالونه حتى اضطروه إلى سمرة فخطفت رداءه، فوقف النبي صلى الله عليه وسلم، فقال:" اعطوني ردائي لو كان لي عدد هذه العضاه نعما لقسمته بينكم، ثم لا تجدوني بخيلا، ولا كذوبا، ولا جبانا".
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, un se Zuhri ne bayan kiya, unhein Umar Bin Jubair Bin Mut-im ne khabar di, unhein Muhammad Bin Jubair ne khabar di kaha ke mujhe Jubair Bin Mut-im (Radi Allahu Anhu) ne khabar di ke wo Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath chal rahe thay, Aap ke sath aur bahut se sahaba bhi thay. Wadi Hunain se wapas tashreef la rahe thay ke kuch (badu) log Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se lipt gaye. Bil-akhir Aap ko majbooran ek babool ke darakht ke paas jana para. Wahan Aap ki chadar mubarak babool ke kante mein ulajh gayi to in logon ne use le liya (taake jab Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) unhein kuch inayat farmaiyein to chadar wapas karein) Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) wahan khare ho gaye aur farmaya meri chadar mujhe de do, agar mere paas darakht ke kanton jitne bhi oont bakriyan hotein to mein tum mein taqseem kar deta, mujhe tum bakheel nahi pao ge aur na jhoota aur na buzdil pao ge
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُتَعَوَّذُ مِنَ الْجُبْنِ:
Bab: Buzdili se Allah ki panah mangna.
Show diacritics
Hadith Number: 2822
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، حدثنا عبد الملك بن عمير سمعت عمرو بن ميمون الاودي، قال: كان سعد يعلم بنيه هؤلاء الكلمات كما يعلم المعلم الغلمان الكتابة، ويقول: إن رسول الله صلى الله عليه وسلم:" كان يتعوذ منهن دبر الصلاة اللهم إني اعوذ بك من الجبن، واعوذ بك ان ارد إلى ارذل العمر، واعوذ بك من فتنة الدنيا، واعوذ بك من عذاب القبر"، فحدثت به مصعبا فصدقه.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awana ne bayan kiya, kaha hum se Abdul Malik Bin Umair ne bayan kiya, unhon ne Amr Bin Maimoon Audi se suna, unhon ne bayan kiya ke Saad Bin Abi Waqas (Radi Allahu Anhu) apne bacchon ko ye kalmat-e-duaiya is tarah sikhate thay jaise mual-lim bacchon ko likhna sikhata hai aur farmate thay «allhm iny aewz bk mn aljbn , waewz bk an ard ila arzl alemr , waewz bk mn ftnh aldnya , waewz bk mn ezab alqbr» "Ae Allah! Buzdili se mein teri panah mangta hoon, is se teri panah mangta hoon ke umr ke sab se zaleel hisse (burhape) mein pahuncha diya jaun aur teri panah mangta hoon mein duniya ke fitnon se aur teri panah mangta hoon qabr ke azab se." Phir mein ne ye hadees jab Musab Bin Saad se bayan ki to unhon ne bhi is ki tasdeeq ki
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2823
حدثنا مسدد، حدثنا معتمر، قال: سمعت ابي، قال: سمعت انس بن مالك رضي الله عنه، قال: كان النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" اللهم إني اعوذ بك من العجز والكسل، والجبن، والهرم، واعوذ بك من فتنة المحيا، والممات، واعوذ بك من عذاب القبر".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Mutamir ne bayan kiya ke mein ne apne walid se suna, unhon ne bayan kiya ke mein ne Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) farmaya karte thay "Ae Allah! Mein teri panah mangta hoon aajizi aur susti se, buzdili aur burhape ki zaleel hudood mein pahunch jaane se aur mein teri panah mangta hoon zindagi aur maut ke fitnon se aur mein teri panah mangta hoon qabr ke azab se."
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة