الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ إِذَا خَيَّرَ أَحَدُهُمَا صَاحِبَهُ بَعْدَ الْبَيْعِ فَقَدْ وَجَبَ الْبَيْعُ:
Bab: Agar bay' ke baad dono ne ek doosre ko pasand kar lene ke liye mukhtar banaya to bay' lazim ho gayi.
Hadith Number: 2112
حدثنا قتيبة، حدثنا الليث، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنه، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، انه قال:" إذا تبايع الرجلان، فكل واحد منهما بالخيار ما لم يتفرقا، وكانا جميعا، او يخير احدهما الآخر فتبايعا على ذلك، فقد وجب البيع، وإن تفرقا بعد ان يتبايعا، ولم يترك واحد منهما البيع، فقد وجب البيع".
Hum se Qutaiba ne bayan kiya, kaha ke hum se Liath ne bayan kiya, un se Nafay ne aur un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, jab do shakhson ne khareed-o-farokht ki to jab tak wo donon juda na ho jayein, unhein (bai ko torr dene ka) ikhtiyar baqi rehta hai. Ye is soorat mein ke donon ek hi jagah rahein, lekin agar ek ne doosre ko pasand karne ke liye kaha aur is shart par bai hui, aur donon ne bai ka qatyee faisla kar liya, to bai isi waqt munaqid ho jaye gi. Isi tarah agar donon fareeq bai ke baad ek doosre se juda ho gaye, aur bai se kisi fareeq ne bhi inkar nahi kiya, to bhi bai lazim ho jati hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا كَانَ الْبَائِعُ بِالْخِيَارِ، هَلْ يَجُوزُ الْبَيْعُ:
Bab: Agar ba'i apne liye ikhtiyar ki shart kar le to bhi bay' jaiz hai.
Hadith Number: 2113
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن عبد الله بن دينار، عن ابن عمر رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" كل بيعين لا بيع بينهما حتى يتفرقا، إلا بيع الخيار".
Hum se Muhammad Bin Yusuf Faryabi ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan Thauri ne bayan kiya, un se Abdullah Bin Dinar ne aur un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, kisi bhi khareedne aur bechne wale mein is waqt tak bai pukhta nahi hoti jab tak wo donon juda na ho jayein. Albatta wo bai jis mein mushtarka ikhtiyar ki shart laga di gayi ho is se alag hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2114
حدثنا إسحاق، حدثنا حبان، حدثنا همام، حدثنا قتادة، عن ابي الخليل، عن عبد الله بن الحارث، عن حكيم بن حزام رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" البيعان بالخيار ما لم يتفرقا"، قال همام: وجدت في كتابي: يختار ثلاث مرار، فإن صدقا وبينا بورك لهما في بيعهما، وإن كذبا وكتما، فعسى ان يربحا ربحا ويمحقا بركة بيعهما. قال: وحدثنا همام، حدثنا ابو التياح، انه سمع عبد الله بن الحارث، يحدث بهذا الحديث، عن حكيم بن حزام، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Mujh se Ishaq Bin Mansoor ne bayan kiya, kaha ke hum se Habban ne bayan kiya, ke hum se Hammam ne bayan kiya, un se Qatada ne, un se Abu Khaleel ne, un se Abdullah Bin Harith ne aur un se Hakim Bin Hizam (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, bechne aur khareedne wale ko jab tak wo juda na hon (bai torr dene ka) ikhtiyar hai. Hammam rawi ne kaha ke mein ne apni kitab mein lafz «yakhtar» teen martaba likha hua paya. Pas agar donon ne sachayi ikhtiyar ki aur baat saaf saaf wazay kar di to unhein un ki bai mein barkat milti hai aur agar unhon ne jhooti baatein banayiein aur (kisi aib ko) chupaya to thora sa nafa shayad wo kama lein, lekin un ki bai mein barkat nahi ho gi. (Habban ne) kaha ke hum se Hammam ne bayan kiya, un se Abu-al-Tayyah ne bayan kiya, unhon ne Abdullah Bin Harith se suna ke yehi hadees wo Hakim Bin Hizam (Radi Allahu Anhu) se ba-hawala Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) riwayat karte thay
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا اشْتَرَى شَيْئًا فَوَهَبَ مِنْ سَاعَتِهِ قَبْلَ أَنْ يَتَفَرَّقَا وَلَمْ يُنْكِرِ الْبَائِعُ عَلَى الْمُشْتَرِي، أَوِ اشْتَرَى عَبْدًا فَأَعْتَقَهُ:
Bab: Agar ek shakhs ne koi cheez khareedi aur juda hone se pehle hi kisi aur ko lillah de di phir bechne wale ne khareedne wale ko is par nahi toka, ya koi ghulam khareed kar (bechne wale se judai se pehle hi ise) azad kar diya.
Hadith Number: Q2115
وقال طاوس: فيمن يشتري السلعة على الرضا، ثم باعها وجبت له والربح له. وقال طاوس فيمن يشتري السلعة على الرضا ثم باعها وجبت له، والربح له.
Taous ne is shakhs ke mutaliq kaha, jo (fareeq-e-saani ki) raza mandi ke baad koi saman is se khareede aur phir usay bech de aur baya inkar na kare to ye bai lazim ho jaye gi. Aur is ka nafa bhi khareedar hi ka ho ga
.
.
Hadith Number: 2115
وقال لنا الحميدي، حدثنا سفيان، حدثنا عمرو، عن ابن عمر رضي الله عنه، قال:" كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم في سفر، فكنت على بكر صعب لعمر، فكان يغلبني، فيتقدم امام القوم فيزجره عمر، ويرده، ثم يتقدم فيزجره عمر، ويرده، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: لعمر: بعنيه، قال: هو لك يا رسول الله، قال: بعنيه، فباعه من رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: هو لك ياعبد الله بن عمر، تصنع به ما شئت".
Humaidi ne kaha ke hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, un se Amr ne bayan kiya aur un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke hum Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath ek safar mein thay. Mein Umar (Radi Allahu Anhu) ke ek naye aur sarkash ont par sawar tha. Aksar wo mujhe maghloob kar ke sab se aage nikal jata, lekin Umar (Radi Allahu Anhu) usay daant kar peeche wapas kar dete. Wo phir aage barh jata. Aakhir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Umar (Radi Allahu Anhu) se farmaya ke ye ont mujhe bech daal. Umar (Radi Allahu Anhu) ne kaha ya Rasul Allah! ye to aap hi ka hai. Lekin Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke nahi mujhe ye ont dede. Chunanche Umar (Radi Allahu Anhu) ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko wo ont bech daala. Is ke baad Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, Abdullah Bin Umar! ab ye ont tera ho gaya jis tarah tu chahe usay istemal kar
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2116
قال ابو عبد الله: وقال الليث: حدثني عبد الرحمن بن خالد، عن ابن شهاب، عن سالم بن عبد الله، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنه، قال: بعت من امير المؤمنين عثمان بن عفان، مالا بالوادي بمال له بخيبر، فلما تبايعنا، رجعت على عقبي حتى خرجت من بيته خشية ان يرادني البيع، وكانت السنة: ان المتبايعين بالخيار حتى يتفرقا، قال عبد الله: فلما وجب بيعي وبيعه رايت اني قد غبنته باني سقته إلى ارض ثمود بثلاث ليال، وساقني إلى المدينة بثلاث ليال.
Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ke Liath Bin Saad ne bayan kiya ke mujh se Abdur Rahman Bin Khalid ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Salim Bin Abdullah ne, aur un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya, ke mein ne Ameer-ul-Momineen Usman (Radi Allahu Anhu) ko apni wadi-e-qura ki zameen, un ki Khaibar ki zameen ke badle mein bechi thi. Phir jab hum ne bai kar li to mein ulte paon un ke ghar se is khayal se bahar nikal gaya ke kahin wo bai faskh na kar dein. Kyunke shariat ka qaida ye tha ke bechne aur khareedne wale ko (bai torrne ka) ikhtiyar is waqt tak rehta hai jab tak wo ek doosre se juda na ho jayein. Abdullah (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke jab hamari khareed-o-farokht poori ho gayi aur mein ne ghaur kiya to maloom hua ke mein ne Usman (Radi Allahu Anhu) ko nuqsan pohanchaya hai kyunke (is tabadala ke natija mein, mein ne un ki pehli zameen se) unhein teen din ke safar ki doori par Thamud ki zameen ki taraf dhakail diya tha aur unhon ne mujhe (meri masafat kam kar ke) Madinah se sirf teen din ke safar ki doori par la chora tha
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُكْرَهُ مِنَ الْخِدَاعِ فِي الْبَيْعِ:
Bab: Khareed o farokht mein dhoka dena makrooh hai.
Hadith Number: 2117
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن عبد الله بن دينار، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنه، ان رجلا ذكر للنبي صلى الله عليه، وسلم انه يخدع في البيوع، فقال:" إذا بايعت، فقل: لا خلابة".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik (Rahimahullah) ne khabar di, unhein Abdullah Bin Dinar ne aur unhein Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke ek shakhs (Habban Bin Munqidh Radi Allahu Anhu) ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se arz kiya ke wo aksar khareed-o-farokht mein dhoka kha jate hain. Is par Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un se farmaya ke jab tum kisi cheez ki khareed-o-farokht karo to yun keh diya karo ke ”bhai dhoka aur fareb ka kaam nahi.“
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا ذُكِرَ فِي الأَسْوَاقِ:
Bab: Bazaron ka bayan.
Hadith Number: Q2118
وقال عبد الرحمن بن عوف: لما قدمنا المدينة، قلت: هل من سوق فيه تجارة؟ قال: سوق قينقاع، وقال انس: قال عبد الرحمن: دلوني على السوق، وقال عمر: الهاني الصفق بالاسواق.
Aur Abdur Rahman Bin Auf (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke jab hum Madinah aaye, to mein ne (apne islami bhai se) poocha ke kya yahan koi bazaar hai. Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Abdur Rahman Bin Auf (Radi Allahu Anhu) ne kaha, mujhe bazaar bata do aur Umar (Radi Allahu Anhu) ne ek dafa kaha tha ke mujhe bazaar ki khareed-o-farokht ne ghafil rakkha
.
.
Hadith Number: 2118
حدثنا محمد بن الصباح، حدثنا إسماعيل بن زكرياء، عن محمد بن سوقة، عن نافع بن جبير بن مطعم، قال: حدثتني عائشة رضي الله عنها، قالت: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" يغزو جيش الكعبة، فإذا كانوا ببيداء من الارض يخسف باولهم وآخرهم، قالت: قلت: يا رسول الله، كيف يخسف باولهم وآخرهم، وفيهم اسواقهم ومن ليس منهم؟ قال: يخسف باولهم وآخرهم، ثم يبعثون على نياتهم".
Hum se Muhammad Bin Sabah ne bayan kiya, kaha ke hum se Ismail Bin Zakariya ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Sauqa ne, un se Nafay Bin Jubair Bin Mut'im ne bayan kiya, kaha ke mujh se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya, ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, qayamat ke qareeb ek lashkar Ka'ba par chorhayi kare ga. Jab wo maqam-e-Baida mein pohanche ga to unhein awwal se aakhir tak sab ko zameen mein dhansa diya jaye ga. Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya, ke mein ne kaha, ya Rasul Allah! usay shuru se aakhir tak kyun kar dhansaya jaye ga jab ke wahin un ke bazaar bhi hon ge aur wo log bhi hon ge jo un lashkariyon mein se nahi hon ge ? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke han! shuru se aakhir tak un sab ko dhansa diya jaye ga. Phir un ki niyaton ke mutabiq wo utthaye jayein ge
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2119
حدثنا قتيبة، حدثنا جرير، عن الاعمش، عن ابي صالح، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" صلاة احدكم في جماعة تزيد على صلاته في سوقه، وبيته، بضعا وعشرين درجة، وذلك بانه إذا توضا فاحسن الوضوء، ثم اتى المسجد، لا يريد إلا الصلاة، لا ينهزه إلا الصلاة، لم يخط خطوة إلا رفع بها درجة، او حطت عنه بها خطيئة، والملائكة تصلي على احدكم ما دام في مصلاه الذي يصلي فيه: اللهم صل عليه، اللهم ارحمه، ما لم يحدث فيه ما لم يؤذ فيه، وقال احدكم في صلاة ما كانت الصلاة تحبسه".
Hum se Qutaiba ne bayan kiya, kaha ke hum se Jareer ne bayan kiya, un se Amash ne, un se Abu Salih ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, jama'at ke sath kisi ki namaz bazaar mein ya apne ghar mein namaz parhne se darjon mein kuch oopar bees darjay zyada fazeelat rakhti hai. Kyunke jab ek shakhs achi tarah wuzu karta hai phir masjid mein sirf namaz ke irada se aata hai. Namaz ke siwa aur koi cheez usay le jane ka ba'is nahi banti to jo bhi qadam wo utthata hai is se ek darja is ka buland hota hai ya is ki wajah se ek gunah is ka maaf hota hai aur jab tak ek shakhs apne musalle par baitha rehta hai jis par is ne namaz parhi hai to farishte barabar is ke liye rahmat ki duaien yun karte rehte hain «Allahumma salli alaihi, Allahumma-ar-hamhu» ”Ae Allah! is par apni rahmatien nazil farma, ae Allah is par raham farma.“ Ye is waqt tak hota rehta hai jab tak wo wuzu torr kar farishton ko takleef na pohanchaye jitni dair tak bhi aadmi namaz ki wajah se ruka rehta hai wo sab namaz hi mein shumar hota hai
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة