الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ بَيْعِ الْخِلْطِ مِنَ التَّمْرِ:
Bab: Mukhtalif qisam ki khajoor mila kar bechna kaisa hai?
Show diacritics
Hadith Number: 2080
حدثنا ابو نعيم، حدثنا شيبان، عن يحيى، عن ابي سلمة، عن ابي سعيد رضي الله عنه، قال:" كنا نرزق تمر الجمع وهو الخلط من التمر، وكنا نبيع صاعين بصاع، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: لا صاعين بصاع، ولا درهمين بدرهم".
Hum se Abu Nuaim ne bayan kiya, kaha ke hum se Shaiban ne bayan kiya, un se Yahya ne, un se Abu Salma ne, un se Abu Saeed (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke humein (Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf se) mukhtalif qism ki khajoorein ek sath mila karti theen aur hum do saa khajoor ek saa ke badle mein bech diya karte thay. Is par Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke do saa ek saa ke badla mein na bechi jaye aur na do dirham ek dirham ke badle beche jayein
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا قِيلَ فِي اللَّحَّامِ وَالْجَزَّارِ:
Bab: Gosht bechne wale aur qasai ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 2081
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني شقيق، عن ابي مسعود، قال:" جاء رجل من الانصار يكنى ابا شعيب، فقال لغلام له قصاب: اجعل لي طعاما يكفي خمسة؟ فإني اريد ان ادعو النبي صلى الله عليه وسلم خامس خمسة، فإني قد عرفت في وجهه الجوع، فدعاهم فجاء معهم رجل، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: إن هذا قد تبعنا، فإن شئت ان تاذن له فاذن له، وإن شئت ان يرجع رجع، فقال: لا، بل قد اذنت له.
Hum se Umar Bin Hafs Bin Ghiyas ne bayan kiya, kaha ke mujh se mere baap ne bayan kiya, ke hum se Amash ne bayan kiya, kaha ke mujh se Shaqeeq ne bayan kiya, aur un se Abu Masood (Radi Allahu Anhu) ne ke ansar mein se ek sahabi jin ki kuniyat Abu Shuaib (Radi Allahu Anhu) thi, tashreef laye aur apne ghulam se jo qassab tha. Farmaya ke mere liye itna khana tayyar kar jo panch aadmi ke liye kafi ho. Mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki aur aap ke sath aur char aadmiyon ki dawat ka irada kiya, kyunke mein ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke chehra-e-mubarak par bhook ka asar numayan dekha hai. Chunanche unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko bulaya. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath ek aur sahab bhi aa gaye. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke hamare sath ek aur sahab zyada aa gaye hain. Magar aap chahein to unhein bhi ijazat de sakte hain, aur agar chahein to wapas kar sakte hain. Unhon ne kaha ke nahi, balkay mein unhein bhi ijazat deta hoon
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يَمْحَقُ الْكَذِبُ وَالْكِتْمَانُ فِي الْبَيْعِ:
Bab: Bechne mein jhoot bolne aur aib ko chhupane se barkat khatam ho jati hai.
Show diacritics
Hadith Number: 2082
حدثنا بدل بن المحبر، حدثنا شعبة، عن قتادة، قال: سمعت ابا الخليل يحدث، عن عبد الله بن الحارث، عن حكيم بن حزام رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" البيعان بالخيار ما لم يتفرقا، او قال: حتى يتفرقا، فإن صدقا وبينا، بورك لهما في بيعهما، وإن كتما وكذبا، محقت بركة بيعهما".
Hum se Badal Bin Muhabbir ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, kaha ke hum se Qatada ne, kaha ke mein ne Abu Khaleel se suna, wo Abdullah Bin Harith se naqal karte thay aur wo Hakim Bin Hizam (Radi Allahu Anhu) se ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, khareed-o-farokht karne walon ko ikhtiyar hai jab tak wo ek doosre se juda na hon (ke bai faskh kar dein ya rakhein) ya aap ne ( «ma lam yatafarraqa» ke bajaye) «hatta yatafarraqa» farmaya. Pas agar donon ne sachayi ikhtiyar ki aur har baat khol khol kar bayan ki to un ki khareed-o-farokht mein barkat ho gi aur agar unhon ne kuch chupaye rakkha ya jhoot bola to un ke khareed-o-farokht ki barkat khatam kar di jaye gi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لاَ تَأْكُلُوا الرِّبَا أَضْعَافًا مُضَاعَفَةً وَاتَّقُوا اللَّهَ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ}:
Bab: Allah Taala ka farmana ke“ay imaan walo! Sood dar sood mat khao aur Allah se daro taake tum falah pa sako“.
Show diacritics
Hadith Number: 2083
حدثنا آدم، حدثنا ابن ابي ذئب، حدثنا سعيد المقبري، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لياتين على الناس زمان لا يبالي المرء بما اخذ المال، امن حلال ام من حرام".
Hum se Adam Bin Abi Iyas ne bayan kiya kaha ke hum se Ibn Abi Zib ne bayan kiya, un se Saeed Maqbari ne bayan kiya, aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, ek zamana aisa aaye ga ke insan is ki parwah nahi kare ga ke mal us ne kahan se liya, halal tareeqa se ya haram tareeqa se
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ آكِلِ الرِّبَا وَشَاهِدِهِ وَكَاتِبِهِ:
Bab: Sood khane wala aur is par gawah hone wala aur soodi muamlaat ka likhne wala, un sab ki saza ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q2084
وقوله تعالى: {الذين ياكلون الربا لا يقومون إلا كما يقوم الذي يتخبطه الشيطان من المس ذلك بانهم قالوا إنما البيع مثل الربا واحل الله البيع وحرم الربا فمن جاءه موعظة من ربه فانتهى فله ما سلف وامره إلى الله ومن عاد فاولئك اصحاب النار هم فيها خالدون}.
Aur Allah Ta'ala ka ye farman ke ”jo log sood khate hain, wo qayamat mein bilkul is shakhs ki tarah utthein ge jisay shaitan ne lipat kar diwana bana diya ho. Ye halat un ki is wajah se ho gi ke unhon ne kaha tha ke khareed-o-farokht bhi sood hi ki tarah hai halankay Allah Ta'ala ne khareed-o-farokht ko halal qarar diya hai aur sood ko haram. Pas jis ko is ke Rabb ki nasihat pohanchi aur wo (sood lene se) baaz aa gaya to wo jo kuch pehle le chuka hai wo isi ka hai aur is ka mamla Allah ke supurd hai lekin agar wo phir bhi sood leta raha to yehi log jahannami hain, ye is mein hamesha rahein ge.“
.


Show diacritics
Hadith Number: 2084
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن منصور، عن ابي الضحى، عن مسروق، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" لما نزلت آخر البقرة، قراهن النبي صلى الله عليه وسلم عليهم في المسجد، ثم حرم التجارة في الخمر".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha ke hum se Ghundar ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, un se Mansoor ne, un se Abu-al-Zuha ne, un se Masrooq ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke jab (Surah) Baqarah ki aakhri ayatein «Alladheena ya'kuloona-ar-riba *** al-kh» nazil hueein to Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne unhein Sahaba (Radi Allahu Anhum) ko masjid mein parh kar sunaya. Is ke baad un par sharab ki tijarat haram kar diya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2085
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا جرير بن حازم، حدثنا ابو رجاء، عن سمرة بن جندب رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" رايت الليلة رجلين اتياني، فاخرجاني إلى ارض مقدسة، فانطلقنا حتى اتينا على نهر من دم فيه رجل قائم، وعلى وسط النهر رجل بين يديه حجارة، فاقبل الرجل الذي في النهر، فإذا اراد الرجل ان يخرج، رمى الرجل بحجر في فيه فرده حيث كان، فجعل كلما جاء ليخرج رمى في فيه بحجر، فيرجع كما كان، فقلت: ما هذا؟ فقال: الذي رايته في النهر، آكل الربا".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha ke hum se Jareer Bin Hazim ne, kaha ke hum se Abu Raja Basri ne bayan kiya, un se Samura Bin Jundub (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, raat (khwab mein) mein ne do aadmi dekhe, wo donon mere paas aaye aur mujhe Bait-ul-Muqaddas mein le gaye, phir hum sab wahan se chale yahan tak ke hum ek khoon ki nahar par aaye, wahan (nahar ke kinare) ek shakhs khara hua tha, aur nahar ke beech mein bhi ek shakhs khara tha. (Nahar ke kinare par) kharay hone wale ke samne patthar pare hue thay. Beech nahar wala aadmi aata aur jonhi wo chahta ke bahar nikal jaye fauran hi bahar wala shakhs is ke munh par patthar kheench kar marta jo usay wahin lauta deta tha jahan wo pehle tha. Isi tarah jab bhi wo nikalna chahta kinare par khara hua shakhs is ke munh par patthar kheench marta aur wo jahan tha wahin phir laut jata. Mein ne (apne saathiyon se jo farishte thay) poocha ke ye kya hai, to unhon ne is ka jawab ye diya ke nahar mein tum ne jis shakhs ko dekha wo sood khane wala insan hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مُوكِلِ الرِّبَا:
Bab: Sood khilane wale ka gunah.
Show diacritics
Hadith Number: Q2086
قال ابن عباس: هذه آخر آية، نزلت على النبي صلى الله عليه وسلم.
Allah Ta'ala ne farmaya ke ”Ae Iman walo! daro Allah se, aur chor do wasooli un raqmon ki jo baqi reh gayi hain logon par sood se, agar tum iman wale ho, aur agar tum aisa nahi karte to phir tum ko ailan-e-jang hai Allah ki taraf se aur is ke Rasul ki taraf se, aur agar tum sood lene se tauba karte ho to sirf apni asal raqam le lo, na tum kisi par ziyati karo aur na tum par koi ziyati ho, aur agar maqrooz tang dast hai to usay muhlat de do aday-i-gi ki taqat hone tak aur agar tum is se asal raqam bhi chor do to ye tumhare liye bahut hi behtar hai agar tum samjho. Aur is din se daro jis din tum sab Allah Ta'ala ki taraf lautaye jao ge. Phir har shakhs ko is ke kiye hue ka poora poora badla diya jaye ga. Aur un par kisi qism ki koi ziyati nahi ki jaye gi.“ Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne kaha ke ye aakhri ayat hai jo Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) par nazil hui
.


Show diacritics
Hadith Number: 2086
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، عن عون بن ابي جحيفة، قال: رايت ابي اشترى عبدا حجاما فسالته، فقال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن ثمن الكلب، وثمن الدم، ونهى عن الواشمة والموشومة، وآكل الربا وموكله، ولعن المصور".
Hum se Abu-al-Walid Hisham Bin Abdul Malik ne bayan kiya, un se Shuba ne bayan kiya, un se Aun Bin Abi Juhayfa ne bayan kiya ke mein ne apne walid ko ek pacha-na lagane wala ghulam khareedte dekha. Mein ne ye dekh kar un se is ke mutaliq poocha to unhon ne jawab diya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne kutte ki qeemat lene aur khoon ki qeemat lene se mana farmaya hai, aap ne godne wali aur gudwane wali ko (godna lagwane se) sood lene wale aur sood dene wale ko (sood lene ya dene se) mana farmaya aur tasveer banane wale par lanat bheji
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ: {يَمْحَقُ اللَّهُ الرِّبَا وَيُرْبِي الصَّدَقَاتِ وَاللَّهُ لاَ يُحِبُّ كُلَّ كَفَّارٍ أَثِيمٍ}:
Bab: Allah Taala ka (Surah Al-Baqarah mein) ye farmana ke“woh sood ko mita deta hai aur sadaqaat ko do chand karta hai aur Allah Taala nahi pasand karta har munkir gunahgaar ko“.
Show diacritics
Hadith Number: 2087
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، قال ابن المسيب: إن ابا هريرة رضي الله عنه، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" الحلف منفقة للسلعة ممحقة للبركة".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha ke hum se Laith ne bayan kiya, un se Yunus ne, un se Ibn Shihab ne ke Saeed Bin Musayyab ne bayan kiya ke un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne khud Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ko ye farmate hue suna ke (saman bechte waqt dukandar ke) qasam khane se saman to jaldi bik jata hai lekin wo qasam barkat ko mita dene wali hoti hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة