الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ مَا جَاءَ فِي قَوْلِ اللَّهِ تَعَالَى: {فَإِذَا قُضِيَتِ الصَّلاَةُ فَانْتَشِرُوا فِي الأَرْضِ وَابْتَغُوا مِنْ فَضْلِ اللَّهِ وَاذْكُرُوا اللَّهَ كَثِيرًا لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ وَإِذَا رَأَوْا تِجَارَةً أَوْ لَهْوًا انْفَضُّوا إِلَيْهَا وَتَرَكُوكَ قَائِمًا قُلْ مَا عِنْدَ اللَّهِ خَيْرٌ مِنَ اللَّهْوِ وَمِنَ التِّجَارَةِ وَاللَّهُ خَيْرُ الرَّازِقِينَ}:
Bab: Allah Taala ke is irshad se mutalliq ahadees ke phir jab namaz khatam ho jaye to zameen mein phail jao (yani rizq halal ki talash mein apne karobar ko sambhal lo) aur Allah Taala ka fazl talash karo, aur Allah Taala ko bohot zyada yaad karo, taake tumhara bhala ho. Aur jab unhon ne sauda bikte dekha ya koi tamasha dekha to is ki taraf mutafarraq ho gaye aur tujh ko khara chhor diya. To keh de ke jo Allah Taala ke paas hai woh tamashe aur saudagari se behtar hai aur Allah hi hai behtar rizq dene wala“.
Show diacritics
Hadith Number: Q2047
وقوله: {لا تاكلوا اموالكم بينكم بالباطل إلا ان تكون تجارة عن تراض منكم}.
Aur Allah Ta'ala ka irshad ke ”tum log ek doosre ka mal ghalat tareeqon se na khao, magar ye ke tumhare darmiyan koi tijarat ka mamla ho to aapas ki raza mandi ke sath (mamla theek hai).“
.


Show diacritics
Hadith Number: 2047
حدثنا ابو اليمان، حدثنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سعيد بن المسيب، وابو سلمة بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة رضي الله عنه، قال: إنكم تقولون: إن ابا هريرة يكثر الحديث عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، وتقولون: ما بال المهاجرين، والانصار، لا يحدثون عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، بمثل حديث ابي هريرة، وإن إخوتي من المهاجرين، كان يشغلهم صفق بالاسواق، وكنت الزم رسول الله صلى الله عليه وسلم على ملء بطني، فاشهد إذا غابوا، واحفظ إذا نسوا، وكان يشغل إخوتي من الانصار عمل اموالهم، وكنت امرا مسكينا من مساكين الصفة، اعي حين ينسون، وقد قال رسول الله صلى الله عليه وسلم في حديث يحدثه:" إنه لن يبسط احد ثوبه حتى اقضي مقالتي هذه، ثم يجمع إليه ثوبه إلا وعى ما اقول، فبسطت نمرة علي، حتى إذا قضى رسول الله صلى الله عليه وسلم مقالته، جمعتها إلى صدري، فما نسيت من مقالة رسول الله صلى الله عليه وسلم تلك من شيء".
Hum se Abu-al-Yaman ne bayan kiya, un se Shuaib ne bayan kiya, un se Zuhri ne, kaha ke mujhe Saeed Bin Musayyab aur Abu Salma Bin Abdur Rahman ne khabar di ke Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne kaha, tum log kehte ho ke Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) to Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se ahadees bahut zyada bayan karta hai, aur ye bhi kehte ho ke mahajirin-o-ansar Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ki tarah kyun hadees nahi bayan karte ? Asal wajah ye hai ke mere bhai mahajirin bazaar ki khareed-o-farokht mein mashghool raha karte thay. Aur mein apna peit bharne ke baad phir barabar Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir rehta, is liye jab ye bhai ghair-hazir hote to mein is waqt bhi hazir rehta aur mein (wo baatein aap se sun kar) yaad kar leta jisay in hazraat ko (apne karobar ki mashghooliyat ki wajah se ya to sunne ka mauqa nahi milta tha ya) wo bhool jaya karte thay. Isi tarah mere bhai ansar apne amwal (kheton aur baghon) mein mashghool rehte, lekin mein Suffa mein muqeem miskeenon mein se ek miskeen aadmi tha. Jab ye hazraat ansar bhoolte to mein usay yaad rakhta. Ek martaba Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek hadees bayan karte hue farmaya tha ke jo koi apna kapra phailaye aur is waqt tak phailaye rakkhe jab tak apni ye guftagu na poori kar loon, phir (jab meri guftagu poori ho jaye to) is kapre ko samait le to wo meri baaton ko (apne dil-o-dimagh mein hamesha) yaad rakkhe ga, chunanche mein ne apna kambal apne samne phaila diya, phir jab Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apna maqala mubarak khatam farmaya, to mein ne usay samait kar apne seene se laga liya aur is ke baad phir kabhi mein aap ki koi hadees nahi bhoola
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2048
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابيه، عن جده، قال: قال عبد الرحمن بن عوف رضي الله عنه،" لما قدمنا المدينة، آخى رسول الله صلى الله عليه وسلم بيني وبين سعد بن الربيع، فقال سعد بن الربيع: إني اكثر الانصار مالا، فاقسم لك نصف مالي، وانظر اي زوجتي هويت، نزلت لك عنها، فإذا حلت تزوجتها، قال: فقال له عبد الرحمن: لا حاجة لي في ذلك، هل من سوق فيه تجارة؟ قال: سوق قينقاع، قال: فغدا إليه عبد الرحمن، فاتى باقط وسمن، قال: ثم تابع الغدو، فما لبث ان جاء عبد الرحمن، عليه اثر صفرة، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: تزوجت؟ قال: نعم، قال: ومن قال امراة من الانصار؟ قال: كم سقت؟ قال: زنة نواة من ذهب، او نواة من ذهب، فقال له النبي صلى الله عليه وسلم: اولم ولو بشاة".
Hum se Abdul Aziz Bin Abdullah Owaisi ne bayan kiya, un se Ibrahim Bin Saad ne bayan kiya, un se un ke walid Saad ne bayan kiya, un se un ke dada (Ibrahim Bin Abdur Rahman Bin Auf Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Abdur Rahman Bin Auf (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke jab hum Madinah aaye to Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne mere aur Saad Bin Rabee Ansari ke darmiyan bhai chara kara diya. Saad Bin Rabee (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke mein ansar ke sab se zyada maldar logon mein se hoon. Is liye apna aadha mal mein aap ko deta hoon aur aap khud dekh lein ke meri do biwiyon mein se aap ko kaun zyada pasand hai. Mein aap ke liye unhein apne se alag kar doon ga (yaani talaq de doon ga) jab un ki iddat poori ho jaye to aap un se nikah kar lein. Bayan kiya ke is par Abdur Rahman (Radi Allahu Anhu) ne farmaya, mujhe un ki zaroorat nahi. Kya yahan koi bazaar hai jahan karobar hota ho ? Saad (Radi Allahu Anhu) ne ”Suq Qaynuqa“ ka naam liya. Bayan kiya ke jab subah hui to Abdur Rahman (Radi Allahu Anhu) paneer aur ghee laye. Rawi ne bayan kiya ke phir wo tijarat ke liye bazaar aane jane lage. Kuch dinon ke baad ek din wo Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir hue to zard rang ka nishan (kapre ya jism par) tha. Rasul Allah ne daryaft farmaya kya tum ne shadi kar li hai ? Unhon ne kaha ke han, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne daryaft farmaya ke kis se ? bole ke ek ansari khatoon se. Daryaft farmaya aur mahr kitna diya hai ? arz kiya ke ek ghutli barabar sona diya hai ya (ye kaha ke) sone ki ek ghutli di hai. Phir Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, accha to walima kar khwah ek bakri hi ka ho
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2049
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا زهير، حدثنا حميد، عن انس رضي الله عنه، قال:" قدم عبد الرحمن بن عوف المدينة، فآخى النبي صلى الله عليه وسلم بينه وبين سعد بن الربيع الانصاري، وكان سعد ذا غنى، فقال لعبد الرحمن: اقاسمك مالي نصفين وازوجك، قال: بارك الله لك في اهلك ومالك، دلوني على السوق، فما رجع حتى استفضل اقطا وسمنا، فاتى به اهل منزله فمكثنا يسيرا، او ما شاء الله، فجاء وعليه وضر من صفرة، فقال له النبي صلى الله عليه وسلم: مهيم، قال: يا رسول الله، تزوجت امراة من الانصار، قال: ما سقت إليها، قال: نواة من ذهب، او وزن نواة من ذهب، قال: اولم ولو بشاة".
Hum se Ahmad Bin Yunus ne bayan kiya, un se Zuhair ne bayan kiya, un se Humaid ne bayan kiya aur un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke jab Abdur Rahman Bin Auf (Radi Allahu Anhu) Madinah aaye, to Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un ka bhai chara Saad Bin Rabee Ansari (Radi Allahu Anhu) se kara diya. Saad (Radi Allahu Anhu) maldar aadmi thay. Unhon ne Abdur Rahman (Radi Allahu Anhu) se kaha mein aur aap mere mal se aadha aadha le lein. Aur mein (apni ek biwi se) aap ki shadi kara doon. Abdur Rahman (Radi Allahu Anhu) ne is ke jawab mein kaha Allah Ta'ala aap ke ahl aur aap ke mal mein barkat ata farmaye, mujhe to aap bazaar ka rasta bata dijiye, phir wo bazaar se is waqt tak wapas na hue jab tak nafa mein kafi paneer aur ghee na bacha liya. Ab wo apne ghar walon ke paas aaye kuch din guzre hon ge ya Allah ne jitna chaha. Is ke baad wo aaye ke un par zardi ka nishan tha. Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne daryaft farmaya ye zardi kaisi hai ? arz kiya, ya Rasul Allah! mein ne ek ansari aurat se shadi kar li hai. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne daryaft farmaya ke unhein mahr mein kya diya hai ? arz kiya ”sone ki ek ghutli“ ya (ye kaha ke) ”ek ghutli barabar sona“ Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke accha ab walima kar, agarchay ek bakri hi ka ho
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2050
حدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا سفيان، عن عمرو، عن ابن عباس رضي الله عنه، قال:" كانت عكاظ، ومجنة، وذو المجاز اسواقا في الجاهلية، فلما كان الإسلام، فكانهم تاثموا فيه، فنزلت: ليس عليكم جناح ان تبتغوا فضلا من ربكم سورة البقرة آية 198، في مواسم الحج"، قراها ابن عباس.
Hum se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, un se Amr Bin Dinar ne, un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Ukaz Majannah, aur Zhu-al-Majaz ahd-e-jahiliyat ke bazaar thay. Jab Islam aaya to aisa hua ke musalman log (khareed-o-farokht ke liye in bazaron mein jana) gunah samajhne lage. Is liye ye ayat nazil hui ”tumhare liye is mein koi haraj nahi agar tum apne Rabb ke fazal (yaani rizq-e-halal) ki talash karo hajj ke mausam mein“ ye Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ki qira'at hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ الْحَلاَلُ بَيِّنٌ وَالْحَرَامُ بَيِّنٌ وَبَيْنَهُمَا مُشَبَّهَاتٌ:
Bab: Halal wazeh hai aur haram bhi wazeh hai lekin un dono ke darmiyan kuch shak o shubha wali cheezen bhi hain.
Show diacritics
Hadith Number: 2051
حدثني محمد بن المثنى، حدثنا ابن ابي عدي، عن ابن عون، عن الشعبي، سمعت النعمان بن بشير رضي الله عنه: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم. وحدثنا علي بن عبد الله، حدثنا ابن عيينة، حدثنا ابو فروة، عن الشعبي، قال: سمعت النعمان بن بشير، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، وحدثنا عبد الله بن محمد، حدثنا ابن عيينة، عن ابي فروة، سمعت الشعبي، سمعت النعمان بن بشير رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وحدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، عن ابي فروة، عن الشعبي، عن النعمان بن بشير رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" الحلال بين والحرام بين وبينهما امور مشتبهة، فمن ترك ما شبه عليه من الإثم، كان لما استبان اترك، ومن اجترا على ما يشك فيه من الإثم، اوشك ان يواقع ما استبان، والمعاصي حمى الله من يرتع حول الحمى يوشك ان يواقعه".
Hum se Muhammad Bin Muthanna ne bayan kiya, kaha ke hum se Ibrahim Bin Abi Adi ne bayan kiya, un se Abdullah Bin Aun ne, un se Shabi ne, unhon ne Numan Bin Bashir (Radi Allahu Anhu) se suna, unhon ne kaha ke mein ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna (doosri sanad Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha) aur hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, un se Abu Farwah ne, un se Shabi ne, kaha ke mein ne Numan Bin Bashir (Radi Allahu Anhu) se suna, aur unhon ne Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se (teesri sanad) aur hum se Abdullah Bin Muhammad ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan Bin Uyainah ne bayan kiya, un se Abu Farwah ne, unhon ne Shabi se suna, unhon ne Numan Bin Bashir (Radi Allahu Anhu) se suna aur unhon Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se (chauthi sanad) aur hum se Muhammad Bin Kathir ne bayan kiya, kaha ke hum ko Sufyan Thauri ne khabar di, unhein Abu Farwah ne, unhein Shabi ne aur un se se Numan Bin Bashir (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya halal bhi khula hua hai aur haram bhi zahir hai lekin in donon ke darmiyan kuch mushtaba cheezein hain. Pas jo shakhs in cheezon ko chore jin ke gunah hone ya na hone mein shubha hai wo in cheezon ko to zaroori hi chor de ga jin ka gunah hona zahir hai lekin jo shakhs shubha ki cheezon ke karne ki jur-at kare ga to qareeb hai ke wo in gunahon mein mubtala ho jaye jo bilkul wazay taur par gunah hain (logo yaad rakkho) gunah Allah Ta'ala ki charagah hai jo (janwar bhi) charagah ke ard-gird charay ga is ka charagah ke andar chala jana ghair-mumkin nahi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ تَفْسِيرِ الْمُشَبَّهَاتِ:
Bab: Multa julta cheezen yani shubha wale umoor kya hain?
Show diacritics
Hadith Number: Q2052
وقال حسان بن ابي سنان: ما رايت شيئا اهون من الورع دع ما يريبك إلى ما لا يريبك.
Aur Hassan Bin Abi Sinan ne kaha ke «wara» (parhezgari) se zyada aasan koi cheez mein ne nahi dekhi, bas shubha ki cheezon ko chor aur wo rasta ikhtiyar kar jis mein koi shubha na ho
.


Show diacritics
Hadith Number: 2052
حدثنا محمد بن كثير، اخبرنا سفيان، اخبرنا عبد الله بن عبد الرحمن بن ابي حسين، حدثنا عبد الله بن ابي مليكة، عن عقبة بن الحارث رضي الله عنه،" ان امراة سوداء؟، جاءت فزعمت انها ارضعتهما، فذكر للنبي صلى الله عليه وسلم، فاعرض عنه، وتبسم النبي صلى الله عليه وسلم، قال: كيف؟ وقد قيل: وقد كانت تحته ابنة ابي إهاب التميمي".
Hum se Muhammad Bin Kathir ne bayan kiya, kaha ke hum ko Sufyan Thauri ne khabar di, unhein Abdullah Bin Abdur Rahman Bin Abi Husain ne khabar di, un se Abdullah Bin Abi Mulaika ne bayan kiya, un se Uqba Bin Harith (Radi Allahu Anhu) ne ke ek siyah faam khatoon aayiein aur dawa kiya ke unhon ne in donon (Uqba aur un ki biwi) ko doodh pilaya hai. Uqba ne is amr ka zikr Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se kiya to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne apna chehra mubarak pher liya aur muskura kar farmaya. Ab jab ke ek baat keh di gayi to tum donon ek sath kis tarah reh sakte ho. Un ke nikah mein Abu Ihab Tamimi ki sahab zadi theen
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2053
حدثنا يحيى بن قزعة، حدثنا مالك، عن ابن شهاب، عن عروة بن الزبير، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كان عتبة بن ابي وقاص عهد إلى اخيه سعد بن ابي وقاص، ان ابن وليدة زمعة مني، فاقبضه، قالت: فلما كان عام الفتح، اخذه سعد بن ابي وقاص، وقال ابن اخي: قد عهد إلي فيه، فقام عبد بن زمعة، فقال: اخي، وابن وليدة ابي، ولد على فراشه، فتساوقا إلى النبي صلى الله عليه وسلم، فقال سعد: يا رسول الله، ابن اخي كان قد عهد إلي فيه، فقال عبد بن زمعة: اخي، وابن وليدة ابي، ولد على فراشه، فقال رسول الله صلى الله عليه وسلم: هو لك يا عبد بن زمعة، ثم قال النبي صلى الله عليه وسلم:" الولد للفراش وللعاهر الحجر"، ثم قال لسودة بنت زمعة زوج النبي صلى الله عليه وسلم: احتجبي منه لما راى من شبهه بعتبة، فما رآها حتى لقي الله.
Hum se Yahya Bin Qaz'ah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Imam Malik (Rahimahullah) ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne, un se Urwah Bin Zubair (Radi Allahu Anhu) ne aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne bayan kiya ke Utba Bin Abi Waqqas (kafir) ne apne bhai Saad Bin Abi Waqqas (musalman) ko (marte waqt) wasiyat ki thi ke Zam'ah ki bandi ka larka mera hai. Is liye usay tum apne qabza mein le lena. Unhon ne kaha ke Fatah-e-Makkah ke saal Saad (Radi Allahu Anhu) Bin Abi Waqqas ne usay le liya, aur kaha ke ye mere bhai ka larka hai aur wo is ke mutaliq mujhe wasiyat kar gaye hain, lekin Abd Bin Zam'ah ne utth kar kaha ke mere baap ki laundi ka baccha hai, mere baap ke bistar par paida hua hai. Aakhir donon ye muqadma Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein le gaye. Saad (Radi Allahu Anhu) ne arz kiya ya Rasul Allah! ye mere bhai ka larka hai aur mujhe is ki unhon ne wasiyat ki thi. Aur Abd Bin Zam'ah ne arz kiya, ye mera bhai hai aur mere baap ki laundi ka larka hai. Unhein ke bistar par is ki paidaish hui hai. Is par Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, Abd Bin Zam'ah! larka to tumhare hi sath rahe ga. Is ke baad farmaya, baccha isi ka hota hai jo jaiz shohar ya malik ho jis ke bistar par wo paida hua ho. Aur haram kar ke hissa mein pattharon ki saza hai. Phir Sauda Bint Zam'ah (Radi Allahu Anha) se jo Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki biwi theen, farmaya ke is larke se parda kiya kar, kyunke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Utba ki shabahat is larke mein mehsoos kar li thi. Is ke baad is larke ne Sauda (Radi Allahu Anha) ko kabhi na dekha yahan tak ke wo Allah Ta'ala se ja mila
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2054
حدثنا ابو الوليد، حدثنا شعبة، قال: اخبرني عبد الله بن ابي السفر، عن الشعبي، عن عدي بن حاتم رضي الله عنه، قال:" سالت النبي صلى الله عليه وسلم عن المعراض؟ فقال: إذا اصاب بحده فكل، وإذا اصاب بعرضه فقتل، فلا تاكل فإنه وقيذ"، قلت: يا رسول الله، ارسل كلبي واسمي، فاجد معه على الصيد كلبا آخر، لم اسم عليه ولا ادري ايهما اخذ، قال: لا تاكل، إنما سميت على كلبك، ولم تسم على الآخر.
Hum se Abu-al-Walid ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, kaha ke mujhe Abdullah Bin Abi Safar ne khabar di, unhein Shabi ne, un se Adi Bin Hatim (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se «mearaz» (teer ke shikar) ke mutaliq poocha to Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke agar is ke dhaar ki taraf se lage to kha. Agar chorayi se lage to mat kha. Kyunke wo murdar hai, mein ne arz kiya ya Rasul Allah! mein apna kutta (shikar ke liye) chorta hoon aur Bismillah parh leta hoon, phir is ke sath mujhe ek aisa kutta aur milta hai jis par mein ne Bismillah nahi parhi hai. Mein ye faisla nahi kar pata ke donon mein kaun se kutte ne shikar pakra. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, aise shikar ka gosht na kha. Kyunke tu ne Bismillah to apne kutte ke liye parhi hai. Doosre ke liye to nahi parhi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة