الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ كَسْبِ الرَّجُلِ وَعَمَلِهِ بِيَدِهِ:
Bab: Insan ka kamana aur apne haathon se mehnat karna.
Show diacritics
Hadith Number: 2071
حدثني محمد، حدثنا عبد الله بن يزيد، حدثنا سعيد، قال: حدثني ابو الاسود، عن عروة، قال: قالت عائشة رضي الله عنها،"كان اصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم عمال انفسهم، وكان يكون لهم ارواح، فقيل لهم: لو اغتسلتم"، رواه همام، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة.
Mujh se Muhammad ne bayan kiya, kaha ke hum se Abdullah Bin Yazid ne bayan kiya, un se Saeed Bin Abi Ayyub ne bayan kiya, kaha ke mujh se Abu-al-Aswad ne bayan kiya, un se Urwah ne ke Aisha (Radi Allahu Anha) ne farmaya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sahaba (Radi Allahu Anhum) apne kaam apne hi hathon se kiya karte thay aur (zyada mehnat-o-mashaqqat ki wajah se) un ke jism se (pasine ki) boo aa jati thi. Is liye un se kaha gaya ke agar tum ghusl kar liya karo to behtar ho ga. Is ki riwayat Hammam ne apne walid se aur unhon ne apne baap se aur unhon ne Aisha (Radi Allahu Anha) se ki hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2072
حدثنا إبراهيم بن موسى، اخبرنا عيسى بن يونس، عن ثور، عن خالد بن معدان، عن المقدام رضي الله عنه، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" ما اكل احد طعاما قط، خيرا من ان ياكل من عمل يده، وإن نبي الله داود عليه السلام، كان ياكل من عمل يده".
Hum se Ibrahim Bin Musa ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum ko Isa Bin Yunus ne khabar di, unhein Thaur ne khabar di, unhein Khalid Bin Madan ne aur unhein Miqdam (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya kisi insan ne is shakhs se behtar rozi nahi khayi, jo khud apne hathon se kamakar khata hai Allah ke Nabi Daud (Alaihis Salam) bhi apne hath se kaam kar ke rozi khaya karte thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2073
حدثنا يحيى بن موسى، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن همام بن منبه، حدثنا ابو هريرة، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم:" ان داود النبي عليه السلام، كان لا ياكل إلا من عمل يده".
Hum se Yahya Bin Musa ne bayan kiya, kaha ke hum se Abdul Razzaq ne bayan kiya, kaha ke humein Mamar ne khabar di, unhein Hammam Bin Munabbih ne, un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya, aur un se Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ke Daud (Alaihis Salam) sirf apne hath ki kamayi se khaya karte thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2074
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن ابي عبيد مولى عبد الرحمن بن عوف، انه سمع ابا هريرةرضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لان يحتطب احدكم حزمة على ظهره، خير له من ان يسال احدا فيعطيه او يمنعه".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha ke hum se Laith Bin Saad ne bayan kiya, un se Aqeel ne, un se Ibn Shihab ne, un se Abdur Rahman Bin Auf (Radi Allahu Anhu) ke ghulam Abi Ubaid ne, unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ko ye kehte suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya wo shakhs jo lakri ka ghatta apni peeth par laad kar laye, is se behtar hai jo kisi ke samne hath phailaye chahiye wo usay kuch dede ya na de
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2075
حدثنا يحيى بن موسى، حدثنا وكيع، حدثنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن الزبير بن العوام رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لان ياخذ احدكم احبله".
Hum se Yahya Bin Musa ne bayan kiya, kaha ke hum se Wakee ne bayan kiya, kaha ke hum se Hisham Bin Urwah ne bayan kiya, un se un ke walid ne aur un se Zubair Bin Awam (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke agar koi apni rassiyon ko sambhal le aur un mein lakri bandh kar laye to wo is se behtar hai jo logon se mangta hai phirta hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ السُّهُولَةِ وَالسَّمَاحَةِ فِي الشِّرَاءِ وَالْبَيْعِ، وَمَنْ طَلَبَ حَقًّا فَلْيَطْلُبْهُ فِي عَفَافٍ:
Bab: Khareed o farokht ke waqt narmi, wus'at aur fayyazi karna aur kisi se apna haq paakeezgi se mangna.
Show diacritics
Hadith Number: 2076
حدثنا علي بن عياش، حدثنا ابو غسان محمد بن مطرف، قال: حدثني محمد بن المنكدر، عن جابر بن عبد الله رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" رحم الله رجلا سمحا، إذا باع، وإذا اشترى، وإذا اقتضى".
Hum se Ali Bin Ayash ne bayan kiya, kaha ke hum se Abu Ghassan Muhammad Bin Mutarrif ne bayan kiya, kaha ke mujh se Muhammad Bin Munkadir ne bayan kiya, aur un se Jabir Bin Abdullah Ansari (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya Allah Ta'ala aise shakhs par raham kare jo bechte waqt aur khareedte waqt aur taqaza karte waqt fayyazi aur narmi se kaam leta hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَنْظَرَ مُوسِرًا:
Bab: Jo shakhs maldaar ko mohlat de.
Show diacritics
Hadith Number: 2077
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا زهير، حدثنا منصور، ان ربعي بن حراش حدثه، ان حذيفة رضي الله عنه حدثه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" تلقت الملائكة روح رجل ممن كان قبلكم، قالوا: اعملت من الخير شيئا؟ قال: كنت آمر فتياني ان ينظروا ويتجاوزوا عن الموسر، قال: قال: فتجاوزوا عنه، قال ابو عبد الله: وقال ابو مالك: عن ربعي: كنت ايسر على الموسر وانظر المعسر، وتابعه شعبة، عن عبد الملك، عن ربعي، وقال ابو عوانة: عن عبد الملك، عن ربعي انظر الموسر واتجاوز عن المعسر، وقال نعيم بن ابي هند: عن ربعي، فاقبل من الموسر واتجاوز عن المعسر.
Hum se Ahmad Bin Yunus ne bayan kiya, kaha ke hum se Zuhair ne bayan kiya kaha ke hum se Mansoor ne, un se Rabee Bin Hirash ne bayan kiya aur un se Hudhaifa Bin Yaman (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, tum se pehle guzashta ummaton ke kisi shakhs ki rooh ke paas (maut ke waqt) farishte aaye aur poocha ke tu ne kuch acche kaam bhi kiye hain ? Rooh ne jawab diya ke mein apne naukaron se kaha karta tha ke wo maldar logon ko (jo un ke maqrooz hon) muhlat de diya karein aur un par sakhti na karein. Aur muhtajon ko maaf kar diya karein. Rawi ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, phir farishton ne bhi is se dar-guzar kiya aur sakhti nahi ki aur Abu Malik ne Rabee se (apni riwayat mein ye alfaz) bayan kiye hain ”khate kamate ke sath (apna haqq lete waqt) narm mamla karta tha aur tang haal maqrooz ko muhlat deta tha. Is ki mutabiat Shuba ne ki hai. Un se Abdul Malik ne aur un se Rabee ne bayan kiya, Abu Awanah ne kaha ke un se Abdul Malik ne Rabee se bayan kiya ke (is rooh ne ye alfaz kahe thay) mein khate kamate ko muhlat de deta tha aur tang haal wale maqrooz se dar-guzar karta tha aur Nuaim Bin Abi Hind ne bayan kiya, un se Rabee ne (ke rooh ne ye alfaz kahe thay) mein khate kamate logon ke (jin par mera koi haqq wajib hota) uzr qabool kar liya karta tha aur tang haal wale se dar-guzar kar deta tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ أَنْظَرَ مُعْسِرًا:
Bab: Jis ne tang-dast ko mohlat di is ka sawab.
Show diacritics
Hadith Number: 2078
حدثنا هشام بن عمار، حدثنا يحيى بن حمزة، حدثنا الزبيدي، عن الزهري، عن عبيد الله بن عبد الله، انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" كان تاجر يداين الناس، فإذا راى معسرا، قال لفتيانه: تجاوزوا عنه، لعل الله ان يتجاوز عنا فتجاوز الله عنه".
Hum se Hisham Bin Ammar ne bayan kiya, kaha ke hum se Yahya Bin Hamza ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Waleed Zubaidi ne bayan kiya, un se Zuhri ne, un se Ubaidullah Bin Abdullah ne, unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se suna ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, ek tajir logon ko qarz diya karta tha jab kisi tang dast ko dekhta to apne naukaron se keh deta ke is se dar-guzar kar jao. Shayad ke Allah Ta'ala bhi hum se (aakhirat mein) dar-guzar farmaye. Chunanche Allah Ta'ala ne (is ke marne ke baad) is ko bakhsh diya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِذَا بَيَّنَ الْبَيِّعَانِ وَلَمْ يَكْتُمَا وَنَصَحَا:
Bab: Jab khareedne wale aur bechne wale dono saaf saaf bayan kar den aur ek doosre ki behtari chahen.
Show diacritics
Hadith Number: Q2079
ويذكر عن العداء بن خالد، قال: كتب لي النبي صلى الله عليه وسلم هذا ما اشترى محمد رسول الله صلى الله عليه وسلم من العداء بن خالد بيع المسلم من المسلم، لا داء، ولا خبثة، ولا غائلة، وقال قتادة: الغائلة الزنا، والسرقة، والإباق، وقيل لإبراهيم: إن بعض النخاسين يسمي آري خراسان وسجستان، فيقول: جاء امس من خراسان، جاء اليوم من سجستان فكرهه كراهية شديدة، وقال عقبة بن عامر: لا يحل لامرئ يبيع سلعة يعلم ان بها داء إلا اخبره.
Aur Adda Bin Khalid (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai unhon ne kaha ke mujhe Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek bai-nama likh diya tha ke ye wo kaghaz hai jis mein Muhammad Allah ke Rasul (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka Adda Bin Khalid se khareedne ka bayan hai. Ye bai musalman ki hai musalman ke hath, na is mein koi aib hai na koi fareb na fisq-o-fujoor, na koi bad-batini hai. Aur Qatada (Rahimahullah) ne kaha ke ghaila, zina, chori aur bhagne ki aadat ko kehte hain. Ibrahim Nakh'i (Rahimahullah) se kisi ne kaha ke baaz dalal (apne istabal ke) naam ”Aari Khurasan aur Sajistan“ (Khurasani istabal aur Sajistani istabal) rakhte hain aur (dhoka dene ke liye) kehte hain ke falan janwar kal hi Khurasan se aaya tha. Aur falan aaj hi Sajistan se aaya hai. To Ibrahim Nakh'i ne is baat ko bahut zyada nagowari ke sath suna. Uqba Bin Aamir ne kaha ke kisi shakhs ke liye bhi ye jaiz nahi ke koi sauda beche aur ye janne ke bawajood ke is mein aib hai ”khareedne wale ko is ke mutaliq kuch na bataye.“
.


Show diacritics
Hadith Number: 2079
حدثنا سليمان بن حرب، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن صالح ابي الخليل، عن عبد الله بن الحارث، رفعه إلى حكيم بن حزام رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" البيعان بالخيار ما لم يتفرقا، او قال حتى يتفرقا، فإن صدقا وبينا، بورك لهما في بيعهما، وإن كتما وكذبا، محقت بركة بيعهما".
Hum se Suleiman Bin Harb ne bayan kiya, kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, un se Qatada ne un se Salih Abu Khaleel ne, un se Ubaidullah Bin Harith ne, unhon ne Hakim Bin Hizam (Radi Allahu Anhu) se ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, khareedne aur bechne walon ko is waqt tak ikhtiyar (bai khatam kar dene ka) hai jab tak donon juda na hon ya Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ( «ma lam yatafarraqa» ke bajaye) «hatta yatafarraqa» farmaya. (Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne mazeed irshad farmaya) pas agar donon ne sachayi se kaam liya aur har baat saaf saaf khol di to un ki khareed-o-farokht mein barkat hoti hai lekin agar koi baat chupa rakkhi ya jhoot kahi to un ki barkat khatam kar di jati hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة