الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ بَيْعِ الْمُلاَمَسَةِ:
Bab: Bay' mulamasah ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 2144
حدثنا سعيد بن عفير، قال: حدثني الليث، قال: حدثني عقيل، عن ابن شهاب، قال: اخبرني عامر بن سعد، ان ابا سعيد رضي الله عنه، اخبره ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" نهى عن المنابذة وهي طرح الرجل ثوبه بالبيع إلى الرجل قبل ان يقلبه او ينظر إليه، ونهى عن الملامسة، والملامسة لمس الثوب لا ينظر إليه".
Hum se Saeed Bin Afir ne bayan kiya, kaha ke mujh se Liath Bin Saad ne bayan kiya, kaha ke mujh se Aqeel ne bayan kiya, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, ke mujhe Aamir Bin Saeed ne khabar di, aur unhein Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne khabar di ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne munabaza ki bai se mana farmaya tha. Is ka tareeqa ye tha ke ek aadmi bechne ke liye apna kapra doosre shakhs ki taraf (jo khareedar hota) phainkta aur is se pehle ke wo usay ulte palte ya is ki taraf dekhe (sirf phaink dene ki wajah se wo bai lazim samjhi jati thi) isi tarah Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne bai-e-mulamasa se bhi mana farmaya. Is ka ye tareeqa tha ke (khareedne wala) kapre ko baghair dekhe sirf usay chhoo deta (aur isi se bai lazim ho jati thi usay bhi dhoka ki bai qarar diya gaya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2145
حدثنا قتيبة، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا ايوب، عن محمد، عن ابي هريرة رضي الله عنه، قال:" نهي عن لبستين، ان يحتبي الرجل في الثوب الواحد ثم يرفعه على منكبه، وعن بيعتين اللماس والنباذ".
Hum se Qutaiba ne bayan kiya, kaha ke hum se Abdul Wahhab ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Sireen ne, un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke do tarah ke libas pehn-ne mana hain. ke koi aadmi ek hi kapre mein got maar kar baithe, phir usay monde par utthakar daal le (aur sharmgah khuli rahe) aur do tarah ki bai se mana kiya ek bai-e-mulamasa se aur doosri bai-e-munabaza se
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَيْعِ الْمُنَابَذَةِ:
Bab: Bay' munabadha ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q2146
وقال انس نهى عنه النبي صلى الله عليه وسلم.
Aur Anas (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne is se mana farmaya hai
.


Show diacritics
Hadith Number: 2146
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن محمد بن يحيى بن حبان، وعن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" نهى عن الملامسة والمنابذة".
Hum se Ismail Bin Uwais ne bayan kiya, unhon ne kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya, un se Muhammad Bin Yahya Bin Habban ne aur Abu-al-Zinad ne, un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne bai-e-mulamasa aur bai-e-munabaza se mana farmaya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2147
حدثنا عياش بن الوليد، حدثنا عبد الاعلى، حدثنا معمر، عن الزهري، عن عطاء بن يزيد، عن ابي سعيد رضي الله عنه، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن لبستين، وعن بيعتين: الملامسة، والمنابذة".
Hum se Ayash Bin Waleed ne bayan kiya, un se Abdul Ala ne bayan kiya, un se Mamar ne bayan kiya, un se Zuhri ne, un se Ata Bin Yazid ne aur un se Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne do tarah ke libas se mana farmaya, aur do tarah ki bai, bai-e-mulamasa aur bai-e-munabaza se mana farmaya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ النَّهْيِ لِلْبَائِعِ أَنْ لاَ يُحَفِّلَ الإِبِلَ وَالْبَقَرَ وَالْغَنَمَ وَكُلَّ مُحَفَّلَةٍ:
Bab: Oont ya bakri ya gaaye ke than mein doodh jama kar rakhna ba'i ko mana hai.
Show diacritics
Hadith Number: 2148
حدثنا ابن بكير، حدثنا الليث، عن جعفر بن ربيعة، عن الاعرج، قال ابو هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم،" لا تصروا الإبل والغنم، فمن ابتاعها بعد فإنه بخير النظرين بعد ان يحتلبها، إن شاء امسك، وإن شاء ردها وصاع تمر"، ويذكر عن ابي صالح، ومجاهد، والوليد بن رباح، وموسى بن يسار، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم صاع تمر، وقال بعضهم: عن ابن سيرين صاعا من طعام وهو بالخيار ثلاثا، وقال بعضهم: عن ابن سيرين صاعا من تمر، ولم يذكر ثلاثا والتمر اكثر.
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, kaha ke hum se Liath Bin Saad ne bayan kiya, un se Jafar Bin Rabia ne, un se Abdur Rahman Bin Hurmuz Aaraj ne, un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya (bechne ke liye) ontni aur bakri ke thanon mein khoon ko rok kar na rakkho. Agar kisi ne (dhoka mein aa kar) koi aisa janwar khareed liya to usay doodh dohne ke baad donon ikhtiyarat hain chahe to janwar ko rakh le, aur chahe to wapas kar de. Aur ek saa khajoor is ke sath doodh ke badal dede. Abu Salih, Mujahid, Waleed Bin Rabah aur Musa Bin Yasar se ba-wasita Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se riwayat ek saa khajoor hi ki hai. Baaz rawiyon ne Ibn Sireen se ek saa khajoor ki riwayat ki hai aur ye ke khareedar ko (soorat-e-madhkoora mein) teen din ka ikhtiyar ho ga. Agarchay baaz doosre rawiyon ne Ibn Sireen hi se ek saa khajoor ki bhi riwayat ki hai, lekin teen din ke ikhtiyar ka zikr nahi kiya aur (tawan mein) khajoor dene ki riwayat hi zyada hain
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2149
حدثنا مسدد، حدثنا معتمر، قال: سمعت ابي، يقول: حدثنا ابو عثمان، عن عبد الله بن مسعود رضي الله عنه، قال:" من اشترى شاة محفلة فردها، فليرد معها صاعا من تمر، ونهى النبي صلى الله عليه وسلم ان تلقى البيوع".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Mu'tamir ne bayan kiya, kaha ke mein ne apne baap se suna, wo kehte thay ke hum se Abu Usman ne bayan kiya aur un se Abdullah Bin Masood (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke jo shakhs «musarrah» bakri khareede aur usay wapas karna chahe to (asal malik ko) is ke sath ek saa bhi de. Aur Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne qafila walon se (jo mal bechne layein) aage barh kar khareedne se mana farmaya hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2150
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لا تلقوا الركبان ولا يبع بعضكم على بيع بعض، ولا تناجشوا، ولا يبع حاضر لباد، ولا تصروا الغنم، ومن ابتاعها فهو بخير النظرين بعد ان يحتلبها، إن رضيها امسكها، وإن سخطها ردها وصاعا من تمر".
Hum se Abdullah Bin Yusuf ne bayan kiya, kaha ke hum ko Imam Malik ne khabar di, unhein Abu-al-Zinad ne, unhein Aaraj ne, aur unhein Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya (tijarti) qafilon ki peshwai (un ka saman shehar pohanche se pehle hi khareed lene ki gharz se) na karo. Ek shakhs kisi doosre ki bai par bai na kare aur koi «najash» (dhoka fareb) na kare aur koi shehri, badwi ka mal na beche aur bakri ke than mein doodh na roke. Lekin agar koi is (aakhri) soorat mein janwar khareed le to usay dohne ke baad donon tarah ke ikhtiyarat hain. Agar wo is bai par raazi hai to janwar ko rok sakta hai aur agar wo raazi nahi to ek saa khajoor is ke sath de kar usay wapas kar de
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ إِنْ شَاءَ رَدَّ الْمُصَرَّاةَ وَفِي حَلْبَتِهَا صَاعٌ مِنْ تَمْرٍ:
Bab: Khareedar agar chahe to musarra ko wapas kar sakta hai lekin is ke doodh ke badle mein (jo khareedar ne istimal kiya hai) ek saa khajoor de de.
Show diacritics
Hadith Number: 2151
حدثنا محمد بن عمرو، حدثنا المكي، اخبرنا ابن جريج، قال: اخبرني زياد، ان ثابتا مولى عبد الرحمن بن زيد، اخبره انه سمع ابا هريرة رضي الله عنه، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" من اشترى غنما مصراة فاحتلبها، فإن رضيها امسكها، وإن سخطها ففي حلبتها صاع من تمر".
Hum se Muhammad Bin Amr ne bayan kiya, kaha ke hum se Makki Bin Ibrahim ne bayan kiya, unhein Ibn Juraij ne khabar di, kaha ke mujhe Ziyad ne khabar di ke Abdur Rahman Bin Zaid ke ghulam Thabit ne unhein khabar di, ke unhon ne Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ko ye kehte suna ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jis shakhs ne «musarrah» bakri khareedi aur usay doha. To agar wo is mamla par raazi hai to usay apne liye rok le aur agar raazi nahi hai to (wapas kar de aur) is ke doodh ke badle mein ek saa khajoor dede
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَيْعِ الْعَبْدِ الزَّانِي:
Bab: Zani ghulam ki bay' ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q2152
وقال شريح: إن شاء رد من الزنا.
Aur Shuraih (Rahimahullah) ne kaha ke agar khareedar chahe to zina ke aib ki wajah se aise laundi ghulam ko wapas pher sakta hai
.