الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
بَابُ بَرَكَةِ صَاعِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَمُدِّهِمْ:
Bab: Nabi Karim Sallallahu Alaihi Wasallam ke saa aur mud ki barkat ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: Q2129
فيه عائشة رضي الله عنها، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Is baab mein ek hadees Aisha (Radi Allahu Anha) ki bhi Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) se marwi hai
.


Show diacritics
Hadith Number: 2129
حدثنا موسى، حدثنا وهيب، حدثنا عمرو بن يحيى، عن عباد بن تميم الانصاري، عن عبد الله بن زيد رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم،" ان إبراهيم حرم مكة ودعا لها، وحرمت المدينة كما حرم إبراهيم مكة، ودعوت لها في مدها وصاعها مثل ما دعا إبراهيم عليه السلام لمكة".
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha ke hum se Wuhaib ne bayan kiya, kaha ke hum se Amr Bin Yahya ne bayan kiya, un se Abbad Bin Tamim Ansari ne aur un se Abdullah Bin Zaid (Radi Allahu Anhu) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, Ibrahim (Alaihis Salam) ne Makkah ko haram qarar diya. Aur is ke liye dua farmayi. Mein bhi Madinah ko isi tarah haram qarar deta hoon jis tarah Ibrahim (Alaihis Salam) ne Makkah ko haram qarar diya tha. Aur is ke liye, is ke mudd aur saa (ghalla naap-ne ke do paimane) ki barkat ke liye is tarah dua karta hoon jisay Ibrahim (Alaihis Salam) ne Makkah ke liye dua ki thi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2130
حدثني عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، عن انس بن مالك رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" اللهم بارك لهم في مكيالهم، وبارك لهم في صاعهم، ومدهم يعني اهل المدينة".
Mujh se Abdullah Bin Muslimah Qanabi ne bayan kiya, kaha ke hum se Imam Malik ne bayan kiya, un se Ishaq Bin Abdullah Bin Abi Talha ne aur un se Anas Bin Malik (Radi Allahu Anhu) ne ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, Ae Allah! unhein un ke paimanon mein barkat de, Ae Allah! unhein un ke saa aur mudd mein barkat de. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki murad ahl-e-Madinah thay
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَا يُذْكَرُ فِي بَيْعِ الطَّعَامِ وَالْحُكْرَةِ:
Bab: Anaaj ka bechna aur ihtikar karna kaisa hai?
Show diacritics
Hadith Number: 2131
حدثنا إسحاق بن إبراهيم، اخبرنا الوليد بن مسلم، عن الاوزاعي، عن الزهري، عن سالم، عن ابيه رضي الله عنه، قال:"رايت الذين يشترون الطعام مجازفة، يضربون على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم ان يبيعوه، حتى يؤووه إلى رحالهم".
Hum se Ishaq Bin Ibrahim ne bayan kiya, kaha ke hum ko Waleed Bin Muslim ne khabar di, unhein Auzai ne, unhein Zuhri ne, unhein Salim ne, aur un se un ke baap ne bayan kiya, ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke zamane mein in logon ko dekha jo anaaj ke dhair (baghair tole hue mahz andaza kar ke) khareed lete un ko maar parti thi. Is liye ke jab tak apne ghar na le jayein na bachein
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2132
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، عن ابن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم" نهى ان يبيع الرجل طعاما حتى يستوفيه"، قلت لابن عباس: كيف ذاك؟ قال: ذاك دراهم بدراهم، والطعام مرجا، قال ابو عبد الله: مرجئون مؤخرون.
Hum se Musa Bin Ismail ne bayan kiya, kaha ke hum se Wuhaib ne bayan kiya, un se Ibn Taous ne, un se un ke baap ne, un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ghalla par poori tarah qabza se pehle usay bechne se mana farmaya. Taous ne kaha ke mein ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) se poocha ke aisa kyun hai ? to unhon ne farmaya ke ye to rupaye ka rupayon ke badle bechna hua jab ke abhi ghalla to miyad hi par diya jaye ga. Abu Abdullah (Imam Bukhari Rahimahullah) ne kaha ke «murji-oona» se murad «mu'akh-kharoona» yaani mu'akh-khar karna hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2133
حدثني ابو الوليد، حدثنا شعبة، حدثنا عبد الله بن دينار، قال: سمعت ابن عمر رضي الله عنه، يقول: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" من ابتاع طعاما، فلا يبعه حتى يقبضه".
Mujh se Abu-al-Walid ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Shuba ne bayan kiya, un se Abdullah Bin Dinar ne bayan kiya ke mein ne Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ko ye kehte suna ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya jo shakhs bhi koi ghalla khareede to is par qabza karne se pehle usay na beche
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2134
حدثنا علي، حدثنا سفيان، كان عمرو بن دينار يحدثه، عن الزهري، عن مالك بن اوس، انه قال: من عنده صرف؟ فقال طلحة: انا، حتى يجيء خازننا من الغابة، قال سفيان: هو الذي حفظناه الزهري ليس فيه زيادة، فقال: اخبرني مالك بن اوس بن الحدثان، سمع عمر بن الخطاب رضي الله عنه يخبر، عن رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" الذهب بالذهب ربا إلا هاء وهاء، والبر بالبر ربا إلا هاء وهاء، والتمر بالتمر ربا إلا هاء وهاء، والشعير بالشعير ربا إلا هاء وهاء".
Hum se Ali Bin Madini ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan ne bayan kiya ke Amr Bin Dinar un se bayan karte thay, aur un se Zuhri ne, un se Malik Bin Aus ne, ke unhon ne poocha ke aap logon mein se koi bai-e-sarf (yaani dinar, dirham, ashrafi waghera badalne ka kaam) karta hai. Talha ne kaha ke mein karta hoon, lekin is waqt kar sakoon ga jab ke hamara khazanchi Ghaba se aa jaye ga. Sufyan ne bayan kiya ke Zuhri se hum ne isi tarah hadees yaad ki thi. Is mein koi ziyati nahi thi. Phir unhon ne kaha ke mujhe Malik Bin Aus ne khabar di ke unhon ne Umar Bin Khattab (Radi Allahu Anhu) se suna. Wo Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se naqal karte thay ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, sona sone ke badle mein (khareedna) sood mein dakhil hai magar ye ke naqda naqd ho. Gehun, gehun ke badle mein (khareedna bechna) sood mein dakhil hai magar ye ke naqda naqd ho, khajoor, khajoor ke badle mein sood hai magar ye ke naqda naqd ho aur jau, jau ke badle mein sood hai magar ye ke naqda naqd ho
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ بَيْعِ الطَّعَامِ قَبْلَ أَنْ يُقْبَضَ، وَبَيْعِ مَا لَيْسَ عِنْدَكَ:
Bab: Ghale ko apne qabze mein lene se pehle bechna aur aisi cheez ko bechna jo tere paas maujood nahi.
Show diacritics
Hadith Number: 2135
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، قال: الذي حفظناه من عمرو بن دينار، سمع طاوسا، يقول: سمعت ابن عباس رضي الله عنه، يقول:" اما الذي نهى عنه النبي صلى الله عليه وسلم فهو الطعام ان يباع حتى يقبض"، قال ابن عباس: ولا احسب كل شيء إلا مثله.
Hum se Ali Bin Abdullah ne bayan kiya, kaha ke hum se Sufyan ne bayan kiya, kaha jo kuch hum ne Amr Bin Dinar se (sun kar) yaad kar rakkha hai (wo ye hai ke) unhon ne Taous se suna, wo kehte thay ke mein ne Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ko ye farmate suna tha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne jis cheez se mana farmaya tha, wo is ghalle ki bai thi jis par abhi qabza na kiya gaya ho, Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne farmaya, mein to tamam cheezon ko isi ke hukm mein samajhta hoon
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2136
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا مالك، عن نافع، عن ابن عمر رضي الله عنه، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من ابتاع طعاما فلا يبعه حتى يستوفيه"، زاد إسماعيل: من ابتاع طعاما فلا يبعه حتى يقبضه.
Hum se Abdullah Bin Muslimah ne bayan kiya, kaha ke hum se Imam Malik ne bayan kiya, un se Nafay ne, un se Ibn Umar (Radi Allahu Anhuma) ne ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, jo shakhs bhi jab ghalla khareede to jab tak usay poori tarah qabza mein na le le, na beche. Ismail ne ye ziyati ki hai ke jo shakhs koi ghalla khareede to is par qabza karne se pehle na beche
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
بَابُ مَنْ رَأَى إِذَا اشْتَرَى طَعَامًا جِزَافًا أَنْ لاَ يَبِيعَهُ حَتَّى يُئْوِيَهُ إِلَى رَحْلِهِ، وَالأَدَبِ فِي ذَلِكَ:
Bab: Jo shakhs ghala ka dheer bina naape tole khareede woh jab tak is ko apne thikane na laye, kisi ke haath na beche aur is ke khilaf karne wale ki saza ka bayan.
Show diacritics
Hadith Number: 2137
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا الليث، عن يونس، عن ابن شهاب، قال: اخبرني سالم بن عبد الله، ان ابن عمر رضي الله عنه، قال:" لقد رايت الناس في عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم يبتاعون جزافا يعني الطعام، يضربون ان يبيعوه في مكانهم، حتى يؤووه إلى رحالهم".
Hum se Yahya Bin Bukair ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Laith ne bayan kiya, un se Yunus ne, un se Ibn Shihab ne bayan kiya, ke mujhe Salim Bin Abdullah (Radi Allahu Anhu) ne khabar di, un se Abdullah Bin Umar (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke ahd-e-mubarak mein dekha ke logon ko is par tanbeeh ki jati jab wo ghalla ka dhair khareed kar ke apne thikane par lane se pehle hi us ko bech daalte. Yaani ghalla to is baat par unhein saza di jati ke wo us ko apne thikane par lane se pehle us ko bech daalte
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة